Monday, March 31, 2008

Shikwa-e-ashq nahi Jurat-e-guftar nahin

Shikwa-e-ashq nahi Jurat-e-guftar nahin
mary hathon main jabar ki talwar nahin

Ibn-e-Adam hun insan se Mohabat ki hai
Aag ka chand ka Pathar ka paristar nahin

ae khuda mujh ko meri Ibadat k badly Mohabat de de
Main teri kisi b jannat ka kharidar nahin

jis ne insan se mohabat hi na ki ho
wo dar haqiqat khuda ka b talabgaar nahin

How do u determine whether to admit a patient or not

In a Mental Hospital a journalist asked the Doctor:
How do u determine whether to admit a patient or not?

Dr: Well, we first fill a BathTub & give a teaspoon, a glass & a bucket to the patient & ask them to empty the Bathtub....

Journalist: Oh, obviously a normal person would use d bucket bcoz its bigger....

Dr: NO, a normal person would pull the drain plug!
Now will u plz proceed to bed no.39

"Give So Much Time

"Give So Much Time
To Improve Yourself
That You Have No Time
To Criticise Others".

Khawabun Ki Hawaa Raas Thi Jab Tak Mujhe,

Khawabun Ki Hawaa Raas Thi Jab Tak Mujhe,
Yoon Jaagte Rehna Meri Aadat Na Howi Thi…

Or To Koi Khaas Baat NaHi

Or To Koi Khaas Baat NaHi...!
Bus Muskurati Bari Adaa Se Ho

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten
kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten

ye sukhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yad k
koi lamha subah-e-wisal ka, kai sham-e-hijr ki qurbaten

jo tumhari man len nasiha to rahega daman-e-dil main kya
na kisi udu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten

chalo ao tum ko dikhayen ham jo bacha hai maqtal -e-shahar main
ye mazar ahal-e-safa k hain ye hain ahal-e-sidq ki turbaten

meri jan aj ka gam na kar, k na jane katib-e-waqt ne
kisi apne kal main bhi bhul kar kahin likh rakhi ho masaraten

Aab Hai Sharab Hai Aur Ummeed Uske Aane Ki

Aab Hai Sharab Hai Aur Ummeed Uske Aane Ki
Kya Aur Chahiye Koi Wajah Jashn Manane Ki

Har Ghadi Wo Mera Imtihaan Lete Hai
Aaj Baari Hai Meri Unko Aazmane Ki

Na Bahao Ashko Ko Yu Ki Kam Pad Jayenge
Ye To Shuruaat Hai Mere Dard Ke Fasane Ki

Sunday, March 30, 2008

Chalo Acha Hua Eid Ab ke Bhi tanha Guzri,

Chalo Acha Hua Eid Ab ke Bhi tanha Guzri,
Galay Mil ke Bohat Rote Jo Tum aa Jaate…

Good night my very special friend,

Good night my very special friend,
I pray you lay in rest,
And may tomorrow bring you
Much love and happiness.

Do not think of me...i m in ur eyes, in ur heart

Good Night

Zindagi zakhmo se bhari hey,Waqt ko marham banana sikh lo,

Zindagi zakhmo se bhari hey,Waqt ko marham banana sikh lo,
Harna to hai hi maut k samney filhal zndgi se jitna seekh lo:)

Kesa khaufnaak sa manzar hai keyi sadiyon se

Kesa khaufnaak sa manzar hai keyi sadiyon se,
Mera qadmon pe mera sar hai keyi sadiyon se,

Khauf rehta hai na sailaab kahin le jaye,
Meri palkon pe mera tera ghar hai keyi sadiyon se,

Ashk aankhon mein sulagtey huye so jatey hain,
Yeh meri aankh jo banjar hai keyi sadiyon se,

Kaun kehta hai mulaqat meri aaj ki hai,
Tu meri rooh ke andar hai keyi sadiyon se,

Mene jis ke liye har kisi ko naraaz kiya,
Rooth jaye na yehi dar hai keyi sadiyon se,

Uss ko aadat hai jarr’en* kaat’tey rehne ki Wasi,
Jo meri zaat ka mehwar* hai keyi sadiyon se..

Saturday, March 29, 2008

Door Hai Sahi Par Kinara To Hai

Door Hai Sahi Par Kinara To Hai
Timtimata Hi Sahi Sitara To Hai
Ho Jati Hai Tumhari Yaad Se Hi Tasalli
Tinka Hi Sahi Par Sahara To Hai

Uojray Huay Logoon Say Gureizaan Na Hua Kar

Uojray Huay Logoon Say Gureizaan Na Hua Kar
Hallat Ki Qabroon Kay Qatbay Bhee Phaarha Kar
Har Waqt Ka Hansna Tughay Barbad Na Kar Day
Tanhaee Kay Lamhoon Mein Kabhee Ro Bhee Lia Kar

Parinda mujhe sharminda guftaar na kare

Parinda mujhe sharminda guftaar na kare
Ooncha meri awaaz ko deewar na kare

Theek hai Bethe raho... Raah tako... mar jao

Theek hai Bethe raho... Raah tako... mar jao
Wada-e-Yaar hai... Sacha to lgy ga Tum ko

Friday, March 28, 2008

Jitni Duain Aati Thein

Jitni Duain Aati Thein
Sab Maang Leen Hm Nay
Jitney Wazeefay Yaad Thay Sarey

Kar Baithey Hain
Kai Tarah Se G Daikha Hai
Kai Tarah Se Marr Baithey Hain
Lekin Janan!
Kisi Bhi Surat
TuM MereY Ho Kar Nahi Daitey!

ay hasrat e deedar ye kaya raaz ha akhir… wo samne ate hain to dekha nahi jata ….

ay hasrat e deedar ye kaya raaz ha akhir…
wo samne ate hain to dekha nahi jata ….

ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate

ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate

ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate
ham aur bul bul-e-betaab guftaguu karte

payaam bar na mayassar huaa to Khuub huaa
zabaan-e-Gair se kyaa shar kii aarazuu karate

merii tarah se maah-o-mahar bhii hain avara
kisii habiib ko ye bhii hain justajuu karate

jo dekhate terii zanjeer-e-zulf kaa aalam
asiir hone ke aazaad aarazuu karate

na puuchh aalam-e-baragashtaa taali-e-"Aatish"
barasatii aag main jo baaraaN kii aarazuu karate

Achanak tere aany ki khushi kuch or hoti hai

Achanak tere aany ki khushi kuch or hoti hai
mujhe bad-e-saba ki mukhbari achi nahi lagti

Flying papers , multi colours of balloon

Flying papers , multi colours of balloon,
delicated blossom, fantastic people,
love and laughter. What it describes? HAPPY BIRTHDAY

Thursday, March 27, 2008

Baby’s First Birthday

Baby’s First Birthday

It’s your very first birthday, baby,
One candle on your cake;
Proud parents stare in wonder
At each new move you make.
We join in celebration,
As this special date arrives,
For baby has brought pleasure
Into all our lives.
We look forward now to seeing
How you progress and grow,
From the cute and tiny infant
You were one year ago.
So dig into your icing;
Enjoy your presents, too.
The reason for this day
Is a special person–you!
By Joanna Fuchs

Her Shakhs Keh Raha hAi... Mera Udaas Chehra

Her Shakhs Keh Raha hAi... Mera Udaas Chehra
Us Be-Wafa K Gham Ka MafhOom Ho Chuka hAi

Wish u a happy EID,

Wish u a happy EID,

soft and silki,

White and milki,

sweet as honey

and full of money.

EID UL AZHA MUBARAK HO

Tere wisaal ki subho ka rang kya ho ga

Tere wisaal ki subho ka rang kya ho ga...?
ye soochny ki faraghat shab-e-judai na dy

Wednesday, March 26, 2008

har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?

har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?

yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?

woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?

rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?

Dilon mein fark par jaye to itna yaad rakhna tum

Dilon mein fark par jaye to itna yaad rakhna tum
Daleelain, minnatain or falsafay bekaar jatay hain

dhoondoo gay hamain mulqoon mulqoon

dhoondoo gay hamain mulqoon mulqoon
milain gay naheen nayaab hain hm
tabeer hai js ki hasrat o gham
aay hum nafsoon wo huwaab hain hum

Tuesday, March 25, 2008

Love Begins – Sweet Mothers Day Poem

Love Begins – Sweet Mothers Day Poem

Before the child is born

A mother’s love begins
Before the child is born
And lasts through time
And difficulties
And differences
And many wounds
And days of joy
And days of sorrow
Winding, wearing
Weeping, sharing
Changing
Until, at the end
What remains
Is that solid core
That began as love
Before the child was born.

kaha tha na main nazuk hun na tarash mujhy

kaha tha na main nazuk hun na tarash mujhy

janun ne kar dia pash pash mujhy

mujhy khabar karna jo mera nishan pao

bohot dinon se hai apni talash mujhy

Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho Jaye

Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho Jaye
Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye

Dil Mein Phir Kuch Bhi Nahi Hoga Khalaon Ke Siwa
TU Kisi Roz Agar Mujh Se Judaa Ho Jaye

Wo Bohat Rakhta Hai Chaahat Ki Namazon Ka Hisaab
Wo Tou Ik Sajda Na Bakhshay Jo Qazaa Ho Jaye

Thapkian De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamain
Neend Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaye

Ye Tareeqa Hai Mohabbat Ki Ibaadat Ka “Wasi”
Os Ko Chhuu Lenay Se Ik Rukun Adaa Ho Jaye

If i could give one thing in my life

If i could give one thing in my life, i would give the ability to see yourself through my eyes, only then you realize how special you are to me

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon,
Mere saada dil tujh ko maghroor kar doon,

Tere dil ko milney ki khud aarzuu ho,
Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon,

Mujhe zindagi door rakhti hai tujh se,
Jo tu paas ho to usey door kar doon,

Mohabbat ke iqraar se sharam kab tak,
Kabhi saamna ho to majboor kar doon,

Yeh be’rangiyan kab tak, ay hussan rangeen,
Idhar aa tujhe ishq mein choor kar doon,

Tu agar samney ho to mein be’khudi mein,
Sitaaron ko sajdey pe majboor kar doon,

Nahin zindagi ko wafaa warna Akhtar,
Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon.

Monday, March 24, 2008

Dil k jazbon ko sanbhal k rakho sada

Dil k jazbon ko sanbhal k rakho sada
ye mooti wafa k, inhen rola nahi kerty

chahat k dareechy bohat anmool hoty hain
har kisi k liye in dareechon ko khola nahi kerty

Dosti Ki Raho Mai Kabhi Akelapan Na Mile

Dosti Ki Raho Mai Kabhi Akelapan Na Mile
Aai Dost Zindagi Mai Tumhe Kabhi Gum Na Mile
Dua Karte Hai Hum Khuda Se
Tuhme Jo Bhi Dost Mile Hum Se Kam Na Mile

Touch ur heart; Close ur eyes;

Touch ur heart;
Close ur eyes;
Make a wish;
Say GoodNight;
Sky so wide,
Stars so bright,
Turn off the lights,
and say Good Night

Remember me like pressed flower in ur Notebook

Remember me like pressed flower in ur Notebook.It may not b having any fragrance,but will remind u of my existence 4ever in ur life

Gawara bhi sahi jo dukh tere hain

Gawara bhi sahi jo dukh tere hain

Magar hum ko kai gham dosre hain

Ajab ahl-e-chaman ke din phire hain

Baharon ke bagoolon mai ghire hain

Watan mai waza’daari ne naa chora

Paraye shehr hum dar dar phire hain

Samaye phir na duniya ki nazar mai

Na-jaane kis bulandi se gire hain

Ghaneemat hai jo hans ke baat kar len

Humen mat chairiye hum sar-phire hain

Jo duniya ke hue wo sakht roye

Khusha wo log jo ab tak tere hain

Faraz aaj ittifaqan mil gaye the

Yeh sahib bhi to deewane nire hain

Sunday, March 23, 2008

Thokar se mera paaon to zakhmi hua zaroor,

Thokar se mera paaon to zakhmi hua zaroor,
Raste mein jo kharra tha woh kohsaar hatt geya..

