Tuesday, November 30, 2010

Remember the laughter

Remember the laughter,
the joy,
the hard work,
and the tears.

And as you reflect on the past year,
also think of the new one to come.

Because most importantly,
this is a time of new beginnings
and the celebration of life."

Na Main Paas Usko Bula Saka Na Main Dil Ki Baat Bata Saka

Na Main Paas Usko Bula Saka Na Main Dil Ki Baat Bata Saka
Woh Hansi Hansi Main Hi Chal Diya K Main Haath Tak Na Hila Saka

Mujhey Kya Khabar K Woh Kya Hua Mujhey Kitna Gehra Khumaar Tha
Main Khara Tha Us K Hisaar Main Mere Ird Ggird Ghubaar Tha

Yunhi Sochta Raha Der Tak Magar Us Ko Kuch Na Bata Saka
Na Main Paas Us Ko Bula Saka Na Main Dil Ki Baat Bata Saka

Na Hai Dushmani Kisi Din Se Ab Na Hai Dosti Kisi Raat Se
Hai Bacha Hi Kya Jo Woh Le Gaya Mujhey Cheen Kar Meri Zaat Se

Ye Muqaam Hi Tha Ajeeb Sa K Main Khud Ko Bhi Na Bacha Saka
Na Main Paaas Us Ko Bula Saka Na Main Dil Ki Baat Bata Saka

Ye Bhi Theek Hai Woh Chala Gaya Mujhey Bund Raastey Per Chorr Kar
Ye Bhi Theek Hai K Na Aaye Ga Kabhi Butt ANA Ka Woh Torr Kar

Woh Juda Bhi Kaisey Hua K Main Koi Rasm Bhi Na Nibha Saka
Na Main Paas Us Ko Bula Saka Na Main Dil Ki Baat Saka!!!!!!

Jab Saza Dey Hi Chuke Ho To Haal Kiya Pochte Ho

Jab Saza Dey Hi Chuke Ho To Haal Kiya Pochte Ho
Hum Agar Be-Gunah Nikle To Tumhein Afsos Hoga

May God increase ur happiness like prices of petrol

May God increase ur happiness like prices of petrol,
and decrease sorrows like clothes of Bipasha Basu

Monday, November 29, 2010

Tumhain mein apni misaal deta hoon

Tumhain mein apni misaal deta hoon
Dekho ishq zindah bhi chor deta hai

asar usko zara nahin hota

asar usko zara nahin hota
ranj rahat faza nahin hota

tum hamare kisi tarah na hue
warna duniya main kya nahin hota

narasai se dam ruk to ruk
main kisi se khafa nahin hota

tum mere pas hote ho goya
jab koi dusra nahin hota

hal-e-dil yar ko likhun kyon kar
hath dil se juda nahin hota

kyon sune arz-e-muztarib ae 'Momin'
sanam akhir Khuda nahin hota

Kul Raat Janai Kya Hova

Kul Raat Janai Kya Hova
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Kuch Ashq Milnai A Gai
Kuch Khwab Bhi Totai Hovai
Kuch Log Bhi Bholai Hovai
Kuch Rasta Bhutki Hoi
Kuch Gurd Mai Lipti Hoi
Bai-Rubt Si Souchain Kai
Bhooli Hoi Baatai Kai
Ik Shaks Ki Yaadai Kai
Phir Dair Tuk Jaga Raha
Souchon Mai Gum Baitha Raha
Ungli Sai Thundai Fursh Pur
Ik Naam Bus Likhta Raha
Kul Raat Hi Wo Raat Thi
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Mai Dair Tuk Roota Rahaa

Loving u cud take my life,

Loving u cud take my life,
but when i look at ur face,
i know ur worth that sacrifice Sibo

Sunday, November 28, 2010

Mere Wujood Mein Waffa Ki Roshni Utaar De

Mere Wujood Mein Waffa Ki Roshni Utaar De,
Phir Itna Pyar De K Mujhko Chahaton Mein Maar De.

Buhut Udaas Tha So Uthh K Tere Paas Aagya,
Kuch Aesi Baat Ker Jo Dil Ko Chaen De,Qarar De.

Suna Hai Teri Ek Nazar Sanwarti Hai Zindagi,
Jo Ho Sake To Aj Meri Zindagi Sanwar De.

Ae Mehtaab Tu Kabhi Jo Mera Chaand Dekh Le,
Qasam Khud Ki Apni Jaan Tu Bhi Us Pe Waar De.

Mera Asasa-e-Hayat Chhin Gaya Hai Dosto,
Do Chaar Din Ki Zindagi Koi Mujhe Udhaar De.

KhushNaseeb main Nahin, to Shaam-e-Ghamm Hi De Mujhe ,
Yeh Kab Kaha K Tu Mujhe Gullab De, Bahar De.

Mujhe Kisi K Ishq Ne Banaya Neer-e-Jahan,
Dua Kero Khuda Yeh Gham Tumhen Bhi Ek Baar De

Adabb ki baat hai warna zara socho tou,

Adabb ki baat hai warna zara socho tou,
Jo shakhs sunta hai, wo bol bhi tou sakta hai…

Hazaron dukh paren sahnna mohabbat mar nahin sakati

Hazaron dukh paren sahnna mohabbat mar nahin sakati
Hai tum se bus yahii kahna mohabbat mar nahin sakati

Tera har bar maire khat ko parhna aur ro daina
Maira har bar likh daina mohabbat mar nahin sakati

Kiya tha hum ne campus ki nadi par ikk haseen waadda
Bhaly hum ko parhy marna mohabbat mar nahin sakati

Jahan main jab talak panchi chahaktay urahtay phiraty hain
Hai jab tak phool ka khilana mohabbat mar nahin sakati

PuranE ahhad ko jab zinda karne ka khayal ae
Mujhe bus itna likh daina mohabbat mar nahin sakati

Wo tera hijar ki shab main fone rakhany se zara pahalay
Bahat rotey hue kahna mohabbat mar nahin sakati

Agar hum hasaraton ki qabar main hi dafan ho jaen
To yeh qatabon py likh daina mohabbat mar nahin sakati

Purane rabaton ko phir nae waadde ki khawaish hai
Zara ikk baar to kahna mohabbat mar nahin sakati

Gae lamhat fursat k kahan se dhoond kar laon
Wo pahron hath par likhna mohabbat mar nahin sakati

Confidence is a habit that

Confidence is a habit that
can be developed by acting
as if you already had
the confidence you desire to have.

(Brian Tracy)

Saturday, November 27, 2010

Jabh Yeh Hum Zindagi Chore Jaaien Ge

Jabh Yeh Hum Zindagi Chore Jaaien Ge

Dil Mein Tumhare Apni Kammi Chore Jaaien Ge
Aankhon Mein Aanson Ki Nammi Chore Jaaien Ge
Yaad Rakhna Mujhe Doondte Phiroo Ge Aik Din
Jabh Yeh Hum Zindagi Chore Jaaien Ge

Tera Yon Roothna B Ek Adaa hai Mere Pyar Ki

Tera Yon Roothna B Ek Adaa hai Mere Pyar Ki
Tu Pal Pal Roothti Ja... Main Pal Pal manata jaon ga...

