Monday, February 25, 2008

raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein

raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
ham ne khush hoke bhanwar bandh liye paon mein

un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talash
bund tak bo na sake jo kabhi sahraon mein

ai mere ham-safro tum bhi thake-hare ho
dhup ki tum to milawat na karo chaon mein

jo bhi ata hai batata hai naya koi ilaj
bat na jaye tera bimar masihaon mein

hausala kis mein hai yusuf ki kharidari ka
ab to mahngai k charche hai zulaikhon mein

jis barhaman ne kaha hai k ye sal acha hai
us ko dafnao mere hath ki rekhaon mein

wo Khuda hai kisi tute hue dil mein hoga
masjidon mein use dhundo na kalisaon mein

ham ko apas mein muhabbat nahin karne dete
ik yahi aib hai is shahar k danaon mein

mujh se karte hain "Qateel" is liye kuch log hasad
kyon mere sher hain maqbul hasinaon mein

No comments:

Post a Comment