Wednesday, January 31, 2007

Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy

Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy..
Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy..

Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi,
Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy…

Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye,
Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy…

Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly,
K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy

When u mix rice in milk u call it kheer

When u mix rice in milk u call it kheer.
When u mix vinegar in milk u call it paneer..
When u mix a sweet person like me in ur life ..
U call it takdeer. Miss you

Mohabbat ki hai bas itni kahani

Mohabbat ki hai bas itni kahani
Safar asaan hai, manzil karri hai

Kabhi yad ao tou iss terha,

Kabhi yad ao tou iss terha,
kabhi gungunao tou iss terha,

mera dard phir se ghazal banay,
kabhi dil dukhao tou iss terha,

meri dharkane bhi laraz othain,
kabhi jo bhol jao tou iss terha,

na sisak sakain na bilak sakain,
kabhi chor jao tou iss terha,

na ujer sakain na sanwer sakain,
kabhi yad ao tou iss terha.

Tuesday, January 30, 2007

Bohat din ho gaye shayed sahara ker liya uss ne

Bohat din ho gaye shayed sahara ker liya uss ne,
Humaray baad b aakhir guzara ker liya us ne
Humara zikr to uss k labon pr aa nahi skta,
Humain ehsaas hai hum se kinara ker liya us ne
Bhula ker pyaar ki kasmain woh waday tor kr saray,
Ksi ko zindagi se b pyara ker liya us ne

Wo Tou Baarish Ki

Wo Tou Baarish Ki
Boondai?n Dekh Kr
Khush Hota Hy

Us Ko Kia Maloom k
Hr Girny Wala Qatra
Paani Nahi Hota ?

Monday, January 29, 2007

TeRi YaaDoN sE BacH NikLoN... MuJhE TaDbeeR dE Koi

TeRi YaaDoN sE BacH NikLoN... MuJhE TaDbeeR dE Koi
MeRi JaNiB sE HeR Rasta... TeRi JaNiB NiKaLta Hai

Socha hai muhabbat kar loon

Socha hai muhabbat kar loon
Dunya se baghawat kar loon

De kar ke nishani dil ki
Us ko mai sakhawat kar loon

Badal se chura kar pani
Sawan se adawat kar loon

Qurbat may kisi ki mar kar
Furqat se baghawat kar loon

Raston ko karon mai gumrah
Manzil se shikayet kar loon

Sunday, January 28, 2007

Shikwa kisi ka na faryaad kisi ki

Shikwa kisi ka na faryaad kisi ki,
Honi thi yunhi zindagi barbaad kisi ki,

Ehsas mita talash miti mit gai umeeden,
Sab mit gaya pr na mit saki yad kisi ki

Ghazal kahon kabhi sada se khat likhon us ko

Ghazal kahon kabhi sada se khat likhon us ko
Udas dil k lie mashghale talash karon

Saturday, January 27, 2007

Qadam Ruk Se Gaye Phool Ko Bikte Dekh Kar,

Qadam Ruk Se Gaye Phool Ko Bikte Dekh Kar,
Wo Aksar Kaha Karta Tha, Mohabbat Phool Jesi Hai

Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,

Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki,

Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki,

Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki,

Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki,

Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko,
Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki,

Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena,
Samne sab ke sunaa dena kahani us ki..

Jhot ka aisa raj hai yaro zehan’on per apney

Jhot ka aisa raj hai yaro zehan’on per apney..
Jo bhi sach boley wo hum ko jhota lagta hai

Ye mere dil ki doa hai mere MOLA sun ly

Ye mere dil ki doa hai mere MOLA sun ly
Saari dunia se chupa kr usy mera kr dy

Friday, January 26, 2007

Tu Koun Hay, Mera Kia Lagta Hay

Tu Koun Hay, Mera Kia Lagta Hay
Baar Ha Dil Main Sawaal Aata Hay

Aanch Aaye Girti Hoii Boondo Say Jab
Mujh Ko Yeh Khayal Aata Hay

Apni Nakaamiyan Apnay Dard Yoon Tu
Chupana Tujhay Kamaal Aata Hay

Jaan Laiti Hain Phir Bhi Aankhain Meri
Tujhay Kab Kiya Khayal Aata Hay

Aansoo Teray Ubhrain Nigahon Say Meri
Aisi Chahat Ko Kab Zawaal Aata Hay

Najanay kya kaha tha doobnay wale ne samadar se

Najanay kya kaha tha doobnay wale ne samadar se
Ke lehrain aj tk sahil pe apna sir patakhti hain

Dafan hon ehsas ki sadion purani qabar me

Dafan hon ehsas ki sadion purani qabar me
Zindagi ik zagham hai aur zagham bhi taza nahin

Janay kis zoam mein maqtal ko sajaye tum ho

Janay kis zoam mein maqtal ko sajaye tum ho
mujh ko kia qatl karo gay mere saaye tum ho

Mera pindar bardha isi mayyar kay sath
jis raoonat say mujhay daar pe layay tum ho

Is khijalat kay tabassum say ayan hen yaro
aastinon mein woh khanjar keh chupayay tum ho

Dost ka lutf to ehsan hay jab ho jayay
mehban phir bhi bardi dair mein ayay tum ho

Dastbasta o kamarbasta o labbasta sahi
is pe bhi khush ho keh darbar mein aayay tum ho

Hayay woh subh e tamanna keh na dekho gay Faraz
hayay in shammon ki qismat keh jalayay tum ho

Mujhe lag raha hy aisa k tum muskura rahi ho...

