Saturday, February 28, 2009

Before the sun sets in this year

Before the sun sets in this year,
before the memories fade,
before the net works get jammed
Wish u and ur family Happy Sparkling New Year 2013

ye ab khula hai k koi bhi manzar mera na tha

ye ab khula hai k koi bhi manzar mera na tha
main jis mein rah raha tha wahi ghar mera na tha

main jis ko ek umr sambhale phira kiya
mitti bata rahi wo paikar mera na tha

mauj-e-hawa-e-shahar-e-muqaddar jawab de
dariya mere na the k samandar mera na tha

phir bhi to sangsar kiya ja raha hun main
kahte hain nam tak sar-e-mahzar mera na tha

sab log apne apne qabilon k sath the
ek main hi tha k koi bhi lashkar mera na tha

Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind

Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind

Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Howa Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind

Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Os Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind

Dil Roz Sajaata Hun Mein Dulhan Ki Tarah
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baaraat Ki Maanind

Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Os Ka
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind

Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish
Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind

Os Shakhs Se Milna “Mohsin” Mera Mumkin Hee Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind

Yahaan Mazdoor ko marney ki jaldi Yun bhi hai

Yahaan Mazdoor ko marney ki jaldi Yun bhi hai,
Ke zindagi ki kashmakash main kafan mehnga na ho jaye

I didn't knew u had a prescription

Man at medical store:I need poison
Chemist: I can't sell you that

Man shows his marriage certificate
.
.
.
Chemist: Oh! sorry,
I didn't knew u had a prescription

Friday, February 27, 2009

wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare

wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
main tujh ko bhul k zinda rahun Khuda na kare

rahega sath tera pyar zindagi bankar
ye aur bat meri zindagi wafa na kare

ye thik hai nahin marta koi judai mein
Khuda kisi se kisi ko magar juda na kare

suna hai usko mohabbat duayen deti hai
jo dil pe chot to khaye magar gila na kare

zamana dekh chuka hai parakh chuka hai use
"Qateel" jan se jaye par iltaja na kare

Bujhnay lag jai’n to phr shamai’n jala di jai’n

Bujhnay lag jai’n to phr shamai’n jala di jai’n
meri aankhai’n mere dushman ko laga di jai’n

be hunr loog kaha’n harf ki sachai kaha’n
ab kitabai’n kisi darya me’n baha di jai’n

un ki pehchaan ka dukh jaa’n se guzr jata hai
ye shabeehai’n sir e aaina ganwa di jai’na

ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunar
ishq me’n tuhmatai’n aai’n to bhula di jai’n

ya to khursheed chamakta rahay peshaani me’n
ya lakeerai’n mere mathay ki mita di jai’n

kitni bholi hui batai’n hamai’n aaj us ki “Saleem”
yaad aai hai’n to ab us ko bata di jai’n

Jin key dil pathar baney, jin ki zaba’n khanjar baney.

Jin key dil pathar baney, jin ki zaba’n khanjar baney..
Aisy be-dard’on sey ehal-e-dard kiun ker baney

uzr ane main bhi hai aur bulate bhi nahin

uzr ane main bhi hai aur bulate bhi nahin
bais-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin

khub parda hai ke chilman se lage baithe hain
saf chupate bhi nahin samane ate bhi nahin

ho chuka qata ta'lluq to jafayen kyon hon
jinko matlab nahin rahta wo satate bhi nahin

zist se tang ho ae Dag to jite kyon ho
jan pyari bhi nahin jan se jate bhi nahin

me us ka hon ye raz wo janta ha faraz

me us ka hon ye raz wo janta ha faraz
wo kis ka ha ye sawal mujy sony nhe deta

Thehar Jati Hai Har Nazar Tere Rukhsar Pe Aa Kar,

Thehar Jati Hai Har Nazar Tere Rukhsar Pe Aa Kar,
Tere Masoom Chehre Ki Banawat Me Kashish Kuch Hai..

es shart pay khelon gi piya pyar ki baazi,

es shart pay khelon gi piya pyar ki baazi,
jeeton to tjhy paon haaron to piya teri,

har lehza khayal tera rakhon gi sirf itna,
beth jaon to B teri uth jaon to B teri...

kuch kar loon gi haal apna aisa humsafar,
aankh lagay to B teri Aankh khullay to B teri....

teri har aahat pay paa loon gi tabeer aisi,
hans jaon to B teri rooth jaon to B teri....

main saath Doon tera kuch aisay jaan e jahan,
zinda rahooon to B teri mar jaon to B teri

Thursday, February 26, 2009

Far better it is to dare mighty things

Far better it is to dare mighty things,
to win glorious triumphs,
even though chequered by failure,
than to take rank with those poor souls
who neither enjoy much nor suffer much,
because they live in the grey twilight that
knows neither victory nor defeat.
(Theodore Roosevelt)

Ab to shaayd hi mujh se muhabbat kry koi

Ab to shaayd hi mujh se muhabbat kry koi
Meri ankho me tum saaf nazar aaty ho

Wednesday, February 25, 2009

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN

voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

ajab ilzaam huuN zamaane kaa
ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN

kuu?e?jaanaaN meN sog barpaa hai
ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

Verily, Allah does not look towards

Verily, Allah does not look towards
your bodies nor towards your appearances.
But, he looks towards your hearts

Main khud pehel karoon ya udhar se ho ibtidaa,

Main khud pehel karoon ya udhar se ho ibtidaa,
Barson guzar gaye hain yehi sochte huye..

Ghar se hai Mandir badi door chalo yun kar len

Ghar se hai Mandir badi door chalo yun kar len
Ek rote hue bachhe ko hansaya jaye

Dil To Kia Cheez Hai Hum Rooh Mien Otrey Hote

Two Lines Shayari

Dil To Kia Cheez Hai Hum Rooh Mien Otrey Hote…
Tumne Chaha He Nahin Chahney Walon Ki Tarah….

