Thursday, November 30, 2006

Gumnami Ka Andhera – 2 Lines Shayari

Gumnami Ka Andhera – 2 Lines Shayari

Gumnami Ka Andhera Kuch Is Tarah Cha Gaya Hai,
Ki Dastaan Ban Ke Jeena Bhi Hame Raas Aa Gaya Hai..

Janaza rok ker mera wo is andaz sey bolay.

Janaza rok ker mera wo is andaz sey bolay..
Gali hum ney kahi thi tum to duniya chorey jatey ho

Wednesday, November 29, 2006

hijr k mosmo’n ki ab kahani hum na likhaiN gay

hijr k mosmo’n ki ab kahani hum na likhaiN gay
koi bhi baat pehli se pura?ni hum na likhaiN gay

wo har ik lafz ke jis per koi sawal uth?taa ho
safh-e-qurtas per hargiz zabani hum na likhaiN gay

thi?thartey sard mousam to sadaa dil hi dukha?eiN gay
tujhay ay shaam-e-gham ab k suhani hum na likhaiN gay

ye moasam beet jana ab k chupke se dabay paa?oN
rehi hooN maiN kabhi teri dewani hum na likhaiN gay

tu muj pe mehrbaa?N rehna kabhi naraz na hoNa
aiy meri zindagi tujh ko be-gani hum na likhaiN gay

wo bus ik shaam jo apni tumharay saath guzri thi
hamaiN chupke se thi ik din chura?ni hum na likhaiN gay

thakaN hum ne samaiti hai bohat rah e mohabat main
pari dil ki KARrI keemat chu?kaaNi hum na likhaiN gay

Sunday, November 26, 2006

bol k lab azad hain tere

bol k lab azad hain tere
bol zaban ab tak teri hai

tera sutawan jism hai tera
bol k jan ab tak teri hai

dekh k ahangar k dukan main
tund hain shole surkh hai ahan

khulne lage quflon k dhane
phaila har ek zanjir ka daman

bol ye thora waqt bahot hai
jism-o-zaban k maut se pahle

bol k sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kahna hai kah le

Dil Munafiq Tha, Shab-e-Hijar Mein Soya Kese..?

Dil Munafiq Tha, Shab-e-Hijar Mein Soya Kese..?
Aur Jab Tujh Se Mila, Toot Ke Rooya Kese….?

woh jin ko hum teri qurbat mein bhool bethy thay

woh jin ko hum teri qurbat mein bhool bethy thay
woh loog teri judae k baad yaad aaye
hum itnay b geye guzray nahi thy jaan e faraaz…
k tujh ko sari khudaee k baad yaad aaye….

Ye aalam shaoq ka dekha na jaye

Ye aalam shaoq ka dekha na jaye
woh butt hay ya khuda dekha na jayay

Ye kin nazroon say too nay aaj dekha
keh tera dekhna dekha na jayay

Hamesha kay liyay mujh say bichhard ja
ye manzar barha dekha na jayay

Ghalat hay josh, par aazma kar
tujhay aey be wafa dekha na jayay

Ye mehroomi nahi paas e wafa hay
koi teray siwa dekha na jayay

Yehi to aashna bantay hen aakhir
koi na aashna dekha na jayay

Ye meray sath kesi roshni hay
keh mujh say rasta dekha na jayay

Faraz apnay siwa kaon hay tera
tujhay mujh say juda dekha na jayay

Kal sham wo shajr bhaut tanha sa tha

Kal sham wo shajr bhaut tanha sa tha
Uspe likha mera naam bhaut tanha sa tha

Kal chandni ko udaas zameen pe utartey dekha
Ashk gira kr wo boli chaand bhaut tanha sa tha

Aik shakhs jisey kamal tha tanhai mittane may
Aaj shehar-e-khamooshan may wo khud bhaut tanha sa tha

Mujhey rook kar rah may ghulaab thamaa dya jisney
Phoolon se gurezaan wo bhaut tanha sa tha

Wo maangtey thay anjumanain mujh se Qais
Kia deta main tu apni zaat may bhaut tanha sa tha

Saturday, November 25, 2006

Ek Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai

Ek Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai,
Jane Zalim Ne Kis Baat Ka Bura Mana Hai,
Mein Jo Ziddi Hoon Tu Wo Bhi Hai Ana Ka Qaidi,
Mere Kehne Per Kahan Us Ne Chale Aa Na Hai..

Khud ko humaray naam say badnaam bhi kero

Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi kero
Khud ko humaray naam say badnaam bhi kero

Ye kaya k in ruton mein bhi qaid_e_ana ki zid
Barpa bahaar mein koi kohraam bhi kero

Aashiq ho ger to sabar k zindaan ko torr do
Ahl_e_jahan ki saazishen naKaam bhi kero

Tark_e_tal’luq ka maatam bohat hua
Tum thak gaye ho aao kuch aaram bhi kero

Kuch khwaab bhi thy Afsurda sy,

Kuch khwaab bhi thy Afsurda sy,
Kuch tum bhi hum sy Rooth gaye,

Kuch Khud hi Zakhm k aadi thy,
Kuch Sheeshay hath sy chhoot gaye,

Kuch khud bhi thy Hassaas buhat,
Kuch apny Muqadr Rooth gaye,

Kuch tum ko Sach sy Nafrat thi,
Kuch hum sy na Boly Jhoot gaye,

Kuch Logo ny Uksaya tumhen,
Kuch apny Muqadr Phoot gaye,

Kuch khud itni Mohtaat na thy,
Kuch Log bhi hum ko loot gaye,

Kuch Talkh Haqayaat thi etni,
K Khwab hi Saray toot gaye?

Tumhein soch-soch kar, tan mein jagi aungdayee

Tumhein soch-soch kar, tan mein jagi aungdayee
Kaisi-kaisi aithan jagi, aag lagaye bahki purwayee;
Kitna najuk pal hai yeh, jab tum hi tum dikhti ho
Chahat ke changul mein fans, pighle yeh garmayee.

Najar-najar ka khel hai yeh, najron nein aag lagayee
Ras-Ras boondein tapak rahi, hothon ki hai badhayee;
Gaal-gulala- kamal se chikne, chchuwan se ho fislayee
Chehra chaand sa lagne lage, roshani faila jab muskayee

Sach boloon to jab tum aati ho, mujhe achcha lagta hai
Khul khayal khilne lagte hain, armanon ki rang-rangayee;
Aas-pass sab jaanch-jaanch, tum aanch-aanch aungnayee
Bandhan mein chandan sa lagta, jaise jism-jism amrayee.