Mujhe lag raha hy aisa k tum muskura rahi ho...
meri bebasi ka aisy tamasha bana rahi ho

Mohabat Mein Yeh Tanhai, Mohabbat Mein Aam Hai

Mohabat Mein Yeh Tanhai, Mohabbat Mein Aam Hai
Gudgudata Mitha Yeh Ahesas, Mujhe Karta Badnam Hai

Thursday, January 25, 2007

Pher Lete Hain Nazr Jis Waqt Bety aur Bahu

Pher Lete Hain Nazr Jis Waqt Bety aur Bahu
Ajnabi Apny Hi Ghar Main Haye Ban Jati Hai Maan

Hum Ne Ye Bhi To Nai Socha Alag Hony K Baad
Jab Diya Hi Kuch Nai Hum Ne to Kya Khati Hai Maan

Zabt to Dekho Ke Itni Be-Rukhi Ke Bawajood
Bad-Dua Deti Hai Hazgiz aur Na Pachtati Hai Maan

Saal Bhar Main Ya Kabhi Hafty Main Jume-rat Ko
Zindagi Bhar Ka Sila Ek Fateha Paati Hai Maan

Usne Dunya Ko Diye Masoom Rehbar Is Liye
Azmaton Main Saani-e-Quran Kehlati Hai Maan

Baad Mar Jaany K Phir Bety Ki Khidmat K Liye
Bhes Beti Ka Badal Kr Ghar Main Aajati Hai Maan

Katoon Si Chubhti Hai Tanhai

Katoon Si Chubhti Hai Tanhai
Angaroon Si Sulagti Hai Tanhai

Koi Aa Kar Hum Dono Ko Hunsa De
Main Rota Hoon Rone Lagti Hai Tanhai

Jab Bhi Tere Hisar Se Nikalna Chaha
Yaadoon K Beej Bone Lagti Hai Tanhai

Raat K Kisi Hise Main Yeh Bhi Bewafa Ho Jati Hai
Main Nahi Sota Sone Lagti Hai Tanhai

Tum Se Judaa Ho Kar Is Se Hi Dil Laga Lia Hai
Mar Sa Jata Hoon Jab Khone Lagti Hai Tanhai

Meri Her Soch Her Tamanna Per

Meri Her Soch Her Tamanna Per
Teri Khamosh Hukmaraani Hy

Jaan Dene Ka Kaha Main Ne To Hans Kr Booly Wo

Jaan Dene Ka Kaha Main Ne To Hans Kr Booly Wo
Tum Salaamat Raho Her Rooz K Marny Waaly

Utri hai youn judaiyon, tanhaiyon mein sham

Utri hai youn judaiyon, tanhaiyon mein sham
Jaisy ujaar sheher ki angnaiyon mein sham

Rangeen qamqamon ka sahara liye huay
Sehmi hui hai sheher ki ra’naaion mein shaam

Kamron mein band, hijr k gosha nasheen tery
Kab dhoondtay hain apni pazeeraion mein sham

Hum sokhta dilon ki tumhain kia khabar k hum
Kaisay guzar laity hain tanhaion mein sham

Ae akhri kiran! Mujhy ghar tak tou chorr de
Ab dhal rahi hai doobti parchaaion mein shaam

Na-aashna hujoom mein khoye huay they hum
Guzri hai aaj aisi shanasaaion mein sham

Paraaye ghar ki beti jal rahi hai, Acha moqa hai!

Paraaye ghar ki beti jal rahi hai, Acha moqa hai!
Bujha do piyas sholo’n ki, Kanaster daal do us per

Sulagtey bainn sun kar ab nahi’n bedaar ho gi woh
Kahani so gai, Phoolo’n ki chaadar daal do us per

Ek strature k pahiye ghoomtey hain burn unit mein
Ye manzer dhaanp do, Acha sa manzer daal do us per.

Wednesday, January 24, 2007

Dunya waley ab zindagi ko bana sakte nahin,

Dunya waley ab zindagi ko bana sakte nahin,
Lau diye mein hai magar is ko barha sakte nahin..

Kuch khawab thay meri ankhon mein.

Kuch khawab thay meri ankhon mein.
Tujhay pa lenay ki chahat thi.
Chnd lafzon mein hi kehta hon.
Mujhay tujh say muhabbat thi.

Per tu kiya janay chahat ko.
Tujhay ho jati to puchta mein.

Dil jab jab toot k rota hai.
Kiya dard tumy bhi hota hai.

Ye khawab haqeeqat ho jae.
Kisi apnay jesay sangdil say.