Wo jo aa jati hy phir lout kr jaati hi nahi

Wo jo aa jati hy phir lout kr jaati hi nahi
Tum b mujh se lipat jao ksi museebat ki trah

Andharoon Sy Hamain Kaisa Gila Hy

Andharoon Sy Hamain Kaisa Gila Hy
Hamara Chand Jab Hum Sy Khafa Hy

Jo Har Mayoos Lamhy Main Raha Hy
Wohi Is Baar Bhe Hamara Khuda Hy

Kisi Ky Ghar Ky Darwazy Sy Pahly
Hamara Dil Ka Drwaza Khula Hy

Usy Bus Daikhna, Phir Lout Ana
Wo Pathr Sy Tarasha Mootiya Hy

Na Jany Kia Hua Ab Ky Barishoon Main
Maira Ghar Shabnamoon Main Bah Gia Hy

Hamain To Raat Bhr Tu Yaad Aya
Tairi Ankoon Main Kaisa Rut Jagayahy

Bulai Tu Hamain Us Paar Koi
Hamary Pass Bhe Kacha Ghara Hy

Don't be scared by a person

Don't be scared by a person
who practices a 100 kicks one time,
fear a person
who practices 1 kick a 100 times.

Teri har baat se anjaan bhi ho sakta hai,

Teri har baat se anjaan bhi ho sakta hai,
Dil-e-wehshi, dil-e-nadaan bhi ho sakta hai,

Hum jahan beth ke taaron se teri baat karain,
Woh kisi jism ka dalaa’n bhi ho sakta hai,

Yeh jo ik bherriya* jungle mein hua karta hai,
Kal isi bhaiss* main insaan bhi ho sakta hai,

Ain mumkin hai jisey dil ke bajaye thaamon,
Ab kisi shokh ka damaan bhi ho sakta hai,

Titliyaan nochney* ka jurm kiya hai jis ne,
Woh mere sheher ka sultaan bhi ho sakta hai,

Aaj dil mein teri yadon ke diye jalte hain,
Kal yehi rasta sunsaan bhi ho sakta hai,

Jo tujhe aur kisi ka hone nahin deta,
Yeh mere ishq ka imkaan bhi ho sakta hai,

Yeh jo ik shakhs tujhe dekh kar roshan hai bohat,
Bujh bhi sakta hai yeh veeraan bhi ho sakta hai..

Friday, November 26, 2010

Mohabbat yahan bikti hai ishq nilam hota hai

Mohabbat yahan bikti hai ishq nilam hota hai
bharose ka katal yahan khule aam hota hai
jamane se thokar mili to chale hum maikhane mein
Aur wahi jamana humein sharabi ka naam saare aam deta hai

If An Egg Breaks Due 2 OUTSIDE Force

If An Egg Breaks Due 2 OUTSIDE Force!
"Inside Life ENDs!"
But...
If it Breaks from inside! "Life Begins!"
"GREAT Things Always Begin from Inside!
So try to make your inside GOOD!

Jabb Neind Se Aankhein Bojhall Hoon

Jabb Neind Se Aankhein Bojhall Hoon
Aor Apney Aankh Se Ojhall Hoon
Phirr Neind Bhalla Kab Aati Hai
Jab Dill Mein Basney Wale Bhi
Aor Saath Mein Hansney Wale Bhi

Door Kahein Wo Bastey Hoon
Kissi Aor K Sath Wo Hanstey Hoon
Phirr Neind Bhalla Kab Aati Hai
Jab Gham Ki Raat Andheri Ho
Aor Uss Mein Yaad Bhi Teri Ho
Naa Dill Mein Koi Ujjala Ho
Phirr Neind Bhalla Kab Aati Hai

Wishng U Happy Eid Mubrik

Wishng U
Happy Eid Mubrik,
I Know Ye Jaldi Hai,
Pr Kya Karon Buht Sare Sweet, Young Dashing, Smart Friends Ko Wish Karna Hai.
Socha Pehle
.
.
.
.
Buzurgo Ko Nipta Dun.

Zehar Deta Hai Mujhe – Urdu Poetry

Zehar Deta Hai Mujhe – Urdu Poetry

Zehar Deta Hai Mujhe Koi Dawa Deta Hai
Jo Bhi Milta Hai Mere Ghum Ko Badha Deta Hai

Kyun Sulagti Hian Mere Dil Main Purani Yaadein
Kaun Bujhete Hue Sholon Ko Hawaa Deta Hai

Haal Hans Hans Ke Bulata Hai Kabhi Baahon Main
Kabhi Maazi Mujhe Ro Ro Ke Sada Deta Hai

Kari Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main

Kari Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main
Khiyal-e-Yaar TujhKo Mautbar Kehta Raha Hoon Main,

Karaya Shaam-e-Furaqat Ne Taruf Ek Niya Is Ka
Woh Ek Dariya Ko Jisko Chashm-e-Tar Kehta Raha Hoon Main,

Wahaan Bhi Log Apni Kirchiyaan Cunte Nazar Aaye
Jahaan K Pathron Ko Be Zarar Kehta Raha Hoon Main,

Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre
Woh Qatil Tha Jise Jaan-o-Jigar Kehta Raha Hoon Main,

Sila Ab Aur Kiya Maango “Qateel” Apni Ebadat ka
Yehi Meri Jannat Jis Ko Ghar Kehta Raha Hoon Main..

Thursday, November 25, 2010

Zindagi Roz Naye Rang – Zindagi Shayari

Zindagi Roz Naye Rang – Zindagi Shayari

Zindagi Roz Naye Rang Mein Dhal Jaati Hai
Kabhi Dushman To Kabhi Dost Nazar Aati Hai
Kabhi Chaa Jaaye,Baras Jaaye,Ghata Beymausam
Kabhii Ek Boond Ko Bhi Rooh Taras Jaati Hai

Kaha us ney k tum tabeer ho aur khawb sa hoon mein

Kaha us ney k tum tabeer ho aur khawb sa hoon mein
Ho tum baykhawb muddat sey,azal sey jaagta hon mein

Jo poocha, dil ka soda kab kia,kaisay kia tum ney?
Woh bola ayk pal thahro,yahi tu sochta hon main

Jo mein ney dasht mein ja kar pukara hai KHUDA koi?
Tu har zar'ra pukar uttha k us ko janta hon mein

Bhala us dar pay ja kar kis lye khaali palat aaye?
Kaha,manzil ko choo kar bhi laga ik raasta hon mein

Abhi socha hi tha,dhoondoon ufaq k paar ka rasta
Tu dil bola,mera socho kabhi ka LA'PATA hoon mein

Hawa boli samandar sey,tera bhi koi bichra hai ?
Kaha,ja ja kay saahil par ussi ko dhoondta hoon mein

tere daman ki hawa mangte hain

tere daman ki hawa mangte hain
ham bhi jine ki dua mangte hain

mutribo koi achuta nagma
saz ahang-o-sada mangte hain

mah-o-anjum k jharoke aksar
kisi k ariz ki dua mangte hain

phir patangon mein Khudai jagi
shole hashr-numa mangte hain

banda-parwar koi khairat nahin
ham wafaon ka sila mangte hain

maikada ho k kalisa Sagar
sari duniya ka bhala mangte hain

Mere Huroofon Mere Lafzon Main Hai Chehra Mera

Mere Huroofon Mere Lafzon Main Hai Chehra Mera
Mera Fun Ab Mera Mazhab Mera Emaan Bhi Hai

Meer O Ghalib Na Sahi’ Phir Bhi Ghanimat Jano
Mere Yaaron K Sarhany Mera Diwaan Bhi Hai…..!!

