Tuesday, April 30, 2013

Ye bhi shaid zindagi ki ik ada hai dosto

Ye bhi shaid zindagi ki ik ada hai dosto
Jis ko sathi mil gea wo uar tanha ho gea

isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai

isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai
chali chalun ki jahan tak ye sath rahta hai

zamin-e-dil yun hi shadab to nahin ai dost
qarib main koi dariya zarur bahta hai

na jane kaun sa fiqra kahan raqm ho jaye
dilon ka hal bhi ab kaun kis se kahta hai

mere badan ko nami kha gai ashkon ki
bhari bahar main jaise makan dahta hai

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai

kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai

magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai

wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai

'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai

Kuch Tum ko B Azeez Hain Apne Sabhi Asool.

Kuch Tum ko B Azeez Hain Apne Sabhi Asool...
Kuch Hum B Ittefaaq Se Zidd k Mareez Hain

You are beautiful to me in more ways than you can see,

You are beautiful to me in more ways than you can see,
You are always on my mind,
it is obvious that you are the world to me.
From your amazing smile, to the sparkle in your eye,
I don't know how else to say it,
you make me want to be a better guy.
You can think that I am crazy,
and you can think that I am a fool,
But everytime that I am with you, I fall deeper and deeper in love with you.
Since the day I set eyes on you, your all that I have been thinking of,
Just take my hand, and I will give you everlasting love.
I do not know how to explain it, I feel I'm losing my mind,
But a girl as wonderful as you, is very hard to find.
You mean a lot to me, and you are special in your own way,
You make me feel good inside, and you light up my day.
In all past relationships all they did was give you pain and harm, but I promise you this,
as long as your with me,I will never do you wrong.
There is nothing more than I would rather do,
than taking the time, and spending it with you.
You make me laugh, and you make me smile, on you God went the extra mile.
There is something special about you that sets you apart,
and when I laid eyes on you, you captured my heart.
I have prayed to God to bring me someone like you,
And once you came into my life, I knew that my wish had come true.
I am in love with you, and you are always on my mind,
I want to say I love you, and I want you forever by my side.

who lights up my every day with Sunshine.

I Love You!!!!

You don't know what you do to me,

You don't know what you do to me,
It's just not possible to see.
You just can't begin to understand,
What I feel when you simply hold my hand.

There aren't sufficient words to tell you how I feel,
Only moments in time that sometime feel unreal.
It's a feeling that is felt every time you're near,
And awaking from a dream is sometimes what I fear.

But then I feel your breath, your warmth and loving touch,
And realize what we have is strong and means so much.
It's then that all my fears and worries just seem to slip away,
And realize that our love grows stronger with each passing day.

But whether its the first or twentieth as time has past,
What only really matters is that you'll be my last.
You've given me so much, more then you'll ever know,
How grateful I am is just impossible to show.

So what do you do when you know that your search is done?
And in this moment in time, it's as though your life has just begun.
It's as though at last your destiny seems clear,
Now nothing will hold you back, not even the fear.

So hold me close, please don't let me go,
My heart belongs to you, this you must know.
Here with you, not only for today,
Forever in your arms is where I will stay.

Balam Pichkari Lyrics from Yeh Jawaani Hai Deewani by Amitabh Bhattacharya

Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh bole re zamana kharabi ho gayi
Mere ang raja, jo tera rang laga
Toh seedhi-saadi chhori sharabi ho gayi

Itna maza, kyun aa raha hai
Tune hawa mein bhaang milaya

Itna maza, kyun aa raha hai
Tune hawa mein bhaang milaya
Dugna nasha, kyun ho raha hai
Aankhon se meetha tune khilaya

Ho teri malmal ki kurti gulabi ho gayi
Manchali chaal kaise nawaabi ho gayi, toh?

Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2)

Teri kalaai hai, haathon mein aayi hai
Maine maroda toh lagti malaai hai

Mehenga padega ye chaska malaai ka
Upvaas karne mein teri bhalaai hai

Ho bindiya teri mehtaabi ho gayi
Dil ke armaanon mein behisaabi ho gayi

Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2)

Kyun 'no-vacancy' ki, hothon pe gaali hai
Jabki tere dil ka kamra toh khaali hai
(kamra toh khaali hai...)

Mujhko pata hai re
Kya chahata hai tu
Boli bhajan teri
Neeyat Qawwali hai

Zulmi ye haazir-jawaabi ho gayi
Tu toh har taale ki aaj chaabi ho gayi, toh?

Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa, Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2)

Haan, bole re zamana kharabi ho gayi
Haan, bole re zamana kharabi ho gayi...

When I think about what we used to be,

When I think about what we used to be,
I cry and cry in spite of me.
It just seems crazy that was just last year,
Just last year I barely cried one tear.
Now I'm just hoping maybe tomorrow,
Maybe tomorrow there'll be no more sorrow.
Maybe tomorrow you'll give me a glance,
Mybe tomorrow you'll give me one last chance.
Maybe tomorrow you'll give me a call,
Maybe tomorrow I won't cry at all.
Maybe tomorrow you'll hug me tight,
Maybe tomorrow you'll love me good night.
Maybe tomorrow you'll take back my heart,
Maybe you'll give me a brand new start.
I'm living with dreams that won't come true,
For you will never love me as I love you.

Suna hai Tumharey haathon se chhot kar

Suna hai
Tumharey haathon se chhot kar
Koi kaanch toota hai
Kirchi kirchi wo kaanch
Bhikra pada hai rah may
Tehro
Ruko zara
Mat chhoona un kirchiyun ko
Ungliyan nazuk hain
Lahu lahu ho jayen gi

Suno jaanan
Kaanch ke tukron ko
Samaitney ke waastey
Meray haath le jao tum

Ilahi Lyrics from Yeh Jawaani Hai Deewani by Amitabh Bhattacharya

Ooh.. aah..
Ooh.. aah..

Shaame malang si
Raate surang si
Waadi udaan pe hi na jaane kyun
Ilahi mera jee aaye aaye
Ilahi mera jee aaye aaye

Da da dan dan dung dung dang...

Kal pe sawaal hai jeena filhaal hai
Khaana badoshiyon pe hi jaane kyun
Ilahi mera jee aaye aaye
Ilahi mera jee aaye aaye
brrrooom...

Da da dan dan dung dung dang...

Mera falsafaa kandhe pe mera basta
Chala main jahaan le chala mujhe rasta
Boondon pe nahin
Boondon ke samandar pe woh oo woh...

Ilahi mera jee aaye aaye
Ilahi mera jee aaye aaye ho...
Ho.. na na na....

Shaamein malang si
Raatein surang si
Waadi udaan pe hi na jaane kyun
Ilahi mera jee aaye aaye
Ilahi mera jee aaye aaye

O... woh..
O... woh..

Ilahii.. Ilahi.. Ilahi..!

Subhanallah Lyrics from Yeh Jawaani Hai Deewani by Amitabh Bhattacharya

Ek din kabhi jo khud ko taraashe
Meri nazar se tu zara, haaye re
Aankhon se teri kya kya chhupa hai
Tujhko dikhaaun main zara, haaye re
Ik ankahi si daastaan daastaan
Kehne lagega aaina Subhanallah...

Jo ho raha haim pehli dafaa hai wallah
Aisa hua, Subhanallah..
Jo ho raha hai pehli dafaa hai wallah
Aisa hua

Meri khamoshi se baatein chun lena
Unki dori se taarifein bun lena (x2)

Kal nahi thi jo aaj lagti hoon
Taareef meri hai khaamakha
Tohfa hai tera meri adaa

Ek din kabhi jo khud ko pukaare
Meri zubaan se tu zara, haaye re
Tujh mein chhupi si jo shayari hai
Tujhko sunaaun main zara, haay re
Ye do dilon ka waasta waasta
Khul ke bataaya jaaye naa
Subhanallah...

Jo ho raha hai, pehli dafaa hai Wallah
Aisa hua.. Subhanallah (x3)

Jo ho raha hai, pehli dafaa hai Wallah
Aisa hua..

Kabira Lyrics from Yeh Jawaani Hai Deewani by Amitabh Bhattacharya

Kaisi teri khudgarzi
Na dhoop chune na chhaaon
Kaisi teri khudgarzi
Kisi thor tike na paaon (x2)

Ban liya apna paigambar
Tar liya tu saat samandar
Phir bhi sookha mann ke andar
Kyun reh gaya

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera maan jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera maan ja
Aisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Tooti chaarpaai wohi
Thandi purvaai rasta dekhe
Doodhon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe..

Kaisi teri khudgarzi
Lab naam tera mera mishri
Kaisi teri khudgarzi
Tujhe preet purani bisri..
Mast Maula, mast Kalander
Tu hawa ka ek bavandar
Bujh ke yun andar hi andar
Kyun reh gaya..

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera maan jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera maan ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya...

Kabira 2 (Encore) Lyrics - Arijit, Harshdeep

Banno re banno meri chali sasuraal ko
Ankhiyon mein paani de gayi
Duaa mein meethi gud dhaani le gayi (x2)

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera yun na ja
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera yun na ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Re Kabira, Re Kabira
Re Fakeera, Re Fakeera... (x2)

Tooti chaarpai wohi thandi purvaai rasta dekhe
Doodhoon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe... (x2)

Ho Doodhoon ki malaai wohi
Mitti ki suraahi rasta dekhe...

Gudiya ri gudiya tera gudda perdesiya
Jodi aasmani ho gayi
Shagun pe dekho shaad maani ho gayi (x2)

Re Kabira maan jaa
Re Faqeera yun na jaa
Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan
Re Kabira maan ja
Re Faqeera yun na ja
Kaisa tu hai nirmohi kaisa harjaaiya

Re Kabira, Re Kabira...
Kabira - Rekha Bhardwaj, Tochi Raina

Ghagra Lyrics from Yeh Jawani Hai Deewani by Amitabh Bhattacharya

Sahebaan, kadardaan, meharbaan
Dil thaam ke baithiye kyun ki
Ab aapke saamne tashreef la rahi hain
Agra ki azeem fankaara
Mallika-e-Husn, noor-e-nazar
Mohatarma Mohini

Ladke o re ladke kahaan se aaya hai re tu
Pyara hai re shaqal se
Akal ka mara hai re tu (x2)

Haan jal gayi, haan jal gayi
Meri baaton se tu jal gayi
Haan khal gayi, tujhe khal gayi
Meri beparwahi khal gayi
Mohatarma tu kis khet ki mooli
Hai zara bata

TV pe breaking news haaye re mera ghagra haaye
Baghdad se leke Delhi via Agra (x2)

Ghagra ghagra tera ghagra ghagra
Tera ghagra ghagra via agra (x2)

Ghagra Ghagra...
Ghagra Ghagra...

Main hawa - Toh ud ja
Ghata - To mud ja
Kali - Kahaan ki
Adaa - Hat abhi

Bada besharam hai tu to likha hai padha
Yeh kamar - chhupa le
Nazar - Ghuma le
Pata - Main poochun
Umar - Tu jaane
Dekho berukhi pe kaise atka hai pada

Haan dhal gayi re dhal gayi
Tu shaam ki tarah dhal gayi
Haan khal gayi tujhe khal gayi
Meri bheparwahi khal gayi

Mohatarma tu kis khet ki mooli
Hai zara bata
Bematlab ki...
Bematlab ki bakwaas tera ghagra
Baghdad ho ya ho Delhi via Agra

TV pe breaking news haaye re mera ghagra
Baghdad se leke Delhi via Agra

Haaye re mera ghagra
Mera ghagra... ghagra aa aa...
Haaye re mera ghagra aa..
Ghagra mera.. mera mera...

(Kya baat hai bhai...)

Main nasha - utar ja
Khata - sudhar ja
Itar - main soonghu
Ghazal - main gaaun

Aise ban raha hai jaise koi tope hai
Main maza - main chahoon
Saza - main kaatoon
Raza - main poochhoon
Juaa - kyu kheloon
Hopeless hai tu phir bhi thodi hope hai

Haan tal gayi, haan tal gayi
Aafat ki tarah tal gayi
Haan khal gayi, tujhe khal gayi
Meri beparwahi khal gayi
Mohatarma tu kis khet ki mooli
Hai zara bata
Udhti firti afwaah tera ghagra
Baghdad ho ya Delhi via Agra

TV pe breaking news
Haaye re mera ghagra haan
Baghdad se leke Delhi via Agra

Ghagra ghagra tera ghagra ghagra
Tera ghaghra ghaghra via agra

I am sorry for saying the words

I am sorry for saying the words
that I never should have...
I didn't mean them.

