Sunday, September 30, 2012

Sad Zehar Shayari in Urdu

Sad Zehar Shayari in Urdu

Tujhay Khabar Bhi Nahi
Ke Teri Udaas Adhoori
Mohabbaton Ki Kahaaniyan
Jo Bari Kushaada Dili Se
Hans Hans Ke Sun Rahaa Tha
Wo Shakhs Teri Sadaaqaton Par Fareefta
Baa-Wafaa, Saabat Qadam
Ke Jis Ki Jabeen Pe
Zaalim Raqaabaton Ki Jalan Se
Koi Shikan Na Aaeee
Wo Zabt Ki Karabnaak Shidat Se
Dil Hi Dil Mein
Khamosh, Chup Chaap
Mar Gayaa Hai…

Na o hindu na o momin, na sajda daen maseeti hu

Na o hindu na o momin, na sajda daen maseeti hu
Dam dam de vich vekhan maula, jinhaan kaza na keeti hu
Aahe daane bane divaane, zaat sahi vanj keeti hu
Men kurbaan tinhaan ton baahu, ishak baazi jin leeti hu

Teri Nigah bhi is Dour ki zakaat hui,

Teri Nigah bhi is Dour ki zakaat hui,
Jo Mustahiq hai usi par na pari….

Sheher me adam darina bahot the nasir

Sheher me adam darina bahot the nasir
Waqt parhane pe mere kaam na aea koi

Piyar ki shakh tu jaldi samar lay ai

Piyar ki shakh tu jaldi samar lay ai
dard ke phool bardi dair may ja kar niklay

jo ye daur bewafaa hai tera Gam to mustaqil ho

jo ye daur bewafaa hai tera Gam to mustaqil ho
wo hayaat-e-aashiqii kyaa jo davaam tak na pahunche

Jab hui thi mohabbat to laga koi acche kam ka asar hai

Jab hui thi mohabbat to laga koi acche kam ka asar hai
Na khabar thi hame ke gunnaho ki esi bhi saza hoti hai

Tere gham se to sakoon milta hai

Tere gham se to sakoon milta hai
Apne sholo’n ne jalayaa hum ko

Phoolon ko aag lag gayi, naghmaat jal gaye,

Phoolon ko aag lag gayi, naghmaat jal gaye,
Suraj ki tez dhoop mein lamhaat jal gaye..

Gali gali meri waraftagi k charchay hain

Gali gali meri waraftagi k charchay hain
Kahan Kahan Mery ehsaas ko chupaogay

Muskurahat, Tabasum, Hansi, Qehqahay,

Muskurahat, Tabasum, Hansi, Qehqahay,
sab ke sab kho gaye, hum baray ho gaye..

Saqi tujhe ik thori si takleef to ho gi

Saqi tujhe ik thori si takleef to ho gi
Saghar ko zara tham me kuch soch raha hon

Ankhe udas tash ke paty thy hat may

Ankhe udas tash ke paty thy hat may
kherat ki tarah meri taqdeer bat gy

payam aye hain us yar-e-bevafa k mujhe

payam aye hain us yar-e-bevafa k mujhe
jise qarar na aya kahi bhula k mujhe

nashe se kahun to nahin yad-e-yar ka alam
k la ura hai koi dosh par hava k mujhe

judaiyan hon to aisi ki umr bhar na mile
fareb to do zara silsile bara k mujhe

main Khud ko bhul chuka tha magar jahan vale
udas chor gaye aina dikha k mujhe

Muje ye dar hai teri arzu na mit jae

Muje ye dar hai teri arzu na mit jae,
Bahot dinon se tabyat meri udas nahin.

Khafaa rehne ka shoq bhi pura kar lo tum

Khafaa rehne ka shoq bhi pura kar lo tum
Lagta hai tumhe hum zinda ache nahi lagte

Taaq e masargan pe lazarte rahe ashkon k charagh

Taaq e masargan pe lazarte rahe ashkon k charagh,
Kis taqalaf se hanse ajj ye hansane wale.

Zindagi us ke tassawur mein katti

Zindagi us ke tassawur mein katti
Door reh kar bhi wohi kaam aaya

Mohabbatein Aur Bhi Barh Jati Hain Juda Hony Se

Mohabbatein Aur Bhi Barh Jati Hain Juda Hony Se,
Tum Sirf Meri Ho, Is Baat Ka Khayal Rakhna

Saturday, September 29, 2012

Gumsum hua awaaz ka darya tha jo ik shakhss

Gumsum hua awaaz ka darya tha jo ik shakhss,
Pathar bhi nahin ab woh sitaara tha jo ik shakhss..

Arzoo ya hay k izhar-e- muhabbat ker lon

Arzoo ya hay k izhar-e- muhabbat ker lon
alfaz chunti hoon to lahmhaat badal jatay hain

Jinn Ke Paas Hoti Hain Umer Bhar Ki Yadain

Jinn Ke Paas Hoti Hain Umer Bhar Ki Yadain,
Woh Log Tanhai Mein Bhi Tanha Nahi Hotay..

Phir iss sard mausam main, zara na chain se soyen ge,

Phir iss sard mausam main, zara na chain se soyen ge,
December phir se aaya hai, phir se mil ke royen ge..

Zabt ki jab deewar girey aur ankhon se

Zabt ki jab deewar girey aur ankhon se,
Beh nikley sailaab to saathi aa jana

Humien bhi neend ajaye gi hum bhi so hi jayen gey,

Humien bhi neend ajaye gi hum bhi so hi jayen gey,
Abhi be qarari hai sitaro tum to so jao..

Dil Ka Rog Tha, Na Yaadain Thi, Aur Na Hi Ye Hijar

Dil Ka Rog Tha, Na Yaadain Thi, Aur Na Hi Ye Hijar,
Tery Piyar Sy Pehly Ki Neendain Bhi kamal ki Thi.

Jub Se Dekhi Hain Wo BheeGi Howi Aankhein

Jub Se Dekhi Hain Wo BheeGi Howi Aankhein …
Hanstay ChehRon Pe Bhi Ronay Ka GumaaN Hota Hai

Shauq kehta hai ke har jism ko sajda kijiye,

Shauq kehta hai ke har jism ko sajda kijiye,
Aankh kehti hai ke tu ne abhi dekha kya hai..

Us Me Baat Hi Kuch aisi Thi

Us Me Baat Hi Kuch aisi Thi
Dil Na Dete To Jaan se Jaaty

Wohi rakhe ga mere ghar ko balaaon se mehfooz,

Wohi rakhe ga mere ghar ko balaaon se mehfooz,
Jo shajjar se ghaunslaa girne nahin deta..

ukh fasana nahin k tujh se kahen

ukh fasana nahin k tujh se kahen
dil bhi mana nahin k tujh se kahen

aj tak apni bekhyali k sabab
khud bhi jana nahin k tujh se kahen

ek tu harfashna tha magar
ab zamana nahin k tujh se kahen

be-tarah dil hai aur tujh se
dostana nahin k tujh se kahen

ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
ab-o-dana nahin k tujh se kahen

Aik issi umeed pe hain sab dushman dost qabool,

Aik issi umeed pe hain sab dushman dost qabool,
Kya jaaney iss saada’pan main kon kahan mil jaye..

Chaand ki Pehli Dastak Pay,

Chaand ki Pehli Dastak Pay,
CHaaNd MuBaRaK Kehtay Hain,
Sub Say Pehlay Hum Aap Ko,
“RAMZAN MUBAARAK” kehtay hain.

Rafaqatun ki talab bhar gai zamanay main,

Rafaqatun ki talab bhar gai zamanay main,
Ab wafaa se ziada zaroratain hain aziz..

mar bhi jayu to koi gham nahi

mar bhi jayu to koi gham nahi
bas ek tamnna hai ke wo mujhe mil jaye

Tumhi ko chahte hain hum tumhi se pyar karte hain,

Tumhi ko chahte hain hum tumhi se pyar karte hain,
Yehi barson se aadat hai, aadat kab badalti hai..

I have a new kodak camera

I have a new kodak camera
ur snap please...
don't move
steady
smile :)
ready
click
ohh ho
those who live in ones heart cant have a snap!!!

Meri Aawargi Logo, Nahi Be Jaa Qasam Le Lo

Meri Aawargi Logo, Nahi Be Jaa Qasam Le Lo…!
Ager Tum Dekhte Usko, To Mere Ham_Qadam Hote

Meri Aawargi Logo, Nahi Be Jaa Qasam Le Lo

phir ussay saya e divaar nay uthnay na diya

phir ussay saya e divaar nay uthnay na diya
aa kay ik baar jo baitha tere divaar kay pass

ye dil hi to janta hai meri mohabbat ka aalam

ye dil hi to janta hai meri mohabbat ka aalam
k mujhe jeenay k liye saanson ki nahi teri zarorat hai

Khaamosh-mizaajiii tujhay jeenay nahi degy.

Khaamosh-mizaajiii tujhay jeenay nahi degy.
Is dorr mai jeena hai tho kohraam macha do..

Rishtaa tore ke janey waley,

Rishtaa tore ke janey waley,
Mujh ko chorr ke janey waley,
Ab ki Eid pe,
Mujh ko jitney card miley hain,
Un cardon mein sab se pyara,
Sab se acha,
Pehla card tumhara hai,
Mujh ko chorr ke janey waley,
Zara kaho to,
Yeh kiss aur ishaara hai ???

Pazerai ke sub mosam isi uljhan me guzare hain

Pazerai ke sub mosam isi uljhan me guzare hain
Kisi ko bhol jana hai kisi ko yad karna ha

Weeran hai mae-kada, kham-o-saghir udaas hain

Weeran hai mae-kada, kham-o-saghir udaas hain
Tum kia gaye kay rooth gaye din bahaar kay

Theharny bhi nai deta hy apny dil mai muje

Theharny bhi nai deta hy apny dil mai muje
mohabten bhi meri dil badar nai karta

Panhan hai kehkahon me sada e shikiste dil

Panhan hai kehkahon me sada e shikiste dil
Dunia usi ka naam hai parwardigar kia

Friday, September 28, 2012

ada hai shart, bnaawat bhi ltf daiti hai

ada hai shart, bnaawat bhi ltf daiti hai
wo hud bhi rooth gaya hain mujhe hafa kar k

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe
Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi ?
Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Na koi peer na saea na ahtoon ka gaman

Na koi peer na saea na ahtoon ka gaman
Ye justajo ka safar bhi azab jaisa hai

…EiD K DiN… Soraj Ki Pehli Kiran

…EiD K DiN…

Soraj Ki Pehli Kiran Khushi Dy AapKo..

Doosri Kiran Hassi Dy..

Teesri Tandurasti..

Chothi KamyaBi..

.

.

.

.

.

.

.

Bus Ab ZiaDa Nahi.. PHir GarMi Lagay Gi Na AapKo…

-+-+-EiD MuBaRaK-+-+-

Tere khamosh honton par mohabbat gun-gunati hai,

Tere khamosh honton par mohabbat gun-gunati hai,
Tu mera hai, main teri hoon, bus yehi aawaz ati hai…

Muntazir thay teri inayat ke,

Muntazir thay teri inayat ke,
Kuch to kia chalo tabah hi sahi..

Tum ko di hai Isharon me Ijazat main ne

Tum ko di hai Isharon me Ijazat main ne
Maangny se na milon to Chura Lo mujh ko

Usey kya pata kya guzari hai mujh par

Usey kya pata kya guzari hai mujh par
Meri ankho se uske intzar ki inteha to poocho

Poochte Hain Kya Hua Hai Dil Ko,

Poochte Hain Kya Hua Hai Dil Ko,
Husn Walo’n Ki Saadgi Nahi Gayii…!!

