Wednesday, August 31, 2005

Haal e dil kehne bari shan se ae the khamar

Haal e dil kehne bari shan se ae the khamar
Abb to sunane ko wo bethe hain to kuch yaad nahin

Hum Na Samjhay Teri Nazron Ka Taqaza Kya hai

Hum na samjhe teri nazron ka takaza kia he
Kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kia he

Mujh ko madhosh sa kar rakha her teri ankhon ne
Warna aye saaqi tere maikhaane main rakha kia he

Daikh laila tere majnoo ka kaleja kia he
Khak main mill k bhi kehta he k bigra kia he


Ye surahi sa badan lekay mere samne na aa
Main sharabi hoon sharabi ka bharosa kia he

Apne hathon ko mere honton se chonay tu dey
Ek do ghoont se botal ka bigarta kia he

Ekk Tumharay Rooth Janey Se..!

Ekk Tumharay Rooth Janey Se..!
Kissi Ko Kuchh Nahien Hotaa..!..
Phooll Mehaktay Hain..!
Rangg Bhee Dammaktay Hain..!
Surajj Bhee Niklta Hai..!
Taray Bhee Chamktay Hain..!

Nae diwanon ko dakhain to khoshi hoti hai

Nae diwanon ko dakhain to khoshi hoti hai
Hum bhi aise hi the jab ae the wairane

Tuesday, August 30, 2005

Mera Sawan Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo

Mera Sawan Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo..!
Sehra Ki Bahon Main Chupi Aas Bhi Tum Hoo..!

Tum Yun To Bohat Door Bohat Door Ho Mujh Se..!
Ehsas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Hoo..!

Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara ..!
Har Dard Main RAHAT Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Kho Jao To Veeran Si Ho Jati Hain Rahein ..!
Mil Jao To Phir Jeeny Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Likhta Hun To Tum Hi Utarty Ho Qalam Se..!
Parhta Hon To Lehja Bhi Tum, Awaz Bhi Tum Hoo..!

Tumhara naam lene se... mujhe sab jaan jaaty hain

Tumhara naam lene se... mujhe sab jaan jaaty hain
Main wo khoi hoi cheez hon... jis ka pata tum ho

Usko chaha to mohabbat ki takleef samajh aayi..

Usko chaha to mohabbat ki takleef samajh aayi..
warna is lafz ki sirf tareef suna karte they....!!

Jandi ae te jaye chahe meri jaan jaye,

Jandi ae te jaye chahe meri jaan jaye,
din ka sakoon meri raat da araaam jaye,

Ik milda nai ohh jerra puchda aye haal mera,
subah tu din tey jeewain din tu shaam jaye….

Koi Tabeer ka wada nahi krna..??

Koi Tabeer ka wada nahi krna..?? na kr...
khwab-ger Aaj koi Khwab udhara dy dy...

Monday, August 29, 2005

aye kuch abr kuch sharab aye

aye kuch abr kuch sharab aye
us k bad aye jo azab aye

bam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi main aftab aye

har rag-e-khun main phir charagan ho
samne phir wo benaqab aye

umr k har waraq pe dil ko nazar
teri meher-o-wafa k bab aye

kar raha tha gam-e-jahan ka hisab
aj tum yad behisab aye

na gai tere gam ki sardari
dil main yun roz inqalab aye

jal uthe bazm-e-gair k dar-o-bam
jab bhi ham khanamankharab aye

is tarah apni khamashi gunji
goya har simt se jawab aye

'Faiz' thi rah sar basar manzil
ham jahan pahunche kamayab aye

Tu ehl-e-nazar hy to nahi tujh ko khabar Q.

Tu ehl-e-nazar hy to nahi tujh ko khabar Q...?
pehlo me tere koi zamany se khara hy.

Sunday, August 28, 2005

us ko juda hue bhi zamana bahut hua

us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua

dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua

ham khuld se nikal to gaye hain par ai khuda
itne se vaqaye ka fasana bahut hua

ab ham hain aur sare zamane ki dushmani
us se zara rabt barhana bahut hua

ab kyon na zindagi pe muhabbat ko var den
is ashiqi main jan se jana bahut hua

ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka
mana k us se milna milana bahut hua

kya kya na ham kharab hue hain magar ye dil
ai yad-e-yar tera thikana bahut hua

kahta tha nasehon se mere munh na aio
phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua

lo phir tere labon pe usi bevafa ka zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kaha na bahut hua

Batao Besabab Kyun Rooth Jati Ho

Wo Kehta Hai
“Batao Besabab Kyun Rooth Jati Ho..?”

Main Kehti Hoon
“Zara Mujh Ko Manao
…Acha Lagta Hai…”

Wo Kehta Hai
“Mera Dil Tum Say Aakhir Kyun Nahe Bharta..?”

Main Kehti Hoon
“Muhabat Ki Koi Had Hi Nahe Hoti…”

Wo Kehta Hai
“Batao Main Tumhain Kyun Bhaa Gaya Itna..?”

Main Kehti Hoon
“Meri Jan Hadsay To Ho Hi Jatay Hain…”

Wo Kehta Hai
“Achanak Main Tumhain Yun Hi Rulaa Doon To..?”

Main Kehti Hoon
“Mujhe Dar Hai K Tum Bhi Bheeg Jao Gay..?

