Monday, January 30, 2012

Raqs Karney Ka Mila Hukum Jo Darya-aoun Mei

Raqs Karney Ka Mila Hukum Jo Darya-aoun Mei
Hum Ne Khush Ho K Bhanwar Baandh Liye Paaoun Mei

Hosla Kis Mei Hai Yousaf Ki Kharidaari Ka
Ab To Mehngaai K Charchay Hain Zulekha-aoun Mei

Wo KHUDA Hai, Kisi Tootay Huye Dil Mei Hoga
Masjidoon Mei Usay Doondh, Na Kaleesa’aoun Mei

Hum Ko Aapas Mein Mohabat Nahi Karney Dete
Ek Yehi Aib Hai Is Shehar K Daana’aun Mei

Sunday, January 29, 2012

Birthday Wishes in English

Birthday Wishes in English

Birthday Blessings
Instead Of Counting Candles,
Or Tallying The Years,
Contemplate Your Blessings Now,
As Your Birthday Nears.
Consider Special People
Who Love You, And Who Care,
And Others Who’ve Enriched Your Life
Just By Being There.
Think About The Memories
Passing Years Can Never Mar,
Experiences Great And Small
That Have Made You Who You Are.
Another Year Is A Happy Gift,
So Cut Your Cake, And Say,
“instead Of Counting Birthdays,
I Count Blessings Every Day!”
By Joanna Fuchs

Mujhe lamhaa bhar ki dostiyaa’n ab aur bhi sataayen gi

Mujhe lamhaa bhar ki dostiyaa’n ab aur bhi sataayen gi
Meri umar bhar ki jo pyaas thi, wohi log mujhse bichar gaye

Aaj Wo Muddat Baad Aai Bhi

Aaj Wo Muddat Baad Aai Bhi

Bas Yeh Kehne

Janaa!

Mere Saare Khat Lauta Do

Sab Tasweeren, Qalam, Kitaaben

Wapis Kar Do Saare Tohfay

Mujh Se Sab Kuch Maangne Wali

Jate Jate

Mere Kamrey Ki Chokhat Par

Chor Gai Hai

“Apna Aap”

Saturday, January 28, 2012

I love three things

I love three things,i.e the SUN, the MOON, and YOU, THE SUN 4 A DAY, THE MOON 4 NIGHT, AND U 4 EVER. B/C I LOVE U 4 EVER..

khoobsurat aankhain teri

khoobsurat aankhain teri
raat ko jaagna choor day,

khud ba khud neend aa jayegi
tu mujhey soochna choor day.

Good Night

Friday, January 27, 2012

Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey

Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey
Gulo gulzar ki batain, lab o rukhsaar ke kissey

Yahan sab ke mukadar mein fakat zakhm e judai hai
Sabhi jhotey fasaney hain wasal e yaar ke kissey

Bhala ishq o mohabbat se kis ka pait bharta hai
Suno, tum ko sunata hoon mein karobar ke kissey

Mere ehbaab kehte hain yehi ik ae’ib hai mujhe mein
Sar’e deewar likhta hon mein pas’ey deewar ke kissey

Mein aksar is liye logon se ja kar khud nahin milta
Wohi bekaar ki batain, wohi bekaar ke kissey

turn your face towards the Sacred Mosque

turn your face towards the Sacred Mosque;
and wherever you are, turn your faces towards it... "
The Holy Koran [ 2:150 ]

Wishing you all the blessings from Allah
and praying for a blessed Ramadan

Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay

Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay
Tou Hum Kubhi Ke Gharon Ko Palat Gaye Hotay

Qareeb Reh Ke Sulaghnay Se Kitna Behtar Tha
Kisi Muqaam Per Hum Tum Bicharr Gaye Hotay

Kubhi Toryat Ko Ham Muthion Mein Bhar Letay
Kubhi Hawaaon Se Apne Mukaalmay Hotay

Hamaray Naam Pe Koi Charaagh Tou Jalta
Kisi Zabaan Pe Hamaray Bhi Tazkaray Hotay

Ham Apna Koi Alag Raasta Bana Letay
Hamaray Dil Ne Agar Hoslay Kye Hotay

dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya

dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya
atish-e-khamosh k manind goya jal gaya

dil mein zauq-e-wasl-o-yad-e-yar tak baki nahi
ag is ghar mein lagi aisi k jo tha jal gaya

main adam se bhi pare hun warna gafil! barha
meri ah-e-atshin se bal-e-anqa jal gaya

arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahan
kuch khayal aya tha wehshat ka k sehra jal gaya

dil nahi, tujh ko dikhta warna dagon ki bahar
is charagan ka, karun kya, karfarma jal gaya

main hun aur afsurdagi ki arazu "Ghalib"! k dil
dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya

Jitni Duain Aati Thin,

Jitni Duain Aati Thin,
Sab Maang Leen Hum Ne
Jitne Wazeefe Yaad The Sare,
Kar Bethe Hain
Kai Tarhan Se Jee Dekha Hai
Kai Tarhan Se Mar Bethe Hain
Lekin Janaa!
Kisi Bhi Soorat
Tum Mere Ho Kar Nahi Dete..! :

Thursday, January 26, 2012

BEAUTIFUL PRAYER

BEAUTIFUL PRAYER
O ALLAH...
Enlighten what is Dark in Me,
Strengthen what is Weak in Me,
Mend what is Broken in Me,
Bind what is Bruised in Me,
Heal what is Sick in Me,
Straighten what is Crooked in Me
and
Revive whatever Peace and Love has Died in Me..!
Ameen

Some people hurt by words & some by action

Some people hurt by words & some by action...
But the biggest hurt i believe is
that someone ignoring u
when u value them bigger than anything else!

Wednesday, January 25, 2012

Intezaar-e-yaar me zinda hain Khudaya wrna

Intezaar-e-yaar me zinda hain Khudaya wrna
Kon jeeta hai dunia me tamasha ban kr

Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre

Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre..
Woh Qatil Tha Jise Jaan-o-Jigar Kehta Raha Hoon Main

Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge

Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge

Ye sard shamain b kis qadar zalim hain

Ye sard shamain b kis qadar zalim hain
Ba-Zahir sard hoti hain... Per in me dil sulagta hai

Tuesday, January 24, 2012

Tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti,

Tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti,
Khud ko itni bhi aziyat nahin di ja sakti,

Jaantey hain ke yaqeen toot raha hai dil par,
Phir bhi ab tarq yeh wehshat ki nahin ja sakti,

Habss ka sheher hai aur is mein kisi bhi surat,
Saans lene ki sahulat nahin di ja sakti,

Roshni ke liye darwaaza khula rakhna hai,
Shab se ab koi ijaazat nahin li ja sakti,

Ishq ne hijar ka azaar to de rakha hai,
Is se barrh kar to reyaayet nahin di ja sakti..