Talkh Itni Thi K Peeny Se Zabaan Jalti Thi

Talkh Itni Thi K Peeny Se Zabaan Jalti Thi
"ZINDAGI" Ankh K Pani Me Milaa Li Main Ne

Friday, November 24, 2006

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga?nwa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi…
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta

Ek bewafa ko Na Aya Meri Wafa ka Yaakeen

Ek bewafa ko Na Aya Meri Wafa ka Yaakeen
Main Ne kaha Mar Jaon Ga...Us ne kaha...Ameen...

Thursday, November 23, 2006

Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam ke

Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam ke
ham rahe.n yu.n tashna-alab paigam ke

Khat likhe.nge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke

ishq ne ?Ghalib? nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhi aadmi the kaam ke

Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
Ke dhoop chayon ka alam raha,judaai na thi

Na apna ranj na auron ka dukh,na tera malal
Shab`e firaq kabhi hum nay yun ganwayi na thi

Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha
Shikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi

Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin
Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi

Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi

Kisay pukaar raha tha wo doobta howa din ?
Sadaa tiu aayi laikin koi duhaayi na thi

Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat
Kabhi yeh marhala jaisay keh ashnayi na thi

Ajeeb hoti hay rah`e sukhan bhi dekh naseer
Wahan bhi aa gaye akhir jahan rasayi na thi

Ye Zakhm – Faiz Ahmed Faiza Shayari

Ye Zakhm – Faiz Ahmed Faiza Shayari

Meri Teri Nigah Mein Jo Lakh Intazar Hain
Jo Mere Tere Tan Badan Mein Lakh Dil Figar Hain
Jo Meri Teri Ungaliyon Ke Behisi Se Sab Qalam Nazar Hain
Jo Mere Tere Shahar Ke Har Ik Gali Mein
Mere Tere Naqsh-e-pa Ke Be-nishan Mazar Hain
Jo Meri Teri Raat Ke Sitare Zakhm Zakhm Hain
Jo Meri Teri Subah Ke Gulab Chak Chak Hain
Ye Zakhm Sare Be-dava Ye Chak Sare Be-rafu
Kisi Pe Rakh Chand Ke Kisi Pe Os Ka Lahu
Ye Hain Bhi Ya Nahi Bata
Ye Hai Ki Mahaz Jal Hai
Mere Tumhare Ankabut-e-vaham Ka Buna Hua
Jo Hai To Is Ka Kya Karen
Nahi Hai To Bhi Kya Karen
Bata, Bata, Bata, Bata

Wednesday, November 22, 2006

Mujh Ko Din Bhar to Liye Phirti Hai Wehshat Meri

Mujh Ko Din Bhar to Liye Phirti Hai Wehshat Meri,
Phir Me Soorat Ki Tarha Shaam Ko Dhal Jata Hun.

Jo juldi mile woh hai hum,

Jo juldi mile woh hai hum,
jo dair se mile woh hai paisa,
jo kisi kisi ko mile woh hai pyar,
jo kismat se mile woh hain AAP.

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra
Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra
Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath
SadaTairi Talaash,Zamanay, Hawa, Maira Chehra
Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra
Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra
Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra
Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra
Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra
Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi “Mohsin”
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra

mein bawafa tha is liye dhoka kha gaya

mein bawafa tha is liye dhoka kha gaya?
shayad use talaash kisi bewafa ki thi?

na ganvao navak-e-nim-kash, dil-e-reza reza ganva diya

na ganvao navak-e-nim-kash, dil-e-reza reza ganva diya
jo bache hain sang samet lo, tan-e-dag dag luta diya

mere charagar ko naved ho, saf-e-dushmanan ko khabar karo
wo jo qarz rakhte the jan par, wo hisab aj chuka diya

karo kaj jabin pe sar-e-kafan, mere qatilon ko guman na ho
ki gurur-e-ishq ka bankpan, pas-e-marg hamne bhula diya

udhar ek harf ki kushtani, yahan lakh uzr tha guftani
jo kaha to sun k ura diya, jo likha to parh k mita diya

jo ruke to koh-e-garan the ham, jo chale to jan se guzar gaye
rah-e-yar hamne qadam qadam, tujhe yadagar bana diya

Kya Kasur – Taqdir Shayari in Urdu

Kya Kasur – Taqdir Shayari in Urdu

Maut Ka Kya Kasur Gar Zindagi Bewafa Nikle
Kuch Pal Ruk Kr Fir Chal Nikle
Unse Kya Kahe Wo To Sache Hai
Jab Meri Taqdir Hi Mujse Khafa Nikle

Muje bholay kabhi yad kar ke raoye bhi

Muje bholay kabhi yad kar ke raoye bhi
wo apny ap ko bikhery or peroy bhi

Shumar ho na saky hum chamakny walon mai
badan bhi miltey rahe.rooz kaprdy dohey bhi

Bohat gubar bhara tha dilon mai dono
magar wo ek hi bistar pay raat soye bhi

Bohat dino sy nahaey nahi hay angan mai
kabhi tu rahe ki barish hamey bigoey bhi

ye tum sy kis ny kaha raat sy mai darta ho
zaroor aye mery bazoon mai soye bhi

yaqeen janye ehsas tak na ho ga hamey
nason mai soinyan koi agar choboye bhi

Tuesday, November 21, 2006

Pyar ka geet sunaye to kuch baat bane,

Pyar ka geet sunaye to kuch baat bane,
Aane wala aaye to kuch baat bane,

Aksar rote rote meri raat katey,
Woh aakar behlaye to kuch baat bane,

Dil kya toota pyar ki kaliyan rooth gayin,
Koi kali muskaaye to kuch baat bane,

Kab tak us ko dhoondon kali raton mein,
Jugnu hath mein aaye to kuch baat bane,

Dil mein jo behta hai daryaa yadon ka,
Aankhon se beh jaye to kuch baat bane,

Us ki chahat us ke us ke pyar mein aaj Hira,
Deewani kehlaaye to kuch baat bane…

Ye Kesa Dard Hy Hmein Pal Pal Tarpaey Rakhta Hy

Na Tuje Chor Saktay hain Tere ho bhi nhi saktay,
Ye Kesi Bebasi hy Ham ro bhi nhi saktay,

Ye Kesa Dard Hy Hmein Pal Pal Tarpaey Rakhta Hy,
Teri Yaad Aati Hy To Phr So Bhi Nhi Saktay,

Chupa Saktay Hain Na Dikha Saktay Hen Logon Ko,
Kuch Aesay Daagh Hain Dil Per Ham Dho Bhi Nhi Saktay.

