Friday, August 23, 2013

Dil Rakhnay Ko Haan Mat Keh

Dil Rakhnay Ko Haan Mat Keh Ab Nafrat Zeher Pila Bhi De
Mat Kar Sood Bhari Yeh Batien Dil Kar Karz Chuka Bhi De

Mein Sha’ir Afkar Ki Dolat Mera Kul Sarmaya Hia
Tu Sikon Ki Dewani Hia Apna Kaam Dikha Bhi De

Chahat Ke Is Mor Se Ab Tau Wapas Jana Mushkil Hia
Himat Hia Tau Naam Se Apnay Mera Naam Mita Bhi De

Pyar Ka Khel Jo Khela Hia Tau Teri Jeet Yakeeni Hia
Mujh Per Koi Tuhmat Dhar Le Khud Ko Aap Jita Bhi De

Khud Hi Tu Ne Dastak Di Thi Is K Band Kawaron Per
Ab Jo Wehshat Hoti Hia Tau Ghar Ko Aag Laga Bhi De

Jaltay Diyeh Bhujaye Kabhi Woh Apnay Jilmil Anchal Se
Bhujtay Diyon Se Honay Walay Andhyara Thukra Bhi De

Khud Ko Phir Masoom Samajh Ker Kho Ja Duniya Walon Mein
Toot Ke Tu Ne Pyar Kia Tha Yeh Ehsaas Bhula Bhi De

Us Ke Dil Mein Kia Hia Safdar Yeh Kese Maloon Karon
Woh Jo Mujh Se Dur Bhi Bhagay Mur Ker Mujeh Sada Bhi De

No comments:

Post a Comment