A good teacher according to students is 1 who

A good teacher according to students is 1 who :

-Should Be Absent At Least 3 Times A Week
-Should Come In Class 10mins Late And Left The Class 10 Mins Earlier
-Should Not Give Any Homework And Assignments
-Should Not Ask Any Questions To Students
-Should Not Disturb The Students By Teaching While They Are Talking

How can I begin to say I am sorry.

How can I begin to say I am sorry.
I didnt mean to upset you.
I hope that you can forgive me.

I am sorry.

Mohabbat kerny walon ko koee rasta nahi deta

Mohabbat kerny walon ko koee rasta nahi deta,
Zameen waqif nahi banti ,falak saya nahi deta,

Udasi jis k dil mein ho usi ki neend urrti hae,
kisi ko apni aankhon ka koee sapna nahi deta,

Khushi or dukh k mosam sab k apny apny hoty haen,
Kisi ko apny hissey ka koee lamha nahi deta,

Uthana khud hi parrta hae thaka toota badan apna,
K jab tak saans chalti hae ,koee kandha nahi deta.

Bakra Eid Special

Bakra Eid Special

(Wanted)
“Agar Ek Bar Me Gosht Bhej Do
TU
Dobara Mangne Mat Ana”

(Bodyguard)
“Mujh Par Ek Ehsaan Krna
K
Mujhse Bar Bar Gosht Mat Mangna”

(Dabbang)
“Hum Tumhe Itna Gosht Bhejenge
K
Tum Confuse Ho Jaoge K Qurbani Mene Ki Hai Ya Tumne”

Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka TaQaza Hai,

Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka TaQaza Hai,
Gam-E-Duniya Se Ghabra Ke Tumhe Dil Ne Pukara Hai,

Tumhari Berukhi Ek Din Hamari Jaan Le Legi,
Kasam Tumko Zara Socho Ke Dastoor-E-Wafa Kya Hai,

Na Jane Kis Liye Duniya Ki Nazrein Phir Gayi Humse,
Tumhe Dekha Tumhe Chaha Qasoor Iske Siwa Kya Hai,

Na Hai Fariyaad Honthon Pe Na Aankhon Mein Koi Aansu,
Zamane Se Mila Jo Gam Use Giton Mein Dhala Hai…

Hansna nahi aata mujhe ye baat nahi hai

Hansna nahi aata mujhe ye baat nahi hai
shaid tumhain undaza-e halaat nahi hai

ye kaise kahoo.n, un sey main waqif hi nahi hon
haan, door sey dekha hay, mulaqaat nahi hai

shikwe tu unhain mujh sey hamesha hi rahey hain
merey leye ye koi nai baat nahi hai

yoon un sey mulaqaat tu ho jaati hay aksar
bas silsila-e pusish-e halaat nahi hai

namoos-e mohabbat ka tahafuz hay bari baat
khud apna ziyaa.n, koi bari baat nahi hai

be-noor ujaloo.n ko seher kaise samajh loon
tum laakh kahe jajo k ab raat nahi hai

Iqbal, bura kehtey ho tum dil shikani ko
is door main ye baat, koi baat nahi hai

At least three times every day

At least three times every day
take a moment and ask yourself
what is really important.
Have the wisdom and the courage
to build your life around your answer.

(Lee Jampolsky)

Chand Ke – Best Hindi Poetry Sms

Chand Ke – Best Hindi Poetry Sms

Chand Ke Sath Kai Dard Purane Nikale
Kitane Gam The Jo Tere Gam Ke Bahane Nikale

Fasl-e Gul Aayi Phir Ik Bar Asiran-e-vafa
Apne Hi Khun Ke Dariya Mein Nahane Nikale

Hijr Ki Chot Ajab Sang-shikan Hoti Hai
Dil Ke Befaiz Zaminon Se Khazane Nikale

Umr Guzari Hai Shab-e-tar Mein Aankhen Malate
Kis Ufaq Se Mera Khurshid Na Jane Nikale

Ku-e-qatil Mein Chale Jaise Shahidon Ka Julus
Khvab Yun Bhigati Aankhon Ko Sajane Nikale

Dil Ne Ik Int Se Tamir Kiya Taj Mahal
Tu Ne Ik Bat Kahi Lakh Fasane Nikale

Dasht-e Tanhai-e-hijran Mein Khada Sochata Hun
Haye Kya Log Mera Sath Nibhane Nikale

Main Ne ‘amjad’ Use Bevasta Dekha Hi Nahi
Wo To Khushbu Mein Bhi Aahat Ke Bahane Nikale

Monday, January 23, 2012

Sunday, January 22, 2012

Husan ke samjane ko umer chaheye janan

Husan ke samjane ko umer chaheye janan
Do ghari ki chahat me larkian nahin khiltin

Ulfat main khaay zakham jab say

Ulfat main khaay zakham jab say,
Chaine se nahi reh paata hoon main,
Aaj bhi apne me bahut,
Teri kami paata hoon main.

Yun bhi hua raat ko jab log so gaye,

Yun bhi hua raat ko jab log so gaye,
Tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye,

Aa dekh tujhse log jo rehte they door door,
Saaye mein teri yaad ke chup chaap so gaye,

Hum woh jo sarey sheher ke kerte they faisley,
Hum log teri chaah mein ruswaa bhi ho gaye,

Tum kya gaye ke waqt ka ehsaas mar geya,
Raaton ko jaagtey rahe aur din ko so gaye,

Ab zindagi ki shelf mein dhoonda karain ge log,
Arzaan huye hum itne ke nayaab ho gaye,

Arshad wafaa ki raah main shiddat thi is qadar,
Tujh se they kitne log jo rastey mein kho gaye..

Saturday, January 21, 2012

Raat gareeb Maan ne ye keh kar bachon ko sulaya

Raat gareeb Maan ne ye keh kar bachon ko sulaya
Farishtey khwaab me aatey hain rotiyan le kar

pyar bhi kiya aetbar bhi kiya iqrar bhi kiya

pyar bhi kiya
aetbar bhi kiya
iqrar bhi kiya

magar na mila pyar
na aetbar
na izhar

sirf mili haar
aur jhooton ki maar

Najane kyon khayal ata hai mujhe

Najane kyon khayal ata hai mujhe
Jaise ajj se pehle dekha hai tujhe
Jaise bus kuch palon ki hi baat hain
Chod ke chal diya tha tu mujhe

If you were a tear in my eyes

If you were a tear in my eyes, I would never dare to cry. I might lose you !