Muskurate Raho – Urdu Cute Shayari

Muskurate Raho – Urdu Cute Shayari

Ek Sitara Bano Jagmagate Raho
Zindagi Mein Sada Muskurate Raho

Bheegi aankho se muskurane me maza aur hai,

Bheegi aankho se muskurane me maza aur hai,
Haste haste palke bhigane me maza aur hai,
Baat khehke toh koi bhi samjhe,
Khamoshi ko koi samjhe toh maza aur hai???.

Kanta na hota, toh phool ki hefazath na hoti,
Andhera na hota,to roshini ki zarurath na hoti,
Agar mil jati har khushi duniya me,
Toh dil ki mulaqath dard se na hoti

Kaash koi khushiyon ki dukaan hoti,
Aur mujh uski pehchan hoti,
Kharid leti har khushi aapke liye,
Chahe uski keemath meri jaan bhi hoti?

Juda rehkar bhi woh satane se baaz nai ate,
Dur rehkar bhi who dil jalane se baaz nahi ate,
Khud toh so jate hai chain se magar,
Khwab me aane se bhi wo baaz nahi aate???

Rishton ki yeh duniya hai niraali,
Sab rishton se pyaari hai tumhaari,
Manzoor hai aansu bhi aankhon me hamari,
Agar aajaye muskaan honton pe tumhari???

Poetry

Ab na koi mughe puche bewafai kya hain , wafa se maine nata to joda ab bewafai se nata jodne ki uns hain

Bass gayi hai mere ehsaas main yeh kesi mehek,

Bass gayi hai mere ehsaas main yeh kesi mehek,
Koi khushbu main lagaaon teri khushbu aaye..

abr-e-bahar ne phul ka chehra

abr-e-bahar ne
phul ka chehra
apne banafshi hath main lekar
aise chuma
phul k sare dukh
khushbu ban kar bah nikle hain

Wednesday, November 24, 2010

Hum tere hijar mein andar se bikhar jate hain

Hum tere hijar mein andar se bikhar jate hain,
Zinda lagte hain magar asal mein mar jate hain,

Jab kabhi bolta hai hai hanss ke kisi aur se tu,
Kitne khanjar mere seeney mein utar jate hain,

Teri yaadon ki agar’batiyan jal uthte hi,
Hum tere dard ki khushbu’on se bhar jate hain,

Hum se awaara phira karte hain galiyon mein kahin,
Shaam hote hi Wasi log to ghar jaate hain..

Aaj Fir Dil Mein Udasi Samayi Hai

Aaj Fir Dil Mein Udasi Samayi Hai
Jaane Kyun Ek Mayusi Si Chhayi Hai
Aaj Fir Palkon Pe Pani Hai
Bheer Mein Hoon Fir Kyun Ye Tanhai Hai

Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage

Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage
Jab Jab Hum Ne Chaha Tab Tab Tum Jaage
Kyuki Tumare Ghar Ki Ghanti Hum Hi Baja Kar Bhage

Aap Itrate Bahut Ho
Dil Ko Behlate Bahut Ho
Sochte Hai Aap Ko DINNER Par Le Jaye
Par Kya Kare ZALIM Tum Khate Bahut Ho

Hum Bhi Dost Tere Lie TAJ MAHAL Banaaenge..
Gaur Farmaaiga..
Hum Bhi Dost Tere Lie TAJ MAHAL Banaaenge..
Ek Cup Shubah.. Or Ek Cup Shaam Ko Pilaenge

Mere Marne Ke Baad Mere Doston,
Yu Aansoo Na Bahana,
Agar Meri Yaad Aaye To,
Sidhe Upar Chale Aana!!

Kitna Pyaar Karte Hain Tumse
Kaash Tumko Bhi Yeh Ehsaas Ho Jaye
Magar Aisa Na Ho Ke
Woh Hosh Mein Tab Aaaye
Jab Hum Gehri Neend Mein So Jaaye

Amiri Ke Khwab Dekhne Laga
Angreji Sharab Chakhane Laga
Baap Ne Kabhi Pager Nahi Dekha
Aur Beta Mobile Rakhne Laga!!!

Hathi Nay Kaha Ja Kar Hathni Ki Kabar Per
Sadqay Jaoon Tumhari Patli Kamar Per

Tum Bhi Becahara,Hum Bhi Becahara
Fittay Mu Tumhara,Fittay Mu Hamara

Lahore Ki Larkiyan Dholki Bajati Hain
Multan Ki Larkiyan Halwa Banati Hain
Faisla Bad Ki Larkiyan Kachorian Banati Hain
Karachi Ki Larkiyan Pagal Banati Hain

Pyar Ka Zeher Bewafa Shayari in Urdu

Pyar Ka Zeher Bewafa Shayari in Urdu

Baheti Hui Naadi Mein Unka Peaas Hain
Jalti Hui Shama Mein Unki Gharmi Ka Ehesaas Hain
Kisi Aur Ke Saath Ghar Basa Liya Humne
Seene Mein Basi Wahi Bewafa Pyar Ka Zeher Ki Raas Hain….

Tuesday, November 23, 2010

Kashti Bhi Na Badli Dariya Bhi Na Badla

Kashti Bhi Na Badli Dariya Bhi Na Badla.
Par Ham Dubne Walo Ka Jazba Bhi na Badla.

Hai SHOK-E-SAFAR Aisa ek Umar se Hamne
Manzil bi Na payi Or Rasta bi Na Badla

Kiyun tum muhabbat jita rehay ho

Kiyun tum muhabbat jita rehay ho
Shayed humain phir bana rehay ho

Rehnay lagey phir khamoshiyun may
Matum ye kis ka mana rehay ho

Uljhan wohi phir khadi hai laiken
Rishta yunhi kiyun nibha rehay ho

Rakhtey nahi tum shikayton ko
Kiyun dil humain phir dikha rehay ho

Samjha nahi jo teri wafa ko
Sapna usi ka saja rehay ho

kisane wada kiya hai aane ka

kisane wada kiya hai aane ka
husn dekho garib khane ka

ruh ko aaina dikhate hain
dar-o-divar muskurate hain

aj ghar, ghar bana hai pahali bar
dil mein hai khush saliqagi bedar

jama saman hai aish-o-ishrat ka
khauf dil mein fareb-e-qismet ka

soz-e-qalb-e-kalim aankon mein
ashk-e-ummid-o-bim aankhon mein

chashm-bar-rah-e-shauq ke mare
chand ke intazar mein tare

bargashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai

bargashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai
bhatke huye insaan se kuch bhool hui hai


ta had-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phoolon k nigehban se kuch bhool hui hai


jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamayi
us ahad ke sultan se kuch bhool hui hai


hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhool hui hai


huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhool hui hai

Meri Ankon Ke Smndar Men Jalan Kaisi Hai

Meri Ankon Ke Smndar Men Jalan Kaisi Hai
Phr Dilko Tarpne Ki Lagan Kaisi Hai

Barf Ke Rup Men Dhal Jayege Ristey
Mujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai!

Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahin
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai

Mein Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne Doonga
Mausam-E-Hijar Ke Lehje Mein Thakan Kaisi Hai

Regzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida
Us Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai

Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Ata Hai
Usey Dekho To Muhabbat Mein Magan Kaisi Hai

Monday, November 22, 2010

Wo Bewafa na tha, yunhi badnaam ho gaya

Wo Bewafa na tha, yunhi badnaam ho gaya..!
Hazaroon Chahne wale the kis kis se wafa karta.

roz ho jaate hai.n ye nain sajal raat gaye

roz ho jaate hai.n ye nain sajal raat gaye
yaad aa jaate hai.n biite huye pal raat gaye

isqadar usne banaa rakkha hai diiwaana mujhe
roz aa jaati hai hoTo.n pe ghazal raat gaye

merii aa.Nkhei.n ye kisii dard kii mohtaaj nahii.n
roz khilte hai.n mohabbat ke ka.Nwal raat gaye

kal amaawas thi magar Chat pe ujaala tha bahut
chaa.Nd ka mil gaya kal mujhko badal raat gaye

jisne khat bhi na likha,louT ke aaya bhi nahii.n


maine dekha tha use khwaab mei.n kal raat gaye

isliye din mei.n hi, mai.n khwaab sajaa leta huu.N
nii.nd se paDta hai khwaabo.n mei.n khalal raat gaye

roz utarti hai.n vahaa.N chaa.Nd ki pariyaaN 'gulshan'
tumne dekha hai kabhi tajmahal raat gaye

Sunday, November 21, 2010

kahan milta hai dil-e-nashaad ko qaraar bataye koi

kahan milta hai dil-e-nashaad ko qaraar bataye koi
kahan bharti hai jazbon me padi daraar bataye koi

namaz-e-ishq adda kartey rahay aanchal pe jinkey sadaa
kab hoga qaboliyat-e-sajda ka unhain iqraar btaye koi

chalo tasleem hain humain sub khatain sub sazain
koun hai khatakar koun sazawar kb tak rahe ye israar btaye koi

wo jo parhta tha teri hamd ki tasbeeh
houa dargah mandah kiyun tehra gunahgar btaye koi

aik roz bhaut sataye ga usay aihsaas-e-jurm Qais
zamaney bhar me jab na paye ga humsa talabgar btaye koi

Us Shaks Ko To Bicharrney Ka Saleeka Nahi

Us Shaks Ko To Bicharrney Ka Saleeka Nahi
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya

Saturday, November 20, 2010

Dahar Guzarey Hain, Pai, Dour-E-Hayaat Zindaa Hai!

Dahar Guzarey Hain, Pai, Dour-E-Hayaat Zindaa Hai!
Tootati-Jurhati Rah-E-Zeest Bhi Paaindaa Hai!
Shab-E-Roshan Hai, Sitaarey Hain, Chaand Hai Sir Par!
Supurd-E-Khak Huyaa Bhi, Adeeb Zindaa Hai!!

Qafas me aj tamashae gham hai qabal e ded

Qafas me aj tamashae gham hai qabal e ded,
Tarap raha hon me siyad ki khoshi k lie

Friday, November 19, 2010

Little keys open big locks

Little keys open big locks
Simple words reflect great thoughts
Your smile can cure heart blocks
So keep on smiling it rocks

6 rules to be HAPPY: Free your heart from hatred

6 rules to be HAPPY: Free your heart from hatred;
Free your mind from worries; Live simply;
Expect less; Give more & Always have ME as UR FRIEND

Thi Jisse Roshni Wo Diya Bhi Nahi Raha

Thi Jisse Roshni Wo Diya Bhi Nahi Raha
Ab Dilko Aitbaar-E-Hawa Bhi Nahi Raha

Nafrat Si Ho Gai Hai, Muhabat K Naam Se
Ab Tairi Chahton Ka Bhi Sadma Nahi Raha

Tu Bujh Gaya To Hum Bhi Farozaan Na Reh Sake
Tu Kho Gaya To Apna Pata Bhi Nahi Raha

Kuch Hum Bhi Tere Baad Zamane Se Kat Gaye
Kuch Rab-O-Zabt Khuda Se Bhi Nahi Raha

Goya Hamara Haq Se Sitam Dar Sitam Hua
Harf-E-Dua Bhi Dast-E-Dua Bhi Nahi Raha

Wednesday, November 17, 2010

kabhi kitabon mein phul rakhna

kabhi kitabon mein phul rakhna
kabhi darakhton pe nam likhna
hamein bhi hai yad aj tak wo
nazar se harf-e-salam likhna

wo chand chehre wo behki baten
sulagte din the mehakti raten
wo chote-chote se kagzon par
muhabbaton k payam likhna

gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana
wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-natamam likhna

mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao
to puchna ye kahan base ho
kahan hain un ka qayam likhna

gai ruton mein ?Hassan? hamara
bas ek hi to ye mashgala tha
kisi k chehre ko subah kahna
kisi ki zulfon ko sham likhna

wo koi aur na tha chand Khushk patte the

wo koi aur na tha chand Khushk patte the
shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the

abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya
abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the

tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
kali kali main Khizan k chirag jalate the

tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur bat ki ham adami to ache the

shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahar gunjte the dasht sansanate the

wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
jo zindagi se gurezan the roz marte the

naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main
hamare dil main kabhi khet lahlahate the

ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
purane log naye admi se darte the

'Nadeem' jo bhi mulaqat thi adhuri thi
k ek chehre ke piche hazar chehre the

Tuesday, November 16, 2010

To Pyar Unse Karna – Mohabbat Shayari

To Pyar Unse Karna – Mohabbat Shayari

Dil Ka Khuda Jinse Rutha Ho
Jinka Jodidar Nikla Jutha Ho
Na Chahiye Pyar M Dhika Tume
To Pyar Unse Karna Jinka Dil Tuta Ho

Main raat key pardey per aik naqsh banata hoon

Main raat key pardey per aik naqsh banata hoon
Phir waqt-e-fajr aap ussey mitata hoon

Na janey kab loaut aye wo dil ka bhoola punchi
Aangan ki toti kamand pe hr sham aik diya jalata hoon

Meri talwarain zung aalood hain mai madad-e-gaib ka mutlashi hoon
Deekh meri sadgi-e-dil kaise kaise bot banata hoon

Aik bhorasa tha teri chahat per wo bhi chikna choor houa
Chunn kr inn tukroon ko aik naya lafz banata hoon

Qasmey wadey ehad-o-peymaan sub batain hain purani si
Kuch dair ko tehro kuch naya hurf dhoodh key laata hoon

Teri paayal tery khuwabon ki sadaa

Teri paayal tery khuwabon ki sadaa. .
Jaisy sehra mein saraabon ki sadaa. .

Itna hasaas hun, sun leta hun. .
Shaam k zard gulabon ki sadaa. .

Jism sunta hai sakoot-e-shab mein. .
Dil k pur-shor azabon ki sadaa. .

