Monday, August 31, 2009

Oh my Dear, Forget ur Fear,

Oh my Dear, Forget ur Fear,
Let all ur Dreams be Clear,
Never put Tear, Please Hear,
I want to tell one thing in ur Ear
Wishing u a very Happy "NEW YEAR"

KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA SO NAHI RAHA

KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA SO NAHI RAHA
MAIN TERE BAGHAIR UDAAS THA SO NAHI RAHA

Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray

Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
magar mai mutamien tha, ke tum sath thay meray

meray zar k talabgaron ki nazrain uthti theen
k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray

mai ik pathar ka gard alood buut tha un k mandar mai
na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray

kisi se aur kia taiyeed ki umeed mai rakhta
wohi khamoosh thay jo mehram e halat thay meray

mai jin sholon maii jalta tha sayey tum bhi na samjhay
mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmat thay meray

mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay bhi ilzamat thay meray

tasawor ban geua tasveer aakhir aik din woh
ici ka khoaf tha mujh ko yehi khadshat thay meray

Na Jo Thum Sakay Kisi Aur Say

Na Jo Thum Sakay Kisi Aur Say,
Main Bujhta Aik Chiragh Hoon,

Mera Room Room Dard Dard,
Meray Dukh Ka Sira Nahin,

Meri Laghzishon Main Pali Barhi,
Koi Khoi Kahani Bhi Hai,

To Jo Sath Hai To Sukoon Naheen,
To Jo Rooth Gia To Azab Hai,

Meri Zindagi Hai Aik Goo Mago,
Mujhay Roshni Milti Naheen

Sunday, August 30, 2009

Mubarak Eid Ho Tujhko

Mubarak Eid Ho Tujhko

Mubarak Naam Hai Tera,
Mubarak Eid Ho Tujhko,
Jise Tu Dekhna Chahe
Usi Ki Deed Ho Tujko
EID MUBARAK.

Sote Waqt Koi Tension Lekar Nahin Sona Chahiye

Purani Kahawat Hy k Sote Waqt Koi Tension Lekar Nahin Sona Chahiye.
*
*
Hairat hy,
*
*
Phir Bhi Log
*
*
Biwi K Sath hi Sote Hain.

Mujh say uljhtay raho meray jazbat ki tarha

Mujh say uljhtay raho meray jazbat ki tarha,
Her aik talaq toor doo meray halat ki tarha,

Ho kar khafa mujh say kaheen tum door na jaoo gay,
Wabasta hoo tum sansoon say meri zaat ki tarha,

Sochoon main meri shamil aur tahreroon main ho basi,
Hontoon pay meray rahtay hoo kisi baat ki tarha,

Bholay say main kabhi teri galiyoon main aa basoon,
Hussan ka sadka utar doo kheyraat ki tarha

Saturday, August 29, 2009

On The Pages Of Roses

On The Pages Of Roses
Wit Da Ink Of Moon Light
With Da Hand Of Luv
A Pen Of Prayers Has Written
Only 3 Words For U
“Happy EidUlFitr Mubarak”

Sardar selected a short girl to marry.

Sardar selected a short girl to marry.

Why?

Because guru ji told him

Musibat jitni choti ho utna acha hai ...:-P

What i need to live

What i need to live
has been given to me
by the earth..

Why i need to live
has been given to me
by you my valentine !!!

Happy Valentines Day

Kuch sitaarey teri palkon pe bhi roshan hon ge

Kuch sitaarey teri palkon pe bhi roshan hon ge,
Kuch rulaye ga mujhe bhi tera gham eid ke din..

Meray sabar ka imtihan na lay

Meray sabar ka imtihan na lay
meri khamishi ko saza na day

jo tery baghair na jee sakay
usay jeenay ki dua na day

tu aziz dil-o-nazar se hai
tu qareeb rag-o-jaan se hai

mery jism-o-jaan ka ye faasla
kahin waqat aur barha na day

tujhay bhool k na bhula sakon
tujhay chah k bhi na paa sakon

meri hasraton ko shumar kar
meri chahaton ka sila na day

tujhay kabhi milain agar fursatain
meri shaam phir se sanwar day

jo qatal karna hai qatal kar
yun judaiooon ki saza na day

Friday, August 28, 2009

Baat dil me atki atki reh gayi

Baat dil me atki atki reh gayi
Daasta apni adhuri reh gayi
Berukhi se fer kr rukh chal diye
Or nigaahein ye tarasti rh gayi
Kya gilaa k unki aamad k yu nahi
Jhopdi apni hi choti reh gayi
Tm pe kr k “naaz” bs paaya yahi
Zndgi bs “naaz” krti rh gayi….

Na husn e shabab baqi hai.

Na husn e shabab baqi hai.
Na zore shabab baqi hai.
Lazzaten sari qatam hogayi hai amjad.
Lazzaton ka azaab baqi hai.

Tere Waadey Par Jiye Hum

Tere Waadey Par Jiye Hum
To Yeh Jaan Jhuth Jaanan
Ke Khushi Se Mar Nah Jaate
Aghar Aitbaar Hota

mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan

mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan
jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay
jaisay pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai
jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein
jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai
jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein
mera har khaab meray such ki gawahi de ga
wus?at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
meri sochoan mai kabhi dekh sarapa apna!
mai ne duniya se alag teri parastish ki hai
khaahis-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne
teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye
toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne
mai nay chaha keh teray husn ki gulnaar fiza
meri ghazlon ki qataron se mehekti jaey
mai ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar
teri aankhoan ke gulaboan se mehekti jaye
tai to yeh tha keh sajata rahay lafzoan ke kanwal
meray khamosh khayaloan mai takallum tera
raqs kerta rahay, bharta rahay, khushbu ka khumaar
meri khaahish ke jazeeroan mein takallum tera
tu magar ajnabi mahol ki parwardah kiran
meri bujhti hoi ratoan ko sahar ker na saki
teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee
chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tarr, ker na saki
tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh
aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai???
tu keh seemab tabiyat hai tujhe kya maloom
mausam-e-hijr theher jaey to kya hota hai
tu nay uss moar pay tora hai ta?alluq keh jahan
dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan
abb yeh aalam hai keh ankhain jo khulain gee apni
yaad aey ga teri deed ka manzar janaan
mujh se maangay ga teray ehd-e-mohobbat ka hisaab
teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaan
yoon meray dil ke barabar tera gham aya hai
jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan!!!
jaisay mahtaab ko be-ant samander chahay
mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan!!!