How much is that banana for

Customer : How much is that banana for?

Salesperson : Rs.10

Customer : Can you sell it to me for Rs.6?

Salesperson : At that rate, you will only get the banana peel!

Customer : Okay I will buy the banana for Rs.4 , but you can keep the peel!

Afsurdagi hai magar wajah-e-gham nahi maloom,

Afsurdagi hai magar wajah-e-gham nahi maloom,
K Dil pe bojh sa hai ranj-e-besabab ki tarah.

Es Raah-e-Muhabbat Ki Tum Baat Na Pucho

Es Raah-e-Muhabbat Ki Tum Baat Na Pucho
Anmol Jo InSaan They, Be-Mol Bik Gaye

Mujhe Khaak Mein Mila Kar, Meri Khaak Bhi Ura De

Mujhe Khaak Mein Mila Kar, Meri Khaak Bhi Ura De
Tere Naam Pe Mita Hum Mujhe Kia Gharz Nishaan Se

yeh husn bi kitni buri cheez hai

yeh husn bi kitni buri cheez hai
jiss ne daali buri nigaah dali

Kabhi to kuch neyi adaa dikhaayiye ab,

Kabhi to kuch neyi adaa dikhaayiye ab,
Yeh roothna to aap ka sau baar ho chuka..

Mujh se ab aur tamasha ho nahin sakta

Mujh se ab aur tamasha ho nahin sakta
Le ja, Yeh dikhavey ki hansi bhi aa kar

Bachpan se aaj tak mein yeh seekhta raha hoon,

Bachpan se aaj tak mein yeh seekhta raha hoon,
Kaliyon se khil’khilaana, phoolon se muskuraana..

Jinhain khazan me chaman bandion ka dawa tha

Jinhain khazan me chaman bandion ka dawa tha,
Bhari bahar me ik phol tak khila na sake

En sy mil kar bhi kaha milta hy dil ka iztarab

En sy mil kar bhi kaha milta hy dil ka iztarab
Ashaq ki dewar ke dono taraf saya ny

Ab is ke baad ghane junglon ki manzil hai,

Ab is ke baad ghane junglon ki manzil hai,
Yeh wakat hai ke palat jayen humsafar mere..

Thursday, September 27, 2012

Happy Birthday Sms Shayari

Happy Birthday Sms Shayari

Har lamha apke hothon pe muskan rahe,
Har ghum se aap anjaan rahen,
Jiske sath mehak uthe aapki zindgi,
Hamsha aapke pass woh insan rahe.
Happy Birthday

Kabhi Ek Khwab Sa Dekha Tha Main ne

Kabhi Ek Khwab Sa Dekha Tha Main ne
K Tum Mere Ho... or Mere Lye Ho

Aansuo?n Se Bhar Gaya Daaman Mera

Aansuo?n Se Bhar Gaya Daaman Mera

Haath Tou Maine Uthaye Thay Dua Kis Ki Thi

Aye Maan, Phir se muje mera basta de de,

Aye Maan, Phir se muje mera basta de de,
ke duniya ka dia sabaq mushkil bohat hai.

Shayad Tu Kabhi Pyasa Meri Taraf Laut Aaye ?Faraz?

Shayad Tu Kabhi Pyasa Meri Taraf Laut Aaye ?Faraz?
Aankho?n Main Liye Phirta Hoon Darya Teri Khatir

Raatain Hain Udaas, Din Karry hain

Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
Ay Dil Tere Honslay Baray Hain

Ay Yaad-e-Habib Sath Daina
Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain

Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay
Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain

Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya
Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain

Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye
Ghar Se Tou “FARAZ” Nikal Paray Hain

jo lamhy raas atey hain,wohi bs khass hain mujh tak

jo lamhy raas atey hain,wohi bs khass hain mujh tak
kahan phir gham,kahan sapny.kahan arman gulshan k

Chahat Ki Be-basi Ka Ye Qissa Hai Mukhtasar

Chahat Ki Be-basi Ka Ye Qissa Hai Mukhtasar
Dil Ne Sakoon Na Paaya Kabhi, Dil Lagi K Baad

Itni Mazbooti Se Viraaney Ke Dar Band Huye

Itni Mazbooti Se Viraaney Ke Dar Band Huye
Dil Mein Utri Na Koi Zaat, Teri Zaat Ke Baad

Sirf chehre ki udasi par ae ansuu

Sirf chehre ki udasi par ae ansuu,
Dil ka alam to abi app ne daikha hi nahin

Na koi khawab na koi saheli thi

Na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat mein main akeli thi
ishq main tum kahaan kay sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jheeli thi
yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohaabbat thi ya paheli thi
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi
waqt kay sanp kha gaaye usko
meray aangan main ik chanbeli thi
us shab-e-ghum main kis ko batlaon
kitni roshan meri hatheli thi

Nigaahain aaj bhi us shakhs ko talash karti hain Faraz,

Nigaahain aaj bhi us shakhs ko talash karti hain Faraz,
Jis ne kaha tha bass “Matric” karlo agey parhai asaan hai.. :D :D

Haal e dil kehne geya tha, na kaha

Haal e dil kehne geya tha, na kaha
Mausamon par guftgu achi rahi

Ishq may hare hue ashiqo ke ansu hain,

Ishq may hare hue ashiqo ke ansu hain,
yeh mat samjihye k mausm badal rahe hai.

Ghar ki tameer chahe jaisi ho

Ghar ki tameer chahe jaisi ho,
Us me rone ki kuch jaga rakhana

khatir se ya lihaz se main man to gaya

khatir se ya lihaz se main man to gaya
jhuthi qasam se ap ka iman to gaya

dil le k muft kahte hain kuch kam ka nahin
ulti shikayaten rahi ehsan to gaya

ab shay-e-raz-e-ishq go zillaten hui
lekin use jata to diya, jan to gaya

dekha hai butkade main jo ai shekh kuch na kuch
iman ki to ye hai k iman to gaya

Darta hun dekh kar dil-e-be-arazu ko main
sun-san ghar ye kyun na ho mehman to gaya

go namabar se khush na hua par hazar shukr
mujh ko vo mere nam se pahchan to gaya

hosh-o-havas-o-tab-o-tavan "Dag" ja chuk
ab ham bhi jane vale hain saman to gaya

Hoti hain mohabat mein keyi raaz ki baatain

Hoti hain mohabat mein keyi raaz ki baatain
Wese hi to iss khail main haara nahin jaata

Chalo usey dil hi dil main chahain

Chalo usey dil hi dil main chahain
Sunaa hai dil ko dil se raah hoti hai

When You fall in Love with someone,

When You fall in Love with someone,
Don’t think just start enjoying it.
Because after some time.
You will not be in position to enjoy anything.

Ghar se nikal pare hain awargi utha kar

Ghar se nikal pare hain awargi utha kar
Hum ko yahi bahot hai asbab is safar ka

Zulm kar ke woh sab se poochta hai

Zulm kar ke woh sab se poochta hai
Iss tarah dil ka sakht bhi hai koi

December mein tanha khadi

December mein tanha khadi
apne aap mein gum,
Kuch beete lamhe dhuund rahi hoon
Haa main tumhein yaad kar rahi hoon

Is maah mai ek aas mei hoon
Main tumahri raho mei
Ke le lo shayad mujhe tum apni baho mei

Dinn beet'te jaa rahee haii..or yeh bheega
December ko khatam hote dekh rahii hoon..
issi intezaar mein ke tum laut aaao,
aur tumko khud mein dhoond rahii hoon

hai akhri guzarish tumse
mohabbat ko ruswaiyo se bachana
duniya ki fikr chord is mahe December
mai meri jaan tum laut aana tum laut aana

Taaza mangain hain fasaaney hum se

Taaza mangain hain fasaaney hum se
Jab milain hain dost puraaney hum se

Khuda naseeb kare un ko khushiyan saari,

Khuda naseeb kare un ko khushiyan saari,
Adam woh log jo hum ko udaas rakhte hain..

Wednesday, September 26, 2012

Har shakhs ko maat toot kar chaho mere yaro

Har shakhs ko maat toot kar chaho mere yaro
Har shakhs kabhi piar ka khogar nahin hota

Usay kehna k loat aye sulagti shaam se pehle

Usay kehna k loat aye sulagti shaam se pehle
Kisi ki khush ankhon main sadayen raqs karti hian

Uddaasi ki to ab aadat si hai humain

Uddaasi ki to ab aadat si hai humain,
Khushiyon ko ab Dil anjan kehta hai,

Chahat thi jis ki wo nhi hua apna,
Yun to apna humein saara jahan kehta hai

mein bawafa tha is liye dhoka kha gaya

mein bawafa tha is liye dhoka kha gaya
shayad use talaash kisi bewafa ki thi

Hamarey paaon mein to tum ne zanjeer-e-wafaa daali,

Hamarey paaon mein to tum ne zanjeer-e-wafaa daali,
Tumhaarey hath se kyon rishtaa mehr o karam chootta..

Tumhara gham. Gham-e-dunya , uloom , aagahi

Tumhara gham. Gham-e-dunya , uloom , aagahi
Kai azaab merey sath sath chaltey hain

Guzra hai muhabbat me kuch aisa bhi zamana

Guzra hai muhabbat me kuch aisa bhi zamana,
Rotha hon agar me to manaea hai kisi ne

Ajnabee Mehfil Main Kisi Se Dil

Ajnabee Mehfil Main Kisi Se Dil

Ajnabee Mehfil Main Kisi Se Dil Na Lagana.
Suna Hai Bin Bulaye Anay Waly Bin Bataye Chaly Bhi Jate Hain.

Na men aalim, na men faazil, na mufti na kaazi hu

Na men aalim, na men faazil, na mufti na kaazi hu
Na dil mera dozakh te, na shauk bahishteen raazi hu
Na men treehe rouze rakhe, na men paak namaazi hu
Baajh visaal allah de baahu, duniya kooddi baazi hu

Mein Zamana Mein Badnaam Faqat Es Liya Hoon . . .

Mein Zamana Mein Badnaam Faqat Es Liya Hoon . . .
Mujhay Logon Ki Tarah Badal Jana Nahi Aata . . . !!

Sabhi ko bazam hai daikho magar dikhai na de

Ye door wo hai k bethe raho charagh tale
Sabhi ko bazam hai daikho magar dikhai na de

Tord kar khud apny haton khuwab ke sab aeyny

Tord kar khud apny haton khuwab ke sab aeyny
nagy paon karchiyon par ghomna kesa laga

Dil ke luttney ka sabab puch rahi hai duniya,

Dil ke luttney ka sabab puch rahi hai duniya,
Yaad aa jaye na aese mein tera naam mujhe..

Talaaq de to rahe ho ataab-o-qehar ke sath

Talaaq de to rahe ho ataab-o-qehar ke sath
Ke mera shabaab bhi lauta do mere mehar ke sath

Hussn waley to laakh miltey hain,

Hussn waley to laakh miltey hain,
Koi dil wala aaj tak na milaa..

Taqdeer Tou Dekho Merey Ansuou’n Ki

Taqdeer Tou Dekho Merey Ansuou’n Ki,
Inka Bhi Apki Yad Mey Beh Jana Likha Tha

BUZURGO ko nipta dun

Wishng u
Happy EID mubrik,
i know ye jaldi hai,
pr kya karon buht sare sweet, young dashing, Smart friends ko wish karna hai.
socha pehle
.
.
.
.
BUZURGO ko nipta dun.

Sabhi log shareek they janazey mein uskey

Sabhi log shareek they janazey mein uskey
Tanhayiyon ke khoff se jo shakss mar gaya

Tu samajhta hy juda khud ko agar mujh sy milna tu phir

Tu samajhta hy juda khud ko agar mujh sy milna tu phir
sainkrdon sy zarab dy kar gin,ye mery raat din

Kash Is Eid Pe Tu Mera Bakra Hota..

