mujhy kinare ki kab tamana hai
tera zaroori hai paar jana
magaer ye deiko k aaj
darya chadha howa hai
bipharte darya ki sorkh mojain
bata rahi hain
khiraj mangy hai aaj darya
mari jo mano
too aisa kar loo
mujhy sharik e safar bana loo
khiraj mangy jo tum se darya
mujhy bhanwar mein utaar deina
tera zaroori hai paar jana…
No comments:
Post a Comment