“TUJHY KASH MUHABBAT HO JAEY”
“TUJHY KASH MUHABBATHO JAEY”

Agar Mein Hadh Se – 140 in Hindi

Agar Mein Hadh Se – 140 in Hindi

Agar mein hadh se guzar jaon to mujhe maaf kardena
Tere dil mein utar jaaon to mujhe maaf kardena
Yun hi ghusey mein akar dant dena to meri adat hai
Agar aesa main kar jaaon to mujhe maaf kardena
Raste mein tujhe dekh kar teri deed ki hatir
Pal bhar jo theher jaaon to mujhe maaf kardena
Teri pal bhar ki bhi judai mujhe jeeney nahi deti
Tere bin jo mar jaaon to mujhe maaf kardena

kya bhala mujhko parakhne ka natija nikla

kya bhala mujhko parakhne ka natija nikla
zakhm-e-dil ap ki nazron se bhi gehra nikla

torkar dekh liya aina-e-dil tune
teri surat k siwa aur bata kya nikla

tishnagi jam gai pathar ki tarah honton par
dub kar tere dariya main main pyasa nikla

Tuesday, January 23, 2007

Monday, January 22, 2007

Sunday, January 21, 2007

Ye Barish, Ye Thandi Hawa, Aur Ye Khushgawaar Mausam

Ye Barish, Ye Thandi Hawa, Aur Ye Khushgawaar Mausam,
Hum Ager Majboor Na Hote To Tere Paas Hote

Subha Tak Dekhna Afsaana Bana DaaLy Ga

Subha Tak Dekhna Afsaana Bana DaaLy Ga
Tujh Ko Ek Shakhs Ne Dekha Hy Mere Kamry Me

Karo phir Se koi Waada, Kabhi na phir bicharne ka

Karo phir Se koi Waada, Kabhi na phir bicharne ka
Tumhe kya fark parta hai bicharne mein, Mukarney mein

Wafaa dhoondne walo

Wafaa dhoondne walo
Kabhi sehraa ki rait chahni hai
Kabhi sagar ki lehroon ko ginna hai
Kabhi aasman key taaron ko shumar kiyea hai
Nahi
Tu
Jaan lo wafa nahi milti
Zidagi se
Sanam ki zulfoon se
Wafa milti hai
Tu
Sirf aur sirf
Dhalti shaam se
Utartey samandar se
Gheri chahti taareki-e-shab se
Dil may sulagti aatish-e-ishq se
Aur
Wafe milti hai
Rah-e-adum pe
Tu
Aye mutalashi-e-wafa
Chal oorh lay matti ki chaader
Aur gum hoja amr hoti wafaoon may

Anaa k qaid khaany ka main wo baaghi sa mujrim hon

Anaa k qaid khaany ka main wo baaghi sa mujrim hon
jisy phaansi charha daala Muhabbat k wakeelon ne

Sardar Shirt k liye kapda dikhaiye

Sardar Shirt k liye kapda dikhaiye

Salesman plain me dikhau?

Sardar nahi,
Helicopter me dikha saale Bandar ki aulad…
Sardar dekha ni ki mazak shuru

Saturday, January 20, 2007

na shikayaten na gila kare

na shikayaten na gila kare
koi aisa shaKhs hua kare
jo mere liye hi saja kare
mujh hi se baten kiya kare

kabhi roye jaye vo bepanah
kabhi betahasha udas ho
kabhi chup k chup k dabe qadam
mere piche a kar hansa kare

meri qurbaten meri chahaten
koi yad kare qadam qadam
main tavil safar main hun agar
meri vapasi ki dua kare

Ruk jaati hy nazar had-e-nazar tak ja kr

Ruk jaati hy nazar had-e-nazar tak ja kr
Dil kehta hy jahan tum ho wahan tak dekhon

Chalo Raat ke daaman se

Chalo
Raat ke daaman se
Neendain churatey hain
Phir kuch khuwab buntey hain
Khuwab
Wo sarey jinhain hum ne
Saahil ki rait pe likha tha
Baarish ki nanhi nanhi boondon may dekha tha
Khuwab wo
Jinhain oos qatron
May piroya tha

Un khuwabon ko amar to karna hoga
Yaani
Taaber ko unki sub kohna hoga

Dekho
Aihtiyat ka daaman na chhotey
Un khuwabon may kaheen koi
Shab-e-vasl
Ehad-e-wafa
Adhori baat
Aankh ka kajal
Udta houa aanchal

Ye sub bhi rakha hai
Inhey zad na pohanchey
Chalo sarey khuwab amar karlain

kitna kam karenge

kitna kam karenge
ab aram karenge

tere diye hue dukh
tere nam karenge

ahal-e-dard hi akhir
khushiyan am karenge

kaun bacha hai jise wo
zer-e-dam karenge

naukari chor k "Nasir"
apna kam karenge

Friday, January 19, 2007

Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna

Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna
Ab Tou Har Haal Mein Hai Ham Ko Safar Mein Rehna

Dil Ko Har Pal Kisi Jaadu Ke Asar Mein Rehna
Khud Se Niklay Tou Kisi Aur Ke Dar Mein Rehna