Tuesday, February 24, 2009

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz'
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

zikr us pariwish ka, aur phir bayan apna

zikr us pariwish ka, aur phir bayan apna
ban gaya raqib akhir tha jo razdan apna

mai wo kyon bahut pite bazm-e-gair mein yarab
aj hi hua manzur un ko imtihan apna

manzar ik bulandi par aur ham bana sakte
arsh se idhar hota kash k makan apna

de wo jis qadar zillat ham hansi mein talenge
bare ashna nikla unka pasban apna

dard-e-dil likhun kab tak? Jaun un ko dikhla dun
ungliyan figar apni khamakhunchakan apna

ghiste ghiste mit jata ap ne abas badla
nang-e-sajda se mere sang-e-astan apna

ta kare na gamazi, kar liya hai dushman ko
dost ki shikayat mein ham ne ham-zaban apna

ham kahan k dana the kis hunar mein yakta the
besabab hua 'Ghalib' dushman asman apna

Abhi badban ko teh na rakho abhi muztarib hy ruk-e hawa

Abhi badban ko teh na rakho abhi muztarib hy ruk-e hawa
Kesi rasty mai hy muntazir wo sakon jo a ke chala gia

Milna hai ghairon se to saaf bata do

Milna hai ghairon se to saaf bata do
yon rooth k jany ka bahana nahi acha...

To love is one thing

To love is one thing, to be loved is another, but to be loved by the one you love is Everything

Monday, February 23, 2009

In A Cool-Cool Morning

In A Cool-Cool Morning
A Hot
Coffee
For
U
There Is No Cup & Coffee...
Your
Cell
Is
Cup
&
My
SMS
Is
COFFEE..
.
Wish U A COOL Morning.

Raat Chup Chap Hai Par Chand Khamosh Nahi

Raat Chup Chap Hai Par Chand Khamosh Nahi,
Kaise Kah Doon K Aaj Phir Hosh Nahi,
Aisa Dooba Hoon Main Tumhari Aakhon Mein,
Haat Mein Jaam Hai Par Pine Ka Hosh Nahi

Sunday, February 22, 2009

Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,

Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,
Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat,

Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,

Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,

Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat,

Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.

This BUNCH of FLOWERS

* ,* This
* / ,/’ BUNCH
‘///’,* of
“%” FLOWERS
Is Being Specially Delivered To
“U”&ur FAMILY

Just To say.

“Happy Advance EID MUBARAK”.

Khushk Honton Se Hua Karti Hain Meethi Batain ‘Mohsin’

Khushk Honton Se Hua Karti Hain Meethi Batain ‘Mohsin’,
Piyaas Bujh Jaye to Lehje Bhi badal jatey Hain

Saturday, February 21, 2009

Wo Bhi Tanha, Mein Bhi Tanha

Wo Bhi Tanha, Mein Bhi Tanha
Bhir Mein Har Shaqs Tanha
Raat Ke Aagosh Mein
Kat Ta Hai Ab Waqt Tanha
Ungliyon Ko Yaad Hai Wo
Uske Haatho Ki Chuuan
Dhund Ke Chhat Jaane Pe
Dekha Apna Haath Tanha

They say it takes a minute 2 fine a special person

They say it takes a minute 2 fine a special person, an hour 2 appreciate them, a day 2 love them, but then an entire life 2 forget them

Poetry

Guman is bat ki nahi ke tughe vul na chahta hu
guman to is bat ki hain ke jab tumhe vulna chahtahu tum yad ati ho

Chalo ye farz kartey hein

Chalo ye farz kartey hein
ke tum mashriq
mein maghrib hoon
chalo ye maan letey hein
barra lamba safar hey ye
magar
ye bhi haqeeqat hey
tumhaari zaat ka sooraj
bohat sa raasta chal kar
meri hasti mein doobey ga

Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..?

Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..?
Har taraf khalq ne kiyun shor mcha rakha hai,
Roshni din ki wohi,
Taron bhari rat wohi,
Aaj hum ko nazar aati hai har bat wohi,
Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen,
Aik hindse ka badalna koi jiddat to nahi,
Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere,
Kise maloom nahi 12 maheene tere,
Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein,
Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein,
Tu naya hai to dikha subha nai, sham nai
WaRNa in aankhon ne deikhe hain naye saal kai…

Friday, February 20, 2009

Thursday, February 19, 2009

Shehr bhar me kuch is trah pehchan hai hamari

Shehr bhar me kuch is trah pehchan hai hamari
Surkh Ankhain... Bikhri zulfain... Udaas chehra... Nawab Aadat

Jo aaj mujh se bichar kar bare sakoon mein hai

Jo aaj mujh se bichar kar bare sakoon mein hai
Kabhi woh shakhss mere waastey azaab mein tha

A Wish For A Sweet Friend

A Wish For A Sweet Friend

May The Sun Always Shine
On Your Windowpane

May A Rainbow Be Certain
To Follow Each Rain

May The Hand Of A Friend
Always Be Near You

May God Fill Your Heart
With Gladness To Cheer You

Yaad parta hai k kush khuwab thy dhundlay dhundlay

Yaad parta hai k kush khuwab thy dhundlay dhundlay
Wo amanat mein kahi’n bhool gaya hun rakh k

Fursat ishq se muyassar hi kahan

Fursat ishq se muyassar hi kahan
Ab kisey ishq ka maara na samjhen

Wednesday, February 18, 2009

Dil ki batein btana acha lagta ha

Dil ki batein btana acha lagta ha.
Phone per gup shup lagana acha lagta ha.

Shadi se pehle dil me bajte hein Sangeet.
Bad me to bas Qumi Trana acha lagta ha

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘Faraz’
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

Toote hain sheesha dil haaye dil itne ke ehl-e-dard,

Toote hain sheesha dil haaye dil itne ke ehl-e-dard,
Rakhte hain paaon khaak par sau baar dekh kar..