Saturday, August 27, 2005

2 Din baqi hein Eid mai

2 Din baqi hein Eid mai

Wada Karo Bari Eid Par

Have a Happy Eid Mubarak

Aapko Eid-ul-Azha Mubarak ho

I’m The First 2 say u Eid Mubarak

Sprite University of Freshology

Happy 3rd Day of Eid-ul-Azha

Wish you a Happy Eid Mubarak

Eid Mubarak to u

Wishing a Very Happy Eid 2 All Muslims

Poocha Jo Un Se Chaand Nikalta Hai Kis Tarhan

Poocha Jo Un Se Chaand Nikalta Hai Kis Tarhan,
Zulfon Ko Rukh Pe Daal Ke Jhatka Diya Ke, Yun

Friday, August 26, 2005

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq

Kio Rakhun Main Apny Kalam Main Siyahi

Kio Rakhun Main Apny Kalam Main Siyahi ?.
Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi ?.
Na Jany Kio Sabi Shak Kertay Hain Muj Par ?.
Jab Sukha Gulaab Meri Kitabun Main Milta Hi Nahi ?.
Kashish Tu Bohat Thi Meray Piyar Main ?.
Magar Kiya Keru Koi Pathar Dil Piglta Hi Nahi ?.
Ager Khuda Milay Tu Us Se Apna Piyar Mangun Ga ?.
Par Suna Hay Wo Marney Se Pehlay Kisi Se Milta Hi Nahi ?.

Khoda kare k achanak wo samne aa kar,

Khoda kare k achanak wo samne aa kar,
Mere labhon ko nae kuch sawal dee jae.

Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko

Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko
Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko

Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay
Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko

TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee
Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko

Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman
Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko

Baadaah Phir Baadaah Hai Mein Zeher Bhee Pee Jaon Qateel
Shart Ye Hai Koi Baanhon Mein Sambhaalay Mujhko

Thursday, August 25, 2005

Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain

Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain
khayaban khayaban iram dekhtay hain

Dil aashuftagan khal e kunj dehen kay
sawaida me sair e adam dekhtay hain

Teray sar o qamat say ek qad e aadam
qayamat kay fitnay ko kam dekhtay hain

Tamasha! keh aey mehw e aaynadari
tujhay kis tamanna say ham dekhtay hain

Bana kay faqeeron ka ham bhais Ghalib
tamasha e ahl e karam dekhtay hain

Neendain girvi hain us ke paas,

Neendain girvi hain us ke paas,
Mohabbat ka qarz liya tha jis se..

Band pinjroon me parindoon ko daikha hai kbhi,

Band pinjroon me parindoon ko daikha hai kbhi,
Aise sisakte mohabat ke mujrim nahi dekhe..

Kash tu dekh sakta mujhay raat ke us pehar main

Kash tu dekh sakta mujhay raat ke us pehar main,
kitni bedardi say teri yad meri neend chura layti hai

Wednesday, August 24, 2005

Tuesday, August 23, 2005

Yehi Thokren – Zindagi Shayar in Urdu

Yehi Thokren – Zindagi Shayar in Urdu

Mushkilen Dil K Irade Aazmayen Gi
Nigahon Se Khuwabon K Parde Hataye Gi
Gir Kar Kabhi Himat Na Harna
Yehi Thokren Tumhain Zindagi Main Chalna Sikhayen Gi

Barson Kay Baad Dekha , Ak Shaks Dil Ruba Sa

Barson Kay Baad Dekha , Ak Shaks Dil Ruba Sa
Ab Zehen Main Nahi Hay, Par Naam Tha Bhala Sa

Abro Khichay Khichay Sey Aankhain Jhuky Jhuky See
Baatain Rukay Rukay Say, Lehja Thaka Thaka Sa

Khowabon Main Khowab Us Ka, Yaadon Main Yaad Us Ki
Nendon Main Ghul Gaya Ho, Jesay Keh Rat-Jaga Sa

Pehlay Bhi Log Aaye, Kitnay Hi Zindagi Main
Lekin Wo Har Tarah Say, Ouron Say Tha Juda Sa

Aglee Mohabaton Nay, Wo Na-Muradiyaan Deen Thin
Taza Rafakaton Say, Kuch Dil Tha Dara Dara Sa

Kuch Ye Keh Muddaton Say, Hum Bhi Nahi They Roye
Kuch Zehar Main Bujha Tha Ehbaab Ka Dilasa

Ab Sach Kahain Tu Yaron, Hum Ko Khabar Nahi Thi
Ban Jaye Ga Kayamat, Ak Wakiya Zara Sa

Taivar Be-Rukhi Kay Andaaz Dosti Kay
Wo Ajnabi Tha Laikin, Lagta Tha Aashna Sa

Hum Dasht They Keh Dariya, Hum Zehar They Keh Amrit
Nahak Tha Za’am Hum Ko, Jab Wo Nahi Tha Pyasa

Mujhe Maut De K Hayat De

Mujhe Maut De K Hayat De
Mere Be Hunar Marsat De

Meri Pyaas Sadyon Ki Pyas Hai
Mere Karbala Ko Faraat De

Mere Ratjagon K Hisaab Main
Koi Aik Neend Ki Raat De

?’Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho

?’Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho
Baat itni b na brr jaye k ruswai ho

Jis ne b mujhko tamasha sa bana rakha hy
Ab zarori hy wohi aankh tamashai ho

Dobne wale to aankho se b kub nikle hain
Dobne k liye lazim nahi,gehrai ho

Main tujhe jeet b tohfey me nahi de sakta
Chahta ye b nahi hon teri paspai ho

Koi anjan na ho shehr-e-mohabat ka makeen
KASH har dil ki har ik dil se shanasai ho

Yon guzar jata hai MOHsin tere koche se woh
Tera wakif na ho jese koi SODAI ho..!