Mohabbat Se Reha Hona Zarori Hogia Hai

Mohabbat Se Reha Hona Zarori Hogia Hai
Mera Tujh Se Juda Hona Zarori Hogia Hai

Wafa K Tajrube Karte Hoe To Umr Guzri
Zara Sa Bewafa Hona Zarori Hogia Hai

Meri Aawaz Tanhai Main Marti Ja Rahi Hai
Kisi Ka Hamnawa Hona Zaarori Hogia Hai

Bhanwar Main Hai Kai Barson Se Apni Kashti-E-Jan
Kisi Ka Na-Khuda Hona Zarori Hogia Hai

Thursday, August 27, 2009

tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare

tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare
tujh ko tera nasib rulaye Khuda kare

raton mein tujh ko nind na aye Khuda kare
tu dar-ba-dar ki thokren khaye Khuda kare

aye bahar tere gulistan mein bar bar
tujh par kabhi nikhar na aye Khuda kare

meri tarah tujhe bhi jawani mein gam mile
tera na koi sath nibhaye Khuda kare

manzil kabhi bhi pyar ki tujh ko na mil sake
tu bhi dua ko hath uthaye Khuda kare

tujh par shab-e-wisal ki raten haram hon
shammein jala jala k bujhaye Khuda kare

ho jayen bad-duayen meri dosto galat
ab un pe koi harf na aye Khuda kare

Apna saya bhi juda lagta hai apni zaat sey

Apna saya bhi juda lagta hai apni zaat sey
Hum ney us sey dil laganey ki saza pai bohat

Ek muddat baad mili Qed se aazadi

Ek muddat baad mili Qed se aazadi
Par Jab mili aazadi, To pinjre se pyar ho gaya

Jisy dekho wo kehta hai k un ko bhool jain hum

Jisy dekho wo kehta hai k un ko bhool jain hum. . !
hamara ghum barhanay ko hamaray ghum-gusaar aaye. . !

Soch Loo Chalne Say Pehlay Rastaa Dushwaar Hai

Soch Loo Chalne Say Pehlay Rastaa Dushwaar Hai
Ishiq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Dewar Hai

Phir Faraib'bay'Roz'o'Shab Ki Dosti Mumkin Nahi
Kar Diya Inkar So Inkar Hai !Inkar Hai

Itna Khush Hona Nahi Acha Ab Us K Qarb Main
Hijar Bhi In Vesaal K Lamhoo Ka His'say'dar Hai

Is Taraf To Rastoon Main Dhool See Urr'nay Lage
Ab To Jaa K Daikhna Hai Jo Samandar Par Hai

Phir Hawa'ayee'Sehar Mujh SaY Mun'harif Honay Lagi
Phir Mere Hintoon Pe Tere Naam Ki Takrar Hai

Ab Kahan Cho'yee'gi Us K Dil Ko Sach Ki Roshni
Jis K Hathoon Main Abhi Taak Jhoot Ki Talwaar Hai..!

Sawab ka muje lalach to hai bahot lakin

Sawab ka muje lalach to hai bahot lakin,
Me naik kaam karon ga bure tareke se

Jab se tum bichare ho tab se

Jab se tum bichare ho tab se
Adha chand agar daikhon to
Meri ankhen bhar ati hain

Wednesday, August 26, 2009

May ALLAH give u lots of such joys

"happy birth da 2 U"

May ALLAH give u lots
of such joys &
happy moments.
May U live long &
live happy. May worries,
thoughts,angers &
bad lucks remain
away 4m u.
I wish u good luck.
A nice & lovely life 2
come. Bright &
joyful future & all
the goods that U
can ever Wish or think off.
I wish, may ur dreams come true
& all sad
thoughts off.
AMEEN.

Wishing you a happy eid Soft as silk white as

Wishing you a happy eid Soft as silk white as milk Sweet as honey Full of money and buble as you Happy Eid !!!!

Urdu Happy Birthday Shayari

Urdu Happy Birthday Shayari

Dua hai Ki Kaamyabi ke har shikhar pe
aap hee ka naam hoga,
aapke har kadam par
duniya ka salaam hoga.
Himmat se mushkilon ka saamna karna
hamari dua hai ki waqt bhi ek din
aapka gulam hoga…
Happy Birthday!!

Kaash Mein Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota
Tu Bare Piyar See Chaao See Bare Maan K Sath

Apni Nazuk Si Kalaai Me Charhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi See Furqat K Khizaan Lamhom Mee

Tu Kisi Soch Mein Doobi Jo Ghoomati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khooshboo See Mehak sa Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhe Choomaa Karti
Tere Hontoon Ki main Hidat Say Dehaak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kee Safar Par Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaiya Karti

Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kai Batein Karta
Teri Zulfon ko Tere Gaal Ko Chooma Karta

Jab bhi to band e qaba kholane lagati janan
Apni ankhon ko tere husan se khaira karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Naasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Me Meehakta Rehtata Rehta

Mein Tere Jisam K Aangan Me Khanakata rehta
Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota

Kash Me Tere Haseen Hath Ka Kanghan Hota

Zahir me jo karta ha bare piar ki batain

Zahir me jo karta ha bare piar ki batain
Andar se wohi shakhs hamara nahin hota

Raat gareeb Maan ne ye keh kar bachon ko sulaya,

Raat gareeb Maan ne ye keh kar bachon ko sulaya,
Farishtey khwaab me aatey hain rotiyan le kar…

