Tuesday, June 23, 2009

Kabhee Kabhee in habs bhari raton main Jab

Kabhee Kabhee in habs bhari raton main
Jab
Sab Awazain so jatee hain
Aadhee neend ki ghayal madhoshi main
Ek Khwab anokha jaagta hai…..!
May daikhta hoon
Gard ki is chadar say udhar
Jo merey us kay beech tani hai
WOH bhi tanha jaag raha hai…

No comments:

Post a Comment