Sheher-e-Gham ! Dekh, Teri Aab-o-Hawaa Khushk Na Ho
Raas Aata Hai Ose Deeda-e-Tar Mein Rehna

Faislay Saaray Osi Ke Hain Hamaari Baabat
Ikhtiyaar Apna Bas Itna Ke Khabar Mein Rehna

Tootna Yun Tou Muqaddar Hai Magar Kuch Lamhay
Phool Ki Tarah Mayassar Ho Shajar Mein Rehna

Taayir-e-Jaan Ke Guzarnay Se Badaa Saaneha Hai
Shoq-e-Parwaaz Ka Tootay Howay Par Mein Rehna

Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain

Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain
Tumhaari Aankh Ka Ehwaal, Khwaab Poochtay Hain

Kahan Kahan Howay Roshan Hamaray Baad Charaagh ?
Sitaaray Deeda-e-Tar Se Hisaab Poochtay Hain

Wo Tashna Lab Bhi Ajab Hain Jo Mouj-e-Sehra Se
Suraagh-e-Habs, Mizaaj-e-Saraab Poochtay Hain

Kahan Basi Hain Wo Yaadain, Ujaarna Hai Jinhain ?
Dilon Ki Baanjh Zamee.n Se Azaab Poochtay Hain

Baras Padi Teri Aankhain Tou Phir Ye Bhaid Khula
Sawaal Khud Se Bhi Apna Jawaab Poochtay Hain

Hawa Ki Hamsafri Se Ab Aur Kia Haasil ?
Bas Apne Sheher Ko Khaana Kharaab Poochtay Hain

Jo Be-Niaaz Hain Khud Apne Husn Se “Mohsin”
Kahan Wo Mujh Se Mera Intekhaab Poochtay Hain

a ki meri jan mein qarar nahi hai

a ki meri jan mein qarar nahi hai
taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai

dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai

giriya nikle hai teri bazm se mujh ko
haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai

ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir
khak mein ushshaq ki gubar nahi hai

dil se utha lutf-e-jalwa haye mani
gair-e-gul aina-e-bahar nahi hai

qatl ka mere kiya hai ahad to bare
waye! agar ahad ustawar nahi hai

tu ne qasam maikashi ki khai hai ?Ghalib?
teri qasm ka kuch aitabar nahi hai

Thursday, January 18, 2007

Wednesday, January 17, 2007

Tabiyat rafta rafta gham ki khogar hoti jati hai

Tabiyat rafta rafta gham ki khogar hoti jati hai
Jafa kam kar jafa abb roh par war hoti jati hai

Nahi dunia ko jab parwah hamari

Nahi dunia ko jab parwah hamari
to phr dunia ki parwah Q kraiN hum

tu muje chor ki jata hai to ja

tu muje chor ki jata hai to ja
mai to har roj tera intzar karuga,
tu dil tor ki jata hai to ja,
mai khud ko har roj barbad karuga

Raat Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Mene Faraz,

Raat Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Mene Faraz,
Warna Light K Baghair Kon Sota Hai ????

Happy Birthday Poems in Hindi

Happy Birthday Poems in Hindi

Ugta Hua Suraj Dua De Aapko,
Khilta Hua Phool Khushbu De Aapko,
Hum To Kuch Dene Ke Kabil Nahi Hai,
Dene Wala Hazaar Khushiyan De Aapko!
Happy Birth Day

Tuesday, January 16, 2007

Abi To khushk hai Moasm

Abi To khushk hai Moasm... Jo Barish ho To Sochain Gy
K Hum Ne Apne Armaano ko Kis Matti Me Bona hai

Ae Khuda – Birthday Shayari for Brother

Ae Khuda – Birthday Shayari for Brother

Ae Khuda Mere Yaar Ka Daman Khusiyon Se Saza De,
Uske Janamdin Par Usi Ki Koi Raza De,
Dar Par Tere Aunga Har Saal,
Ki Usko Gile Ki Na Koi Wajah De.

Monday, January 15, 2007

karta use beqarar kuch der

karta use beqarar kuch der
hota agar ikhtiyar kuch der

kya royein fareb-e-aasmaan ko
apna nahin aitbaar kuch der

aankhoN mein kati pahaar si raat
so ja dil-e-beqaraar kuch der

ai shehar-e-tarab ko jaane waloN
karna mira intizaar kuch der

bekaifi-e-roz-o-shab musalsal
sarmasti-e-intizaar kuch der

takleef-e-gham-e-firaaq dayem
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der

ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahaar kuch der

dunyaa to sada rahegi Nasir
ham log hain yaadgaar kuch der

Zindagi bhar ki shanasaai chali jaye gi

Zindagi bhar ki shanasaai chali jaye gi
Ghar basa lon ga... to tanhai chali jaye gi

Pa barhna aur mere Charon taraf tanhaiyan

Pa barhna aur mere Charon taraf tanhaiyan
Chon raha hon teri yadon ki solagati kirchiyan

