Tumhain fursatain jo milain kabhi meri wehshaton ko qarar do,
Hon apnay aap say bekhaber meri zindagi sanwar do,
Mujhay saath apnay lay chalo kisi khawab wadi k dar talak,
Mujhay nazar-e-husn-e-bahar do meri chasham-e-tar ko khhumar do,
Iss chammon ke saari ranginiyan tum apnay khatay main daal lo,
Mujhay dard do mujhay ashk do mujhay gul k badlay khhar do,
Main daastane-e-khizan sehi mera ziker ab bhe howa’on main,
Meray hisay ke hain jo neamatain meray zard mazi main dal do,
Hon payar ke purnum sada mujhay rasm-e-ulfat ka kiya pata,
Koch waqat-e-fursat nikaal ker ik shaam mujh ko udhhar do,
Mera mun kabhi nehi manta teray dar ka bun jaon gada*,
Meray lafz bun jaien sada mujhay payar do mujhay payar do,
Nehi aaj tak jo ho saka gham-e-hijer ka ho ab bhala,
Meri zeest jis say guzer sakay mujhay aisay gham hazar do,
Teri merzi meray na khuda gar sunn lay shaukat ke nida*,
Mujhay day sako tau kinara do ya dooor sahil utaar do.
No comments:
Post a Comment