Tuesday, August 25, 2009

HOPE, STRUGGLE ,and HARD WORK

The HOPE, The STRUGGLE and The HARD WORK
towards a goal/ success is part of the rewards.
Achieving goal itself is not the whole reward........ BEST WISHES

Tang aa k hum jo bechne nikly Wafa Faraz

Tang aa k hum jo bechne nikly Wafa Faraz
logo ne phir Khaloos k bhaoo Barha dye

Teri jabee’n pe likha tha ke tu bhula dega,

Teri jabee’n pe likha tha ke tu bhula dega,
So mein bhi bhaamp geya tha ke tu bhula dega,

Har aik shakhs se larta raha mein tere liye,
Har ik ne mujhe se kaha tha ke tu bhula dega,

Yeh teri aankhon pe halqey se parr gaye kaise,
Mujhe to tu ne kaha tha ke tu bhula de ga ,

Nikaal laya hai ilzaam phir puraney tu,
Yeh hum ne tey’y bhi kiya tha ke tu bhula de ga,

Kuch is liye bhi ke ik til tha teri ankhon mein,
Mujhe to tab pata tha ke tu bhula de ga,

Monday, August 24, 2009

Kabhi To Miley Pehli Mulaqat Ki Terha

Kabhi To Miley Pehli Mulaqat Ki Terha
Bigra Hi Rehta Hai Kyun Halaat Ki Terha
Wo Ek Sanam Jo Lage Jaan Se Pyara
Mujhe Waqt To Deta Hai Magar Kheraat Ki Terha

Ulajhta Choor gya Wo Mujhe Sawalon me

Ulajhta Choor gya Wo Mujhe Sawalon me
Wo ek Shakhs jo Apna tha Shehr walon me

Agarchy Mujh se Taluq nahi raha lekin
Wo Naam leta hy ab b Mera Hawalon me

zindagi ki marzi hai

zindagi ki marzi hai

jis taraf bhi le jaye

manzalain dikha ke phir

raastoon main kho jaye

roshni dikha ke phir

tareek ho jaye

habs main jala ke phir

khud bahar ho jaye

be qarar kar ke phir

khud qarar ho jaye

her khushi thama ke phir

ashkbaar ho jaye

raabte barha ke phir

khud khafa ye ho jaye

ba wafa bana ke phir

be wafa khud ho jaye

zindagi ki marzi hai

jis taraf bhi le jaye

manzalain dikha ke phir

raastoon main kho jaye

Najane kon si galion me chor aea hon

Najane kon si galion me chor aea hon
Charagh jalte hoe khawab muskarate hoe

Apne Honton Pe Sajana Chahta Hun

Apne Honton Pe Sajana Chahta Hun
Aa Tujhe Mein Gungunana Chahta Hun

Koi Aansuu Tere Daaman Pe Gira Ke
Boond Ko Moti Banana Chahta Hun

Thak Gaya Mein Yaad Kartay Kartay Tujh Ko
Ab Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hun

Aakhri Hichki Tere Zaano Pe Aaye
Mout Bhee Shayarana Chahta Hun

Reh Gayi Thi Kuch Kami Ruswaayion Mein
Phir “Qateel” Oske Dar Pe Jaana Chahta Hun

alzaaam, bewaafaee kay in ko day rha hn

alzaaam, bewaafaee kay in ko day rha hn
shak ho rha hai mujh ko main hud hi bewafa hn

har jsm gul farooshan ab markaz e nzr hai
tum sa bichar kar kitna aawaaraah ho gaya hn

is shaam bay ksi main dl ki khabar nahi hai
kab say kahan kahan main awaaz day rha hn

beetay hua donon azm yaad aagya hain
unko galay lga kar ma aaj ro pra hn

is lahjaa hooshi main afsaana-e-shab-e-ghm
kuch tum bhi bhooltay ho kuch main bhi bhoolta hn

Sunday, August 23, 2009

Jaaty Jaaty Wo Kis Lye Palta

Jaaty Jaaty Wo Kis Lye Palta
Ab Sataye ga Ye Sawaal Mujhe

Sitting at the table doesn't make you a diner

Sitting at the table doesn't make you a diner,
unless you eat some of what's on that plate.
Being in America doesn't make you an American.
Being born in America doesn't make you an American...
proud it where ever you from.

Saturday, August 22, 2009

uv been called b4 cupids court 4 stealin my heart

uv been called b4 cupids court 4 stealin my heart.trespassin in my dreams & robin me of my senses.uv been sentened 2 a lifetime wiv me- how do u plead?

wo jate jate apni ahat de gaye

wo jate jate apni ahat de gaye
in soyi akhome apna sapna de gaye
rahat milti thi unke anese
fir bhi wo tanha kar gaye…..

Ashq Ka Qatra Aankhon Se Beh Gaya

Ashq Ka Qatra Aankhon Se Beh Gaya,
Bahte-Bahte Dil Ka Kissa Kah Gaya,

Bahut Mushkil Se Sambhala Tha Khud Ko,
Tujhe Dekha To Bas Dekhta Rah Gaya..

Ab ke saawan bhi manaya hai moharam ki tarah,

Ab ke saawan bhi manaya hai moharam ki tarah,
Chashm garyaan bhi rahi hijar ki barish mein shareek..

kahan hain khata ki saza denay waley

kahan hain khata ki saza denay waley
bina baat ke hi dua denay waley

jahaN may sabhi dard hi baant-tey haiN
kahaN hum talashaiN dawa denay waley

butoN ki tijarat buhat ho rehi hai
batao kahaN haiN khuda denay waley

lipat kar hawa se qadam ro rehaiN haiN
kahaN haiN nishaN ka pata denay waley

ghutan hai ke barhti chali ja rehi hai
kahaN se ley aayeN hawa denay waley

Waiz se Faraz apni bani hai na banay gi

Waiz se Faraz apni bani hai na banay gi
Hum aur tarha kay hain, jabnab aur tarha kay