Banta Sing! u get marry with Santa after my death

Banta Sing! u get marry with Santa after my death,
Wife!, but why? He is ur no 1 enemy,
Banta!,this is only way to take revenge with santa sing.

Tuesday, February 17, 2009

Tum JAN sakty is MOHABAT Ko

Tum JAN sakty is MOHABAT Ko
Kaaash
Kash tum DEKH sakty?
Tuty huy dil ko
Behty huy ansuon ko
Is adhury m?sam ko
Kash Tum PARH sakty?
Mery hathon ki lakeron ko
Khawabon ki taberon ko
Dil k afsanon ko
Kash Tum SAMJH Sakty?
Mery lafzon ki gehrai ko
Honton ki sachai ko
Mehfil ki tanhai ko
Kash tum J?RR sakty?
Iss DIL ko
Iss RISHTY ko
Iss WADY ko

Never waste an opportunity 2 say

Never waste an opportunity 2 say
I love U to someone U really like
Bcoz it is not everyday Ull meet the person
Who has the magic to let U fall in love.

Kubhi Kubhi Tou Bohat Yaad Aanay Lagtay Ho

Kubhi Kubhi Tou Bohat Yaad Aanay Lagtay Ho
Ke Rooth’tay Ho Kubhi Aur Manaanay Lagtay Ho

Gila Tou Ye Hai Ke TUM Aatay Nahee Kubhi Laikin
Jub Aatay Bhee Hou Tou Foran Hee Jaanay Lagtay Ho

Ye Baat Jhon Tumhari Mazaaq Hai Ke Nahi ?
Ke Jo Bhee Ho Ose Tum Aazmaanay Lagtay Ho

Tumhaari Shaayari Kia Hai Bhala, Bhala Kia Hai ?
Tum Apne Dil Ki Udaasi Ko Gaanay Lagtay Ho

Sarwad-e-Aatish-e-Zarreen Sehen-e-Khaamooshi
Wo Daagh Hai Jisay Har Shab Jalaanay Lagtay Ho

Suna Hai Kehkashaanon Mein Roz-o-Shab Hee Nahee
Tou Phir Tum Apni Zabaan Kiun Jalaanay Lagtay Ho ?

Monday, February 16, 2009

Masoom Si – Ankhain 140 Poems

Masoom Si – Ankhain 140 Poems

Tujh Sa Chand Pal Jo Bichron To Ghabara Jata Hy Dil
Masoom Si Ankhon K Liye Azaab Ban Jata Hy Dil

Ay Mary Chand Kabi Nikal Ao Hijar Ki Raaton Main
Teri Khatir To Her Sham Sa Pahly Doob Jata Hy Dil

Tary Sath Kasa Rishta Hy Mujhy Khud B Maloom Nahi
Bus Tara Naam Koi Or Ly Itni Si Bat Par Toot Jata Hy Dil

Main Na Suna Tha K Ishq Ik Samundar Hy Lakin
Insan Tarp Tarp K Marta Hy Or Payasa Rah Jata Hy Dil

Iss Eid Pe Lot K Aa Jana

Iss Eid Pe Lot K Aa Jana,
Kuch Yadein Taza Krni Hain,
Kuch Lamhay Morr K Lanay Hain,
Kuch Taray Torr K Lanay Hain,
Wo Masti Or Wo Madhoshi,
Wo Bachpan Morr K Lana Hai,
Is Id Pe Lot K Aa Jana,
Ab Dil Ko Dil Ki Dharkan Se,
Phir Id Mubarak Kehna Hai,
Ab Sath Boht Din Rehna Hai,
Is Id Pe Lot K Aa Jana…!

Diloon Ko Barff Karti Raye'gani Say Nikal Ayee

Diloon Ko Barff Karti Raye'gani Say Nikal Ayee
Koi Kaisay Muhabbat Ki Khani Say Nikal Ayee

Usay Bas Ak Paal Ko Dekhna Tha Bat Karni Thi
Magar Wo Asskh Sada Jo Rawani Say Nikal Ayee

Yaqeen Tha Umar Lag Jayee'gi Is Hayraani'yee'Gham Main
Magar Hum Sham'may'Weshatt Ki Geerani Say Nikal Ayee

Bohut Majboor Rehtay Thay Bohut Masror Rehtay Thay
Tumhare Sehar'rya'Gham Ki Kejh Beyani Say Nikal Ayee

Kahee To Silseela Tehray Badan Ki Is Musafat Ka
Kabi To Be'ghari Ki Meharbani Say Nikal Ayee

Kahee Tarekh Shab Main Yaad K Jugnoo Camaktay Hain
K Jaisay Seep Koi Gehray Pani Say Nikal Ayee.....!!

7 Secrets of success

7 Secrets of success

I found the answer in my room.
Roof said: Aim high
Fan said: Be cool
Clock said: Every minute is precious
Mirro said: Reflect before you act
Window said: See the world
Calendar said: Be up-to-date
Door said: Push hard to achieve your goals.

jeene k lye dard ka samaan bohat hai

jeene k lye dard ka samaan bohat hai,
kuch roz se apna dil pareshan bohat hai,

milte hain shabo-roz sabhi log hum se,
aik tjh se mulakat ka arman bohat hai

Sunday, February 15, 2009

Na wafaon pe nazar hai na khafaon ka malal

Na wafaon pe nazar hai na khafaon ka malal
Dil me wo dard wo ehsas kahan hai k jo tha

Mein Roti Nahin Hoon

Mein Roti Nahin Hoon

Uss Nay Poocha
"Aankhein Kaisey Bheegi Hain
Roi Roi Lagti Ho"

Mein Naay

Uss Kay Samney Aankhein Poonchhein
Palkon K Geeley Farsh Saaf Kaye
Hans K Boli
Aankh Mein Meri Hi Palkon Ka Baal Giya Tha
Aankhein Geeli Kar Ke Uss Ko Nikala Hai
Dard Bari Hi Shiddat Pr Thaa
Aaor Ab....Ab Mein Theek Hoon
.....Roi Nahin Hoon.!!!