Kia kahen tarak-e-etaluq ka irada to nahin
Yaad jo karne lage ho tum purani talkhiyan

Aah! Wo mosam wo heele aur kinara nehar ka
Yaad ati hain mujhe campus ki sari shokhiyan

Kia kisi wehshat zada mosam ka tum ko khof hai
Kiss lie khamosh ho kholo na dil ki khirkiyan

Me use shohrat k baam-o-dar pe pohchane k bad
Apne daman me chopa le jaon ga ruswaiyan

Apni barbadii ka me ja kar kise ilzam don
Apne hathon se dabaen mene apni kashtiyan

Jeet to jata hon phir bhi dukh sa rehta hai mujhe
Kab talak us se me khelon ga shikasta baziyan

Boliyan lagati hain abb bhi khoshiyon k sheher me
Ajj bhi bazar me bikati hain nazak titliyan

Lijiye iss dil Ka phir mah-e-Moharam aa gea
Matamon ka shor hai aur chal rahi hain bar-chaiyan

Yaad hai mujh ko December me judai ki wo raat
Chaand ki kirnain lahoo me ban gaen changariyan

Hijar k sahil pe kiss k muntazir baithe ho tum
Iss sumandar se bhala kab lotati hain kashtiyan

Phir kasila zaiqa mosam ka iss dil ko laga
Phir se ankhon me otar aen purani talkhiyan

Kon jane kiss se badala le raha hon me WASI
Aik modat se ragon me paal kar weraniyan

Saturday, January 13, 2007

Guzray lamhaat ki yaadon ne rulaaya us ko,

Guzray lamhaat ki yaadon ne rulaaya us ko,
Chaand ko dekhne wo shakhs jo chhat par nikla..

Agar yaad tumko na rahe apna janmadin

Agar yaad tumko na rahe apna janmadin
Check karte rahna yunhi apne mobile ka inbox hardin
Main kabhi na bhulunga apne yaar ka janmdin
Chahe woh ho mera akhri din
Aapko jaroor mera yeh msg. milega
Jispe likha hoga “mubarak ho aapko aapka jamdin”

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko

Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko

Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko

Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko

Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko

Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko

Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko

Ye nahi k saray jahan mein humsafar hi nahi mila

Ye nahi k saray jahan mein humsafar hi nahi mila
Sabhi ‘Aitbar’ k sath thy, koi mo’tabar hi nahi mila

Meri nabz choo k to dekhta k shikasta dil ki sadaa hai kia
Mera la-ilaaj marz na tha, koi chara gar hi nahi mila

Kabhi sheher chaan liye gaye, kahi’n khaimay taan liye gaye
Jisay dekhta tha mein khuwab mein, mujhy wo nagar hi nahi mila

Mujhy wo makee’n hi nahi milay jinhain meri zaat se pyar ho
Jisy apna ghar mein samajh saku’n, mujhy aisa ghar hi nahi mila

Raha muztarib mera shauq bhi mera sajda karny ka zauq bhi
Mujhy sang-e-rah to boht milay, Tera sang-e-dar hi nahi mila

Sabhi apny apny giroh k, gham-aarzu ka shikar thy
Kisay mein dikhata ye zakhm-e-dil, koi deeda war hi nahi mila

Friday, January 12, 2007

Door Tak Uss Ki Nigahon Nay Kiya Hai Rukhsat

Door Tak Uss Ki Nigahon Nay Kiya Hai Rukhsat
Der Tak Dill Dharkney Ki Sadda Aai Hai

Suna tha zakhm harey hon

Suna tha zakhm harey hon
Tu
dard detey hain
kanta ban kr chubhtey hain
har pal aik mout martey hain
per
jaanan
jo zakhm tu ney diye
wo tu
jaltey hain shama ki mannind
ehsas shabnam ka bunkr rehtey hain meray man may
jb mai tanha hota hoon tu kalaam kartey hain
jb mai rota hoon tu tera aks bun kar dil lubhatey hain
tu jaanan
ye teh hai
jo hum suntey they
wo sb hurf-e-ghalat tehra
sirf hurf-e-ghalat

Tujhey pyaar ki kasam hay

Tujhey pyaar ki kasam hay
Mera pyaar ban k aaa ja
Meri bekarariyon ka
Tu karaar ban k aaa ja

Tere intezar main hain
Abhi sham k nazare

Koy kyun mujhey sada de
Koy kyun mujhey poukare

Meri zindagi khizaan hay
Tu bahar ban k aaa ja

Mera dil dharak raha hay
Mere dil se yun na khelo

Tumain waasta wafa ka
Mera pyaar muj se le lo

Teri jeet ho chuki hay
Meri haar ban k aaa ja

Tamana Hai Mere Dil Ki K Main Hon or Bus Wo Ho

Tamana Hai Mere Dil Ki K Main Hon or Bus Wo Ho
Ye Wo Hasrat Hai Jis Hasrat Pe... Khud Hasrat Ko Hasrat

Baarish Thi Bhigi Raat Thi, Main Bheegta Raha

Baarish Thi Bhigi Raat Thi, Main Bheegta Raha
Qadmon Ke Tere Sab Nishaan Main Khojta Raha

