Friday, October 7, 2011

Dreechay Sy Jhankti Woh Larki

Dreechay Sy Jhankti Woh Larki,
Ajab Dukh sy Bhari Hui Hai,

K Us K Angan Main Phool Par Ik,
Tittli Mari Hui Hai,

Kabhi Azano Main Khoi Khoi,
Kabhi Namazon Main Roi Roi,

Woh Aese Dunya Ko Dekhti Hai,
Jese Is Sy Dari Hui Hai,

Dard Sy Mehki Sansain,
Wazeefa Parthi Hui Wo Ankhen,

K Sham-E-Umeed In Main Kai Bars Sy Dhari Hui Hai,

Woh Dukh Ki Chadar Main Lipti Lipti,
Woh Kale Kapron Main Simti Simti,

Mohabbat Us Ny Kisi Sy Shayad Meri Tarah Ki Hui Hai

No comments:

Post a Comment