Wednesday, October 5, 2011

awal awal ki muhabbat kay nashay yaad tu kar

awal awal ki muhabbat kay nashay yaad tu kar
bay piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanaan

akhir akhir tu ye aalam hay kay ab hosh naheen
rug-e-meena sulag uthi kay rug-e-jaan jaanaan

mudatoon say yehi aalam na twaku na umeed
dil pukaray hi chalay jaata hay jaanaan jaanaan

hum bhi kia sada thay hum nay bhi samajh rakha tha
ghum-e-doraan say judaa hay ghum-e-jaanaan jaanaan

ab kay khuch aisi saji mehfil-e-yaaraan jaanaan
sar ba zanoo hay koi sar bagiraybaan jaanaan

har koi apni hi awaz say kaanp uthta hay
har koi apnay hi saye say hirassan jaanaan

jis ko dekho wohi zanjeer bapaa lagtaa hay
shehar ka shehar hua dakhil-e-zindaan jaanaan

ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aye
aur say aur hoye dard kay unwaan jaanaan

hum kay roothi hui rut ko bhi mana letay thay
hum nay dekha hi naa tha mousam-e-hijraan jaanaan

hosh aya tu sabhi khwaab thay reza reza
jaisay urtay hoye awrak-e-pareeshaan jaanaan..

No comments:

Post a Comment