Thursday, October 13, 2005

Wakt ka dariya paon k neechy behta tha

Dhoop Gharri ka daur bhi kitna acha tha
Wakt ka dariya paon k neechy behta tha

Meine aankhain mond’een aur dum saadh liya
Aik parinda kandhay per aa betha tha

Sabit hain ab tak phoolon k do surkh nishan
Khuwab mein kis ne mera maatha chooma tha

Barhti umer k sath khulay israar us kay
Kitna zaalim thaw o hijr jo pehla tha

Jab apny itraaf mein bheer ka shor suna
Tab mujh ko ehsaas hua mein tanha tha

Hijr k us lamhay per ab tak naadim hun
Tark-e-ta’alluq ki baabat jab socha tha

Khaak urraatey phirtey hain ab khaak nasheen
Ik din kehkashan per pao’n na tikta tha

No comments:

Post a Comment