Chahat teri chhupa ke jiye ja rahi hun main,

Chahat teri chhupa ke jiye ja rahi hun main,
khud ko hasin fareb diye ja rahi hun main,

tu bewafa hai phir bhi mera honsla to dekh,
tujh pe wafa nisar kiye ja rahi hun main,

bharke tere daman mai musarrat ki kahkashan,
saugat aansuo ki liye ja rahi hun main,

ruswa na ho jaye tu is jahan mai isliye,
honto ko apne khud hi siye ja rahi hun main,

murat teri tarash kar poojungi isliye,
pathar teri gali ka ek liye ja rahi hun main…

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai
Gar Banaye To Muhobbat Main Judai Kyun Hai

Kyun Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi
Meri Barbadi Me Shamil Teri Kismat Kya Thi
…Meri Raahon Me Khushbu Ka Safar Rahta Tha
Dil Me Aabaad Gulabo Ka Nagar Rahta Tha
Jindgi Khar Bhari Rahome Layi Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai

Mai Hoon Bikhra Hua Gardish Me Sitare Mere
Gam Ke Tufan Mai Dube Hai Kinare Mere
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunahgar Hoon Main
Sach To Ye Hai Ki Muhobbat Ka Parastar Hu Main
Aye Saja Phirbhi Mere Hisse Mai Aye Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobaat Ye Banae Kyu Hai

Mai Agar Rou To Sahra Ko Samandar Kar Doon
Sakht Ho Jaoon Agar Mome Ko Pathar Kar Doon
Raakh Ho Jaye Jaha Mai Jo Agar Aah Bharu
Aasma Tutpade Tujse Jo Fariyad Karu
Etni Gaherae Mere Ishq Mai Aai Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banaye Kyun Hai
Agar Banaye To Muhobaat Me Judai Kyun Hai

Friday, August 21, 2009

Thursday, August 20, 2009

Sometimes the world gives me so many reasons to hate it

Sometimes the world gives me so many reasons to hate it...but whenever it happens.... I just stop and think of u n say, "How can I hate this world when you are a part of it.

Wishing U a Very Very “HAPPY EID MUBARIK”

Wishing U a Very Very “HAPPY EID MUBARIK” Wid Luv And Best Wishes.
May That Eid Day Brings LOT of Happiness And JOYS in ur LIFE.
May u Live Long…
And That EID day Will comes in UR life Hundrad Times…
Remember me in ur prayers.

Teri Aarzoo Mai Uthna Teri Justuju Mai Chalna

Teri Aarzoo Mai Uthna
Teri Justuju Mai Chalna
Tujhe Bar Bar Sochna
Or Chup Chupa K Rakhna

Tujhe Phool Phool Kehna
Tere Pas Pas Rhna
Tujhe Sath Sath Rakhna
Yehi Adatien Thi’n Meri

Maazi K Sub Dino’n Mai

Mager Ab Janaa
Muskura K Rona
Kabhi Ro K Muskurana

Raton Se Batien Kerna
Taaro’n Ko Kch Sunana
Maazi Ki Adat’on Per
Khud He Tohmatien Lagana

Yehi Mashgalay Hain Mere
June K In Dino’n Mai..!!

i know its ur birthday 2day

i know its ur birthday 2day.. iam sure u'l give me treat in a big hotel.. so i shall talk to u in person there, coz i dunno to xpress my feelings in SMS"

Voh Aya Tha Mehfil Main Mgar Shoq Se Naheen

Voh Aya Tha Mehfil Main Mgar Shoq Se Naheen,
Voh Betha Tha Pas Mere Mgr Dil Se Naheen,

Kaun Kehta Hain voh Pyar Naheen Karta,
Karta To Hain Magr Afsos mujhse Se Naheen..

Mohabbat ki hadhon se door jana chahta hia dil

Mohabbat ki hadhon se door jana chahta hia dil
Kisi andher nagri mein thikana chahta hai dil

Dharkne se kabhi baghi, kabhi be-dharak dharka hai
Dharakne se mukarnay ka bahana chahta hai dil

Tera milna bhi junoon ka sunehri daur tha lekin
Zara is se bhi pehle ka zamana chahta hai dil

Yeh kesa ishq hai chand aansuyon, aahon ke badle
Meri har saans pe hi haq jatana chahta hai dil

Bhale Rustam mujhe ko zamana be-wafa kahe
Per ab ronay per tere, muskurana chahta hai dil

Wednesday, August 19, 2009

Most hurting Line by a true Love

I guess that I'm da loser
Cause u hav found some1 new
But I'm still here, still all alone
Just crying over u

Wahdan bhi aaye, saleb-gar bhi, saleb per hoon

Wahdan bhi aaye, saleb-gar bhi, saleb per hoon
Ye sheher ik roz phir se youm-e-hisaab mangay

Tuesday, August 18, 2009

Wo jo geet tum ne suna nahin meri umer bhar ka riaz tha

Wo jo geet tum ne suna nahin meri umer bhar ka riaz tha
Mere dard ki thi wo dastan jise tum hansi me ura gae

Dil to chahta hai k har baar tujy

Dil to chahta hai k har baar tujy
Anmool khazany bhejon,
lekin mere Daman mein Duaaon k siwa kuch bhi nahi.

Wo Kehti Hay

Wo Kehti Hay??
Batao Be Sabab Kion Rooth Jatay Ho?
Main Kehta Hoon?
Zara Mujh Ko Manaao?? .Acha Lagtaa Hay

Wo Kehti Hay
Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehta Hoon?.
Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii?.!

Wo Kehti Hay?.
Batao?Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna?
Main Kehta Hoon?
Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!

Wo Kehti Hay?
Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehta Hoon?
Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi?!

Wo Kehti Hay?
Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehta Hoon?
K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay?!

Wo Kehti Hay?
Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehta Hoon?
Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na?!