Darkness is everywhere.

Darkness is everywhere.
The birds are back there home.
Road are quiet
every body is sleeping,
but i m not u know y?
just wanted 2 say u Good night

Saturday, February 14, 2009

Usny tora tha mera dil us se koi shikayat nahi

Usny tora tha mera dil us se koi shikayat nahi,
Ye Usi ki Amanat thi usy acha lga so tor diya..

nahin nigah main manzil to justaju hi sahi

nahin nigah main manzil to justaju hi sahi
nahin wisal mayasar to arzu hi sahi

na tan main khun faraham na ashk ankhon main
namaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi

kisi tarah to jame bazm maikade walo
nahin jo bada-o-sagar to ha-o-hu hi sahi

gar intazar kathin hai to jab talak ai dil
kisi k wada-e-farda ki guftagu hi sahi

dayar-e-gair main mahram agar nahin koi
to 'Faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw?wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai

Woh boli sardiyon mein suraj ki hiddat kabhi dekhi

Woh boli sardiyon mein suraj ki hiddat kabhi dekhi
Main bola tum ne mere ishq ki shiddat kabhi dekhi

Golden Facts of Life

Golden Facts of Life:-When someone loves U,U dont realise it...When U realise it,Its too late,U always love the one who leaves U & Leave the one who loves U

Friday, February 13, 2009

Koi hath bhi na milae ga jo gale milo ge tapak se

Koi hath bhi na milae ga jo gale milo ge tapak se
Ye nae mizaj ka sheher hai zara fasale se mila karo

Mujhe teri mohabbat ne ajab ik roshni baskhshi,

Mujhe teri mohabbat ne ajab ik roshni baskhshi,
Mein is dunya ko ab pehle se behter dekh sakti hoon.

Zindegi Toh Mela Hai Ajnabiyon Ka

Zindegi Toh Mela Hai Ajnabiyon Ka

Dilme Me Aansuon K Siwa Koi Cheez Nahi Tikti
Kab Milegi Uski Yaadon Se Mujhe Mukhti
Zindegi Toh Mela Hai Ajnabiyon Ka
Kisi Ajnabi K Chale Jane Se Zindegi Toh Nahi Rukhti

Lehja badal badl k na kar muj se goftago

Lehja badal badl k na kar muj se goftago
Pehchanta hon rang teri bat bat ka

Ksi anjan Chehre Se

Ksi anjan Chehre Se... Ksi Pur-lutf Lamhy me
Jo Karna Na B Chaho to Muhabbat Ho Hi Jati hai

Thursday, February 12, 2009

SALEEP stand for

"S.L.E.E.P"
S-Say thanks to the god.
L-Lying on the bed.
E- Eyes closed slowly
E-End of the day.
P-Plan for the next day.

'G00D NIGHT'

Uski Zulfain thi.

Uski Zulfain thi... Lab-o-Rukhsar thy or Haath Mere
Kat Gye Raat K Lamhy Yon Sharart Krty

Yaad Ki Rehguzar Jis Pe Isi Soorat Se

Yaad Ki Rehguzar Jis Pe Isi Soorat Se
Muddaten Beet Gai Hain Tumhain Chaltey Chaltey
Khatam Ho Jaaye Jo Do Chaar Qadam Aur Chalo
Maur Parta Hai Jahan Dasht-E-Faramoshi Ka
Jis Se Aagey Na Koi Main Hu Na Koi Tum Ho
Saans Thaamey Hain Nigaahen K Na Jaaney Kis Damm
Tum Palat Aao Guzar Jao Ya Murr Kar Dekho
Garcha Waaqif Hain Nigaahe K Ye Sab Dhoka Hai
Gar Kahin Tum Se Hum Aaghosh Hui Phir Se Nazar
Phoot Nikley Gi Wahan Aur Koi Reh Guzar
Phir Ussi Tarah Jahan Ho Ga Muqaabil Paeham
Saaya-E-Zulf Ka Aur Junbish-E-Bazu Ka Safar
Doosri Baat Bhi Jhooti Hai K Dil Jaanta Hai
Han Koi Maurr Koi Dasht Koi Ghaat Nahin
Jis K Pardey Main Mera Maah-E-Rwaan Doob Sakey
Tum Se Chalti Rahey Ye Raah Yunhi Acha Hai
Tum Ne Murr K Bhi Na Dekha To Koi Baat Nahin!!!!!

nahi hon main kisi ka bhi nahi hon

nahi hon main kisi ka bhi nahi hon
ager khud apne jaisa bhi nahi hon

kabhi aise bhi din ate hain mujh par
k khud ko milne jata bhi nahi hon

main logoon se bohat darta hon lekin
ju rub hay uss se darta bhi nahi hon

bohat hi dukh hua yeh jaan ker aaj
k main tu apne jaisa bhi nahi hon

main apni hadd main rehta hon hamesha
phir iss hadd se nikalta bhi nahi hon

bicha daita main khud ko unko khatir
mager dukh hay k rasta bhi nahi hon

jahan paishaani pe koi harf aye
main aise dar pe jhukta bhi nahi hon

Ali main kya hon k her rooz khud se
ju kehta hon woh kerta bhi nahi hon

Dil Ka Dard Humain Batate Kion Nahi

Dil Ka Dard Humain Batate Kion Nahi
Dosti Ka Haq Hum Pe Jatate Kion Nahi
Mer Jaoge Aise Roz Laga Lga Ker
Qabz Hai Tou HASHMI SPAGHOL Khate Kyun Nahi

Yeh kis ne keh diya Tum se Ke Bazi Haar Bethe Hum

Yeh kis ne keh diya Tum se Ke Bazi Haar Bethe Hum?
Mohabbat me Lutaane ko abhi to Jaan bhi baqi hai..

