Wednesday, February 28, 2007

Roshan howa hai chand jaisay noor-e-aaftab say

Roshan howa hai chand jaisay noor-e-aaftab say
Meray dil ko mili roshni kisi bakhabar kay jawab say

meray hamdam mujhay roak na,safar say iss rah kay
mujhay seekhna hay bohat kuch,abhi zindagi ki kitab say

main bhalla kiyoon hairaan hoon us husn ki ada dekh kar
kay mehaknay ka hay raaz kiya,pocha kisi nay gulab say

lauta phir thak har kay,aakhir usi kay dar pay main
bas waheen mujhay panah mili,khahishoon kay sarab say

tu khuli jab woh haqeeqatain,meri rooh yeh pukaar uthi
kathin na ho koi lamha bhi shaid aagahi kay azab say

kash ko bhi milay kabhi wohi aarzoo,woh justujoo
kay jo motyoon ko dhoond lay,kahin door tah-e-aab say

Chalo ao kaayenaat baant lete hain

Chalo ao kaayenaat baant lete hain
Sirf Tum mere baaqi Sab tumhara

Mein un galiyo me na jaaungi ke unki yaad aati hai

Mein un galiyo me na jaaungi ke unki yaad aati hai…
Mein unko bhool na paungi ke unki yaad aati hai…
Meri aankh ke aansu bayan sb dard kerte hai…

Ke ab mein dil na lagaungi ke unki yaad aati hai….
Ye pahad jaisa din ye chubti hui raate…..
Mein suraj mein jal jaungi ke unki yaad aati hai…

Mein andhero se dar jaungi mujhe unki yaad aati hai…
Mujhe bus yaad aati hai ke unki yaad aati hai

Tuesday, February 27, 2007

Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid,

Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid,
Nikal aate hain aansu jab yad ati hai dess ki eid,

Rahain woh khush-o-huram ghar mein apne,
Jin ke liye hum ko rulaati hai pardes ki eid,

Aate hain yaad jab woh phool se chehre,
Us lamhe hum ko kitna tarpati hai pardes ki eid,

Kis se galley milain kisey kahain ge apna hum,
Bas yu’n hi guzar jati hai pardes ki eid,

Kehte hain har bar bas pardes ki hai ye akhri eid,
Agley saal phir aa jaati hai pardes ki eid..

Bhool Se – Hindi Bhool Shayari 4 Lines

Bhool Se – Hindi Bhool Shayari 4 Lines

Bhool Se Agar Koi Bhool Hui,
To Bhool Samajke Use Bhool Jana,
Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko,
Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana.

ye jo diwane se do char nazar ate hain

ye jo diwane se do char nazar ate hain
in mein kuch sahib-e-asrar nazar ate hain

teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain
werna ye log to bedar nazar ate hain

dur tak koi sitara hai na koi jugnu
marg-e-ummid k asar nazar ate hain

mere daman mein shararon k siwa kuch bhi nahin
ap phulon k kharidar nazar ate hain

kal jise chu nahin sakti thi farishton ki nazar
aj wo raunaq-e-bazar nazar ate hain

hashr mein kaun gawahi meri dega 'Sagar'
sab tumhare hi tarafdar nazar ate hain

gehraa sannaaTaa hai

gehraa sannaaTaa hai

kuch makaanon se Khamosh uThtaa huaa

gaarhaa kaalaa dhuuaan

mail dil men liye

har taraf duur tak phailtaa jaataa hai

gehraa sannaaTaa hai

laash kii tarah bejaan hai raastaa

ek Tuutaa huaa Thelaa

ultaa paraa

apne pahiye havaa meN uThaaye hue

aasmaanoN ko hairat se taktaa hai

jaise ke jo bhii huaa

uskaa ab tak yaqiiN isko aayaa nahiin

gehraa sannaaTaa hai

Mery aangan my aj andhera ha bohat

Mery aangan my aj andhera ha bohat
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do

naqsh-e-faryaadi hai kis ki shoohi tahreer ka

naqsh-e-faryaadi hai kis ki shoohi tahreer ka
kaaghazai hai pairhan har paiker e tasveer ka

Monday, February 26, 2007

Koi mausam ho dil mai hai tumhaari yaad ka mausam

Koi mausam ho dil mai hai tumhaari yaad ka mausam
K badla he nahin jana tumharay baad ka mausam
Na koi gham khizaaan ka hai na khuwahish hai baharon ki
Humaray sath to har pal hai kisi ki yaad ka mausam

Eid Qurban Shayari Sms

Eid Qurban Shayari Sms

EID MUBARAK Ho Aapko,
Dher Sari Tarif Aur Khusiya Mile Aapko,
But, Jab EIDI Mile Aapko To Please….
Aap Yaad Karna Sirf Humko!!!

Usey kisi ki mohabbat ka aitbaar nahin

Usey kisi ki mohabbat ka aitbaar nahin
Usey zamaaney ne shayed bohat sataya hai

Badnaseebi Ka me Qayal To Nahi Tha Lekin

Badnaseebi Ka me Qayal To Nahi Tha Lekin,
Me Ne Barsaat me Jalte hue Ghar dekhe hain

Khuli khrki k pehlo me... bohat madham si dastak thi

Khuli khrki k pehlo me... bohat madham si dastak thi
koi aflaas ka maara mere jesa hi aya tha

Sunday, February 25, 2007

Signal per ek aurat ki car ruki tou ek fakir mangnay laga

Signal per ek aurat ki car ruki tou ek fakir mangnay laga
Aurat boli:
Tumhari shakal kuch jani pehchani lagti hy!
Fakir bola:
Madam!
we are friends on facebook :p

Yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte

Yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte,
Hum aur bul_bul-e-betaab guftagu karte...