Main Pochta Hon Ye Kaar-o-bar Kis Ka Hai

Main Pochta Hon Ye Kaar-o-bar Kis Ka Hai
Ye Dil Mera Hai Mgr Ikhteyaar Kis Ka Ha

Thursday, January 11, 2007

Aaj yun mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khabar

Aaj yun mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khabar

Phoot kar rone lage hain mai, mohabbat aur tum

Hum ne jun hi kar liya mehsoos manzil hai qareeb

Raaste khone lage hain mai, mohabbat aur tum

Chand ki kiranon ne hum ko is tarah bosaa diya

Dewta hone lage hain mai, mohabbat aur tum

Dhar gaya ilzaam jab se apni hurmat par koi

Barishen dhone lage hain mai, mohabbat aur tum

Aaj phir mehroomiyon ki daastanen ourh kar

Khaak mai sone lage hain mai, mohabbat aur tum

Kho gaye andaaz bhi, aawaz bhi, alfaaz bhi

Khaamshi dhone lage hain mai, mohabbat aur tum

Kab hui pyaar ki barsaat hmen yad nahe

Kab hui pyaar ki barsaat hmen yad nahe,
khof mai dobi wo mulaqat hmen yad nahe.
hum to madhosh thy kuch itna uski chahat mai,
us ny kb chorr dya sath yad nahe,
zindagi jabr-e-masalsal ki trah kati hai,
jany kis jurm ki pai saza yad nahe,
mai ny palkon se dar-e-yar py dastak di hai,
mai wo sahil hon jisy koi sada yad nahe,

Aao 1 Sajda kren aalam-e-madhoshi mai ,
log kehty hain Sager ko KHUDA yad nahe.

us bazm mein mujhe nahi banti haya kiye

us bazm mein mujhe nahi banti haya kiye
baitha raha agarche ishare hua kiye

dil hi to hai siyasat-e-darban se dar gaya
main ur jaun dar se tere bin sada kiye

rakhta phirun hun khirqa-o-sajda rahan-e-mai
muddat hui hai dawat-e-ab-o-hawa kiye

besarfa hi guzarti hai, ho garche umr-e-khizr
hazrt bhi kal kahenge k ham kya kiya kiye

maqadar ho to khak se puchun k ae laim
tune wo ganj haye giranmaya kya kiye

kis roz tou hamaten na tarsha kiye adu
kis din hamare sar pe na are chala kiye

sohbat mein gair ki na pari ho kahin ye khu
dene laga hai bose bagair iltija kiye

zid ki hai aur bat magar khu buri nahi
bhule se us ne saikaron wade-wafa kiye

'Ghalib' tumhin kaho k milega jawab kya
mana ki tum kaha kiye aur wo suna kiye

Per gila nahi hy tujh se mere khaloos me hi kami hy

Per gila nahi hy tujh se mere khaloos me hi kami hy
maiN ne jisy b dil se chaha usy lga k wo khuda hy

Koi naa jaan saka woh kahan se aaya tha,

Koi naa jaan saka woh kahan se aaya tha,
Aur us ne dhoop se baadal ko kyon milaya tha,

Yeh baat shayed logon ko pasand aayi nahin,
Makaa’n chota tha lekin bohat sajaya tha,

Woh ab wahan hai jahan raste nahin jate,
Main jis ke sath yahan pichle saal aya tha,

Suna hai us pe chehekne lage hain parindey bhi,
Woh aik pau’daa jo hum ne kabhi lagaya tha,

Chiragh doob gaye kapkapaye honton par,
Kisi ka hath hamare labo’n tak aya tha,

Badan ko chorr ke jana hai aasman ki taraf,
Samundro’n ne humain yeh sabaq parhaya tha,

Tamam umar mera da isi dhuyain mein ghutta,
Woh ik chiragh thaa meine usey bhujaya tha..

Wednesday, January 10, 2007

Jo meri ankhon se khawab dekho

Jo meri ankhon se khawab dekho
To ek bhi shab na so sako ge

Ke Laakh chaho na hans sako ge
Hazar chaho na ro sako ge

Ke Khawab kia hain azaab hain yeh
Mere dukhon ki kitaab hain yeh

Rafaqaten un ki choot-ti hain
Mohabbaten un ki rooth-ti hain

Panapti hain un main wehshaten si
Aziyaten un main phoot-ti hain

Inhi ke sar se khizaan hain jazbay
Inhi se shaakhen se toot-ti hain

Ghamon ki bandish main khawab mere
Dukhon ki barish main khawab mere

Ubal raha hai dukhon ka laawa
Zameen aatish hain khawab mere

Khayal saaray jhulas gaye hain
Sulagti khawahish hain khawab mere

Ukharti saansen hain zindagi ki
Lahu ki saazish hain khawab mere

Jo meri ankhon se khawab dekho
To ik shab bhi na so sako ge

Dil ko us Raah pe chalna hi nahi..