Kaha To Tha Chor Deingay Ye Nagar Phr Ruk Gaey Lakin,
Tumhein Paa To Nhi Saktay Lakin Kho Bhi Nhi Saktay.

Hmara Aik Hona Bhi Nhi Mumkin Raha Ab To,
Jein Kesay Keh Tum Se Door Reh Bhi Nhi Saktay

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga?!!!

Monday, November 20, 2006

age bare na qissa-e-ishq-e-butan se ham

age bare na qissa-e-ishq-e-butan se ham
sab kuch kaha magar na khule razdan se ham

ab bhagte hain saya-e-ishq-e-butan se ham
kuch dil se hain dare hue kuch asman se ham

hanste hain us k giriya-e-beikhtiyar par
bhule hain bat kah k koi razadan se ham

ab shauq se bigar k baten kiya karo
kuch pa gaye hain ap ki tarz-e-bayan se ham

jannat mein tu nahin agar ye zakhm-e-teg-e-ishq
badlenge tujhko zindagi-e-jawidan se ham

Zindagi Bhar – Sad Shayari in Urdu

Zindagi Bhar – Sad Shayari in Urdu

Yoon Badi Der Se Paimaana Liye Baitha Hoon
Koi Dekhe Vo Ye Samajhe Piye Baitha Hoon
Zindagi Bhar Ke Liye Rooth Ke Jaane Waale
Main Abhi Tak Tasveer Liye Baitha Hoon

Faasla donoN mein yun tu kam se kam ho jaaye ga

Faasla donoN mein yun tu kam se kam ho jaaye ga
Aaag, paani ka guzaara kia ba'ham ho jaaye ga!

Jab meri koshish se koi farq hi parta nahi
Jo bhi hona hai, mujhay kion ker ho ghum, ho jaaye ga

Aik jaanib raah-e-haq hai, aur tanha hai safar
Doosri janib Zamana hum qadam ho jaaye ga!

AasmaaN se ik mashihaa aaye ga imdaad ko
Had se barh kar jab ghareeboN pe sitam ho jaaye ga

Ashk barsaao, ghatta barsay na barsay, kia khabar
Dosto aaN'gan nahi, daaman tu num ho jaaye ga!

Jab nazar aata hai na-mumkin unhein koi bhi kaam
Kha ke kehtay hain Mere sar ki qasam, ho jaaye ga!

Main tu daanis'taa bhatak'taa hi raha yeh soch kar
Manzil'ein pa'a kar safar ka Shauq kam ho jaaye ga

Go, karam meray tu aye iss qaabil nahein
Hai yaqeeN, mujh pe meray Rab ka karam ho jaaye ga!

sab log thay manzil ko rawan dawan

sab log thay manzil ko rawan dawan
aur main tha keh kinaray ko na chu saka
mare chashm nam hoen bi gar
mujhay khumar-e-qalb na puhncha saka
mare khwahishon ke amartain,
veraan bastion main sutoon milay
mare aik aik jo dewaar the,
usay phir say tameer na kar saka
meray chaman main jo khizaan aye,
usay moj-e-bahar na dila saka
meray dast badast main jo dhul the
usay aik he aah nay ura dia
mare ainay mein jo tasveer the
usay rooh-e-imaan na dila saka
mare nao thi keh mojon mein rawan dawan
aur main tha keh kinaray ko na chu saka

Larka Larki Men Horahi Thi Kissing

Larka Larki Men Horahi Thi Kissing..
.
.
Larka Larki Men Horahi Thi Kissing..
.
.
Abhi Aap Chotey Ho Is Liye..
“Some Text Missing”..:P

Sunday, November 19, 2006

Meri Ammi Ko Bula Dey Koi

Meri Ammi Ko Bula Dey Koi
Warna Mujhey Hi Sula Dey Koi
Mujh Ko To Bister Ki Aadat Hi Nahi
Apni Ghodi Main Jhula Dey Koi
Shayid Key Wo Aa Jayen Rona Sun Kar
Mujhey Bey Wajha Hi Rula Dey Koi
Mujhey Khowahish Hi Nahi Key Miley Dunya
Mujhey Bus Meri Ammi Sey Mila Dey Koi

Ishq Mujhko Nahin, Vehshat Hi Sahi

Ishq Mujhko Nahin, Vehshat Hi Sahi
Meri Vehshat Teri Shohrat Hi Sahi
Katta Keeje Na Taalluk Hamse
Kutch Nahin Hai To Adavat Hi Sahi

Mere Hone Mein Hai Kya Rusvayee
Ae Veh Majlis Nahin Khallat Hi Sahi
Hum Bhi Dushman To Nahin Hain Apne
Gair Ko Tujhse Mohabbat Hi Sahi

Apni Hasti He Se Ho Jo Kutch Ho
Aagahi Gar Nahin Gaflat Hi Sahi
Umr Harchand Ki Hai Barke-Kharam
Dil Ke Khoon Ki Fursat Hi Sahi

Hum Koyee Tarqe-Vafa Karte Hain
Na Sahi Ishq Museebat Hi Sahi
Kutch To De Ae Falke-Na-Insaaf
Aaho Fariyad Ki Rukhsat Hi Sahi

Hum Bhi Tasleem Ki Khoo Dalenge
Benayazi Teri Aadat Hi Sahi
Yaar Se Chedh Chali Jaye 'Asad'
Gar Nahin Vasl To Hasrat Hi Sahi

Tum Fojiyon Se Mohabbat Kyun Karti Ho,

Tum Fojiyon Se Mohabbat Kyun Karti Ho,

Hum Fojiyon Se Mohabbat Na Kiya Karo, Maan,
Hamare Janazey Hamesha Jawaan Uthte Hain,

Aur Meri Maan,
Yeh Sun Kar Ro Diya Karti Thi,

Kahin Jo Tumhen Meri Maan Miley,
Tou Usey Kehna,
Woh Fojiyon Se Mohabbat
Na Kiya Kare,

Darwazey Ki Chokhat Per Beth Kar,
Mera Intizar
Na Kiya Kare,

Tum Meri Maan se Kehna,
Woh Roya Na Kare…

Saturday, November 18, 2006

Mohtaaj humsafar ki, musafat na thi meri

Mohtaaj humsafar ki, musafat na thi meri
Sab sath thy magar, kisi se rafaqat na thi meri

Haq kis se maaangta k makeeno’n k sath sath
Deewar-o-baam-o-dar ko zarurat na thi meri

Such bol k bhi dekh liya un k saamney
Lekin unhein pasand sadaqat na thi meri

Mein jin pe marr mita tha wo kaghaz k phool thy
Rasmi mukaalmay thy, muhabbat na thi meri

Jo dusro’n k dukh thy wohi mery dukh bhi thy
Kuch aisay mukhtalif bhi hikayat na thi meri

Bus kuch asool thy jo bahar-haal they aziz
Janam! Kisi se warna adawat na thi meri

Sari dunya ke riwajon se adawat ki thi

Sari dunya ke riwajon se adawat ki thi.
Tumko yad he jab maine ye hamaqat ki thi.

