Saturday, December 13, 2008

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi
marmari taron bhari raton mein kya hota nahi
jee mein aata hai ulat den un ki chehare se naqab
hausla karte hain lekin hausla hota nahi
shama jis ki aabaru par jan de de jhum kar
wo patanga jal to jata hai fana hota nahi

No comments:

Post a Comment