Kash Is Eid Pe Tu Mera Bakra Hota..
Or Kisi Ne Nahi Main Ne Tuje Pakra Hota..
Main Roz Tujhe Pattey Khilata,
Thore Thore Nai Sare Ikathey Khilata..
Tu Mujh Ko Mai Mai Kar K Bulata,
Or Sham Ko Mai Tuje Gali Gali Gumata..
Mere Pas Gari Nahi Chakrha Hota,
Kash Is Eid Pe Tu Mera Bakra Hota..
Raat Ko Sardi Mai Tu Akra Hota,
Meri Mohabbat Mai Kuch Is Tarah Jakra Hota..
Kash Is Eid Pe Tu Mera Bakra Hota.!!

Tuesday, September 25, 2012

Zaahir main jo karta hai barre pyaar ki batain,

Zaahir main jo karta hai barre pyaar ki batain,
Andar se wohi shakhss hamara nahin hota..

Naaz tha tum ko kisi kay pyar par,

Naaz tha tum ko kisi kay pyar par,
Ab manao jashn apni haar par..

Beta ye kaisi machis lay kar aaye ho

SARDAR:: Beta ye kaisi machis lay kar aaye ho ek bhi nahi jal rahi
SON :: kya baat kartay ho pappa sub check kar kay laya hoooon

Yoonaan-o-Misr-o-Rooma sab mit gaye jahaan se

Yoonaan-o-Misr-o-Rooma sab mit gaye jahaan se
Ab tak magar hai baaqi naam-o-nishaan hamaara

Yeh tum se keh diya kis ne. . .

Yeh tum se keh diya kis ne. . .
Kay tum bin reh nahi saktay. . .

Yeh dukh, hum seh nahi saktay. . .
Chalo, hum maan laitay hain. . .
Kay tum bin, hum buhat roye. . .
Ke raaton ko na soye. . .

Magar, afsos hai jana. . .
Kay ab kay tum jo louto gey. . .
Humain tabdeel paao gey. . .
Buhat mayoos hogey tum. . .

Kay agar poochhna chaho kay,
Aisa kyon kiya hum ne. . .
To sunn loo ghour se jana. . .

Poorani eik riwaayat tang aa ker tor di hum ne…
Mohabbat chhour di hum ne…
Haan. . .
” mohabbat choour di hum ne… “

Wo khosh kalam hai aisa k us k pass humen

Wo khosh kalam hai aisa k us k pass humen
Taweel rehna bhi lagta hai mukhtasir rehna

Tareekh hazaron saal mein bas itni si badli hai,

Tareekh hazaron saal mein bas itni si badli hai,
Tab dour tha pathar ka ab log hain pathar ke..

Yahan rait urtti hai pehle se Ahsan,

Yahan rait urtti hai pehle se Ahsan,
Woh aankhon ko aur kya sehraa karega..

Ronay wala hoon Shaheed-e-Karbala key gham men main,

Ronay wala hoon Shaheed-e-Karbala key gham men main,
Kya durey maqsad na dengey Saqiye Kausar mujhey

aj to be-sabab udas hai ji

aj to be-sabab udas hai ji
ishq hota to koi bat bhi thi

jalta phirta hun kyun do-pahron main
jane kya chiz kho gai meri

wahin phirta hun main bhi khak ba-sar
is bhare shahar main hai ek gali

chupta phirta hai ishq duniya se
phailti ja rahi hai ruswai

hamnashin kya kahun k wo kya hai
chor ye bat nind urane lagi

aj to wo bhi kuch khamosh sa tha
main ne bhi us se koi bat na ki

ek dam us k hath chum liye
ye mujhe baithe baithe kya sujhi

tu jo itna udas hai 'Nasir'
tujhe kya ho gaya bata to sahi

Khud bhi udas rehta hai mujhse khafa ho kar,

Khud bhi udas rehta hai mujhse khafa ho kar,
Iss tarah bhi woh shakhs mujhe chahta hai…

Girafta dil hain boht aaj tery deewanay

Girafta dil hain boht aaj tery deewanay
Khuda karay koi tery siwa na pehchanay

Yun phir raha hai kaanch ka peikar liye howey,

Yun phir raha hai kaanch ka peikar liye howey,
Ghafil ko gumaan hai key pathar naa aye ga..

toot k chahna oar phir toot jana

toot k chahna oar phir toot jana
batt choti hia magar boht gahree hia

Tum ko bhi rona ata ho ga apni kamoshi par

Tum ko bhi rona ata ho ga apni kamoshi par
jab insan lagaty hay,tehainyon par ghaat darakhton

Khoshi se tarak e muhabbat ka ehad le ae dost

Khoshi se tarak e muhabbat ka ehad le ae dost
Magar ye daikh tera dil laho laho to nahin

zindagi phr jannanay ki koshish karnay kay baad

zindagi phr jannanay ki koshish karnay kay baad
srf ya jana yahan kuch jan-na mumkn nahee

Mere chehre se mera dard na pehchan pao ge,

Mere chehre se mera dard na pehchan pao ge,
Meri aadat hai har baat pe muskuraa denaa..

May you begin this day with a smile on your face,

May you begin this day with a smile on your face,
and with happiness for your soul to embrace.
Good Morning my love

Zara qareeb se guzra to me ne pehchana

Zara qareeb se guzra to me ne pehchana
Kisi k paon k neche kisi ka sar ho ga

What I feel for you

What I feel for you,is really true. You got to know,I need you so. When you are gone,I can't go on. Can't you see, that you are the only one for me?

Ghreeb Maa apnay Bachon ko Baray Pyar se yun Manati hay

Ghreeb Maa apnay Bachon ko Baray Pyar se yun Manati hay
Phir bana lain ge Naye Kapray, ye Eid to her Saal aati hey

Mgar Us Ko Mohabbat Se Koi Shikayat Nai Thi

Wo Toot Chuka Tha Mohabbat Main
Mgar Us Ko Mohabbat Se Koi Shikayat Nai Thi

Wo do hath Bhaut yaad atey hain Sanbhala tha jinhon ne

Wo do hath
Bhaut yaad atey hain
Sanbhala tha jinhon ne
Mera bachpan
Sakht dhoop jab bhi padi
Saya bankr chah gaye meray sar pe
Mai royea jab bhi
Ashk meray le liye hatheli pe apne
Mujh ko
Wo do hath bhaut yaad atey hain
Jab yaad atey hain
Ashk aankh se nikal kr
Chasm-e-tasawar may
Ja girtey hain unn
Do hathon pe
Na janey kiyun
Wo do hath bhaut yaad atey hain
Bhaut yaad atey hain

Tim to shaer ho kateel aur wo ik aam sa shakhs,

Tim to shaer ho kateel aur wo ik aam sa shakhs,
Us ne chaha bhi tumhen aur jataea bhi nahin.

Dreaming of you makes my night worthwhile,

Dreaming of you makes my night worthwhile,
Thinking of you makes me smile,
Being with you is the best thing ever,
And loving you is what I'll do forever..
Good night

Jo zann paasdari na kar saki apne baap ke naam ki

Jo zann paasdari na kar saki apne baap ke naam ki
Woh kya zamanat de gi tere maal o jaan ki…

Thande dimagh se soch, baat hai yeh itminaan ki
Mat kar woh kaam jo baayes-e-ruswayi hai tere khandan ki

Monday, September 24, 2012

Main tere hont k jiss till ko bahot chomata tha

Main tere hont k jiss till ko bahot chomata tha
Abb wo khawabon me chamakata hai sitare ki tarah

Pukaarti hain fursatain, Kahan gayi woh sohbtain,

Pukaarti hain fursatain, Kahan gayi woh sohbtain,
Zameen nigal gayi unhe ke asmaan kha gaya..

Tabeeb Kehte Hain Ke Bach Jaon Ga

Tabeeb Kehte Hain Ke Bach Jaon Ga,
Parheiz Ye Ke Use Bhoolna Ho Ga

Khud-kushi aaj na kar, mumkin hai

Khud-kushi aaj na kar, mumkin hai
Kal ka din aaj se behter aaye

Koi Kandha Ho Mayassar, Koi To Saath De Mera

Koi Kandha Ho Mayassar, Koi To Saath De Mera.!
Mujhe Toote Hue Ek Khuwab Ki Tad’feen Karni Hai

Log sab achey hain waqt hi acha nahin,

Log sab achey hain waqt hi acha nahin,
Zindagi se jo nikal jaye woh milta nahin..

Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Hath Pakr Kar Chalte,

Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Hath Pakr Kar Chalte,
Main Ne Mohabaat Main Yoon Tujh Pe Bharosa Kiya Tha..!!

Ye shaam ye sard hawa or ye Hijr ka aalam,

Ye shaam ye sard hawa or ye Hijr ka aalam,
Gumaan hota hai is baar DECEMBER maar daalega…..

Be-Khudi Be-Sabab Nahi’n ‘Ghalib’

Be-Khudi Be-Sabab Nahi’n ‘Ghalib’,
Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai…

Rehta hon jis zameen pe wohi oorh lon ga main

Rehta hon jis zameen pe wohi oorh lon ga main
Jae iman ik aur bhi hoti hai ghar k bad

Youn Hi Umeed Dilatay Hai Zamaney Walay,

Youn Hi Umeed Dilatay Hai Zamaney Walay,
Kab Lout Ka Aatay Hai Chor Ke Janay Walay..

Aey khaloos kaho ya hamari nadaani,

Aey khaloos kaho ya hamari nadaani,
Jo koi hans ke mila us se dosti karli..

Nigaah-e-qeher se dekha, Yehi ghaneemat hai

Nigaah-e-qeher se dekha, Yehi ghaneemat hai
Mujhe to aap se umeed iss qadar bhi na thi

Fasale aise bhi hon ge ye kabhi socha na tha

Fasale aise bhi hon ge ye kabhi socha na tha,
Samane betha tha mere aur wo mera na tha

Tumhain bhi dekh k hum zindagi k sehra mein

Tumhain bhi dekh k hum zindagi k sehra mein
Khilay huay hain kisi zakhm-e-aarzu ki tarha

Sunday, September 23, 2012

Wabasta meri yaad se kuch talkhian bhi thin

Wabasta meri yaad se kuch talkhian bhi thin,
Acha kia jo muj ko faramosh kar dia.

Main K Phir Dasht-E-Rafaqat Ka Safar Kar Aaya

Main K Phir Dasht-E-Rafaqat Ka Safar Kar Aaya
Kia Kahoon Kaisi Aziyat Say Guzar Aaya

Hansey woh laakh magar zabt-e-gham ki tehreeren

Hansey woh laakh magar zabt-e-gham ki tehreeren
Na chup saken gi ke chehra kitaab jesa hai

Taraz e kharam aisi koi sekh le sabah

Taraz e kharam aisi koi sekh le sabah,
Shakhon se phol phol se khoshbo juda na ho

Rukey to chand, Chale to hawaaon jesa hai,

Rukey to chand, Chale to hawaaon jesa hai,
Woh shakhss dhoop mein dekho to chaaon jesa hai.

Har daaman-e-wafa se lipatta mein kis liye

Har daaman-e-wafa se lipat ta mein kis liye
Aisa tou be-anaa mera dewana-pan na tha

Khared k humen arzan bana dia tum ne

Khared k humen arzan bana dia tum ne,
Jo hum bike nahin hote to be baha hote

Woh boli sardiyon mein suraj ki hiddat kabhi dekhi,

Woh boli sardiyon mein suraj ki hiddat kabhi dekhi,
Main bola tum ne mere ishq ki shiddat kabhi dekhi..