Payaam bar na mayassar hua to Khoob hua,
Zabaan-e-Gair se kya shar ki aarzu karte...

Meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aavaaraa,
Kisi habib ko ye bhi hain justaju karte...

Jo dekhate teri zanjeer-e-zulf kaa aalam,
aseer hone ke aazaad aarazuu karte...

Na pooch aalam-e-baragashtaa taali-e-'Aatish',
Barasati aag main jo baaraan ki aarazu karte..

Saturday, February 24, 2007

Kitni Ajeeb Judai Thi Ki Tujhe Alwida Bhi Na Keh Saka

Kitni Ajeeb Judai Thi Ki Tujhe Alwida Bhi Na Keh Saka
Teri Sadgi Me Itna Fareb Tha Ki Tujhe Bewafa Bhi Na Keh Saka

Ek jurm hay mohabbat

Ek jurm hay mohabbat

Jo main ne kya hay

Ek ghalti hay mohabbat

Jo mujh se hooi hay

Ek dard hay mohabbat

Jo mujhay hooa hay

Ek ehsaas hay mohabbat

Jo main ne mehsoos kia hay

Ek jazba hay mohabbat

Jo meray andar hay

Ek bhool hay mohabbat

Jo main ne ki hay

Ek phool hay mohabbat

Jo main ne khilaya hay

Aur iss ki khushboo main

Charon taraf bakhair doon ga…!!!

Bara dushwar hota hai

Bara dushwar hota hai,
Zara sa faisla karna,
Ke jeevan kahani ko,
Yahan be_zubani ko,
Kahan se yaad rakhna hai,
Kahan se bhool jana hai,
Usey kitna batana hai,
Usey kitna chupana hai,
Kahan hans hans ke rona hai,
Kahan awaz deni hai,
Kahan khamoosh rehna hai,
Kahan rasta badalna hai,
Kahan se lout aana hai,
Bara dushwar hota hai,
Zara sa faisla karna…

shab ko wo pie sharab nikla

shab ko wo pie sharab nikla
jana ye k aftab nikla

qurban pyala-e-mai-nab
jaise k tera hijab nikla

masti main sharab ki jo dekha
alam ye tamam khwab nikla

shaikh ane ko mai-qade main aya
par ho k bahot kharab nikla

tha gairat-e-bada aks-e-gul se
jis ju-e-chaman se ab nikla

Thursday, February 22, 2007

Riwaaj to yahi hai duniya ka mil jana bichhar jana

Riwaaj to yahi hai duniya ka mil jana bichhar jana
Tum se ye kaisa rishta hai na milte ho na bicharte ho

Mein tujhy bhol bhi kesy skta hun

Mein tujhy bhol bhi kesy skta hun
Tu mery dil mein nahi roh mein samaya hai

Isay bhla koi kesy chor ker jata hai
Jisy bars’on ki riazat key bad paya hai

Meray bad wo aya tha kamrey mein aaj ‘Gul’
Ik phool nishani apney takiye per paya hai

Tuesday, February 20, 2007

Hawa k doosh pe rakha hua chiragh tha wo

Hawa k doosh pe rakha hua chiragh tha wo
jo bujh gya to hawa se shikayat kesi

Mudad k bad azan e tabam mila humen

Mudad k bad azan e tabam mila humen,
Wo bhi kuch aisa talakh k ansu nikal pare

Khwab bikhry to hum b jan gye

Khwab bikhry to hum b jan gye
Log rooty hain kis lye itna

Sheher ki be’chiraag* galiyon mein,

Sheher ki be’chiraag galiyon mein,
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi..

Dabi dabi si wo muskurahat labon pe apne saja saja k

Dabi dabi si wo muskurahat labon pe apne saja saja k
wo narm lahje main baat karna ada se nazrain jhuka k

wo aankh teri shararati si wo zulf mathay pe nachti si
nazar hatay na aik pal bhi main thak gaya hoon hata hata k

wo tera hathon ki unglion ko mila k zulfon main kho sa jana
haya ko chehre pe phir sajana phool sa chahra khila khila k

wo hath hooron k ghar hoon jaise wo paon pariyon k par hoon jaise
nahi hai teri misaal jaana main thak gaya hoon bata bata k….!!

fizaa k sard lehjay ki adain raqs karti hain

fizaa k sard lehjay ki adain raqs karti hain
gaye lamhon ki huwahesh main hwain raqs karti hain,

sitary toot tay hain jab to ghar k eik konay main.,
kisi k surkh hontun per duaen raqs karti hain.,

kai basty gharoun per ik sannata sa chaya ha,
kai khali makanoun main sadain raqs karti hain,

suna ha rak kay pichlay peher darya k hontun per,
kisi kachay gharray pe kuch wafain raqs karti hain,

tumhain maloom ha k be-khabar barsaat k agay,
kaii kachay gharoun main iltijaain raqs karti hain,

hamara aftaab aey to darya k kinary per,
fizaa main tairti chanchal shuwain raqs karti hain

Monday, February 19, 2007

Aaina dekh kr khayal Aya

Aaina dekh kr khayal Aya
Tu mujhe Be-misaal kehta tha

Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta

Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
Kabhi zameen to kabhi aasmaan nahin milta
Dekhiye jise bhi gum hai apne aap main
Zubaan mili hai magar hum-zubaan nahin milta
Bhuja saka hai bhala kaun waqt k shaule ko
Yeh aisi aag hai jisme dhuan nahin milta
Ae rab aisa nahin k tere jahaan main mohabbat nahin
Magar jahaan iski ummeed ho wahan nahin milta

Jis ki arzoo thi wo kabhi na milli

Jis ki arzoo thi wo kabhi na milli

barson jiska intizar kia wo kabhi na milla

ajeeb kheel hai ye muqaddar ka

kisi ko hum na milly aur hamen wo na milla

Kuch Yaad Aa Raha Hy K Aaghaz-e-Hijr Me

Kuch Yaad Aa Raha Hy K Aaghaz-e-Hijr Me
Chaai To Thi Udasi Mgr Yaad Ab Nahi

Hairat-Angaiz hain ye ishq k israar-o-Ramooz

Hairat-Angaiz hain ye ishq k israar-o-Ramooz
Khawahish-e-Dard b hai... dard Gawara b nahi

Sunday, February 18, 2007

Faraz? wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!

