Saturday, August 8, 2009

Kabhi jo tum lout kar aana

Kabhi jo tum lout kar aana
Sang apney kuch housley
Bhi le aana
Gardish-e-ayyam bhaut zalim hai
Naqoosh-e-yaad-e-rafta mita deti hai
Phir bhi jo tum ne
Sanbhal rakhain hon
Chand gohar hamari ulffat ke
Unhey sang le aana

Kiyun ke
Wohi ab tumhara
Aasasa hain
Wohi ab tumhara aasra hain

Key
Ab yahan mai nahi rehta
Key
Teray shehar se nikal kar
Shehar-e-khamoshan ja basa hon mai
Key
Main teray dil may nahi rehta

No comments:

Post a Comment