Aesa Na Ho Yeh Dard Bane Dard-e-La-Dawaa

Aesa Na Ho Yeh Dard Bane Dard-e-La-Dawaa
Aesa Na Ho Ke Tum Bhi Madaawa Na Kar Sako

Mila ke hath ik roz khud hi daman chura liya usne humse,

Mila ke hath ik roz khud hi daman chura liya usne humse,
Wohi shakhs jo kabhi aaghosh mein sony ki zid kia krta tha

Naseeb WalOn Ko Hoti Hay Wafa Naseeb

Naseeb WalOn Ko Hoti Hay Wafa Naseeb
Hum Khud He BadNaseeb To Muhabbat Ka Kya QusoOor…!!!!

Kitni lambi thi yeh umar apni magar

Kitni lambi thi yeh umar apni magar,
Dekhtey dekhtey mukhtasar ho gayi..

Ik roney se tu mill jaye to khuda ki Kasam

Ik roney se tu mill jaye to khuda ki Kasam
Is dharti pe sawan ki Barsaat laga doon …!

Jo mukhalif ajj hai mumkin hai kal hamdard ho

Jo mukhalif ajj hai mumkin hai kal hamdard ho,
Apne dushmin se bhi umed e wafa rakhta hon me

Hum khud hi baayes-e-azaar hain apne liye warna

Hum khud hi baayes-e-azaar hain apne liye warna
Na hum hotey, na dil hota, na dil aazaariyan hotin

Zikar chair daite hain jab gae zamanon ka

Zikar chair daite hain jab gae zamanon ka,
Wo bhi rone lagte hain hum bhi rone lagte hain

Le ke khat un ka kiya zabt bohat kuch lekin,

Le ke khat un ka kiya zabt bohat kuch lekin,
Thar’tharatey huye haathon ne bharam khol diya..

Door se andaaza mat karna mere halaat ka,

Door se andaaza mat karna mere halaat ka,
Behta sehraa hoon mere nazdeek akar dekh lo..

hum to hanstay hain dusro ko hansanay ki khatir

hum to hanstay hain dusro ko hansanay ki khatir,
warna dil pe zakham itne hain k roya b nahi jata..

Meri zindagi ko Rangon se bhar de jana

Meri zindagi ko Rangon se bhar de jana
mujhe apna bana kr ly chal kahin

Qafas se le k chaman tak hai aik hi alam

Qafas se le k chaman tak hai aik hi alam,
Wo habas hai k hawa me bhi ghut k mar jaon

MjHse Giley Hen MujHpe

MjHse Giley Hen MujHpe
Bharosa Nai usy

Yeh Soch Kr Hmne bHI To
Roka Nai Usy

Wo Shaks Kbi Chand Sitaro
Se Ye Pochy

Ha Konsi Wo Raat Jb Socha
Nai Usy

Alfaz Teer Ban K Utrty Rhe Dil
Me

Sunty Rhe Chup Chap Hi
Toka Nai Usy

SAHIL YeH Muhabat Nai
AsooL_E_Wafa Hai

Hm Jaan To Den Gy Magr
Dhoka Nahi Usy

Ramadan is a month of Allah

Ramadan is a month of Allah
Whose beginning is
Mercy
Whose middle is
Forgiveness
Whose end is Freedom from Fire

Saturday, September 22, 2012

Woh humain jab tak nazar aata raha taktey rahe,

Woh humain jab tak nazar aata raha taktey rahe,
Geeli aankhon, ukhrrey lafzon se duaa dete huye..

Phir Usi Shakhs se Umeed-e-Wafa

Phir Usi Shakhs se Umeed-e-Wafa,
Aye Dil, Tujhe Izzat Raas Nahi???

Kisi din tez barish mein

Kisi din tez barish mein
Agar tum bheeg jao to
Agar barish ke ye qatre
Tumhari zulf ko chhu kar
Tumhare gaalon ko chumein
Agar barish ke pani se
Agar thandi hawaon se
Kisi purzor jhonke se
Meri jaan jhoom jao to
Mujhe tum yaad kar lena
Agar khwahish ho aise mein
Koi sathi ho bahon mein
Jo chhere zulf ko teri
Tere rukhsar ko choome
Tu jhoome us ki bahon mein
Teri bahon mein woh jhoome
Mujhe tum yaad kar lena
Mujhe tum yaad kar lena

Pigalana shamah ka daikha hai barha lakin

Pigalana shamah ka daikha hai barha lakin
Adaam ki sokhta jani ka hall kia kahiye

Gul charhaingy lehed per jin se umeed thi

Gul charhaingy lehed per jin se umeed thi
Wo bhi pathar rakh gaye seenay pe dafnanay k baad

Abhi to tujhe chand lafzon mein samaitta hai

Abhi to tujhe chand lafzon mein samaitta hai,
Abhi meri kitabon mein teri tafseer baki hai..

Tujhe Barbaad Kar Dun G

Tujhe Barbaad Kar Dun Gi, Abhi Bhi Laut Jaa Wapis,
Mujhe Qatil Bhi Kehtey Hain, Mohabbat Naam Hai Mera

Ho umr-e-khizar bhi to kahaingy ba-wakt-e-marg

Ho umr-e-khizar bhi to kahaingy ba-wakt-e-marg
Hum kia kar rahy yahan, abhi aaye abhi chalay. . !

Pegham E shok ko itna taveEL na krna qasid

Pegham E shok ko itna taveEL na krna qasid!!!!!
bus itna kehna k…..AANKHEN taras gai hain!!!!

Zehan chalni jo kia hai to ye majbori hai

Zehan chalni jo kia hai to ye majbori hai,
Jitne kante hain wo talaon me paraon kaise

main wo saaf hi na kah dn jo frq tujhe main mujh main

main wo saaf hi na kah dn jo frq tujhe main mujh main
tera drd, drd tanhaa, mera gham, gham-e- zamana

Main tu bik Jaon teray naam Pe mout ki tarha wasi,

Main tu bik Jaon teray naam Pe mout ki tarha wasi,
Tou kabi kharidar tu ban ke aa zindagi ke Bazar main!

mai shayar nahi na shayri se hai mera waasta koi.

mai shayar nahi na shayri se hai mera waasta koi. . .
bas aansuon se hai dosti aur kalam mera yaar hai. .

Juda hoe han bahot log aik tum bhi sahi

Juda hoe han bahot log aik tum bhi sahi
Aab itni bat pe kia zindagi haram karain

Mere ishq se mili hai tere husn ko yeh shohrat,

Mere ishq se mili hai tere husn ko yeh shohrat,
Tera zikr hi kahan tha meri dastaan se pehle..

vo ek mulaaqaat may hairaan kar gayaa

vo ek mulaaqaat may hairaan kar gayaa
vo bazm se gayaa aur viiraan kar gayaa

Friday, September 21, 2012

Wo yaas ka alam hai k har aik nazar par

Wo yaas ka alam hai k har aik nazar par
Mehsos ye hota hai judai ki ghari hai

Toota hy zoor teir hawaon ka akhirsh

Toota hy zoor teir hawaon ka akhirsh
ye or baat kitny parindon par gay

Kya jaaniye kab kon nishaana banaye mujhe,

Kya jaaniye kab kon nishaana banaye mujhe,
Dartaa hoon ke dunyaa main mere yaar bohat hain..

Pheela hai itna husan k us kainaat me

Pheela hai itna husan k us kainaat me,
Insan ko bar bar janam lena chaheye

Dil to mera udaas hai Nasir

Dil to mera udaas hai Nasir
Yeh sheher kyon sayen sayen karta hai

Chaandni, phool, hawaa, jaam, sitare, khusbhuu

Chaandni, phool, hawaa, jaam, sitare, khusbhuu
Zeher ke naam hain, jiss shab nahin hota koi

rok lo qadam jee bhar ke dekhlo

rok lo qadam jee bhar ke dekhlo
hamara tumhara saath bas yahin tak tha

manzil mile na mile ab hamari kismat
ke zindagi ke saath safar bas yahin tak tha

tum chal nahi sakte is se aage ek qadam
ruk jao ke phoolon ke chaman yahin tak tha

aage arahe hain gham mujh se milne gale
ke apni khushiyon ka thikana bas yahin tak tha

uttho aur naye hamraahi talash karo
ke yeh khuwaab suhana bas yahin tak tha

Shikwe to buhat hain magar shikayaat nahi kar sakte

Shikwe to buhat hain magar shikayaat nahi kar sakte
Mere honton ko ijazaat nahi tere khilaaf bolne ki..!!

Raas kyon dosti kisi ki ayi na humko,

Raas kyon dosti kisi ki ayi na humko,
Hum ne har taur se nibhaa kar dekhi..

Aaya na aik baar ayyadat ko wo maseeha,

Aaya na aik baar ayyadat ko wo maseeha,
So baar hum faraib se beemar ho gaye..

Kia Zaroori Hai Ke Hum Haar Ke Jeetien Tabish

Kia Zaroori Hai Ke Hum Haar Ke Jeetien Tabish
Ishq Ka Khel Baraber Bhi To Ho Sakta Hai,,,

Badle to nahin hain woh dil-o-jaan ke qarinay,

Badle to nahin hain woh dil-o-jaan ke qarinay,
Ankhon ki jalan, Dil ki chubhan ab bhi wohi hai..

Main Apne Aap Ko kahin Adhura Sa Mehsoos karta Hoon

Main Apne Aap Ko kahin Adhura Sa Mehsoos karta Hoon
Na jane Kon Chor Gaya Hai Mujhe Tameer Karte Karte

Mere liye to wo khan’jar bhi phool ban ke uthaa

Mere liye to wo khan’jar bhi phool ban ke uthaa,
Zabaan sakht thi, lehjaa magar karakht na tha.

Meri ankhon se kabhi ik ashk tak na tapka tha

Meri ankhon se kabhi ik ashk tak na tapka tha,
Tum bhi de jao ge dhoka yeh bhi na socha tha..

Mere daaman mein sharaaron ke siwaa kuch bhi nahi,

Mere daaman mein sharaaron ke siwaa kuch bhi nahi,
Aap phoolon ke kharedaar nazar aatey hain..

Eh tan sacche rabb da hujara, khiddiyaan baagh bahaaraan hu

Eh tan sacche rabb da hujara, khiddiyaan baagh bahaaraan hu
Viche koonjhe, viche massaley, sajade diyaan hazaaraan hu
Viche kaaba viche kibala, ilallaa pukaaraan hu
Kaamil murshad mileya baahu, aape laisi saaraan hu

Chand Masoom Se Patton Ka Lahuu Hai Mohsin

Chand Masoom Se Patton Ka Lahuu Hai Mohsin
Jis ko Mehboob ke Hatho’n Ki Hina Kehtay Hain

Jab bhi kehta hoon koi taaza ghazal tere liye,

Jab bhi kehta hoon koi taaza ghazal tere liye,
Mere ehsaas mein khilte hain kanwal tere liye..

Humain khud apne hi yaaron ne kar diya ruswaa,

Humain khud apne hi yaaron ne kar diya ruswaa,
Ke baat kuch bhi na thi aur wazaahtain thi bohat..

Tumhe to zabt-e-mohabbat ka itna daava tha,

Tumhe to zabt-e-mohabbat ka itna daava tha,
Yeh ashkk kese teri aankh se dhalak aaya..

Is Qeht-e-Dosti mein koi mujh se kya miley,

Is Qeht-e-Dosti mein koi mujh se kya miley,
Khud apne aap ko bhi muyassar nahi hoon mein..

