Monday, August 12, 2013

agar mauj hai bich dhare chala chal

agar mauj hai bich dhare chala chal
wagarna kinare kinare chala chal

isi chal se mere pyare chala chal
guzarti hai jaise guzare chala chal

tujhe sath dena hai bahrupiyon ka
naye se naya rup dhare chala chal

musalsal buton ki tamanna kiye ja
musalsal Khuda ko pukare chala chal

tujhe to abhi der tak khelna hai
isi mein to hai jit hare chala chal

No comments:

Post a Comment