Gazal sun ker pareyshan ho gaey kya

Gazal sun ker pareyshan ho gaey kya
kisi k dihan main tum kho gaey kya

ya bay-ganaravi pahlay nahi thee
kaho tum bhi kisi k ho gaey kya

abhi kuch dair pahlay tak yahi thay
zamana ho gaya tum ko gaey kya

kisi taza rafaqat ki lalak hai
puranay zakham achay ho gaey kya

palat ker charahger kun aa gaey hain
shab-e-furqat k maray soo gaey kya

Faraz itna na itra hoslay per
isay bhoolay zamanay ho gaey kya

Jis Dil Me – Ishq 140 Shayari

Jis Dil Me – Ishq 140 Shayari

Ishq Kamzoor Dil Se Kiya Nahin Jaata
Zeher Dushman Ke Haat Se Piya Nahin Jaata
Jis Dil Me Basi Ho Ulfat Yaar Ki
Us Yaar Ke Bina Jiya Nahin Jaata

Adawat ke sholon me jab jalte thay yaaron

Adawat ke sholon me jab jalte thay yaaron,
Khabar na thi wo bhi humpe marte thay yaron.

Abki jo tanhaai hai wo pahle na hua karti thi,
Shabe-gham chaand taare to nikalte thay yaaron.

Karte hain wo shiqayat teri kalam kyon khamosh hai
Koun batae tab lafz nahi jazbaat nikalte thay yaaron.

Jab na raha kuch dil me to kyon aas lagaate ho,
Aise bhi kuch kalaam likhe ki log marte thay yaaron.

Na rakhun shiqva kisi se na karun shiqayat magar,
Wo kyon-kar har baat me mera zikr karte thay yaaron.

Tu kyon us lamhe ko dil se lagae baitha hai “shaad”
Wo to pahle hi ise,ek haseen bhul kahte thay yaaron.

Tere Sang bitaya hua har lamha yaad ata hai mujhko

Tere Sang bitaya hua har lamha yaad ata hai mujhko,
Chale aao ke yeh hijr ki raatain bohat rulaati hain mujhko,

Tere aashiyane ko jaana, hum bhala kese aajaye,
Tere sheher ke log bohat satate hain mujhko,

Tu chahe kitna hi chupaa le, Mein phir bhi janta hoon,
Teri soch har mehwar yaad karta hai mujhko,

Khud mein jhaankta hoon tou yeh khayal ata hai,
Bin tere jeena bhi muhaal lagta hai mujhko,

Mein andheron ki nagri ka kamzor sa musafir,
Ab ujaalon ki musaaftain kahan raas ati hain mujhko,

Tere deed ki pyaas hi ab taskeen deti hai,
Teri miti huyi arzuyain hi chain deti hain mujhko,

Ae Husnain tamasha dekhne wale koi kam tou na they,
Ruswayiyon ke soghaat diye tere apnon ne mujhko

Sunday, August 16, 2009

Every test in our life

Every test in our life
makes us bitter or better,

Every problem comes
to make us or break us,

Choice is our whether
we become victim or victorious.

Bun k ahsas meri dharkan k paas rehtay ho

Bun k ahsas meri dharkan k paas rehtay ho,
Tasveer ban k meri aankhon k paas rehtay ho,

Aaj poochtay hain aik sawal tumsay,
kiya door reh ker tum bhi udaas rehtay ho

Tu Kya Jaane Aasman Ko Chune Ki Tammana Kya Hoti Hai

Tu Kya Jaane Aasman Ko Chune Ki Tammana Kya Hoti Hai
Tu Kya Jaane Tujh Se Pyaar Karne Ki Sazaa Kya Hoti Hai
Arey Tu Kiya Jaane Samander Ki Gehrayion Mein Kya Hota Hai
Jo Mehsos Hota Hai Wo Dard Mujhe Tere Pyaar Mein Mila Hai

Arey Pyaar Mein Tere O Sanam-E-Bewafa Naa Jaane

Kitno Ka Lahoo Bhi Baha Hai

Hamari taraf ab wo kam dekhtay hain

Hamari taraf ab wo kam dekhtay hain
Wo nazrain nahi, jinko hum dekhtay hain

EidUlFitr Hai Ajj Aur Tum Pass Nahi Ho

EidUlFitr Hai Ajj Aur Tum Pass Nahi Ho
Sab Kuch Hai Pass Par Tum Pass Nahi Ho!!!
Mana Tu Li Hai EidUlFitr Hum Ne Yahan Pe
Na Aaya Woh Maza Jo Tum Pass Nahi Ho!!!

Saturday, August 15, 2009

Bhar Ayi Ankhe Jb Unka Naam Aya

Bhar Ayi Ankhe Jb Unka Naam Aya
Isq Nakam Hi Sahi Fr B Boht Kaam Aya
Humne Ishqme Aisi B Guzari H Rate
Jbtk Ansu Na Bahe Dilko Aaram Na Aya.

Hazaron Ki Ginti Tou Mujhey Nahin Atii

Hazaron Ki Ginti Tou Mujhey Nahin Atii

Par Aik Dil Ka Kayal Apse Khe Doon

Kay Rait Ka Har Zarra Ager Nayaab Dua Ban Jaye

Tou Tohfe Mein Apko Sara Raigistan De Dun

Friday, August 14, 2009

teri ibtida koi or hy teri intiha koi or hy

teri ibtida koi or hy
teri intiha koi or hy
teri bat humse hui to kya
teri soch mai koi or hy
hame shouq tha bari dair se
k tere sharek-e-sfar rahain
tere sath chal k khabar hui tera rasta koi or hy
tujhe fikr hy k badal dia muje gardish-e-shab-o-roz ne
kabhi khud se b to sawal kr
tu wohi hy ya koi or hy.

Friendship Must Never Be Buried

Friendship
Must Never Be Buried
Under The Weight Of
Misunderstanding

shams-o-qamar pr

shams-o-qamar pr
aasman kya naaz krta
is baras to yeh zamin bhi
chandni say kuchh sunehri
dhoop say kuchh barhh ke peeli ho rahi hai

Thursday, August 13, 2009

Take a deep breath,

Take a deep breath,
Stand near the window,
Look at the sky,
There will be two stars twinkling brightly,
u know what they are????
They are my eyes always taking care of U..
Good night.

