Sunday, October 21, 2007

her tarraf yaas hai, andhairay hain

her tarraf yaas hai, andhairay hain
dakuon kay yahaan basairay hain

qaum hai aaj jin kay chungal main
woh meri jaan sub luteray hain

in ki duniya hai nafs ki duniya
yeh na teray hain aur na meray hain

aam to hain shikaar in kay sub
kuch to teetar hain kuch batairay hain

ujraton per rakhay muhafiz nay
khun kay cheentay yahaan bakhairay hain

mujhko ghar say nikaal kar azhar
meraay ghar per kiay basairay hain

No comments:

Post a Comment