I am sorry for making you feel
the way that you do...
I never meant it to hurt.

I am sorry for the ways
that we both felt...
I didn't mean to not understand.

I am sorry for thinking
in a way of such hurt as I did...
I never wanted those thoughts.

Please forgive me.

I went through life, meandering,

I went through life, meandering,
wondering...
Where life's road is taking me.
One day up, the other, down,
searching...
Knowing not my destiny.

All these years you were there;
committed...
As was I. Firm boundaries in place.
Then one day, these fences fell,
clattering...
Leaving us both free to choose.

Now we have choices, yes we do -
unlimited...
A freedom until now not known.
No demands, no expectations;
hesitating...
Could we meet our separate needs?

You are most wonderful by far, more
exceptional...
Than anyone I've ever met.
You give, you love, you share -
unique...
Could this be it for both of us?

You are kind, loving and warm;
unselfish...
You give so much day by day.
And I receive that warmth from you,
unending...
Will you tell me what you really feel?

The days are early - we have time;
contemplating...
About what's important to us both.
If we were meant for one another,
forever...
Will all be revealed in time to come?

Regardless of the signs right now,
promising...
We will soon know if it's for real.
We both need time to heal and grow;
recovering...
Before embracing that new tomorrow!

But while we share this journey dear,
together...
Let's enjoy what's ours to share.
Let's be gentle with each other,
loving...
And enjoy what fate has sent our way!

I love you angel, that you know;
Sabrina...
You are such a perfect mate!
I would take you as my own,
tomorrow...
If I knew you felt the same.

Friendship, love, respect and trust,
cemented...
Solidly in place for both of us.
A foundation under construction;
solid...
For you, for me, our little ones.

You and I,
Please Lord!
Just let it be.

Every night in my dreams I see you I feel you

Every night in my dreams I see you I feel you
That is how I know you go on.
Far across the distance and spaces between us
You have come to show you go on.

Near, far, wherever you are,
I believe that the heart does go on.
Once more, you open the door
And your here in my heart.
And my heart will go on and on.

Love can touch us one time and last for a lifetime.
And never let go till we're gone.
Love was when I loved you, one true time I hold to.
In my life we'll always go on.

Near, far, wherever you are,
I believe that the heart does go on.
Once more, you open the door
And your here in my heart.
And my heart will go on and on.

You're here, there's nothing I fear,
And I know that my heart will go on.
We'll stay forever this way.
You are safe in my heart,
And my heart will go on and on.

APOLOGY TO THE ONE I LOVE

APOLOGY TO THE ONE I LOVE

This special card I send to you,
To offer my apology.
I hurt the one I love so much,
The one who means so much to me.

Miss you more and more each day.
My heart is aching for you.
Say you will forgive me, dear,
Then I'll prove to you my love is true.

The only 1 who will not break

The only 1 who will not break ur heart is the one who made it.
So always trust & share your problems with "ALLAH THE GREAT"

Long after our anniversary

Long after our anniversary
And
this greeting has been thrown away
Think of the thought behind it,
Each and everyday,
Happy Anniversary

kash ye dunia haseen hoti

kash ye dunia haseen hoti
khud k chahne sy her dua kabool hoti
khny k liye tu sbi apny hn
pr kash koi aisa hota
jisay mere dard sy b takleef hoti

Monday, April 29, 2013

140 Words Khushboo Shayari in Hindi

140 Words Khushboo Shayari in Hindi

Humne Dekhi Hai Un Aankho Ki Mehekti Khushboo
Haat Se Chu K Ise Rishte Ka Ilzaam Na Do
Sirf Ehsaas Hai Ye Rooh Se Mehsoos Karo
Pyaar Ko Pyaar Hi Rehne Do Koi Naam Na Do

Aitbaar Shayari

Aitbaar Shayari

Wade Kisise Irade Kisi Se
Anhe Kise Se Nigahe Kisi Se
Ab Yaar Tumhra Bharosa Hi Kya
Jo Adhe Hamare Adhe Kisi Ke

Bhool Kar Be Na Sochna
Meri Chahtein Tere Sang Nahi
Tere Bin Odaas Hai Dil Mera
Meri Zindgi Ma Koi Rang Nahi

An apple a day keeps the doctor away

An apple a day keeps the doctor away,
but if doctor is cute, forget the fruit.

Zahir me to hamdard hi atey hain nazar log

Zahir me to hamdard hi atey hain nazar log,
Zakhmon ko merey cherney atey hain magar log..

Sunday, April 28, 2013

gam ka wo zor ab mere andar nahin raha

gam ka wo zor ab mere andar nahin raha
is umr main main itna samarwar nahin raha

is ghar main jo kashish thi gai un dinon k sath
is ghar ka saya ab mere sar par nahin raha

wo husn-e-naubahar abad shauq jism sun
rahna tha us ko sath mere par nahin raha

mujh main hi kuch kami thi ki behtar main un se tha
main shahar main kisi k barabar nahin raha

rahbar ko un k hal ki ho kis tarah khabar
logon k darmiyan wo akar nahin raha

wapas na ja wahan ki tere shahar main 'Munir'
jo jis jagah pe tha wo wahan par nahin raha

v were caught sleeping together

Boy1:Meet my wife Tina
Boy2.Oh! I know her
Boy1:How?
Boy2:v were caught sleeping together
Boy1:What the hell?
Boy2.during lecture in maths class

Think +ve:)

Chalo Phr Dhoond Lein Hum!

Chalo Phr Dhoond Lein Hum!

Usi Masoom Bachpan Ko!

Unhi Masoom Khushiyon Ko!

Unhi Rangeen Lamhon Ko!

Jaha Ghum Ka Pata Na Tha!

…Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi!

Jahan Bus Muskurahat Thi!

Baharein Hi Baharein Thi!

Chalo Phr Dhond Laein Hum!

Usi Masoom Bachpan Ko!

K Jab Sawan Barasta Tha!

To Us Kaghaz Ki Kashti Ko!

Bana’na Aur Duba Dena!

Boht Acha Sa Lgta Tha!

Aur Is Duniya Ka Hr Chehra!

Boht Sacha Sa Lagta Tha!

Chalo Phir Dhoond Layen Hum Usi Masoom Bachpan Ko

kije na das mein baith kar apas ki bat chit

kije na das mein baith kar apas ki bat chit
pohnchegi das hazar jagah das ki bat chit

kab tak rahen khamosh k zahir se ap ki
ham ne bahut suni kas-o-nakas ki bat chit

muddat k bad hazrat-e-naseh karam kiya
farmaye mizaj-e-muqaddas ki bat chit

par tark-e-ishq k liye izhar kuch na ho
main kya karun nahin ye mere bas ki bat chit

kya yad a gaya hai "Zafar" panja-e-nigar
kuch ho rahi hai band-o-mukhmmas ki bat chit

That special day is here again

That special day is here again
The day we took our vows
Youre just as special to me today
As you still get me aroused.
Happy Anniversary Lover.

Saturday, April 27, 2013

I send you this fish

>
I send you this fish
as a sign of our
FRIENDSHIP please
take care of it, Keep it
in your mobile.
Daily put your mobile in water,
So dat this fish wont die

Tamam Sabuto or Gawaho Ko

Tamam Sabuto or Gawaho Ko
Maddenzar Rkte Hue

Apko Dfa 1/11/2011 K Teht

6 Din PhLe
Eid mubarak
Khte Hue Umar Bhar Khush Rehne Ki Dua Di Jati Hy….

matti ke jitne ghar main banata chala gaya

matti ke jitne ghar main banata chala gaya
ik shaks khafa ho ke girata chala gaya
woh mujse buhat door door bhagta raha
jitna main uske naaz uthata chala gaya
ik mere waste he osne dard rakhe the
…baki to wo har ik ko hasata chala gaya
thi haath main taqat magar dil nahin mana
uske siwa main subko harata chala gaya
dil main oski yaaad ke jitne chiragh the roshan
onko bhi wo sitmgar bhujata chala gaya

Pehle is mein ik adaa thi, naaz tha, andaaz tha,

Pehle is mein ik adaa thi, naaz tha, andaaz tha,
Roothna ab to teri aadat mein shamil ho gayaa..

Friday, April 26, 2013

gham mujhe hasrat mujhe vahashat

gham mujhe hasrat mujhe vahashat mujhe sauda mujhe
ek dil deke khuda ne de diya kya kya mujhe
hai husul-e-arazu ka raz tark-e-arazu
main ne duniya chod di to mil gai duniya mujhe
kah ki soya hun ye apne iztarab-e-shauq se
jab wo aayen qabr par fauran jaga dena mujhe
subah tak kya kya teri umeed ne tane diye
aa gaya tha sham-e-gam ek neend ka jhonka mujhe
ye namaz-e-ishq hai kaisa adab kisaka adab
apne pay-e-namaz par karne do sajda mujhe
dekhte hi dekhte duniya se main uth jaunga
dekhati ki dekhati rah kjayegi duniya mujhe gham
mujhe hasrat mujhe vahashat mujhe sauda mujhe
ek dil deke khuda ne de diya kya kya mujhe
hai husul-e-arazu ka raz tark-e-arazu
main ne duniya chod di to mil gai duniya mujhe
kah ki soya hun ye apne iztarab-e-shauq se
jab wo aayen qabr par fauran jaga dena mujhe
subah tak kya kya teri umeed ne tane diye
aa gaya tha sham-e-gam ek neend ka jhonka mujhe
ye namaz-e-ishq hai kaisa adab kisaka adab
apne pay-e-namaz par karne do sajda mujhe
dekhte hi dekhte duniya se main uth jaunga
dekhati ki dekhati rah kjayegi duniya mujhe

Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na Soo Sakoon 'Mohsin'

Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na Soo Sakoon 'Mohsin',
Yaad Phirr Aai Hai Neendoon Ko Uraane Waali..

Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai

Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai
Mujhe to chand sitaron se khof ata hai

Me doshmano k kisi war se nahin darta
Mujhe to apne hi yaron se khof ata hai

Ghazan ka jabar to sene pe rook laite hain
Humen udas baharon se khof ata hai

Mile hain doston besakhiyon se gham itne
Mere badan ko saharon se khof ata hai

Me iltafat ki khandak se dor rehta hon
Taloqat k gharon se khof ata hai

Aapke Bina – Dil Shayari Sms

Aapke Bina – Dil Shayari Sms

Aapne Dil Ke Baat Hum Unse Keh Nahin Sakte
Bin Kahe Bhi Jee Nahin Sakte
Eh Khuda Aaisi Takdeer Bana Ke Who Khud Aakar Yeh Kahe
Hum Aapke Bina Reh Nahin Sakte

Kisi Ki aankh se sapney chora kar kuch nahin milta

Kisi Ki aankh se sapney chora kar kuch nahin milta
Manderon se chiraghon ko bhojha kar kuch nahin milta

Hamari soch ki parwaz ko roke nahin koi
Nae aflaq pe pehare bitha kar kuch nahin milata

Koi ikk adha sapana ho to phir acha bhi lagta hai
Hazaro khawab ankhon mein saja kar kuch nahin milta

Sakon un ko nahin milta kabhi pardes ja kar bhi
Jinhen apane watan se dil laga kar kuch nahin milta

Use kehna k palkon per na tanke khawbon ki jhalhar
Samandar k kinare ghar bana ker kuch nahin milta

Yeh acha hai k apas k bharham na tootane payen
Kabhi bhi doston ko azamaa ker kuch nahin milta

Na jane kon se jazabe ki yon taskeen karata hon
Bazahir to tumhare khat jhala kar kuch nahin milta

Faqat tum se hi karata hon me sari raaz ki batain
Har ikk ko dastan-e-dil suna kae kuch nahin milta

Amal ki sokhati raag me zara sa khoon shamil kar
Mare hamdam faqat baten bana kar kuch nahin milta

Use me piar karata hon to mujh ko chain ata hai
Wo kehata hai use mujh ko sata kar kuch nahin milta

Mujhe aksar sitaron se yehi awaaz ati hai
Kisi k hijr me nendein ganwaa ker kuch nahin milta

Jigar ho jaye ga chalani ye ankhein khoon royen gi
WASI be-faiz logon se nibha ker kuch nahi milta

Thursday, April 25, 2013

Dilliwaali Girlfriend Lyrics from Yeh Jawaani Hai Deewani by Amitabh Bhattacharya

Tere liye hi toh signal tod taad ke
Aaya dilliwali girlfriend chhod chhad ke (x2)

O teri ankh da ishaara mujhe fraud lage
Tu toh Majnu aawaara by God lage

O kasme waade khake apni pocket money bacha ke
Aaya tere liye paise waise jod jaad ke..