Hum to yun apni zindagi se mile

Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile

Har wafa aik jurm ho goya
Dost kuch waise berukhi se mile

Phool hi phool hum ne mange the
Daag hi daag zindagi se mile

Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile

Aaj b Sooraj Mashriq he Se Nikala Hai

Aaj b Sooraj Mashriq he Se Nikala Hai
Aaj b Us K aany Ka Koi Imkaan Nahi

Friday, January 20, 2012

phire rah se vo yahan ate ate

phire rah se vo yahan ate ate
ajal meri rahi tu kahan ate ate

mujhe yad karne se ye mudda tha
nikal jaye dam hichakiyan ate ate

kaleja mere munh ko ayega ik din
yun hi lab pe ah-o-fugan ate ate

natija na nikla thak sab payami
vahan jate jate yahan ate ate

nahin khel ai "Dag" yaron se kah do
k ati hai urdu zuban ate ate

Kaam jitna tha mohabbat ka, mohabbat ne kiya

Kaam jitna tha mohabbat ka, mohabbat ne kiya,
Jitna hona tha zamaney ae, zamaney se hua..

Wish You A...Great, Prosperous, Blissful

Wish You A...Great, Prosperous, Blissful,
Healthy, Bright, Delightful, Mind Blowing, Energetic,
Terrific & Extremely ...
HAPPY NEW YEAR

Zaiqa kho de gi har ik she tumhare waste

Zaiqa kho de gi har ik she tumhare waste
Tajarbon se tum samandar ki tarah bhar jao ge

Moti Hum Piro Na Sake – Aansoo Shayari 4 lines

Moti Hum Piro Na Sake – Aansoo Shayari 4 lines

Bikhrey aansoo k moti hum piro na sake,
Teri yaad me saari raat so na sake,
Beh na jaye aansoo main tasvir teri,
Bus yahi soch kar hum ro na sake

Thursday, January 19, 2012

Mere Her Khwab Me Basti Hai Mohabbat Teri

Mere Her Khwab Me Basti Hai Mohabbat Teri
Main Tere Pyar Ki Ranjishon Se Pareshan Nahi

Aao udaas raton main

Aao udaas raton main
Dil ki basti mai a k dekho
Har ek rasta har ek daricha
Tumhari chahat ka muntazir hai
Falak say takta hai chand tum ko
Sitaray tum ko bula rahey hain
Tumhari aamad k muntazir hain
Mujhy yaqin hai tumharey dil mai
Gaye dino k khayal hain kuch
Naye safar k malal hain kuch
Nayi ruton k sawaal hain kuch
Agar ye such hai to meri mano
Purany raston pe loat aao
Purani basti mai koi ab tak
Tumhari aamad ka muntazir hai

Dhola Dholhan Shairy – Shadi Shayri

Dhola Dholhan Shairy – Shadi Shayri

Mubarak Ho Tumko Ye Khoshyo Bhari Raat
Sajan Lene Aaye Hai Sajni Ka Haat
Salamat Rahe Dono Ki Ye Joddi
Rahe Dhola Dholhan Pyaar Se Eak Saath

Wednesday, January 18, 2012

Har dua mein tera hi naam aaya,

Har dua mein tera hi naam aaya,
tere jaane ke baad ye khayal aaya,
kab kahan maine apne liya kuch maanga khuda se
tabhi to teri khusi ke liye? apne pyar ko bhula aaya..

The sky without stars is like sleep without dreams

The sky without stars is like sleep without dreams, like a song without music, like a rose without smell, like a face without smile, like ME without U!

Is dil ke har dhadkan ka ehsaas ho tum

Is dil ke har dhadkan ka ehsaas ho tum.
Tum kya jaano hamare liye kitne khaas ho tum.

juda ho k tumne hame maut se bhi battar sazaa di hai,
Phir bhi is tadapte dil ne tumhe khush rehne ki duaaein di hai

Es lieye bhi raat ko ghar sy nikal ata ho may

Es lieye bhi raat ko ghar sy nikal ata ho may
sardiyon ke chand ko ehsas-y tanhai na ho

Koi pathar sa dil la do

Koi pathar sa dil la do
Mujhe dunia me jeena hy

Tuesday, January 17, 2012

Fill your life with Happiness & Bright Cheer

Fill your life with Happiness & Bright Cheer,
Bring to u Joy and Prosperity for the whole Year,
And it's my New Year wish 4u Dear.
Wishing u a VERY HAPPY NEW YEAR

Khuda wo waqt na laye k sogawar ho tu

Khuda wo waqt na laye k sogawar ho tu
sukun ki nind tujhe bhi haram ho jaye
teri masarrat-e-paiham tamam ho jaye
teri hayat tujhe talkh jam ho jaye

gamon se aina-e-dil gudaz ho tera
Hujum-e-yas se betab ho k rah jaye
wafur-e-dard se simab ho k rah jaye
tera shabab faqat khwab ho k rah jaye

gurur-e-husn sarapa niyaz ho tera
tawil raton main tu bhi qarar ko tarse
teri nigah kisi gamgusar ko tarae
khizan rasida tamanna bahar ko tarse

koi jabin na tere sang-e-astan pe jhuke
k jins-e-ijz-o-aqidat se tujh ko shad kare
fareb-e-wada-e-farda pe aetamad kare
Khuda wo waqt na laye k tujh ko yad aye

wo dil k tere liye be-qarar ab bhi hai
wo ankh jis ko tera intazar ab bhi ha

Sara din main aik chehra sochta rehta hoon,

Sara din main aik chehra sochta rehta hoon,
Jis ko dekha nahin hai, us ko dekhta rehta hoon,

Aankhain rehen parri hain jis ke hijer mein sadiyon se,
Aayinon mein ussi ka akss choomta rehta hoon,

Sabzz parindon waley saahil ki tabeer ki khatir,
Main ik khawb ko apne khawb sunaata rehta hoon,

Wasl ke rang, shanaasha khushbu, phaillay chaaron aur,
Shaam sawerey un ke peechey chalta rehta hoon,

Dil ka dard jaganey wali aik sadaa aur main,
Apne hath mein aik lakeer si dhoondta rehta hoon,

Ik awaaz main shaamil kesi awaazain hain Ataa,
Kya kuch yaad aata hai, kya kuch bhoolta rehta hoon..

Monday, January 16, 2012

Take a glass of sugar

Take a glass of sugar
and put it in your eyes
so you will have sweet dreams!

If you want masala dreams,
then try chilly powder!