Use raazdan smajh kar bataya tha haal-e-dil apna.
Par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi.

Jab kisi ki yadon ne ankhon ko bhigoya tha meri.
Mane ik naam ki tasbeeh pe tilawat ki thi.

Us ko chor ke hanste hoye ghar aa ke.
Itna roye the ke ankhon ne qayamt ki thi.

Mere ujarne ka sabab jab bhi kisi ne pucha to.
Mane bas itna hi bataya ke muhabbat ki thi

Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya

Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya
Ham Ne Muqaabil Oske Tera Naam Rakh Diya

Ik Khaas Had Pe Aagayi Jab Be-Rukhi Teri
Naam Oska Ham Ne Gardish-e-Ayyaam Rakh Diya

Mein Larkhara Raha Hun Tujhe Dekh Dekh Kar
TU Ne Tou Mere Saamnay Ik Jaam Rakh Diya

Kitna Sitam Zareef Hai Wo Saahib-e-Jamaal
Osne Diya Jalaa Ke Lab-e-Baam Rakh Diya

Hatheli Saamne Rakhna

Hatheli Saamne Rakhna,
Ke Sab Aansoo Gire Usme?
Jo Ruk Jaayega Honthon Par,
Samajh Jaana Ke ?Wo Hum Hain?…

…Jo Chal Jaaye Hawa Thandi,
To Aankhen Band Kar Lena?
Jo Jhonkaa Tez Ho Sabse,
Samajh Jaana Ke ?Wo Hum Hain?…

Jo Zyaada Yaad Aaun Main,
To Ro Lena Jee Bhar Ke?
Agar Hichki Koi Aaye,
Samajh Jaana Ke ?Wo Hum Hain?…

Agar Tum Bhoolna Chaaho,
Mujhe Shaayad Bhulaa Do Tum?
Magar Jab Saans Lena Tum
Samajh Jaana Ke ?Wo Hum Hain?

Friday, November 17, 2006

Loveless life is a fruitless tree

Loveless life is a fruitless tree
But Friendless life is a rootless tree.
Tree can live without fruit but not without root.
So never lose ur good friends

Woh Bewafa Hy Tou Kia Hua…Mat Bura Kaho Usko,

Woh Bewafa Hy Tou Kia Hua…Mat Bura Kaho Usko,
Tum Mujh Say Set Ho Jao…Dafa Kro Usko..

Ghurbat ne mere bachoon ko Tehzeeb seekha di

Ghurbat ne mere bachoon ko Tehzeeb seekha di,
Sehme hue rehte hain Sharaarat nahi Karte

Baalon main apna saja liye apnay gajray tumharay naam kay

Baalon main apna saja liye apnay gajray tumharay naam kay
Khud hi haya anay lagi saye barhay jab shaam kay

mohabbat ka junun baqi nahin hai

mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khun baqi nahin hai

safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
k jazba-e-andrun baqi nahin hai

ragon mein lahu baqi nahin hai
wo dil, wo awaz baqi nahin hai

namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sab baqi hai tu baqi nahin hai

na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri

na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri
tasavur main bhi a sakti nahin majaburiyan meri

na tum aye na chain aya na maut ai shab-e-vada
dil-e-muztar tha main tha aur thi betabiyan meri

abas nadaniyon par ap apni naz karte hain
abhi dekhi kahan hain ap ne nadaniyan meri

ye manzil ye hasin manzil javani nam hai jis ka
yahan se aur age barhna ae umr-e-ravan meri

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon …
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon …
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ….
Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

mohabbat ki validity

DEAR CUSTOMER:

Assalam-o-Aliakum,

Aapki mohabbat ki validity khatam ho rahi hai,
Baraye meharbani forun 1 pyara sa SMS kar k recharge karen,
FROM:
LOVE CARE CENTER

Thursday, November 16, 2006

Ajnabi hai to mery zehan main rehta q hai

Ajnabi hai to mery zehan main rehta q hai,
Wo jo pather hai to sheeshon ka maseeha q hai,

Wo hwa hai to guzar hay vo hwaun ki trah,
Wo samunder hai to thehra rahy behta q hai,

Mery aangn main nahi koi umeedon ka gulab,
Phir ye mausam mery aangan main utarta q hai,

Jis k chehry pe saji jhoot ki tehreerain hain,
Dil ussi shakhas k waadon se behlta q hai,

Ye mera dil ye mausam ye anjan sa dil,
Phir najany tery naam se dharkta q hai,

Khawab Posh Aankhon Mein,

Khawab Posh Aankhon Mein,
Aansuon Ka Bhar Jana,

Hasraton K Saahil Per,
Titliyon Ka Marr Jana…

Habs Ki Hawaon Mein,
Khushbuon Ka Darr Jana…

Dil K Garm Sehra Mein,
Hashar ka Bapa Hona…

Dard La-Dawa Hona,
Kya Bohot Zaroori Hai?,

Ab Tera Juda Hona…!!!!