Ye dil kitna farebi hai muhabbat ki musafat me

Ye dil kitna farebi hai muhabbat ki musafat me
Haqeeqat chor deta hai fasany sath rakhta hai

kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye

kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye
tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye

tu bhi kuch aur aur hai ham bhi kuch aur aur hain
jane wo tu kidhar gaya jane wo ham kidhar gaye

rahon main hi mile the ham rahen nasib ban gain
tu bhi na apne ghar gaya ham bhi na apne ghar gaye

wo bhi gubar-e-Khak tha ham bhi gubar-e-khak the
wo bhi kahin bikhar gaya ham bhi kahin bikhar gaye

koi kinar-e-ab-e-ju baitha hua hai sarnigun
kashti kidhar chali gai jane kidhar bhanwar gaye

tere liye chale the ham tere liye thehar gaye
tu ne kaha to ji uthe tu ne kaha to mar gaye

waqt hi kuch judai ka itna tavil ho gaya
dil men tere firaq ke jitne the zaKhm bhar gaye

barish-e-vasl wo hui sara gubar dhul gaya
wo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar gaye

itne qarib ho gaye itne raqib ho gaye
wo bhi "Adeem" dar gaya ham bhi "Adeem" dar gaye

Dil k aata hi nahi tark-e-tamnna ki traf

Dil k aata hi nahi tark-e-tamnna ki traf
Koi iqrar ka pehlu tere inkar me tha...

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah

Saturday, March 22, 2008

Usi Se Maang Lo Khairaat Apne Khwabon Ki

Usi Se Maang Lo Khairaat Apne Khwabon Ki
Wo Jaagti Hoi Ankhon Me Neend Ghoolta Hai

Kash aisa ho k ab k bewafai main kron

Kash aisa ho k ab k bewafai main kron..!
To phiry Qarya-Ba-Qarya
koo-Ba-koo mere lye

Ur only mine wen i dream

Ur only mine wen i dream.wen i wake i wanna scream.ur not mine im all alone.i can only text u on my fone.do dreams lie or r dey true-i hope so cos babes i want u

When u feel lonely, press

When u feel lonely, press ____ (first four letters of ur cell no).
If U miss me, press __ (next 2 digits),
want a smile, press __ (next 2 digits),
need encouragement, press __ (next 2 digits),
press them all together and U can hear me!

Taluqaat ke bar’zukhh mein hi rakh mujh ko

Taluqaat ke bar’zukhh mein hi rakh mujh ko
Woh mere haq me na tha, aur khilaaf bhi na hua

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe,

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe,
Ke ibtidaa mein huye ranj intihaa ke mujhe,

Diye hain hijar mein dukh dard kis balaa ke mujhe,
Shab-e-firaaq ne maara litaa litaa ke mujhe,

Baghair maut ke kis tarah koi marta hai,
Mera raqeeb bhi roya galey laga ke mujhe,

Har ik shakhss ko haasil judaa hai kefiyat,
Jafaa ke lutf tujhe hain, mazey wafaa ke,

Ghazab ki aah meri, Daagh naam hai mera,
Tamaam sheher jalaao ge kya jalaa ke mujhe..

Friday, March 21, 2008

if u read this, i m smart..

if u read this, i m smart.. if u save this,
u agree i m smart.. if u 4ward this,
u r spreadin that i m smart..
if u delete this u r jealous...

Thursday, March 20, 2008

Hum Neend Ke Ziada Shoqeen To Nahi

Hum Neend Ke Ziada Shoqeen To Nahi ‘Faraz’,
Kuch Khwab Na Dekhain To Guzara Nahi Hota

Toot jaate hain sabhi rishte mager

Toot jaate hain sabhi rishte mager
Dil se dil ka raabta apni jagah
Dil ko hai tujh se na milne ka yaqeen
Tujh se milne ki dua apni jagah
Mast nazron se dekh lenaa tha
Ager tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki
Chehrey per banawat ka gussa,
Aankhon say chalakta pyaar bhi hai,
Is shauq_e_ada ko kya kahiye
Inkar bhi hai iqraar bhi hai,
Kal mila waqt to zufain suljha doonga
Aaaj uljha hoon zara waqt ke sulajhne main
Yoon to sulajh jatee hain uljhee zulfain
Umar kat jati hai waqt ke sulajhe main
Dil ko manana gar hota aaasaaan
Na karta kisi ko yoon ye pareshaan
Tanha na rahta bhari mehfil main
Na hoti woh halat jo ho na bayaan
Khudaa jab husn deta hai
Nazaakat aaa hee jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
Kamar balkha he jaati hai

One day Raja and rani decided to send messages

One day Raja and rani
decided to send messages
to each other by using
Pigeon instead of mobile.
The very next day pigeon reached raja without any message.
He angried and called to rani.
She told stupid "This was a missed call"

Udaas shamain, ujarr rastey, kabhi bulayen to laut ana,

Udaas shamain, ujarr rastey, kabhi bulayen to laut ana,
Kisi ki ankhon main ratjagon ke azaab ayen to laut ana,

Abhi neyi wadiyon, naye manzron main reh lo magar meri jaan,
Yeh saarey aik aik karke jab tum ko chorr jayen to laut ana,

Naye zamanon ko qurb orrhey, zayeef lamhey, niddhaal yadain,
Tumharey khawbon ke band kamron mein laut ayen to laut ana,

Agar andheron main chorr keer tum ko bhool jayen tumhare sathi,
Aur apni khatir hi apne apne diye jalayen to laut ana,

Meri woh batain to jin pe be’ikhtyaar hanstaa tha khil’khilaa kar,
Bicharney wali meri woh batain kabhi rulaayain to laut ana..

Kitaabon Ki Tarhan Hai Wo Bhi,

Kitaabon Ki Tarhan Hai Wo Bhi,
Elfaaz Se Bharpur, Magar Khamoosh….

Wednesday, March 19, 2008

Na fasaanon mein mili hai na kisi tafseer mein

Na fasaanon mein mili hai na kisi tafseer mein
Wo jo ik dilchasp rangat thi teri tasveer meiN.

Mere chehre par hawaayeN likh gayiN maazi mera
Laakh chehre paaoge tum ik adad tehreer meiN.

Ho gayaa haasil magar din-raat ka hai faaslaa
Khwaab meiN kuchh aur tha, kuchh aur hai taabeer meiN.

Is qadar seedha lagaa ki dil ka aangan hil gayaa
Kiske haathoN ke nishaaN haiN dekhna is teer meiN.

Jab sunahri dhoop ka aanchal kafas tak aa gayaa
Ik ghazal-si baj uthi hai paaNv kii zanjeer meiN.