Baahu baag bahaaraan khidiyaan,nargis naaz sharam da hu

Baahu baag bahaaraan khidiyaan,nargis naaz sharam da hu
Dil vich kaaba sahi kitouse, ppakon paak param da hu
Taalib, talab, tawaaf, talaami, hubb, hazoor, haram da hu
Geya hajaab theeusey haaji, bakhshash raah karam da hu

Katrata Raha Wo Mujh Se Har Dam,

Katrata Raha Wo Mujh Se Har Dam,
Mujhe Dekh Raste Badal Diya Karta Tha,
Aaj Uski Yaad Aai To Kisi Ne Kaha,
Wo Aksar Mujhe Hi Dhoonda Karta Tha...

Tota tu ho magar abhi bikhra ny faraz

Tota tu ho magar abhi bikhra ny faraz
mery badan pay jesy shikaston ka jaal ho

Nikal Aaye Idhar Janab Kahan

Nikal Aaye Idhar Janab Kahan
Raat Ke Vaqt Aaftab Kahan

Meri Aakhein Kisi Ke Aansoo Hain
Varna In Pathron Mein Aab Kahan

Seb Khile Hain Kisi Ke Gaalon Per
Is Baras Bagh Mein Gulab Kahan

Mere Hothon Pe Teri Khushboo Hai
Chhoo Sakegi Inhe Sharab Kahan

Thursday, September 20, 2012

Unhen mujhse mohabat ho rahi thi

Unhen mujhse mohabat ho rahi thi
Na khulti Aankh to bas ho gai thi

Hansey woh laakh magar zabt-e-gham ki tehreeren,

Hansey woh laakh magar zabt-e-gham ki tehreeren,
Na chup saken gi ke chehra kitaab jesa hai..

Us waqt intizaar ka Aalam Na pochiye

Us waqt intizaar ka Aalam Na pochiye
jab keh raha ho koi Bas Aa raha hoon main

Day by day teri khusiya ho jaye Double

Day by day teri khusiya ho jaye Double,
Teri zindagi se delete ho jaye sare Trouble,
Khuda rakkhe humesha tujhe Smart & Fit,
Teray liye New Year ho Super-Duper Hit!!

Koi Batalao Ke Ik Umr Ka Bechara Mehboob

Koi Batalao Ke Ik Umr Ka Bechara Mehboob
Ittefaqan Kahin Mil Jaye To Kya Kahte Hain??

Aziz Umer Ka Ek Aur Baab Beet Gaya

Aziz Umer Ka Ek Aur Baab Beet Gaya…
Jaheiz Ban Na Saka, Aur Shabaab Beet Gaya

Zindagi Ke Kitab – Shayari In Urdu

Zindagi Ke Kitab – Shayari In Urdu

Ye Jo Zindagi Ke Kitab Hai Ye Kitab Bhi Kya Kitab Hai
Kaheen Ik Hasin Sa Khwab Hai Kaheen Jan-leva Azab Hai
Kaheen Chanv Hai Kaheen Dhup Hai Kaheen Aur Hi Koi Rup Hai
Kai Chehare Is Mein Chupe Hue Ik Ajeeb Si Ye Naqab Hai
Kaheen Kho Diya Kaheen Pa Liya Kaheen Ro Liya Kaheen Ga Liya
Kaheen Chin Leti Hai Har Khushi Kaheen Meharaban Behisab Hai
Kaheen Aansuon Ke Hai Dastan Kaheen Muskurahaton Ka Bayan
Kaheen Barqaton Ke Hai Barishen Kaheen Tishnagi Behisab Hai

Teri nigaah mein ek rang e ajnabiyat tha

Teri nigaah mein ek rang e ajnabiyat tha
Kis aitbar pe hum khul ke guftugu karte

Justaju jis ki thi, us ko to na paya hum ne,

Justaju jis ki thi, us ko to na paya hum ne,
Iss bahaney se magar dekh li dunyaa hum ne..

Ek Muddat Se Teri Yaad Bhi Aayi Na Hamain,

Ek Muddat Se Teri Yaad Bhi Aayi Na Hamain,
Aur Ham Bhool Gaye Hon Tujhe Aisa Bhi Nahi..

If 10 people care 4 u

If 10 people care 4 u, one of them is me, if 1 person cares 4 u that would be me again, if no 1 cares 4 u that means i m not in this world.

masjid to bana di shab bhar main eeman ki hararat walon ne

masjid to bana di shab bhar main eeman ki hararat walon ne
mann apna purana paapi tha barson main namazi ben na saka

Wednesday, September 19, 2012

Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujhko

Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujhko,
Sametni theen jisy meri kirchiyan Mohsin

Sadak o safae qalab se mehrom hai hayat

Sadak o safae qalab se mehrom hai hayat
Karte hain bandagi bhi jahanam k dar se hum

Tafseel se kese sunaain ye qisa muhabbat ka

Tafseel se kese sunaain ye qisa muhabbat ka
K tum masroof ho ab tak humain barbaad krny me

Kab mehkti he bhala raat ki RAANI din men

Kab mehkti he bhala raat ki RAANI din men
Shehr soya to teri yaad ki khushboo jagi

Jab talak door hai to teri pursatish kar lain

Jab talak door hai to teri pursatish kar lain
Hum jise choo na sakain us ko khoda kehte hain

Kahin yeh tark-e-mohabbat ki ibtidaa to nahin

Kahin yeh tark-e-mohabbat ki ibtidaa to nahin
Woh mujh ko yaad kabhi is qadar nahin aaye

Fizaa main dil dharakne ki sadaa hai

Fizaa main dil dharakne ki sadaa hai
Koi mojood hai yahan mere siwaa bhi

Kaise paea tha tuje phir kis tarah khoya tuje

Kaise paea tha tuje phir kis tarah khoya tuje
Muj sa munkir bhi to qael ho gea takdeer ka

December ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai,

December ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai,
Aghaaz-e-shaam hi se yaadon ke baadal chaa gaye..

Naseehat roz bikti hy aqeedat roz bikti hy

Naseehat roz bikti hy aqeedat roz bikti hy
Tmhary sheher mein logo’n mohabbat roz bikti hy

Ameer-e-sheher k darr ka abhi mohtaj hy mazhab
Abhi mulla k fatwo’n mein shariyat roz bikti hy

Humary khuun ko bhi wo baich daale ga
Khareedaro’n k jhurmat mein adalat roz bikti hy

Najane kia lutf milta hy un ko roz bikne mein
Tawaif ki terha qayadat roz bikti hy

Kabhi masjid k mimbar pr kabhi hujrey mein chup chup k
Mere waa’ez k lehje mein qayamat roz bikti hy

Barii la’chaar hyn jabeenei’n inn ghareebo’n ki
K majbuuri ki mandii mein ibaadat roz bikti hy… !

Sheher mein humdum puraaney bohat they Nasir,

Sheher mein humdum puraaney bohat they Nasir,
Waqt parrne pe mere kaam na aaya koi..

Dil tumhare sheher se bahar kahin lagta nahin

Dil tumhare sheher se bahar kahin lagta nahin
Umar guzri hum inhin galiyon ke ho ke reh gaye

Shayed tumhare sath bhi wapiss na aa sakain

Shayed tumhare sath bhi wapiss na aa sakain
Woh hausley jo saath tumharey chale gaye

Thukra dia hai jis k lie ik jahan ko

Thukra dia hai jis k lie ik jahan ko,
Ya raab wo mera dil na dukhae tamam umer

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi
Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi

Apni Nakaam Mohabbat Ka Na Yun Charcha Karo
Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi

Phir Zamanay Mein Kisi Ne Ose Dekha Na Suna
Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi

Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay
Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi

Hosh apna bhi aye ga lekin pehle

Hosh apna bhi aye ga lekin pehle,
Dil teri yaadon se rihaa to ho..

Tu dil pe bojh leke mulaaqaat ko na aa

Tu dil pe bojh leke mulaaqaat ko na aa
Milna hai is tarah to bicharrna qabool hai

zalzalay younhi Besabab nahi atay Faraz

zalzalay younhi Besabab nahi atay Faraz
Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga...

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar ?eitabaar hota

Tuesday, September 18, 2012

Jo buraayi mere naam se mansoob huyi

Jo buraayi mere naam se mansoob huyi,
Dosto! kitna bura tha mera acha hona..

Haram ki azmaton ki kia haqeqat samne us k,

Haram ki azmaton ki kia haqeqat samne us k,
Wo dil jis me kisi insan ki tesveer hoti hai.

Chehekte bolte sheheron ko kya hua Nasir

Chehekte bolte sheheron ko kya hua Nasir
Ke din ko bhi mere ghar mein wohi udaasi hai

Bila Jawaz Rakhein Khud Ko Beqarar Bhi Kion

Bila Jawaz Rakhein Khud Ko Beqarar Bhi Kion
Jo Tu Nahin To Phir Tera Intezar Bhi Kion

Akele Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai
To Phir Ae Wada Shikan Teri Rehguzar Bhi Kion

Usey Ganwa Ke Raha Ab Khizaon Ki Zad Mein
Jo Woh Nahin To Phir Mosam-E-Bahar Bhi Kion

Sakoot Lab Par Aankhon Mein Intezaar Liye

Sakoot Lab Par Aankhon Mein Intezaar Liye,
Har Aik Shaam Teri, Aarzu Rahi Mujh Ko

Qateel muj ko bura us ne keh dia bhi to kia

Qateel muj ko bura us ne keh dia bhi to kia
Yahi bahot hai muje yaad kar raha tha koi

Monday, September 17, 2012

Ye Baarisho?n K Mausam

Ye Baarisho?n K Mausam

Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta

k Mohabbato?nMain Baarish

Bari Lazmi Si Shey Hy

Chahey Aasman Se Barsey

Chahey Chashm-e-Nam Se

Aye khuda kar de us shak ke hawale mujh ko

Aye khuda kar de us shak ke hawale mujh ko
Ke apne seene se woh ik bar laga le mujh ko
Bikhar gaya hoon toot kar kai tukaroon main
De usse taufeeq ke a kar sambhale mujh ko
Ya toh us ka saath ataa kar umer bhar ka mujh ko
Ya tu chup chap apne pass bhula le mujh ko

Phool hoon gulaab ka chambeli ka nahi

Phool hoon gulaab ka chambeli ka nahi,
Ashiq hoon apka, apki saheli ka nahi :P

Naam le ke tera log mujh se pujh rahy hain kia kia

Naam le ke tera log mujh se pujh rahy hain kia kia
main dar rahi hun kahi mujh se HAAN na ho jae

I am out of words

I am out of words, its seems as if my word bank have gone bankrupt. I cant find d word dat says I luv u more than nothing but much! I luv U

Tum Meri Kashti Ke Musafir Nahi

Tum Meri Kashti Ke Musafir Nahi
Tumhe Jaana Kahi Aur Hai
Main Tanha Hu Es Safar Me
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai

Mera Jism Zakhmo Se Hai Chalni
Meri Ruh Ka Bhi Pata Nahi
In Viraniyo Ke Aalam Me
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai

Maine Joda Tha Ek Karvaan
Ek Ek Kar Sab Bichad Gaye
Bas Mujhi Ko Manzil Na Mili
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai

Maine Pyar Unse Kiya Bohot
Par Hath Me Aaya Kuch Nahi
Bewafao Ki Is Basti Mein
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai

Aankho Mein Ab Neend Nahi
Aansu Bhi Hai Sukh Chuke
Koi Raasta Dikha Do Mujh Ko
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai

Wo Gaya Yuh To Dur Hai
Par Aayega Ek Din Zarur
Kamsin Ab Ke Use Keh Dena
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai

Yuh Raah Me Na Choda Kare
Raasta Bohot Kathin Hai
Waqt Aur Na Barbaad Kare
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai

Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai

Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai
Dosti Khilte Phool Ki Khushbu Mein Hai

Dosti Ugte Suraj Ki Kirno Mein Hai
Dosti Har Naye Rishte Ki Umeed Hai

Dosti Khwaab Hai, Dosti Jeet Hai
Dosti Pyaar Hai, Dosti Geet Hai

Dosti Sang Chalti Hawaaon Mein Hai
Dosti In Barasti Ghataaon Mein Hai

Dosti Doston Kiwafaaon Mein Hai
Haat Utha Kar Jo Maangi Hai Dua

Dosti Ka Asar In Duaaon Mein Hai
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai

Do gharri pyar ki karain batain,

Do gharri pyar ki karain batain,
Dil jalaaney ko umar saari hai..

