Wednesday, February 29, 2012

A Sad Lines By Broken Heart

A Sad Lines By Broken Heart-
They Say Follow Your Heart
But When Your Heart Is In So Many Pieces,
Which Way Are You To Follow

Labon pe jaan ho to ehsas e talakh o sheren kia

Labon pe jaan ho to ehsas e talakh o sheren kia
Kahen se zeher hi lao k tashnagi hai bahot

Tuesday, February 28, 2012

Bikhar rahi hai meri zaat usey kehna

Bikhar rahi hai meri zaat usey kehna,
Kabi mily to yahi bat usey kehna

Wo sath tha to zamana tha hamsafar mera,
Magar AB koi nai mery sath usey kehna

Usey kehna k bin us k din nahin kat?ta,
Sisik sisik k kat’ti hai raat usey kehna

Agar who phir b na lotey to aey meherban,
Hamari zeest k halaat usey kehna..!

Her jeet us k naam ker rahi hoon main,
Main manti hoon apni haar usey kehna..

Jalta hon roz sham ko ghar k die k sath

Jalta hon roz sham ko ghar k die k sath
Muj be khabar ko dosto kuch agahi to hai

Us shaks ko to bichare ka saleqa nahi

Us shaks ko to bichare ka saleqa nahi
Jate howe khud ko mere paas chor gaya

Nazar jahan say bacha kay dekho

Nazar jahan say bacha kay dekho
jo faslay hain mita kay dekho

Ye zindagi muskura utthay gi
kisi ko apna bana kay dekho

Tumhari chahat mein mit chalay ham
kabhi to palken utha kay dekho

Bana day shaaer jo aadmi ko
woh chaot tum bhi to kha kay dekho

koi bhi apna nahi jahan mein
kisi ko bhi aazma kay dekho

jahan ho jhuknay say sarbulandi
wahan pe sar ko jhuka kay dekho

BATOOL niklay ga naam uska
jo taar dil kay hila kay dekho

Is Do Pal Ki Zindagi Mein Tanhai Kyu Hai

Is Do Pal Ki Zindagi Mein Tanhai Kyu Hai
Logon Ko Humse Ruswai Kyu Hai
Is Duniya Mein Insane Kam To Nahin
Phir Mere Saath Sirf Meri Parchai Kyu Hai

Monday, February 27, 2012

Have u done 2 of the most

Have u done 2 of the most
important things when u woke up today????
1) pray , so that u may live long
2) take a bath so that other can live long.......

Just kidding, wish u have a nice day

be-khudi le gai kahan ham ko

be-khudi le gai kahan ham ko
der se intazar hai apna

rote phirte hain sari-sari rat
ab yahi rozgar hai apna

de k dil ham jo ho gae majbur
is main kya ikhtiyar hai apna

kuch nahin ham misal-e-anqa lek
shahar-shahar ishtahar hai apna

jis ko tum asman kahte ho
so dilon ka gubar hai apna

SILENCE Is d best Answer for all questions

SILENCE
Is d best Answer
for all questions

SMILE
Is d best Reaction
in all situations

Unfortunately

BOTH Never Help In
any EXAM, VIVA, REVIEW & INTERVIEW

Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki

Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki,
Badi Aarzoo Thi Mulakat Ki,

Mai Chup Thi To Hawa Bhi Tham Gayi,
Zabaan Sab Samajhte Hai Jasbaat Ki,

Sitaaron Ko Shayad Khabar Hi Nahi,
Musafir Ne Na Jaane Kahan Raat Ki…

Payar Karnay Kay B Kuch Adaab Howa Kartay Hai

Payar Karnay Kay B Kuch Adaab Howa Kartay Hai
Jaagti Ankhoo Main B Kuch Khwaab Howa Kartay Hai
Rooo Kar Dekhaya Har Koi Yha Zaroori To Nahi
Kooshk Ankhoo Main B Saylaab Howa Kartay Hai

Meri tamana baqi nahi ab jana

Meri tamana baqi nahi ab jana
jabsay tum milay mjhko
zara tum lout ao to
yahi behtar hai mray dost
yun roz acha nai hota
kisi k dil mai a ker bhi
usay apna nai kehna
chalo main man laiti hoon
tumhri shaan kafi hai
magar..!!
yeh soch to zalim
teray kis kam aayegi
yeh khushian kuch nai hoti
zara kal ka bhi to kuch soch
main tujhse ab bhi kehti hn
k yun roz acha nai hota
kisi k dil mai a ker bhi
usay apna nahi kehna

sweet as a rose bud bright

sweet as a rose bud bright as a star cute as a kitten thats what u are.bundles of joy sunshine and fun you are everything i luv all rolled into 1

Yaad aata hai roz-o-shab koi

Yaad aata hai roz-o-shab koi
Hum se rootha hai be-sabab koi

Sunday, February 26, 2012

Muhabbat Main Khasara Kar Liya Hai

Muhabbat Main Khasara Kar Liya Hai
Hum Ne Tere Dukh Ko Gawara Kar Liya Hai

Mere lye to Harf-e-Dua ho gya Wo Shakhs

Mere lye to Harf-e-Dua ho gya Wo Shakhs
Saary Dukhon ki jese... Dawa ho gya Wo shakhs..