Faraz? wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!
un main koi aks meray nam ka nahin
Asahqi sy uski usy bewafa na jan!!
Aadat ki bat aur hai wo dil ka bura nahin

Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo

Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo

Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey
Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo

Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo

Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo

Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan
Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo

Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua
Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo

Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir
Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaroo

Mohabbat Karne Wale Kam Na Hon Ge

Mohabbat Karne Wale Kam Na Hon Ge!
Teri Mehfil Mein Magar Hum Na Honge

Saturday, February 17, 2007

Hum Wo Be-Dard Hain

Hum Wo Be-Dard Hain

Khwaab Ganwa Kar Bhi Jinhen Neend Aa Jaati Hai

Soch Soch Kar Bhi Jin K Zehno Ko Kuch Nahin Hota

Toot Phoot Kar Bhi Jin K Dil Dharakna Yad Rakhtey Hain

Toot Kar Roney Ki Koshish Main Jo

Baat Bae Baat Muskaratey Hian

Shaam Se Pehley Mar Janey Ki Khwahish Main Jo

Jetey Hain Jo

Aur

Jeetey Chaley Jaatey Hain!!!!!

Barsat baras rehi hai

Barsat baras rehi hai
Matti key gharondon per
Bhipre houay hain darya
Matti kay puttlon per
Aafat-dar-aafat ka ho raha hai zahoor
Chaharsu
Mitt rehi hai khalqat-e-khuda
Chaharsu

Aastana-e-ilaahi pe kiyun jhukta nahi
Sar tumhara
Kis bat ka hai fakhar tumko
Kis bot ki hai aas tumko
Koun hai mushkil kusha tumhara
Koun hai haajit rawa tumhara

Aye ghafil insaan
Jag utho kay waqt
Hai bhari
Dua se tu tul gaye thi
paishangoi Yunas nabi ki
maayus mat hona
ummat ho Aakhir-uz-Zamaan ki
raaton ko karo girya-o-zaari
tul jaye gi ye aafat bhi qahari
hogi subah-e-roshan har su sari

Muddat se mera dil hai k abaad nahe hai

Muddat se mera dil hai k abaad nahe hai
Honton pe magar aaj b faryaad nahe hai

Aata hai khayalon mei mere uska he chehra
Bas us k siwa kuch b mujhe yaad nahe hai

Phirte hain sabhi log yahan sehme huwe se
Is sheher mein jaise koi azaad nahe hai

Dekha hai ujarte huwe kitne he gharon ko
Hai kon jo is ishq mei barbad nahe hai

Ik leher c uthti hai aaj b mere dil mei
Is leher k uthne ka sabab yaad nahe hai

Guzr hum ne yun zindagi ki hai

Guzr hum ne yun zindagi ki hai,
Har qadam hum ne aashiqi ki hai..

Tum apni ranj-o-ghum apni pareshaani mujhe de do

Tum apni ranj-o-ghum apni pareshaani mujhe de do
Tumhe gam ki kasam is dil ki veerani mujhe de do

Ye mana main kisi qaabil nahi hoon, in nigahon main
Bura kya hai, ye hairaani, ye dukh, mujhe de do

Main dekhoo to sahi duniya tumhe kaise satati hai,
Koi dil ke liye apni nigehbaani mujhe de do

Wo dil jo maine maanga tha magar gairon ne paaya hai,
Badi sahi hai agar pareshaani mujhe de do

Friday, February 16, 2007

Tujhe o bewafa hum zindagi ka aasra smjhe

Tujhe o bewafa hum zindagi ka aasra smjhe
bary nadan thy hum Haye smjhy b to kya smjhy

seeney se laga kar kaha karti thi maan mujh ko

seeney se laga kar kaha karti thi maan mujh ko

tu laal hai mera na sataa mujh ko

pachtaye ga ik din jab mein chali jaaon gi

naa chahte huye bhi akela chorr jaaon gi

zamaney dikhaye ga garmi ki shidat tujh ko

yaad karke roye ga tu phir mujhko

mudaton se meri maa ne seeney se nahin lagaya

ab so gayi khaak main jab kuch kehne ka waqt aaya

Besan Ke – Urdu Yaad Shayari

Besan Ke – Urdu Yaad Shayari

Besan Ke Sondhi Roti Par
Khatti Chatani Jaisi Man
Yaad Aati Hai Chauka-basan
Chimata Phukani Jaisi Man
Bans Ke Khurri Khat Ke Upar
Har Aahat Par Kan Dhare
Aadhi Soi Aadhi Jagi
Thaki Dopahari Jaisi Man
Chidiyon Ke Chahakar Mein Gunje
Radha-mohan Ali-ali
Murge Ke Aavaz Se Khulati
Ghar Ke Kundi Jaisi Man
Bivi, Beti, Bahan, Padosan
Thodi Thodi Si Sab Mein
Din Bhar Ik Rassi Ke Upar
Chalati Natani Jaisi Man
Bant Ke Apna Chehara, Matha,
Aankhen Jane Kahan Gai
Phate Purane Ik Alabam Mein
Chanchal Ladaki Jaisi Man

Wednesday, February 14, 2007

Woh Tujhko Bhooley Hain To Tujh Pay B Laazim Hai Meer

Woh Tujhko Bhooley Hain To Tujh Pay B Laazim Hai Meer
Khaak Daal, Aaag Lagga, Naam Naa Lay, Yaad Naa Karr

Yahaan Mazdoor ko marney ki jaldi Yun bhi hai,

Yahaan Mazdoor ko marney ki jaldi Yun bhi hai,
Ke zindagi ki kashmakash main kafan mehnga na ho jaye..