Ghar waalon ko bhi bye-shye bol baal ke
Aaya dilliwali girlfriend chhod chhad ke
Tere liye hi toh signal tod taad ke
Aaya Dilli wali girlfriend chhod chhad ke

O what a look, what a grace
Tenu hi karan main chase
What a naksh what a nain
Dil tera ho gaya fan
What a smile, what a style...
Kabhi soft, kabhi rude kinna tera attitude

Teri galli mein bhi aana start kar diya
Ik tere naam apna heart kar diya
Karne laga aankh matakka
Ab toh aashiq ban gaya pakka

Aaj abhi maine tera boycott kar diya
Teri saari harqatein main toh note karu
Tujhe thaane mein le jaake main report karu oye

Tu na kar aise fight
Tera mood main karu light
Tujhe scene mein dikha ke golmaal ke

Naam tera hi likhaya maine wedding card pe
Aaya dilliwali girlfriend chhod chhad ke
Chal jhutta.. mere liye signal tod taad ke
Aaya dilliwali girlfriend chhod chhad ke

Ghar waalon ko bhi bye-shye bol baal ke
Aaya dilliwaali girlfriend chhod chhad ke
Tere liye hi toh signal tod taad ke
Aaya dilliwaali girlfriend chhod chhad ke

You know dat i wont do u rong

You know dat i wont do u rong, dis love i feel is far too strong, cuz now ive waited far too long, u cant just lead me on, dont jus talk..Make it Happen

Meri Awaz Ki Lehron Sey Ye Bantey Howey Naqsh

Meri Awaz Ki Lehron Sey Ye Bantey Howey Naqsh
Kiya Hawa Ki Kisi Junbish Sey Bikhar Jayen Ghey
Zindah Reh Jayen Ghey Taabeerey Muhabbat Ban Kar
Yaa Merey Khwab Merey Sath Hi Mar Jayen Ghey

Meri Awaz Ki Lehron Sey Ye Bantey Howey Naqsh

Wednesday, April 24, 2013

Dil Se Dil Ki Doorie Nahi Hoti

Dil Se Dil Ki Doorie Nahi Hoti

Dil Se Dil Ki Doorie Nahi Hoti,
Kaash Koi Majburi Nahi Hoti,
Milne Ki Tamanna To Bahot Hai,
Lekin Kehte He Har Tamanna Puri Nahi Hoti…

Khuda janay tumharay zehn mein kia hai?

Khuda janay tumharay zehn mein kia hai?
Meray baray mein tum kia sochti ho, kah nahi’n sakta. .
Magar mein is liye milney se katraata hoon tum se. .
K wo baatain jo hum likhtay hain apny khat mein chahat se. .
Wo baatain aur baatain hain. .
Wo baatain aisi baatain hain k bus baatain hi baatain hain. .
Haqeeqat mukhtalif hai aisi baato’n se. .
Haqeeqat kia hai? Iss adraak tak tum kaisy pohncho gi?
Haqeeqat munkashif hoti nahi’n alfaaz likhney se. .
Zubani guftugu se, bahami izhaar-o-arz-e-haal karny se. .
Boht si aisi baatain hain. .
Jinhain sunnay ko kaano’n ki nahi’n aankho’n ki haajat hai. .
Agar tum mujh sy milney per both israar karti ho. .
To phir ik shart hai. .
Ik lafz bhi na kehna, na honto’n se. .
Faqat aankho’n se aankhain guftugu karti rahaingi. .
Khalaa apny sawalo’n ka. .
In aankho’n ki sadaain khud ba-khud bharti rahaingi. .
Agar milna zaruri hai. .
Tou choti se meri ye shart apny zehn mein rakhna

Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota

Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,

Use Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke Chanaron Se,
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota,

Hawa Ko Chhuna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chhuti Hai,
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota,

Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein,
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakjaa Nahi Hota,

Tapish Is Dilki Aa Pahuchi Meri Namnaak Aankhon Tak,
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota,

Mujhe Is Haal Tak Pahucha Diya Teri Mohabbat Ne,
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota…

kam nahin meri zindagi k liye

kam nahin meri zindagi k liye
chain mil jaye do ghari k liye

ai dil-e-zar kaun hai tera
kyon tarapta hai yun kisi ke liye

kitne saman kar liye paida
itni choti si zindagi ke liye

aisa 'Faiyyaz' gam ne ghera hai
lab taras hi gaye hansi ke liye

Zara na moam hua pyar ki haraarat se

Zara na moam hua pyar ki haraarat se
Chatakh ke toot geya, dil ka sakht aesa tha

Tuesday, April 23, 2013

Night has ended for another day,

Night has ended for another day,
morning has come in a special way.
May you smile like the sunny rays
and leaves your worries at the blue blue bay.
Good Morning

With my 1 Heart...

With my
1 Heart...
2 eyes...
5 litre blood...
206 bones...
1.2million Red Cells...
60 trillion D.N.A.'s...
I wish u "All the very best of LUCK"...

Tu buraa kyon manta hai meri har aik baat ka,

Tu buraa kyon manta hai meri har aik baat ka,
Tujh ko andaaza nahin shayed mere halaat ka,

Us ne ab ke mausmon ki is tarah taqseem ki,
Mere hissey mein na aya phall mere baghaat* ka,

Main pareshaan hi kahan apni pareshaani se hoon,
Mera sara dukh to hai bass teri kayenaat ka,

Jab yahan ke log sarey din ke sathi hain to phir,
Kon manzar dekhne aata hamaari raat ka,

Is tarah us ke dukhon ne mujh ko pathar kar diya,
Ab mujhe sadmaa nahin hota kisi ki baat ka,

Woh Shabana aaj kal mera mukhaalif* hai bohat,
Jo kabhi hissa hua karta tha meri zaat ka..

Chahe Waqt – 4 Liner Dil Poetry

Chahe Waqt – 4 Liner Dil Poetry

Woh Jo Hamare Liye Khas Hote Hain
Jinke Liye Dil Mein Ehsaas Hote Hain
Chahe Waqt Kitna Bhi Door Kar De Unhe
Door Reh Ke Bhi Woh Dil Ke Paas Hote Hain

Barbadiyan Lyrics from Aurangzeb by Puneet Sharma

O ho o o...

Ude ude phire raaton ko
Jeeyein jeeyein jeele khwabon ko
Dhuaan dhuaan samaa hai dekho.. woh oo wo..
Dhare hain kyun beh jaane do.. ho!

Chalo jale jale phirein
Doob kar marein
Shararatein sab karein
Barbadiyan.. meethi lage aazadiyaan...

O ho o o...
Khud ko kar Khuda sab kuch tabaah kar de
Humein jo bhi ho pata Saare gunaah kar de
Neeli neeli aag haan bhar le nigaahon mein
Jalti daastaan rakh de hawaaon mein.. woh o o...

Chalo jale jale phirein
Doob kar marein
Shararatein sab karein
Barbaadiyaan.. meethi lage aazadiyaan...

Ho.. dil kahe to phir nas nas dhadhakne de
Leharon ko tod de, dariya ubalne de
Aaja phir thaam lein, anjaani raahon ko
Hoga par choomna, apni sazaaon ko.. o o o!

Chalo jale jale phirein
Doob kar marein
Shararatein sab karein
Aazaadiyaan, dengi humein barbadiyan
Barbaadiyan, meethi lage aazadiyaan
Aazadiyaan, dengi hamein barbadiyan
Barbadiyan, meethi lage aazadiyaan...
woh o o..

Murabba Lyrics from Bombay Talkies by Amitabh Bhattacharya

Sabr ki meethi chashni mein bhigo ke
Waqt khada hai martbaan mein leke
Le chakh le yeh murabba
Le chakh le yeh muraaba
Dil mein rakh le yeh murabba

Dil mein rakh le rakh le yeh murabba
Zindagi jaisi iski zaat hai
Jitni zyada umar hai, raat hai

Beet ke jitne mausam chhu gaye
Utne iske seene mein jazbaat hai
Kal se zyada, aaj tar lagta hai
Kal phir khaana behtar lagta hai

Le chakh le yeh murabba
Kisi ka sanjoya hua hua
Tujh tak aaya hai yeh
Le chakh le yeh muraaba
Kisi ki kadardaaniyon ka sarmaaya hai
Dil mein rakh le yeh murabba

Dil mein rakh le rakh le yeh murabba
Rakh le rakh le yeh murabba
Murabba
Murabba

Lyrics of Javed Bashir's Version

Sabr ki cheeni se tar hai
Purana ho toh behtar hai
Gazab ki zaat murabba
Chakh le re bhaiya
Ke jitne mausam dekhein hon
Lalak utni hi bheetar hai
Har ek jazbaat murabba
Rakh le re bhaiya

Murabba murabba.. haan re bhaiya
Hai bilbi murabba.. haan re bhaiya
Murabba murabba.. hai dil bhi murabba
Suniyo re bada hi ajooba fasaana hai..

Rakh le rakh le re...
Rakh le rakh le re...

Ho.. aaj maana dukaano mein...
Ho.. aaj maana dukaano mein
Kaanch ke martbaanon mein
Qaid hai yeh rakha...
Har kisi ki rasoi mein
Isne umeed sokhi thi
Hai tabhi bann sakaa...

Ho.. iske zariye hi jaana hai
Meetha meetha sa hota hai zayaka dard ka...
Zubaan ko khulke baaton me
Zubaan mein ghulke bolega
Patey ki baat murabba
Chakh le re bhaiya
Ke jitne mausam dekhein ho
Lalak utni hi bheetar hai
Har ek jazbaat murabba
Rakh le re bhaiya

Murabba murabba.. haan re bhaiya
Hai dil bhi murabba.. haan re bhaiya
Murabba murabba.. hai dil bhi murabba
Suniyo re, bada hi ajooba fasana hai..

Laaya hai khayalon mein laar murabba
Kaabu mein raho toh jaanein
Jeevan ka sarmaya hai saar murabba
Hey jo bhi boojhe wahi jaane
Suniyo re ajooba badha hi fasana hai...

Tabah khod dar pe ik tarfah sitam hai mohsin

Tabah khod dar pe ik tarfah sitam hai mohsin
Un ka andaz e karam ghair k ehsas k sath

Monday, April 22, 2013

Teri batain hi sunaany aye

Teri batain hi sunaany aye
Dost b dil hi dukhany aye

A little kid asks his Dad,

A little kid asks his Dad,
"Daddy, how much does
it cost to get married?"

"No idea," replied the Father,
"I'm still paying for it..."

When problems are so big

"When problems are so big
and
your strength is no longer enough to carry them,
don't give up.
Cause Where your strength ends,
the grace of ALLAH begins."

Kisi shakhss ka dil mene dukhaya tha ke ab tak

Kisi shakhss ka dil mene dukhaya tha ke ab tak
Woh meri duyaaon ka assar kaat raha hai

Sunday, April 21, 2013

Zehno main khayal jal rahe hain

Zehno main khayal jal rahe hain
sochon ke alav-se lage hain

duniya ki girift main hain saye
ham apna wajud dhundate hain

ab bhuk se koi kya marega
mandi main zamir bik rahe hain

mazi main to sirf dil dukhate the
is daur main zehan bhi dukhe hain

sir katate the kabhi shahanshah
ab log zuban katate hain

ham kaise churain shab se daman
din nikla to saye chal pare hain

lashon ke hujum main bhi hans dain
ab aise bhi hausale kise hain

Tu itni tang nigahi se apni Chaal na chal

Tu itni tang nigahi se apni Chaal na chal
Hum Ehl-e-dil hain... khuly dil se haarny waaly

Tum keh daina koi khaas nahee?n?!

Tum keh daina koi khaas nahee?n?!

Koi tum say poochay kaun hoo?n mai?n?

Tum keh daina koi khaas nahee?n?