Dasht-E-Shab Par Dikhai Kia Deingi

Dasht-E-Shab Par Dikhai Kia Deingi
Silvatein Roshni Mein Ubhrain Gi

Ghar Ki Deewarein Mere Jane Par
Apni Tanhaiyon Ko Sochein Gi

Ungliyon Ko Tarash Don Phir Bhi
Aadtein Uska Naam Likhein Gi

Rang-O-Bu Se Kahin Panah Nahi
Khwahishein Bhi Kahan Aman Dengi

Aik Khushbu Se Bach Bhi Jaon Ager
Doosri Nikhatein Jakar Leingi

Khirkhiyon Par Dabeiz Parde Hon
Barishein Phir Bhi Dastakein Deingi

Saturday, February 25, 2012

Rooty Hain Tanha Dekh Kar Mujhko Wo Raasty

Rooty Hain Tanha Dekh Kar Mujhko Wo Raasty
Jin Per Tere Baghair Hum Guzry Kabi Na Thy

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,

Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,

Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,

Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai

Sulagti zindgi se maut hi Aa jaye to behter hai

Sulagti zindgi se maut hi Aa jaye to behter hai
Hum se dil k armano ka ab maatam nahi hota

Kitaab Si Lagti Hai Yeh Zindagaani

Kitaab Si Lagti Hai Yeh Zindagaani
Jinme Milengi Tumko Dhero Kahani,

Kuch Ankahee Si Baaten,Jo Alfaz Banke Rehgaye,
Aur Kuch Aise Khayalaat Jo Tufan Khadaa Kargaye

Khuch Panno Me Khushi K Rang Bhar Diye Gaye,
Kuch Be-Rang Hogaye Toh Kahi Rang Phike Padh Gaye

Har Kahani Ki Ajab Si Hai Daastan,
Hai Kahi Shuruwat Toh Kahi Khatam Hojate Hai Kaarwaa

Ashko Se Mit Chuke Hai Kuch Nishan,
Toh Kahi Daag Banke Reh Gayi Hai Galtiyan

Mohabbat Bhi Hai Yaha Jawan,
Toh Kahi Dard De Jati Hai Bewafaiyaa

Kuch Panne Aandhiyo Me Gumh Hogaye,
Toh Kuch Haalat Se Bebas Phaad Diye Gaye

Kuch Armaano Ko Liye Intezr Me Takhti Rahi,
Kuch Ro Roke Apno Ko Yaad Karti Rahi

Kai Panne Bagaawat Pe Utar Aayi,
Toh Kuch Maayus Hoke Kuch Na Keh Payi

Bewafa Kar – Sad Shayari in Hindi

Bewafa Kar – Sad Shayari in Hindi

Apne khwabo ki tabir ki khatir
Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
Yad kar wo din ek isara par maine
Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala
Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
Mujhe beijjat aur badnam kar dala
Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
Par tune khun ke aansu rula dala
Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
Par tune mujh se bewafai kar dala.

If I get ur SMILE, I dont need FLOWERS

If I get ur SMILE, I dont need FLOWERS, If I get ur VOICE, I dont need MUSIC, If u speak to me, I dont need anybody else, U just b my FRIEND, I dont need the WORLD

Friday, February 24, 2012

Chot jab bhi hadsaat-e-dehar ki khata hoon. . !

Chot jab bhi hadsaat-e-dehar ki khata hoon. . !
Mehngi sasti mae-kaday se pi k aa jata hoon. .

Mila ke hath ik roz khud hi daman chura liya usne humse

Mila ke hath ik roz khud hi daman chura liya usne humse
Wohi shakhs jo kabhi aaghosh mein sony ki zid kia krta tha

Tuj me bhi kuch hoshmandana adaen aa gaen

Tuj me bhi kuch hoshmandana adaen aa gaen
Tuj se bhi abb bad guman hain ae dil e diwana hum

Be-His Hein Yahan Log Bhala Soch Ke Karna

Be-His Hein Yahan Log Bhala Soch Ke Karna
Is Dor Mein Logon Se Wafa Soch Ke Karna
Ik Bar Jo Roothe Hum To Mana Tum Na Sako Ge
Hum Jaise Wafadar Ko Khafa Soch Ke Karna
Gul Shakh Se Bichre To Kahin Ka Nahi Rehta
Tum Zaat Meri Khud Se Juda Soch Ke Karna

Desire is the starting point of all achievement

Desire is the starting point of all achievement,
not a hope, not a wish,
but a keen pulsating desire,
which transcends everything.

(Napoleon Hill)

Thursday, February 23, 2012

Circumstance does not make the man

Circumstance does not make the man;
it reveals him to himself
James Allen

Dont give password of our Love and friendship to anybody

Dont give password of our Love and friendship to anybody,Because if u will say this password "I LOVE U" It means he will hack u from me and u will go out from my hands

Ye kon shakhs hai jo apne qehqon k lie,

Ye kon shakhs hai jo apne qehqon k lie,
Zameen k raaz khala me ochal aea hai.

ager tum paas hote tou

ager tum paas hote tou
karam ki inteha karte
tumein palkoon pe rakhte hum
tumein dil me basaty hum
ager tum rooth jaty tou
tumein kitna manaty hum
tumari galtiyoon ko b
hansi me taal dete hum
ager apni khata hoti tou
khud he ko saza dete
mager ye sab tou tb hota
AGER TUM PAAS HOTE TOU