Good night
Have a nice dream

Nigaah E Shoq Se Hum Ne Tumhien Eik Baar Dekha Tha

Nigaah E Shoq Se Hum Ne Tumhien Eik Baar Dekha Tha,
Koii Jazba Tha Pehli Baar Jisey Be-Daar Dekha Tha,
Bara Sasta Zamana Hai Yhahan Ab Log Biktey Hain,
Tera Soda Bhi Hum Ne Kal Sar-E-Bazaar Dekha Tha,
Wo Jis Ke Hont Par Har Dum Sajii Muskaan Rehti Thi,
Na Jaaney Kyon Usey Main Ne Bara Bezaar Dekha Tha,
Roz O Shab Badalney Main Bhala Kya Dair Lagti Hai,
Jo Takht O Taaj Rakhtey They Unhien La-Chaar Dekha Tha,
Hum Apney Dost Dushman Ki Khabar Jo Rakh Nahi Paa?ye,
Usi Ne Waar Kar Dala Jisey Gham-Khwaar Dekha Tha,
Tum Apni Be-Wafaii Par Agar Naadim Nahi Ho To,
Aankhon Ko Tumhaari Phir Kyon Zaiy-Re-Baar Dekha Tha.

Pather k khuda pather k sanam ,pather k hi insan paye hain

Pather k khuda pather k sanam ,pather k hi insan paye hain
Tum shehr-e-muhabbat khty ho,hum jan bacha kr ay hain

koi keh de mohabbat ke khareedaroN se

koi keh de mohabbat ke khareedaroN se
pyar vo shey hai jo milti nahi bazaroN se

hum toh pehle hi mohabbat mein jale baithe hain
kyun darte ho tum dehkte huye angaroN se

aaj bhi unnse mulakat na ho payi toh phir
jaan de denge sar phod ke diwaroN se

koi puche bhi toh hum biyan nahi kar sakte
iss tarah bichde hain hum jaan se payaroN se

kya sila milta hai iss duniya mein waffaoN ka
kaash puche koi hum jaise gunahgaroN se

phala phool rahay hain ya rab chaman meri umeedon ka

phala phool rahay hain ya rab chaman meri umeedon ka
jgr ka hoon day day kar ya bootay main na paalay hain

Sunta Hai Dil – Qayamat 2 Lines

Sunta Hai Dil – Qayamat 2 Lines

Yeh Bhi Acha Hai Sirf Sunta Hai Dil
Agar Boltaa To Qayamat Hoti

Sunday, January 15, 2012

Ab tujhy dekhun to mohabat nahi hoti mujhko

Ab tujhy dekhun to mohabat nahi hoti mujhko
zakham khulty hain to aziyat nahi hoti mujh ko

itna badla hun tery sheher ka pani pi kar
jhoot bolun to ndamat nahi hoti mujh ko

ab koi aae chala jae main khush rehta hun
ab kisi shakhs ki adat nahi hoti mujh ko

itna masroof hun jiny ki hawas main Shahid
sans leny ki bhi fursat nai hoti mujh ko

Good Luck 4 Ramazan

Best
Leader - Allah
Guide - Quaran
Lyrics - Aazan
Loyality - Imaan
Request - Dua
Protection - Fitra
Oath - Kalma
Exercise - Namaaz
Self Control - Roza
So Good Luck 4 Ramazan

TEACHER is a full form of

TEACHER is a full form of

T-Talent
E-Education
A-Attitude
C-Character
H-Harmony
E-Efficient
R-Relation

Happy Teachers Day

Hamain malum tha ye bi

Hamain malum tha ye bi
hamain wapas palatna hai
junun ki akhri had se
sakun ki jang larne tak
khirchyun main bikhrne tak
na koi sath de ga
na koi hath de ga
shanasha har shakhs hamara
hamain chor jaye ga
sapne bunte khilin thi jo
wo kaliyan tor jaye ga..
Hamain malum tha koi gosha nai ho ga
jahan pe panah payain gay
mgr phr bi
jub tum ne sath manga tu
bina soche
bina samjhe
rida.e.muhbt orhe
zad.e.rah lye bina
tere qadmun k peche hi
nikl pare hum is safr main
hamain roka bi tha dil ne
wahsat k safar main jub
tum sakun pa lo gay
be.maya kr k zat ko meri
kisi k sath tum agay nikalte jao gay
hamain malum tha ye sub
safr se le kr tere bichre ki azeyat tak
main sub janti thi

Dono hathon se chupa rakha hai Rukhsaron ko

Dono hathon se chupa rakha hai Rukhsaron ko
Kis Trah Bhaanp liya tum ne Irada mera...?

Friday, January 13, 2012

Husband asks: Do you know the meaning of WIFE? It means...

Husband asks: Do you know the meaning of WIFE? It means...
Without Information, Fighting Everytime!

WIFE says: No darling , it means :-
With Idiot For Ever

Khuda kry saari umr mujhe manzil na mily.

Khuda kry saari umr mujhe manzil na mily..
Bari mushkil se wo raazi hoa hy sath chalny ko...!

After finishing MBBS

After finishing MBBS... Dr Munna Bhai starts his practice.

He checked his FIRST patient's eyes,
tongue & ears by TORCH & finally what did he say?

"Battery is OK"

Jalwon ki bheek, husn ki khairat chahyay

Jalwon ki bheek, husn ki khairat chahyay
ye kia kaha keh tujh ko mri zaat chahyay

Ab to kuch aesi soorat e halaat chahyay
woh bhi kahen, hamen to tra haath chahyay

Kis nay kaha tujh say musalsal ho iltifat
lekin kabhi kabhi to mulaqat chahyay

Aashuftagi jan hay mri wajha inbisaat
dunya ko to hansi kay liyay baat chahyay

Mumkin nahi keh koi, dua barwar na ho
din raat sarf us say manajat chahyay

Pather hi sahi raah mein haael to rahunga

Pather hi sahi raah mein haael to rahunga,
Kuch dair tera madd-e-muqabil to rahunga..

Jab tak teri bakhshish ka bharam khul nahin jata,
Ay meri sakhi,main tera saael to rahunga..

Is waaste zinda hoon sar-e-maqtil-e-yaraan,
Wabasta-e-kam zarfi-e-qatil to rahunga!

Ay taiz hawa mera dhuwaan dekh k jana,
Bujh kar bhi nishan-e-reh-e-manzil to rahunga!

Dushman hi sahi naam to lay ga mera tu bhi,
Yoon main teri awaz mein shamil to rahunga..

Jab tak main baghawat na karun jabr-o-sitam se,
Zindaan mein hoon,paband-e-salasil to rahunga.?

