Saturday, June 30, 2007

Chup jati hain aina dikha kar teri yadien

Chup jati hain aina dikha kar teri yadien,
Soney nahi detien mujhey shab bhar teri yadien,

Tu jesey merey pas hai or maho e sukhan hai,
Mehfil si jama deti hain aksar teri yadien,

Main kiyon na phiron tapti dopehron me harasan,
Phirti hain tasawwor me khuley sar teri yadien,

Jab tez hawa chalti hai basti me sar e sham,
Barsati hain itraaf sey pathar teri yadien.

Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena

Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena
Yaad Karna Bhee Ose Roz Bhula Bhee Dena

Kia Kahoon Ye Meri Chaahat Hai Ke Nafrat Oski ?
Naam Likhna Bhee Mera, Likh Ke Mitaa Bhee Dena

Phir Na Milnay Ko Bicharta Hun Tujh Se Laikin
Murr Ke Dekhuun Tou Palatnay Ki Duaa Bhee Dena

Khat Bhee Likhna Mayoos Bhee Rehna Os Se
Jurm Karna Bhee Magar Khud Ko Sazaa Bhee Dena

Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhee Ganwaara Laikin
Jee Mein Aaye Tou Ye Deewaar Gira Bhee Dena

Os Se Mansoob Bhee Karlaina Puraanay Qissay
Os Ke Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhee Dena

Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna “Mohsin”
Apnay Honay Se Na Honay Ka Pataa Bhee Dena

Kabhi zaroorat parre to awaaz de dena

Kabhi zaroorat parre to awaaz de dena
Main guzra waqat nahi jo wapis na aaon

Friday, June 29, 2007

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain
Khafa Hoon Jin Se Unhi K Khayal Hote Hain.
Machalte Rehte Hain Zehnon Main Waswason Ki Tarhan
Haseen Loog Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain
Main Dil K Zakhm Chupaon Teri Tarhan Kaise
K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain
Bas Ek Tu Hi Sabab To Nahin Udaasi Ka
Tarhan Tarhan K Dilon Ko Malaal Hote Hain
Siyah Raat Main Jalte Hain Jugnuon Ki Tarhan
Dilon K Zakham Bhi Kitne Kamaal Hote Hain.

Main Kya Hon.. Bus Ik Malaal-e-Maazi

Main Kya Hon.. Bus Ik Malaal-e-Maazi
Us Shakhs Ko Haal Chahiye Tha

Mere Naseeb-E-Shooq Me Likha Tha Ye Maqaam

Mere Naseeb-E-Shooq Me Likha Tha Ye Maqaam
Her Su Tere Khayal Ki Dunia Hai... Tu Nahi...

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon
ghambheer andheron mein sahar dekh rahi hon

Dil ka sahar o shaam tardapna woh machalna
dekha nahi jaata hay magar dekh rahi hon

ALLAH karay soz e daron aur ziyada
kuch aur nayay zakhm e jigar dekh rahi hon

Ghabra kay palat jaaon meray bus mein nahi hay
go samnay anjam e safar dekh rahi hon

aankhon mein idhar ashk udhar aag hay dil mein
barsaat mein jalta hoa ghar dekh rahi hon

Afsurda si lagti hay mujhay bazm e sukhan bhi
aazurda mein tum ko jo QAMAR dekh rahi hon

Thursday, June 28, 2007

Sorat badali serat badli harof o hakayat aur hoi

Sorat badali serat badli harof o hakayat aur hoi
Apni jaga sacha to bhi kaise muje pehchane muje

Ghar ka darwaza khula rakha hai

Ghar ka darwaza khula rakha hai
Wakt mil jaye to zehmat karna

Iqraar Gaye Inkaar Gaye

Iqraar Gaye Inkaar Gaye

Iqraar Gaye, Inkaar Gaye, Hum Haar Gaye
Aankhon Say Sab Aasaar Gaye, Hum Haar Gaye
Kuch Yaadein Uss Ki Beech Samander Doob Gayeen
Kuch Sapney Reh Uss Paar Gaye, Hum Haar Gaye
Ikk Umr Rahey Hain Jeet Say Be-Perwah Lekin
Jab Jeetna Chaaha, Haar Gaye Hum Haar Gaye
Yoon Uljhey Duniya Ke Dukh Mein Be-Sudh Ho Ker
Sab Jhootey Sachey Pyaar Gaye, Hum Haar Gaye
Pehley To Preet Mein Apney Aap Say Door Huwey
Phir Yaar Gaye, Dildaar Gaye, Hum Haar Gaye !