Is zamiN is aasmaaN ke rang hote aur hii
Likhne wala gar tujhe likhta meri taqdeer meiN

Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahin,

Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahin,
Yeh jo aansuu hain kahin us ki nishani to nahin,

Dikh rahi hai jo mujhe saaf teri aankhon mein,
Tu ne yeh baat kahin mujhse chupaani to nahin,

Jis tarah sheher se nikla hoon mein beemar tera,
Yeh ujarrna hai koi nakal-makaani to nahin,

Yeh jo har morr pe aa milti hai mujhse farhat,
Badnaseebi bhi kahin meri deewani to nahin..

Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa

Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa

aa phir e mjhy chor k jany k liye aa

pehly se marasim na sahi phir b kabi to

rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa

kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum

tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa

ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden

ye aakhri shammen b bujhany k liye aa

Ulfat To Bari Baat Hy Hum Se To Sir-e-Sheher

Ulfat To Bari Baat Hy Hum Se To Sir-e-Sheher
Logo Ne Kabi Dhang Se Nafrat B Nahi Ki

Har Shay Jahan Haseen Thi Hum Tum The Ajnabi

Har Shay Jahan Haseen Thi Hum Tum The Ajnabi
Us Modd Se Shuru Kare Phir Ye Zindagi
Lekar Chale The Hum Jinhe Jannat Ke Khwab The
Phoolo Khwab The Vo Mohabbat Ke Khwab The
Lekin Kahan Hain Inme Vo Pehle Si Dilkashi
Us Modd Se Shuru Kare Phir Ye Zindagi
Rehte The Hum Haseen Khayalo Ki Bheedd Mein
Uljhe Hue Aaj Sawaalo Ki Bheedd Mein
Aane Lagi Hain Yaad Vo Fursat Ki Har Ghaddi
Us Modd Se Shuru Kare Phir Ye Zindagi
Har Shay Jahan Haseen Thi Hum Tum The Ajnabi
Us Modd Se Shuru Kare Phir Ye Zindagi
Shayad Ye Waqt Humse Koi Chaal Chal Gaya
Rishta Wafa Ka Aur Bhi Rango Mein Dhal Gaya
Ashko Ki Chandni Se Thi Behtar Vo Dhoop Hi
Us Modd Se Shuru Kare Phir Ye Zindagi
Har Shay Jahan Haseen Thi Hum Tum The Ajnabi
Us Modd Se Shuru Kare Phir Ye Zindagi

Na he ibteda pay udaas hon na he inteha pay malaal hay

Na he ibteda pay udaas hon na he inteha pay malaal hay
Bina wasl kaisay guzer gaie mera zindagi say sawaal hay

Tujhay poojnay main guzaar dein main nay sadiyan lail-o-nahar ke
Teray ishq say bandhi hay jo meri chah laa zawaal hay

Meri chahaton say baikhaber tou waadiyun main khhoo gaya
Teri yaad ka ik qaafla meri zaat main badhaal hay

Kaie uljhanoN say sujee hoe meri zindagi ke lakeer main
Kehin qarbay mazi-o-hal hay kehin moj-e-dard-e-wisaal hay

Kabhi khawhishon ke talab mujhay kabhi baiyaqeeni ka dar mujhay
Mera nafs jis simt bhe chalay wohi rusta mera zawaal hay

Teray aks main pinhaan hon main teray dard say jurda hon main
Tujhay soochna tau azeem hay tujhay pana kasb-e-muhaal hay

Kehin ishq hay kehin nuferatain kehin baibasi ke udaasiyaN
Yehi zindagi ke hain raahatain yehi zindagi ka wabaal hay

Kisay dil say shaukat juda krain kisay dil main apnay panah dain
Issi kashmakash main jeeye chalo yehi bandage ka Jamaal hay

Friendship is not a game to play, It is not a word to say,

Friendship is not a game to play,
It is not a word to say,
It doesn't start on March and ends on May,
It is tomorrow, yesterday, today and everyday.

When My Arms Can’t Reach People Close To My Heart

When My Arms Can’t Reach People Close To My Heart.
I Always Hug Them With My Prayers.
May Allah’s Peace Be With You.
A Very Happy EidulFitr Mubarak 2 U

Tuesday, March 18, 2008

bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye

bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye
gam se jalte chehre ko raushni na samjha jaye

gaha gaha wahshat main ghar ki simt jata hun
isko dasht-e-hairat se wapsi na samjha jaye

lakh khushguman duniya bahimi talluq ko
dosti kahen lekin dosti na samjha jaye

ham to bas ye kahte hain roz jine marne ko
ap chahen kuch samjhen zindagi na samjha jaye

khak karne walon ki kya ajib khwahish thi
khak hone walon ko khak hi na samjha jaye

Tera Wajood bhi hai sach magar, Humain tujhse,

Tera Wajood bhi hai sach magar, Humain tujhse,
Wo Ishq hai ke tujhe soch kar hii mar jaayen

Usay Yaqeen Ho Jaye Kuch Iss Ada Se

Usay Yaqeen Ho Jaye Kuch Iss Ada Se
Sunana Hall-E-Dil Hmara Ajnabi …
Woh Khud Hi Keh De Kisi Ko Tarpana Buri Baat Hai

Monday, March 17, 2008

bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye

bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye
us dil main dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aye

bekar shara-e-lafz-o-mani se fayeda
jab tu nahin to shahar main tujh sa kahan se aye

har chashm sang-e-khizb-o-adawat se surkh hai
ab admi ko zindagi karna kahan se aye

wahshat hawas ki chat gai khak-e-jism ko
be-dar gharon main shaql ka saya kahan se aye

jar se ukhar gaye to badalati ruton se kya
be-ab ainon main sarapa kahan se aye

sayon pe aitamad se ukta gaya hai ji
tufan main zindagi ka bharosa kahan se aye

gam k thapere le gaye nagin se lambe bal
raton main jangalon ka wo saya kahan se aye

?Naheed? faishanon ne chupaye hain aib bhi
chashmain na hon to ankh ka parda kahan se aye

Sunday, March 16, 2008

Keep the smile, leave the tear

Keep the smile,
leave the tear,
Think of joy,
forget the fear,
Hold the laugh,
leave the pain,
Be joyous ,
Coz its new year!
HAPPY NEW YEAR