Ek daust hay kacha pakka sa?

Ek jhoot hay aadha sacha sa?

Jazbaat ko dhaa?npay ek parda?

Bas ek bahaana acha sa?

Jeevan ka aisa saathi hay?

Jo door na ho kar pass nahee?n?

Koi tum say poochay kaun hoo?n mai?n?

Tum keh daina koi khaas nahee?n?!

barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa

barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa
ab zahan main nahin hai par naam thaa bhalaa sa

abaruu khinche khinche se aankhain jhuki jhuki si
baatain ruki ruki si lahajaa thakaa thakaa sa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main
ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa

khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki
nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa

pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main
wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa

agali muhabbaton ne wo naamuraadiyaan din
taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa

kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa

phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the
phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa

ab sach kahain to yaaro ham ko khabar nahin thi
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa sa

tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
wo ajanabi thaa lekin lagataa thaa aashnaa sa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahin thaa pyaasa

ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa sa

Saturday, April 20, 2013

Friday, April 19, 2013

Han suno dosto, Jo bi dunya kahe,

Han suno dosto,
Jo bi dunya kahe,
Is ko parkhe bina, maan lena nahi
saari dunya ye kehti he,
Parbat pe charne ki nisbat utarna sehal he
Kis tarah maan len,
Tum ne dekha nahi,
Sarfarazi ki dhun me koi admi
Jab bulandi k raste pe chalta he to
Sans tak theek karne ko rukta nahi
Or isi shakhs ka,umar ki seeryo se utartey hue,
pao uthta nahi
Isi liye dosto!!!
Jo b duniya kahe,
Is ko parkhey bina,
Maan lena nahi,

Bhare Raaz Chupaatin Hain Yeh Aankhein

Bhare Raaz Chupaatin Hain Yeh Aankhein

Kayi Zulm Bhare Raaz Chupaatin Hain Yeh Aankhein
Aiina Dekh Kar Khud Se Dar Jaatin Hain Yeh Aankhein

Shayd Suna Ho Inki Araaish Ka, Toote Sapnon Se Sanwarti Hain
Bheege Aansuon Se Khud Ko Sajaatin Hain Yeh Aankhein

Yun Kahin Dikh Na Jaaye Kitna Dard Basaa Hai Inmein
Har Ek Se Nazrein Churaatin Hain Yeh Aankhein

Yeh Tamanna Rehti Hai Dil Mein K Woh Laut Aayenge
Rasta Tak Tak Kar Khud Ko Behlaatin Hain Yeh Aankhein

Badnaam Ho Gayin Yeh Unki Dewaangi Mein Kho Kar, Par
Unki Khaatir Har Bughz Nigaah Seh Jaati Hain Yeh Aankhein

Woh Nahi Aaya, Khokar Usse Jaane Kaise Yeh Jee Leti Hain
Aakhir Bandh Kyon Nahin Ho Jaatin Warda Teri Yeh Aankhein

Zinda The Jis Ki Aas Pe Wo Bhi Rula Gaya

Zinda The Jis Ki Aas Pe Wo Bhi Rula Gaya
Bandhan Wafa Ke Torr Ke Sar-E-Raah Chala Gaya

Khud Hi To Ki Thi Us Ne Mohabbat Ki Ibtida
Haathon Mein Haath De Kar Khud Hi Chura Gaya

Kar Di Jis Ke Liye Ham Ne Zindagi Tabah
Ulta Wohi Be Wafai Ki Tohmat Laga Gaya

If you don't risk anything

If you don't risk anything,
then you risk even more.

(Erica Jong)

Woh mere sath hi rehta hai jahan tak jaaon

Woh mere sath hi rehta hai jahan tak jaaon
Main hoon daryaa to hai woh shakhs kinara mera

ur brain is like khali patila

Roses r lal
skies r nila,
ur brain is like khali patila.
Bura man liya?

O.K

Roses r red
skies r blue,
I born smart
what d hell hapened to u.

Thora sa or bura manlo

Yeh Junoon Lyrics from Shootout at Wadala

Mehsoos khud ko tere binaa
Maine kabhi kiya nahi
Tu kya jaane lamha koi
Maine kabhi jiya nahi
Ab jo mile hain tto, shiqve gile naa ho
Bas ishq ho, bas ishq ho...
Ab jo hanse hain tto, aansu koi naa ho
Bas ishq ho, bas ishq ho...

Ye junoon mera mujhe le jaaye kahaan, kahaan...
Rab tujh mein ab pa raha hun main yahaan, yahaan...
Ab jee lu teri hi aankhon mein ye jahaan, jahaan...
Tu gaya tto roya tha sang mere aasmaan, aasmaan...

Yaadon mein raha tujh se ho kar main juda
Ab tanha mujhe naa chhodna
Khwabon ne kaha chehre se ab ye mere
Ye nazarein kabhi naa modnaa

Ab jo mile hain to, shiqve gile naa ho
Bas ishq ho...

Phir se qareeb aa.. mere naseeb aa..
Hai ye duaa, hai ye duaa
Dil ne mere kahaaa.. tera rahoon sadaa..
Hai ye duaa, Hai ye duaa..

Ye junoon mera
Mujhe le jaaye kahaan, kahaan...
Rab tujh mein ab pa raha hun
Main yahaan, yahaan..
Ab jee loon teri hi aankhon mein
Ye jahaan, jahaan..
Tu gaya tto roya tha sang mere
Aasmaan, aasmaan...

Aye Manya Lyrics from Shootout at Wadala

Aye Manya...

Aye Manya, Manya sun.na re
Aye Manya, Manya sunn...
Bhai bole bole bole toh peene ka
Bhai bole bole bole toh saala jeene ka
Aye Manya, Manya sun.na re
Aye Manya, Manya sunn...

Sooni sooni kaali raaton ko
Rangeen banaate chale
Har zakhm ko hum toh
Dhuein mein udaate chale
Tedhi-medhi saari raahon ko
Apna banaate chale (Banate chale...)
Har gham ko gale se hum toh laga ke chale
Doobe hi rahein, fikar nasha peene ka
Arey bhai bole bole bole toh saala peene ka
Aye Manya, Manya sun.na re
Aye Manya, Manya sunn...

Jaane kaun se mod pe chhoote shehar apne
Lagi neend mein thokar toot gaye sapne
Sookhe patton ki tarah hawaon mein udne lage
Jahaan mod diya kismat ne mudne lage

Nashe mein ghul raha hai dard yeh seene ka
Hey bhai bole bole bole toh saala peene ka
Aye Manya, Manya sun.na re
Aye Manya, Manya sunn...
Hey bhai bole bole bole toh peene ka
Hey ra pa pa pa...
Bhai bole bole bole toh saala jeene ka
Saala jeene ka!
Saala jeene ka!

Goli Lyrics from Shootout at Wadala

O.. wo o o..
Goli.. go o o.. goli.. goli...
Pistol ki yeh rani hai
Trigger ki deewani hai
Chal jaaye toh nikle dhuaan
Na kissi ki sunti hai
Yeh nishana chunti hai
Apni marzi se yahaan
Goli.. goli ki apni hai boli.. goli..
Goli.. goli ki apni hai boli.. goli...

John Abraham:
Goli, tabiyat kar de dheeli
Aur pant kare geeli
Yeh aankh jhapakte game baja de
Itni furteeli go go goli
Yeh masle hal karti
Chalne se nahi darti
Ghairon se karke yaari
Yeh apnon se chhal karti

Na kisi se rishta hai
Na koi farishta hai
Iske aage sab hai fanaa
Jismon mein joh ghus jaaye
Jaan leke hi aaye
Qatilaana iski adaa
Goli.. goli ki apni hai boli.. goli..
Goli.. goli ki apni hai boli.. goli...

Anil Kapoor:
Jiski jeb mein rehati hai
Bas raaj kare woh hi
Khamosh kare do pal mein usey
Aawaz kare jo bhi
Iska hai na dharam koi
Na iski hai koi jaat
Waqt chale bas uska hi
Hai goli jiske saath
Goli.. goli ki apni hai boli.. goli..
Goli.. goli ki apni hai boli.. goli...

Khoon Choos Le Lyrics from Go Goa Gone by Amitabh Bhattachrya

Aye le!
Phir aa gaya tu! Face utha ke
Dum lega kya, meri jaan kha ke
Khoon choosne tu aaya khoon choosne
Bloody khooni Monday kyun aaya khoon choosne

Tu jaa re jaa re ja, kabootar jaa

Main nahi jaana, Main nahi jaana
Main nahi jaana bistar ko chhod ke
Khoon choos le tu mera khoon choos le
Bloody khooni Monday tu chaahe.. choos le

Main nahi jaana, Main nahi jaana
Main nahi jaana bistar ko chhod ke
Khoon choos le tu mera khoon choos le
Bloody khooni Monday tu chaahe khoon choos le
Da rrrr rrr rrr....

Maana tere naam mein hai 'mann' ek baar
Toh tu mann ki karega kya re Monday
Kaahe paaye na karaar
Jab tak tu na yaar
Gaade Sunday ki kabar par jhande

Sukoon ke shikari Somwaar...

Main nahi jaana, Main nahi jaana
Main nahi jaana bistar ko chhod ke
Khoon choos le tu mera khoon choos le
Bloody khooni Monday tu chaahe khoon choos le

Sunday hai dildaar
Deke maiya ka pyar
Mujhe loriyan gaa ke jo sulaaye
Par tera hai vichar
Ke main shankh hoon yaar
Poore power se mujhko bajaaye

Sukoon ke shikari, somwar..
Kaan khujaana, Kaan khujaana
Kaan khujaana ungli ghusod ke
Khoon choos le tu mera khoon choos le
Bloody khooni Monday tu chaahe khoon choos le

Chal ja, chal jaa....
Da rrrr rrr rrr.... ooo oo
Aaa aa.... ja ja ja...
Ja ja ja..

Khushamdeed Lyrics from Go Goa Gone by Priya Panchal

Aadhi soyi aadhi jaagi
Din mein dhal gayi raatein
Baatein jaise meethe khaare
Lamhon ki saugaatein

Pighla jo ye din iss roshni mein
Milne lagi hain sohbatein
Mere Rab ko mere yaaron ko
Mujhpe barsi duaaon ko
Dil se mera khushamdeed
Khushamdeed...

Lyrics from lyricsmint.com
Sharbati meethe meethe hain
Din ke ye paimaane
Pichhli raaton ke taane baane
Inn mein ghul jaane
Maasoom koi
Ehsaas hai yeh
Dil ko mili hai barkatein

Mere rab ko mere yaaron ko
Mujhpe barsi duaaon ko
Dil se mera, khushamdeed!
Khushamdeed...

Dil ne yeh baahein
Kholi toh jaana
Kitni haseen hai raunakein
Mere Rab ko mere yaaron ko
Mujhpe barsi duaaon ko
Dil se mera khushamdeed

Babaji Ki Booti Lyrics from Go Goa Gone by Amitabh Bhattacharya

Hmm hmm hmmm... (Coughs...)
Hmm hmm hmmm

Dude!
Le maar
Babaji ki booti
Babaji ki booti
Babaji ki booti lala la la...
Babaji ki booti lala la la...

Jo bhari chilam bane hum hero
Life lagey film, samasya zero
Daaru - bandon ki gandi harkat
Booti - upar waale ki barkat
Babaji ki booti lala la la
Babaji ki booti lala la la
Lyrics from lyricsmint.com

Oh o o..
Let me take you to the Babaji
Sukh ganjan babaji, dukh hanjan babaji
Aye aye Wonderful babaji powerful babji
Booti-ful Babaji

Ho agar kisi ladki ka chakkar
Ya ho boss tera raawan ka puttar
Booti - har duvidha ka salution
Dhuaan - de frustration me potion
Babaji ki booti lala la la..
Babaji ki booti lala la la..

Woh dekh, woh kya hai? Panchhi hai kya?
Naa re pagle, plane
Arey dekh underwear bahar hai, Superman
Na that is Babaji
Babaji ki booti
Babaji ki booti

Babaji ki jai ho
Jai ho babaji ki
Unchaiyon ko gehraiyon me leen kar dijiye
Atma k ram se trauma ka spam clean kar dijiye
Yahan ameer gareeb mein koi bhed nahi hai
Baba ke seedhe prasaran mein rukavat to hai
Magar rukawat ke liye sala koi khed nahi hai
Samasya ke middle finger pe
Samadhan ki angoothi - Babaji ki booti
Babaji ki booti
Babaji I love you!