Monday, August 22, 2005

Neya saal aya

Neya saal aya...!!
Veera'n subho'n ki Neeli teho'n se obhrta..
Kheyyaba'n-o-Dasht-o-Jabal ki Thatharti khamoshi me..
Barfeeli seeti bajata..
Dabey paao'n aya..
Yukh Aalooda shamo'n ki khamoshia'n..
Oss ke Qadmo'n ki Aahat sametey...
Guzr-gaho'n per, saybano'n me, Noha kina'n hain..
Der ati hi sham ko, Daricho'n ki Dararo'n se...
pur-shor Jhonko'n ki be-mohr Thandak..
Brodat zada panio'n per, prindey..
Kinaro'n per Aistaadah pairo'n ki gham-nak...
shakho'n ki Janib orey ja rahey hen...
Makee'n Aangano'n me, chatto'n per..
Dharktey Dilo'n me hazaro'n kheyyalo'n ki shmaie'n jalaye..
Dabey paao'n atey hoye saal ko dekhtey hain

Sataya na karo humein yun is tarah

Sataya na karo humein yun is tarah
Ke hum bhi insaan hai tumhari tarah,
Aaj hum hain,kal na ho, kise maloom
Ho sakta hai ke,phir tum pachtaoo,kise maloom,
Zakhm-e-dil ko aur na zakhmi karo
Ke ye to hai sheeshe se bhi nazuk,
Ek baar toot gaya to judhna hai mushkil
Ho sakta hai,kal tum koshish karo,kise maloom

Sheher Mein Teri Paziraai Na Honay Dongi

Sheher Mein Teri Paziraai Na Honay Dongi
TU Mera Hai Tujhay Harjaai Na Honay Dongi

Chup Rahon Gi Jo Kahay Ga Koi Tujh Ko Majnoon
Is Sy Bardh Kar Teri Ruswaai Na Honay Dongi

Yaad Aaon Gi Tujhay Achhay Dinon Ki Soorat
Main Mukammal Teri Tanhaai Na Honay Dongi

Janti Hon Ke Mera Hona Hay Us Say Mashroot
Apnay Dushman Ki Main Paspaai Na Honay Dongi

Achhay Lagtay Hain Mujh Ko Parinday Lekin
Us Ko Unka Bhi Tamannaai Na Honay Dongi..!!

ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain

ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain

dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain

aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain

ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz'
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain

Sunday, August 21, 2005

Reh na paoge bhula kar dekh lo

Reh na paoge bhula kar dekh lo,
Yakin na aaye to aajzma kar dekh lo,
Har jagah mehsus hogi meri kami,
Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo

Ek Ajnabi Hay Magar,Rooh-Shanas Lagta Hy

Ek Ajnabi Hay Magar,Rooh-Shanas Lagta Hy
Meri Tarha Mujhy,Wo Bhi Udaas Lagta Hy
Karon Talash Tou Ho Shak Wajood Pe Us K
Jo Aankhain Band Karon,Aas Paas Lagta Hay

dil dharakne ka sabab yad aya

dil dharakne ka sabab yad aya
wo teri yad thi ab yad aya

aj mushkil tha sambhalna ai dost
tu musibat main ajab yad aya

din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada-e-shab yad aya

tera bhula hua paiman-e-wafa
mar rahenge agar ab yad aya

phir kai log nazar se guzre
phir koi shahar-e-tarab yad aya

hal-e-dil ham bhi sunate lekin
jab wo rukhsat hue tab yad aya

baith kar saya-e-gul main 'Nasir'
ham bahut roye wo jab yad aya

Chandni Raat Ko Saher Kehna

Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,

Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,

Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,

Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,

Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,

Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,

Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna,

Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.

Saturday, August 20, 2005

agar yon hi ye dil satata rahega

agar yon hi ye dil satata rahega
to ik din mera ji hi jata rahega

main jata hun dil ko tere pas chore
meri yad tujhko dilata rahega

gali se teri dil ko le to chala hun
main pahunchunga jab tak ye ata rahega

qafas main koi tum se ai ham-safiron
khabar kal ki hamko sunata rahega

khafa ho k ai ?Dard? mar to chala tu
kahan tak gam apna chupata rahega

Aaj Phir Teri Yaadon Ka Toofaan Utha Mujh Me

Aaj Phir Teri Yaadon Ka Toofaan Utha Mujh Me
Aaj Phir Neend Ankhon Me Doob K Dum Tor Gai

Friday, August 19, 2005

Apne dil ke kisi koney main chupaa le mujh ko

Apne dil ke kisi koney main chupaa le mujh ko,
Aur zamane ki nigahon se bacha le mujh ko,

Maanti hoon ke meri zaat main hain aib tamam,
Phir bhi haar apne galey ka tu bana le mujh ko,

Main hoon tasveer teri raah main, koi rond na de,
Dil ke sheeshey main mohabbat se saja le mujh ko,