Mohsin zad-e-adaa se agar mar bhi gaya main,
Maiyaar-e-tameez-e-haq-o-batil to rahunga

Himayat Ali Shayar in Urdu

Himayat Ali Shayar in Urdu

Aj Ae Dil Lab-o-rukhsar Ke Baten Hai Sahi

Aj Ae Dil Lab-o-rukhsar Ke Baten Hai Sahi
Waqt Kat Jayega Kuch Pyar Ke Baten Hi Sahi

Yun To Katati Hi Rahegi Gam-e-dauran Mein Hayat
Aj Ke Rat Gam-e-yar Ke Baten Hi Sahi

Zinda Rahane Ke Kabhi To Koi Surat Nikale
Isharat-e-alam-e-didar Ke Baten Hi Sahi

Koi To Bat Chide Aj Bahut Jee Hai Udas
Kam Se Kam Rahamat-e-agyar Ke Baten Hi Sahi

Ab To Tanhai Ko Ye Karb Na Hoga Bardasht
Kuch Nahi To Dar-o-divar Ke Baten Hi Sahi

Ye Bhi Kya Kam Hai Unhen Qurbat-e-gul To Hai Nasib
Aj Gul Ke Na Sahi Khar Ke Baten Hi Sahi

Ye To Tai Hai Ki Jiye Jayenge Har Hal Mein Hum
Un Ke Lab Par Rasan-o-dar Ke Baten Hi Sahi

Nazar ko Rook Kisi Arzo K Sahil Pr

Nazar ko Rook Kisi Arzo K Sahil Pr
Ab Us K HusN k Darya Ko Aisy Paar Na Kr

Thursday, January 12, 2012

kahan aa k rukne the raste kahan mor tha use bhul ja

kahan aa k rukne the raste kahan mor tha use bhul ja
vo jo mil gaya use yad rakh jo nahi mila use bhul ja

vo tere nasib ki barishen kisi aur chat pe baras gai
dil-e-bekhabar meri bat sun use bhul ja use bhul ja

main to gum tha tere hi dhyan main teri as main tere guman main
hava kah gai mere kan main mere sath a use bhul ja

tujhe chand ban k mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja

Ajeeb Zindagi Ki Karam Nawazi Hai Mujh Pr

Ajeeb Zindagi Ki Karam Nawazi Hai Mujh Pr
Ek Pyar Anokha... Dooja Yaar Anokha..

Usey itna batana chahta hun

Usey itna batana chahta hun,
Kay ab us ko bhulana chahta hun,

Jo maojien uth rahi hain dil kay andar,
Inhien phir sey dabana chahta hun,

Ay bachpan kay haseen lamhey thehar ja,
Main wapis laot ana chahta hun,

Main rahi hun andherey raston ka,
Magar mash’al jalana chahta hun,

Koi lut jaye na manzil sey pehley,
Naya rasta dikhana chahta hun,

Asad hayel hain jo merey rastey me pathar,
Wo sab pathar hatana chahta hun.

Kisi K Liye Zindagi Thi Koi Zindagi K Liye Tha

Kisi K Liye Zindagi Thi

Koi Zindagi K Liye Tha

Kisi Ki Andheron Me Guzri

Koi Sirf Roshni K Liye Tha

Kisi Nay Kiye Hukam Sadir

Koi Sirf Bandagi K Liye Tha

Kisi Say Mohabbat Hai Itni

Koi Sirf Dushmani K Liye Tha

Kisi Say Huay Log Sairaab

Koi Sirf Tishnagi K Liye Tha

Wo Phir Dunya Me Tha Masroof

Koi Sirf Usi K Liye Tha

Hua Kya Agar Torh Dala

Ye DiL Bhi To Sirf Usi Ke Liye Tha

Dil Ki Baatein Bata Deti Hain Aankhein – Eyes Poetry

Dil Ki Baatein Bata Deti Hain Aankhein – Eyes Poetry

Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein
Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhein

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain, Aankhein

Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, Aankhein

Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain, Aankhein

Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, To Ae-Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, Aankhein

Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, Aankhein

Shukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat
Humaare Dard-O-Gham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein

Youn to rehmat hy teri, Teray ghazab py haavi,

Youn to rehmat hy teri, Teray ghazab py haavi,
Phir bhi Mehshar men khudaya mera Parda rakhna..

Love Two Lines Shayari

Love Two Lines Shayari

Hum Hi Wafa-Shikan Thay, Chalo Hm Hi Bewafa,,
Tum To Wafa-Shanaas Thay, Tum Q Badal Gaye…??

Jab se Tum ne Hata lye Baazo

Jab se Tum ne Hata lye Baazo
Sir K neechy Sawal Rakhy Hain

Wednesday, January 11, 2012

Tum B Nikly Ho Wafa Ki Talash Me

Tum B Nikly Ho Wafa Ki Talash Me
Yaqeen Kro... Nahi Milti... Nahi Milti... Nahi Milti

On this special day

On this special day,
best wishes go to you,
that this wonderful love u share,
lasts ur lifetime through.
Happy anniversary to you my Love

Tuesday, January 10, 2012

Sawan ki hawaon mein zakhm jag uthtey hain

Sawan ki hawaon mein zakhm jag uthtey hain
Shehar-e-dil ki fizaaon may alm jag uthtey hain

Surgazisht likhney ko jab bhi kagaz uthata hon
Khiyal ki zameenon may talatum jag uthtey hain

Baazecha-e-atfaal may nanhey nanhey phool mehakte dekhon tu
Dard key sehraaon may marhan rog bantey hain

Meri basti may kabhi mehfilain saja karti thein
Khoon-e-insan ki khusboun se ab sar-e-sham soog biliktey hain

Ghar se nikalna chaho tu ujaalon may hi nikalna
Meray arz-e-pak ki galiyun may har sham naag nikaltey hain

Khuda Karey – Dil ke Pass Shayari

Khuda Karey – Dil ke Pass Shayari

Wo Jo Zindagi K Sath Hotey Hen
Wo Jo Chahaton K Talabgar Hotey Hen
Khuda Karey Wo Hamesha Khush Rahen
Jo Sada Dil K Pass Hotey Hen…!!!

Monday, January 9, 2012

meri rooh aazaadi chahti hai

meri rooh aazaadi chahti hai!!!

jism ka zindaan tang hota ja raha hey
her suu rasmoo’n ki dewaarein uuth rahi hein!
lehza ba lehza!!!

yaa’n maayusi ka ghata toup andhera…
khud gharzi ki badboo daar fiza hey,

kaheen nafs ki aadam khour baelein uug rahi hein…
aur kaheen hawas ki daldal …
baa’nhein kholey baethhi hey,

khawhishein!!!
aur khawhishoo’n ki khawhish mey saazishein!!
khud rou poudoo’n ki maanind panap rahein hein,

zindagi bhi maut key paerahan mey dikhti hey
aur din ka uujalaa raat key libaadey mey aata hey,

nafratoo’n key aatish daa’n bhadak rahey hein…
chahat ka her phool jis mey jal raha hey,

aur ab!!!
bas Kaatib-e-taqdeer sey ik aur berbaadi chahti hey..

meray jism k zindaan sey…
meri rooh aazaadi chahti hey

New Year is the time to unfold new horizons

New Year is the time to
unfold new horizons & realize new dreams,
to rediscover the strength & faith within u,
to rejoice in simple pleasures &
gear up 4 a new challenges.
Wishing u a truly fulfilling 2012

Meri awaargi logo nahin be’ja qasam le lo,

Meri awaargi logo nahin be’ja qasam le lo,
Agar tum dekhte usko to mery humsafar hotey..

