Qalam ho taigh ho taisha k dhaal mat cheno
Kabi kisi se kisi ka kamal mat cheno
Khushi isi me agar hai to har khushi lay lo
Yeh dukh yeh dard yeh huzan o malal mat cheno
Isi khalash k sabab phir muje obharna hai
Khuda k wastay ahed-e-zawal mat cheno
Me chor sakta nahin sath istiqamat ka
Meri azan se josh-e-Bilal mat cheno
Abi kitab na cheno tum in k hathon se
Hamare bachon ka hussan-o-jamal mat cheno
Hamari ankh me yaadon k zakham rehnay do
Hamare hath se pholon ki dhaal mat cheno
Abi bhojao na Candle na cake katon abi
Kuch aar dair mera pichla saal mat cheno
No comments:
Post a Comment