Sunday, September 16, 2012

Koi maazi hai, na farda hai na imroz koi

Koi maazi hai, na farda hai na imroz koi
Meri bhujti huyi ankhon mein koi khawb nahin

Jao dunya se kaho, loot li baazi tumne
Nasiro jashan karo haar gaye dil waley

Khawhish zeest saredaar karo sheher ke bech
Aur is katal per raqsaan raho taa-marg sabhi

Jao be-fikr raho aur manadi kardo
Ab koi raat kabhi subah ka peiman nahin bandhey gi

Koi tareeki kisi noor ki khawhish nahin karpayegi
Ab koi subah neyi subah nahin kehlaaye gi

New Year begins, let us pray

New Year begins, let us pray,
that it will be a year with new Peace,
New Happiness, and abundance of new friends,
God bless you through out the new Year.

Y do we close our eyes wen we sleep

Y do we close our eyes wen we sleep - wen we dream, wen we kiss? dis is becoz the most precious thing in the world is unseen. Wen i close my eyes i c u!

Ager Wo Zindagi Mein Faqat Ik Baar Mera Ho Jata

Ager Wo Zindagi Mein Faqat Ik Baar Mera Ho Jata,
To Mein Zamane Ki Kitaabon Se Lafz Bewafai Hi Mita Deta

Shoq kehta hai k har jisam ko sajda kijiye

Shoq kehta hai k har jisam ko sajda kijiye
Ankh kehti hai to ne abhi daikha kia hai

Taaqat nahi mujh me k usy dunia se cheen lon

Taaqat nahi mujh me k usy dunia se cheen lon
Lekin khuda se maangny ka haq to hai mujhe

Woh rula kar hans na paya der tak

Woh rula kar hans na paya der tak
jab mein ro kar muskuraya der tak

bhoolna chaha kabhi us ko agar
aur woh yaad aya phi der tak

be-sakhta mein khud hi hanss parra
us ne is darja rulaya der tak

bhookey bachon ki tasali ke liye
maan ne phir paani pakaya der tak

gungunata howa ja raha tha ik fakeer
dhoop rehti hai na saaya der tak

kal andheri raat mein meri tarah
ik jugnu jagmagaya der tak

Saturday, September 15, 2012

Dekha nahi shayed tu ne abhi zamaney ke mizaaj ko

Dekha nahi shayed tu ne abhi zamaney ke mizaaj ko
Yeh wafaa wafaa karne waley aksar bewafa hote hain

Usay Ye Kon Samjhaye

Usay Ye Kon Samjhaye

Wo Dasht-e-Khamoshi Mein

Ungliyon Mein Seepiyan Pehne

Kisi Sookhey Samandar Ki Adhoori Pyaas Ki Baatein

Bohat Chup Chaap Sunta Hy

Bohat Khamosh Rehta Hy

Usay Kon Ye Samjhaye

Khushi k Ek Aansuu Se

Samandar Bhar Bhi Jaty Hyn

Bohat Khamosh Rehny Se

Ta?aluq Marr Bhi Jaty Hyn

na jana kah dunia sa jata hai koi

na jana kah dunia sa jata hai koi
bohat dair ki muharbaan aatay aatay

Sub chandani se khosh hain kisi ki khabar nahin

Sub chandani se khosh hain kisi ki khabar nahin
Phaya hai mahtab ka gardon k ghao par

Buht tote hoe hein hum abi dastak nahi dena

Buht tote hoe hein hum abi dastak nahi dena
humari ankh ha purnam abi dastak nahi dena

mere yaro abi kuch din mere ahwal matt pocho
abi dil mein ha uska gham abi dastak nai dena

Shab-e-tanhaie mein tarpna ha buht mujko
abi ha dard kuch madham abi dastak nahi dena

Tarap kr dil mera mujh se kehne lga

Tarap kr dil mera mujh se kehne lga
Na hota main... na tu barbad hota

Dil woh nagar nahin ke phir abaad ho sakey,

Dil woh nagar nahin ke phir abaad ho sakey,
Pachhtaao ge suno! yeh basti ujaarr kar ..

Ibtadaae ishq hai rota hai kya

Ibtadaae ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya.

Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil ham chale sota hai kya.

Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya.

Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya.

Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigaan khota hai kya

Friday, September 14, 2012

Tum Ne Poocha Hai ke Dukh kiya Hota Hai

Tum Ne Poocha Hai ke Dukh kiya Hota Hai
To Suno.....
Aisa Karna
Kabhi kisi ko Chahna
aur Chahate Hi Rehna...
Din Bher uss ko Sochte hi Rehna....
Apne Haath ki Lakeeron mein uss ka Naam Tarashte hi Rehna...
aur Jab kabhi Wo,
in Riyazaton ka Hisaab Mangne ke Liey,
samne aaey to .......
Tum "ANAA" ka Hath Thaam Lena.
Ager Wo kuch kahey to,
Muskura ker Anjaan Ban Jana.
Aur Jab Wo Mayoos Ho ker Laut Jaey to...

Apne Ander Jhankna,
aur,
Khud se Poochna .....
Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey ga,
Ke....
Dukh kisko kehtey Hain.
aur...
Dukh kiya Hota Hai.

Guzar na jaye kahin umar ehteyaaton main

Guzar na jaye kahin umar ehteyaaton main,
Jo kaam karne hain woh deewana-war* kar daloon..

All i want you is to be courageous

All i want you is to be courageous
Be calm and
be self equipped with facts and figures
to conquer this exams battle.

I wish you is best of luck in your exams

My husband has d habit of talking in sleep! wat shud i giv him to cure?

A Lady to Doctor:
My husband has d habit of talking in sleep! wat shud i giv him to cure?
Dr: Give him an Opportunity to speak wen hez awake

Mere naseeb main likha tha yeh muqaam

Mere naseeb main likha tha yeh muqaam
Har suu tere khayal ki dunya hai, tu nahin

Thursday, September 13, 2012

Tujh me bhi kuch adaayain khawhish’mandana aa gayin

Tujh me bhi kuch adaayain khawhish’mandana aa gayin,
Tujh se bhi bad’gumaan hain aye dil-e-deewana him..

Teri Ghaflaton Ko Khabar Kahan, Mere Haal-e-Dil Pe Nazar Kahan,

Teri Ghaflaton Ko Khabar Kahan, Mere Haal-e-Dil Pe Nazar Kahan,
Tu Jafa Ki Had Mein Na Aa Saka, Me Wafa Ki Had Se Guzar Gaya…!

Saray raah jo unsay nazar mili?

Saray raah jo unsay nazar mili?
To Naksh dil kay ubhar gaye?
Hum nazar mila kar jhijag gaye?
Vo Nazar jhuka kar chale gaye?

Kis raat ki aankhon main paiman-e-sahar ho ga

Kis raat ki aankhon main paiman-e-sahar ho ga
Ye khwaab jo kompal hai, kis rutt main shajar ho ga

Aanchal ki hawa rakhna, loo iss ki bacha rakhna
Yay shama jidhar ho gi, parwana udhar ho ga

Jab raat kay parday say phir raat nikal ayay
Uss waqt kidhar jayay, jo ehhl-e-nazar ho ga

Tareekh kay chakar main wo morh nahi aata
Jab shaad makee.n hon gay, aabaad nagar ho ga

Bujhtay huay taroon ki jhilmil bhi ghaneemat hai
Iss tehri hui shab main, kuch wehm-e-safar ho ga

Afkaar pay pehra hai, qanoon yay tehra hai
Jo sahib-e-izzat hai wo shehr-e-badar ho ga

Mehsoos yay hota hai, har jalta hua tara
Guzray huay waqton main ik zakhm-e-safar ho ga

Sehmay huay panchi ki awaaz batati hai
Uss ka bhi yaheen koi, jalta hua ghar ho ga

Wednesday, September 12, 2012

Bholay hain rafta rafta unhe mudatton me ham,

Bholay hain rafta rafta unhe mudatton me ham,
Qiston me khudkushi ka maza koi ham se pochy..

who always had a smile for me

For the best mom
who always had a smile for me
I know we may be far apart right now
So here's a great big hug and kiss
Happy Mother's Day

Kab Kaun Kisi Ka hota hay

Kab Kaun Kisi Ka hota hay
Koi khuwab na pura hota hay

Sab jhutay rishtay natay hain
Sab dil rakhnay ki batein hain

Kab kaun kisi ka hota hay
Apna hi qarb samjhte hain

Kab kaun kisi k dard ko ab
Apna hi dard samjhta hay

Kab aankh sey tapkay ansoo ko
Koi palkon sey ab chunta hay

Kab aisi kirchiyan chun ney ko
Koi khud ko zakhmi karta hai

Kab kiss sey piyaar nibhaney ko
Koi angaroon pey chalta hay

Sab dil rakhnay ki batein hain
Kab kaun kissi ka huta hay

Muun chupaaye huye guzra hai idhar se jo woh aaj

Muun chupaaye huye guzra hai idhar se jo woh aaj
Us ki aankhon mein koi zakham neya lagtaa hai

I hope that you finally understand

I hope that you finally understand, that I will love you untill the end, because your not just my girl, you are also my best friend!

Rote Hain Tanha Dekh Kar Mujhe Wo Raste

Rote Hain Tanha Dekh Kar Mujhe Wo Raste,
Jin Par Tere Baghair Hum Guzre Kabhi Na The

Dil-o-dimagh mutfiq na huye Pak-o-hind ki tarah,

Dil-o-dimagh mutfiq na huye Pak-o-hind ki tarah,
Yeh mohabbat mujhe masla-e-kashmir lagti hai..

Mujhe Bhi Sikha Do Bhool Jane Ka Huner

Mujhe Bhi Sikha Do Bhool Jane Ka Huner,
Mujh Se Raaton Ko Uth Uth Kar Roya Nahi Jata

Himat nahi hai k Daastaan-e-zindagi apni suna sakein

Himat nahi hai k Daastaan-e-zindagi apni suna sakein
Mukhtasar suno jis ne bhi Dil tora ji bhr K tora

Tuesday, September 11, 2012

Falsafe Zindgi Ke Hai Pecheeda Itne Ki

Falsafe Zindgi Ke Hai Pecheeda Itne Ki
Chalne Se Pehle Meri Raahe Bikhar Jati Hai
Hazaar Zakhmo Ke Baad Ab Ye Aalam Hai
Ishq Ke Naam Se Hi Meri Rooh Sihar Jati Hai

Naya Saal Mubarak Kia Bharosa

Naya Saal Mubarak

Kia Bharosa
Mobile Ka
Battery ka
Charger Ka
Network Ka
Balance Ka
Life ka
Time Ka

Is Liye Meri Taraf Se
Advance Main
"Naya Saal Mubarak"

Main jinki rah takta hon na jany kitny arsy se

Main jinki rah takta hon na jany kitny arsy se
Koi un se zara pochy wo milny Q nahi aye

Shabb ki tanhai mein gungunaati rahin,

Shabb ki tanhai mein gungunaati rahin,
Beeti batain mujhe yaad aati rahin..

mera dard nagma-e-besada

mera dard nagma-e-besada
meri zat zara-e-benishan
mere dard ko jo zuban mile
mujhe apna nam-o-nishan mile
meri zat ko jo nishan mile
mujhe raz-e-nazm-e-jahan mile
jo mujhe ye raz-e-nihan mile
meri khamoshi ko bayan mile
mujhe qayanat ki sarwari
mujhe daulat-e-do-jahan mile

Itni Shidat Se Mujhe Us Shakhs Ne Manga Nadeem

Itni Shidat Se Mujhe Us Shakhs Ne Manga Nadeem
Dushmani Ke Bawjood Inkaar Ki Surat Na Thi

Dil Munafiq Tha, Shab-e-Hijar Mein Soya Kese

Dil Munafiq Tha, Shab-e-Hijar Mein Soya Kese
Aur Jab Tujh Se Mila, Toot Ke Rooya Kese

Monday, September 10, 2012

Jo Main Sar-ba-Sajda Hua Kabhi Toh Zameen se aaney Lagi Sada

Jo Main Sar-ba-Sajda Hua Kabhi Toh Zameen se aaney Lagi Sada
Tera DiL toh hai Sanam Aashna..Tujhey Kya Milega Namaaz Main

Be-faiz Mushilat Aisa BHi Hota hai

Be-faiz Mushilat Aisa BHi Hota hai
K Rehjaan Ko Ameer Karavaan Kehta Hi Parta Hai

Eid is a celebration for Muslims to celebrate

Eid is a celebration for Muslims to celebrate
Eid is time to say Eid Mubarak and pray
Some Muslims give money to their children and say Eid Mubarak
Some Muslims go to their friend and neighbors
Some people give money to other children,
Eid Mubarak…

Wafa Ki Laaj Main Usko Mana Letey to asha tha

Wafa Ki Laaj Main Usko Mana Letey to asha tha
Ana key jang main aksar judaie jeet jatee hey

Zaheer ik rishta o washat lie phirta hai majno ko

Zaheer ik rishta o washat lie phirta hai majno ko
Wagar na koi apne app sehra main nahin rehta

Ye simat-te saye na janey kia piyam laye hain

Ye simat-te saye na janey kia piyam laye hain
Lagta hai band gali may dhalti shaam laye hain

Poocha tha kal mai ney shab key andheraypan se
Kiyun utar key meri rooh may sar-e-shaam aye hain

Safr tu kat sa gayea justujo-e-laa-haasil may
Ab baalon may dhoop saja kar koun se muqaam aye hain

Ujratoon pe wafaon ka soda tu kabhi na kiyea
Tu phir ye shab-e-hijr ki tawaalat kia likhwa kar taqdeer-e-mubaram laye hain

Humain ishq tha sadaa tarapne se sisakney se jaanan
Kuch sooch kar hi kehanch kr sazaon ko dar-o-baam laye hain

Kiyon ansoo beh gaye aaj bina teri yaad aaye

Kiyon ansoo beh gaye aaj bina teri yaad aaye

Kiyon bewajah itni shidat se hum roye

Badhi der tanhai mein baithe rahe

Shayad rone ka sabab yaad aa jaye.

Sawaal kiya,ae dil bata,bina uski yaad aaye

Aaj kiyon ansoo beh gaye?

Dil ki gehrahiyon se ik awaaz aaye

Mian yeh ansoo tere nahin

Tere yaar ke hain,tere pyaar ke hain

Jisse na jaane kiyon aaj tum bahaut,bahaut yaad aye

If you are cold at night,

If you are cold at night,
let the promise of my
love cover you like a
'warm blanket'

Chahoon to mere pass hai har baat ka jawab,

Chahoon to mere pass hai har baat ka jawab,
Chahoon ga aik roz, abhi chaaha nahin..

Zinda Hoon Mein Abhi, Ehsaas Toh Dialao Mujhe

Zinda Hoon Mein Abhi, Ehsaas Toh Dialao Mujhe,
Agar Muskuraata Nahi Toh, Koi Rulao Mujhe.

Chal Pada Hoon Ajnabi Se Raahon Par,
Kabhi Toh Aawaaz Dekar Bulao Mujhe.

Intezaar Karti Rahi Meri Aankhen Unke Aane Ka,
Ab Na Aayenge Woh, Koi Toh Samjhao Mujhe

Sunday, September 9, 2012

Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho,

Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho,
Hath hathon mein tera ho, shaam ho,

Khauf ata hai mujhe us waqt se,
Raasta na mil raha ho, shaam ho,

Kis qadar be’kaif guzre gi woh shaam,
Tu mujhe bhoola hua ho, shaam ho,

Kyon na shiddat se mujhe yaad aye gaao’n,
Sheher ka banjar’pana ho, shaam ho,

Ho rahi ho teri tasveeron se baat,
Tera khat khola hua ho, shaam ho,

Sardiyaan, barish, hawaa, chaaye ka cup,
Woh mujhe yaad aaraha ho, shaam ho,

Dard o gham ki dhund mein liptaa hua,
Qaafila sa chal para ho, shaam ho,

Ya’ilahi aese lamhe se bachaa,
Woh kabhi mujh se khafaa ho, shaam ho,

Ik yehi khawhish na puri ho saki,
Tu kalejey se laga ho, shaam ho..

Lo Aaj Hum Tum Se Nikah-e-Ishq Karte Hain

Lo Aaj Hum Tum Se Nikah-e-Ishq Karte Hain,
Hamein Tum Se Mohabbat Hai, Mohabbat Hai, Mohabbat Hai

Tujhe Jo Maloom Hote Wafa Ke Rasm-o-Rawaj Sary

Tujhe Jo Maloom Hote Wafa Ke Rasm-o-Rawaj Sary,
Mohabbat Mein Hamara Qissa Misaal Hota, Kamal Hota

Wash your face and wash your feet!

Wash your face and wash your feet!
Now its time 2 fall asleep.

Yours eyes are weak n mouth cant speak
So hope this night shall be nice and sweet.

Sweet dreams & Good night.

kitaaboN meiN rakhay sookhay hoye kuch phool

Usay kehna
kitaaboN meiN rakhay sookhay hoye kuch phool
Us kay lout aanay ka yaqeeN ab tak dilaatay haiN

Usay kehna
kay uski jheel si aankhaiN kisi manzar par chaa jaeN
To sab manzar yohiN phir bheeg jatay haiN

Usay kehna
kay thandi baraf par koi kisi kay saath chalta hai
tou Qadmon kay nishaaN phir say usi kay
loat aanay kay nishaaN dil par banaatay haiN

Usay kehna
kay uski bheeghi aankhoN ka
wo aansoo Sitaaray ki taraH ab bhi hamaiN
shab bhar jaghaata hai

Usay kehna
kay baarish khirkiyoN pay us kay
aansu paint karti hai Usi ka naam likhti hai

Usay hi gungunaati hai Usay kehna
kay khushbu ‘chaandni
‘taaray ‘ saba ‘ rastay ‘ ghata ‘ kaajal ‘
Muhabbat ‘ chaandni ‘shabnam ‘ hawaiN ‘
raat din ‘ baadal Sabhi naraaz haiN
hum say

Usay kehna
judai kay darakhtoN par jo sookhi tehniyaN haiN
Wo saary baraf ki chaadar main
kab ki dhak chuki haiN Aur un shaakhoN
pay yaadoN kay Jo patay thay sunehry ho gaye haiN

Usay kehna
december so gaya hai
Aur yakh basta wo bheegy January
phir lout aaey hai Usay kehna kay lout aaey.. usy kehna K …. ab Lout aye

Saturday, September 8, 2012

Tanhai’yan kuch is tarha sey

Tanhai’yan kuch is tarha sey dasney lagi mujhey!!
Mein aaj apney pao’n ki ahat sey dar gaya..

Baat ka rukh badal dety ho chehra dekh kar

Baat ka rukh badal dety ho chehra dekh kar

hum tu sedhi baaat kehty hy khafa koi bhi ho

I'm whispering coz i dont want you to wake you up.

I'm whispering coz i dont want you to wake you up.
U'll probably read this tomorrow, but anyway, I want
you to know - i kissed you good night!

Phir bhi teri wafa pe muje ehtabar hai

Phir bhi teri wafa pe muje ehtabar hai,
Jata hon rooz wahda e farda lie hoe.

When You Thought I Wasn't Looking

When You Thought I Wasn't Looking
(Written By A Child)

A Message Every Adult Should Read, Because Children
Are Watching You And Doing As You Do, Not As You Say.

When You Thought I Wasn't Looking, I Saw You Hang My
First Painting On The Refrigerator, And I Immediately Wanted
To Paint Another One.

When You Thought I Wasn't Looking, I Saw You Feed A
Stray Cat, And I Learned That It Was Good To Be Kind
To Animals.

When You Thought I Wasn't Looking, I Saw You Make My
Favorite Cake For Me And I Learned That The Little Things Can Be
The Special Things In Life.

When You Thought I Wasn't Looking, I Heard You Say A
Prayer, And I Knew There Is A God I Could Always
Talk To And I Learned To Trust In God.

When You Thought I Wasn't Looking, I Saw You Make A
Meal And Take It To A Friend Who Was Sick, And I
Learned That We All Have To Help Take Care Of Each Other.

When You Thought I Wasn't Looking, I Saw.!!

Qareeb aashab tanhai tuj se piar karain

Qareeb aashab tanhai tuj se piar karain
Tamam din ki thaakn ka elaj to hi sahi

Hakikat Hai Yakeen Kar Lo Main Usko Bhool Kar Khush Hun

Hakikat Hai Yakeen Kar Lo Main Usko Bhool Kar Khush Hun,
Mohabbat Mar Chuki Ab To Main Usko Bhool Kar Khush Hun,

Badalti Rut Ki Waja Se Tabiyat Kuch Bojhal Si Hai,
Yun Mera Haal Mat Poocho Main Usko Bhool Kar Khush Hun,

Mere Lehje Pe Mat Chonko Meri Aankhon Mein Mat Jhaanko,
Yun Hairat Se Na Dakho Main Usko Bhool Kar Khush Hun,

Tumhe Kya Weham Hai Tum Q Mujhse Poochte Ho,
Ae Mere Dost Main Usko Bhool Kar Khush Hun,

Tum Uski Yaad Se Keh Do Main Usko Bhool Kar Khush Hun
,
Ab To Udasi Saare Ghar Mein Phelti Jaati Hai Gum Bankar,
Dar-E-Deewar Pe Likh Do Main Usko Bhool Kar Khush Hun!

My Advance wishes to You and your family

Eid is love….
Eid is beauty..
Eid is dedication..
Eid is happiness…
My Advance wishes to You and your family.
“EID MUBARAK”

Gham Gusaron Ka Kya Bharosa,

Gham Gusaron Ka Kya Bharosa,
Be-Saharon Ka Kya Bharosa,

Chap Ke Baadal Ki Aot Mein Ro Lein,
Chaand Taron Ka Kya Bharosa,

Jangi Kismat Hizaan Ka Bojh Bane,
In Baharon Ka Bharosa,

Kab Kisi Aur Se Ho Pyar In Ko,
Apne Pyaron Ka Kya Bharosa,

Kal Thi Shamsheer Jin Ke Hathon Mein,
Jaanisaron Ka Kya Bharosa..

Mujhey Mo'jzon Par Yaqeen Thaa

Mujhey Mo'jzon Par Yaqeen Thaa
Tu Bicharr Giya, So Nahin Raha

Friday, September 7, 2012

Gham na ker mere liye mai to houn pathar Qasid

Gham na ker mere liye mai to houn pathar Qasid
Thokar khata houn to kuch aur nikhar jata houn

Soch Maflooj Hai Halaat Ke Zindaanon Mai

Soch Maflooj Hai Halaat Ke Zindaanon Mai

Aqal Par Talkh Hawaadis Ke Giraan Talay Hain

Aagahi Sard-O-Khamosh

Munjamid Shola-E-Hosh

Zehn Par Bhoole Fasanon Ke Ghaney Jaaley Hain

Koi Aahat Bhi Nahi Dil Ke Siyah-Khaanon Mai

Qehqahey Waqt Ke Khush-Rang Shabistaanon Mai

Kitni Dil’doz-O-Ghameen Aahon Ke Rakhwaaley Hain

Aarzoo Jaam Talab

Aabroo Zehr Ba-Lab

Kitne Hi Naag Khazaanon Ne Yahan Paaley Hain

Kitne Paikar Hain Jo Dhal Jaate Hain Awanon Mai

Zindagi Rengti Hai Maut Ke Weeraanon Mai

Inqalaabat Ne Andaaz Badal Daaley Hain

Raat Din Shaam-O-Sehr

Kis Ko Jurrat Ho Magar

Naag Khud Hi To Khazaanon Ne Yahan Paaley Hain

Aag Phoolon Ne Bakheri Hai Gulistaanon Mai

Dobe hoe dil ki wehmi si dharkan bhi sunai sunai daiti hai

Dobe hoe dil ki wehmi si dharkan bhi sunai sunai daiti hai
Abb us se ziada sanata ae sham e beyaban kia ho ga

BAN Jaon Agr Tumsa”Tumhay” Kaisa Lage Ga

BAN Jaon Agr Tumsa”Tumhay” Kaisa Lage Ga
HaR”Pal Main Rahon”Tum”se khafa kaisa Lage Ga

Parhte Ho Mujhe Tum jo “Namazon”Ki Tarha Se
HO”jaon agar tumse”Qaza” kaisa lage ga

TUM”Pyar Main “Khud”ko B Mitane Pe Ho Razi
“BAN”Jaye Agar Pyar”Saza”Kaisa Lage Ga

KHUD”se B Ziyada Ho Yaqeen Tum Ko Kisi Per
WO”shakhs Hi De Jaye “Dagha”Kaisa Lage Ga

TUM”Auron ki Mehfil ka”Diya” Ban K Jalo Par
TANHAI” Milay Tum ko” Silaa” Kaisa Lage Ga

mein or us ko bhool jaon,kaisi batain kertay ho

mein or us ko bhool jaon,kaisi batain kertay ho
Sorat to phir sorat hay,wo naam b pyara lagta hay

Kisi Bewafa Ki Khatir Ye Janoon-e-Faraz Kab Tak?

Kisi Bewafa Ki Khatir Ye Janoon-e-Faraz Kab Tak?
Jo Tumhein Bhula Chuka Hai, Usy Tum Bhi Bhool Jao…

Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain

Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain
Kisi Ke Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain

Zindagi Ka Saleeqa Kahan Hey Humain Ab Dugmagate Hain Qadam
Tum Ho ZINDGI Meri Hum To Bar Bar Yehi Kehte Hain

Hey Husrat-e-Dil Key Koi Bhi Pal Na Teri Yaad Se Gafil
Hum Soye Kahan Hain Bus Jagte Rehte Hain

Itna Chale Hain Ke CHal CHal Key Thak Gaye Hain
Sitare To Buhat Hain Per Hum Tumhain CHAAND Kehte Hain

Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain
Kisi Ke Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain

Beauty doesn't make love

Beauty doesn't make love
but love makes beauty

break everything
but never break the heart

Heart is the music play it
butnever play with it.

Love not one

Love not one, Love not two Love the one who loves u true,
Love not three, Love not four Love the one who loves u more.
Love not five, Love not six Love the one who really sticks,
Love not seven, Love not eight Love the one who really waits.

Talab ki manzalen nayab to nahin lakin

Talab ki manzalen nayab to nahin lakin
To apne app ko meri tarah ganwa to sahi

Mohobbat Ka Imtihan Aasan Nahi

Mohobbat Ka Imtihan Aasan Nahi
Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi
Muddatein Beet Jati Hain Kisi Ke Intezaar Mein
Ye Sirf Pal-Do-Pal Ka Kaam Nahi

Thursday, September 6, 2012

Sadiyaan hain ke guzri hi chali jati hain Nazish,

Sadiyaan hain ke guzri hi chali jati hain Nazish,
Lamhey hain ke ik umar se chup chaap kharre hain..

Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni main

Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni main,
Woh jo ab dhoondta rehta hai kharabon mein mujhe,

Tum ne ik umar kiya hai nazar’andaaz Wasi,
Aur ab dhoondte phirte ho saraabon mein mujhe,

Zaroob-o-taqseem Wasi ishq mein la’hasil hai,
Jaaney kyon khojtay rehte ho hisaabon mein mujhe..

Gham is kadar barhey ke mein ghabra ke pee gaya,

Gham is kadar barhey ke mein ghabra ke pee gaya,
Is dil ki be-basi pe tarss kha ke pee gaya,
Thukra raha tha mujh ko bari der se jahan,
Main aaj sab jahan ko thukraa ke pee gaya..

Bana Kar Chor Dete Hain Apni Zaat Ka Aadi

Bana Kar Chor Dete Hain Apni Zaat Ka Aadi,
Kuch Loog Yun Bhi Intiqaam Lete Hain

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai
na jaane kiska isay intezaar rehta hai

Wo duur ho ke bhi rehta hai saat-saat meray
meray khayal ke rath par sawar rehta hai

Kaha tha ishq na karna kisi se dil mairay
junoo mein khud pay kaha ikhteyaar rehta hai

Udaasi jeel sii ankhon say jab tapakti hai
kinaray aab kohi sogwar rehta hai

Ye dil darakta hai bas teri chaap ke sadqay
mareez-e-shab ko tera intezaar rehta hai

Kabhi to khul kay baras ja meri zameenon pay
ke dasht-e-hijr mein haar suu ghubaar rehta hai

Tu mujh Ebad ko izn-e-beyaan ataa kar day
Ke baat karnay ko dil beqaraar rehta hai

Wabastaa meri yaad se kuch talkhiyaan bhi theen

Wabastaa meri yaad se kuch talkhiyaan bhi theen
Acha kiya jo mujh ko faraamosh kar diya

Wednesday, September 5, 2012

Mana Ke Marne Walon Ko Bhula Dete Hain Sabhi

Mana Ke Marne Walon Ko Bhula Dete Hain Sabhi
Mujh Zinda Ko Bhool Kar Tum Ne To Riwayat Hi Badal Di.

Har Jurm Meri Zaat Sey Mansoob Hua Hai

Har Jurm Meri Zaat Sey Mansoob Hua Hai,
Kia Mery Siwa Is Shehar Me Masoom Hain Sary

Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi Itne Bhi Hum Majboor Nahi

Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi Itne Bhi Hum Majboor Nahi
Dohra Kar Teri Baton ko, Kabi Hans Len Gy Kabi Ro Len Gy

Jab Mohabbat Hi Nahi Darmiyan

Jab Mohabbat Hi Nahi Darmiyan,
Wo Roothein Kia, Ham Manain Kia

Open ur tinky minky eyes,

Open ur tinky minky eyes,
stand up and strech ur crunchy prunchy bonz
and then wake up yourself, tell your brain to refresh
and tell your self 2days is GOOD DAY

Good Morning

Raat yon dil me teri khoi hoi yaad ai

Raat yon dil me teri khoi hoi yaad ai
Jaise wairane me chopke se bahar aa jae

Tuesday, September 4, 2012

Monday, September 3, 2012

Zara qareeb se guzraa to mene pehchaana

Zara qareeb se guzraa to mene pehchaana
Woh ajnabi bhi koi aashna’a purana tha

Sau baar chaman mehka, sau baar bahaar ayi

Sau baar chaman mehka, sau baar bahaar ayi,
Duniyaa ki wohi ronaq, dil ki wohi tanhayi..

Tum Aao Gi To, Phoolo’n Ki Barsaaat Karu’n Ga,

Tum Aao Gi To, Phoolo’n Ki Barsaaat Karu’n Ga,
Mousam K Farishty Se, Meri Baat Ho Chuki Hai…

Bhala dieye hy tery gham dukh tery zamany ke

Bhala dieye hy tery gham dukh tery zamany ke

khuda nay tha to phathar ki mortain thi bohat

Jis shaks ki khatir duniya ke her sukh ko meine chor dia

Jis shaks ki khatir duniya ke her sukh ko meine chor dia
us shaks ne meri ankhon ko askhon se jorr dia
Mein prem nagar ki baasi thi ek chahat ki mein pyaasi thi
na pyaas bhuji na prem mila ek pathar se dil jorr lia

Its only 4 those who do not take bath everyday

Have a horrible day without water in ur bathroom,
while soap in ur eyes.
Oh!sorry, dis msg is not 4 u.
Its only 4 those who do not take bath everyday

Faqat itni Guzaarish hai, Mohabbat me mere moula

Faqat itni Guzaarish hai, Mohabbat me mere moula,
Mujhe Nakaam hone se zara pehle Uthaa Laina

Sabit To Ho Gaya Ke Mein Be_Wafa Nahi,

Sabit To Ho Gaya Ke Mein Be_Wafa Nahi,
Ye Aur Baat Ke Meri Duniya Ujar Gai….

Gar na ho suurat to seerat hi sahi

Gar na ho suurat to seerat hi sahi,
Kuch to hona chahiye insaan main..

Sunday, September 2, 2012

aa bhi jaa taa-ke mere sajadon kaa aramaan nikle

aa bhi jaa taa-ke mere sajadon kaa aramaan nikle
aa bhi jaa ke tere qadamon pe meri jaan nikle

gul ko mahbub main qayas kiya

gul ko mahbub main qayas kiya
farq nikla bahot jo bas kiya

dil ne ham ko misal-e-aina
ek alam se ru-shinas kiya

kuch nahin sujhta hamain us bin
shauq ne ham ko be-hawas kiya

subah tak shama sar ko dhunti rahi
kya patange ne iltemas kiya

aise wahshi kahan hain ae khuban
'Mir' ko tum ne abas udas kiya

Palat Kar Dekha Na Kar Is Tarhan Se Jane Walon Ko

Palat Kar Dekha Na Kar Is Tarhan Se Jane Walon Ko,
Jo Dil Ko Tor Jate Hain, Wo Wapis Phir Nahi Aate

Mulayam Haath, Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain Aur Hont.

Mulayam Haath, Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain Aur Hont..
Qatal Baqi Hai, Auzaar To Sab Poory Hain

Woh Mujh Ko Mil Gaya Main Ussey Khojta Raha

Woh Mujh Ko Mil Gaya Main Ussey Khojta Raha
Uss Mein Hi Ussi Shaks Ko Dhoondta Raha

Dasht-E-Dil Mein Yaadon Ki Baarishein Honey Say
Banjar Zameen Say Bhi Sabza Phoot-ta Raha

Aawaazon Ka Ik Hujoom Aas Paas Tha Magar
Sannata Mairey Wajood Mein Sada Bolta Raha

Woh To Bicharr Ke Duniya Ki Bheerr Mein Gum Ho Gaya
Aur Ye Main Hoon Ke Umer Bhar Ussey Sochta Raha

Gar Mil Gaya Kabhi Woh To Poochoon Ga Ye Sawal
Kyun Mohabbat Ikk Bharam Hai Jo Sada Toot-ta Raha

Dil Mein Basaya Tha Jissey Mainey Woh Dilruba
Ban Ke Rahzan Qadam Qadam Mujhi Ko Loot-ta Raha….!!

Unless we make Christmas

Unless we make Christmas
an occasion to share our blessings,
all the snow in Alaska won't make it "white".