Flying papers

Flying papers,
multi colours of balloon,
delicated blossom,
fantastic people,
love and laughter.
What it describes? HAPPY BIRTHDAY

hazaron khwahishen aisi k har khwaish pe dam nikle

hazaron khwahishen aisi k har khwaish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle

dare kyun mera qatil kya rahega usaki gardan par
wo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle

nikalna khuld se adam ka sunte aye hain lekin
bahut be-abaru hokar tere kuche se ham nikle

bharam khul jaye zalim tere qamat ki darazi ka
agar is turra-e-purapech-o-kham ka pech-o-kham nikle

magar likhwaye koi us ko khat to hamase likhawaye
hui subah aur ghar se kan par rakkhar qalam nikle

hui is daur mein mansub mujhse bada-ashmi
phir aya wo zamana jo jahan se jam-e-jam nikle

hui jinse tawaqqo khastagi ki dad pane ki
wo hamse bhi ziyada khasta-e-teg-e-sitam nikle

muhabbat mein nahi hai farq jine aur marne ka
usi ko dekh kar jite hain jis kafir pe dam nikle

zara kar jor sine par ki tir-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle jo dil nikle to dam nikle

Khuda k waste parda na kabe se utha zalim
kahi aisa na ho yan bhi wahi kafir sanam nikle

kahan maikhane ka darwaza 'ghalib' aur kahan waiz
par itna jante hain kal wo jata tha k ham nikle

Yeh Eid Taray Shehar Main

Yeh Eid Taray Shehar Main

Yeh Eid Teray Shehar Mein Bhi Aayi Hogi
Barray Naaz Say Tu Nay Bhi Manayi Hogi

Haseen Haath Pay Mehandi Bhi Lagayi Hogi
Narm C Kalayi Chorriyon Say Sajayi Hogi

Sitaray Bhi Taankay Hoon Gay Tum Nay Maang Mein Apni
Marmareen Paaon Mein Pazaib Bhi Pehni Hogi

Aankhon Mein Kajal Bhi Lagaya Hoga
Rukhsaron Pay Laali Bhi Bikhhri Hogi

Ajab C Khushi Say Dil Bhi Dharka Hoga
Koi Chahnay Wala Jab Eid Mila Hoga..

Wednesday, February 11, 2009

Tuesday, February 10, 2009

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,

Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,

Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,

Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….

Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..

Azaab Jitne Bhi Aane The Tal Gaye Saare

Azaab Jitne Bhi Aane The Tal Gaye Saare
Teri Nigaah Se Mosam Badal Gaye Saare,

Bas Ek Shikaar Howa Ek Hi Shikaar Howa
Pher Us K Bad Parinde Sanbhal Gaye Saare,

Para Hoon Be Sar-o-Samaan Sab-e-Maqtal Mein
Mere Khiyaam Sar-e-Shaam Jal Gaye Saare,

Woh Mil Giya To Usay Kuch Bhi Na Keh Paaya
Jo Lafz Soche The Ashkon Mein Dhal Gaye Sare,

Ek Intizaar Ne Aysa Hisaar Mein Rakha
Mein Peeche Reh Giya Aage Nikal Gaye Sare.

Yaad aataa hai roz O shab koi

Yaad aataa hai roz O shab koi
Hum se rutha hai be sabab koi


Lab E joo chhaaoN me darakhtoN ki
Woh mulaaqaat thi ajab koi!!


Jab tujhe pahli baar dekhaa tha
Woh bhi tha mausam E tarab koi


Kuchh khabar le K teri mahfil se
Door baitha hai jaaN ba lab koi


Na Gham E zindagi na dard E firaaq
Dil meN yuNhi si hai talab koi


Yaad aati haiN door ki baateN
Pyaar se dekhta hai jab koi


khaayi hai baarhaa lekin!
Aaj to dard hai ajab koi


Jin ko mitna tha mit chuke ‘Nasir’
Un ko ruswaa kare na ab koi.

Main bhi dhoondny main thaka nahi

Wo jo mud?dato?n sy
mila nahi

Main bhi dhoondny
main thaka nahi

Usay dhoonda mene
gali gali

Koi chorhi mene jaga nhi

Sab ny kaha usay bhool ja

Dil ny kaha wo bura nhi

Bhula duun usay main
bhi agar

Phir farq hum me
raha nahi

Milte nhi tou kia
hua

Mere dil se wo tou
juda nahi ?

Kabhi sawaal Dil mein le kar jawaab

Kabhi sawaal Dil mein
le kar jawaab
Dhondne Nikla tha....

Main Be'wafaon ki
Basti se wafa
Dhondne Nikla tha......

Kya ajab silsala tha
un ki muskarahton
ka.....

Main un
Muskurahaton par
jaaN Denay Nikla
tha.......

Kya andaaz tha us
ki Mehkti houi
chahton
ka.......

Jin chahtoon pr
main sb kuch
" Qurbaan "
karny Nikla
tha.........

Jab thokar lagi to
ye khayal aaya

K

Main apni hi zindagi
Bar'baad
karne
Nikla tha.'

Monday, February 9, 2009

These R Few Words Which Cum In My MIND

LOVE~*
*~CARE~*
*~INSPIRATIONS~*
*~KINDNESS~*
These R Few Words Which Cum In My MIND,As I Think Of U!