Many Birthday Blessings 2 U

Many Birthday Blessings 2 U

I hope ur birthday is golden,
without a worry or a care.
I hope U have beautiful dreams
& find happiness everywhere.
I’m sorry that I can’t be there
2 celebrate with U,
but though there’s much distance between us,
I’ll be thinking of U all day,
& wishing U a wonderful &
memorable holiday.
Many birthday blessings 2 U!

Har pal ne kaha ek pal se…

Har pal ne kaha ek pal se…
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao…
pal bhar ka saath kuch aisa ho…
ki har pal tum hi yaad aao…

There's no Special reason for this msg

There's no Special reason for this msg, I juz wanna steal a single moment out of ur busy life & hope I can make u smile n say: I Miss U

Koi jazba adhoora reh geya hai,

Koi jazba adhoora reh geya hai,
December aansu’on mein beh geya hai,

Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai,
Najane aaj woh kya keh geya hai,

Yeh aannkhain hain hamari kitni gehri,
Samundar mein samundar beh geya hai,

Tumhare sath wabasta tha sab kuch,
Siwaye yaad ke kya reh geya hai,

Palat kar dekhne per hum ne jana,
Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai,

Bohat bheerr hai bazaron mein lekin,
Tera Arshad akela reh geya hai..

Sunday, January 8, 2012

Bana kar tujhey kajal aankhon mein saja loon

Bana kar tujhey kajal aankhon mein saja loon
Sindori koi shaam sung teray bitta loon

Bethon kuch dair ko teri zulfon ke saaye
Suna kar tujhey dard mai ashk baha loon

Saahil pe likhon naam tera aur yun ho
Bipahrti hoi moujon ko dushman banna loon

Kuch dair ke waastey angrai na tooro
Kaliyun ko chtakhney ki adda seekha loon

Kehta hai ye mousam kaanon may meray
Banna kar tujhey sawan rooh may bassa loon

Kese koi chupaaye aansuu,

Kese koi chupaaye aansuu,
Aakhir aankh main aaye aansuu,

Tujh ko yeh maloom nahin,
Kitne raat bahaaye aansuu,

Dard ki lazat aur barhi,
Jab aansuu main milaye aansuu,

Mene kaajal saaf kiya,
Aur palkon pe sajaye aansuu,

Us ne meri yaad main Rahi,
Kese aaj bahaaye aansuu..

teri hijraton ka malal tha magar ab nahi

teri hijraton ka malal tha magar ab nahi

mujhy sirf tera khyal tha magar ab nahi

teri be-misal qurbaton k nisaab main

tu zamany bhar main misal tha magar ab nahi

jisy tu ne dard ata kia

wo teri qurbaton main nihal tha magar ab nahi

main teri talash main reza reza bighar gai

wo janun-e-showk-e-wisal tha magar ab nahi

tery dar pe akhri bar a k main q palat gai

ye meri zindagi ka sawal tha magar ab nahi

Goodmorning to youuuuuuuuuuuuuu

Cockacoladuuuuuu, Refreshed and newwwwwwwwwwww,
skies are bluuuuuuuuuuuu,
Goodmorning to youuuuuuuuuuuuuu

kab wo sunta hai kahani meri

kab wo sunta hai kahani meri
aur phir wo bhi zabani meri

khalish-e-gamza-e-khunrez na puch
dekh khunbafishani meri

kya bayan kar k mera royege yar
magar ashufta-bayani meri

hun zikhud rafta-e-baida-e-khayal
bhul jana hai nishani meri

mutaqabil hai muqabil mera
ruk gaya dekh rawani meri

qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hun
sakht arzan hai girani meri

dahan us ka jo na malum hua
khul gai hao chamandani meri

kar diya zof ne ajiz "Ghalib"
nang-e-piri hai jawani meri

Saturday, January 7, 2012

New is the year

New is the year, new are the hopes and the aspirations, new is the resolution, new are the spirits and forever my warm wishes are for u.Have a promising and fulfilling new year.

armaan bhare dil mein zakhmo ko jagah de de

armaan bhare dil mein
zakhmo ko jagah de de

bhadke hue sholon ko
kuch aur hawa dede

banti hai to ban jaaye
ye zindagi afsaana

aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana

ik din to samajh legi
duniya tera afsaana

aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana

fariyaad se kya haasil
rone se nateeja kya

bekaar hai ye baatein
in baaton se hoga kya

apna bhi ghadi bhar mein
ban jaata hai begaana

aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana

ik din to samajh legi
duniya tera afsaana

aye mere dil e nadaan
tu ghum se na ghabrana

Friday, January 6, 2012

Dil Pe Aise Bhi Azaabon Ko Utarte Dekha

Dil Pe Aise Bhi Azaabon Ko Utarte Dekha
Hum Ne Chup Chap Use Khud Se Bichhadte Dekha

Usko Socha To Har Ek Soch Mein Khushboo Utri
Usko Likha To Har Ek Lafz Mehakte Dekha

Yaad Aa Jaye To Qaboo Nahi Rehta Dil Par Mera
Warna Duniya Ne Na Kabhi Humko Tadapte Dekha

Teri Surat Ko Faqat Aankh Nahi Tarsi Hai
Raaston Ko Bhi Teri Yaad Mein Rote Dekha

Hum Mohabbat Ke Liye Aaj Bhi Deewane Hain
Yeh Alag Baat Hai Ke Tum Ne Nahin Mud Kar Dekha

Kon aa kar cherta hai mere dil ko in dinon

Kon aa kar cherta hai mere dil ko in dinon
Us jaga hota nahin hai jis jaga rakhata hon me

Latest Hindi Khusboo Shayari

Latest Hindi Khusboo Shayari

Nazar se durr hai fir bhi fiza mein shamil hai,
Kisi ke pyar ki khushboo hawa mein shamil hai….

Mein chah kar bhi tere paas aa nahi sakta,
Ke durr rehna bhi meri wafa mein shamil hai….