Ab kay bars saawan ko sulagtey dekha hai

Ab kay bars saawan ko sulagtey dekha hai
Dasht ki sookhi piyaas may aab ko sulagtey dekha hai

Uss roz se ankh ne meri neend se dushmani kar dali
Jis shab se teri palkoon pe khawab ko jaltey dekha hai

Paani pe wo likhta raha dil-e-nashad ka fasaana
Hum ne tu kitab-e-ishq kay har baab ko jaltey dekha hai

Mansob har qissa jafaoon ka mujh se kr detay hain tere shehar kay log
Shayed kisi ne teri wafaoon ki kitab ko sulagtey dekha hai

Yaad key anokhey jugnu tawaaf krtey hain shajr-e-be-saya ka
Yaadon key uffaq pe mahtaab ko sulagtey dekha hai

Wednesday, November 15, 2006

Na Tuje Chor Saktay hain Tere ho bhi nhi saktay

Na Tuje Chor Saktay hain Tere ho bhi nhi saktay,
Ye Kesi Bebasi hy Ham ro bhi nhi saktay,

Ye Kesa Dard Hy Hmein Pal Pal Tarpaey Rakhta Hy,
Teri Yaad Aati Hy To Phr So Bhi Nhi Saktay,

Chupa Saktay Hain Na Dikha Saktay Hen Logon Ko,
Kuch Aesay Daagh Hain Dil Per Ham Dho Bhi Nhi Saktay.

Kaha To Tha Chor Deingay Ye Nagar Phr Ruk Gaey Lakin,
Tumhein Paa To Nhi Saktay Lakin Kho Bhi Nhi Saktay.

Hmara Aik Hona Bhi Nhi Mumkin Raha Ab To,
Jein Kesay Keh Tum Se Door Reh Bhi Nhi Saktay.

Mumkin nahi mujh se ye tarz-e-munafiqat

Mumkin nahi mujh se ye tarz-e-munafiqat
Dunya tere mizaaj ka banda nahi hun mein

Ishq Tal nahi skta... Muhabbat marr nahi skti

Ishq Tal nahi skta... Muhabbat marr nahi skti
ye ek jado hy kaala sa wo ek burhiya hy shaitani

Dard-e-Zeher Shayari 140 Words

Dard-e-Zeher Shayari 140 Words

Chaha Tha Jise, Puja Tha Jise,
Mana Tha Jise, Jana Tha Jise
Uski Bewafai K Badd,
Hum Ji Na Sake ,
Dard-E-Zeher Zindigi Hum Pe Na Sake

Wo baat saray fasaanay mein jiska zikr na tha

Wo baat saray fasaanay mein jiska zikr na tha
Wo baat un ko boht nagawaar guzri hai

Tuesday, November 14, 2006

Bichre huyo’n ki yaad mein ankhain udaas hain,

Bichre huyo’n ki yaad mein ankhain udaas hain,
Aye Subah-e-Eid, Ghar ko sajaaon to kis tarah..

Tum Me Zia-e-Husn Hy To Hum Me Zia-e-Ishq

Tum Me Zia-e-Husn Hy To Hum Me Zia-e-Ishq
Tum Apne Ghar K Chaand... Hum Apne Ghar k Chaand

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
to shadab ho bhi sakti thi.

Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.

Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham teri justjoo bhi nahin.

Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.

Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.

Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.

Monday, November 13, 2006

is ahad main ilahi mohabbat ko kya hua

is ahad main ilahi mohabbat ko kya hua
chora wafa ko unne murawwat ko kya hua

ummidwar wada-e-didar mar chale
ate hi ate yaron qayamat ko kya hua

bakshish ne mujh ko abr-e-karam ki kiya khijal
ae chashm-e-josh ashk-e-nadamat ko kya hua

jata hai yar teg bakaf gair ki taraf
ae kushta-e-sitam teri gairat ko kya hua

Pyar Ka Zehar Shayar In Urdu

Pyar Ka Zehar Shayar In Urdu

Baheti Hui Naadi Mein Unka Peaas Hain
Jalti Hui Shama Mein Unki Gharmi Ka Ehesaas Hain
Kisi Aur Ke Saath Ghar Basa Liya Humne
Seene Mein Basi Wahi Bewafa Pyar Ka Zeher Ki Raas Hain…

Sunday, November 12, 2006

Dil ksi se Tab He Lagana Jab Dilon Ko Parhna seekh lo

Dil ksi se Tab He Lagana Jab Dilon Ko Parhna seekh lo
Her Ek Chehre Ki Fitrat Me Wafadari Nahi Hoti

Qarar De K Kabhi Be-Qarar Kerty Ho

Qarar De K Kabhi
Be-Qarar Kerty Ho
Galey Laga K Kaho
Kitna Pyar Kerty Ho

Nazar Nazar Sy Miley
Aur Khumaar Aa Jaye
Labon Sy Kuch Na
Kaho Aitbaar Aa Jaye

Ye Dil Tou Bharta Nahi
Chand Mulaqaton Main
Kitne Tarasty Rahy
Bheegi Bheegi Raaton Main

Taweel Rasta Kyun
Ikhtiar Kerty Ho
Galey Laga K Kaho
Kitna Pyar Kerty Ho

Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad

Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad
Phir Banain Ge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad ?

Kub Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabzay Ki Bahaar
Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton Ke Baad ?

Thay Bohat Be-Dard Lamhay Khatam-e-Dard-e-Aashiqui Ke
Theen Bohat Be-Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad

Dil Tou Chaaha Per Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hee Na Di
Kuch Gilay Shikway Bhi Kar Laitay Manajaaton Ke Baad

Un Se Jo Kehnay Gaye Thay “Faiz” Jaan Sadqa Kye
An Kahee Hee Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad

Phool ban kar khil uthi hai zindagi,

Phool ban kar khil uthi hai zindagi,
Yeh bohat acha hua ke tum agaye ..

Waqt Ki Taqseem – Shayari Sms on Ishq

Waqt Ki Taqseem – Shayari Sms on Ishq

Ishq Ne Seekh Hi Li Waqt Ki Taqseem K Ab..
Wo Mujhe Yaad To Aata Hai Magar Kaam K Baad…!‎

firaq se bhi gaye hum visal se bhi gaye

firaq se bhi gaye hum visal se bhi gaye
subuk huye hain to aish-e-malal se bhi gaye
jo but-kade mein the wo sahiban-e-kashf-o-kamal
haram mein aaye tp kashf-o-kamal se bhi gaye
usi nigah ki narmi se dag-maga gaye qadam
usi nigah ki tevar sambhal se bhi gaye
gam-e-hayat-o-gam-e-dost ki kashakash mein
hum aise log to ranj-o-malal se bhi gaye
wo log jin se teri bazm mein the hangame
gaye to kya teri bazm-e-khayal se bhi gaye
hum aise kon the lekin qafas ki ye duniya
ki par-shikaston mein apni misal se bhi gaye
charag-e-bazm abhi jan-e-anjuman na bujha
ki ye bujha to tere khad-o-khal se bhi gaye

