Monday, September 14, 2009

Haan Wohi Ho Tum

Haan Wohi Ho Tum
jis ne meri dharkan ko beqarar kiya
jis ka apni shayari mein shumar kiya
Sahil per bikhri naram rait ho tum
hawa ko jo cheer de wo leher ho tum
Haan wohi ho tum
dhanak ke rangon ka rang ho tum
taj mehal mein laga sang ho tum
Haan wohi ho tum
jise hum bhool na pae wo yaad ho tum
gham de kar her gham se azad ho tum
Haan Wohi ho tum
kitabon mein rakha ghulab ho tum
botal mein band sharab ho tum
Haan wohi ho tum
lagta hai iss dor ki raja ho tum
ya kitabon mein likhi khobsurat kahani ho tum
Haan wohi ho tum
Khazan se nikli bahar ho tum
Haan mera pehla piyar ho tum
Haan wohi ho tum

No comments:

Post a Comment