Sadiyon se insaan yeh sunta aya hai
Dukh ki dhoop ke agey sukh ka saya hai
Hum ko in sasti khushiyon ka bhoj na do
Hum ne soch samajh ke gham apnaya hai
Jhoot to kaatil thehra, is ka kya rona
Sach ne bhi insaan ka khoon bahaya hai
Pedaayesh ke din se maut ki zadd mein hain
Iss maktal mein kon humain le aya hai
Awal awal jis dil ne barbaad kiya
Aakhir aakhir woh dil hi kaam aya hai
Itne din ehsaan kiya deewanon per
Jitne din logon ne sath nibhaya hai
No comments:
Post a Comment