Aah Ko Chahiyay Ik Umr Asar Honay Tak

Aah Ko Chahiyay Ik Umr Asar Honay Tak
Kon Jeeta Hai Teri Zulf Keh Sar Honay Tak

Daam-E-Har Mauj Main Hai Halqa-E-Sad Kaam-E-Nehang
Dekhain Kya Guzray Hai Qatray Peh Gauhar Honay Tak

Aashiqee Sabr Talab Aur Tamanna Baitab
Dil Ka Kya Rang Karoon Khoon-E-Jigar Honay Tak

Hum Nay Mana Keh Taghaful Na Karo Gay Lekin
Khaak Ho Jaayen Gay Hum Tum Ko Khabar Honay Tak

Partau-E-Khoor Say Hai Shabnam Ko Fana Kee Taaleem
Main Bhee Hoon Aik Inayat Kee Nazr Honay Tak

Yak Nazr Baish Nahin Fursat-E-Hastee Ghafil
Garmi-E-Bazm Hai Ik Raqs-E-Sharar Honay Tak

Gham-E-Hastee Ka 'Asad' Phir Say Ho Juzmarg Ilaaj
Shamma Har Rang Main Jaltee Hai Sehar Honay Tak

Mat pukaaro humain zindagi dekh kar,

Mat pukaaro humain zindagi dekh kar,
Aankh bhar ati hai ab khushi dekh kar,

Dekh le, ik samandar sa main ho geya,
Teri aankhon mein thori nammi dekh kar,

Jis ko chehron ke behroop se bair* tha,
Hanss raha hai meri saadgi dekh kar,

Dard ki shamaa jalti huyi bujh gayi,
Koi aaya nahin roshni dekh kar,

Barhaaa mujh ko Arshad tere haal par,
Reham aaya bohat bebassi dekh kar..

Wednesday, June 27, 2007

Koi Khushiyon ki Chah mein roye Koi Dukhon ki

Koi Khushiyon ki
Chah mein roye
Koi Dukhon ki
Panah se roye
Ajeeb silsila hai
Ishq aur Mohabbat ka
Koi wafa k liye roye
Koi wafa kar k Roye

Tuesday, June 26, 2007

Mere Rag-O-Pe Mein Sama Gaya Wo Shakhs

Mere Rag-O-Pe Mein Sama Gaya Wo Shakhs
Meri Zindagi Mein Chah Gaya Wo Shakhs

Mere Dil Se Dil Mila Gaya Wo Shakhs
Mujhe Khush Naseeb Bana Gaya Wo Shakhs

Mujhe De Gaya Apni Har Khushi
Meri Aankhon Se Neend Chura Gaya Wo Shakhs

Jane Kia Baat Thi Us Mein Aisi
Mujhe Mohabbat Karna Seekha Gaya Wo Shakh

Sunday, June 24, 2007

Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi

Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi
Jahan Pyar Ki Nadiya Behti Thi

Kuch Dil Waley Bhi Rehtey They
Jo Pyar Ki Baatein Kertey They

Jab Bahar Ka Mousam Aata Tha
Aur Phool Pyar K Khiltey They

Mast Nasheeli Shamon Mein
Pyar Se Do Dil Miltey They

Ik Roz Woh Basti Ujer Gai
Aur Pyar Ki Hasti Bikher Gai

Phir Her Ik Dil Ko Sog Laga
Aur Jeevan Bhar Ka Rog Laga

Deewaney Phirtey Rehtey Hein
Aur Her Ik Se Woh Kehtey Hein

Iqrar Kisi Se Na Kerna
Pyar Kisi Se Na Kerna.

Koi batlao k ik umr ka bichra mehboob

Koi batlao k ik umr ka bichra mehboob
itefaqan kahin mil jaye to kya kehte hain

Wo Kehta Rehta Hai Bari Majbooriyan Hain Waqt Ki

Wo Kehta Rehta Hai Bari Majbooriyan Hain Waqt Ki
Saaf Lafzoon Me Khud Ko Bewafa Nahi Kehta...

k Shaks Ko Soochnay Lagi Mein

Ik Shaks Ko Soochnay Lagi Mein
Phir Aaina Dekhne Lagi Mein

Oski Tarah Apna Naam Le Kar
Khud Ko Bhee Lagi Nayi Nayi Mein

TU Mere Bagair Na Reh Sakaa Tou
Kub Tere Bagair Jee Saki Mein ???