Na kisi ki hasrat dil mein rakh

Na kisi ki hasrat dil mein rakh, Yahan har koi mazboor hain
Usey paake jana hain jism se, Uska dil abhi toh duur hain

Meri baton ko wo maan kar, nahi manta hain bewajah
Koi aur bhi hain darmiyaan usey rokta zaroor hain

Mere chehre se samajhta hain meri ruuh ki har baat ko
wo na dekh paaye zakhm toh, uski nazar ka kasoor hain

wo bhi dhundhta hoga sochkar, hum zuda hue tey jis jagah
kayi baar louti hain zindagi, ki yeh jane kaisa suroor hain

duniya mein rang-e-jashn hain, hur ore faili hain rounakein
ek mera dil hi udaas hain, na hain rang aur nahi noor hain


mere haal pe keh do usey, do ansoo rakh le nigahon mein
kahin yun na ho ki log sab, bolein bada magroor hain

abhi dena hain usko mujhey, yaqeen apni wafaon ka
abhi rastey mein andhera hain, abhi manzilein badi duur hain

Dil ne tanha jhaili raat

Dil ne tanha jhaili raat
Hijr ki raat, sahaili raat

Din waale kab boojh sake
Mushkil shaam pahaili raat

Ik safe ki tashreehein
Chand, chakor,chanbaili, raat

Din apne har dard ka dost
Is ki aik sahaili raat

Ik sunsaan nagar har saans
Ik weeraan hawaili raat

Is ka roop har kie dhoop
Meri sard hathaili raat

Is ki aankh se chalke shaam
Us ki zulf se khaili raat

Mohsin ke anjaam ke naam
Hijr ki naii nawaili raat……..!!

Parny lgi hai un pe zamany ki nazar

Parny lgi hai un pe zamany ki nazar
Jalny lgy hain log mere Intekhab se

Tumhary KHWAB Sajany Me Lutf Aata Hay

Tumhary ?KHWAB? Sajany Me Lutf Aata Hay,

K Apne Aap ?JALANY? Me Lutf Aata Hay,

Khuda Se Apne Liye ?MAANGTi? Hon Jab Tujh Ko,

Mujhy Ye ?HATH? Othany Me Lutf Aata Hay,

Teri ?YAAD? Me Bas Jaagty Rahein Shab Bhar,

Khud Apni ?NEEND? Churany Me Lutf Aata Hay,

Teri ?ZAAT? Se Hay Be_panah ?PIYAR? Hamein,

Tumhary ?NAAZ? Othany Me Lutf Aata Hay?!

Monday, February 12, 2007

1 Sardar museum gya

1 Sardar museum gya, Wahan us se 1 Cup toot gya?
Officer: You have broken a 5000 years old Cup.
Sardar: Thanks God
Main samjhya nawan C

Kal shab wo baadlon ki oout

Kal shab wo baadlon ki oout
Se nikal aya
Wo chand mujh se milney
Chala aya
Mai ne poocha kaise ho
Wo bola acha hon
Mai ne kaha tanha tanha se lagtey ho

Hans diya aur bola
Teri nazron ka dhoka hai
Unginnat taaron ke jhurmat may
Mera baseera hai
Phir bhala kaise mai tanha hota hon

Main muskara diya uski iss
Ada-e-saadgi-o-masomiyat pe

Magar na janey kiyun
Meri palkain bheeg si gayi thein
Shayed mai uss may
Ayina dekh betha

main uski zaat tak hi mahdood raha

main uski zaat tak hi mahdood raha
mujhe wo yaad bicherne ke baad raha

khana badoshi ki adat nahi hai mujh ko
main jis jaga bhi ruka wohain abaad raha

mere malik teri rehmat ki bohtaat bahut hai
jise ho gya yaqeen wo hamesha shaad raha

mere fun ka ura mazak to koi baat nahi
wo bhi jahan giya barbaad raha

uski mehfil main suniye jo ghazal
deta her shahks mujhe daad raha

Sunday, February 11, 2007

Yahi dil tha k tarasta tha marasim k lie

Yahi dil tha k tarasta tha marasim k lie
Aab yahi tarak e taluq k bahane mange

Raat Ki Tanhai Me Aksar... Ye Sochti Rehti Hon

Raat Ki Tanhai Me Aksar... Ye Sochti Rehti Hon
Muhabbat Dua Hy... Saza Hy... Jaza Hy... Ya Gunah Hy

tum jab aaogii to khoyaa hu?aa paaogii mujhe

tum jab aaogii to khoyaa hu?aa paaogii mujhe,,,
merii duniyaa meN KhvaaboN ke sivaa kuch bhii nahiiN,,,

mere kamre ko sajaane kii tamannaa hai tumheN,,,
mere kamre meN kitaaboN ke sivaa kuch bhii nahiiN,,,

in kitaaboN ne bahut zulm kiyaa hai mujh par,,,
in meN ek ramz hai jis ramz ka maara hu?aa zehn,,,

muzhdah-e-ishrat-e-anjaam nahiiN paa saktaa,,,
zindagii meN kabhii aaraam nahiiN paa sakta

