Shama ki tarha yeh shola bhi tha ik raat ki baat
Ab khuli hm pe teri chashm-e-mdaraat ki baat
Hm k jis baat pe tajj aay thay sari dunya
Teray nazdeek hamesha woh rahi baat ki baat
Teray altaaf ki barish say shraboor tha dil
Yaad prti hai yeh guzri hoei brsaat ki baat
Aankh mein jesay kisi khwab ngar ka manzar
Hoant pr us ke kisi shehr-e-tilismaat ki baat
Khud framoshi ki ummid pe aa bethay thay
chaer di too ne bhi aakhir,wohi halaat ki baat
Jesay ik umr pe chaei ho syahi is ki
Yeh gham-e-hijr hai kenay ko to ik raat ki baat
No comments:
Post a Comment