Friday, June 29, 2007

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon
ghambheer andheron mein sahar dekh rahi hon

Dil ka sahar o shaam tardapna woh machalna
dekha nahi jaata hay magar dekh rahi hon

ALLAH karay soz e daron aur ziyada
kuch aur nayay zakhm e jigar dekh rahi hon

Ghabra kay palat jaaon meray bus mein nahi hay
go samnay anjam e safar dekh rahi hon

aankhon mein idhar ashk udhar aag hay dil mein
barsaat mein jalta hoa ghar dekh rahi hon

Afsurda si lagti hay mujhay bazm e sukhan bhi
aazurda mein tum ko jo QAMAR dekh rahi hon

No comments:

Post a Comment