Apni B Hasti – Two Lines Shayari

Apni B Hasti – Two Lines Shayari

Mujhe Itna Na Chaho Ke Main Tum Ko Khud Samaj Bethun
Mujhe Ehsas Rehne Do Mri Apni B Hasti Hain

Saturday, February 10, 2007

Zikar kar raha tha Aik bheegi raat ka

Zikar kar raha tha
Aik bheegi raat ka
Iss baras ke sawan ka har aik qatra
Yaad agayi shayed usay bhi
uss naazneen ki bipta

Uss raat zooron ka menh baras raha tha
Chahai thien kaali ghatain
Karakti thi bijliyan bhi
Jaise toota ho aasman kaheen pe

Tu aangan may khadi mehaw-e-nazara-e-barsat thi
Hatheliyun pe lekar pani ke qatrey
Chhomti thi unko phir walehana jhoom kar
Janey sawan betaab tha
Ya
Tera wajood
Lagta tha dono hi jal rehay hain

Phir tum muskati hoi ja pohanchi
Barasti boondon ke darmiyan
Wo bharakta sa shoula
Mai bhola nahi kabhi bhi
Khelta raha sawan
teray wajood-e-naghmageen se
sangeet baj raha tha jaisey

jab takrati thein boondain
teray reshmi badan se
bhoola nahi wo manzr
jab karki jo zor se bijli
to
aan lagi thein tum
galey se meray

yaad dila gaya sub iss baras ka sawan
phir se jala gaya wo dil may
wo bhuji agan

kabhi kabhi yad main ubharte hain naqsh-e-mazi mite mite se

kabhi kabhi yad main ubharte hain naqsh-e-mazi mite mite se
wo azmaish si dil-o-nazar ki, wo qurabaten si wo fasale se

kabhi arzu k sehara main a k rukte hain qafile se
wo sari baten lagaw ki si wo sare unwan wisal k se

nigah-o-dil ko qarar kaisa nishat-o-gam main kami kahan ki
wo jab mile hain to un se har bar ki hai ulfat naye sire se

bahut giran hai ye aish-e-tanha kahin sabukatar kahin gawara
wo dard-e-pinhan k sari duniya rafiq thi jiske waste se

tumhin kaho rind-o-muhtasib main ho aj shab kaun farq aisa
ye as k baithe hain maikade main wo uth k aye hain maikade se

Aao Kuch Dair Tazkara kar lein

Aao Kuch Dair Tazkara kar lein,
Un Dinon Ka, Jab Tum Hamarey Thay

Tark e muhabbat kar baithe hum zabt e muhabbat aur bhi hai

Tark e muhabbat kar baithe hum zabt e muhabbat aur bhi hai
Ek Qyaamat beet chuki hai, ek Qyaamat aur bhi hai

Hum ne usi ke dard se apne saaNs ka rishta jor liya
Wana shahr me zindaa rahne ki ek surat aur bhi hai

Doobta suraj dekh ke khush rahna kis ko raas aaya
Din ka dukh sah jaane walo, raat ki wahshat aur bhi hai

Sirf rutoN ke saath badalte rahne par mauQoof nahi
Us me bach_choN jaisi zid karne ki aadat aur bhi hai

Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe
Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai

Us ko gaNvakar ‘Mohsin’us ke dard ka Qarz chukaana hai
Ek aziyyat maaNd paRi hai, ek aziyyat aur bhi hai

Friday, February 9, 2007

Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya

Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya,
Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya,

Ta-umar dhoondta raha manzil main ishq ki,
Anjaam ye k gard-e-safar le ke aa gaya,

Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maiqada,
Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya,

?Faakir? sanam kade mein na aata main lot kar,
Ek zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya.

Tumhara saath mil jaye to sab dukh bhool jaaon gi

Tumhara saath mil jaye to sab dukh bhool jaaon gi
Woh kehti thi ke har soorat tumhein apna banaon gi
Nichaawar khwaab ker doon gi tumharay her ishaaray per
Kabhi peepal ki chaaon men kabhi nadya kinaray per
Tumhen thandak ata ker don gi ik barsaat ki maanand
Bikharte chaand jharnon men ujalti raat ki maanand
Mujhay tum se muhabbat he men logon ko bataon gi
Woh kehti thi k her soorat tumhein apna banaon gi
Mein chahon gi tumhein jaana umangon se ujaalon tak
Khudi k dasht se lay ker naye janmoon k saalon tak
Meri thandi si tanhaai sulagti raat jaisi ho
Mujhay bas saath lay jaao bhalay baraat jesi ho
Tumharay surkh jooray main hi dulhan ban k aaon gi
Woh kehti thi k her soorat tumhein apna banaon gi…!

AB KI IS EID KI SHAB

AB KI IS EID KI SHAB
HUM SE GUZARI NA GAI.
DIL NE PHIR YAAD KIA TUM KO
BHALAY MAZI KI TARAH...
KITNA SOCHA GYA TUM KO,
MERI YADON K TUFAIL,
PHIR SE TUM PAS, BHT PAS THY,
SANSON KI TARAH..
PHIR SE NUM HO GAYEN ANKHAIN MERI,
BHEEGA ANCHAL.
DIL ME UTRA KOI GHUM,
SUBH KI LALI KI TARAH...
YAD KAR K TUMHAIN HUM CHAIN SY SOYE HI NHI.
JAISY CHAYA HO KISI AANKH MAI SADIYUON SE KHUMAR.
PHIR SE AANKHON SE MERI CHIN GAYA SAPNO KA KARAR
DIL YAHI SOCH K DOOBA, K NA BEHLA KAI BAR.
TUM NE SHAYAD K MUJHAY YAAD KIA B K NAHI?
AN GINAT KHUSHGAWAR LAMHON ME,
TUM NE IK LAMHA MERE NAAM KIA B, K NAHI?
AISI CHAHAT K JAZEERAY MEIN MAGAN THAY K TUMHEIN,
SIRF IK PAL KO MERI SOCH KI MOHLAT NA MILI?
IN JAZAAIR K SABHI PHOOL IKATHAY KAR LO.
IN MEIN KHO KAR KABHI TUM KO
MAIN B YAAD AA JAON,
MERI KHUSHBOO TUMHAIN WO PHOOL BHULA DE, SHAYAD,
MERI AANKHON KI THAKAN TUM KO RULA DE, SHAYAD,
MERI TAKLEEF MAI GUZRI,
AB KI IS EID KI SHAB.
KASH,
TUM KO KABHI YE PYAR SIKHA DE, SHAYAD,
KASH,
TUM KO MERI YE YAAD DILA DY,
SHAYAD

