Monday, August 5, 2013

Sarkar-e-do alam K rukh pur anwaar ka alam kya hoga

Sarkar-e-do alam K rukh pur anwaar ka alam kya hoga,

Jab zulf ka zikr hai Quran main ruksar ka alam kya hoga,

Jis waqt thay khidmat main unki Abu Bakr, Umar,
Usman-o-Ali.

Us waqt Rasol Akram K darbar ka alam kya hoga,

Ek simt Ali ek simt Umar,
Siddiq idhar, Usman udhar,

In jag mag jag mag taaron main mahtab ka alam kya hoga,

Chahen to isharon se apnay kaaya hi palat den dunya ki,

Ye shan hai un K sahaba ki to Sarkar ka alam kya hoga,
SUBHANALLAH!!

No comments:

Post a Comment