Kabhi ghar se nikal kar tum ne
Sarma ki thitharti chandni shab mein
Akelay chand ko dekha
Kabhi sunsaan bagho’n mein
Kisi tanha rawish per chalty chalty, chand se pucha
K wo tum se ziada muztarib kyun hai
Magar tum
Band kamray k makeen
Khuwabo’n k shehzaday!
Nikal kar garm kamray se
Kahan jao gay adhi raat ko sunsan baghon mein
Akelay chand se batain tou wo mazloom karty hain
Jinhain ghar k deewar-o-dar bhi
Dhatkaar daity hain
Jinhain apni awaazon k khnjar
Maar detay hain
No comments:
Post a Comment