Wednesday, February 22, 2012

ye rat ye tanhai

ye rat ye tanhai
ye dil k dharakne ki awaz
ye sannata

ye dubte taron ki
khamosh gazalkhwani
ye waqt ki palkon par
soti hui wirani
jazbat-e-muhabbat ki
ye akhri angrai
bajti hui har janib
ye maut ki shahnai

sab tum ko bulate hain
pal bhar ko tum a jao
band hoti meri ankhon main
muhabbat ka
ik Khwab saja jao

sehar ban k ankhain khulin to haqiqat ka pura sabaq dastaan ho gaya

sehar ban k ankhain khulin to haqiqat ka pura sabaq dastaan ho gaya
ye kaya hai,muhabbat main ik shakhas ki apna sara safar raigaan ho gaya

kahan tak suno gae zameen se zameen tak meri dastan-e-kamal-o-arooj
meain pehlay hisaar-e-nadan raha ph…ir asree-e-zameen-o-makan ho gaya

bisaat-e-hunar se janun-e-talab tak,main tuta hon kis trah tumhain kaya khabar
main dil ki hadon se jo agay gaya to meray sath gum ik jahan ho gaya

zamnay ki uljhan main dil ki ghutan b boht jaan leva hoi jis smaye
tumhain hum ne socha to dekha ka pal bhar main kitna hi pyara samaan ho gaya

agrchay kahin shaz-o-nazar hi hota hai aisay k jaisay yahan huwa
abi phul khilnay lgay thay k gulshan ka gulshan hi nazr-e-khizaan ho gaya

abi chand pehnay badal ki chadar,abi SAAD thehro ghari do ghari
bri jald bazi hai tujhay meri jaan,kaya hua jo manzar dhunwaan ho gaya

Tuesday, February 21, 2012

Simat’ta hi nahin aesa safar hai

Simat’ta hi nahin aesa safar hai,
Mohabbat bhi bohat lamba safar hai,

Jahan hadh-e-nazar tak raste hon,
Kisi par kya khule kitna safar hai,

Zara dushwaar to ho gi mohabbat,
Abhi is dasht mein pehla safar hai,

Chalo kuch door mera sath hi do,
Phir us ke baad to tanha safar hai,

Tayi’yun hi nahin manzil ka koi,
Hamain dar’pesh anjaana safar hai,

Safar kuch aur bhi hai kefiyat ka,
Tumhara wassal to aadha safar hai.

Kya Tohfa Du – Birthday Gift Shayari

Kya Tohfa Du – Birthday Gift Shayari

Apne yaar ko kya tohfa du.
Tumhari is ada pe kya jawab du
Apne yaar ko kya tohfa du
Koi acha sa phool hota to mangvata mali se
Jo khud gulab hai usko kya gulab du…

Darmiyan mein kaie sehra haiyal ho gaye

Darmiyan mein kaie sehra haiyal ho gaye
Mizaaj banjaara tha so hum bhi mayial ho gaye

Sar-e-maqtal dekh kr wo heraan hain bhaut hamian
Khud apni wafaon ki saza key saiyal ho gaye

Pehli baarish may maangi thi dua kehkashaon ki
Nangey paaon ab chaltey sangrezon pe ghaiyal ho gaye

Detay kia tumhain lafzon ki soghaat
Sakhi itne thay ke khud saiyal ho gaye

Sazaaon me kami tu shayed ho jati jaanan
Dukh may lazat itni thi ke khud hi haiyal ho gaye

Aisi Aankhen Kahin Nahi Shayad,

Aisi Aankhen Kahin Nahi Shayad,
Meri Aankhon Ko Jo Samajh Paen,
Meri Aankhon Mein Jo Utar Paen,
Meri Ankhon Mein Jo Simat Aaen,
Meri Aankhon Mein Jo Chamak Jaen,
Meri Aankhon Mein Jo Aa Ke Mil Jaen,
Aisi Aankhen Kahin Nahi Shayad,
Aisi Aankhen Bani Nahi Shayad…

Faith makes all things possible

Faith makes all things possible,
Hope makes all things work,
Love makes all things beautiful,
May you have all the three for this Christmas.
MERRY CHRISTMAS

Pyaar Mein to – Heart Dil Shayari

Pyaar Mein to – Heart Dil Shayari

Pyaar Mein To Dil Toot Hi Gaya,
Ab To Dosti Mein Bhi Dil Totney Laga,
Kitni Bar Todoge Dil Humara,
Ab Tootega To Shayad Mar Hi Jayega

Monday, February 20, 2012

Aa teri Umar main likh do chand sitaro se

Aa teri Umar main likh do chand sitaro se
Tera janam din main manao phoolo se bahaaro se
Har ek khoobsurti duniya se main le aao
Sajao ye mahfil main har haseen nazaro se

(birthday poems , Jokes and Quotes in Urdu and Hindi)

Sakuut-e-shaam-e-KhizaaN hai qariib aa jaao

Sakuut-e-shaam-e-KhizaaN hai qariib aa jaao
ba.Daa udaas samaa.N hai qariib aa jaao

na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa
na aitabaar-e-jahaa.N hai qariib aa jaao

raah-e-talab me.n kisii ko dhyaan nahii.n
hujuum-e-ham_safaraa.N hai qariib aa jaao

jo dasht-e-ishq me.n bichha.De.n vo umr bhar na mile
yahaa.N yahaa.N dhuaa.N hii dhuaa.N hai qariib aa jaao

ye aa.Ndhiyaa.N hai.n to shahar-e-vafaa kii Khair nahii.n
zamaanaa Khaak_fashaa.N hai qariib aa jaao

faaqih-e-shahar kii majalis nahii.n ke duur raho
ye bazm-e-piir-e-maGaa.N hai qariib aa jaao

'Faraz' duur ke suuraj Garuub samajhe gaye
ye daur-e-kam_nazaaraa hai qarib aa jaao

Na To Manzil, Na Humsafer, Na Koi Karwan Hai

Na To Manzil, Na Humsafer, Na Koi Karwan Hai
Raston Mein Bus Dhuan Dhuan Sa Hai.

Unke Daman Main To Chand Tare Hain
Mere Hisse Mein To Khali Aasman Hain.

Jakham Pe Jakham Diye Jata Hai
Dil Ko Lagta Hai Mera Meherban Hai.