Mujh ko dhoond laita hai.. nit naye bahanay say

Mujh ko dhoond laita hai.. nit naye bahanay say
Dard ho gya waqif meray har thikanay say

Chall diya maseeha bhi dard sounp kar apnay
Baz woh nahi ata mujhko aazmanay say

Kuch kahain to ruswai, chup rahain to soudai..
Dill nahi nikal pata aisay taanay baanay say

Ab nazar nahi uth’ti us ki bazm main hum par
Hum qadr kho baithay roz anay jaanay say

Aik ghumgusaar diya saath kab talak daita
Ho gai hai khamooshi us k do0b janay say

Aik do ki baat nahi un ginat samaitay hain
Kab yeh dil sambhaltaa hai aik ghum bhulanay say

Sir jhukaye mazi main khud ko khojta hai koi
Aur kya millay ga tumhain is ghareeb khanay say

Bolo kya maza paya tum nay zindagi say?
Ajnabi rahay khud say, ajnabi zamany say…

Jahan jahan barsaat uterti daikhi hai

Jahan jahan barsaat uterti daikhi hai,
Her sou teri yaad bikherti daikhi hai,

Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha,
Aur phir iss dil se dunya darti dekhi hai,

Dil ke gehray sannatay main raaton ko,
Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai,

Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi,
Hum ne apni aankhon marti dekhi hai

Thursday, February 8, 2007

Kabhi mousam rulatey hain

Kabhi mousam rulatey hain
Kabhi humdum jalatey hain

Gilay shikway nahi kartey
Na janey kiyun rulatey hain

Khilay jo gul chaman bhar may
Humain sapney dikhatey hain

Sharab-e-ghum pilatey they
Wohi saqi bulatey hain

Jinhey samjha nijat-e-gham
Wohi hum ko satatey hain

Humain unse shikayet hai
Nahi jo ghar basatey hain

Mila jo bhi khazeena hai
Wohi tum per lutatey hain

Udaas udaas na ho yon, gham-e-nihaan ko na dekh

Udaas udaas na ho yon, gham-e-nihaan ko na dekh
karam ko dekh, sitam haay daastan ko na dekh

Ye bekali, ye azyat, ye gham ye mehroomi
nigah kar dil e betaab par, jahan ko na dekh

Faraib kha, meray bujhtay howay tabassum ka
nigah e lutf say meray dil e tapaan ko na dekh

Bujhay charagh ki kam maaigi pe ashk bahaa
palat palat kay sitaron kay karwan ko na dekh

Elaaj jor o jafa tark e rasm o rah nahi
jo ho sakay to nibha, kho e dostan ko na dekh

Tera maqaam sitaron say hay paray SHEZAAD
bujhay bujhay say iradon say aasman ko na dekh

Eid 2nd day sms

Guzar Gayi Ye Eid Bhi
Gham-e-Zindagi Ki Tarha
Hota Jo Koi Apna To Ham Bhi
Khushyaan Manatey
Alwida Ae Sham e Eid

Kabhi Ye Dawaah Ke Wo Mera Hai Faqat Mera

Kabhi Ye Dawaah Ke Wo Mera Hai Faqat Mera,
Kabhi Ye Dar Ke Wo Mujy Se Judaa To Nahi,
Kabhi Ye Dua Ke Use Mil Jain Sare Jahan Ki Khushiyan
Kabhi Ye Khauf Ke Wok Hush Mera Mina To Nahi
Kabhi Ye Tamanna Ke Bas Jaon Us Ki Nigahon Mein
Kabhi Ye Dharka Ke Uski Aankhon Ko Kisi Ne Dekha To Nahi
Kabhi Ye Khwahish Ke Zamana Ho Muntazir Us Ka
Kabhi Ye Beham Ke Wo Kisi Se Mila To Nahi
Kabhi Ye Aarzu K Wo Jo Mange Mil Jaye Use
Kabhi Ye Waswasa Ka Usne Mera Siwa Kuch Manga To Nahi

Wednesday, February 7, 2007

Husn Begaana Hy... Ehsaas-E-Jamal Acha Hy

Husn Begaana Hy... Ehsaas-E-Jamal Acha Hy
Ghunchy Khilty Hain To Bik Jaty Hain Bazaron Me

Kr K Tarq-e-Wafa Mujh Se Us Ne

Kr K Tarq-e-Wafa Mujh Se Us Ne
Aazmane Ki Ibteda Kr Di...

SHIKWAY ~ Dur Reh Kr Qareeb

~ SHIKWAY ~

Dur Reh Kr Qareeb
kitny Hyn

Faasly Bhi Ajeeb
Kitny Hyn

Dard-e-Dil Ki Dawa
Nhi Werna

Is Jahan Main Tabeeb
Kitny Hyn

Umar bhar Saath Jo
Rahe Tere

Us k Achy Naseeb
Kitny Hyn

Kyun Na Aaya Main
Tere Sapno?n Main ?

