Saturday, May 12, 2012

khirki, chand, kitab aur main

khirki, chand, kitab aur main,
mudat se ik baab aur main.

shab bhar khelen aapas main,
do ankhen, ik khowab aur main.

mauj aur kashti sahil par,
darya main gardaab aur main.

shaam, udaasi, khamoshi,
kuch kankar, talab aur main.

har shab pakray jatay hain,
gehri neend, tere khowab aur MAIN

No comments:

Post a Comment