Monday, April 6, 2009

Samandar mee otarta hon to ankhain bheeg jati hain

Samandar mee otarta hon to ankhain bheeg jati hain
Teri ankhon ko parhta hon to ankhain bheeg jati hain

Tumhara naam likhne ki ijazat chiin gai jab se
Koi bhi lafz kehta hon to ankhain bheeg jati hain

Teri yaadon ki khoshbo khirkiyon mee raqas karti hai
Tere gham main sulagta hon to ankhain bheeg jati hain

Main hans kar jheel leta hon judai ki sabhi rasmain
Gale jab us ke lagta hon to ankhain bheeg jati hain

Na jane ho gEa hon is kadar hasaas mee kab se
Kisi se baat karta hon to ankhain bheeg jati hain

Wo sab guzre hue lamhat mujh ko yad ate hain
Tumhare khat jo parhta hon to ankhain bheeg jati hain

Main sara din bohat masrof rehta hon magar jonhi
Kadam chokhat pe rakhtaa hon to ankhain bheeg jati hain

Har ek muflis ke mathe par alam ki dastanain hain
Koi chehra bhi parhta hon to ankhain bheeg jati hain

Bare logon k onchee bad numa aur sard mehloon ko
Ghareeb ankhon se takta hon to ankhain bheeg jati hain

Tere koche SE ab mera taaluk waajbi sa hai
Magar jab bhi guzarta hon to ankhain bheeg jati hain

Hazaron mausamon ki hukmarani hai mere dil par
Wasi main jab bhi hansta hon to ankhain bheeg jati hain

No comments:

Post a Comment