Aati Rahay Ab Kaheen Se Aawaaz
Ab Tou Tere Paas Aagayi Mein

Daaman Tha Tera Ke Mera Maatha ?
Jo Daagh Bhee Thay Mita CHuki Mein

Saturday, June 23, 2007

Be-Asar Kab Rahi Daastan-e-Wafa

Be-Asar Kab Rahi Daastan-e-Wafa
Jab Chiri... Sun'ny waalon ko neend aa gai

Ab Bus Bhi Kar Dy Logon Ko Toot Kar Chahna

Ab Bus Bhi Kar Dy Logon Ko Toot Kar Chahna
Wo Daikh Aik or Shakhs Tujhy Chor Kar Ja Raha Hai

main shair hota to hijar ki shaam likhta

main shair hota to hijar ki shaam likhta
tere naam muhabbt k peghaam likhta

teri aankhon k sumandar main doob ker
teri aankhon ka sagar tamaam likhta

jab kabi tu maeri aankhon ko chumti
teri honto k had ko jaam likhta

agar teri badnaami ka dar na hota
muhabbat ki ahani sar-e-aam likhta

Baheti Hui Naadi Mein Unka Peaas Hain

Baheti Hui Naadi Mein Unka Peaas Hain
Jalti Hui Shama Mein Unki Gharmi Ka Ehesaas Hain
Kisi Aur Ke Saath Ghar Basa Liya Humne
Seene Mein Basi Wahi Bewafa Pyar Ka Zeher Ki Raas Hain….

Friday, June 22, 2007

taskin ko ham na roin jo zauq-e-nazar mile

taskin ko ham na roin jo zauq-e-nazar mile
huran-e-khuld mein teri surat magar mile

apni gali mein mujh ko na kar dafn bad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyon tera ghar mile

saqi gari k sharm karo aj warna ham
har shab piya hi karte hain mai jis qadar mile

tujh se to kuch kalm nahi lekin ae nadim
mera salam kahiyo agar namabar mile

tum ko bhi ham dikhain k majnun ne kya kiya
fursat kashakash-e-gam-e-pinhan se gar mile

lazim nahi k khizr ki ham pairwi karen
mana k ek buzurg hamein ham safar mile

ae saknan-e-kucha-e-dildar dekhna
tum ko kahin jo Ghalib-e-ashufta sar mile

Birthday Hindi Ghazals

Birthday Hindi Ghazals

Khuda kaise karoon shukriya iss din ke liye
Jis duniye tumhe dharti pe bheja hamare liye
Naa jaane kyon main intezaar kar raha tha
Shayad janmdin hai tumhara iss liye
Meri har ek dua hai teri lambi umr ke liye
Dil khud jaanta hai tu na ho dhadkega kis k liye

Birthday Sms 140 Words – Mere Office

Birthday Sms 140 Words – Mere Office

Mere Clas Fellows Ki Taraf Se
Mere Office Colegues Ki Taraf Se
Or Mere 16 Cror Pakistanio Ki Taraf Se
Tumhain Salgirah Mubarak

Ghazal tu bahana hai

Ghazal tu bahana hai
Jab mausam suhana hai

Bethe haiN dareeche par
Mehboob ko aana hai

Khamusi lab-e-bam
aankhoN se farmana hai

patthar haiN phir majnooN par
yeh koun zamana hai

Ab taud do saghar kou
aankhoN se pilana hai

BarsoN meiN tu aaye ho
pal bhar meiN hi jana hai

Chilman na hate rukh se
dushman ye zamana hai

Dushman ko yuN na dekho
woh dost ban jana hai

Roothe haiN sanam mujh se
Ab jan bhi jana hai

'Imran' hum aashiq haiN
Ek who hai begana hai

Apna Dard Barha Layta Hoon

Apna Dard Barha Layta Hoon
Us Ko Pass Bul Layta Hoon

Us Ko Jab Bhi Dhundhnay Niklon
Apna Aap Ganwa Dayta Hoon

Sab Say Juda Rehnay Ki Khatir
Sab Ko Dost Bana Layta Hoon

Jungal Rah Main Aa Jaye Tu
Maa Ke Ak Dua Layta Hoon

Sari Baat Kar Kay Bhi Main
Us Ki Baat Chupa Layta Hoon

Har Ak Kaam Main Jaldi Kar Kay
Har Ak Kaam Barha Layta Hoon

Wo Tu Wo Hay Saad Main Aksar
Khud Say Dhoka Kha Layta Hoon

tum na dekha kidhr gaya taaray

tum na dekha kidhr gaya taaray
kis ki awaaz par gaya taaray

ya kaheen shahr e aarzoo to nahee
chaltay chaltay thehr gaya taaray

aaj aasaar e subh sa pahla
waadion ma utr gaya taaaray

sahmay sahmay bujhey hua maghmoom
sar jhukaayay guzar gaya taaray

badr kch waan ki bhi hbr hay tumhain
aanchaloon par bikhr gaya taaray

Tuesday, June 19, 2007

Yon jaan di wafa me k Qatil tamaam umr.

Yon jaan di wafa me k Qatil tamaam umr...
dil ki adalaton me saza dhondta raha

Aaksar Mere Dil Mein Uthta Hai Yea Sawal

Aaksar Mere Dil Mein Uthta Hai Yea Sawal
Gairoon Se Nibha Kar K Kya Hoogi Wo, Khush Haal

Bhool Sakta Hay Bhala Kaon – Bhool Shayari

Bhool Sakta Hay Bhala Kaon – Bhool Shayari

Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain

Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain
Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain
Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn
Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn
Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey
Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka Bahaana Mil Jaaey
Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain

Monday, June 18, 2007

Kabhi jo ker sako aisa

Kabhi jo ker sako aisa

to koshish ker k dekhna..

mujhe..meri tarah chahna..

faqat meri talab kerna..

phir mujhse door ho jana..

main kahon?bhool jao mujhe..

tum roz duaon may mangna..

main tumse her nata tor lon..

tumse her wo haq chheen lon

k tumhare paas agar wo ho

to nuqsan kisi ka na ho per..

shayad tum jee lo..

per tum chup reh k her ghum pee lo..

aur aisa bhi kerna k..

magar nahi..

tum aisa ker nahi sakti..

meri jagah khud ko rakh nahi sakti..

tum mujhe..meri tarah chah hi nahi sakti

Ek sal es ko bholny may lag hi jai ga

Ek sal es ko bholny may lag hi jai ga
Phir ye bhi soch lo ke bahi pora sal hy

Saturday, June 16, 2007

utho meri dunya k garibon ko jaga do

utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do

garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do

sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do

jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do

kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do

main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do

tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do

Ye shikayat fazool hai, yeh to mohabat ka dastoor hai,

Ye shikayat fazool hai, yeh to mohabat ka dastoor hai,
Ke jo mehboob hota hai, wohi maghroor hota hai…!!

Wo parinda jisay apni he pervaaz sy furset na thi faraz

Wo parinda jisay apni he pervaaz sy furset na thi faraz
Aj tenha hova to mri he dewaar py a betha

May the choicest blessing of Allah

May the choicest
blessing of Allah
fill your life
with peace,
joy and prosperity!

Eid Mubarak!

Friday, June 15, 2007

Warq Warq Per TeRi Ibarat

Warq Warq Per TeRi Ibarat... TeRa Fasana... TeRi Haqeeqat
Kitaab 'E' Hasti Jahan Se Kholi... TeRi Muhabbat Ka Baab NikLa..!!

Har Mulaqat – 140 Words Khushboo Shayari

Har Mulaqat – 140 Words Khushboo Shayari

Har Mulaqat Mein Nagahein Yahi Faryad Karti Hain,
Ke Kisi Pal Palat Kar Dekhne Ko Jee Chahta Hai,

Woh Tou Hamein Dekh Kar Andekha Kar Jati Hai,
Ke Us Ki Nazron Mein Reh Jaane Ko Jee Chahta Hai,

Woh Kya Samjhe Gi Hamari Mohabbat Ko,
Woh Tou Khoyi Hai Kisi Aur Ki Mohabbat Mein,
Ke Us Ki Mohabbat Mein Kho Jaane Ko Jee Chahata Hai,

Teri Khushbu Ne Bohat Rang De Diye Mujhe,
Ke Ab Us Ke Rangon Mein Rang Jaane Ko Jee Chahta Hai,

Ulajh Chuka Hoon Iss Uljhe Hue Waqt Ko Suljhane Mein,
Ke Ab Teri Uljhi Zulfon Ko Suljanhe Ko Jee Chahta Hai,

Fanah Ho Chuke Hain Teri Mohabbat Mein,
Ke Ab Shayari Mein Izhaar Karne Ko Jee Chahta Hai,

Khwahish Hai Aazmane Ki Tou Jaan Hi Mang Lou,
Ke Ab Use Apna Banane Ko Jee Chahta Hai,

Na Kabhi Khatam Kar Sakein Ge Yeh Shayari,
Ke Khushbu Ko Shayari Mein Wapas Lane Ko Jee Chahta Hai?

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya,
Manzil kahan se paas parre gi kahan se door..

Thursday, June 14, 2007

Mein Kahin Bhook Se Na Mar Jaon Aye Ameer-e-Shehar

Mein Kahin Bhook Se Na Mar Jaon Aye Ameer-e-Shehar,
Gar Mustaqbil Hun Tumhara, To Bacha Lo Mujh Ko

Tujhko socha to bohat per likha kum Mene

Tujhko socha to bohat per likha kum Mene,
Ke Teri Tareef k qabil mere alfaaz kahan.

Qadam Qadam pe tha ik Marhala mein kya karta

Qadam Qadam pe tha ik Marhala mein kya karta
Taweel hota gaya Faasla main kya karta

Ghum-e-Hayat Ghum-e-ishq aur Ghum-e-Ehbaab
Ulajh gaya tha har ik Silsila Main kya karta

Wo Aansuon ki Zubaan jante na they
Mujhe Bayaan ka na tha Hausla Main kya karta..!

Ksi K Zakhm Ka Marham

Ksi K Zakhm Ka Marham... Ksi K Gham Ka ilaaj
Dukhon Ne Baant Rakha Hai Mujhe Dawa Ki Trha

Wednesday, June 13, 2007

Aik Ghazal Tere Liye Zaror Likhon Ga

Aik Ghazal Tere Liye Zaror Likhon Ga
Be Hisaab Us Mien Tera Qasoor Likhon Ga

Tu Guftaar Ka Mahir Tu Kirdaar Ka Mahir
Par Husan Ko Tere, Tera Garoor Likhon Ga

Toot Gaye Bachpan Ke Tere Sare Khiloony
Ab Diloon Se Khelna Tera Dastoor Likhonga

Raha Ishq Ka Davaa Tujhe Tamam Umer
Wafa Ki Dehleez Se Tujhe Mafroor Likhon Ga

Khud Sakhta Jo Hai Tera Judai Ka Faisla
Aisay Har Iqdaam Ko Na Manzoor Likhon Ga

Hamien Kehny Ki Aadat Nahien Likhny Ka Shooq Hai
Jazbon Ko Apny Qalam Ki Taseer Likhon Ga

Tera Wajood Mera Wajood Mujhe Aik Sa Lagy
Par Tujhy Mien Khud Se Bohat Door Likhon Ga

Wo Kisi Aur Ki Saanse Thi

Wo Kisi Aur Ki Saanse Thi

Main Uski Jeet Ko Apni Jeet Samajh Raha Tha,
Na Samajh Paya Ki Uski Jeet Me To Meri Haar Thi,
Jise Main Barso Se Anpi Zindagi Samajh Raha Tha,
Wo Kisi Aur Ki Saanse Thi Wo Kisi Aur Ka Pyar Thi…

Apne Saaye Se choonk jaaty hain.

Apne Saaye Se choonk jaaty hain..
Umr Guzaari hai is qadar Tanha..

Aey eid k chaand!

Aey eid k chaand!
Kyun krta hai tu molviyon ko pareshan,

tujhe dekhne k liye be-chain hain Mufti Muneeb ur Rehman,

tujhe dekh nahi paate,poore pakistan k insan,

magar na jane kahan say dhond lete hain tujhe peshawar k pathan….,
“Advance”
“EID”
“Mubarak”

Tuesday, June 12, 2007

marnay kay baad boosa janaaa-n hua naseeb

marnay kay baad boosa janaaa-n hua naseeb
mti ko jab kumhaar na saaaghir bna dia

Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi

Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi
Pyasey Hont thy Aankh Samundar Jaysi thi

Sooraj Usko Daikh Ker Peela Perta Tha
Woh Sarma ki Dhoop mein Dhul Ker Nikli Thi

Usko Apny SaaYe Se Dar Lagta tha
Sooch K Sehra mein Woh Tanha Heerni thi

Aaty Jaaty Mausam Usko Dasty Thy
Hansti Hansti Palkoon se Ro Perti thi

Aadhi Raat Ganwa deti Thi Chup Reh Ker
Aadhi Raat K Chaand se Baatein Kerti Thi

Door Se Ujray Mandir Jaysa Ghar Uska
Woh ApnY Ghar mein Ikloti Devi thi

Moum Se Nazuk Jism Seher Ko Dukhta Tha
Diye Jala Ker Shab bhar Aap Pighalti thi

Taiz Hawa Ko Rok Ker Apny Aanchal Per
SookhY Phool Ikhaty Kerti Phirti Thi

Sub per Zahir ker deti thi Bhaid Apna
Sub Se Ik Tasveer Chupaye Rakhti thi

Kal Shab Chakna Chor Hua tha Dil Uska
Ya Phir Pehli Baar Woh Khul Ker Royi Thi

Moshin Kya Jaany Kion Dhoop se be'Parwah
Woh Apny Ghar Ki Dehleez Per Bethi Thi...???

Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay

Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay
Sath ChaL Mauj-e-Saba Hou Jaisay

Laug Yun Dekh Kar Hans Detay Hain
Tu Mujhay BhooL Gayee Hou Jaisay

Ishq Ko ShirK Ki Hudh Tak Na Bharha
Yun Na MiL Hum Se KHUDA Hou Jaisay

MauT Bhi Aaye Tu Es NaaZ Ke Sath
Mujh Pe Ehsaan Kya Hou Jaisay

Aisay AnjaaN Banay Bethay Hou
TumKo Kuch Bhi Na PaTa Hou Jaisay

HichKiyaan RaaT Ko AaTi Hi RaheiN
TuM Ne Phir YaaD Kya Hou Jaisay

ZindaGi BheeT Rahi Hai Aisay
Ek BaeJurM SaZa Hou Jaisay ?

Monday, June 11, 2007

Kuch Tu Tanhai Ki Raaton Me Sahara Hota

Kuch Tu Tanhai Ki Raaton Me Sahara Hota,
Tum Na Hote Na Sahi Zikar Tu Tumhara Hota,

Zindagi Kitni Musarat Se Guzarti Yarab,
AISH Ki Tarhan Gham Bhi Gawara Hota,

Kis Ko Fursat Thi Zamane Ke Sitam Sehne Ki,
Agar Na Is Shokh Ki Aankhon Ka Sahara Hota,

Koi Humdard Zamane Mein Na Paya
Dil Ki Hasrat Rahi Koi Humara Hota

Wohi zameen hai wohi asmaan wohi hum tum

Wohi zameen hai wohi asmaan wohi hum tum,
Sawal ye hai zamana badal gea kaise

angrai par angrai leti hai rat judai ki

angrai par angrai leti hai rat judai ki
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki

wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki

urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai awaz kisi saudai ki

Sunday, June 10, 2007

Yeh jesay log hain wesay nazaar nahi atey,

Yeh jesay log hain wesay nazaar nahi atey,
Rafaqtun main chupi hain adawatain kya kya..

Zara talkh lehje mein baat kar , zara berukhi se pesh aa

Zara talkh lehje mein baat kar , zara berukhi se pesh aa
main issi nazar se tabah huwa , mujy dekh na tu pyar se

urma-e-muft-e-nazar hun meri qimat ye hai

urma-e-muft-e-nazar hun meri qimat ye hai
k rahe chashm-e-kharidar pe ehsan mera

rukhsat-e-nala mujhe de k mabada zalim
tere chehre se ho zahir gam-e-pinhan mera

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha,

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha,
Teri justaju main humne Sitaron ko dekha,
Nahi mila tum se badhkar in nigahon ko koi,
Humne jiske liye hazaron ko dekha..

Eid Shayari in Urdu

Eid Shayari in Urdu

Meri Eid Ka Ta’alluq Teri Deed Sey Raha Hai
Na Hoyee Deed Teri Na Hoyee Hai Eid Meri

Wo Aksar MujhSe Kehti Thi…

Wo Aksar MujhSe Kehti Thi…
“WAFA HAI ZAAT AURAT KI
Magar Jo Mard Hote Hain
Bohat Be-Dard Hote Hain
Kisi Bhanwre Ki Soorat Gul Ki Khushbu Loot Lete Hain
Suno Tum Ko Qasam Meri !
Riwaayat Tor Dena Tum
Na Tanha Chhor Dena Tum
Na Ye Dil Tor Ke Jaana…”
Magar Phir Yun Hua Hamdam !
Mujhe Anjaan Raste Par Akela Chhor Kar UsNe
Mera Di…l Tor Kar UsNe Muhabbat Chhor Di UsNe
“WAFA HAI ZAAT AURAT KI”
Riwaayat Tor Di Usne

Saturday, June 9, 2007

Sabat hoen azab wo rangeen hathelian

Sabat hoen azab wo rangeen hathelian
Bete dinon me rang e hina le gea muje

Tere Aane Ki Ummid Me Ek Paigam Likaha Hai

Tere Aane Ki Ummid Me Ek Paigam Likaha Hai
Ashko Ki Shyahi Se Tujhe Salam Likha Hai

Adhure Se In Khwabo Me
Rutha Hua Tera Naam Likha Hai

Aaj Bhi Tere Intezar Me Raahen Udas Ho Thi
Tere Na Aane Dard Raha Dil Me Kuch Soch Ye Aakhiri Kalaam Likha Hai

Tu Kar Khushiyo Ki Mehfile Aabad
Meri Duaao Ne Ibadat Me Subho-Sham Likha Hai

Tu Na Aayega Ye Maloom Na Tha
Shayad Kismat Ne Meri Ummido Ka Yahi Aanjaam Likha Hai

Beh Rahi Hai Lahar Dhadkano Ki Dhire Dhire
Usi Ret Pe Mohabbat Naam Likha Hai

Tere Aane Ki Ummid Me Ek Paigam Likaha Hai

Kisi se dil ko lagake dekho

Kisi se dil ko lagake dekho,
Mujhi se nazaren milake dekho,
Tumhe ye duniya haseen lagegi,
Humare nazdeek to aake dekho,

Simatke duniya tumhari bhahon,
Ke dayeron mai cheep jayegi,
Kabhi to apne labon se mere,
Labon se thoda milake dekho,

Chupa rahe hain tumhare gesoon,
Tumhare shano ki chandni ko,
Deewana sa ho raha hai ye dil,
Na ase tum sharmake dekho,

Tere isharon pe sari duniya,
Tere haseen peron mai jhuka doon,
Mdgar hai ye sharat mere jahan mai,
Kadam to apna badhake dekho.

mujhe kal mera ek sathi mila

mujhe kal mera ek sathi mila
jis ne ye raz khola
ke 'ab jazba-o-shauq ki wahshaton ke zamane gaye'
phir wo ahista-ahista charon taraf dekhta
mujh se kahne laga
'ab bisat-e-muhabbat lapeto
jahan se bhi mil jaye daulat - sameto
garz kuch to tahzib sikho'

Mere Her Khwab Me Basti Hai Muhabbat Teri

Mere Her Khwab Me Basti Hai Muhabbat Teri
Main Tere Pyar Ki Ranjishon Se Pareshan Nahi

Tumhari bay rukhi par bhi luta di Zindagi hum nay

Tumhari bay rukhi par bhi luta di Zindagi hum nay
Agar tum Meharban hoty, hamara haal Kia hota

Maray chara gar

Maray chara gar!!!
maray dard ki tujay kaya khabar

tu maray safar ka shareek hai
nahi hamsafar!!!

maray hath sy taray hath tak
wo jo hath bhar ka tha fasla

kai mosmoon my badal gaya…..
issay napteyy,issay kat’tay

MARA SARA WAQAT NIKAL GAYA

Friday, June 8, 2007

Phir to ne cheer di hai gai saitoon ki baat

Phir to ne cheer di hai gai saitoon ki baat
Wo guftagoo na kar ke tujhe bhi malal hoa

Juda hoe to khula hai tumhaari basti me

Juda hoe to khula hai tumhaari basti me...
Hum ek dil he nahi... chashm-e-tarr b bhool gye

Bas Yehi Soch Ker Tujhse Mohabbat Kerta Hoon Mein Faraz,

Bas Yehi Soch Ker Tujhse Mohabbat Kerta Hoon Mein Faraz,
Mera To Koi Nahi Hai Magr Tera TU Koi Ho!!

Insan me hewan yahan bhi hai wahan bhi hai

Insan me hewan yahan bhi hai wahan bhi hai,
ALLAh nigehban yahan bhi hai wahan bhi hai,

Khoon khwar darindon kay faqt naam alag hain,
Har shehar byaban yahan bhi hai wahan bhi hai,

Na’aron ka sukon wa’adon kay ghar khawbon ki khushiyan,
Bazar me saman yahan bhi hai wahan bhi hai,

Uth’ta hai dil-o-jan sey dhuwan dono taraf hi,
Ye meer ka dewan yahan bhi hai wahan bhi hai.

2 Lines Shayari 140 Words

2 Lines Shayari 140 Words

Woh Samajhta Hai K Har Shakhs BadaL Jata Hai
Usay Lagta Hai Zamana Us Kay Jaisa Hai..!!

Thursday, June 7, 2007

kuch aur tanhae ki shamein mera muqadar baneen faraz

kuch aur tanhae ki shamein mera muqadar baneen
faraz
muj pagal me b to ik saey k hasool ka tha iztaraab

tum aaye to khushi aayee,hansoon lekin abhi kaise

tum aaye to khushi aayee,hansoon lekin abhi kaise
kuchh der to lagti hai.. ro kar muskuraane mein

Chalo Kuch Dair Hastay Hain

Chalo Kuch Dair Hastay Hain
Muhabbat par Inayat par
K be-bunyad baten hain
Sabhi rishtay Sabhi Natay
Zarurat ki Hain Eejaaden …
Kahin Koi nahi merta Ksi k Wastay jana
K sub hai Phair lafzoon ka
Hai sara Khail herfon ka
Nahi hai mehboob koi b
Jumlay say kastay hain
Chalo Kuch dair Hastay hain
Usi ko Yaad kertay Hian
Jisay hum Zeest Kehtay hain
K lena Sans Bin jis k
Humain Ik Jurm Lagta Tha
Bala ka taiz Lagta Tha
Jo Saya Bun k Rehta Tha
Juda Ab Us k rastay hain
Chalo kuch Dair Hastay hain

Wednesday, June 6, 2007

Ye Sheher Chorna Hai Mgr is Se Paishtar

Ye Sheher Chorna Hai Mgr is Se Paishtar
Us Bewafa Ko ek Nazar Dekhna B Hai

Jo mere liye hi saja kare,

Jo mere liye hi saja kare,,
Jo mere liye hi bana kare,,,

Main jo rooth jaon manaye woh,,
Main udas hoon to hansaye woh,

Sada chupke chupke dabe qadam,,
Mere saath hi bas chala kare,,

Kabhi us se mein jo door hoon,,
Meri wapsi ki dua kare,,

Koi apna aisa hua kare,,
Koi apna aisa hua kare.

Sunday, June 3, 2007

Saturday, June 2, 2007

Mere liye itna kaafi hai ke,

Mere liye itna kaafi hai ke,
Mein apni sarzameen per maut dekhoon,
Aur yahin dafan hoon,
Aur is miti mein pighal kar phel jaaon,
Phir phool ki tarah zameen se bahar nikloon,
Mere des ke bache is ke sath khelein,
Mere liye itna hi kaafi hai
Ke mein apne watan ki gaud mein rahoon,
Is tarah jese muthi bhar gard,
Bahaar ki ghaas ki tarah,
Aik phool ki maanin…

tohmaten chand apne zimme dhar chale

tohmaten chand apne zimme dhar chale
jis liye aye the so ham kar chale

zindagi hai ya koi tufan hai
ham to is jine ke hathon mar chale

kya hamain kam is gulon se ai saba
ek dam aye idhar udhar chale

dosto dekha tamasha yan ka sab
tum raho khush ham to apne ghar chale

ah bas ji mat jala tab janiye
jab koi afsun tera us par chale

shama ki manind ham is bazm main
chashm-nam aye the daman-tar chale

dhundte hain ap se usko pare
sheikh sahib chor ghar bahar chale

ham jahan main aye the tanhawale
sath apne ab use lekar chale

jun sharar ai hasti-e-bebud yan
bare ham bhi apni bari bhar chale

ek main dil resh hun waisa hi dost
zakhm kitnon ka suna hai bhar chale

ham na jane paye bahar ap se
wo bhi are a gaya jidhar chale

saqiya yan lag raha hai chal chalo
jab talak bas chal sake sagar chale

"Dard" kuch malum hai ye log sab
kis taraf se aye the kidhar chale

Gar bahar tamasha wo lab-o-baam per aaway

Gar bahar tamasha wo lab-o-baam per aaway
To sari khudai ka tamasha nazar aaway

Mohabbat ho chuki puri.

Mohabbat ho chuki puri.
Chalo ab zakhm gintey hain..

Friday, June 1, 2007

Saaqiyah! Meiney Deykhee Hai Wo Raah Bhi

Saaqiyah! Meiney Deykhee Hai Wo Raah Bhi
Jis Pai Reig-E-Rawaan Thee, Na They Naqsh-E-Paa

Koyee Bhi, Saath Jis Key, Fasaanah Na Thaa
Baad-E-Sarsar Thee, Baad-E-Khizaan Sirf Yaa

Fir Bhi, Raah-E-Talab Kaa Diwaanah Thaa Mein
Aur, Wasl-E-Sanam Keen Umeedeyn Jawaan

Mujh Ko, Aagey Badhhaaney Ko, Purjosh Theen
Ab Tah-E-Jaw Hoon, Leykin Akeilaa Naheen

Jannat Ka Ilaan Ho Kisi Gunah-Gar Ke Liye

Wo Mil Jaye Mujhe to Youn Samjhon Ga Sagar
Jannat Ka Ilaan Ho Kisi Gunah-Gar Ke Liye

Paaon zakhmi hon to aati hai chamak aankhon mein,

Paaon zakhmi hon to aati hai chamak aankhon mein,
Ussi raste se guzarta hoon jo dushwaar lage..

Ae Meri Jan-E-Ghazal Q Teri Chahat Na Kron

Ae Meri Jan-E-Ghazal Q Teri Chahat Na Kron
Saans Ruk Jaye... Agr Tujhse Muhabbat Na Kron