Kis Qadar Zulm Dhaaya Kertey Ho

Kis Qadar Zulm Dhaaya Kertey Ho
Ye Jo Tum Bhool Jaya Kertey Ho

Kis Ka Haath Rakh Ker Ab Seeney Per
Dil Ki Dharkan Sunaya Kertey Ho

Hum Jahan Chaaey Peene Jaatey Thay
Kya Wahan Abb Bhi Aaya Kertey Ho

Kon Hai Ke Abb Jis Ke Chehrey Per
Apni Palkon Ka Saaya Kertey Ho

Kyun Mairey Dil Mein Rakh Nahin Detey
Kis Liye Gham Uthaya Kertey Ho

Phone Per Gheet Jo Sunatey Thay
Ab Woh Kis Ko Sunaya Kertey Ho

Aakhri Khat Mein Uss Ne Likha Tha
Tum Mujhey Yaad Aaya Kertey Ho

ranj ki jab guftagu hone lagi

ranj ki jab guftagu hone lagi
ap se tum tum se tu hone lagi

chahiye paigamabar dono taraf
lutf kya jab du-ba-du hone lagi

meri rusawai ki naubat a gai
unki shohrat qu-ba-qu hone lagi

nazar bar gai hai is qadar
arzu ki arzu hone lagi

ab to mil kar dekhiye kya rang ho
phir hamari justaju hone lagi

'Dag' itraye hue phirate hain ap
shayad unki abaru hone lagi

Saturday, November 11, 2006

Apnay Haseen Hontoon Ko Kisi Parday Main Chupa Liya Karo

Apnay Haseen Hontoon Ko Kisi Parday Main Chupa Liya Karo
Hum Gustaakh Log Hain Nazron Say Choom Liya Kartay Hain

Badar,do ankhen bohat dhond rahi hay tum ko

Badar,do ankhen bohat dhond rahi hay tum ko
chand ki chodwain tarekh hy opar dekho

Raat saoi hoi ranaiyon ny muje say kaha
hum tumhari hi ghazal hay kabhi hum ko bhi kaho

Chandi mai keh jati hy ahat jesy
hum bohat pass hay awaz na do,hum ko suno

Jis say umeed wafa ho gi wahi dukh dy ga
be wafa jan ke chaho jisy ab ki chaho

Os ki qudrat mai nai ruk ke koi baat seny
waqt awaz hy awaz ko awaz na kaho

Muntazir kab sy hay oraq-e kitab hasti
dil ka kuch ring karo noke qalam chomo

Ek awaz bohat kafi hy soty ke lieye
loog samjhy gay bany lety ho ab jaag pardo

Aaj kamry mai nay bethyna wala mosam
barf girny ki khabar garm hy ghar sy nikalo

Jabeen sajdey may rakhon tu roo padta hon

Jabeen sajdey may rakhon tu roo padta hon
Dastan kisi ke ujarney ki sunon tu roo padta hon

Ye kia ho gayea hai hazrt-e-insaan ko
Halt-e-zaar pe iski aik hurf bhi likhon tu roo padta hon

Yaad aatey hain aslaaf ki fatuhaat key zamaaney
Aulad-e-adam ko bebus-o-bekus aaj dekhon tu roo padta hon

Waada tha Khuda ka momin rahega ghalib sadaa kufr pe
Aaj kufr ko daakhil qalb-e-momin jo dekhon tu roo padta hon

Jis ummat ki bakhsish key liye sir na uthayea Muhammad ne
Uss muslim ko gharq-e-gunnah jo dekhon tu roo padta hon

Friday, November 10, 2006

bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai

bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai

tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai

sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashani
yaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai

Hijar ki aag me chup chap jaley they do dil

Hijar ki aag me chup chap jaley they do dil
Kuch qusoor is me meri jan merey halat ka tha

Dard mandon ko kisi ne to pukara hoga

Dard mandon ko kisi ne to pukara hoga
Bhari zaalim duniya main koi to hamara hoga

Dil Dukhaanay Ki Intehaa Kar Di

Dil Dukhaanay Ki Intehaa Kar Di
Aazmaanay Ki Intehaa Kardi

Teer Tohfay Mein Bhej Kar Osne
Zulm Dhaanay Ki Intehaa Kardi

Chonk Kar Naam Poochnay Waalay
Bhool Jaanay Ki Intehaa Kardi

Jeet Ne Maat Orh Li Goya
Sir Jhukaanay Ki Intehaa Kardi

Dil Ko Nasoor Kardlia Aakhir
Ghaao Khaanay Ki Intehaa Kardi

Phir Palat Kar Kubhi Nahee Dekha
Osne Jaanay Ki Intehaa Kardi

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala
Osko Paanay Ki Intehaa Kardi

Ta-Falak Ho Gaya Dhuwaan Sa Batool
Raakh Uraanay Ki Intehaa Kardi

Thursday, November 9, 2006

Takalluf Kei Haddon Ko Khud Gira Kr Ab Wo Kehta Hai

Takalluf Kei Haddon Ko Khud Gira Kr Ab Wo Kehta Hai
Tera Be-Baak Sa Lahja... Mujhe Acha Nahi Lagta

ar Mod Pe Mil Jaate Hain Hamdard HazaaroN

ar Mod Pe Mil Jaate Hain Hamdard HazaaroN
Shaayed! Meri Basti Mein Adakaar Bohat Hain…

Umer e javed ki dua karte,

Umer e javed ki dua karte,
Faiz itne wo kab hamare the.

Hamari be-khudi ka haal woh pochein agar,

Hamari be-khudi ka haal woh pochein agar,
To kehna hosh bas itna hai tum ko yad karte hain…

Labon Pay Aa Gayi Thi Ik Baat Harf-e-Haq Ban Kar

Labon Pay Aa Gayi Thi Ik Baat Harf-e-Haq Ban Kar
Khabar Ye Phaili Shehar Main K Zubaan Daraaz Hain Hum

Baat itni si hoti to kuchh aur baat hoti

Baat itni si hoti to kuchh aur baat hoti
Sabki judai aur unki judai me fark to hai

Wednesday, November 8, 2006

Jo zindagi thi meri jaan tere saath gai

Jo zindagi thi meri jaan tere saath gai
Bus ab to umr k naqshy me waqt bharna hai

Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya

Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya
Vo Keh Gaya Tha,Yehi Waqat Imtehan Ka Hai

Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna
Tamam Sheher Main Charcha Mere Beyan Ka Hai