Is Khushi Ka Hisaab Kese Ho

Is Khushi Ka Hisaab Kese Ho
Us ne Pocha “Janab! Kese ho

Gharat gar e tehzeeb k hathoN main watan hay

Gharat gar e tehzeeb k hathoN main watan hay
Har soo mray ghar aah-o-baka, ranj o mihan hay

YaaN nafs parastoN ki hawas ka hay ye aalam
Rastay main pari na'sh bhi be-gor o kafan hay

Har simt darindoN ko mili choot hay aesi
lagnay laga aasaib zada daar o rasan hay

Hum aaj tamaddun say nazar kesay milaayiN!
Be-aabro tehzeeb ka uryaaN jo badan hay

Kam-zarf ki hoti hay nazar takht e shahi par
Ye daikh k sharminda boht koh o daman hay

Ik simt laho rang hua zeest ka maqtal
ik simt sukhan-war hein, ba-eeN rang e sukhan hay

KhushyoN ki bahar aaye, muqaddar main nahi hay
Gaity pe abhi noha kunaN sar -wo-saman hay

Kaj-fehmi-e-halaat ko kehtay hein hunar ye
Andher hay! khursheed kahein jis ko , Kiran hay

Haq baat aa k ruk si gai thi kabhi shakeeb,

Haq baat aa k ruk si gai thi kabhi shakeeb,
Chale pare hoe han abhi tak zuban par.

Seher Hoi To Sitaroon Ne Moond li Ankhain

Seher Hoi To Sitaroon Ne Moond li Ankhain
Wo Kya Krain Gy Jinhain Intezar Krna Hai...

Tum mera aaj ho, tum mera kal

Tum mera aaj ho, tum mera kal,
tujay yaad karthay hai har aik pal,

jee nahe paiyain gay teray bina hum,
teray bina reh jai gay adhuray hum....
I Miss you

Saturday, March 15, 2008

Wo Dil Hee Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Karay

Wo Dil Hee Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Karay
Mein Tujh Ko Bhool Ke Zinda Rahuun Khuda Na Karay

Rahay Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar
Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Karay

Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Karay

Suna Hai Osko Mohabbat Duaaein Deti Hai
Jo Dil Pe Chot Tou Khaaye Magar Gila Na Karay

Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand
Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Karay

Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai
“Qateel” Jaan Se Jaaye Per iLtijaa Na Karay

Tu Ne Tu Irade Hi Mere Tor Diye Hain

Tu Ne Tu Irade Hi Mere Tor Diye Hain
Guzre Ga Safar Kaise,Khara Soch Raha Hoon

Hai Ek Sooda Agr Maano To DoNo Mil K Tey Kr Lain

Hai Ek Sooda Agr Maano To DoNo Mil K Tey Kr Lain
Qarar-e-Zindagi Le Lo... Jawaz-e-Zindagi De Do

Friday, March 14, 2008

rasm-e-ulfat sikha gaya koi

rasm-e-ulfat sikha gaya koi
dil ki duniya pe cha gaya koi

ta qayamat kisi tarah na bujhe
ag aisi laga gaya koi

dil ki duniya ujar si kyun hai
kya yahan se chala gaya koi

vaqt-e-rukhsat gale laga kar "Dag"
hansate hansate rula gaya koi

May the joy and peace of Christmas

May the joy and peace of Christmas
be with you all through the Year.
Wishing you a season of blessings
from heaven above. Happy Christmas

Always learn to be a servant

Always learn to be a servant;
and then
you will be fit to be a master.

raz-e-ulfat chupa k dekh liya

raz-e-ulfat chupa k dekh liya
dil buhot kuch jala k dekh liya

aur kya dekhne ko baqi hai
ap se dil laga k dekh liya

wo mere hok bhi mere na hue
unko apna bana k dekh liya

aj unki nazar main kuch hamne
sabki nazren bacha k dekh liya

'Faiz', taqmil-e-gam bhi ho na saki
ishq ko azma k dekh liya

as us dar se tutati hi nahin
ja k dekha, na ja k dekh liya

Bijliiyaan aksar vo giraate rahe

Bijliiyaan aksar vo giraate rahe
Aashiyaane hum bhi banaate rahe

Kitni mujhko aap se umeede thi
Kitnaa aap mujh ko rulaate rahe

Dekhta raha main ek phool ko
Khayaal mujhko aapke aate rahe

Aapke dil ko Khuda humne kaha
Aap mere dil ko dukhaate rahe

Kaati is tarah se humne zindagi
Diye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe

Hum bhi sun ke an-suni karte rahe
Samjhaane waale humko samjhaate rahe

Dil gawaya barson pehle ishq mein
Jaan se bhi aaj hum jaate rahe

Duniya deewana kahegi
Yuh hi agar share hum sunaate rahe…

Thursday, March 13, 2008

Dekho ye mere Khwab thy.. dekho ye mere zaKhm hain

Dekho ye mere Khwab thy.. dekho ye mere zaKhm hain
main ne to sab hisab-e-jaan.. bar'sar-e-aam rakh diya

Zikr chairr dete hain jab gaye zamanon ka,

Zikr chairr dete hain jab gaye zamanon ka,
Woh bhi roney lagte hain, hum bhi roney lagte hain..

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy
Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy

Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir
Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy

Shahid ab k baras bhi wo Loat kar na aye
Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy

Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna
Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy

Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao
Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy

Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi
Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy

Bakra Eid Mubarik Shayari Sms

Bakra Eid Mubarik Shayari Sms

Iss Eid Pe Lot K Aa Jana,
Kuch Yadein Taza Krni Hain,
Kuch Lamhay Morr K Lanay Hain,
Kuch Taray Torr K Lanay Hain,
Wo Masti Or Wo Madhoshi,
Wo Bachpan Morr K Lana Hai,
Is Eid Pe Lot K Aa Jana,
Ab Dil Ko Dil Ki Dharkan Se,
Phir Eid Mubarak Kehna Hai,
Ab Sath Boht Din Rehna Hai,
Is Eid Pe Lot K Aa Jana…!

Dono aankho mein ashq liya karte hain

Dono aankho mein ashq liya karte hain,
Hum apni neend mein tera naam liya karte hain.

