us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua
dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua
ham khuld se nikal to gaye hain par ai khuda
itne se vaqaye ka fasana bahut hua
ab ham hain aur sare zamane ki dushmani
us se zara rabt barhana bahut hua
ab kyon na zindagi pe muhabbat ko var den
is ashiqi main jan se jana bahut hua
ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka
mana k us se milna milana bahut hua
kya kya na ham kharab hue hain magar ye dil
ai yad-e-yar tera thikana bahut hua
kahta tha nasehon se mere munh na aio
phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua
lo phir tere labon pe usi bevafa ka zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kaha na bahut hua
No comments:
Post a Comment