Ham Ne Kanton Ko Bhi Bari Narmi Se Chua Hai

Ham Ne Kanton Ko Bhi Bari Narmi Se Chua Hai
Log Kitny Bedard Hain Pholon Ko Masal Dety Hain

Tujh ko khabar hoi na zamana samajh ska

Tujh ko khabar hoi na zamana samajh ska
Hum chupky chupky tujh pe... kai baar mar mity.

Is Khushi Ka Hisaab Kese Ho

Is Khushi Ka Hisaab Kese Ho
Us ne Pocha “Janab! Kese ho

Wednesday, August 12, 2009

Ap soch rahe honge abi eid mein kuch din baqi hein

/////\
/// E I D
//MUBARAK
Ap soch rahe honge abi eid mein kuch din baqi hein,
Lekin Yeh To Socho
Humara sms jis ko mil jata hai samjho uski to eid ho gai
So
/////\
/// E I D
//MUBARAK

Ya malik aapne aadalat me , meri hamesha jamant rakhna,

Ya malik aapne aadalat me , meri hamesha jamant rakhna,
Mai rahu ya na rhu mere chahane walo ko hamesh salamat rakhna

Wo jis ka haath tak chuny ko by adbi smajhte thy

Wo jis ka haath tak chuny ko by adbi smajhte thy
Galey se lag k roya bhi to kisi aur k liye

Muqaddar K Sitaron Par

Muqaddar K Sitaron Par
Zamano K Isharon Par
Udasi K Kinaro Par
Kabhi Veeran Shehron Main
Kabhi Sunsan Raston Par
Kabhi Heran Ankhon Main
Kabhi Bejain Lamhon Par
Tumhari Yad Chupkay Say
Kabhi Ser-Goshi Karti Hay
Yeh Palkain Bheeg Jati Hain
To Aansoo Toot Girtay Hain
Ham Palkon Ko Jhukatay Hain
Bazahir Muskuratay Hain
Faqat Itna Hi Kehtay Hain
Mujhay Kitna Satatay Ho
Mujhay Tum Yad Aatay Ho
Mujhay Kitna Rulatay Ho

Tuesday, August 11, 2009

Na koi dost, Na saathi, Na koi rishtedaar

Na koi dost, Na saathi, Na koi rishtedaar
Ghareeb kia howay sab loog mar gaye apnay

There is alwayz a reason 4 evrthin

There is alwayz a reason 4 evrthin
A reason 2 live,
a reason 2 die,
a reason 2 cry,
but if u cant find
a reason to smile,
can i b da reasn 4 a while?

Lafzon me chopae hoe be rabt dala se

Lafzon me chopae hoe be rabt dala se,
Chanti rahi shab bhar mere ansu teri awaz

Give me a pocket full of money

Boy 2 God:
Give me a pocket full of money,
A job & a big vehicle full of girls.

God replied:your wish is fullfilled
&
He became a bus conductor of karachi university point

Jo naqab-e-rukh utha di tou ye qaid bhi laga di

Jo naqab-e-rukh utha di tou ye qaid bhi laga di.
Uthay har nigah lekin koi baam tak na pohnchy.

Monday, August 10, 2009

Fursat mile to daikh zara dil ka aina

Fursat mile to daikh zara dil ka aina
Us me hai akas tere gunah sawab ka

tasvir teri dil mera bahala na sakegi

tasvir teri dil mera bahala na sakegi
ye teri tarah mujh se to sharma na sakegi

main bat karunga to ye khamosh rahegi
sine se laga lunga to ye kuch na kahegi
aram vo kya degi jo tarpa na sakegi

ye ankhen hain tahari huin chanchal vo nigahen
ye hath hain sahme huye aur mast vo bahen
parchai to insan k kam a na sakegi

in honthon ko "Faiyyaz" main kuch de na sakunga
is zulf ko main hath main bhi le na sakunga
uljhi hui laton ko ye sulajha na sakegi

Lout aaye na kaheen phir se

Lout aaye na kaheen phir se
Wo mousam-e-hijar
Mujh ko apni tanhai se lagta hai dar
Badi mushkil se banaya hai
Teri sangat may ye ghar

Firdoos sajai hai jaisey tu ney
Aisa lagta hai yahan ka
Har aik manzar
Teri saanson ki mehak se janaan
Aangan bhi houa hai muataar

Chalo mil kar karain hum dua
Khushiyan rooth na jayen yahan
Lout kar aaye na kabhi
Mousam-e-khizaan
Kuch aisi taseer-e-wafa chhor jayen
Dekh kar jisko
Ahl-e-wafa bhi reh jayen heraan

Rehay hamesha hamarey
Milan ki sehar
Peena na padey hum ko kabhi
Judai ka zehar
Bus
Sada rehay yahan
Mousam-e-vasl

Kaajal, Aankhain, Zulfain, Jhumke, Chehra, Bindiya,

Kaajal, Aankhain, Zulfain, Jhumke, Chehra, Bindiya,
Haaye Dil Haar Gaye Hum Tujhe Be-Naqaab Dekh Kar…!

Sunday, August 9, 2009

Rooh ki zameenOon paR aik aJeeb aalUm hay

Rooh ki zameenOon paR aik aJeeb aalUm hay
Dard aUr Tamanna main Fasla nahi Milta?.!!
SougawaR loGoon ki,BayqaRaar loGoon ki?!!
Zindagi main kOi bhi ZaBta nahi milta??..!!

naqsh yadon ka mitaati he to ro parti he

naqsh yadon ka mitaati he to ro parti he.
wo mera khatt jo jalati he to ro parti he.

khoon dikhta hey mery marty hoye sapno ka,
khuwab ankhon main basati he to ro parti he.

log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,
baat logon se chupaati he to ro parti he.

yaad karti he mujhy toot kar us lumhy,
shaam chehra jo dikhaati he to ro parti he.

woh bary zubt bhary hosly wali larki,
ghum ko tahreer banati he to ro parti he.

Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut

Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,
Her Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bahut,

Chor Hi Dena Pada Ghabra kar Us k Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bahut,

Apni Baahon Me Jab Jakar Leti The Ranjo Alam,
Aa k Ek Andaaz Me Mujh ko Hansaati Thi Bahut,

Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi,
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bahut,

Chahti Thi Sirf Meri Hi Nazar Us per Parey,
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut,

Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Mein,
Raat Me Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bahut.

Coins always make sound

Coins always make sound,
But the currency notes are always silent.
So, when your value increases,
Keep yourself calm and silent.
Gud Day!

I take this opportunity

I take this opportunity
to thank you for
your immeasurable
contribution to my life.
Thank you Mom!
And wish you a
Very Happy Mother's Day

kia zaroori hai mohabbat ko ayaan bhi kar doon

kia zaroori hai mohabbat ko ayaan bhi kar doon
kuch to asraar bhi rakhoon, kay nehaan bhi kar doon

us nay inkaar kia , main nay bhi subki jaani
kyun na ab apnay khayalon ko zubaan bhi kar doon

jee yeh karta hai kay sailaab, bahaa doon ro kar
main to barbaad hua saara jahaan bhi kar doon

sochtaa hun kay rag-e-jaan main basaa loon shoalay
aag nus nus main jalay aisaa samaan bhi kar doon

jo nehaan khanay main dil kay hai chuppai hum nay
hai koi qissa , kahaani, kay bayaan bhi kar doon

kitna acha ho sulagtaa rahoon har dam
shamm-e-mehfil sa jaloon, khud ko dhunwan bhi kar doon

Sukoon Milta Hy Jab Un Sy Baat Hoti Hy

Sukoon Milta Hy Jab
Un Sy Baat Hoti Hy

Hazaar Raaton Me Wo
Ek Raat Hoti Hy

Nigah Utha K Wo
Dekhen Kbhi Jo Meri
Taraf

Wo Hi 1 Nigah Meri
Kainaat Hoti Hy

Saturday, August 8, 2009

Sardarji to others:

Sardarji to others:
Did anyone lose money wrapped in a rubber band?
One said, Yes I did
Sardar: Well, it's your lucky day,
I found the rubberband!

Kabhi Khamosh – Yaad Shayari Sms

Kabhi Khamosh – Yaad Shayari Sms

Kabhi Khamosh Baithogi Kabhi Kuch Gungunaogi
Main Utana Yaad Aaunga Mujhe Jitana Bhulaogi
Koi Jab Puch Baithega Khamoshi Ka Sabab Tum Se
Bahut Samajhana Chahogi Magar Samajha Na Paogi
Kabhi Duniya Muqammal Ban Ke Aayengi Nigahon Mein
Kabhi Meri Kabhi Duniya Ke Har Ek Rain Bitaogi
Kaheen Par Bhi Rahen Hum To Muhabbat Phir Muhabbat Hai
Tumhen Hum Yaad Aayenge Hamen Tum Yaad Aaogi

My day may be hectic.

My day may be hectic.
My schedule may be tight.
But I would never let the day end
without saying good night. Sweet dreams!

Ek dua mangte hai hum apne Bhagwan se,

Ek dua mangte hai hum apne Bhagwan se,
chahte hai aapki Khushi pure Imaan se,
Sub hasraten puri ho aapki
aur aap Muskurayen Dilo Jaan se.

dekhiyeh chand raat aai hai

dekhiyeh chand raat aai hai
sath khushian hazar laee hai

tum chaley aao aik lamhey ko
ham bhi manain ke eid aae hai

chaand bhia ya chand lamhon ko
jaisey tum ney jhalak dikhai hai

ham ne qismat ajeeb paee hai
Eid ka din hai aur judai hai

keh rahe hai hawa mujhy yasir!
us ne mehndi abhi lagaii hai

Kabhi jo tum lout kar aana

Kabhi jo tum lout kar aana
Sang apney kuch housley
Bhi le aana
Gardish-e-ayyam bhaut zalim hai
Naqoosh-e-yaad-e-rafta mita deti hai
Phir bhi jo tum ne
Sanbhal rakhain hon
Chand gohar hamari ulffat ke
Unhey sang le aana

Kiyun ke
Wohi ab tumhara
Aasasa hain
Wohi ab tumhara aasra hain

Key
Ab yahan mai nahi rehta
Key
Teray shehar se nikal kar
Shehar-e-khamoshan ja basa hon mai
Key
Main teray dil may nahi rehta

Gham-naak Samandar Mai Kinare Na Bichartey

Gham-naak Samandar Mai Kinare Na Bichartey

Tum Bichrey The Yaadon Ke Sahare Na Bichartey

Mai Teri Judai Ka Sitm Jhail Hi Leta

Us Raat Agar Chand Sitare Na Bichartey

Ik Doojey Se Kuch Dard Ki Taqseem To Rehti

Jeewan Mai Agar Dard Ke Maare Na Bichartey

Har Rang Mai Hai Illat-o-Maalool Zaroori

Ankhen Na Bicharteen To Nazare Na Bichartey

Issi Torr Se Yaadon Ki Bhi Surat Nikal Aati

Hum Bhool Gaye Hote Jo Pyaare Na Bichartey

Friday, August 7, 2009

Relationship is like a Garden

Relationship is like a Garden.
It's beautiful when watered with...
love, hugs, tears & cheers.
But it dries up if left untouched...
so pls keep in touch...

Koi aahat na koi chaap na koi awaaz,

Koi aahat na koi chaap na koi awaaz,
Dil ki galiyan meri sunsaan hain aye koi..

Tujhe Maaloom Tou Hoga Mere Humdum

Tujhe Maaloom Tou Hoga Mere Humdum
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaaha Bohat Hai

Tuesday, August 4, 2009

Wishing U a Very Very “HAPPY EID MUBARIK”With Luv And Best Wishes

Wishing U a Very Very “HAPPY EID MUBARIK”With Luv And Best Wishes.

May This Eid Day Brings LOT of HAppiness And JOYS in ur LIFE.

