Mery chaaron taraf hai dasht-e-be-paayan, kahan ho tum?
Mery maathay pe bosa deni wali maan! kahan ho tum?
Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barson se
Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum?
Kharaashain daal di hain dil k aainey pe duniya ne
Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa’n kahan ho tum?
Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo!
Taaqub mein hai mery gardish-e-dauraan, kahan ho tum?
Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maeen zinda hain
Meri nazron mein saara sheher hai weeran kahan ho tum
Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai
Mery zakhmon ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum
No comments:
Post a Comment