Asar Dikha Na Saka Us K Dil Main Ashk Mera
Ye Teer Bhi Kisi Tooti Hoi Kaman Ka Hai

Bichar Bhi Jaye Magar Mujh Se Be-Khabar bhi Rahy
Ye Hosla Hi Kahan Mere Bad-Guman Ka Hai

Qafas To Khair Muqadar Main Tha Magar Mohsin
Hawa Main Shor Abhi Tak Meri Uran Ka Hai…….!!

muhabat maine bhi ki thi

muhabat maine bhi ki thi

kisi ko dil se chaha tha

nahi ab pas wo mere

magar ye log kehte hain

wo dekho zard chehra hai

nighain sard hain iski

honton se hasi gayab

mathe pe shikan zahir

muhabat is ne ki ho gi

han..........

muhabat maine bhi ki thi

nahi ab pass wo mere

Ajab kal sham ka manzar raha hai

Ajab kal sham ka manzar raha hai,
Falak mere laho se tar raha hai

Duniya se ja Raha hu kafan me chupaye Mooh..

Duniya se ja Raha hu kafan me chupaye Mooh..
Afsoos baad marne ke aayi Haya mujhe…!!!!

Tuesday, November 7, 2006

Toot Jaye Jo Bharam Dil Ka To Phir Aankhon Sy

Toot Jaye Jo Bharam Dil Ka To Phir Aankhon Sy
Boondein Chehry Pe Lahu Ki Bhi, Bikharti Hain Kabhi

Mohabbat Karni Hai To Phir Halaat Se Darna Kesa

Mohabbat Karni Hai To Phir Halaat Se Darna Kesa
Jang Lazim Ho To Lashkar Nahi Dekha Karte.

Ye dil bhulata nahi tha mohabbtien uski

Ye dil bhulata nahi tha mohabbtien uski,
pari hoi thien mujhey kitni adatien uski,

Ye mera sara safar us ki khushbo’on me kata,
Mujhey to rah dikhati thien chahtien uski,

Ghira howa hun main chehron ki bheer me lekin,
Kahien nazar nahi atien shabahtien uski,

Main dor honey laga hun to esey lagta hai,
Kay chaon jesi thien sari rafaqtien uski,

Ye kis gali me ye kis shehar me nikal aye,
Kahan pey reh gaiyen logo sadaqtien uski,

Main barishon me juda ho gaya hun us sey magar,
Ye mera dil meri sansien amanatien uski.

Monday, November 6, 2006

Teri Bewafai Ka AashiQui Ka Matam Hai

Teri Bewafai Ka AashiQui Ka Matam Hai,
Zindagi Ki Raahon Mein Zindagi Ka Matam Hai,

Mujhko Dass Gaye Dekho Saanp Aastino Ke,
DushMano Ka Shikwa Kya Dosti Ka Matam Hai,

Ro Rahe Hai DushMan Bhi Aaj Meri Hayat Par,
Aa Ke Dekh Le Teri Berukhi Ka Matam Hai,

Ho Gayi Khata HuMse TuMko Toot Kar Chaha,
Jo HaMein Na Raas Aayi Us Khushi Ka Matam Hai,

Kal Ujale Baante The HuMne Saari Duniya Ko,
Aaj Khud Mere Ghar Mein Roshni Ka Maatam Hai,

Dilke Tukde TuM ZaliM Chunke Bhar Lo Daman Mein,
Puchhe Koi Keh Dena Dillagi Ka Matam Hai

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai,

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai,
Dil dharakta hai sahulat se, yehi kaafi hai,

Haal dunya ke sataye huye kuch logon ka,
Puch lete ho shararat se, yehi kaafi hai,

Jo bhi raste mein guzarta hai mere pehlu se,
Dekhta hai teri nisbat se, yehi kaafi hai,

Muddat’ton se nahin dekha tera jalwa lekin,
Yaad ajate ho shidat se, yehi kaafi hai,

Saari dunya se ulajhte hain lekin tera kahaa,
Maan jate hain sharafat se, yehi kaafi hai,

Kya hua hum jo muyassar jo zar-o-maal nahin,
Katt rahi hai bari izat se, yehi kaafi hai,

Aaj ke ehd taghaful mein kisi dar pe Munir,
Koi ajaye zarurat se, yehi kaafi hai..

us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto

us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto
ashk-e-rawan ki nahar hai aur ham hain dosto

sham-e-alam dhali to chali dard ki hawa
raton ka pichla pahar hai aur ham hain dosto

ankhon main ur rahi hai luti mahfilon ki dhul
ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain dosto

ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yad
tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain dosto

Sunday, November 5, 2006

Tum Hum Se Ye Kehte Ho, Mohabbat NahiN Rahi

Tum Hum Se Ye Kehte Ho, Mohabbat NahiN Rahi
TumheeN Badal Gayey, Ya Woh Ulfat NahiN Rahi..

Har Baat Pe Tanaa Har Andaz MeiN TashheH
KiyoN Saaf NahiN Kehteh Mohabbat NahiN Rahi..

GheroN Pe Karam, ApnoN Pe Sitam Karte Ho
Phir Shaan Se Kehte Ho, Qurbatt NahiN Rahi..

Sehraa MeiN, Tapish Mein, Jab Tum Ne HumeiN Choorraa
Is Husn Ke Baazar MeiN Woh Qeematt NahiN Rahi..

Mana Ke Hum Se Bhi Bohat Ghaltiyan Hoi heN
Shaed Ke Darguzar Ki Tumhein Aadat NahiN Rahi..

Manzar To Wohii HaiN Halaat HaiN Badlay
Shaed Kay Ishq-e-Yaarr Ki Zarrorat NahiN Rahi

Is Tarah Loot Lia Shaher E Tamana Ne Hamein

Is Tarah Loot Lia Shaher E Tamana Ne Hamein
Zindaggi B Chheen Lee Jaan Se Maraa B Nahien

Kasame Sari Zindagi – Urdu Shayari

Kasame Sari Zindagi – Urdu Shayari

Mat Khao Kasame Sari Zindagi Sath Nibhane Ki
Hum Ne Sanso Ko Bhi Juda Hote Dekha Hai

Le de k apne pass faqat ik nazar to hai,

Le de k apne pass faqat ik nazar to hai,
Kion daikhen zindagi ko kisi ki nazar se hum.