Ghaur se sun kisi almari mein. .
Gard aaloodkitabon ki sadaa. .

Raat aya tha chambeli ka paighaam. .
Jaisay khoye huay khuwabon ki sadaa

Monday, November 15, 2010

Sunday, November 14, 2010

U say u love me & want 2 hold me tight

U say u love me & want 2 hold me tight,
Those words run thru my head day & night,
I dreamt u held me & made me see,
That Forever together we would be!

kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se

kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se
jo yon kiya hai to phir kyon gila karo us se

ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi
zara fasana-e-dil ibtida karo us se

ye kya ke tum hi gam-e-hijr ke fasane kaho
kabhi to us ke bahane suna karo us se

nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho
jo dil main hon vahi batain kiya karo us se

'Faraz' tark-e-ta'alluq to khair kya hoga
yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se

Be-bassi meray dil k nehaan khanon main kitney lafz..

Be-bassi meray dil k nehaan khanon main kitney lafz..
chilatey huwey, yuN ba’in kertay haiN..
keh meray her taraf cheekho’n ka
wehshatnaak shorish.. phail jata hai, satata hai..
magar jab siskiyaaN letay huwey yeh lafz maiN..
kaghaz ki aghosh-e-meherbaaN meiN
chupaanay k liye, tarteeb deti hoon..
achanak ye sabhi alfaaz yu’n chup sadh letay hain,
k goya boltey na hon..
meiN khaali warq pe nazrein jamaaey
qarb ki gehri andheri khamoshi ko..
apnay ander yun chupaati hooN..
k jesay koi apnay zakhm ko un se chuhpata hai
jo ussay pyar kertay hain!
magar is aik koshish say, na dil ka dard jata hai
na koi hal nikalta hey
bus ik wehshat ka saaya hai
jo har suu phail jata hai

Dhoond ujrrey huye logon mein wafaa ke moti,

Dhoond ujrrey huye logon mein wafaa ke moti,
Yeh khazaaney tuje mumkin hai kharabon mein milain..

Andheri Raat Main Insaan Ko

Andheri Raat Main Insaan Ko

Be Aitbaar Mosam Main Kya Karey Wo Meri
Mohabaat Ka Yaqeen
Andheri Raat Main Insaan Ko
Rasi Bhi Saanp Lagti Hai

Shaam dhalty Hi ksi Goosha-e-veerani me

Shaam dhalty Hi ksi Goosha-e-veerani me
Hum prindon ki trah jaal me aa jaty Hain

English Mothers Day Greeting Poetry

English Mothers Day Greeting Poetry

Make for me a place within your heart
On which I can depend. For only you
Touch the ancient wellsprings of my tears,
Home through all the wanderings of my years,
Eden that no other can renew,
Root I cannot rend through rage or art.

Khod wo aghosh kashada hai jazere ki tarah

Khod wo aghosh kashada hai jazere ki tarah
Phele dariaon ki mand muhhabat us ki

Yeh to ab jaatey jaatey hi jaye gi

Yeh to ab jaatey jaatey hi jaye gi
Aye adam, yeh raat hai judaayi ki

Saturday, November 13, 2010

Lets welcome the year

Lets welcome the year which is fresh and new,
Lets cherish each moment it beholds,
Lets celebrate this blissful Newyear.

Father : Beti tum Bari Hoker Kya Karogi ??

Father : Beti tum Bari Hoker Kya Karogi ??
Beti : Shaadi ;)

Father : ye bahut Galat Baat hai Beta..
Abhi Se hi Kisi Ka Bura Nahin Sochte :P :D

Ae Muqaddar mujhe Tarsaaye ga Akhir kab taK

Ae Muqaddar mujhe Tarsaaye ga Akhir kab taK..
Ya Meri Baat Samajh ja... ya Mujhe pagal kr dy

Us ke hathon se jo khushboo-e-hina aati hai

Us ke hathon se jo khushboo-e-hina aati hai

Aesa lagta hai ke jannat se hawa aati hai

Choomne daar ko kis dhaj se chala hai koi

Aaj kis naaz se maqtal mai qaza aati hai

Na kabhi koi kare tujh se tere jesa sulook

Haath uthte hi yahi lab pe dua aati hai

Tere gham ko yeh barhana nahi rehne deti

Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai

Us ke chehre ki tamazat bhi hai shamil is mai

Aaj tapti hui sawan ki ghata aati hai

Ghoomne jab bhi tere shehr mai jati hai wafa

Bain karti hui wapas wo sada aati hai

Hai wohi baat har ik lab pe bohot aam yahan

Hum se jo kehte hue un ko haya aati hai

Grandchildrens Mothers – 140 Words Shayari

Grandchildrens Mothers – 140 Words Shayari

Daughters-in-law are our grandchildren’s mothers.
As such, they carry our fortunes downstream.
Under their guidance, our hopes become others’,
Giving their force to a much larger dream.
How lucky we are to have you for the carer
That nurtures the hearts of our hearts, that they may
Each be a lover, a giver and sharer,
Remaking the world in their image each day.
So do we all, like streams from the mountains,
In time become joined in the souls we have made,
Now mingled forever, eternal companions,
Linked by our love in a bond that won’t fade.
As you in your noontime your work of love do,
We watch from the hillside, grateful for you

Tjhy bhool ker na Bhula sakoon

Tjhy bhool ker na Bhula sakoon
Tjhy chah ker bhi na paa sakoon
Meri Hassraton ko shumaar ker
Meri chaahaton ka silla na de … !

Friday, November 12, 2010

ek ajab sa nasha hai teri yado’n mein,

ek ajab sa nasha hai teri yado’n mein,
main tera ziqr likhu’n to alfaz raqsh karte hain.

Kaha Mai Ne Kahan Ho Tum

Kaha Mai Ne Kahan Ho Tum

Jawab Aya Jahan Ho Tum

Mere Jeewan Se Zahir Ho

Mere Gham Mai Nihaan Ho Tum

Meri To Sari Duniya Ho

Mera Sara Jahan Ho Tum

Meri Sochon Ka Mehwar Ho

Mera Zor-E-Bayan Ho Tum

Mai Hun Lafz Mohabbat Hon

Magar Meri Zubaan Ho Tum

Ye Lamhon Ki Nahi, Sadiyon Ki Musafat Hai

Ye Lamhon Ki Nahi, Sadiyon Ki Musafat Hai,
Kisi Ki Yaad Ka Sehrra, Mohabbat Hamsafr Meri,
Wohi Har Waqt Sochon Par Kisi Ki Yaad Ka Pehra,
Wohi Din Raat Ka Jalna, Mohabbat Hamsafr Meri…

There's nothing sadder in the world

There's nothing sadder in the world
than to awake Christmas morning
and not be a child

d hain marhaly muhabbat k..!

Yaad hain marhaly muhabbat k..!
haye us be-kali me kya kuch tha

Meri dastaan-e-hasrat wo suna suna ke roye…

Meri dastaan-e-hasrat wo suna suna ke roye…
Mere azmane wale mujhe aazma ke rOye….