Main to heera hoon magar kis ko hai pehchan meri,
Pyar se barh ke tu hathon mein utha le mujh ko,

Us ke hote huye ab ban’na sanwarna kesa,
Apni chahat se kisi rang main dhaaley mujh ko,

Hijar ki dhoop main jalte huye ik muddat se,
Thak chuki hoon zara seene se laga ley mujh ko,

Zindagi mein aajey gi Sassi teri,
Jab bhi dil chahey tera pass bula le mujh ko

Khawahish hai k daikhon tere chehre ko musalsal

Khawahish hai k daikhon tere chehre ko musalsal,
Itna muje bhaea hai tera chand sa chehra

Thursday, August 18, 2005

Apna to chahton mein yehi ik asool hai

Apna to chahton mein yehi ik asool hai,
Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai,

Yeh umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye,
Tu naa mila to saari reyaazat fazool hai,

Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de,
Ab chorr di to kyon tera chehra malool hai,

Aye Maan yeh meri shohrtain meri yeh iztain,
Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai,

Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri,
Iss waqt tere dard ka dil per nazool hai,

Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi,
Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai..

Deewana koi chaak garibaan na milay ga

Deewana koi chaak garibaan na milay ga
ab koi shanasa e baharan na milay ga

Guzren gay bohat log teri rahguzar say
par ham sa koi sookhta saman na milay ga

kab yaad na aay gi teray ahd e wafa ki
kab ashk sar daaman e miszgaan na milay ga

Ab umr isi haal mein kat jayay gi shayed
taskeen ka pehloo kisi unwaan na milay ga

Jaltay hen keh ab aatish e gham sard na hogi
kurdhtay henkeh is dard ka samaan na milay ga

Is jashn gulo lala kay amboh mein koi
ghamkhoar tujhay shabnam giryan na milay ga

Ahsaan uthatay ho abas chara garon kay
ye gham to aey sina e figaran na milay ga

Ara,esh gaisoo ka khayal aay ga tum ko
jab koi bhi sargashta o hairaan na milay ga

Kantay hen kahin aur kahin sang giran hen
KAIFI meri rahon mein gulistaan na milay ga

garaj baras pyasi dharti

garaj baras pyasi dharti par phir pani de maula
chidiyon ko dana, bachon ko gudadhani de maula
do aur do ka jod hamesha char kahan hota hai
soch samajhavalon ko thodi nadani de maula
phir roshan kar zeher ka pyala chamaka nai saliben
jhuthon ke duniya mein sach ko tabani de maula
phir murat se bahar aakar charon or bikhar ja
phir mandir ko koi mira divani de maula
tere hote koi kisi ke jan ka dushman kyon ho
jinevalon ko marane ke aasani de maula

Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai

Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai
Dekhuun Tou Nazar Badal Raha Hai

Kiun Baat Zabaan Se Keh Ke Khoyi ?
Dil Aaj Bhee Haath Mal Raha Hai

Raaton Ke Safar Mein Wehem Sa Tha
Ye Mein Hun Ke Chaand Chal Raha Hai ?

Hum Bhee Tere Baad Jee Rahain Hain
Aur TU Bhee Kaheen Behel Raha Hai

Samjha Ke Abhee Gayi Hain Sakhiaan
Aur Dil Hai Ke Phir Machal Raha Hai

Hum Hee Buray Ho Gaye —- Ke Tera
Mayaar-e-Wafaa Badal Raha Hai ?

Teri Chahat Ab Meri Aankhon Me Hai

Teri Chahat Ab Meri Aankhon Me Hai
Teri Khushbu Meri Sanson Me Hai
Mere Dil Ko Jo Ghayal Kar Jaye
Aisi Ada Sirf Teri Baaton Me Hi Hai

tum ne pocha hai mujhse

tum ne pocha hai mujhse
k kion mujhay koi gila hai tumsay
meri khamosh nigahoun ko
na samjha hai sabnay
mujhko maloom hi nahi hai
meri is udassi ka sabab
her bar tumhsay yun
jhagarnay ka sabab
kuch pal hain puranay
jo mujhay jee nahi daitay
main jo marna chahoun
to wo marnay b nahi daitay
ab in ansooun ko mai
chupaon kis say
tum nay pocha hai mujhsay
k kion koi gila hai tumsay
ab kia bataon main
sar-e-aam majborian apni
tera dil to buhat hi janam
aashna hai mujhsay
kia kahun main ab
k kion shikwa hai sabsay
tumnay pocha hai mujhsay
k kion koi gila hai tumsay

Wednesday, August 17, 2005

badban khulne se pahle ka ishara dekhna

badban khulne se pahle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna

yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar
jate jate us ka wo mur k dubara dekhna

kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna

aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

Ye teri umeed ko kya hoa.

Ye teri umeed ko kya hoa... Kabi tu ne ghor nahi kiya
Ksi Sham tu ne kaha to tha... Teri Sans hon.. Teri Aas hon

Aj Teri Yaad Ne Mujhe Kuch Likhne Par Majboor Kiya

Aj Teri Yaad Ne Mujhe Kuch Likhne Par Majboor Kiya
Aisa Laga Jese Tum Ne Bhi Mujhe Yaad Hai Zaroor Kiya

Agar Thi Mujhse Itni Mohabbat Tumko Janam
To Phir Tum Ne Mujhe Kiun Khud Se Itna Door Kiya

Jalanay walay jaltay hi hain charagh aakhir.

Jalanay walay jaltay hi hain charagh aakhir. . !
Ye kia kaha k lou taiz hai zamanay ki. . !

Koi Surat Aashna Apna Na Begana Koi

Koi Surat Aashna Apna Na Begana Koi
Kuch Kaho Yaaron Yeh Basti Hai Ke Weerana Koi

Subha-Dum Dekha To Sara Bagh Tha Gul Ki Tarah
Shama Ke Taaboot Par Roya Na Parwaana Koi

Khilwaton Mai Roye Gi Chup Chup Ke Laila-E-Ghazal
Is Bayabaan Mai Na Ab Aye Ga Deewaana Koi

Hum-Nasheen Khamosh, Deewarein Bhi Sunti Hain Yahan
Raat Dhal Jaye To Phir Chairenge Afsaana Koi

Tuesday, August 16, 2005

hamain koi gam nahin tha gam-e-ashiqi se pahle

hamain koi gam nahin tha gam-e-ashiqi se pahle
na thi dushmani kisi se teri dosti se pahle

hai ye meri bad nasibi tera kya qasur is main
tere gam ne mar dala mujhe zindagi se pahle

mera pyar jal raha hai ai chand aj chup ja
kabhi pyar tha hamain bhi teri chandni se pahle

main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota
k hazaron gam milenge mujhe ik khushi se pahle

ye ajib imtehan hai k tumhi ko bhulana hai
mile kab the is tarah ham tumhen bedili se pahle

Tumhare pass nahin to phir kis ke pass hai

Tumhare pass nahin to phir kis ke pass hai
Woh toot’ta Huwa dil akhir Gaya Kahan

jo na mil skay wohi be-wafa ye bari ajeeb sii baat hai

jo na mil skay wohi be-wafa ye bari ajeeb sii baat hai
jo chala gaya mujhe choor ker wohi aaj tuk mere saath hai
jo na mil sakay wohi be-wafa

jo kissi nazr se ata hoee wohi roshni hai khiyaal mein
wo na aa sakay rahoon muntazir ye khalish kahan thee visaal mein
meri justujoo ko khabr nahi na wo din rahe na wo raat hai
jo chala gaya mujhe choor ker wohi aaj tuk mere saath hai
jo na mil sakay wohi be-wafa

kare pyaar lub pe gila na ho ye kissi kissi ka naseeb hai
ye karm hai uska jahan nahi wo judaa bhee reh ker Qareeb hai
wohi ankh hai mere ru baru ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhe choor ker wohi aaj tuk mere saath hai
jo na mil sakay wohi be-wafa

mera naam tuk jo na le saka jo mujhe Qarar na de saka
jissi ikhtyaar tu tha mgr mujhe apna pyaar na de saka
wohi shaks meri talaash hai wohi durd meri hayaat hai
jo chala gaya mujhe choor ker wohi aaj tuk mere saath hai
jo na mil sakay wohi be-wafa

Monday, August 15, 2005

Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian

Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian
Baatain Puraanian Wohi Raatain Suhaanian

Un Per Tou Farz Hain Mere Harfon Ke Zaaiqay
Ab Jin Ko Aagayein Badi Baatain Bananian

Ay Ishq Aa Phir Se Koi Tajurba Karain
Mein Bhoolnay Laga Hun Puraani Kahanian

Wo Tere Qehqahay Thay Ke Jaisay Hujoom Mein
Tootain Kalaion Mein Khanakti Kamaanian

Ye Mere Ashq Hain Ke Paharon Mein Jis Tarah
Royein Basant Rut Mein Nadi Ki Rawaanian

Maango Dua Ke Khelti Khilti Rahain Sadaa
Sheheron Ki Dulhanain Meri Basti Ki Raanian

Mohsin Ko Kuch Tou Had-e-Sitam Ka Suraagh De ?
Kab Tak Raqam Karuun Mein Teri Meherbaanian

merey lafzon ki pehchan agar wo ker leta faraz

merey lafzon ki pehchan agar wo ker leta faraz
usey mujh se nahi,khud se hi muhabbat ho jati!

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

Sunday, August 14, 2005

Saturday, August 13, 2005

Socha Kisi Apne Se Bat Karu

Socha Kisi Apne Se Bat Karu
Apne Kisi Khas Ko Yad Karu
Kiya Jo Faisla EidUlFitr Mubark Dene Ka
Dil Ne Kaha Kyon Na Ap Se Shuruwat Karu,

Friday, August 12, 2005

Teri Soorat Ko Jab Se Dekha Hai,

Teri Soorat Ko Jab Se Dekha Hai,
Meri Aankhon Pe Log Marte Hain…

Aiyan hokar bhi hijaboon may rahey

Aiyan hokar bhi hijaboon may rahey
Zuban thi magr bezubanoon may rahey

Ajab asol hain ahl-e-dard ke yahan
Zakham kah kr bhi muskrahaton may rahey

Dhondney waley sagar ki teh se motti nikal laye
Khouf-e-aab isqadr ghalib tha ke hum kinaroon may rahey

Do gaam chaltey tu kamraani qadam choom leti
Kuch log mehv-e-khawab thay soo khawaboon may rahey

Taj-o-takht qadmon may padey muntizr thay aik nazr-e-iniyat ke
Hum sadaa kay darwaish thay so faqiroon may rahey

Log tu gunah bhi sajatey hain seenon pe tamghon ki tarah
Hum se hoi lamhe ki laghsish tu barsoon sazaon may rahey

Fursat milti tu mita letay tehreer-e-hijr loh-e-taqdeer se
Aalm-e-be-khudi may bus guzrey chand anmol lamhon ki yaadon may rahey

Choom Leti hain Latak kr kabi Chehra kabi Lab

Choom Leti hain Latak kr kabi Chehra kabi Lab
Tum ne Zulfon ko bohat Sir Pe Charha Rakha Hai

ham ny to chupky sy ak ghulab pheja tha usy

ham ny to chupky sy ak ghulab pheja tha usy
khushbo ny sary shehr mein tamasha bana dya

bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai

bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai
bhatke hue insan se kuch bhul hui hai

ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phulon k nigehban se kuch bhul hui hai

jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamai
us ahad ke sultan se kuch bhul hui hai

hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhul hui hai

huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhul hui hai

Thursday, August 11, 2005

Police ne Sardar ko pkr lia

Police ne Sardar ko pkr lia

Police: tm ne 20 aadmi kese maray ?

Sardar: Bus Ji main gaddi tez chala reya c, jadon main brake laye,
te pata laga ke brekaan e fail ne,
fer main samney vekhya te 1 pasay 2 banday ja raye c
te dujay pasay 1 baraat ja rai si

Hun tusi dasso main gaddi kiddar maarda?

Police Officers: jis taraf 2 admi c thora nuqsan honda!

Sardar: Main v ehi sochya si par jadon main ona wal gaddi morri te o nus k barat vich varr gya.

Meri kainaat main kayi sitarey gardish main

Meri kainaat main kayi sitarey gardish main
Main jis ki gardishon main hoon woh ik akela chaand hai

Aae khuda karde us shaks ke hawale mujhko,

Aae khuda karde us shaks ke hawale mujhko,
Ke apne seene se wo ek baar laga le mujhko,

Bikhar gai hun mein toot kar tukroon mein,
De usse taufeeq ke aake sambhale mujhko,

Ya tu uska saath aata kar mujhko umr bhar ke liye,
Ya tu chup chap apne paas bula le mujhko

Wednesday, August 10, 2005

Happy Ramadan ul mubarak

hum ap k dil main rehte hain,
Is liye her dard sehte hain,

Koi hum se pehle WISH na ker de apko,
Is liye sub se pehlay "Happy Ramadan ul mubarak" kehte hain

Yun kabhi ashkon se hall-e-dil bataa dena

Yun kabhi ashkon se hall-e-dil bataa dena
Chilmilati dhoop may barasti ghataa dekha dena

Mujhey fursat nahi hansnay hansaney se jaanan
Zakhm meri rooh kay mujhey tum dekha dena

Khiyal-e-yaar may koh kr raastey bhool jata hon aksr
Mil jaye awara gard tu ghar ka pata bataa dena

Darya bhi akhir samandron ki nazr ho jatey hain
Mai mar jaon tu nishaan meray sub mita dena

Silsilaa wo rafaqaton ka kaisey badlaa
Kia hoi chahatain raaz-e-ulfat ye sunaa dena

Saqi agaye hain teri mehfil may larkrahtay qadmoon
Jo zara aye hoosh tu jam aur pilla dena

Silaa milta hai wafaoon ka WAFA parha tha kaheen
Mil jaye wo haamil-e-tehreer tu bataa dena

Insha G utho ab kooch karo..

Insha G utho ab kooch karo..
Iss shehr me g ka lagana kya

Wehshi ko sukoon se kya matlab
Jogi ka nagar me thikana kya

Iss dil k darida daman me
Dekho to sahi socho to sahi

Jis jholi me sou chhaid huay
Uss jholi ka phailaana kya

Shab beeti,chaand bhi doob chala
Zanjeer parri darwazy par

Kyun dair gaey ghar aaey ho
Sajni se karo gay bahaana kya

INSHA G utho ab kooch karo
Iss shehr me G ka lagaana kya…

dil torne walon ko saza kyun nhe milti

dil torne walon ko saza kyun nhe milti.
har kisi ko pyar karne ki dua kyun nhe milti.

Log kehte hein eshq to ek beemari ha.
to phr Medical Store se iski Dawa kyun nhe milti.

Tuesday, August 9, 2005

Toofano ke nagri main koi pyar k deep jalaye kaisay

Toofano ke nagri main koi pyar k deep jalaye kaisay
Her hath main so so pathar hain koi kaanch ka ghar banaye kaisay
Dard k is markaz main her aankh hai pur-num ashko say
Yahan khushian to anmol c hain koi muskan labo pay laye kaisay
Wo waqt to kb ka beet gya dukh dard jb banta kartay thay
Ye khud-gharzon ke duniya hai koi tere ranj ghataye kaisay
Her shaksh masroof hai nafrat main yahan baat na kar muhabbat ke
Baharain chaman say rooth gayi hain phool pay shabnam aay kaisay
Ye nagar bohat aabad to hai per milta koi insan nahi
Jub izzat ho sub jhooton ke koi such labon pay laaye kaisay
Jub ujray basti khawabo ke or dil ka mosam jal thal ho
Phir zabt ka daman choota ho koi apnay ashak chupaaye kaisay
Jo tahreer nahi raikhaoon main usay toot k dil nay chaha hai
Her shay main uski soorat hai koi or nazar main samaye kaisay

Guzry Dinon Ki Bhuli Hui Bat Ki Tarha

Guzry Dinon Ki Bhuli Hui Bat Ki Tarha
Aankhon Main Jagta Hai Koi Rat Ki Tarha.
Us Se Umeed Thi K Nibhaye Ga Sath
Magar Woh Bhi Badal Gaya Mery Halaat Ki Tarha

Yeh Kurbatein To Bohat Imtihan Leti Hain

Yeh Kurbatein To Bohat Imtihan Leti Hain
Kisi Se Waasta Rakhna To Door Ka Rakhna

Dil k kareeb a k jab wo door ho gaye

Dil k kareeb a k jab wo door ho gaye
sary haseen khawb mery choor ho gaye

humne wafa nibhai to badnamiyan milin
jo log bewafa thy wo mashhor ho gaye

Zehan awara dil awara nazar awara

Zehan awara dil awara nazar awara
Kaise iss hal ko pohncha na kisi ne pocha

Monday, August 8, 2005

Sheher mein teri paziraai na honay dongi

Sheher mein teri paziraai na honay dongi
too mera hay tujhay harjaai na honay dongi

Chup rahon gi jo kahay ga koi tujh ko majnoon
is sy bardh kar teri ruswaai na honay dongi

Yaad aaon gi tujhay achhay dinon ki soorat
main mukammal teri tanhaai na honay dongi

Janti hon keh mera hona hay us say mashroot
apnay dushman ki main paspaai na honay dongi

Achhay lagtay hen Qamar mujh ko parinday lekin
us ko unka bhi tamannaai na honay dongi

Itni muddat baad mile ho

Itni muddat baad mile ho!
Kin sochon main gum rehte ho?

Itne khayef kyon rehte ho?
Her aahat se darr jaate ho

Taiz hawa ne mujh se poocha
Rait pe kya likhte rehte ho?

Kaash koi humse bhi pooche
Raat gaye tuk kyon jaage ho?

Main darya se bhi darta hoon
Tum darya se bhi gehre ho!

Koun si baat hai tum main aisi
Itne ache kyon lagte ho?

Peeche mur ker kyon dekha tha
Patthar ban ker kya takte ho?

Jaao jeet ka jashan manaao!
Main jhoota hoon, tum suche ho

Apne sheher ke sub logon se
Meri khatir kyon uljhe ho?

kehne ko rehte ho dil main!
Phir bhi kitne door khare ho

Raat humain kuch yaad nahin tha
Raat bohot hi yaad aaye ho

Humse na poocho hijr ke qisse
Apni kaho ab tum kaise ho?

Mohsin tum badnaam bohot ho
Jaise ho, phir bhi ache ho

Sunday, August 7, 2005

Aisa eid k din ap ko hamesha naseeb ho

Zindagi k her pal khushion se kam na ho,
Aap ka her din eid ky din se kam na ho,

Aisa eid k din ap ko hamesha naseeb ho,
Jis main koi dukh koi ghum pass na ho

Eid Mubarak

Friday, August 5, 2005

Yeh Bahtaa Khoon-E-Insaan Kah Rahaa Hai, Ruko Shaitaanou

Yeh Bahtaa Khoon-E-Insaan Kah Rahaa Hai, Ruko Shaitaanou
Kaheen Aisaa Na Ho, Taameer-E-Rab Khatrey Mein Parh Jaaye?

Mileygaa Kyaa Tumhain, Ae Qaatilo, In Beygunaahoun Kaa
Bahaa Kar Khoon, Ley Kar Jaan Khaatoonoun Ki, Bachchoun Ki?

Bataaou Koun Saa Mazhab Hai, Jis Mein Farz Ho Yeh Sab?
Zameen Hai Jannat-E-Insaan, Banaaou Mat Isey Dozakh

Zaraa Socho, Yeh Harkat Kaayaraanaa Kar Rahey Ho Kyoun?
Tumhain Uksaa Rahey Hain Jo, Wo Waarish Hain Yazeedoun Key

Khudaa Kee Rahmatoun Sey Door, Dozakh Mein Girogey Jaa
Musalmaan, Bouddh, Hindu, Sikh, Isaayee, Paarsee, Jainy
Sabhi Martey Hain, Jab Bhi Tum, Bharhak Kar, Forhtey Ho Bam

Mile to hazaron log they zindagi main

Mile to hazaron log they zindagi main
Wo sabse alag tha jo kismat mein nahi tha

Mujh ko hairat ki salibon say utaray koi

Mujh ko hairat ki salibon say utaray koi
be sadaa sheher mein ro kar hi pukaray koi

Kal tujhay dekhna chaha to ajab baat hoi
aankh par tank gaya chaand sitaray koi

Main teri zaat say bahir bhi teri zaat mein hon
kaisay dikhayay mujhay meray kinaray koi

Is nayay daor mein bachchon pe ye kia waqt parda
aag mein jhonk gaya un kay ghubaray koi

kis tarah nawo chalay itnay chardhay pani mein
teri yaadon ka sumandar to utaray koi

Thursday, August 4, 2005

Na kisi ki deed hui Na kisi k galy mily…

Na kisi ki deed hui Na kisi k galy mily…
Kaisi khamosh Eid thi,Jo aai or chali gai.

Kya Bura Hai Ke Main Mohabbat Kar Loon

Kya Bura Hai Ke Main Mohabbat Kar Loon
Log Wese Bhi Tou Kehte Hain Gunahgar Hoon Mein

Mujhe Maaf Kar Maire Humsfar

Mujhe Maaf Kar Maire Humsfar
Tuhje Chahna Meri Bhool Thi,

Kisi Raah Per Jo Uthy Nazar
Tujhe Dekhna Meri Bhool Thi

Koi Nazam Ho Ya Koi Ghazal ho
Kahen Raat Ho Ya Kahen Sehar ho

Wo Gali Gali Wo Shehar Shehar
Tujhe Dhondna Meri Bhool Thi

Meray Gham Ki Koi Dawa Nhi
Mujhe Tujhsa Koi Mila Nhi

Mera Koi Tere Siwa Nahi
Ye Sochna Meri Bhool Thi

Qabool-e-jurm hy aye ishq terey qadmon mein gir k,

Qabool-e-jurm hy aye ishq terey qadmon mein gir k,
Saza-e-mout hy manzoor mohabbat ab nahi karni..

Wednesday, August 3, 2005

Mere Silsily b ajeeb hain

Mere Silsily b ajeeb hain
tujhe choor kr tujhe dhoondna

Jis shakhs ne dharti k khad o khal obhare,

Jis shakhs ne dharti k khad o khal obhare,
Uss shakhs ka basti me thakana hi nahin tha.

Mohabbat Tarq Ki Mein Ne Gareban Si Liya Me Ne

Mohabbat Tarq Ki Mein Ne Gareban Si Liya Me Ne
Zamane Ab To Kush Ho,Zegar Ye Bhi Pi Liya Hum Ne
Ab Zinda Ho Laikin Sochta Rehta Ho Khaloot Mein
Ke Ab Tak Kis Tamana Ke Sahare Ji Liya Mein Ne

Kuchh Raat Ki Aankhien Bheegi Thein

Kuchh Raat Ki Aankhien Bheegi Thein
Aor Chaand Bhi ROotha Rootha THa
Aor Dill Bhi Toota Toota THaa
Kiss More Pe Bichhrey Yaad Nahin
Honton Pe Koi Faryaad Nahin

Iss Waadey Ki Bhi Khabbar Nahien
So Sacha Tha Ya Jhoota Tha
Harr Lamha Aahein Bhartey Hain
Naa Jeetey Hain Naa Martey Hain
Bass Ekk Dua Ye Kartey Hain
Woh Laut K Waps Aajaye
Woh Laut K Waps Aajaye

Main to jese pathar sa ho geya,

Main to jese pathar sa ho geya,
Baat uss ke mu se jab wafaa ki suni..

Tuesday, August 2, 2005

lab-e Khamosh se afsha hoga

lab-e Khamosh se afsha hoga
raz har rang main ruswa hoga

dil ke sahra main chali sard hawa
abr gulzar pe barsa hoga

tum nahi the to sar-e-bam-e-Khayal
yad ka koi sitara hoga

kis tawaqqo pe kisi ko dekhain
koi tum se bhi haseen kya hoga

zinat-e-halqa-e-agosh bano
dur baithoge to charcha hoga

zulmat-e-shab main bhi sharmate ho
dard chamkega to phir kya hoga

jis bhi fankar ka shahkar ho tum
us ne sadiyon tumhain socha hoga

kis qadar karb se chatkhe hai kali
shakh se gul koi tuta hoga

umr bhar roye faqat is dhun main
rat biti to ujala hoga

sari duniya hamain pahachanati hai
koi ham-sa bhi na tanha hoga

Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana

Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana
Us Main Sey Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Un Potloon Ko Phir Tum Toor Deyna
Un Sey Phir Tum Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Ta K
Kuch Kuch Tum Main Hum Reh Jayen
Kuch Kuch Hum Main Tum Reh Jana

Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho

Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho,
Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho,

Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami,
Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho,

Meri peyas’on, meri aaso’n, meri ankhon mein kabhi,
Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho,

Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi,
Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho,

Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi,
Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho,

Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar,
Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho..

Ahat si koi aye to lagta hai kay tum ho

Ahat si koi aye to lagta hai kay tum ho,
Saya koi lehraye to lagta hai kay tum ho,

Jab shakh koi hath lagatey hi chaman me,
Sharmaye lachak jaye to lagta hai kay tum ho,

Rastey kay dhundalkey me kisi mor pey kuch dor,
Ik lo si chamak jaye to lagta hai kay tum ho,

Sandal sey mehkati hoi purkaif hawa ka,
Jhonka koi takraye to lagta hai kay tum ho,

Orhey hoye taron ki chamkati hoi chadar,
Nadi koi bal khaye to lagta hai kay tum ho,

Jab rat gaye koi kiran merey barabar,
chup chap sey so jaye to lagta hai kay tum ho.

Monday, August 1, 2005

Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa

Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa
Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa

Ham Ne Chehray Pe Sajaa Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
Dil Ka Aalam Hai Veeraan Jazeeron Jaisa

Os Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia
Meray Mureedon Mein Tha Shakhs Wo Peeron Jaisa

Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi Rehaayi Jaisi
Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal Aseeron Jaisa

Os Ko Ganwa Ke Hain Khasaaray Ab Tak “Mohsin”
Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath Tha Heeron Jaisa