A New Year Is Unfolding

A New Year Is Unfolding
Like A Blossom With
Petals Curled Tightly
Concealing The Beauty Within.
Happy New Year Eve

Hum sar khul jawo bawaqt e maey parasti ek din

Hum sar khul jawo bawaqt e maey parasti ek din
warna ham chherden gay rakh kar uzr e masti ek din

Ghazza e aawij binayay aalam imkan na ho
is bulandi kay nasibon me hay pasti ek din

Qarz ki pitay thay maey lekin samajhtay thay keh hain
rang laaway gi hamari faqa masti ek din

Naghma haay gham ko bhi aey dil ghanimat janyay
be sadaa ho jayay ga ye saaz e hasti ek din

dhool dhappa us sarapa naaz ka shewa nahi
ham hi kar bethay thay Ghalib paish dasti ek din

Her Ek Ghum Ko Bhula Daina Tum Ab K EID Sy Pehly

Zara Sa Muskara Daina Tum Ab K EID Sy Pehly
Her Ek Ghum Ko Bhula Daina Tum Ab K EID Sy Pehly

Kitabon Mai Saja Lena Zra Do Chaar Phoolon Ko
Hawaon Ko Saza Daina Tum Ab K EID Sy Pehly

Mery Sab Shair Sab Nazmen Kisi Ko Ab Sunana Mat
Mery Sab Khat Jala Dena Tum Ab K EID Sy Pehly

Hazaron Meel Ki Doori Sahi Per Lot Aaonga
Mujhy Dil Sy Sada Dena Tum Ab K EID Sy Pehly

Ager Milna Hamara Or Tumhara Kuch Mumkin Ho Tou
Kuch Aanso Baha Dena Tum Ab K EID Sy Pehly

Mahtab ruten aaen to kia kia nahi kartin

Mahtab ruten aaen to kia kia nahi kartin
is umr mein to lardkiyan soya nahi kartin

Kuch lardkiyan anjam nazar hotay howay bhi
jab ghar say nikalti hen to socha nahi kartin

Yan piyas ka izhaar malamat hay gunah hay
pholon say kabhi titliyan poocha nahi kartin

Qismat jinhen kar day shab e zulm kay hawalay
aanchal woh kisi naam ka aordha nahi kartin

Jo lardkiyan tarik muqaddar hon kabhi bhi
raton ko diyay ghar mein jalaya nahi kartin

ham un se agar mil baithte hain kya dosh hamara hota hai

ham un se agar mil baithte hain kya dosh hamara hota hai
kuch apni jasarat hoti hai kuch un ka ishara hota hai

katne lagin raten ankhon main dekha nahin palakon pe aksar
kabhi sham-e-gariban ka jugnu kabhi subah ka tara hota hai

ham dil ko liye har des phire is jins ka gahak mil na saka
ai banjaro ham log chale ham ko to khasara hota hai

ham apni zaban se kuch bhi kahen shayar hai khayalon se khelen
a jao to baham mil baithe kabhi hijr bhi pyara hota hai

daftar se uthe kaife main gaye kuch sher kahe kuch kafi pi
pucha jo muash ka "Inshaji" yun apna guzara hota ha

Sunday, February 8, 2009

Ai taayir-e-laahooti us rizq se maut achhi

Ai taayir-e-laahooti us rizq se maut achhi
Jis rizq se aati hai parvaaz mein kotaahi

Abi to aye ho betho zara tasali se

Abi to aye ho betho zara tasali se
Lgy gi dair zara haal-e-DIL sunany me

Woh Mere Dil Pe Sar Rakh Kar Sooyi Thi Be_Khabar

Woh Mere Dil Pe Sar Rakh Kar Sooyi Thi Be_Khabar
Meine Dharhi Hi Rook Li Ke Kahin Uski Neend Na Toot Jaye…….

Tumko barish pasand hai. mujhe barish me TUM

Tumko barish pasand hai. mujhe barish me TUM
Tumko hasna pasand hai. mujhe hastey hue TUM
Tumko bolna pasand hai. mujhe boltey hue TUM
Tumko sab kuch pasand hai Or mujhe bas TUM

Mere nazdeek aa k dekh mere ehsas ki shiddat

Mere nazdeek aa k dekh mere ehsas ki shiddat
Mera dil kitna dharakta hai tere naam k sath

Juda Honay Se Darta Hoon – Judaii Shayari

Juda Honay Se Darta Hoon – Judaii Shayari

Lahoo Ronay Se Darta Hoon , Juda Honay Se Darta Hoon
Meri Aankhain Batati Hain K Main Sonay Se Darta Hoon
Meri Unggli Pakar Laina Mujhe Tanha Nahi Karna
Ye Dunya Aik Maila Hai Tumhain Khonay Se Darta Hoon

Na Mila Dil Ka Qadar daan Is Zamaney main

Na Mila Dil Ka Qadar daan Is Zamaney main
Yeh Rishtaa Toot Gaya Dekhney Dikhaaney Main
Sochta Hon Ik Roz Shama Sey Poochon Sagar
Maza Kis Mein Hai Jalney Main Ya Jalaney Main

Saturday, February 7, 2009

Bahaar aa ke bohat sheher-e-jaan mein pachtaayi

Bahaar aa ke bohat sheher-e-jaan mein pachtaayi
Mere badan mein bassi thi hizaan ki tanhayi

i look at the moon

i look at the moon
the moon is beautiful
i look at you
i..i...
i rather look at the moon again

Sulagti talkh baton se

Sulagti talkh baton se... Bary be-dard hathon se
Muhabbat maar di tum ne

Ek tareeq rah guzr par

Ek tareeq rah guzr par
kamzor c ek halki kiran ko
jana main nai anjane main
apni manzil ka nishan
ghubar-e-rah main kho kar
bujh gai jab woh temtemati kiran
mit gaya jab nishane manzil
mare maan ko yaqeen na aya kabhi
apne par biaty is sitam par
madham madham se qadam mare
kisi sang mayl ki talsah main
inhi injan tareeq ranhoon par
bhatak rahein hain aaj bhi
lakin....
yeh dil dewwana kya jane
umangoon ke chaman
tou yunh hi sada
bharoon ka intzar karty karty
ugarty hain
ugarty rahien gay
jo kho gai manzeelian
un manzeloon ki talash main
qadam hum jaise musafiroon ke
rahoon maon bhikhri
dhooul ke bhanwar main
bhatkty rahein hain
bhatkaty rahein gay

Waqt bhi leta hai karwat najaney kese kese,

Waqt bhi leta hai karwat najaney kese kese,
Umar itni to nahin jitne ke sabaq seekhey hain..

