wo Ana Parast sahi uski baton main ikrar bhi tha
uske chubhty hue lehjy main chuppa pyar bhi tha
wo mujhy likhta hai k muntazir na rahun lekin
uski tehreer main sadyon ka intizar bhi tha
wo kehta hai mat rutho k manana nahi aata
meri narazgi pe lekin wo be-qarar bhi tha
main na likhta usy apni khabar lekin
dosti ka bharam rakhna tha
aur Dil be-ikhtiyar bhi tha
No comments:
Post a Comment