Khazane gum ke mere dil mein dafan hai yaaro,
Ye muskurana toh meri ada mein shamil hai….

Khuda kare ki ye usko kabhi pata na chale,
Ki bebasi bhi humari raza mein shamil hai….

Toofan mein humko chor ke jaane ka shukriya,
Khairsigali meri urdu zuban mein shamil hai….

Tere suluk ne jeena sikha diya lekin,
Tere bagair ye jeena saza mein shamil hai….

ksi khush nigah c aankh ne

ksi khush nigah c aankh ne
ye kamal mjh pe karam kia
meri loh e jan pe raqam kia
wo jo ek chand sa harf tha
wo jo ek sham sa naam tha
wo jo ek phool c baat thi
osy gulistan ka pta dia
mera dil jo shehr e malal tha
osy roshni mai bsa dia
meri aankh aur khuwab ko
kisi ek pal mai baham kia
mere aaenon pe jo gard thi
maah o saal ki wo utar gae
sbhi khuwab sham o wasal k
osi ek pal mai chamak uthy
liye sath rang bahar k
mai jo chala sang e bahar k
to saja diye sbhi rasty
mere nam par mere wasty
meri beghari ko panah di
meri justaju ko nishan dia
jo yaqin se bhi haseen tha
mjhy ek aisa guman dia
wo jo reza reza wajood tha
osy ek nazar mai baham kia
KSI KHUSH NIGAH C AANKH NE

Some words can be left unsaid,

Some words can be left unsaid,
Some feeling can be left unexpressed,
But person like u can never be forgotten on this day

* * EID MUBARAK**

Noor Uska Zahoor Uska

Noor Uska Zahoor Uska
Jo Na Dekhe Kasoor uska

Thursday, January 5, 2012

when all the season will be dry

when all the season will be dry, when all the bird leave the sky, when all friends say u good bye, U will found me there to say hi

Nafratoon Ki Duniyan me Piyar Na Kar 'Wasi'

Nafratoon Ki Duniyan me Piyar Na Kar 'Wasi'
Rooh Fana ho Jati hai Lekin Wafa nahe Milti.

Meri wafayen yaad karoge

Meri wafayen yaad karoge,
Ro’ge fariyad karoge,

Mujko to barbad kiya he,
Ab or kise barbad karoge..

Sochtay Rehnay Ki Aadat Hogayi

Sochtay Rehnay Ki Aadat Hogayi
Chaunktey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Hijr Ki Raaton K Sung Aankhoun Ko Bhi
Jaagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Jaaney Kia Dar Hai K Apnay Aap say
Bhaagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Woh Nahin Lautey Gaa Phir Kiyoon Rehguzar
Daikhtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Woh Meray Andar Chupa Hay Or Usay
Boltey Rehnay Ki Aadat Hogayi~!

Pyar K Baary Me Itna Nahi Soocha Jata

Pyar K Baary Me Itna Nahi Soocha Jata
Us Se Keh Do... Meri Ankhon Ka SaFaR Khatam Kry

Abhe Masroof Hon Kafi Kabhe Fursat Me Sochun Ga,

Abhe Masroof Hon Kafi Kabhe Fursat Me Sochun Ga,
K Tuj Ko Yaad Rakhne Me Main Kya Kya Bhol Jata Hun…!

Meri Nazar ne to dil tk Rasaayi di thi usay

Meri Nazar ne to dil tk Rasaayi di thi usay
Wo meri rooh mai apne hunar se utra tha

Zingadi Shayari in Urdu 140 Words

Zingadi Shayari in Urdu 140 Words

Sath Chalne Ke Liye Sathi Chahiye
Aansu Rokne Ke Liye Muskan Chahiye
Zinda Rehne Ke Liye Zindagi Chahiye
Aur Zindagi Jine Ke Liye Aap Chahiya

Khiyaal-o-Khawab Howa Barg-o-Baar Ka Mosam

Khiyaal-o-Khawab Howa Barg-o-Baar Ka Mosam
Bechar Giya Teri Soorat, Bahaar Ka Mosam,

Kai Rotun Se Mere Neem Waa Dareechon Mein
Ther Giya Hai Tere Intezaar Ka Mosam,

Woh Narm Lehje Mein Kuch To kahe K Laot Aaye
Samaa`aton Ki Zameen Par Bahaar Ka Mosam,

Payaam Aaya Hai Pher Ek Saro Qamat ka
Mere Wajood Ko Khenche Hai Daar ka Mosam,

Woh Aag Hai K Meri Poor Poore Jalti Hai
Mere Badan Ko Mila Hai Chanaar Ka Mosam,

Rafaqaton Kay Nai Khawab Khushnuma Hain Magar
Guzar Chuka Hai Tere Etbaar Ka Mosam,

Hawaa Chali To nai Baarishen Bhi Saath Aaien
Zameen Kay Chehre Pe Aaya Hai Nikhaar Ka Mosam,

Woh Mera Naam Liye Jaaye Aur Main Us Ka Naam
Lahu Mein Goojh Raha Hai Pukaar Ka Mosam,

Qadam Rakhe Meri Khusbu K Ghar Ko Laota Aaye
Koi Bataaye Mujhe Kowe Yaar Ka Mosam,

Woh Roz Aake Mujeh Apna Piyaar Pehnaye
Nera Garoor Hai Bele Kay Haar Ka Mosam

Tere Tareeq-e-Muhabbat Pe Baar Haa Socha
Yeh Jabar Tha Kay Tere Ikhtiyaar Ka Mosam.

Wednesday, January 4, 2012

Once A Keera saw a piece of Gurr

Once A Keera saw a piece of Gurr,

He went to eat it,

But

On the way he saw a keeri,

He left the Gurr & went with keeri.

MORAL:
*Gurr nalo ishq mitha*;-

Nikalna khuld say aadam ka sunte aaye hain lakin

Nikalna khuld say aadam ka sunte aaye hain lakin
Bohat bayabroo ho kar teray kochay say hum niklay

Yeh Jo Pathar Hai Yeh Aadmi Tha Kabhi

Yeh Jo Pathar Hai Yeh Aadmi Tha Kabhi
Iss Ko Kehte Hain Intizaar Mian

sach yahi hai meray dost

sach yahi hai meray dost
k ab achi nahi lagti
mjhay khuch khas ye dunia
najanay kion yunhi aksar
kabhi tanhaiyoun main apni...
khayal-e-mout aye to
chalak jati hain ye ankhain
ab kia tasalli doon
apnay betaab dil ko main
ajab mushkil main ho ab likin
yaqeen khuda pe rakhti hn
chalo acha hai k ab logoun
kisi ko asal chahat nahi mjhsay
kam az kam yad ker k to
koi roye ga na phr mjhko
qabr meri kabhi aye dost
ansooun say na bheegay
ab yeh hi muqadar hai
yahi tarz-e-zndgi b hai
k khushi kisi k daman main
hamesha nahi rehti
yeh to aik gulshan ki tarhan
jahan akhir bahar ko
bus AANA AUR JANA HAI.