Thursday, April 18, 2013

Pehle taraasha kaanch se us ne mera wajood,

Pehle taraasha kaanch se us ne mera wajood,
Phir sheher bhar ke hath mein pathar thamaa diye..

Wohi Mahfooz Rakhey Gaa Tere Gharr Ko Ballaon Se

Wohi Mahfooz Rakhey Gaa Tere Gharr Ko Ballaon Se
Jo Barish Mein Shajarr Se Ghounsla Girney Nahi Deta

Neele neele amber par

Neele neele amber par
Chaand jab aye pyaar barsaye
Hum ko tarsaye
asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye

Unche unche parbat
Jab chumte hain amber ko
Piyasa piyasa amber
Jab chumta hay sagar ko
Pyaar se kasne ko
Bahoon main basne ko
Dil mera lalchaye
Koy to a jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye

Thande thande jhonke
Jab baloon ko sehlayeen
Tapti tapti kirneen
Jab galoon ko chu jayeen
Sanson ki garmi ko
Hathon ki narmi ko
Mera man tarsaye
Koy to chu jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye

Cham cham karta sawan
Bundon k baan chalaye
Satrangi barsaton main
Jab tan man bhiga jaye
Pyaar main nahane ko
Duub hi jane ko
Dil mera tarpaye
Khuwab jaga jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Neele neele amber par

Aziz Dosto

Aziz Dosto:
Ma Aaj Sa Baqaida Elaan Karta Ho K Main Na Eid Gifts Dosti K Tohfa,
Cash Cheque,Sweets, Mobile Cards Perfume Wagara
Qabool Karna Ka Aaghaz Kar Diya Ha,
To Dar Na Karain,Rash Sa Bachain.
Jaldi Karain Apna Qeemti Waqt Bachaain.
Advance Eid Mubarak

Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kahoo

Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kahoo
Ye Zindagi To Hai Rehmat Isay Saza Na Kahoo

Na Janay Wo Kon C Majboriyon Ka Qaidi Ho
Wo Sath Chor Gaya Hai To Bewafa Na Kahoo

Tamam Shehar Ne Nazroon Pe Kyun Uchala Muje
Yehi It'tfaq Tha Tum Isay Hadsa Na Kahoo

Ye Aur Baat Ke Dushman Hua Hai Wo Aaj Mager
Wo Mera Dost Tha Kal Ussay Bura Na Kahoo

Meray Aaib Mujhe Ungliyon Pe Ginwao
Meray Peechay Mujhe Bura Na Kahoo

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai
Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai

Mein Os Ke Khayaal Se Gurezaan
Wo Meri Sadaa Jhatak Raha Hai

Tehreer Osi Ki Hai, Magar Dil
Khat Parhtay Howay Atak Raha Hai

Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatain
Aur Zehen Kahan Bhatak Raha Hai

Sadyon Se Safar Mein Hai Samandar
Saahil Pe Thakan Tapak Raha Hai

Ek Chaand Salaib-e-Shaakh-e-Gul Per
Baali Ki Tarah Latak Raha Hai

Wednesday, April 17, 2013

Tumhare Sard Lehje ne Humain Chonka diya wrna

Tumhare Sard Lehje ne Humain Chonka diya wrna...
Muhabat me... Muhabat Se To Dhoka kha Rahy thy hum

Zameen K Aastaano Se Falak K Chaand Taaron Tak

Zameen K Aastaano Se Falak K Chaand Taaron Tak
Koi Ehl-e-wafa Dhondo... Agr Hum Bewafa Hain To

Main Uska Devdas Tha

Main Uska Devdas Tha

Jeet K B Haar Gaya Mai Pyar Ki Baazi Yaaro
Main Uska Devdas Tha Wo Thi Meri Paaro
Wo Guzar Gai Pas Se Nazar B Na Milai
Q K I Was On Cycle & She Was In Pijaro.

kahne ki bat ho to use kah sunayiye

kahne ki bat ho to use kah sunayiye
jo dil pe ban rahi ho, kyon kar dikhayiye

dunya ki ho hawas to dil-o-din ginwayiye
yan khoyiye bahut-sa to kuch ja k payiye

ye kya k dil hai dair mein aur kabe mein maqam
ho rahiye bas wahin k, jahan dil lagayiye

gar jan ka zarar hai mohabbat mein naseho
ham jan hi se baithe hain bezar jayiye

aur aitabar khote hi apna raha-saha
bas a gaya yaqin hamein, qasmein na khayiye

hoti hujum-e-gam mein hai, kyon zahar ki talash
Hali' batayen ap ko, gar kuch khilayiye

Hum rooh-e-safar hain

Hum rooh-e-safar hain, humain naamon se na pehchaan
Kal aur kisi naam se aa jaingy hum log

faqirana aaye sada kar chale

faqirana aaye sada kar chale
miyan khush raho hum dua kar chale
jo tujh bin na jine ko kahate the hum
so is ahd ko ab wafa kar chale
koi na-ummidana karte nigah
so tum hum se muh bhi chipa kar chale
bahot aarzoo thi gali ki teri
so yan se lahu mein naha kar chale
dikhai diye yun ki bekhud kiya
hamen aap se bhi juda kar chale
jabin sajada karte hi karte gai
haq-e-bandagi hum ada kar chale
parastish ki yan tain ki ayei but tujhe
nazar mein sabon ki khuda kar chale
gai umr dar band-e-fikr-e-gazal
so is fan ko aisas bada kar chale
kahen kya jo puche koi hum se “meer”
jahan mein tum aaye the, kya kar chale

Nigah barq nahi chehra aftaab nahi,

Nigah barq nahi chehra aftaab nahi,
Wo admi hai magar dekhney ki taab nahi..

Tuesday, April 16, 2013

For thy lord

For thy lord
your God had made it possible for u
to see the month of December!
So shall all impossibility in your will be possible!
Wishing u merry x-mas

"The minute you think of giving up any relation,

"The minute you think of giving up any relation,
think of the reason why you held it so long"
Good morning and have a nice day.

Tujhe Pane Ki Khwaish Me Duba Armaan Hu Mai

Tujhe Pane Ki Khwaish Me Duba Armaan Hu Mai
Tere Jivan Me Aaya Aisa Mehmaan Hu Mai
Tu Khud Nahi Janti Koun Hai Tu ?
Teri Ruh Ki Khushbu Teri Pahchaan Hu Mai

Nahi Kahta Hu Kabhi Tujhse Juda Rah Paonga
De Duniya Gam Mujhe Hazar Mai Sah Jaonga
Na Dunga Ek Aansu Bhi Tujhe Jindagi Bhar Hansaounga
Teri Aan Khon Ki Chamak Tere Chahre Ki Shan Hu Mai
Teri Ruh Ki Khushbu ………………!

Teri Mithi Si Ye Boli Jo Mera Naam Leti Hai
Jaise Har Din Ko Apni Aagosh Me Har Shaam Leti Hai
Tabhi Ugta Hai Ye Suraj Jo Palken Ye Uthti Hai
Tere Pairon Ki Payal Me Basi Ek Jaan Hu Mai
Tere Ruh Ki Khushbu ………………!

Kabhi Jo Sans Tu Leti Hai Mera Hi Naam Aata Hai
Barasta Hai Jo Mujhpe Julf Ka Badal Batata Hai
Jo Raton Ko Terra Daman Mujhe Itna Satata Hai
Tere Sine Ki Hu Dhadkan Tera Imaan Hu Mai
Tere Ruh Ki Khushbu ………………!

Monday, April 15, 2013

Gonj uthati hain fizaen kion meri awaz par

Gonj uthati hain fizaen kion meri awaz par
Koi hangama pas diwar e tanhai na ho

Shaam sey aaj sans bhaari hai

Shaam sey aaj sans bhaari hai,
Be qarari si be qarari hai,

Ap kay baad har ghari hum ney,
Ap kay sath hi guzari hai,

Rat ko dey do chandni ki rida,
Din ki chaddar abhi utari hai,

Shakh par koi qehqha to khiley,
Kesi chup si chaman pey tari hai,

kal ka waqia tumhara tha,
aaj ki dastan humari hai.

Meri Zindagi Bhi Meri Nahi

Meri Zindagi Bhi Meri Nahi, Ye Hazaar Khaano Mein Bant Gayi,
Mujhe Ek Mutthi ZaMeen De, Ye ZaMeen Kitni SiMat Gayi,

Teri Yaad Aayi To Chup Rahun, Zara Chup Rahoon To Gazal Kahun,
Ye Ajeeb Aag Ki Bail Thi, Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,

Mujhe Likhnewala Likhe Bhi Kya, Mujhe Padhne Wala Padhe Bhi Kya,
Jahan Mera NaaM Likha Gaya Wahin Roshni Ulat Gayi,

Na Koi Khushi Na Kio Malal Hai, Ke Sabhi Ka Ek Sa Haal Hai,
Tere Sukh Ke Din Bhi Guzar Gaye, Meri Dukh Ki Raat Bhi Kat Gayi,

Meri Band Palkon Pe Toote Ke Koi Phool Raat Bikhar Gaya,
Mujhe Siskiyone Jaga Diya, Meri Kachhi Nind Uchet Gayi.

Tomorrow there is an other day.

Tomorrow there is an other day.A day i'd rather spend with you....without you there is no joy, only pain!

You know what, in the whole world

You know what, in the whole world there is no such darling whom I love and I want the whole world to know that I will never forget you

Na janey us ke dil main kitni mehfilen abad hon

Na janey us ke dil main kitni mehfilen abad hon
Jo akela betha ho usey tanhaa nahi kehte

Kabhi Un ka Naam Lena

Kabhi Un ka Naam Lena
Kabhi Un Ki Baat Kerna
Mera Zauq Un Ki Chahat
Mera Shauq Un Pe Marna
Kabhi Chalte Chalte Thamna
Aur Tham k Beth Jana
Kabhi Larkhara k Girna
Aur Gir K Phir Sambhalna
Kabhi Raat Raat Rona
Kabhi Din Charhey Sisakna
Kabhi Darya Darya Rehna
Kabhi Boondh Ko Tarasna
Hamesha Koi Wasta Hy Apna
YEHI ZINDAGI HY APNI
YEHI RASTA HY APNA

wada nibhaya na jaye to wada kiya na kr

wada nibhaya na jaye to wada kiya na kr
Is khel me wada nahi dil toota krty hain

Woh mere pass hai kya pass bulaaon us ko

Woh mere pass hai kya pass bulaaon us ko
Dil mein rehta hai kahan dhoondne jaaon us ko

Aaj phir pehli mulakaat se agaaz karon
Aaj phir duor se hi dekh ke aaon us ko

Chalna chahe to rakhe pauon mere seene par
Baithna chahe to aankhon pe baithaaon us ko

Mujhe maloom hai us ne juda hona hai
Lekan ik baar to seene se lagaaon us ko

Teri yadon se bach niklun muje tadbir de koi

Teri yadon se bach niklun muje tadbir de koi
Meri janib se har rasta teri ghar k janib nikalta hai

Sunday, April 14, 2013

Marr kar bhi uss ko dekhtay rehnay k shoq mein

Marr kar bhi uss ko dekhtay rehnay k shoq mein….
Ankhein kissi ko apni Amanat mein de gaye

Har Phool Ki Kismat Mein Kaha Naaz O Urusi

Har Phool Ki Kismat Mein Kaha Naaz O Urusi
Kuch Phool To Khilte Hai Mazaaro Ki Hi Khatir

Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha..!!

Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha..!!
Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha..!!

Namuu Ka Runj Na Abar Guraiz-pa Say Malaal..!!
Ke Mujhko Baanjh Zameenon Mein Beej Bona Tha ..!!

Ye Kia K Gard-e-Raah-e-Raf’tagaan Ko Oar Liya..!!
Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha..!!

Jo Dastaan Usey Kehna Thi Phir Na Guftaa Rahi ..!!
Ke Main Bhi Thak Sa Gaya Tha,, Usey Bhi Sona Tha..!!

Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin..!!
Khuli Jo Aankh Tou Sehra Mera Bichhona Tha..!!!