Dil ko us Raah pe chalna hi nahi..
Wo jo mujhe Tujh se juda krti hai..

Jis Par Hamari Aankhne

Jis Par Hamari Aankhne
Moti Bichhaye Raat Bhar
Bheja Wahin Kagaz Use
Humne Likha Kuch Bhi Nahi

is aarzo se aagay koi rasta nahi hai,

is aarzo se aagay koi rasta nahi hai,
tmhe kis kadar hai chaha tmhe ye pata nahi hai,

koi pal bina tumhare bhala kaisy beet jaye,
mere pas tum nahi ho mere pas kuch nahi hai,

meri har dua ka mahwar bus ek aarzo tumhari,
is aarzo se aagay koi rasta nahi hai..

Ghairon se ehteyaat ke aalam ka zikr kiya

Ghairon se ehteyaat ke aalam ka zikr kiya
Khud bach ke apne aap se chalta raha hon mein

Mujhko yaqeen hai sach kahti thi jo bhi Ammi kahti thi

Mujhko yaqeen hai sach kahti thi jo bhi Ammi kahti thi
Jab mere bachpan k din thay chaand mein pariyaan rahti thi

Ek yeh din jab apnoon ne bhi humse naatha thod liya

Ek wo din jab ped ki shaakhein bhoj humara sahti thi

Ek yeh din jab sari sadkein sooni sooni lagti hain

Ek wo din jab aao khelein saari galiyaan kahti thi

Ek yeh din jab jaagi raatein deewaaroon ko thakti hain

Ek wo din jab shaamoon ki bhi palkein bojhal rahti thi

Ek yeh din jab laakhoon gham aur kaal para hai aansuu ka

Ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaan bahti thi

Tuesday, January 9, 2007

Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha…..

Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha…..
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha.

~~Jesay howa hai ab k wo, halaat say mray…..
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha.

~~Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia…..
ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha.

~~Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi……
Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha.

~~Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa bahut…..
Es kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha.

Wo Toot Chuka Tha Mohabbat Main,

Wo Toot Chuka Tha Mohabbat Main,
Mgar Us Ko Mohabbat Se Koi Shikayat Nai Thi..

Monday, January 8, 2007

7 november ko tum dil mango gay hum denge

7 november ko tum dil mango gay hum denge
jigar mango gay hum denge
eyes mango gay hum denge

.
.
.
..kyun ke

.

.
Us din hum ne bakra zebah karna hai

Bhaija hey uss ney salam-e-muhabbat

Bhaija hey uss ney salam-e-muhabbat
Karein gey ab ham kalam-e-muhabbat

Mubarak ho ishq ki manzil uaey
Aankhon se daiengey pyam-e-muhabbat

Gham-e-rozzgar agar na ho saqi
Hey zindagi ki zaroorat jam-e- muhabbat

Aahoon mein jinkee asar hota hey
Paa lety hein wo sham-e- muhabbat

Qaiss ko kehtey hein deewana sabb
Dewano ko milta hey dawam-e-muhabbat

Boo-e-gul per fida ho gaee bullbull
Chaman ko dey gaee pegham-e-muhabbat

Bahar aaney pey sajey ga chhaman
Khushbo se mehkey gee sham-e-muhabat

Muhabbat ko roog matt kahoo
Liya karoo izzat se naam-e-muhabbat

Saturday, January 6, 2007

Khuda Nahi Hai To Kiya Hai... Hamarey Seenon Main

Khuda Nahi Hai To Kiya Hai... Hamarey Seenon Main
Woh Ik Khatak Si Jisey Ham Zameer Kehte Hain

Kashtiyan Jalana To Rasm ek Purani Thi

Kashtiyan Jalana To Rasm ek Purani Thi
Hum Wahan Se Nikly To... Khwahishain Jala Aye

nahi k mujhko qayamat ka etiqad nahi

nahi k mujhko qayamat ka etiqad nahi
shab-e-firaq se roz-e-jaza ziyad nahi

koi kahe k shab-e-mah mein kya burai hai
bala se aj agar din ko abr-o-bad nahi

jo aun samne un k to marhaba na kahen
jo jaun wan se kahin ko, to khairabad nahi

kabhi jo yad bhi ata hun main to kahte hain
k aj bazm mein kuch fitna-o-fasad nahi

alawa eid k milti hai aur din bhi sharab
gada-e-kucha-e-maikhana namurad nahi

jahan mein ho gam-o-shadi baham, hamein kya kam
diya hai hamko Khuda ne wo dil k shad nahi

tum un k wade zikr un se kyun karo "Ghalib"
ye kya k tum kaho aur wo kahen k yad nahi

Waqt guzarta raha per sans thami si thi

Waqt guzarta raha per sans thami si thi,
Muskura rahe thy hum,per ankhon me nami si thi,

Saath hamaray jahan tha sara,
Per najanay kion tumhari kami si thi

Friday, January 5, 2007

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?

TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere

Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere

Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere

Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere

Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere

Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere

Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere

TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere

Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere

Thursday, January 4, 2007

Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan

Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan
Chand nikla hai tujhay dhoondhnay pagal ki tarhan


Khushk patton ki tarah log uray jatay hain
Shehr bhi ab tou nazar aanay laga jungle ki tarah


Phir khayalon main teray kurb ki khushbu jaagi
Phir barasnay lagi anakahin meri badal ki tarhan


Be-wafaoon say wafa kartay guzari hai hayat
Ye barasta raha weeranay pe badal ki tarhan.

Unhain Tafseel Se Kese Sunaain Ye Qissa Mohabbat Ka

Unhain Tafseel Se Kese Sunaain Ye Qissa Mohabbat Ka
K Wo Masroof Hai Ab Tak Humain Barbad Krny Me

Tujh Se Bichra To Kisi Dar Ka Na Raha

Tujh Se Bichra To Kisi Dar Ka Na Raha,

Khushk Pattay Ki Tarha Aaj Bhi Safar Me Hun

Saarey chehron mein neyaa lagta hai,

Saarey chehron mein neyaa lagta hai,
Woh mujhe sab se judaa lagta hai..

sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa

sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya

zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya

ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya

betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya

Wednesday, January 3, 2007

Meri Wafa Tere Sitam

Meri Wafa Tere Sitam
Dono hi La-Jawab Hain...

Neend Shayari Sms

Neend Shayari Sms

Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !

Kyun baandh baithte hum umeed gairo se

Kyun baandh baithte hum umeed gairo se
Kyun nahi samjhte rishta hai bandha gairo se

Laafzon se khelte hai aur bandh te hai rishta
Hoon main har pal saath kehte hai jaise apno se

Duniya badi maatlabi hai dekh liya aaj maine
Khate hai dhoka hum aapna kehne walo se

Dukhao ge dil kisi ka to saza bhi yahi paoge
Khuda se to daro chahe na daro duniya walo se

Jeeyo aur jeene do kam se kaam sukun se hume
Na nibha sako to na baandho kisko umeedo se

Lo phir meri neend ka imtehaan

Lo phir meri neend ka imtehaan
Iss baar bhi khabon mai layengi aapko

Mujh Ko Ye Aarzoo Woh Uthaain Naqaab Khudd

Mujh Ko Ye Aarzoo Woh Uthaain Naqaab Khudd
Unn Ko Ye Intezaar Taqazzaa Karey Koi

Tuesday, January 2, 2007

ye Pyari Nigahein Yaad Rahengi

ye Pyari Nigahein Yaad Rahengi
Milkar Na Milne Ki Ada Yaad Rahegi
Mumkin Nahi Ki Main Tumhe Bhula Dun
Aur Umar Bhar Tumhe Bhi Meri Yaad Rahegi

Meri tarha kisi ko bhi khona nahi’n parra

Meri tarha kisi ko bhi khona nahi’n parra
Tum khush-naseeb ho, tumhein rona nahi’n parra

Bin mangay mil gai tumhein har manzil
Talwo’n mein koi khaar chubhona nahi’n parra

Sad shukr, mujh dareeda badan ki tarha tumhein
Kaanto’n pe aik raat bhi sona nahi’n parra

Dushman se surkh’roo hun, k badla nahi’n liya
Sharminda apny aap se hona nahi’n parra

Rakhay tamaam chaak salamat, firaaq k
Pardes mein bhi seena parona nahi’n parra

Ki zindagi ne meri wakalat kuch is tarha
Baar-e-saboot bhi mujhy dhona nahi’n parra

Naazaa’n hun, apny qaalib-e-deewan mein mujhy
Bharti ka koi sher samona nahi’n parra . . . !

Monday, January 1, 2007

Har Raat Gum Tanhai

Har Raat Gum Tanhai
Har Sham Teri Yaad Ai
Jitna Tujhe Bhulana Chaha
Utni Ziyada Teri Yaad Ai
Tujh Se Koi Umeed Nahi Wabista
Is Dukh Se Ankh Bhar Ai
Logo Ne Pocha Ashko Ka Sabab
Bus Hamein Kehna Para TANHAI

Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol

Tujhy bhula k jiyun, aisi bad-dua bhi na de
Khuda mujhy ye tahammul, ye hosla bhi na de

Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol
Sunay baghair mujhy, apna faisla bhi na de

Ye umer meine tery naam be-talab likh di
Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de

Ye din bhi aaingy, aisa kabhi socha na tha
Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de

Ye ranjish’ain to muhabbat k phool hain ‘Sajid’
Ta’aluqaat ko is baat per ganwa bhi na de

Kabhi to dekhy ga wo tum ko jhank kar

Kabhi to dekhy ga wo tum ko jhank kar,
Us ki gali mein roz tamasha kia karo..

Chottiyan chuu kar guzartey hain, barastey kyon nahin,

Chottiyan chuu kar guzartey hain, barastey kyon nahin,
Baadlon ki aik surat aadmi jesi bhi hai..

Zakir yeh shayari ki dhun bhi hai buri balaa,

Zakir yeh shayari ki dhun bhi hai buri balaa,
Hum ne milaaya khaak main sab karobaar ko..