Us Ne Bhula Diya To Tu Gila Na kar

Us Ne Bhula Diya To Tu Gila Na kar
Yaar ko... Bary ikhteyar Hoa krty Hain

Tuesday, January 3, 2012

Kabhi Dil Ka Haal Nahii Kartey

Kabhi Dil Ka Haal Nahii Kartey

Hum Apney Aap Pey Bhi Zahir Kabhi Dil Ka Haal Nahii Kartey
Chup Rehtey Hain Dukh Sehtey Hain Koi Ranj O Malal Nahi Kartey

Hum Jo Kuch Han Hum Jaisey Hain Waisey Hii Dikhaii Daitey Hain
Chehrey Pey Bhabhoot Nahii Maltey Kabhi Kaaley Baal Nahi Kartey

Hum Haar Gye Tum Jeet Gye Hum Ney Khoya Tum Ney Paya
In Chotii Chotii Baaton Ka Hum Koii Khyaal Nahi Kartey

Teray Dewaaney Ho Jatey Khien Seharaaon Mein Khoa Jatey
Dewaar O Dar Mein Qaid Humien Agar Ehal O Ayaal Nahii Kartey

Teri Marzii Par Hum Raazi Hain Jo Too Chahey Wo Hum Chaahien
Hum Hijjr Kii Fiker Nahii Kartey Hum Zikar E Visaal Nahii Kartey

Humien Teray Siwa Is Dunya Mein Kisi Aur Sey Kya Laina Daina
Hum Sab Ko Jawaab Nahii Daitey Hum Sab Sey Sawaal Nahii Kartey

Ghazalon Mein Humarii Bolta Hai Wohii Kaanon Mein Ras Gholta Hai
Wohii Band Kavaarey Kholta Hai Hum Koii Kamaal Nahii Kartey

Zindagi ke raahon main runge-o-gham k mailay hain

Zindagi ke raahon main runge-o-gham k mailay hain
Chaar soo andhairay hain un ginnat jhamailay hain

Kishtiyan hain kaaghaz ki barishon ka mousam hay
Aandhiyon k jhhakad main paaniyon k railay hain

Dard ka sumdar hay mohabaton ke baazi main
Ghamo ke rawani main dard kitnay jhailay hain

Tum bina adhori hay zindagi dau pal ke hay
Ansoowon k darya main kis qader akailay hain

Na tammam ruston main doshmanno k pehray hain
Baywafa zamanay nay khail kaisay khailay hain

Kis ko maan lain apna kis say doshmanni rakhain
Iss baibasi main ghum baishumaar jhailay hain

Baat ik lumhay ke hay waqat kab maeyeser hay
Khawhishein hazaron hain haath meray phailay hain

Aa k tum he rakh jaao dil pay haath shaukat k
Dooor reh k batoon say dil kis k behlay hain

Monday, January 2, 2012

Ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai

Ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai
de k ik dard naya shaam nikal jati hai

us ko deakhon to mere dard ko milta hai sukoon
us se bichroun to meri jaan nikal jati hai

ishq kuch aisey mitata hay nishaan e hasti
jaisey har raat ujaalay ko nigal jati hai

zakham bharta he nahi us ki judai ka magar
phir us ki yaad naya dard ugal jati hai

wo agar dil pe mere haath he rakh de Mohsin"
toot"ti saans bhi kuch dair sambhal jati hai

Yeh mujhe ijtmaayi khudkushi ka morr lagta hai,

Yeh mujhe ijtmaayi khudkushi ka morr lagta hai,
Ke log ab ghar nahin rakhte magar hathyaar rakhe hain..

True friends are like mornings

True friends are like mornings,
u cant have them the whole day,

but u can be sure,

they will be there when u wake up tomorrow,
next year and forever.

Sunday, January 1, 2012

IshQ ki Akhri Manzil Pr Aa Kr Socha

IshQ ki Akhri Manzil Pr Aa Kr Socha...
Ab Teri Yaad Ko Darya Me Baha Diya Jaye

aaNkhon mein ji mera hai idhar yaar dekhanaa

aaNkhon mein ji mera hai idhar yaar dekhanaa
aashiq kaa apane aaKharii diidaar dekhanaa

kaisaa chaman ke ham se asiiro.n ko manaa hai
chaak-e-qafas se baaG kii diivaar dekhanaa

aa.Nkhe.n churaaiio na Tuk abr-e-bahaar se
merii taraf bhii diidah-e-Khuu.N_baar dekhanaa

ae ham-safar na aable ko pahu.Nche chashm-e-tar
lagaa hai mere paao.n me.n aa Khaar dekhanaa

honaa na chaar chashm dik uss zulm-paishaah se
hoshiyaar ziinhaar Khabardaar dekhanaa

sayyad dil hai daaG-e-judaaii se rashk-e-baaG
tujh ko bhii ho nasiib ye gulazaar dekhanaa

gar zam_zamaa yahii hai koii din to ham-safiir
is fasl hii me.n ham ko giriftaar dekhanaa

bul-bul hamaare gul pe na gustaaKh kar nazar
ho jaayegaa gale kaa kahii.n haar dekhanaa

shaayad hamaarii Khaak se kuchh ho bhii ae nasiim
Girbaal kar ke kuuchaa-e-dildaar dekhanaa

us Khush-nigaah ke ishq se parahez kiijio ‘Meer’
jaataa hai leke jii hii ye aazaar dekhanaa

Meri Khamoshiyon Me Karwatain Lete Hain Hangamy

Meri Khamoshiyon Me Karwatain Lete Hain Hangamy
Zamany Pr Qayamat Ban K Tooty Ga Sakoon Mera

Har kamyabi pe apka nam hoga,

Har kamyabi pe apka nam hoga,
Apke har kadam pe duniya ka salam hoga,
Mushkilo ka samna himmat se karna,
Dua hai ek din waqt bhi apka gulam hoga

Morning is not only sunrise

Morning is not only sunrise
but a beautiful miracle of GOD
that defeats the darkness & spread light.
May everyday spread light in your whole life.Ameen.!
"Good Morning"

jahan tak bhi nazar jati hai

jahan tak bhi nazar jati hai
halkay aur gehray sabz rangon ka
simat'ta phailta darya hai,
hr moj-e-hawa say
door tak ik srsrahat
narm lehroan ki trah say phailti hai
shabnami khunki
meri aankhon say,paaon tak utarti hai