Jab bhi aayain Hichkiyaan tumhain,
Samajh lena hum tumhain yaad kiya karte hain

Main Tasawwur Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon

Main Tasawwur Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon
Maine Kismat Ki Laqeeron Se Churaya Hai Tujeh

Wednesday, March 12, 2008

Hamara Tazkara Choro... Hum Aisy Log Hain Jin Ko

Hamara Tazkara Choro... Hum Aisy Log Hain Jin Ko
Muhabbat Kuch Nahi Kehti... Wafaain Maar Jaati Hain

Doston se iss qadar sadmey uthaaye jaan per,

Doston se iss qadar sadmey uthaaye jaan per,
Dil se dushman ki dushmani ka gilaa jata raha..

Tumhein maloom bhi hai main tanha jee nahin sakta

Tumhein maloom bhi hai main tanha jee nahin sakta,
Meri aadat badalne tak to mere saath ruk jao..

hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya

hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya

pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale
main dubte hua dariya k par utar bhi gaya

ab ehtiyat ki divar kya uthate ho
jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya

main chup raha k is main thi afiyat jan ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya

sulagate sochte viran mausamon ki tarah
kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya

jise bhula na saka us ko yad kya rakhta
jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya

phati-phati hui ankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya

magar falak ki adavat usi k ghar se na thi
jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya

Ajnabi Se Nazar Aye Tere Chehere Ke Naqosh

Ajnabi Se Nazar Aye Tere Chehere Ke Naqosh
Jab Tere Hussn Pe mene Nazar-e-Saani Ki

Rakha Hai Dil Main Ham Ne Baray Ehtraam Se

Rakha Hai Dil Main Ham Ne Baray Ehtraam Se
Jo Ghum Diya Hai Tum Ne Mohabbat K Naam Se

Tuesday, March 11, 2008

Zara sa muskura dena aj jummey ka din hai,

Zara sa muskura dena aj jummey ka din hai,
Gily shikwe bhula dena aj jummey ka din hai,

Khafa hona khafa karna kisi ko bhe acha nahi lagta,
Dua lena dua dena aj jummey ka din hai,

Kisi se bhi shikayat ho use ja kar yehi kehna,
Nai tumse juda rehna aj jummey ka din hai,

Mohabat bantna sub se, galay sub ko laga lena,
Yehi hai bus mera kehna aj jummey ka din hai,

Hume ye jummey ka din phir ataa karna mere Allah,
Sub ko khushi dena aj jummey ka din hai..

This Is The Month Of Candies

This Is The Month Of Candies,
Cakes,
Coolness,
Snows,
X 'Mas Songs,
X'Mas Sandals,
Etc...
So Enjoy The Every Moment
With Peace & Happiness

Mehandi Un K Hathon Mein Laga Do Yaroo

Mehandi Un K Hathon Mein Laga Do Yaroo
Mujhko Bhe Meri Asal Raah Dikha Do Yaaro

Pehna K Mujhe Meri He Ghurbat Ka Kafan
Un Py Surkh Jorra Saja Do Yaaro

Naam Likh Do Unka Khushiyon Ki Deewar Par
Mera Naam-o-Nishan Dunya Sy Mita Do Yaaro

Waqt Aakhiri Hai Teri Dunya Mein Is Dewane Ka
Ho Sakay To Meray Mehboob Ko Ye Batado Yaaro

Suna Hai Aaj Uski Douli is Gali Sy Guzar Jaigi
Meri Mayyat Ko is Rastay Sy Hata Do Yaaro..

never say u r happy when u r sad..

never say u r happy when u r sad..
never say u r fine when u r not ok..
never say u feel good when u feel bad,..
never say u r alone when i m still alive...{dedicated to my friend}
good luck and best wishes for ever............. hum

Jhoti tasaliyao sa pursukon rehna sikh jao ay dost

Jhoti tasaliyao sa pursukon rehna sikh jao ay dost
suna ha zindagi! sachi socho sa hi barbad hoti ha

Do you believe in love at first sight

Do you believe in love at first sight .. or do I have to walk by again?

Jaltay hain shoq se nar-e mohabbat me apni khabar nahin

Jaltay hain shoq se nar-e mohabbat me apni khabar nahin
Khotay hain hosh v hawas aisay ke apni khabar nahin

Rat din un ka vazifa hy mohabat me
Raz-e dil kya hy kisi ko mutlaq khabar nahin

Maza aata hy un ko azkar-e mohabbat me
Ghairon ke azkar ka un per koi asar nahin

Sada chaltay hain aaray dil per mohabbat me
Dil rota hy ishq me magar aankh tar nahin

Lutatay hain apni daulat sakhawat se mohabbat me
Dahr ka kiya gham ho pas gar mal v zar nahin

Sakun milta hy natavan ko uski qurbat me
Karam hota rahay youn khub, is se or khubtar nahin

Roti hain aankhain gunahon se nadamat me
Patay hain vohi manzil dono jahano me koi khatr nahin

Thokrain kha tay hain zamanay ki jo log mohabbat me
Inam-e mohabbat payaingay eik din jo be sabar nahin

Samad rahta hy mast har hal daulat-e mohabbat me
Gham-e doran ka dil per is ke koi asar nahin

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai?
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai?

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye?
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai?

Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo?
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai?

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein?
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai?

Muhabbat Ki ek Bari Nishani

Muhabbat Ki ek Bari Nishani
Baat By Baat Muskura Dena

Main raat toot ke roya tou chain se soya

Main raat toot ke roya tou chain se soya
Ke dil kaa dard meri chashm-e-tar se nilkla tha

Woh Qais abb jisey Majnoo pukarte hain Faraz
Teri tarah koi Deewana ghar se nikla tha

Monday, March 10, 2008

Life is very short

Life is very short,
So enjoy every moment,
Dont lose your confidence
Go always ahead.

Happy Birthday

Ya Chiragh-e-Kam Nafs Ko Subha Tak Jalna Seekha,

Ya Chiragh-e-Kam Nafs Ko Subha Tak Jalna Seekha,
Ya Phir Aisi Shaam De Jis Ki Sehar Koi Na Ho….

Sunday, March 9, 2008

Tohfan ki doshmani se na bachate to khair thi,

Tohfan ki doshmani se na bachate to khair thi,
Sahel se dosti k bharam ne dabo dia.