Koi Asia ahl-e-dil jo ke fasanay-e-Mohabbat…
Me use suna ke ro’un, wo mujhe suna ke roye…

Mere arzoo ki duny…dil-e-natwaan ki hasrat…
Jise kho ke shadmaan the,use aaj paa ke roye…

Teri be-wafayion pe…teri kaj adayion pe..
Kabhi sir jhuka ke roye..kabhi mun chupa ke roye…

Jo sunayi anjuman me shab-e-gham ki ab-beetI..
Kayi ro ke muskuray…kAyi muskura ke roye…!!!

Thursday, November 11, 2010

Bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karate ho

Bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karate ho
aur phir aankh churate ho ye kya karate ho

bad mere koi mujh sa na milega tum ko
khak mein kis ko milate ho ye kya karate ho

chinte pani ke na lo nind bhari aankhon par
sote fitne ko jagate ho ye kya karate ho

hum to dete nahi kya ye bhi zabardasti hai
chin kar dil liye jate ho ye kya karate ho

hon na jaye kaheen daman ka churana mushkil
mujh ko divana banate ho ye kya karate ho

Rooh Azad Ho, Majboor-e-Taqaza Na Rahay

Rooh Azad Ho, Majboor-e-Taqaza Na Rahay,
Hai Tamana K Mujhay Koi Tamana Na Rahay

Qayamat Toot Parti Hai zara Se Hont Hilany Pe

Qayamat Toot Parti Hai zara Se Hont Hilany Pe
Na jany Kya Hashar hoga K Jab wo Muskuraye Gi

Be a Mother English Poetry

Be a Mother English Poetry

How might one be a mother without children,
As though the contract weren’t writ in blood?
Perhaps one’s fate is more received than given,
Placed where one might seize it, if one would.
Yet what is cannot be undone.
Make of it the music of your dance,
Organ raptures ripped from ancient stone,
Transforming life to beauty from blind chance.
How might one be a mother in one’s heart,
Embodying within the act the dream?
Reality is part terrain, part art,
‘Twixt earth and will more lithe than it might seem.
So might the childless their children bear,
Delighting in a discourse no less rare,
As one makes of one’s fate a gift that may
Yield grace attainable no other way.

RAMADAN RECIPE

RAMADAN RECIPE

A Glass of Care
A Plate of Love
A Spoon of Peace
A Fork of Truth &
A Bowl of Duaas.

Mix with spices of QURAAN.
Enjoy This Meal.
RAMADAN MUBARAK

Wednesday, November 10, 2010

Prayer is a free outgoing call to GOD

Prayer is a free outgoing call to GOD,
no network or battery problem,
always good signal & all messages sent.

Make prayer a habit and
remember me in your prayer

sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the

sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the
beshak sitam janab k sab dostana the

han jo jafa bhi ap ne ki qayede se ki
han ham hi karband-e-usul-e-wafa na the

aye to yun to k jaise hamesha k meharban
bhule to yun k goya kabhi ashna na the

kyon dad-e-gam ham ne talab ki, bura kiya
ham se jahan main kushta-e-gam aur kya na the

gar fikr-e-zakhm ki to khatawar hain k ham
kyon mahw-e-madh-e-khubi-e-teg-e-ada na the

har charagar ko charagari se gurez tha
warna hamain jo dukh the bahut ladawa na the

lab par hai talkhi-e-may-e-ayyam warna "Faiz"
ham talkhi-e-kalam par mail zara na the

Ajeeb husan hai teri udas ankhon me,

Ajeeb husan hai teri udas ankhon me,
Sakoot e subh azal ka kheal ata hai.

Gulshan k dil mein aaj bhi mehfooz hain wo phool

Gulshan k dil mein aaj bhi mehfooz hain wo phool
Murjha gaye jo daagh-e-bahar’an liye huay

Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansu

Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansu
GhaM Ko BadnaaM Kar Gaye Aansu,

Aaj Usne Bhi Haal Puchh Liya,
Aaj To KaaM Kar Gaye Aansu,

Log Phoolon Ke Sath Pahuche The,
Aur HuM ThaaM Kar Gaye Aansu,

HuM Kisike Na The Magar HuMko,
Aap Ke NaaM Kar Gaye Aansu,

Har Kisi Ne Lagaya DaaM,
GaM Ko NilaaM Kar Gaye Aansu,

Dhund Si Chha Gayi Hai Aankhon Mein,
Har Taraf ShaaM Kar Gaye Aansu,

Baat Mein Bhi Bahut Asar Tha,
Aur Kuch KaaM Kar Gaye Aansu,

Shayri Sirf Shayri Thi,
Usko IlzaaM Kar Gaye Aansu

Tuesday, November 9, 2010

Aye Maan, Phir se muje mera basta de de

Aye Maan, Phir se muje mera basta de de,
ke duniya ka dia sabaq mushkil bohat hai

LOVE IS HAPPINESS

LOVE is Special
LOVE is Sweet
LOVE is what makes
Life complete
LOVE is giving
LOVE is Kind
LOVE is Joy
& Peace of Mind
Love is Laughter
Seldom Tears
Sharing Caring
Through the Year
LOVE is more than words Express
But mostly
"LOVE IS HAPPINESS"

Monday, November 8, 2010

Meri Ankhon Mein Khwab Kiske Hain – Khuwab Shayari

Meri Ankhon Mein Khwab Kiske Hain – Khuwab Shayari

Dekho Meri Ankhon Mein Khwab Kiske Hain
Dekho Mere Dil Me Toofan Kiske Hain
Tum Kehte Ho Mere Dil Ke Raaste Se Koi Nahi Gaya
To Phir Ye Pairon Ke Nishaan Kiske Hain

What's Ur important for me

What's Ur important for me?
Ur thinks is my breath
Ur feels become my beating
Ur breath pour in me spirit
Ur whispering awaken my whole body
Ur sight feels objective of my life
U r as much important as I
I can't imagine I can't explain,
I only Love u forever

Kbhi Raat Bhar K Jhagry

Kbhi Raat Bhar K Jhagry,
Kbhi Chahaton Ki Baten,
Wohi Ap Hi k Qissay,
Wohi Ap Hi Ki Baten,
Wo Mila Hy Mujh Ko Aksr Sar-e-Raah Chalty Chalty,
Wohi Ajnabi Nigahen,
Wohi Berukhi Ki Baten,
Na Smajh Ska Jahan Me,
Koi Mera Dard Yaro,
Mery Gham Ko Log Samjhy,
Meri Shairi Ki Baten,
Koi Hum Ko Ye Batae Ye Junoon Nhi To Kia Hy?
Miley Jab B Hum kisi Sy Kren Ap Hi Ki Baten,
Mery Haal Par Wo Yunhi Kuch Aisay Muskraye,
Hm Suna Rhy Hon Jesy Kisi Ajnabi Ki Baten.

Apney laho sey phool khilaney ke wastey,

Apney laho sey phool khilaney ke wastey,
Har maqtal-e-wafa me pukara gya hun main..