Mere Shikway Bhi
Ajeeb Kitny Hyn

Tuesday, February 6, 2007

Meri qismat me nahi tum to phir ALLAH karey,

Meri qismat me nahi tum to phir ALLAH karey,
Gair ho jaye shareek e ghum e hijran mera..

Jhotay Ilzaam Meri Jan Lagaya Na Karo

Jhotay Ilzaam Meri Jan Lagaya Na Karo
Dil Hai Nzuk Issay Tum Dukhaya Na Karo
Meri Ankho Main Jo Achay Nai Lagtay Ansoo
Tu Tum Yoon Mughay Jalaya Na Karo

Hum kabhi na kabhi mar jaain gay

Hum kabhi na kabhi mar jaain gay
Jab tum mur kar dekho gay
Tab hum nazar nahee aa'ain gay
Khushiaan dhoondhatey dhoondhatey
Dukh kitney uthaain gay
Raah main aaney walee sab
Mushkilon say takraain gay
Phir bhee hum ko nahee yaqeen
Tujh ko bhool jaain gay
FAISAL es qisay ko hum
Kab tilak dohraain gay
Tu nay hum ko jaanaa nahee
Piyaar humaaraa maanaa nahee
Shayed tu hum ko samajh sakey
Dil ko yeh samjhaain gay
Hum kabhi naa kabhi mar jaain gay

Monday, February 5, 2007

Rishwat Bhi Nahi Leta Kambakht

Rishwat Bhi Nahi Leta Kambakht
Mujhe Lagta Hai Musalman Hai Ishq

Chalye Sambhal Sambhal K Kathin Raah-e-Ishq Hai

Chalye Sambhal Sambhal K Kathin Raah-e-Ishq Hai
Naazuk Bari Hy Aap Ki Payal Sambhaaliye

apnay phaar ghairoon k gulzaar ho gaya

apnay phaar ghairoon k gulzaar ho gaya
ya bhi hamari raah kay dewaar ho gayay

phal pak chuka hai shaah par garmi ki dhoop main
hum apnay dil ki aag main tayar ho gayay

hum pahalay narm ptoon ki aaik shaah thay mgr
kaatay gaya hain itnay k talwaar ho gayay

bazaar main bki hui cheezon ki maang hai
hum is lia hd apnay hareedar ho gayay

taaza lahoo bhara tha sunahray gulaab main
inkaar karnay waalay gunaahgaar ho gayay

wo sarkashoon kay paoon ki zanjeer thay kabhi
ab buzdiloon kay haathon main talwaar ho gayay

Sunday, February 4, 2007

Aaj teri baaton se Q bewafai jhalakti hy "Shahid"

Aaj teri baaton se Q bewafai jhalakti hy "Shahid"
Dunia to bewafa thi hi... Teri Wafa Kidhar gai

kuchh na kisii se bolainge

kuchh na kisii se bolainge
tanhaaii main ro lainge

ham berahabaron kaa kyaa
saath kisii ke ho lainge

Khud to hue rusavaa lekin
tere bhed na kholainge

jiivan zahar bharaa saaGar
kab tak amrit gholainge

niind to kyaa aayegii 'Faraz'
maut aaii to so lainge

Ham jugno the ham titli the

Ham jugno the ham titli the
Ham rang barange panchi the

Kuch maho-sal ki jannat men
MAA hm dono bhi sanjhi the

Men chota sa ik bacha tha
Teri ungli tham ke chalta tha

To door nazar se hoti thi
Men anso anso rota tha

Ik khowabon ka roshan basta
To roz mjhe pehnati thi

Jab darta tha men raton ko
To apne sath solati thi

MAA to ne kitne barson tak
is phool ko seencha hathon se

Jeevan ke gehre bhaidon ko
Men samjha teri baton se

Men tere hath ke takiye par
Ab bhi rat ko sota hon.

Maa men chota sa ik bacha
teri yaad men ab bhi rota hon

Charag Apne Thakan Ke Koi Safai Na De

Charag Apne Thakan Ke Koi Safai Na De
Wo Tiragi Hai Ke Ab Khwab Tak Dhikhai Na De

Bahut Satate Hain Rishte Jo Tut Jate Hain
Khuda Kisi Ko Bhi Taufiq-e-ashanai Na De

Main Sari Umr Andheron Mein Kat Sakata Hun
Mere Diyon Ko Magar Raushani Parai Na De

Agar Yahi Teri Duniya Ka Hal Hai Malik
To Meri Qaid Bhali Hai Mujhe Rihai Na De

Dua Ye Mangi Hai Sahame Hue Mu’arrik Ne
Ke Ab Qalam Ho Khuda Surkh Raushnai Na De

abhi Jo Ehsaas Ho Tumko

abhi Jo Ehsaas Ho Tumko ,
Kay Tum Acha Nahi Kartay ,
Jo Mujh Ko Yun Rulatay Ho ,
Lahu Mera Jalatay Ho ,
Agar Is Aag Main Jal Kar ,
Main Ek Din Raakh Ho Jaon,
Mujhay Dil Say Bhula Dena ,
Samandar Main Baha Dena ,
Magar Ye Yaad Rakhna Tum ,
Khuda Say Yeh Dua Karna ,
Kay Jo Acha Lagay Tumko
Wo Tum Jaisa Kabhi Na Ho

Jab tak ham masroof rahe yeh dunya thi sunsaan,

Jab tak ham masroof rahe yeh dunya thi sunsaan,
Din dhalte hi dheyaan mein aye kese kese log ..