Sakoon Hai Dil Ko Jab Tum Paas Hoti Ho

Sakoon Hai Dil Ko Jab Tum Paas Hoti Ho
Tarap Jata Hoon Jab Tum Mujhe Chodh? Jati Ho
Bhari Mehfil Mein Tanha Rahta Hoon Jab Tum Duur Hoti Ho
Mujhe Kuch Samajh Mein Nahi Aata Ki Tum Kya Chahati Ho

Teri dhadkan ko apne pas to rakh liya hai maine

Teri dhadkan ko apne pas to rakh liya hai maine,
pr tujhe dekhne ki khawaish hai,
tune to kah diya ab na milna mujhe,
lekin khawabon me teri abi b ahat hai,
yun chhod kr mujhko bata jaan tujhe kya mila,
mera ye dil todkr jaan tujhe kiya mila,
mai teri mohbbat me zeenat,
apni zindgi tanha guzar dunga sanam,
ye meri dhadkan me jo tu hai basi,
is me ankhon me utar lunga sanam,
mat samjhna k ye pyar jhootha hai,
dil mera tere liye ab b bahut rota hai,
ek bar to RAHID ko yun pukar le,
meri saanson ko dil me utar le

I hide my tears when I say your name

I hide my tears when I say your name, but the pain in my heart is still the same. Although I Smile & Seem Carefree, There is no one Who misses you more than ME!

my plane was crashed

my plane was crashed but i m ok,
my car was stolen yesterday,
i missed the bus,&
my mobile's battry was also verylow,
thats y i can't get u yesterday,
plz 4giv me & HAPPY BLATED B'DAY 2 U

Saturday, March 8, 2008

Main Ne Tumhain Dekha He Nhi, Main Kia

Main Ne Tumhain Dekha He Nhi, Main Kia “Eid” Mnaaon ?? . .
Jis Ne Tumhain Dekha Ho, Usay *Eid Mubarak*

Zindage ka hasil hain

Zindage ka hasil hain
Chand sookhay patey jo
Un rahon par bikhrey hain
Jin par hum tum chaltey they
Hathon main thamey haath

Haath ab woh khalee hain
Mairee qismat kee manind
Ratain bhee ab kalee hain
Mairee zulfon kee manind

Door yeh zardee ho jaye
Chaa jaye har soo nayee bahaar
Tayer bhee jo thak baithey hain


Ho jaain urnay ko tayaar
Aa jaao agar tum aik baar

Itnaa bas tum say kahtey hain
Hum thak kar aankhain mond naa lain
Faisal ! aur kitnaa intizaar

Friday, March 7, 2008

The plus symbol is made with 2 minus symbols

"The plus symbol is made
with 2 minus symbols!"

So all NEGATIVE things
can B shaped as positives
by our SMART work & POSITIVE thinking!

qurbaton main bhi judai ke zamane mange

qurbaton main bhi judai ke zamane mange
dil wo bemehar ki rone ke bahane mange

apana ye hal ke ji har chuke lut bhi chuke
aur muhabbat vahi andaz purane mange

ham na hote to kisi aur ke charche hote
khalqat-e-shahar to kahane ko fasane mange

dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhi to kya aur na jane mange

log TuuT jaate hain ek ghar banaane men

log TuuT jaate hain ek ghar banaane men
tum taras nahiin khaate bastiyaaN jalaane men

aur jaam TuuTenge is sharaab-Khaane men
mausamon ke aane men mausamon ke jaane men

har dha.Dakate patthar ko log dil samajhate hain
umr biit jaatii hai dil ko dil banaane men

faaKhtaa kii majabuurii ye bhii kah nahiin sakatii
kaun saaNp rakhataa hai usake aashiyaane men

duusarii ko_ii laDakii zindagii men aayegii
kitanii der lagatii hai usako bhuul jaane men

Had I the heavens' embroidered cloths

Had I the heavens' embroidered cloths,
Enwrought with golden and silver light,
The blue and the dim and the dark cloths
Of night and light and the half-light,
I would spread the cloths under your feet:
But I, being poor, have only my dreams;
I have spread my dreams under your feet;Copyright www.lovelysms.com
Tread softly because you tread on my dreams

Pyar Kisi Se Jo Karoge Ruswai Hi Milegi

Pyar Kisi Se Jo Karoge Ruswai Hi Milegi
Wafa Kar Lo Chahe Jitni Bewafaai Hi Milegi
Jitna Marzi Kisi Ko Apna Bana Lo
Jab Ankh Khulegi Tanhai Hi Milegi

Thursday, March 6, 2008

jinhe devta samja tha haiwaan se badtar nikle,

jinhe devta samja tha haiwaan se badtar nikle,
jinhe samja tha manzil wo raste ka patthar nikle,
unki har khwahish hamari beaaburiyat thi,
un par hamare dare beasar nikle,
unke har badlaav ko nayi ada smja ,
is bhulave me hum margat ki dagar nikle,
jinke lafzo ko sanjoya dil me aaj tak,
chamkte paimaane me wo ik zahar nikle,
yakeen tha jin par khuda se adhik,
wo to hamari maut ka sabab nikle,
unka har teer chlta tha karne hame halaal,
tab se is dil par anginat kahar nikle,
aaj bhi unke intzaar me…. bheege bheege se hai nayan,
wo na jane kis gair-sang kidhar nikle..

Q bnaty ho mitti k ghar jinhen kal khud hi mitto ge

Q bnaty ho mitti k ghar jinhen kal khud hi mitto ge

aj kehty ho hum se pyar hai tmhenen

kal humara nam tk bhool jao g

Wednesday, March 5, 2008

Haan, Haan, Main Ishq, Sari Khatayen Meri

Haan, Haan, Main Ishq, Sari Khatayen Meri
Mujhy Nibhaany Walo, Tum To Sb Farishty Ho

When time comes for u to give ur heart to someone

When time comes for u to give ur heart to someone, make sure u select someone who will never break ur heart, cuz broken hearts has never spare parts

Urdu Shayari for Ramzan

Urdu Shayari for Ramzan

Gulamiye Rasool Ka Tuhfa Saja Ke Dekh
Nadaan Unke Dar Pe Sar To Jhuka Ke Dekh

Aati Hai Taig-E-Josh Main Rehmat Hazoor Ki
To Dastan-E-Gham Zara Unko Suna Ke Dekh

Qadmon Main Tere Hon Gay Khazan-E- Jahan Ke
Ek Baar Unke Naam Pe Sab Kuch Luta Ke Dekh

Monday, March 3, 2008

Hi Moon! Dim Ur light.