May u Live Long LIFE…

And That EID day Will comes in UR life Hundrad Times…

Remember me in ur prayers

Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy

Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy
Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy

Wo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna
Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy

Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham Mohsin
Phir Bhi Kuch Zakham Thy Asy Jo Na Bharty Dekhy.

Sardar said to doctor

Sardar said to doctor:Pore jism main
kahin bhi ungli lagao to bohat dard hota hai,
Doctor suggested full body Xray
when he checked, Xray found fracture in "Ungli"

Na zaat me koi manzil na kainat me hai

Na zaat me koi manzil na kainat me hai
Safar karon to kahan mera koi jada nahin

Monday, August 3, 2009

Khizaon ki udaasi hai jo ab tak dil pai chaayi hai

Khizaon ki udaasi hai jo ab tak dil pai chaayi hai
Baharon ka haseen mausam kahin sai saath lana tum..

Yeh mana aur bhi tum ko jahan mai hain bohat sai kaam
Magar duniya kai mailon mai hamein mat bhool jana tum..

Mairay ashaar hain jitnay.. Tumharay naam kerta hoon
Ghazal mairy sunno jab bhi.. Ghazal mai doob jana tum..

Agar tum sai koyi mairay baray mai poochay tu
Faqat itni si khuwahish hai.. Mujhay apna batana tum..


Koyi jab Alwida-ee mausam ka zikar chairay tu
Nammi ankhon mai matt rakhna.. Hamesha muskurana tum

In life LOVE is never planned

In life LOVE is never planned nor does it happen for a reason.
But when LOVE is real,It becomes ur PLAN for life
and ur reason for living.

Jab gulista’n mein baharo’n k qadam aatay hain.

Jab gulista’n mein baharo’n k qadam aatay hain. . !
Yaad bhoolay huay yaaro’n k karam aatay hain. . !

Sunday, August 2, 2009

Rukh Pe Paseena

Rukh Pe Paseena...Taiz Dharknan... Halka Sa Ehsas-E-Haya...
Hum Pe Kya Kuch Beet Gya... Ek Tere Hath Pakrny Se

TeRi YaaDoN sE BacH NikLoN... MuJhE TaDbeeR dE Koi

TeRi YaaDoN sE BacH NikLoN... MuJhE TaDbeeR dE Koi
MeRi JaNiB sE HeR Rasta... TeRi JaNiB NiKaLta Hai

mera dard nagma-e-besada

mera dard nagma-e-besada
meri zat zara-e-benishan
mere dard ko jo zuban mile
mujhe apna nam-o-nishan mile
meri zat ko jo nishan mile
mujhe raz-e-nazm-e-jahan mile
jo mujhe ye raz-e-nihan mile
meri khamoshi ko bayan mile
mujhe qayanat ki sarwari
mujhe daulat-e-do-jahan mile

a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan

a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan

yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan

ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan

hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein
uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan

is butkade mein mani ka kis se karen sawal
adam nahin surat-e-adam bahur hai yan

ajaz-e-isawi se nahin bahs ishq mein
teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan

mere hilak karne ka gam hai abas tumhen
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan

shayad ke kam subh tak apana khinchena 'Mir'
ahawal aj sham se darham bahut hai yan

At childhood

At childhood
"We cry loudly to get what we like"
But now
"When we grown up,
We cry silently to forget what we like"

chaman main subah ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam

chaman main subah ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam
bahar-e-bag to yun hi rahi lekin kidhar shabnam

arq ki bund us ki zulf se rukhsar par tapki
tajub ki hai jage ye pari khurshid par shabnam

hamain to bag tujh bin khana-e-matam nazar aya
idhar gul pharte the jab, roti thi udhar shabnam

kare hai kuch na kuch tasir sohbat saf tabon ki
hui atish se gul ke baithate rashq-e-sharar shabnam

bhala tuk subah hone do ise bhi dekh lewenge
kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam

nahin asbab kuch lazim subak saron ke uthne ko
gai ur dekhte apne bagair az bal-o-par shabnam

na paya jo gaya is bag se hargiz surag uska
na palti phir saba idhar, na phir ai nazar shabnam

na samjha Dard hamne bhed yan ki shadi-o-gam ka
sahar khandan hai kyon roti hai kis ko yak kar shabnam

Eid Is Dedication

Eid Is Dedication
Eid Is Love….
Eid Is Beauty..
Eid Is Dedication..
Eid Is Happiness…
My Advance Wishes To U & Ur Family.
“EID MUBARAK”

Dua nahi to gila deta koi

Dua nahi to gila deta koi
meri wafaon ka sila deta koi

jab mukadar hi nahi tha apna
deta bhi to bahla kya deta koi

hasil-e-ishq faqat dard hai
aye kash pehle hi baat deta koi

taqdeer nahi thi agar aasmaan chuna
khaq me hi mila deta koi

bewafa bhi humein bewafa keh gaya
is se zyada kya daga deta koi

guman hi ho jata kisi apne ka
daman hi pakar kar hila deta koi

arse se atka hai hinchkiyoun pe dun
acha hota ke bhula deta koi

You were crying when u were born

You were crying when u were born
while evrybody was laughing there
As u live 2 blow a thousand candles,
live ur life humbly so that
u would b the one laughing when u die
and everybody else would be crying.
Happy Birthday

Muhabbat zindgi hai yeh mantay hain hum

Muhabbat zindgi hai yeh mantay hain hum
Dillagi sukoon hai yeh jantay hain hum

Shab-e-wasl ka intezar her aik ko hota hai
Likin rooh-e-yar se wisal chahtay hain hum

Ghamoun Ki Barish to her mousam mai hoti hai
Inhi Dukhoun Ki Mehfil-e-tanhaii sajatay hain hum

Meri Ulfatoun Ko Charagoun sa na samjho Yaro..!!
Dil ki aatish ko nazroun say jalatay hain hum..

A Very Bad Habit Of Speaking When Someone Is SLeeping

Teacher To Student:

Can You Define Who Is LECTURER?

Student : A LECTURER Is A Person Who Has A Very Bad
Habit Of Speaking When Someone Is SLeeping.