Thursday, August 25, 2005

Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain

Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain
khayaban khayaban iram dekhtay hain

Dil aashuftagan khal e kunj dehen kay
sawaida me sair e adam dekhtay hain

Teray sar o qamat say ek qad e aadam
qayamat kay fitnay ko kam dekhtay hain

Tamasha! keh aey mehw e aaynadari
tujhay kis tamanna say ham dekhtay hain

Bana kay faqeeron ka ham bhais Ghalib
tamasha e ahl e karam dekhtay hain

No comments:

Post a Comment