Is Eid ke Mubarak maukey par

Is Eid ke Mubarak maukey par,
Poori ho aapki sabhi duayen,
Dil sey yeh dua hai gam na aapko kabhi sataaye,
Allah bless u on this Eid!

Saturday, February 3, 2007

Mita Dain Gay – Zindagi Shayari

Mita Dain Gay – Zindagi Shayari

Mita Dain Gay Yeh Duri, Yeh Faslay Sabhi
Kaho Gi Ik Baar Kay Milo Aa Kay Kabhi
Na Hon Gay Durr Phir Tum Say Is Zindagi Main
Khula Rakho Tum Dar Apna, Hum Atay Hain Abhi!

Tum takalaf ko bhi ikhlas samjate ho faraz

Tum takalaf ko bhi ikhlas samjate ho faraz
Dost hota nahin har hath milane wala

Friday, February 2, 2007

ar gashtagi main alam-e-hasti se yas hai

ar gashtagi main alam-e-hasti se yas hai
taskin ko de nawed k marne ki as hai

leta nahin mere dil-e-awara ki khabar
ab tak wo janta hai k mere hi pas hai

kije bayan surur-e-tap-e-gam kahan talak
har mu mere badan pe zaban-e-sipas hai

hai wo gurur-e-husn se begana-e-wafa
har-chand us k pas dil-e-haq-shanas hai

pi jis qadar mile shab-e-mahtab main sharab
is balgami mizaj ko garmi hi ras hai

har yak makan ko hai makin se sharaf "Asad"
majnun jo mar gaya hai to jangal udas hai

Mana k ab aqal ne kuch pukhtagi to di

Mana k ab aqal ne kuch pukhtagi to di
Par wo maza kahan jo nadanion mein tha

Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha

Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha
Jis Tarhan Hum Nay Chaha Us Tarhan Hona Hi Tha

Raiza Raiza Ho Kar Beekhra Fizzaon Main Baddan
Chaandni Ki Chaah Main Yeh Haadsa Hona Hi Tha

Hadoon Say Ghuzar Kar Hum Nay Pooja Tha Jinhain
Un Haseen Logon Nay Aakhir Dewata Hona Hi Tha

Ummar Bhar Dil Shaad Rehta Tark-E-Ulfat Pay Mera
Ek Baar Tu Woh Poochta Agar Bewafa Hona Hi Tha

Hain Mundaamil Ab Chahatoon K Woh Zakham
Jal K Dil Ki Raakh Nay Aakhir Dawa Hona Hi Tha

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari

Humay Chahiya Bus Ta?aluq Tumhara
Muhabbat Milay Yah Adawat Tumhari

Kisi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina
Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa
Bari Munfarid hay Tabiyat Tumhari

Humhay Zindagi Kay Kaen Rastoon Par
Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari

Kash hum ek SMS hoty

Kash hum ek SMS hoty
bas aik click mey aap ky paas hoty
mana k aap hamy delete kar detay
laikin kuch dair k liye tou hum aap ky paas hoty
or bari khushi say kehtay EID MUBARAK

AnDAaZ-e-JuNoON hUm kO B mALoOM HaI LekiN

AnDAaZ-e-JuNoON hUm kO B mALoOM HaI LekiN
HuM TeRi TRhA IsHq Ko rUswA NaHi kRty

Thursday, February 1, 2007

Mujhko ruswa sarr e mehfil to na kerwaya kery

Mujhko ruswa sarr e mehfil to na kerwaya kery
kaash aansu meri aankh mai hi reh jaya kery

Ae hawa mane to bs uska pta pucha tha
Ab kahani to na hr baat ki bn jaya kery

Bus boht dekh liye khawab suhaany din k
Ab wo baton ki rafaqat se na behlaya kery

Ik Museebat to nahi tooti hai so is dil par
Jis qayamat ne guzrna hai guzar jaya kery

Jis k khawabon ko mai aankhon mai saja ker rakhun
Uski khushbu kbhi mujhko bhi to mehkaya kery

Meri Aankhon Pe Marta Tha

Meri Aankhon Pe Marta Tha
Meri Baton P Hansta Tha

Na Jane Shakhs Tha Kaisa????
Mujhe Khone Se Darta Tha

Mujhe Jab Bhi Woh Milta Tha
yahi Har Bar Kehta Tha

Suno!!!!!!

Agar Me Bhol Jaon To
Agar Me Roth Jaon To

Kabhi Wapis Na Ao To
Bhula Pao Gaye Yeh Sab Kuch?????

Unhi Hasty Raho Gaye Kiya?????
Unhi Sajty Raho Gaye Kiya?????

Yahi Batain Hain Bas Uski
Yahi Yadein Hain Bas Uski

Mujhe Bas Hai Pata Itna
Mujhe Woh piyar Karta Tha
Mujhe Woh Piyar Karta Tha

Kis Se Kahon K EK Sarapa Wafa Mujhe

Kis Se Kahon K EK Sarapa Wafa Mujhe
Tanhaiyon Me Choor K... Tanha Chala GYa

Apni dunia aap paida ker agar zindon mein hai

Apni dunia aap paida ker agar zindon mein hai
Sir-e-adam hai zameer kun fikan hai zindagi

Tou Chand – Tum Bin Shayari

Tou Chand – Tum Bin Shayari

Jo Hum Mehsoos Kerte Hain
Agar Tum Tak Pohanch Jaye
Tou Bas Itna Samajh Lena
Ye Un Jazbo’n Ki Khusbuu Hay
Jinhai’n Hum Keh Nahi Sakte
Magar Tum Jo Ijazat Do
Tou Chand Lafzo’n Main Keh Doon
K Tum Bin Jee Nahi Sakte …
K Tum Bin Jee Nahi Sakte …