Saturday, November 4, 2006

Firraq Mein Laztein Hain Itni To Sochta Hoon

Firraq Mein Laztein Hain Itni To Sochta Hoon
Wissal Uss Ka Naseeb Hoga To Kiya Baney Gaa

Jo Door Rah Kar Harrarat e Jaan Banna Hua Hai
Wo Shakhs Mere Qareeb Ho Gaa To Kiya Baney Gaa

Ek Kasak Jo Lafzon Ki

Ek Kasak Jo Lafzon Ki
Aagosh Me Sisak Rahi Thi

Ek Dua Jo Duur Arsh
Pe Bhatak Rahi Thi

Wo Dua Jo Tuutey Dil
Sy Nikal Rhi Thi

Wo Dua Jo 2 Labo?n
Pe Machal Rahi Thi

Kaash !

Ek Shaam Wo Laut Aaye

Ya Kaash !
Wo Shaam Laut Aaye

Is Dil Ne Bohat Usay
Chaha Tha

Hum Ne Rab Sy Bas
Usy Hi Maanga Tha

Pr Meri Dua Tou Kahin
Arsh Pe Hi Kho Gai

Aur Phr Taqdeer b
Andhera Aurh k So Gai

Aur Phir Zabt Ka Daaman
Hum Sy Chooth Gaya

Ek Tuuta Hua Dil
Aur Bhi Tuut Gaya ?

Chale they aik nazar teri bazm dekh aayen

Chale they aik nazar teri bazm dekh aayen
Yahan jo aye yahin be-ikhtyar beth gaye

Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein

Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain..

Talab karta hon khod se apna chehra

Talab karta hon khod se apna chehra
Main apne dar ka sael ho gea hon

har ek bat pe kahte ho tum k tu kya hai

har ek bat pe kahte ho tum k tu kya hai
tumhin kaho k ye andaz-e-guftagu kya hai

na shole mein ye karishma na barq mein ye ada
koi batao ki wo shokh-e-tundakhu kya hai

ye rashk hai k wo hota hai hamsukhan hamse
wagarna khauf-e-badamozi-e-ad kya hai

chipak raha hai badan par lahu se pairahan
hamari jeb ko an hajat-e-rafu kya hai

jala hia jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredate ho jo ab rakh justaju kya hai

ragon mein daurate phirne k ham nahi qayal
jab ankh hi se na tapka to phir lahu kya hai

wo chiz jis k liye ham ko ho bahisht aziz
siwae bada-e-gulfam-e-mushkabu kya hai

piyun sharab agar khum bhi dekh lun do char
ye shisha-o-qadah-o-kuza-o-subu kya hai

rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
to kis ummid pe kahiye k arazu kya hai

bana hai shah ka musahib, phire hai itarata
wagarna shahar mein "ghalib" ki abaru kya hai

Thursday, November 2, 2006

Kitna roya tha main teri khatir

Kitna roya tha main teri khatir
Ab jo sochon to hansi aati hai

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa,

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa,
K Main Ne Bhi Lutaya Hai Mohabbat Mein Sukoon Apna

Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hu

Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hu
Ab Main Tumhe Bhulane Ke

Kabhi Bahut Dil Se Dua Manga Karta Tha
Tumhe Apna Banane Ki

Mujh se kehne lagi

Mujh se kehne lagi…
Bad us k…
Shaid na milain dubara…
Shaid akhari mulaqat hai yee…
Mere sare cards…
Sabhi tasveren…
Jala daina…
Mohabbat ki solo par charh jana…
Mujhe abb bhol jana
Jo waqat hum ne guzara tha…
Use abb bhol jana
Aur yad rakhana…
Tumhare beghair ye zindagi guzar to jae gi
LAkin…
Siskiyon bhari ahon me…
Ashkon bhari palkon me
Ghamon ki jageron me…
Hijar ki karwi raton me
Mohabbat ki jostajo me…
Kanton ki taj me
Mot ki anghan me
Khod se batain karte karte
Guzare gi…
K jaise…
Koi jisam ka hisa chin gea ho mujh se…
Aur kehte kehte…
Us ki ankhain nam ho gaen
Aur itne me barish ho gai
Aur pholon se khoshboo door ho gai
Aur kehne lai…
Suno…
Kheal rakhna apna…
Apne lie nahin ti kisi aur k lie…
HUSSNAIN me pochon gi khawabon me aa kar…
Bus yahi soch kar…
Ajj khod ka kheal rakhata hon…
K agar wo mill jae
To khafa na ho jae
Khawabon me…

Wednesday, November 1, 2006

usko khwaabon me rakh lena

usko khwaabon me rakh lena
mushkil bhi to kitna tha
dil se yun ik badla lena
mushkil bhi to kitna tha

shaam ki us dehleez pe jaake
saanson ke jo vaade the
un vaadon pe qaayam rehna
mushkil bhi to kitna tha

raahon me chalte chalte hum
khud ko kaise kho baithe
tujh se mil kar khud tak rehna
mushkil bhi to kitna tha

daanista ik soch bani ki
tu hi mera apna hai
aisi sochon se lard paana
mushkil bhi to kitna tha

naghma sara the zehan ke hisse
jinme teri yaaden thin
aisi dhun se ghaafil rehna
mushkil bhi to kitna tha

koi azeeyat dil me nishani


teri ban ke baith gai
honthon pe muskaan yun laana
mushkil bhi to kitna tha

khwab baras kar beet chuke hain
zehan me ab bhi unki nami
aankhon me us nami ko rakhna
mushkil bhi to kitna tha

teri khushi ki chaah liye hum
kitne dukhon me bhi khush hain
verna bemaqsad jee paana
mushkil bhi to kitna tha

zoq-e-deed mein hoti hai taklef sara.sar…

zoq-e-deed mein hoti hai taklef sara.sar…
achy rehty hain woh log jo muhabbat nai krty!!!!!!!

Phir us ki yaad mein dil beqarar hai Nasir

Phir us ki yaad mein dil beqarar hai Nasir
Bichar ke jis se huyi sheher sheher ruswayi

Mohabat ki Qasam Wo Aisa Nhi tha

Mohabat ki Qasam Wo Aisa Nhi tha,
Wo Apna tha Mgar Lagta Nhi tha,
Najane kn na Aaya Mujhse Milne,
Zamane se To Wo Darta Nhi tha,
Hansi ki Bari Aadat thi Usko,
Wo Mujhko Dekh kar Mgar Hansta Nhi tha,
Mere Dil main hai Shamil Uski Ulfat,
Wo Mera tha Faqat Mere Jaisa Nhi tha