Kai Roj Se Ye Dil Kahin Lagta Hi Nahi
Din Hai Veeran Veeran Ratein Gumzada Hain.

Jamane Ko Hua Unka Deedar Mager
Udher Se Munh Chhupa Ke Gujere Jidher Mera Makan Hai.

Jabse Bikhra Hua Saman Sajaya Hai Maine
Gher Bada Khali Khali Sa Ho Gaya Hai.

Jo Pankh Fadfada Ke Reh Jata Hai Akser
Dikhta Nahi Us Per Kahin Mahoul Ka Rand.

Is Sheher Main Shayad Wo Naya Naya Hai
Parinda Wo Abhi Jara Nadan Sa Hai.

Padausi Ka Haal Poonchun Ye Fursat Kahan Hai
Mera Chulha Khud Abhi Dhuan Dhuan Hai.

Mastghan Dar-E-Jehen Pe Kuchh Tikta Hi Nahi
Abhi Jamee Thi Abhi Aasman Hai.

Ab Justuju-e-Dost Ki Manzil Kahin Bhi Ho

Ab Justuju-e-Dost Ki Manzil Kahin Bhi Ho
Hum Chal Pare Hain Raah Ko Dushwaar Dekh Kar

One day i told her you are just like a sun

One day i told her you are just like a sun
she got angry with me.

Another day i told her
you just like a moon she was very Happy.

But i told her the moon has no own light
the sun give him his own light.

Sunday, February 19, 2012

Lovely days in my life

Lovely days in my life :
Childhood days,
School days
&
collage days,

Horrible days in my life :
"only exam days"

Bohat Hi Talkh Taajurby Ka Naam Hai

Bohat Hi Talkh Taajurby Ka Naam Hai “Chahat”
Jo Tum Ko Acha Lgy... Bus Us Se Pyar Mat Krna..!

Sang-e-Marmar Se Tarasha Khuda ne Tere Badan ko

Sang-e-Marmar Se Tarasha Khuda ne Tere Badan ko
Baqi Jo Pathar Bacha Us se Tera Dil Bana diya

Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kerte hain

Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kerte hain
woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain

Hum kisi se mahobbaton ka dawa to nahi kerte
haan magar wafaon pe hum mar jaya kerte hain

Mausam ke hijir bhi.. ye guzare ga to kabhi
mausam ke isi aas main guzar jaya kerte hain

Mohabbaton ki ehmiat se waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se sawar jaya kerte hain

Bujhati to nahi barishoon se selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain

Kuch log apne dukhoon ki numaish nahi kerte
bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain

Woh aansoo jo palkoon ki zeenat nahi bante
woh chup chap se dil main utar jaya kerte hain

Apne aap se phirtey hain beganey kyon,

Apne aap se phirtey hain beganey kyon,
Sheher mein aakar log huye deewaney kyon,

Hum ne kab maani thi baat zamaney ki,
Aaj hamari baat zamana maaney kyon,

Woh jungle ke phoolon per kyon marta hai,
Us ko achey lagte hain veeraney kyon,

Sachi baat se ghabraney ki aadat kya,
Jhootey logon se apne yaraaney kyon,

Halwat* mein jo aankh milatey darta ho,
Mailey mein woh shakhss humain pehchaney kyon,

Mohsin jab bhi chott neyi kha leta hoon,
Dil ko yaad atey hain yaar puraney kyon…

Bewafa Zamanay Main Piyar Dhoondnay Walo

Bewafa Zamanay Main
Piyar Dhoondnay Walo
Matti Ki Moorat Main
Bholli Bhaalli Soorat Main
Piyar Kesay Milta Hai
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay

Roo Rahi Hai Shehnaii
Bheer Main Hai Tanhaii
Rooknay Se Ruktay Hain
Kab Bhala Yeh Herjaii
Rishtay Kachay Dhagay Hain
Yeh Tu Maan Lo Pehlay
Yeh Tu Maan Lo Pehlay

Benaam Logon K
Kitnay Naam Hotay Hain
Yeh Bhi Us Ki Qudrat K
Kesay Kaam Hotay Hain
Kiun Yeh Aisay Hota Hai
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay

Bewafa Zamanay Main
Piyar Dhoondnay Walo
Matti Ki Moorat Main
Bholo Bhaali Soorat Main
Piyar Kesay Milta Hai Yeh
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay

Dukh ny Sukh ka Saans lia hai

Dukh ny Sukh ka Saans lia hai
Kaash koi phir Yaad na Aaye

Saturday, February 18, 2012

Good Morning or Good Night

When you have to let go of all the pointless drama & people who create it
And surround yourself with the people who make you laugh so hard
That you forget the bad & focus solely on good. After all
Life is too short to be anything but happy
Good Morning or Good Night

Zaroorat Torr Deti Hai, Gharoor-e-Be_Niazi Ko

Zaroorat Torr Deti Hai, Gharoor-e-Be_Niazi Ko,
Na Hoti Koi Majboori To har Banda Khuda Hota

Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa

Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa
Dil ko us kaa khayaal chhor gayaa

Taazah-dam jism-o-jaan the furqat men
Vasl us kaa nidhaal chhor gayaa

Ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal
Aik viiraan haal chhor gayaa

Zaala-baarii ke marhalon kaa safar
Qaafile, paayemaal chhor gayaa

Dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho
Kaun thaa , kyaa malaal chhor gayaa

Main bhii ab khud se huun javaab-talab
Vo mujhe be-savaal chhor gayaa

Friday, February 17, 2012

On this festive occasion of Eid-ul-azah…

On this festive occasion of Eid-ul-azah…

I wish the warmth of our friendship…

Always remains the same….