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai
Teray meray ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai
Ban ke lahu takhleeq mirii kii ragh ragh men woh behti hai
Larki jo naadaan kabhii ,kabhii bahut siyaanii lagti ha

nafrat karnay walon kay chehron ko dekho

Ja'o!
nafrat karnay walon kay chehron ko dekho,
unn ki aankhein,dozakh kay darwazay hain
aur teh khanon mein jalti aag say
unn kay dilon ki deewarein kaali hain,

unn chehron ko dekho
jin kay daant,dahan say bahar
jhanktay rehtay hain
aur baat karein to munh say unn kay
kaff behta hai,

jin ka samna sacha'ei say
namumkin hai,
jo phoolon ko rond karr aagay
barhh jatay hain,
jin kay roshann daan pay kabhi parinday
baith kay geet nahin gaatay,

jin kay aangan mein ja karr
dhoop aur barishein iffat kho deti hain,

jin ki zubanein,khush lafzon say
nawaqif hain,
jin kay harf
kisi achhay ki sama'at say takra karr
pathar bann jatay hain

woh,jo logon ki khushyon ki mot pay
khushi manatay hain,
sa'el parr kutay chhortay hain,

aur apnay darwazon parr
kalay peelay ranng say
khoapriyan banwatay hain,

ja'o! aur unn chehron ko dekho
aaj say tumm
unn mein shamil ho!

Friday, February 6, 2009

Hoa hai tuj se bicharne k bad abb malom

Hoa hai tuj se bicharne k bad abb malom
K to nahin tha tere sath aik dunia thi

Main khud ko Baich b don phir b tujh ko pa nahi Sakta

Main khud ko Baich b don phir b tujh ko pa nahi Sakta
Main Aam sa hamesha hon... Tu khaas musalsal hai

G main ata hai koi taza mohabat ker len

G main ata hai koi taza mohabat ker len

uski aadaat main dhalty hue aadat badlen

uski khatir koi chahat koi nafrat badlen

uske hoty hue chahat ka safer badly ga

geet ka haar ka her aik huner badly ga

g main aata hai nai shokh k pehloo se lageen

g main aata hai koi taza mohabat ker len

phir nai zulf k saye main guzaren raten

phir nai ankh main masoom se paiman bandhen

phir naya jism naye andaz k geet

phir nai chaal pe ghazlen kahen, nazmen likhen

phir naye honton ko tasveer karen

jism k zaviye jidadt main bhigo ker dekhen

g main aata hai koi taza mohabat ker len

Dunya To Meri Wafaon Ka Silaa De Chuki Mujh Ko

Dunya To Meri Wafaon Ka Silaa De Chuki Mujh Ko,
Tu Bhi Mera Khaloos Mere Munh Par Maar De

Do not seek to follow in

Do not seek to follow in
the footsteps of the wise.
Seek what they sought.

(Basho)

Koi Tabeer ka wada nahi krna.

Koi Tabeer ka wada nahi krna..?? na kr...
khwab-ger Aaj koi Khwab udhara dy dy...

Thursday, February 5, 2009

May This… EidUl Fitr Bring Fun

May This…
EidUl Fitr Bring Fun, EidUlFitr Bring Happiness,
EidUl Fitr Bring God Endless Blessings,
EidUl Fitr Bring Fresh Love…
EidUl Fitr Mubarak To You With All Best Wishes

If you want to enjoy anything

"If you want to
enjoy anything,
always think
today is the first day

But

If you want to achieve anything
always think today is the last day.

Wednesday, February 4, 2009

Isi Liya To Bachon Pe Noor Sa Barasta Hai

Isi Liya To Bachon Pe Noor Sa Barasta Hai
Sharartain To Karte Hain , Saazishain Nahi Karte

Kiya Kiya Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye

Kiya Kiya Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye
Hum Jaagte Rahe Thay Magar Bakht So Gaye,

Us Ne Pyaam Bheje To Raste Mein Reh Gaye
Hum Ne Jo Khat Likhe Woh Hawaa Burd Ho Gaye,

Main Shaher-e-Gul Mein Zakham Ka Chehra Kise Dekhaon?
Shbnam Badast Log To Kaante Chabho Gaye,

Anchal mein Phool Le K Kahaan ja Rahi Hoon Main
Jo Aane Waale Log Thay, Woh Log To Gaye,

Kiya Jaane Ufaq Kau Udhar Kiya Tilsam Hai
Laote Nahi Zameen Par Ek Baar Jo Gaye,

Woh Bachpane Ki Neend To Ab Khawab Ho Gai
Kiya Umar Thi K Raat Howi Aur So Gaye,

Kiya Dukh Thay, Kon Jaan Sakega Nighar-e-Shab
Jo Mere Aur Tere Dopattay Bhego Gaye.

The secret of getting ahead

The
secret
of
getting
ahead
is
getting
started
(Mark Twain)

It becomes your DESTINY

Watch your Thoughts, they become Words!
Watch your Words, they become Actions!
Watch your Actions, they become Habits!
Watch your Habits, they become Character!
Watch your CHARACTER!, It becomes your DESTINY

Zindagi Mein – Sad Afsos Shaayri

Zindagi Mein – Sad Afsos Shaayri

Khushi Ko Dhundhne Nikale Gham Hi Mili Humen
Yeh Gham Bhi Zindagi Ka Hisaa Ban Chuki Hai
Mere Zindagi Mein Kitne Zakhm Mile Na Jaana Humne
Ab Iss Dard Ke Saath Jeena Hi Zindagi Ka Kisaa Ban Chuki Hai

yeh sach kaha tum ne

yeh sach kaha tum ne
udasi meray chehray pr
zara achi nahi lagti
chalo main man laiti hn
tumhara yeh b kehna ab
k mai hasti rahungi bas
magar yeh b to rona
sabhi ka yeh hi kehna hai
k mil skta nai kuch b
kisi b baat se pehlay
main ek majbor larki hn
bht hi toot si jati hn
jab yeh hi yad ata hai
k ab milna mjhay tera
Khuda k hath mai hi hai
suno..!!
hum aisa kertay hain
kisi se kuch nai kehtay
bus krtay hain ab dono
ro ro k duaen bus
jo taqdeer sath mai hogi to
lakerain hathoun mai jo hogi to
tujhay phr mil hi jaega
teray khawoboun ka wo ek ghar
chalo ab tum kehtay ho
to ansoo ankhoun mai rakhtay hain
tumsay kuch nai kehti
main ab hasti rahuungi bas