Woh jab se sheher-e-harabaat ko rawaana hua,

Woh jab se sheher-e-harabaat ko rawaana hua,
Barahe’raast mulaqaat ko zamana hua,

Woh sheher chorr ke jaana to kab ka chahta tha,
Yeh naukri ka bulawaa to ik bahaana hua,

Khudaa kare teri ankhain hamesha hansti rahain,
Yeh aankhain jin ko kabhi dukha ka hausla na hua,

Kinaar-e-sehen chaman sabz bail ke nechey,
Woh roz subah ka milna to ab fasaana hua,

Main sochti hoon ke mujh mein kami thi kis shayy ki,
Ke sab ka ho ke raha woh, bas ik mera na hua,

Kisey bulati hain aangan ki champayi shaakhain,
Ke woh ab apne naye ghar mein bhi purana hua,

Dhanak ke rang main saari to rang li hain mene,
Aur ab yeh dukh, ke pehen kar kise dikhana hua,

Main apne kaano’n main bele ke phool kyon na pehnoon,
Zabaan-e-rang se kiss ko mujhe bulana hua..

Koi Mausam Ho, Dil Mein Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam

Koi Mausam Ho, Dil Mein Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam
Ke Badla Hee Nahee Jaanan Tumharay Baad Ka Mausam

Nahee Tou Aazma Ke Dekh Lo, Kaisay Badalta Hai ?
Tumhaaray Muskaraanay Se Dil-e-Nashaad Ka Mausam

Kaheen Se Os Haseen Awaaz Ki Khusbuu Pukaaray Gi
Tou Is Ke Saath Badlay Ga Dil-e-Barbaad Ka Mausam

Qafas Ke Baam-o-Dar Mein Roshni Si Aayi Jaati Hai
Chaman Mein Aagaya Shayad Lab-e-Aazaad Ka Mausam

Mere Sheher-e-Pareshaan Mein Teri Be-Chaand Raaton Mein
Bohat Hee Yaad Karta Hun Teri Bunyaad Ka Mausam

Na Koi Gham Khizaan Ka Hai, Na Khwaahish Hai Bahaaron Ki
Hamaaray Saath Hai “Amjad” Kisi Ki Yaad Ka Mausam

Jis mein shaamil na ho meri soch ka taaza lahu

Jis mein shaamil na ho meri soch ka taaza lahu
Us ghazal mein kuch kami mehsus hoti hai mujhe

Kal Mera Tassvur Tumhare Kaam Na Aayega

Kal Mera Tassvur Tumhare Kaam Na Aayega
Yaad To Rahega Ye Chehra Tumhe

Shayad Fir Hontho Pe Mera Naam Na Aayega
Karenge Jane Kitane Phool Raho Pe Intezar Tumhara

Fir Kabhi Shayad Un Raho Pe Mera Makam Na Aayega
Aahaten Meri Sunayi Dengi Tanhayi Ke Galiyaro Me Tumhe

Dard Hoga Mujhe Aur Tumhe Aaram Na Aayega
Kitabo Me Dabe Phul Chup Rahenge Ye Soch Ka

Ki Shayad Abb Unka Koi Anjam Na Aayega

Dort hai ragon main ban lke lahoo

Dort hai ragon main ban lke lahoo
Ishq kab be-nishaan hota hai

Sunday, November 7, 2010

Morning is a special gift

Morning is a special gift
from ''ALLAH" after a restful sleep,
its a new chance 2do better & try again
where we failed b4.
ENJOY GOOD MORNING

Ranj ki jab guftaguu hone lagi

Ranj ki jab guftaguu hone lagi
Aap se tum tum se tuu hone lagi

Chaahiye paiGambar dono taraf
Lutf kyaa jab duu-ba-duu hone lagi

Meri rusawaai ki naubat aa gai
Unaki shoharat quu-ba-quu hone lagi

Naazir bar gai hai is qadar
Aarazuu ki aarazuu hone lagi

Ab to mil kar dekhiye kyaa rang ho
Phir hamaari justajuu hone lagi

`DaaG` itaraaye hue phirate hai.n aap
Shaayad unaki aabaruu hone lagi

Saturday, November 6, 2010

Tumhen na apne rawaye pe sharam ane lagi

Tumhen na apne rawaye pe sharam ane lagi
Hamare hall e zabon par nazar nahin karna

Koi Muntazir Hai Uska Kitni shiddat Se

Koi Muntazir Hai Uska Kitni shiddat Se
Wo Janta Hai MGr... Anjaan Bana Rehta Hai

Sardar g 1 Girl k sath chips kha raha tha

Sardar g 1 Girl k sath chips kha raha tha
Girl ne pyar se ankho mai ankhain dal k pocha
kuch feel ker rahe ho?
Sardar: Han tum mujh se ziada chips kha rahi ho.

I Love You Mom Poetry

I Love You Mom Poetry

MILITARY MOMS

This year on Mother’s Day
We should think of offspring lost
And Mothers of all those Troops
Who paid the ultimate cost.

They’ve watched Sons and Daughters
Sent off to a foreign land
To fight wars and give their all
In some conflicts so ill planned.

But no matter what the reasons
They’ve always stepped up to the line
To give their lives for Freedoms
Enjoyed by all of yours and mine.

We must Honor all those Mothers
Of all those who have Served
And Sacrifices that they made
With our, “Thanks!”, so well deserved.

It takes a very Special Lady
To let Her Child go off to War
Or just to join the Military
With the pride and fear and more.

There’s too many Gold Star Mothers
And if you might know of one
Please send Her a special wish
To praise Her Daughter or Son.

Military Moms are the Greatest
With a strength beyond compare
Who hope and pray their loved one
Comes Home safe, from over there.

So, let’s keep them in our thoughts
And hope their prayers come true
All those Moms and all those Troops

Friday, November 5, 2010

UnKahi K Lehjay Main

UnKahi K Lehjay Main
Kya Kya Nahi Kaha Hum Ne
Un Soo’Ne K Parday Main
Kya Kya Nahi Sona Tum Ne

Raaz Jo Nahi Khulta!
Jante Hain Hum 2no

Bat Jo Nahi Karte
Mantey Hain Hum 2no

Dhund Chayee Rehti Hai
Ke’hair Jaisa Alaam Hai
Dil ‘Zadoo Ki Basti K
Kya Ajeeb Mosaam Hai

Ak Mehak Fasorda See
Jaisay FAIZ Ki Naz’men
Yaad Ki Kasak Ho Jaisay
FARAZ Ki Ghaz’lein

Soch Ak Jaisee Hai
Khuwab Ak Jaisay Hain
Door Door Reh Kar Bhi
Sath 7 Chalte Hain
Khush’Gomaniyaan Dil Ki
Kaan Main Ye Kehti Hain

Doo’riyoon Say Darna Kya
Aahh’Hay’Sard Bharna Kya

Asee Roth Bhi Ayee Ge
Jab K Shak’khay’Farwa Par

Mas’lay Gul Khe’lain Gay Hum
Ak Din Melain Gay Hum

kuch pahale in ankhon age kya kya na nazara guzra tha

kuch pahale in ankhon age kya kya na nazara guzra tha
kya raushan ho jati thi gali jab yar hamara guzra tha

the kitne ache log k jinko apne gam se fursat thi
sab puchen the ahawal jo koi dard ka mara guzra tha

ab k to khizan aisi thahari wo sare zamane bhul gaye
jab mausam-e-gul har phere main a a k dubara guzra tha

thi yaron k buhtat to ham agyar se bhi bezar na the
jab mil baithe to dushman ka bhi sath gawara guzra tha

ab to hath sujhai na dewe lekin ab se pahle to
ankh uthate hi ek nazar main alam sara guzra tha

gam se kahin najat mile chain payen ham

gam se kahin najat mile chain payen ham
dil khun main nahae to ganga nahayen ham

jannat main jayen ham k jahannum main jayen ham
mil jae tu kahin na kahin tujh ko payen ham

mumkin hai ye k vade pe apne vo a bhi jae
mushkil ye hai k ap main us vaqt ayen ham

naraz ho Khuda to karen bandagi se khush
mashuq ruth jae to kyon kar manayen ham

sar doston k kat kar rakhe hain samane
gairon se puchte hain qasam kis ki khayen ham

saunpa tumhen Khuda ko chale ham to namurad
kuch parh k bakhshna jo kabhi yad ayen ham

ye jan tum na loge agar ap jayegi
is bevafa ki khair kahan tak manayen ham

ham-saye jagate rahe nalon se rat bhar
soye huye nasib ko kyon kar jagayen ham

tu bhulane ki chiz nahin khub yad rakh
ai "Dag" kis tarah tujhe dil se bhulayen ham

Thursday, November 4, 2010

Aye To Yun K Jaise Hmesha The Meharban,

Aye To Yun K Jaise Hmesha The Meharban,
Bhule To Yun K Goya Kabhi Ashna Na They…

Kitni Zulfen Khulein Kitne Aanchal Urre Chand Ko Kiya Khabar

Kitni Zulfen Khulein Kitne Aanchal Urre Chand Ko Kiya Khabar

Kitna Maatam Hua Kitne Aansu Bahe Chand Ko Kiya Khabar

Muddaton Us Ki Khuwahish Mai Chalte Rahe Haath Aata Nahi

Chah Mai Is Ki Pairon Mai Hain Aablay Chand Ko Kiya Khabar

Wo Jo Nikla Nahi To Bhatakte Rahe Hain Musafir Kai

Aur Lut’te Rahe Hain Kai Qaaflay Chand Ko Kiya Khabar

Wo To Apni Nagri Mai Madhosh Hai Kab Se Khamosh Hai

Kon Raja Bana Kitne Syed Lutey Chand Ko Kiya Khabar

Is Ko Daawa Bohot Meethe-Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho

Is Ki Kiranon Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chand Ko Kiya Khabar

Kitna bebaak ho gaya hai kabhi socha hai tu ne

Kitna bebaak ho gaya hai kabhi socha hai tu ne
khuda se mangtaa bhi hai toh kisi aur ka saath..

Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay

Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay
Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay

Kiyon hum peh uthaeen sang-e-malamat ki fasilein
Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay

Yeh chaand yeh taary yeh haseen raat ka aalam
Munsoob tere naam se kya kya na karen gay

Wiraan hoey qasr-e-tamana ke dareechy
Aabaad kabhi pyar ki ab duniya na karen gay

Har cheez ki bohtaat mein nuqsaan bohat hai
Shiddat se kisi shakhs ko chaha na karen gay?

Wednesday, November 3, 2010

Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Hai

Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Hai
Ye Siyaasi Bayaan Thori Hai

Dar Sa Lagta Hai Kiun Nateejay Se
Ishq Hai Imtehaan Thori Hai

Chhorr Kar Chal Dya Hamain Yun Hee
Wo Koi Badgumaan Thori Hai

Teer Ki Ja Gulaab Kiun Na Milain
Zindagi Hai Kamaan Thori Hai

Koi Shikwah Karain Tou Kaisay Karain
Apne Mun Mein Zabaan Thori Hai

Ham Ko Takta Hai Jis Haqaarat Se
TU Koi Aasmaan Thori Hai

Hum Se Milnay Ko Chal Ke Aaye Magar
Is Qadar Meherbaan Thori Hai

Koi Basnay Laga Hai Is Mein “ Batool”
Dil Hai, Khaali Makaan Thori Hai

Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon

Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon,

Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon,
Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon,
Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon,
Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon

Mumkin hai tere bad b aati hon gi baharain

Mumkin hai tere bad b aati hon gi baharain
Gulshan me tere bad kabi ja kr nahi dekha

Tears can sometimes be more special than smiles

Tears can sometimes be more special than smiles..... For smiles can be given to any one but tears are only shed for people we love.

Tuesday, November 2, 2010

Hamara tumhara ajab haal hai

Hamara tumhara ajab haal hai
Nazar mil gayi muskuraney lage

Yon Daal Kr Phirty Ho Naqabon pe Naqaab

Yon Daal Kr Phirty Ho Naqabon pe Naqaab
Be-aib Hy Chehra To... Dikha Q Nahi Dete..?

Itnay sangdil na bano kuch to murawwat seekho

Itnay sangdil na bano kuch to murawwat seekho
Tum pai martay hain to Kaya maar hi daalo gay

Sooch ke safr may nikley

Sooch ke safr may nikley
Kal shab hum apni justujo may nikley
Bhaut door talak gubar hi gubar tha
Koi bhi nishan koi chehra saaf na tha
Bus aankh may nami aur laboon pe muskan thi
Tujhey jaanan talash kia kartey
Hum tu khud hi gumshuda they
Anjani rahon ke musafir tehray they
Anjaam tu ye hona hi tha
Sooch ke safr may kitney karbnak unwaan nikley
Sub hi teri zaat-e-bemisaal se munsoob nikley
Ab tu loutna bhi mahaal tha
Sooch ke is safr may faqt sood-o-ziyaan hi tha

Monday, November 1, 2010

Let others lead small lives, but not you

Let others lead small lives, but not you.
Let others argue over small things,but not you.
Let others cry over small hurts, but not you.
Let others leave their future in someone else's hands, but not you.
(Jim Rohn)

Raahi wo khalwaton ka chalta chala gaya

Raahi wo khalwaton ka chalta chala gaya
Sahil pe kashtiyan dabota chala gaya

Ajeeb dastan thi shama ke pighalne ki
Sunta raha mai aur jalta chala gaya

Rastey chuney they jo purkhar nikley sarey
Uljha buhat lekin sanbhalta chala gaya

Chahai thi tanhai dil ke nagar may itni
Dasht ki wusaton may simat-ta chala gaya

Chaha to buhat tha pholon se mehkey jeevan
Lekin milley jo dard sehta chala gaya

Phir palat aai hain barish ke sohani raatain

Phir palat aai hain barish ke sohani raatain
Phir teri yaad main jalny k zamany aaye

Ye Rung-e-Gul Bhi Hy Aur Khaar Bhi Hy

Ye Rung-e-Gul Bhi Hy
Aur Khaar Bhi Hy

Zubaan Chalti Hui
Talwaar Bhi Hy

Ajab Hy Bolti Aankho?n
Ki Masti

JahanInkaar Bhi Hy
Iqraar Bhi Hy

Ye Raah-e-Ishq Hy
Dekho Sambhal Kr

Bohat Aasan Bhi Hy
Dushwar Bhi Hy

Ajab 2 Rung Hyn
Insaan Ki Fitrat

Gila Hy Jis Sy Usi Sy
Pyar Bhi Hy !!!

Zabat lazam hai magar dukh hai qeyamat ka faraz

Zabat lazam hai magar dukh hai qeyamat ka faraz
Zalim abb k bhi na roe ga to maar jae ga