Happy Eid Mubarak!!

What I feel for you,is really true

What I feel for you,is really true. You got to know,I need you so. When you are gone,I can't go on. Can't you see, that you are the only one for me?

Thursday, February 16, 2012

I can go days without talking to you

I can go days without talking to you,
Months without seeing you,
But not a second goes by that
I don't think about you.
Miss you

Sunao Eid Bahar Chaman ko Yaad karo

Sunao Eid Bahar Chaman ko Yaad karo,
Piyam-e-Ishq Ke ik Sukhan Ko Yaad Karo…

Hajoom-e-Shoq Se Fursat Mile To Ehl-e-Watan,
Watan Se Door Kisi be_Watan ko Yaad Karo

Sunao Eid Bahar Chaman Ko Yaad Karo

qadam barhao Hath milao

qadam barhao Hath milao
pakistan bantay jao
her ik fard hai pakistan
pakistan ki hum pehchaan
pakistan hamari jaan
her ik fard hai pakistan

waqt hai kathin
chahiye janon
mulk o qoam ko
aao kar dein surkhuru
bharhayein apnay watan ki shaan
her ik fard hai pakistan

manzil ki justaju
dil mein hum rakhein
mehnat karein sabhi
maza jeet ka chakhein
karein taskheer her maidaan
her ik fard hai pakistan

pakistan ki hum pehchaan
pakistan hamari jan
her ik fard hai pakistan

Us K Aany Ki Aas Me Farhat

Us K Aany Ki Aas Me Farhat
Raasty Raat Bhar Nahi Soye

wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay

wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay
hum tujhay bhool kar bhi daikhain gay

zakhm per sabt kar na lab apnay
zakhm ko chaara gar bhi daikhain gay

hijr ki shab say haoslay apnay
bach gayay to sahar bhi daikhain gay

raat honay do,log sonay do
chand ko dar-ba-dar bhi daikhain gay

ik dua dil say chup kay maangi thi
us dua ka assar bhi daikhain gay

ik puraana safar to khatm howa
ik nayi rahguzar bhi daikhain gay

gin to lainay do baykafan lashein
bay sada baam-o-dar bhi daikhain gay

chairr kar dil ki rakh ko mohsin*
ab ke raks-e-sharar bhi daikhain gay

Wednesday, February 15, 2012

Air and students have the same mentality

Air and students have the same mentality
Dont you know how ?

Both keep turning book's pages without reading

Ugta hua Suraj dua de aapko,

Ugta hua Suraj dua de aapko,
Khilta hua phool khushbu de aapko,
hum to kuch dene ke kabil nahi hai,
dene wala hazaar khushiyan de aapko!

Are you bored with life

Are you bored with life?
Then throw yourself into some work
you believe in with all your heart,
live for it,
die for it,
and you will find happiness that
you had thought could never be yours.

(Dale Carnegie)

Baat Thi Mohabbat Ki, Umr Bhar Ki Chahat Ki

Baat Thi Mohabbat Ki, Umr Bhar Ki Chahat Ki
Bheer Mein Zamane Ki Sath Sath Chalna Tha…

Imtehan Bhi Aane The, Zindagi K Sab Hi Pal
Sath Hi Bitane The, Jaane Tum Ne Kya Socha

Bas Ek Pal Main Hi, Baat Khatm Kar Dali,
Zindgi Jo Puri Thi, Woh Adhori Kar Dali,

Par Kon Tum Ko Samjhaye,Muhabat K Mausam Bhi Roz Nahi Ate,
Yu Zindagi Mai Apno Ko Chor To Nahi Jate.

Sitaron ko badalna chahate hain

Sitaron ko badalna chahate hain
Tare ham rah chalna chahte hain

Bohat barhaq sahe, paste hamare
Magar ab ham sanbhalna chahte hain

Sehar jase bhe ho, pher bhe sehar he
Shab-e-gum se nikalna chahte hain

Chaton se barf rokhsat ho rahe he
Ye mosam ab badalna chahte hain

Mehakte shokh jazbon ke tarha ham
Tare dill men machalna chahte hain

Nahe rokte same ke teez andhe
Deye to kab se jalna chahte hain

Tuesday, February 14, 2012

Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain

Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain
Hawa Kuch Chalti Hai Aisi Ke Kinare Choth Jate Hain


Samandar Ki Gehrayi Se Bhi Hote Hain Jo Gehray
Pal Bhar Main Woh Rishtay Kyun Toot Jate Hain

Jin Pe Hota Hai Bharosa Apne Aap se Bhar Kar
Woh Log Dil Ki Dunya Kyun Loot Jate Hain

Teer Chalta Hai Jab Nafrat Ka Un Ki Aakhon Se
Dil Kaanch Ke Hote Hain Aksar Toot Jate Hain

Bara Naaz Tha Mujhe Un Ki Wafaon Par
Zara Zara Si Baat Par Jo Aksar Rooth Jate Hain

chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib

chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib
puch lena tha kisi khak basar se pehle

ishq pehle bhi kiya hijr ka gam bhi dekha
itne tarpe hain na ghabraye na tarse pehle

ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal
rat dhalti hi nahin char pahar se pehle

ham kisi dar pe na thithak na kahin dastak di
saikaron dar the meri jan tere dar se pehle

chand se ankh mili ji ka ujala jaga
ham ko so bar hui subah sahar se pehle

khyaal-e-tarky tammna na kar saky to bhi

khyaal-e-tarky tammna na kar saky to bhi
udassion ka madawa na kar saky to bhi

kabhi wo waqat bhi aa ay k koee lamha-e-ash
mery baghair gawara na kar sky to bhi

khuda wo din na dikha ay tujhe k meri tarah
meri wafa pay bharosa na kar saky to bhi

kisi k ishq mein be khud

kisi k ishq mein be khud
kisi ki chha mein bebas
kisi izhaar ki khatir
mohabbat kal hoi thi jo!
mohabbat ab nahi hogi…………

