Monday, December 24, 2007

umhari anjuman se uth k diwane kahan jate

umhari anjuman se uth k diwane kahan jate
jo wabasta hue tum se wo afsane kahan jate

nikal kar dair-o-kaba se agar milta na maikhana
to thukaraye hue insan Khuda jane kahan jate

tumhari berukhi ne laj rakh li badakhane ki
tum ankhon se pila dete to paimane kahan jate

chalo acha hua kam a gai diwanagi apni
wagarna ham zamane bhar ko samjhane kahan jate

'Qateel' apna muqaddar gam se begana agar hota
phir to apane-paraye hamse pahchane kahan jate

No comments:

Post a Comment