Hamein Tum Bhool Jao Ge Hamein Maloom Hai Lekin

Hamein Tum Bhool Jao Ge Hamein Maloom Hai Lekin,
Palat Kar Jab Bhi Aao Ge Mohabbat Muntazir Hogi

Insan main haiwaan* yahan bhi hai wahan bhi hai,

Insan main haiwaan* yahan bhi hai wahan bhi hai,
Allah nigehbaan yahan bhi hai wahan bhi hai,

Khoon-khawaar darindon ke faqat naam alag hain,
Har sheher beyaabaan yahan bhi hai wahan bhi hai,

Naaron ka sakoon, waadon ke ghar, khawbon ki khushiyan,
Bazaar main samaan yahan bhi hai wahan bhi hai..

Wo chala gaya mujhe chor kar

Wo chala gaya mujhe chor kar
main badal na saka aadatein
use sochna use chahna
mera aaj bhi mamool hai

what happens 2 ur mobile?

what happens 2 ur mobile?
I was trying 2 call u but i got this msg:
welcome 2 D jungle network,
D monkey u r tring 2 call is on tree plz try later.

Saturday, April 13, 2013

Kuch Tabiyat Hi Mili Thi Aisi Chain Se Jeene Ki Surat Na Hui

Jisko Chaha Use Apna Na Sake Jo Mila Usse Mohabbat Na Hui,

Jisse Jab Tak Mile Dil Hi Se Mile Dil Jo Badla To Fasana Badla,
RasMein Duniya Ki Nibhane Ke Liye HuMse Rishton Ki Tijarat Na Hui,

Dur Se Tah Wo Kayi Chehron Me Paas Se Koi Bhi Waisa Na Laga,
Bewafai Bhi Usi Ka Tha Chalan Phir Kisise Hi Shikayat Na Hui,

Waqt Rutha Raha Bachhe Ki Tarah Raah Mein Koi Khilauna Na Mila,
Dosti Bhi To Nibhayi Na Gayi, DushMani Mein Bhi Adaavat Na Hui

Friday, April 12, 2013

Jo wapis Dil Maanga To wo Booly K Thehro Yaad Krny Do

Jo wapis Dil Maanga To wo Booly K Thehro Yaad Krny Do
Zara C Cheez Thi... Hum Ne Khuda Jany Kahan Rakh Di

Yun aadmi ko aazmati hai zindagi

Yun aadmi ko aazmati hai zindagi
Dekar do haath khali reh jati hai zindagi

Bar-haa azmaya hai haathon ki lakeeron ko
Har bar na janey kiyun maat de jati hai zindagi

Rasmoon kay touq galey may daley ghissat rahe hain
Nafs key in bojhoon se naveed-e-nijat dillati hai bandage

Din key ujaalon may musaaib-o-allam se ghabra kr
Qabai-e-shab key sajdon may behlaati hai bandigi

Wo nabz pe meray haath rakh kr ye booley
Kia yehi be-rabt saanson ki rawaani kehlati hai zindagi

november phir udaas hai

november phir udaas hai

Ajnabi si raahon mein,
Door tak nigahon mein,
Berukhi ka mausam hai,

Aaj phir nigahon ko,
Beete pal ki pyaas hai,

Phir raha hoon darbadar,
Mojzay ki aas hai,
Aisa lagta hai jaise,

November PHIR UDAAS HAI,

Baat to kare koi,?
Saath to chale koi,?
Khamoshi ka pehra hai,?
Zakhm dil ka gehra hai,?
kisi apne ki mujhe talaash hai,..?
Aisa lagta hai jaise,

November PHIR UDAAS HAi

Thursday, April 11, 2013

Balam Pichkari Lyrics from Yeh Jawaani Hai Deewani by Amitabh Bhattacharya

Itna maza, kyun aa raha hai
Tune hawa mein bhaang milaya
Dugna nasha, kyun ho raha hai
Aankhon se meetha tune khilaya

Ho teri malmal ki kurti gulabi ho gayi
Manchali chaal kaise nawaabi ho gayi, toh?

Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2)

Kyun 'no-vacancy' ki, hothon pe gaali hai
Jabki tere dil ka kamra toh khaali hai
(kamra toh khaali hai...)

Mujhko pata hai re
Kya chahata hai tu
Boli bhajan teri
Neeyat Qawwali hai

Zulmi ye haazir-jawaabi ho gayi
Tu toh har taale ki aaj chaabi ho gayi, toh?

Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa, Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2)

Haan, bole re zamana kharabi ho gayi
Haan, bole re zamana kharabi ho gayi...

sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the

sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the
beshak sitam janab k sab dostana the

han jo jafa bhi ap ne ki qayede se ki
han ham hi karband-e-usul-e-wafa na the

aye to yun to k jaise hamesha k meharban
bhule to yun k goya kabhi ashna na the

kyon dad-e-gam ham ne talab ki, bura kiya
ham se jahan main kushta-e-gam aur kya na the

gar fikr-e-zakhm ki to khatawar hain k ham
kyon mahw-e-madh-e-khubi-e-teg-e-ada na the

har charagar ko charagari se gurez tha
warna hamain jo dukh the bahut ladawa na the

lab par hai talkhi-e-may-e-ayyam warna "Faiz"
ham talkhi-e-kalam par mail zara na the

Gaye Dinon Ka Chiraag LeKar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh

Gaye Dinon Ka Chiraag LeKar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh,
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha Mujhe Toh Hieeran Kar Gaya Woh,

Bas Ai Moti Si Chub Dikha KarBas Aik Mithi Si Dhun Suna Kar,
Sitara Sham Ban K Aya Barang Khuwab Shehr Gaya Woh,

Khushi Ki Raat Ho K Gham Ka Mousam Nazar Usay Dhundti Hai Har Dam,
Woh Buye Gal Tha K Naghma Jaa'n Maray Toh Dil Mein Utar Gaya Woh,

Na Ab Woh Yadon Ka Charta Darya Na Fursaton Ki Udas Barkha,
Yunhi Zara Si Kasak Hai Dil Mein Jo Zakham Gehra Tha Bhar Gaya,

Kuch Ab Shanbalnay Lagi Hai Jaan Bhi Badal Chala Door Asmaan Bhi,
Jo Raat Bhari Thi Thal Gayi Hai Jo Din Khara Tha Guzar Gaya Woh,

Woh Jis K Shanay Par Hath Rakh K Safar Kiya Tunay Manzilon Ka,
Teri Gali Se Najanay Kyun Aj Sar Jhukaye Guzar Gaya Woh,

Woh Raat Ka Be Nawa Musafir Woh Tera Sahir Woh Tera "NASIR",
Teri Gali Taq Hum Ne Dekha Tha Phir Najanay Kidhar Gaya Woh

Iss Per Kissi Kay Haath Ka Saaya

Iss Per Kissi Kay Haath Ka Saaya

Koi To Hai Jo Zulm Kay Hamlon Say Door Hai
Koi To Hai Jo Zabt E Wafa Ka Gharoor Hai
Ab Tak Jo Sar Nigon Na Hua Percham E Hussain
Iss Per Kissi Kay Haath Ka Saaya Zaroor Hai.

Har gham ko khushi me badalti hai dosti

Har gham ko khushi me badalti hai dosti
Har ansu ko hasi mey badalti hai dosti
Kuch log samajh nahi patey ke
Andheri raat ka diya hai dosti

Wednesday, April 10, 2013

milkar juda hue to na soya karenge ham

milkar juda hue to na soya karenge ham
ek dusre ki yad mein roya karenge ham

ansu chalak chalak ke satayenge rat bhar
moti palak palak mein piroya karenge ham

jab duriyon ki ag dilon ko jalayegi
jismon ko chandani mein bhigoya karenge ham

gar de gaya daga hamein tufan bhi 'Qateel'
sahil pe kashtiyon ko duboya karenge ham

Faseel e jisam pe taza laho k chente hain

Faseel e jisam pe taza laho k chente hain
Hadod e waqt se age nikal gea hai koi

Tu Nay Dekhaa Hai

Tu Nay Dekhaa Hai
Kabhi Chaand Pay Behta Hua Paani?
Mein Dekhaa Hai.
Yeh Manzarr Uss Kay Rukhsaar Pay Aksarr

kuch to majboriyan rahi hon gi

kuch to majboriyan rahi hon gi
yon koi bewafa nahi hota

Main usay dhoondne yadoon ki sarkon pey

Main usay dhoondne yadoon ki sarkon pey
Khushk paton ki tarha roz bikhar jata hon

Best wishes to you for a Holi

Best wishes to you for a
Holi filled with sweet moments
and memories to cherish for long.
Happy Holi!

gham se behel rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain

gham se behel rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain
dard mai dhal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain

saya-e-Vasl kab se hay aap ka muntazir magar
hijr mai jal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain

apne khilaaf faisla khud hi likha hay ap ne
haath bhi mal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain

qaqt ne aarzu ki lau dair hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain

dayeray-war hi to hain ishq k raastay tamam
raah badal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain

apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khuab mai chal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain

Rooty Hain DIL K Zakhm To Hansta Nahi Koi

Rooty Hain DIL K Zakhm To Hansta Nahi Koi
Itna To Faaida Mujhe Tanhaiyon Se Hy

GOD never takes a day off to

GOD never takes a day off to
love
care
guide&
protect
us in every moment of our lives
may his presence be with you
today and always
GOOD Night

Tuesday, April 9, 2013

The Difference Between

The Difference Between

"Like",
"Love"
N
"In Love"

Are The Same Difference
Between

"For Now",
"For A While"
N
"Forever..."

Abb jo bichrain hain to ehsaas hua hai humko

Abb jo bichrain hain to ehsaas hua hai humko,
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain,
Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain,
Abb to khud ko b muyassar nahi aa patay hain,
Raat ho din ho teray pyaar mai hum behtay hain,
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain,
Abb jo bichrain hain to ehsaas hua hai humko

Monday, April 8, 2013

Abb Kay Saal Kuchh Aisaa Karna

Abb Kay Saal Kuchh Aisaa Karna
Apney Guzrey Barah Mah K
Dukh Sukh Ka Andaza Karna
Basri Yadein Taza Karna
Sada Saa Kaghaz Ley Karr

Bhuley Basrey Pall Likh Laina
Apney Sarey Kall Likhh Laina
Phirr Iss Beetey Ekk Ekk Pall Ka
Apney Guzrey Ekk Ekk Kall Ka'
Ekk Ekk More Aehata Karna
Sarey Dost Ikhtey Karna
Sarie Subhein Hazir Karna
Sarie Shamein Pass Bullana
Aor Allawa Un K Daikho
Sarey Mousam Dhiyaan Mein Rakhna
Ekk Ekk Yaad Gumaan Mein Rakhna
Phirr Mohtat Qiyaas Lagana
Gr To Khushiyan Barh Jati Hain
To Phirr Tum Ko Meri Taraf Sey
Aaney Wala Saal MUbarak
Aor Agr Gham Barh Jain To
Matt Baikar Takalf Karna
Daikho Phirr Tum Aisa Karna
Meri Khushiyan Tum Lay Laina
Mujh Ko Apney Ghamm De Daina
Abb Kay Saal Kuchh Aisa Karna

Mujh Ko Na Do Mohlat Lamhe Bhar Ki Bhi Khudh Se

Mujh Ko Na Do Mohlat Lamhe Bhar Ki Bhi Khudh Se
Tum Mera Waqt, Mera Lamha, Mera Har Dour Ho Jao.

So wat will U do?

If u read,u owe me a HUG,
if u delete,u Owe me a kiss,
if u save,u owe me a DATE,
if u return txt msg 2 me,
u OWE me All,
bt if u ignore,
U r MINe!
So wat will U do?