Zindagi bhar mein rahe door jo ghairon ki tarah,

Zindagi bhar mein rahe door jo ghairon ki tarah,
Laash par aaj wohi ashhk bahaney aaye,
Aese aalam mein bhi woh rooth ke jate hain shameem,
Dam-e-aakhir ko jo aaye to rulaney aaye…

Monday, February 13, 2012

Aarzoyen fazool hoti haiN goya kaghaz k phool hoti haiN

Aarzoyen fazool hoti haiN goya kaghaz k phool hoti haiN,,,
Her kisi k naam pr nahi rukteeN dharkaneN ba osool hoti haiN,,,
PatharoN k khudao k agaye ltijaiN fazool hoti haiN,,,
Koi mere laboun ko bhi la day jo duaeN qubool hoti haiN…..

judai per hi kayem hai nizam-e-zindagani bhi

judai per hi kayem hai nizam-e-zindagani bhi
bichar jata hai sahil se galey mil mil ke paani bhi

New rules of life for 2013

New rules of life for 2013
1. Haste Rehne ka.
2. Tension nai leneka.
3. B positive, eat positive, sleep positive
4. Mast rehneka.
5. Har problem ko solve kernay ka.
6. Friend k sath lifetime friendship account kholnay ka
7. Mujhko yaad rakhnay ka
Aur mujhey sms kertay rehnay ka.

April Fool Trick

This is not SMS, it's just an April Fool Trick
Place a bottle of liquid dish soap into the toilet tank.
The next person to flush the toilet will be greeted
with an overwhelming amount of bubbles

Ek Ehsaas Bilkul Teri Ada Ka Tha

Ek Ehsaas Bilkul Teri Ada Ka Tha
Bahir Nikal Kar Dekha To Jhonka Hawa Ka Tha
Zindagi Ki Har Mushkil Se Main Takra Gaya
Sahara Mujhe Faqt Teri Dua Ka Tha

pagal ankhoon wali larkee

pagal ankhoon wali larkee
itny menghy khawab na dekho
thak jao gi
kanch se nazuk khwab tumhry
toot gai tu pachtaoo gi
tum kya jano …….!!!!!!!!!!!!
khwab………. adhorree raat ka duzakh
khwab ………… khyaloo ka pachtava
khawaboo ka hisil tanhai
menghay khawab khreedna hoon tu
aankhain bechna parteee hain
rishty bholna party hian
andashoo ki rait na pankhoo
khawaboo ki oot seraab na dekho
pyas na dekho
itny menghy khawab na dekho
thak jao gi

Sada haste raho jaise haste hain phool,

Sada haste raho jaise haste hain phool,
Duniya ki sare gham tumeh jaye bhool,
Charo taraf phalao khushion ka geet,
Eisi ummid ka sath Yaar tumhe…MUBARAK ho EID.

Sunday, February 12, 2012

Saturday, February 11, 2012

Shamma jalaye rakhna jab tak ke main na aaun

Shamma jalaye rakhna jab tak ke main na aaun
Khud ko bachaye rakhna jab tak ki main na aaun

Zinda dilo se duniya zinda sada rahi hai
Mehfil sajaye rakhna jab tak ke main na aaun

Ye waqt-e-imtehaan hain sabr-o-karar-o-dil ka
Aansun chupaye rakhna jab tak ke main na aaun

Hum tum milenge aise jaise judaa nahi the
Saanse bachaye rakhna jab tak ke main na aaun

Harf-E-Tasali To ek Takalluf Hy Saahib

Harf-E-Tasali To ek Takalluf Hy Saahib
Jis ka Dard Usi ka Dard... Baki Sab Tamashai

Gham-e-hayaat pareshaan na kar sake ga mujhe,

Gham-e-hayaat pareshaan na kar sake ga mujhe,
Ke aageya hai hunar mujh ko muskuraney ka..

Tum pait pe laat to mar chuke, Ab kitne paaon pasaro ge,

Tum pait pe laat to mar chuke, Ab kitne paaon pasaro ge,
Tum roti Kapraa kya do ge, Tum log kafan bhi utaaro ge,

Yeh baazi bhook ki baazi hai, Yeh baazi tum hi haaro ge,
Har ghar se bhooka nikle ga, Tum kitne bhookey maaro ge..

Friday, February 10, 2012

Itna phattahr ka maka-n es ka ke yon lagta tha

Itna phattahr ka maka-n es ka ke yon lagta tha

hum beya ban ke darwazy sy lag kar roy

Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay

Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay
Acha Mola ! Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhay

Khail Ye Kaisa Khail Rahee Hai Dil Se Teri Mohabbat
Ik Pal Sarshaari De aur DinoN Malaal Mein Rakhay

Mein Ne Saari Khushbooain aanchal Se Baandh Ke Rakheen
Shaayad In Ka Zikr TU apnay Ksi Sawaal Mein Rakhay

Ksi Se Tere aanay Ki Sargoshi Ko Suntay Hee
Mein Ne Kitnay Phool Chunay aur apni Shaal Mein Rakhay

Mushkil Bun Kar Toot Padi Hai Dil Per Ye Tanhai
aB Jaanay Ye Kub Tak Isko apnay Jaal Mein Rakhay

I was looking out the windows

I was looking out the windows
thinking about the person
I care most &
the person that came into my mind
is U so juz wanna wish u good night. . . .