Tuesday, February 3, 2009

I think that I have found Upon this wondrous ground

I think that I have found
Upon this wondrous ground
A friend for life, a love
Who is a touch above

Life?s mediocrities
That blow in different seas
These special ones on earth
Who?ve been that way since birth

They touch lightly your heart
And never must you part,
For when you see their eyes
There can be no good-byes

So walk this way with me
Along this pathway free,
I shall not bind or tie
Our love or it would die

Beware Of Other Duplicate Eid Wishers

Beware Of Other Duplicate Eid Wishers I Am The Only Authorised
Iso 2012 Certified Dealer In EidUlFitr Wishes I Wish U An Original
Sweet EidUlFitr Mubarak In Advance

Chalo ik bar phr dar.o.bam sajaya jaye

Chalo ik bar phr dar.o.bam sajaya jaye
geet ulfat ka koi sar.e.sham bajaya jaye

Toot'ti jati hai umeed ki har kali
apne hathon se beej nya ugaya jaye

Humko malum hai milain gay dhoke bht
apni ankhun ko is bar zara sulaya jaye

Hathun ki lakerain hui jati hain madhum
dil ko kisi khush.fehmi se behlaya jaye

Ab k maujain ajab sar-kashi pe utri hain
iski zidd ko pyar se sehlaya jaye

Jo hai chahta wohi nikle zuban se
munsif ko barwaqt ye sandesa kahlaya jaye

Utar rhe hain nit nye azab hasti pe
rahn rakh kar khuwab,nendon ko jalaya jaye

Qaafile waqt k hathun hain lut'te jate
naam rahzan k nighebani ko lagaya jaye

Fehmo adraak se bala hai ye andaz e wafa

Fehmo adraak se bala hai ye andaz e wafa
Tuj ko andesha ruswai bhi hai piar bhi hai

Monday, February 2, 2009

tuti hui mohabbat ko dhokha naa kahiye

tuti hui mohabbat ko dhokha naa kahiye
mohhabbat ko sare aam ruswa naa kariye
jisse dil me basaya tha kabhi
uss dilbar ko yu bewafa naa kahiye

Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koi

Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koi
Itni Sangdili Se Barbaad Koi Ghair Nahi Karta

Live life like a pair of walking feet

Live life like a pair of walking feet,
The foot that is forward has no pride
&
the foot behind has no shame

because they both knows their situation will change!

chand dikh gaya

chand dikh gaya
mubarak ho
chalo chalo
bakra mandi chalo
5000 lo bakra do
ghomao phirao
chara khilao
ab eid ka din he
bakra girao
!!wait!!
Is phele Eid Mubarak.

Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….

Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….
Jaanay Kis Kis Ke Ghar Gayi Hogi …..

Chandni Ek Shab Ki MehmaaN thi…..
Subah Hotay Hee Mar Gayi Hogi……

Dair Tak Wo Khafa Raha Hai Mujh se….
Door Tak Ye Khabar Gayi Hogi……

Ik Darya Ke Rukh Badaltay Hee….
Ik Nadi Phir Utar Gayi Hogi……

Jis Taraf Wo SafaR Pe Nikla Tha…..
Saari RonaQ udhar Gayi Hogi…..

Meri YaadoN Ki Dhoop Chaaon Mein….
Oski Soorat Nikhar Gayi Hogi…..

Ya Ta’luq Na Nibh Saka Os se….
Ya TAbiyat Hee Bhar Gayi Hogi…..!

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Ho Ga

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Ho Ga
Ek Din Aayega Wo Shakhsh Hamara Ho Ga
Ye Achanak Jo Ujala Sa Hua Jata Hai
Dil Ne Chupke Se Tera Naam Pukara Ho Ga

Sunday, February 1, 2009

Bright colors

Bright colors,
water balloons,
lavish gujiyas and melodious songs
are the ingredients of perfect Holi.
Wish you a very happy and wonderful Holi.

Toota ho ek bar magar faisla ye hy

Toota ho ek bar magar faisla ye hy
os intiha pay bar digar jana hy muje

Tum sey jab bat nahi hoti kisi din janam

Tum sey jab bat nahi hoti kisi din janam,
Esey chup chap guzarta hai ye sunsaan sa din,

Ek seedhi si bari lambi sarak par jesey,
Sath chalta howa rotha howa sathi koi,

Muh phulaye hoye naraz sa khamosh udaas,
Or jab milta hun hans parta hai ye rotha din,
Gud guda kar mujhey kehta hai “kaho kesey ho?

Na koi dost, Na saathi, Na koi rishtedaar,

Na koi dost, Na saathi, Na koi rishtedaar,
Ghareeb kia howay sab loog mar gaye apnay…..!

Mujh Ko Teri Talab Thi, Guzarte Chale Gaye

Har Taraf Raah Main Thay Kaanty Bichay Huay
Mujh Ko Teri Talab Thi, Guzarte Chale Gaye

Aey Dost Tu Na Aaya Terey intiZar Main

Aey Dost Tu Na Aaya Terey intiZar Main
Ek Mout Thi Jo Aa Gai Wada Kiye Baghair

Tujhe to main ne hamesha hi manaya hy mgr

Tujhe to main ne hamesha hi manaya hy mgr
main aaj roth chala hon mujhe manaa k dikha