Usy Mohabbat Me Kon sa Dukh Diya Hy Main ne

Usy Mohabbat Me Kon sa Dukh Diya Hy Main ne
Kabi Nazar Se Nazar Milaye To Us se Pochon

Itna Be’taab Na Ho Mujh Se Bicharne Ke Liye

Itna Be’taab Na Ho Mujh Se Bicharne Ke Liye,
Tujh Ko Aankhon Se Nahi, Dil Se Juda Karna Hai

Sunday, April 7, 2013

barish hui to phulon k tan chak ho gaye

barish hui to phulon k tan chak ho gaye
mausam k hath bhig k saffak ho gaye

badal ko kya khabar k barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khak ho gaye

jugnu ko din k waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad k chalak ho gaye

lahra rahi hai barf k chadar hata k ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq k pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham k namnak ho gaye

sahil pe jitne abguzida the sab k sab
dariya k rukh badalte hi tairak ho gaye

Zindagi ka koi ehsan nahin hai muj par

Zindagi ka koi ehsan nahin hai muj par
Main ne dunia me har ik sans ki qemat di hai

Usay maine hi likha tha K lehjey barf ho jayein

Usay maine hi likha tha

K lehjey barf ho jayein
Tou phir pighla nahi kartey

Parinday dar k urr jayin
Tou phir lota nahi kartay

Usay maine hi likha tha
Yaqeen uth jaye tu shayed
Kabhi wapis nahi aata

Hawaon ka koi toofaan
Kabhi barish nahi lata

Usay maine hi likha tha
K sheesha toot jaye tou
Kabhi phir jurr nahi pata
Jo rastey se bhatak jaye
Woh wapas murr nahi pata

Usay kehna woh be`maani adhoora khat
Usay maine hi likha tha
Usay kehna k deewanay
Mukammal khat nahi likhtay…

Paaney se khoney ka mazaa aur hai,

Paaney se khoney ka mazaa aur hai,
Band aankhon se roney ka mazaa aur hai..

Sweet Mother’s Day Poetry in English

Sweet Mother’s Day Poetry in English

Happy Mother’s Day from far away!
As love has wings, it flies across the sea,
Passing seraphim alight with glee,
Placed in nooks on clouds along its way.
Years cannot such innocence betray,
Morning’s holy light perpetually
On fire within the heart, a pillar we
Then follow through the desert night and day.
Here, then, is my love, and as it lands,
Exchange it for a pigeon of your own,
Returning through the heavens what I once,
‘Ere you were born, delivered to your door.
So are we eternal, though the sands
Demand of us that piece that is on loan,
As love renews, renews the ancient dance,
Yet dancing though the wide world be no more.

Top Urdu Sms Shayari

Top Urdu Sms Shayari

Behky Behky Hooye Andaz-e-byan Hoty Hain
Ap Hoty Hain To Phir Hosh Kahan Hoty Hain

Hont Paband Hain Mafoom Byan Hoty Hain
Koi Samjhy To Ye Aansu Bhi Zuban Hoty Hain

Yaad Hai Teri Nigahon Ka Badalna Mujh Ko
Aisy Andaz Qyamat Mein Kahan Hoty Hain

Kyun Shab-e-gham Na Jalaoon Teri Yaadon K Chiragh
Un Sy Roshan Meri Manzil K Nishan Hoty Hain

Gham Hai Baqi To Kisi Roz Khushi Bhi Ho Gi
Phool Bhi Khaak K Pehlu Mein Jawan Hote Hain..

Ek Mohabat Hy Or Uski Ek Nishani Hy
Ek Dil Hy Jese Koi Haweli Purani Hy

Safar Raat Ka Hy Or Raat Bi Tufani Hy
Samandr Hi Samandr Hy Kashti Bi Doob Jani Hy

Ibteda-e-ishq Se Inteha-e-ishq Tak
Main Hi Tha Bewafa Or Mainne Hi Wafa Nibhani Hy

Main Lot Aya Hoon Manzil Ko Dekh Kar
Yahan To Yadon Ki Verani Hi Verani Hy

Ye Intzar Khatam Q Nahi Hota Kis Se Pochon
Kya Koi Manzil Mera Muqadar Hy Ya Yehi Meri Adhori Kahani Hy?

Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai

Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai

Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai

Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai

Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai

Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Parveen ?
Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai

Tanha Hai Meri Zaat Kaheen Se Ajao,
Sun Lo Meri Baat Kaheen Se Ajao,

Dushman Bazi Jeet Raha Hai Chupke Se,
Hone Ko Hai Maat Kaheen Se Ajao,

Kachi Entain Our Imarat Garey Ki,
Our Us Per Barsat Kaheen Se Ajao,

Dil Ki Basti Per Hai Khof Andheron Ka,
Ho Jaey Na Raat Kaheen Se Ajao,

Kachi Umerain Us Per Khowab Mohabat Ke,
Kiya Kiya Hain Jazbat Kaheen Se Ajao,

Ankhen Rasta Dekh Rahi Hain Mudat Se,
Gardish Main Hain Halat Kaheen Se Ajao,

Mosam Mosam Log Badaltey Hain ”khowahish”,
Dil Pe R Hain Sadmat Kaheen Se Ajao….

Wo har baar zid mein ronay lagta hai

Wo har baar zid mein ronay lagta hai,
Main har baar us se haar jata hon.

Ab hum se zindagi ki haqeeqat na poocho

Ab hum se zindagi ki haqeeqat na poocho...!
Bohat matlabi thy kuch log, jo tunha kar gaye

Geya zamana badha sohana jo yaad Aaon to lot Aana

Geya zamana badha sohana jo yaad Aaon to lot Aana,
Wo Aankhon Aankhon main baat karna
wo baton baton main raat karna,

hansi chupane ko lab k Aage Haseen komal se Haath
Karna kabi hansana kabi rolena,

Ye baat tum bi kabi to samjo Hamari chup main bi Guftago hai, !mansha!
Samajh sako to Hamen batana Jo yaad Aaon to lot Aana.

Saturday, April 6, 2013

Bhari Mehfil Main Tanha Rehna Acha Lagta Hay

Bhari Mehfil Main Tanha Rehna Acha Lagta Hay
Teray Baray Main Sochtey Rehna Acha Lagta Hay

Kabhi Phoolon Main, Kabhi Kaliyon Main
Tujh Ko Hi Dhontay Rehna Acha Lagta Hay

Meri Zindagi Ki Khushiyan Tum Hi Say Hain Wabasta
RAB Sey Sirf Tumhain Hi Maangna Acha Lagta Hay

Humaray Darmiyan Haail Rahein Sadiyon Ki Khamoshiyan
Kuch Is Tarhan Guftugu Karna Acha Lagta Hay

Tumhray Baghir Zindagi Ka Koii Tasaver Nahi Hay
Kuch Is Tarhan Tumhari Tamanna Karna Acha Lagta Hay

Tum Hi Ko Chaha,Tum Hi Ko Chahtey Hain
Tumhi Ko Chahtey Rehna Acha Lagta Hay

Anmol Cheen Longa Tumhein Duniya Ki Rasmon Say
Ay Memon, Zamaney Sey Baghawat Karna Acha Lagta Hay

Kabhi Shokh Hein..

Kabhi Shokh Hein..
Kabhi Gum Si Hein..

Ye Baarishen Bhi..
Tum Si Hein.

Friday, April 5, 2013

Badtameez Dil Lyrics from Yeh Jawaani Hai Deewani by Amitabh Bhattacharya

Badtameezee ek bimari hai
Ek aisi bimari
Jo dhere dhere waqt ke saath
Budhaape mein badal jaati hai
Main kehta hoon jab tak budhaapa nahi aata
Thodi badtameezee hi kar lete hai

Paan main pudeena dekha
Naak ka nageena dekha
Chikni chameli dekhi
Chikna kameena dekha
Chaand ne cheater hoke cheat kiya toh
Saare taare bole gilli gilli akhaa

Pa para para...
Meri baat, teri baat
Zyada baatein boori baat
Thaali mein katora leke
Aaloo bhaat, mooli bhaat
Mere peeche kisi ne repeat kiya toh
Saala maine tere muh pe maara mukka

Ispe bhoot koi chadha hai
Theharna jaane naa
Ab toh kya buraa kyaa bhalaa hai
Fark pehchaane naa
Zidd pakad ke khadaa hai kambakht
Chhodna jaane naa

Badtameez dil, batameez dil, batamiz dil
Maane na, maane na
Badtameez dil, batameez dil, batamiz dil
Maane na, maane na

Yeh jo haal hai, sawaal hai, kamaal hai
Jaane na jaane na
Badtameez dil, battameez dil badtameez dil
Maane naa..

Hawa mein hawaana dekha
Dhimka falaana dekha
Singh ka singhada khaake
Sher ka ghuraana dekha
Poori duniya ka gol gol chakkar leke
Maine duniya ko maara dhakka

Pa para para..
Hey Bollywood Hollywood very very jolly good
Raayi ke pahaad pe teen futa liliput
Mere peeche kisi ne repeat kiya toh
Saala maine tere muh pe maara mukka

Ayaashi ke one way se khudko
Modna jaane naa
Kambal bewajah sharam ka
Odhna jaane naa
Zidd pakad ke khadha hai kambakht
Chodhna jaane na... Haha..

Badtameez dil, batameez dil, batamiz dil
Maane na, maane na
Badtameez dil, batameez dil, batamiz dil
Maane na, maane na

ek muddat hui ek zamana hua

ek muddat hui ek zamana hua
khak-e-gulashan mein jab aashiyana hua
zulf-e-baraham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujremana hua
phul jalate rahe chand hanste raha
aarzoo ka muqammal fasana hua
daag dil ki shahanshah ki sikke bane
dil ka muflis-kada jab khazana hua
rahbar ne palat kar na dekha kabhi
rahr-o-raste ka nishana hua
hum jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aasatana hua
dekh mizarab se khoon tapakane laga
saz ka tar marg-e-tarana hua
pahale hoti thi koi vafa-paravari
ab to “sagar” ye qissa purana hua

BABA BULLEY SHAH farmaya

BABA BULLEY SHAH farmaya

Kalyan ishq kamna okha

Kisy nu yaar banana okha

Payar payar te har koi boly

Kar k payar nibhana okha

Har koi dokhaan te hass lenda ae

Kisi da darrd wandana okha

Galaan nal nai rutby mildy

Jogi bhes watana okha

Koi kisy di gaal nai sunda

Lokaan nu samjhana okha

Akhan de banure change nai hondi

Akhan de banure change nai hondi,

Dostan toun douri change nai hondi,

Kady Kady mileya v kar yarra,

Har vayle SMS nal gal puri nai hondi

Jinu Jaan Jigar Asi Kehnde C

Jinu Jaan Jigar Asi Kehnde C
O Hor Kise Nu Chaunde Rae
O Hasde Rahe Begaaneya Naal
Sanu Utle Mano Bulaunde Rae
Asi Kitia Duava Piyaar Dia
Te O Daag Ishq Nu Launde Rae
O Daag Mitaaya Nai Mitde
Asi Hanjua Naal Mitaaunde Rae
O Hi Raah Vich Saanu Dob Gae
Jinu Asi Kinaare Launde Rae

Parh parh kitaban naam rakh leya Qazi

Parh parh kitaban naam rakh leya Qazi

hath vich phar k talwar tun nam rakh leya Ghazi

Makky Madiny kumm aya tun nam rakh leya Hajji

Bully shah hasil ki kita je tun Yar na rakhya Razi

Dil nu lagg jan rog te ki kerye

Dil nu lagg jan rog te ki kerye

kisy di yad wich akhyan ron te ki kerye

Sanun milan di tamanna rehendi ee her dam

per je yar hi pull jan te ki kerye

jadon nai se val turne da

jadon nai se val turne da
her koi chuk da phir da se
jis din tun turna sikhia ay
than than tay dig day phirney aan

kon jaane hayati ne kadon muk jana ae

kon jaane hayati ne kadon muk jana ae
te phul umeedan de fair suk jana ae
kise ne te umraa de painday jhalne ne
tay kisay ne adhay rastay ruk jana ae

Teri hatha wali mehndi vich naam jisda rehnda c

Teri hatha wali mehndi vich naam jisda rehnda c
Hun hatha vicho miti hoyi lakeer ho gya

Jehra teri jindgi da sab to keemti gehna c
Ajj galo lah k sutti hoyi janzeer ho gya

Dil de vehde jisde hunjua di aud c
Ajj gamma di o daulat nal ameer ho gya

‘preet’ jehra rounak c har ik mehfil di
Pind ‘chehru’ vich sunya hai o fakeer ho gya

Loke puchde yaran da pyar kive paida

Loke puchde yaran da pyar kive paida,
Dil hath te dhar ke yaran de naal lag jaida,
Zakhma nu chupake yaar nu hasaida,
Galat hove yaar te jind jaan naal manaida,
Ena pyar yaar nal paida ki je rabb bulave
Yaar nu te ap turr jaida

Kadi mehak nai mukdi pullan vichon

Kadi mehak nai mukdi pullan vichon
Phul sukday sukday suk jandey
Kadiy pyar nai mukda dila vichon
Saah mukhday mukday muk jandey

Phullan Naal Gulabaan da ke Tuk Banda

Phullan Naal Gulabaan da ke Tuk Banda
Chappal Nal Jurabaan Da ke Tuk Banda
Ay he soch K Sara Paper kHali Chad Aaya haan
SawaLaan Nal Jawaban Da Ke Tuk Banda

Na maen moman vich maseetaan

Na maen moman vich maseetaan,
Na maen moman vich maseetaan,
Na maen vich kufar diyan reetaan,
Na maen paakaan vich paleetaan,
Na maen moosa na pharaun.
Bulla, ki jaana maen kaun.