Wednesday, February 8, 2012

Year's end is neither an end nor a beginning

Year's end is neither an end
nor a beginning
but a going on,
with all the wisdom
that experience
can instill in us.
Happy New Year

Log us sheher ko khosh hall samaj lete hain

Log us sheher ko khosh hall samaj lete hain
Raat k waqt bhi jo jaag raha hota hai

Paimanon Se To Ye Gam Ab Bhulaya Hi Na Jayge

Paimanon Mein – Shayari for Zehar

Paimanon Se To Ye Gam Ab Bhulaya Hi Na Jayge
Sharab Kaam Na Aayi,Paimanon Mein Zahar Leta Gaya

Manzil To Samne Thi Par Hamsafar Hi Na Tha
Manzilen Baanta Gaya Aur Safar Leta Gaya

Jismon Ki Mitti Ki Asli Rangat Saamne Aati Hai Ab
Insanon Ki Bastian Chhod Pathhron Ke Shehar Leta Gaya

Khwabon Ke Tukde Bikhre Pade Hain Har Or
Har Shab Ko Alwida Keh Sehar Leta Gaya

Bewafa Ko Koi Bewafa Na Keh De Is Darr Se
Kuch Ishq Ke Ilzaam The Apne Sar Leta Gaya

Tuesday, February 7, 2012

Har Baar Ki Tarha Is Baar Bhi

Har Baar Ki Tarha Is Baar Bhi ,,ANSOO,, Bahaoon Ga

Tum Mujh Say Door Ho To Main Kesey Ye ,,EID,, Manaoon Ga

Ik Taraf ,,EID,, Ki KhuShi Aur IkTaraf ,,TERA,, Gham

Chorri Hai Baat ,,TUM,, Pay Tum Hi ,,JANO,,

Main Apne Andar K Zakham ,,KISI,, Ko Na DiKhaoon Ga.

Hum se pehly bhi ye martaba-e-daar na tha

Hum se pehly bhi ye martaba-e-daar na tha
Ishq ruswa tha magr yun sar-e-bazaar na tha!

Monday, February 6, 2012

Hum nay mana is zamanay main hansi bhi jurm hai

Hum nay mana is zamanay main hansi bhi jurm hai
Laikin is maahol maiN afsurdagi bhi jurm hai

Dushmani tu khair har surat main hoti hai gunah
Ek muayyan hadd say aagay dosti bhi jurm hai

Hum wafa kar kay rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main is qadar saudagari bhi jurm hai

Iss say pehlay zindagi main itni pabandi na thi
ab to jaisay khud wajood-e-zindagi bhi jurm hai

Aadmi is zindagi say bach kay jaeey bhi kahaan
Maikashi bhi jurm hai aur khud kushi bhi jurm hai

Aik saaghar kay liyay jo baich dain apna zameer
Aisay rindooN kay liyay tashna labee bhi jurm hai

Apni baynoori ka hum Iqbal maatum kion karain
Aaj kay halaat main deeda waree bhi jurm hai

Tumhe maloom hai jaana k tum bhi Ek Qaatil ho,

Tumhe maloom hai jaana k tum bhi Ek Qaatil ho,
Mere andar ka hansta hua insaan tumne maar dala ha

Sunday, February 5, 2012

Usy itna na socha kr tujhe Aadat na par jaye

Usy itna na socha kr tujhe Aadat na par jaye
Phir Aesi aadtain Mohsin... bdalna b nahi mumkin

Good resolutions are simply checks

Good resolutions are simply checks
that men draw on a bank
where they have no account.
Happy New Year.

The Super most example of love in My life.

The Super most example of love in My life.

'When apples were 4 & we were 5,
then my mother said,
'I dont like Apples.'
(Bu Ali Sina)

Aj us ki yaad na hamain tarpaya buht

Aj us ki yaad na hamain tarpaya buht
Aj na chahtay huay bhi wo yaad aae buht
Us k baad to jaisay weshatoon s doosti ho gaye
Phir kyun tanhayion ny aaj daraya buht
W0 meri the Meri hai Meri rahayge
Yah soch k dil ko behlaya buht
Shama k jalnay pay afsoos karain kyun
Hum ny jis kisi ko bhi hamdard samjha
wo najanay kyun hamary dard pay muskuraya buht.

Saturday, February 4, 2012

Hujoom mein tha Woh khul kar na ro saka hoga

Hujoom mein tha Woh khul kar na ro saka hoga,
Magar yaqeen hai k shab bhar na so saka hoga,
Woh shakhs jis ko samajhney mein mujhko umar lagi,
Bichar k muj se kisi ka na ho saka hoga,
Laraztey haath, shikasta si dor saanson ki,
Woh khushak phool kahan tak piro saka hoga ?
Boht ujaarr they pataal uski ankhon k,
Woh ansuon se na daman bhigo saka hoga,
Merey liye voh qabeeley ko chor kar ata,
Muje yaqeen hai yeh uss sey na ho saka hoga.

Life is like math.

Life is like math. Friends ko plus kro ,
dushman ko minus kro,
khushion ko multiply kro,
Gham ko divide kro,
aur hamesha muskrao.

Friday, February 3, 2012

Ghamon Mein Mubtala Rakha Gaya Hai

Ghamon Mein Mubtala Rakha Gaya Hai
Mujhe Mujh Se Judaa Rakha Gaya Hai

Ab Na Jagoon Ga Raaton Ko Uski Yaadon K Saharay…..