Hi Moon! Dim Ur light.
Hello Wind! Breeze Soft.
Hi Flower! Blossom Slowly.
Hello Earth! Spin Gently.
Coz my friend is going to sleep.
Good Night

Mohabbat se rihaa hona zaroori ho geya hai,

Mohabbat se rihaa hona zaroori ho geya hai,
Mera tujh se judaa hona zaroori ho geya hai,

Wafaa ke tajarbey karte huye to umar guzri,
Zara sa bewafa hona zaroori ho geya hai,

Meri awaaz tanhaai main marti ja rahi hai,
Kisi ka ham’nawaa hona zaroori ho geya hai,

Azaab zulmat-e-shab hai ke ab dil ke labon par,
Koi harf-e-duaa hona zaroori ho geya hai..

Ya ALLAH Our Sins Are So Many

Ya ALLAH Our Sins Are So Many
But Your Mercy Is Limitless
Plz Forgive Us
You Are The Greatest Forgiver
You Love To Forgive
Plz Forgive me,
my Parents,
my Family
And The Whole Muslim Ummah Past & Present

Aamin - SumAmeen

Sunday, March 2, 2008

I cried on my 18th birthday.

I cried on my 18th birthday.
I thought 17 was such a nice age.
You’re young enough to get away with things,
but you’re old enough, too.

Yaad aa ke reh gaye hain zamane wafaon ke,

Yaad aa ke reh gaye hain zamane wafaon ke,
Sholay jala ke chal diye jhonkay wafaon ke,

Har ik qadam par talkhii doraa’n ki dhoop thi,
They hum bhi us gali mein talabgar chaaon ke,

Karte rahe jo chand sitaaron ki rehbri,
Kuch log muntazir hain unhi rehnumaaon ke,

Har zehen mein parre hain teri zulf ke bhanwar,
Har dil ki sarzamee’n mein nishaan tere paaon ke,

Be’chaargi zeest ka daaman na bhar saka,
Hum ne lutaa diye hain khazaney dua’on ke,

Tajdeed-e-zoq Saghir-o-meena ki baat kar,
Badle huye rang-e-chaman ki fizaaon ke..

I LOVE U are words just three

I LOVE U are words just three,
which mean so much on our ANNIVERSARY.
so this is what i want to say,
live in my heart n there 4 ever stay

Kya karain apna to mazhab hi mohabbat hai taraab

Kya karain apna to mazhab hi mohabbat hai taraab
Phir meri jaa’n hain yahan log bhi pyare pyare

Sardar proposed a Girl......

Sardar proposed a Girl......
Girl said Im 1yr elder to you...........
Sardar said Oye No Problem Soniye,
Ill marry you NEXT YEAR.

Kal Ajab Saaniha Sa Howa Rait Per

Kal Ajab Saaniha Sa Howa Rait Per
Naam Tera Nahee Likh Saka Rait Per

Kis Ki Awaaz Se Tham Gaye Hain Qadam ?
Phir Se Kis Ne Mujhe Di Sadaa Rait Per ?

Oski Aankhon Se Sholay Nikaltay Rahay
Naachti Reh Gayi Kal Ghataa Rait Per

TU Ne Jo Bhee Hawaa Se Kahaa Reh Gaya
Mit Gaya Mein Ne Jo Bhee Likha Rait Per

Mein Tumhain Choomna Chahta Hun Abhee
Os Ne Mujh Se Ye Ik Din Kaha Rait Per

Ab Ye Sehra Hee Tere Muqaddar Mein Hain
TU Ne Maangi Hee Kiun Thi Duaa Rait Per ?

Ik Shola Uthaa Os Jaga Se “Wasi”
Mera Aansoo Jahan Gir Gaya Rait Per

Jab taiz hawa chalti hai basti mein sir-e-shaam.

Jab taiz hawa chalti hai basti mein sir-e-shaam. . .
Barsati hain itraaf se pathar teri yaadain. . !

Saturday, March 1, 2008

Be-Waja Nahi Roota Ishq Mein Koi ‘Ghalib’,

Be-Waja Nahi Roota Ishq Mein Koi ‘Ghalib’,
Jisy Khud Se Barh Ke Chaho, Wo Rulata Zaroor Hai…!

If you deliberately plan on being less

If you deliberately plan on being less
than you are capable of being,
then I arn you that you'll be
unhappy for the rest of your life.

(Abraham H. Maslow)

Aa tujhey juzv-e-zindagi karloon

Aa tujhey juzv-e-zindagi karloon
Tu kahin raa'igaan na ho jaye

Jab bhi ik shaam yaad ati hai,

Jab bhi ik shaam yaad ati hai,
Jese duniya theher si jati hai,

Ik taraf dil hain, Ik taraf duniya,
Aur yeh scene kayenaati hai,

Yu’n bhi hota hai sher, baaz aukat,
Jese bijli si koond jati hai,

Maut se ham’kalaam hone ke,
Zindagi raste dikhati hai,

Haar hoti hai aarzi, us ko,
Be-dili mustakil banati hai,

Haadsey aik pal nahin rukte
Zindagi hai ke chalti jati hai,

Us ke dam se hain ronaq’en sari,
Yeh jo dunya ki be-sabaati hai,

Baat koi samajh nahin ati,
Baat itni samajh mein ati hai..

Meri be-loos mohabbat ne daboya hai mujhe

Meri be-loos mohabbat ne daboya hai mujhe,
Itna mukhlis hun ke har dil me utar jata hun.

No shadows to depress u, Only joys to surround u,

No shadows to depress u,
Only joys to surround u,
God himself to bless u,
these are my wishes for u,
Today, tomorrow, and every day.
Eid Mubarak…!!

Meri Ankho Main – Urdu Shayari Sms

Meri Ankho Main – Urdu Shayari Sms

Jhotay Ilzaam Meri Jan Lagaya Na Karo
Dil Hai Nzuk Issay Tum Dukhaya Na Karo
Meri Ankho Main Jo Achay Nai Lagtay Ansoo
Tu Tum Yoon Mughay Jalaya Na Karo