Wednesday, May 23, 2012

ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota

ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota
ya mera taj gadaya na banaya hota

khaksari k liye garche banaya tha mujhe
kash khak-e-dar-e-janan na banaya hota

nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota

apna diwana banaya mujhe hota tune
kyon khirdmand banaya na banaya hota

shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne
warna bulbul ko bhi parwana banaya hota

roz-e-mamura-e-duniya mein kharabi hai 'Zafar'
aisi basti se to wirana banaya hota

No comments:

Post a Comment