Ab Na Jagoon Ga Raaton Ko Uski Yaadon K Saharay…..
Main Nay Fitrat Badalni Hai Uski Nazroon Ki Tarha…

Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Ye Aaib Chupa Hai 'Mohsin'

Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Ye Aaib Chupa Hai 'Mohsin'
Mein Jis Shaks Ko Chu Loon, Wo Mera Nahi Rehta

Har shy ka soda hota he

Har shy ka soda hota he
Her cheez bikaau hoti he
Har fard yaha per taajir he
Har waqt tijaarit hoti he
Tum ap he apne daam kaho
Chup k nhi sar_e_aam kaho
Kya lo ge apni yari ka
Kya lo ge tum dildaari ka
Gham_khwar bno ge kitne men
Tum pyar kro ge kitne men
Sb jazbay meray naam kro
Ham naam tum apna daam kaho
Par daam chukane ki khatir
Ham apna daftar kholen to
Ham apni jaib tatolen to
Bus pyar mily ga thora sa
Azaar mily ga thora sa
Ye sikay yaha kb chalte hen
Kya udhar mily ga thora sa
Ye dunia bay_aitbarie ki
Ye arz he hr beyopari ki
Chal chor tamana jazboun ki
Bas souday hi dekh aaen ham
Ham khali hath hi aaye thay
Chal khali hath hi jayen hum.

Mohabbat khawb hoti hai, Bari betaab hoti hai

Mohabbat khawb hoti hai, Bari betaab hoti hai
Agar koi pooch bethe tou, Mohabbat raaz hoti hai

Thursday, February 2, 2012

Usko Sajny Sanwarny ki zarorat hi Nahi

Usko Sajny Sanwarny ki zarorat hi Nahi...!
Us pr Jachti hai Haya B Ksi Zaiwar Ki Trha

Ada Qatil, Nigah Qatil, Zuban Qatil, Bayan Qatil

Ada Qatil, Nigah Qatil, Zuban Qatil, Bayan Qatil
Bata Qatil, Kahan Jaon? Jahan Jaon Wahan Qatil

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Ranj Bhee Aisay Uthaaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Jo Zamaanay Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaanay
TU Ne Dil Itnay Sataaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Muskuraatay Howay Wo Majmaa-e-Agyaar Ke Saath
Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayeen Dono Aankhain
Aisay Jalway Nazar Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaaray Dushman
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Koochay Se
Is Tarah Khainch Ke Laaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Hum log hain saleet pe likhe hoe naseem

Hum log hain saleet pe likhe hoe naseem
Mitana pare ga agle sawalat k lie

Ujaar di hai ajab zalzalon ne yeh basti

Ujaar di hai ajab zalzalon ne yeh basti
Makeen talash karoon ya makaan talash karoon

Eid Shayari in Hindi

Eid Shayari in Hindi

Pholon Ko Jis Trha Bhanwre Milte Hyn
Aao Is “EID” Pe Hum B Kahin Milte Hyn

Apni Is Chahat Ko Pyar Bari Rafaqat Ko
Sachi Lagan Ka Rang Dete Hyn,

Dunia K Liye Apni Mohbat Ko Misal Krte Hyn
Rawani K Liye Jese Darya Samandar Me Khud Ko Pamal Krte Hyn

Phool Jese Gulshan Se Wafa Nibane Hr Bar Nikalte Hyn
Aao Is EID pe Hum B Kahin Milte Hyn …

Wednesday, February 1, 2012

My day won't certainly be over

My day won't certainly be over
for I have something left to do.

I just couldn't sleep yet without
saying I love you. Good Night

is baar meri jang hy khud apni zaat se

is baar meri jang hy khud apni zaat se
is baar haar jaany ka imkaan bohat hy

Nerangi siasat e doran to daikhye

Nerangi siasat e doran to daikhye
Manzil unhain mili jo shareek e safar na the

kabhi kisi bam k kinare

kabhi kisi bam k kinare
ugre huye per k sahare
mujhe mili hain wo mast ankhen
jo dil k patal main utar kar
gaye dinon ki gufa main jhonk

kabhi kisi ajnabi nagar main
kisi akele udas ghar main
parirukhon ki hasin sabhayen
koi bahar-e-gurez payen

kabhi sar-e-rah sar-e-ku
kabhi pas-e-dar kabhi lab-e-ju
mujhe mili hain wahi nigahen
jo ek lamhe ki dosti main
hazar baton ko kahna chahen

Dil dard ki shidat se hoon gashta wasi para,

Dil dard ki shidat se hoon gashta wasi para,
Is sheher mein mein phirta hai ik wehshi o awaara,
Shaayer hai ke aashir hai, Jogi hai ke banjaara,

Darwaza khula rakhna,

Seeney se ghataa uthey, ankhon se jharri barse,
Phaagan ka nahin badal, jo chaar ghari barse,
Barkha hai yeh bhadon ki, Barse to bari barse,

Darwaza khula rakhna,

Ankhon mein to ik aalam, Ankhon mein to dunya hai,
Honthon pe magar mohrain, Mu’n se nahin kehta hai,
Kis cheez ko kho betha, Kya dhoondne nikla hai,

Darwaza khula rakhna,

Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Sajan hai tera saajan, Ab tujh se to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,

Darwaza khula rakhna,

Shikwon ko utha rakhna, Ankhon ko bacha rakhna,
Ik shamma dareechey ki chokhat pe jala rakhna,
Mayoor na phir jaye, Haan paas wafaa rakhna,

Darwaza khula rakhna,
Darwaza khula rakhna.

bas k dushwar hai har kam ka asan hona

bas k dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona

giriya chahe hai kharabi mere kashane ki
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona

wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko
ap jana udhar aur ap hi hairan hona

jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona

ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona

le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona

ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona

ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona

haif us char girah kapre ki qismat ?ghalib?
jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona