Wednesday, January 10, 2007

Mujhko yaqeen hai sach kahti thi jo bhi Ammi kahti thi

Mujhko yaqeen hai sach kahti thi jo bhi Ammi kahti thi
Jab mere bachpan k din thay chaand mein pariyaan rahti thi

Ek yeh din jab apnoon ne bhi humse naatha thod liya

Ek wo din jab ped ki shaakhein bhoj humara sahti thi

Ek yeh din jab sari sadkein sooni sooni lagti hain

Ek wo din jab aao khelein saari galiyaan kahti thi

Ek yeh din jab jaagi raatein deewaaroon ko thakti hain

Ek wo din jab shaamoon ki bhi palkein bojhal rahti thi

Ek yeh din jab laakhoon gham aur kaal para hai aansuu ka

Ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaan bahti thi

No comments:

Post a Comment