Na maen andar ved kitaabaan,
Na vich bhangaan na sharaabaan,
Na vich rindaan masat kharaabaan,
Na vich jaagan na vich saun.
Bulla, ki jaana maen kaun.

Na vich shaadi na ghamnaaki,
Na maen vich paleeti paaki.
Na maen aabi na maen khaaki
Na maen aatish na maen paun.
Bulla, ki jaana maen kaun.

Na maen arabi na lahori,
Na maen hindi shehar nagauri,
Na hindu na turak peshawri
Na maen rehnda vich nadaun.
Bulla, ki jaana maen kaun.

Na maen bhed mazhab da paaya
Ne maen aadam havva jaaya,
Na maen apna naam dharaaya
Na vich baitthan na vich bhaun.
Bulla, ki jaana maen kaun.

Avval aakhir aap nu jaana,
Na koi dooja hor pehchaana.
Maethon hor na koi siyaana
Bulla shauh khadda hai kaun.
Bulla, ki jaana maen kaun

Ya rab kadi payar wich judai na hondi

Ya rab kadi payar wich judai na hondi
Meri apni mohabat prai na hondi
Loki kenday meno paghal meri ayni roswai na hondi
Meno pta honda to aona nahi se kash mein dil di mehfil sjai na hondi

Kadi Mehak Nai Mukdi Phullan Vichon

Kadi Mehak Nai Mukdi Phullan Vichon
Phul Sukdy Sukdy Sukk Jandy.

Koi Qadar Na Jany Pyar Di
Dil Tutdy Tutdy Tut Jandy…

Koi Mool Nia Jug Te Rishtyaan Da
AY Chutdy Chutdy Chut Jandy..

Kadi Pyaar NAi Mukda Dilaan Wichoon
Saah Mukdy Mukdy Mukk Jandy

Change tusi v ho te mare asi v nhi

Change tusi v ho te mare asi v nhi
mohlay ch tusi v ho te sarka te asi vi nhi
jado puchia khnde ho busy ha ta vehle asi v nhi

Apna dard wadha lyna

Apna dard wadha lyna
Us nu fair bula lyna

Apny ap nulabhan lae
Apna ap gawa lyna

Sab to wakhra ho ky ty
Sab nu yaar bna lyna

Jangle rasta awy ty
Maa di ik dua lyna

Us dian galan kr ky v
Us da naam luka lyna

Chyti kr ky hr kam wich
Har ik kam wadha lyna

Lokan to wakh hoky ty
Apna shaher wasa lyna

Shah G usdi khatire v
Us to dhoka kha lyna

Bartan lohay de kadi tut_day nai

Bartan lohay de kadi tut_day nai
Maali kadi apne baag nu put_day nahi

Tut janday kadi kadi khoon de rishtay
par rishty sachi dosti de kadi tut_day nai

Kuj unj vi rahavan okhiyan san

Kuj unj vi rahavan okhiyan san.
Kuj ghal vich guman da tuog vi si
Kuj shaher dy log vi zalam sen.
Kuj sanu maran da shok vi si

Bahut waar badal badal k Vekh Lyiya Apnia Rahaan main

Bahut waar badal badal k Vekh Lyiya Apnia Rahaan main
Par Pta Nhio Kyo Manzil te ta Sirf te Sirf Tu Hi Disdi Ha

Onhey Akhiya Peeni Sharab Chadd Dey

Onhey Akhiya Peeni Sharab Chadd Dey..
Mahi Akhiyaan Teraa Vassa Karla..

Peeni Chadd ke Aynna dass tey sahi..
Jannat Chadke Dozakkh di Chaah kar lan..

Ohnu Peen waala Jannat nahi Chadd’da
Zindaa Aadamm di main Dastaan karna..

Onnhe Kannak toon Jannat Qurbaaan Kitti
Mai Sharaab toon Jannat Qurbaan karnnan

Jandi ae te jaye chahe meri jaan jaye

Jandi ae te jaye chahe meri jaan jaye,
din ka sakoon meri raat da araaam jaye,

Ik milda nai ohh jerra puchda aye haal mera,
subah tu din tey jeewain din tu shaam jaye

Aaj tanha hoon to kisi ne awaaz tak nahin di

Aaj tanha hoon to kisi ne awaaz tak nahin di,
Kal “daig” wanddi si tey paayi ji paayi ho rayi si

Hussan ki taup ka gola mara, tera kakh na rahe

Hussan ki taup ka gola mara, tera kakh na rahe.
Tujh pe gir jaye qutbi tara, tera kakh na rahe,

Banking council waley teri har shay qarqi kar dain,
Charh jaye tujh pe qarzaa bhara, tera kakh na rahe,

Sardi andar neher ke banney, sari raat khalotey,
Tu na aayi, laya laara, tera kakh na rahe,

Dil ki chori ke ilzaam police ka chaapa par jaye,
Pharrya jaye tabbar sara, tera kakh na rahe,

Saari ghazal suna kar bhi nahin saarra dil ka mukya,
Saadda hai bas ikko hi naara, tera kakh na rahe

Woh khush-kalaam hai aesa ke us ke pass humain,

Woh khush-kalaam hai aesa ke us ke pass humain,
Taveel rehna bhi lagta hai mukhtasir rehna..

Tumhe maloom ho jaye ga rona kis ko kehte hain

Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se
Tumhe maloom ho jaye ga rona kis ko kehte hain

Thursday, April 4, 2013

Aala Re Aala Lyrics from Shootout at Wadala by Kumaar

Ek din ke liye
Ek pal ke liye
Teri dulhan banu sirf kal ke liye
Intezaaron ka kaajal laga lun zara
Ishq ke itar mein naha lun zara
Ek din ke liye

Aag lagi hai la la la..
Dhuaan utha hai la la la..
Aag lagi hai, dhuaan utha hai
Ishq mohabbat wala
Aag lagi hai, dhuaan utha hai
Ishq mohabbat wala
Kisne meri jaan chura li
Kisne maar daala

Aala re aala, Manya aala
Dil ke shehar mein apun ka bolbala (x3)

Meri aankhon ki shararatein
Meri saanson ki haraaratein
Meri sehami sehami chaahatein
Mere nange paaon aahatein
Mera jo bhi woh mere mehboob ka

Ho.. dekhun kaise rakhe dooja mehboob tu
Meri baahon ki kashti ke sang doob tu
Jo tujhe khwaab mein roz milta raha
Jo tujhe khwaab mein roz milta raha
Main wahi hoon, wahi hoon, wahi hubahu

Awaaraagardi karne aaya yahaan matwala
Aashiq wali adaa ne zaalim mujhko maar daala

Aala re aala, Manya aala
Aan se hoga apun ka bolbala

Aala re aala, Manya aala
Tujh se kasam na dekha himmatwala

Dekhe door-door door se
Koi bol de huzoor se
Koi thaam lo zara inhe
Woh mere nashe mein choor se
Ishq ke ye jalan tum na seh paaoge

Ho ho ho..
Tu jala toh sahi hans ke jal jaayenge
Khol seena, teer-e-jigar khayenge
Tu ishaara toh kar, Tujh pe sab de luta
Tu ishaara toh kar, Tujh pe sab de luta
Keh de tu, khote sikke bhi chal jayenge

Tujh mein kuch toh baat hai
Mera dil kyun dhadka saala
Mar miti hun tujhpe mujhko farhad tu karne wala

Aala re aala, Manya aala
Sab se alag hai, tu sab se niraala

Aala re aala, Manya aala
Akkhi Bumbai mein apan ka bolbala

Aala re aala, Manya aala
Sab se alag hai, tu sab se niraala

Aala re aala, Manya aala
Dil ke shehar mein apun ka bolbala

Sun Raha Hai (Female) Lyrics from Aashiqui 2 by Sandeep Nath

Yaara...
Manzilein ruswa hain
Khoya hai raasta
Aaye le jaaye
Itni si ilteja
Ye meri zamaanat hai
Tu meri amaanat hai aa...

Mujhko iraade de
Kasamein de, waade de
Meri duaaon ke ishaaron ko sahaare de
Dil ko thikaane de naye bahaane de
Khabon ki barishon ko mausam ke paimane de
Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein

Sun raha hai naa tu
Ro rahi hun main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main (x2)

Yaara...

Waqt bhi thehara hai
Kaise kyun ye huaa
Kaash tu aise aaye
Jaise koi duaa
Tu rooh ki raahat hai
Tu meri ibaadat hai

Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein

Sun raha hai naa tu
Ro rahi hun main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main (x2)

Hum Mar Jayenge Lyrics from Aashiqui 2 by Irshad Kamil

Apni aankhein khaali kar de
Kaash tu meri aankhein bhar de
Kaash tu meri aankhein bhar de

Mere yaara tere gham agar payenge
Humein teri hai kasam, hum sanwar jayenge (x2)

Do yeh saugaat tum, tto zamaane ki hum
Do yeh saugaat tum, tto zamaane ki hum
Har khushi se mukar jayenge
Hum mar jayenge
Hum mar jayenge

Mere yaara tere gham agar paayenge
Humein teri hai kasam, hum sanwar jayenge

Tere kaandhe se hi lag ke
Yaara beete umar saari
Socho kaisi hogi kismat
Hua yun tto phir humaari
Saare aansoon toh ho tere
Aur aankhein ho humaari
Tere dard humein, jo mile pyaar mein
Tere dard humein jo mile pyaar mein
Hum khushi se yun bhar jaayenge
Hum mar jaayenge ho o..
Hum mar jaayenge

Mere yaara tere gham agar paayenge
Humein teri hai kasam, hum sanwar jaayenge

Chaahe dukh ho, chaahe sukh ho
Dil ne tujhko hi pukaara
Tune humko hai banaaya
Tune humko hai sanwaara
Jahaan ko rab ka hai, humein tera hai sahaara
Bas tera saath ho, chaahe jo baat ho
Bas tera saath ho, chaahe jo baat ho
Tere kehne se kar jaayenge
Hum mar jaayenge ho o..
Hum mar jaayenge

Mere yaara tere gham agar paayenge
Humein teri hai kasam, hum sanwar jaayenge

Mere yaara tere gham agar paayenge
Humein teri hai qasam hum sanwar jaayenge

Piya Aaye Na Lyrics from Aashiqui 2 by Irshad Kamil

Teri khata hai mere jiya
Teri khata hai mere jiya
Unnpe bharosa kyun tune kiya

Sab jhoothe jhoothe waade thhe unke
Chal peechhe peechhe aaya tu jinke
Woh piya aaye na
Woh Piya aaye na
Piya aaye na woh piya aaye na

Ab sabhi unn khwaabon ki tu dagar chhod de
Ab sabhi unn khwaabon ko tu khud hi tod de
Woh piya aaye na
Woh Piya aaye na
Piya aaye na woh.. piya aaye na

Teri khata hai mere jiya
Teri khata hai mere jiya

Har khata ki hoti hai koi na koi sazaa
Gham likhe ho kismat mein to ban hi jaati wajah
Ab sabhi gham ashqon mein simat se gaye
Ab sabhi aansu palkon se lipat se gaye
Woh piya aaye na
Woh.. Piya aaye na
Piya aaye na woh... piya aaye na

Sach laga tha jo bewajah
Humko woh bharam ho gaya hai
Bhor aane thhe jis fasaane mein
Woh khatam ho gaya
Bhoole hum bhoole woh
Kaise sabse kahein baat yeh

Ab chalo hum dheere dheere bihal se gaye
Ab chalo hum jaise bhi ho sambhal se gaye
Woh piya aaye na
Woh.. piya aaye na (woh piya aaye na)
Piya aaye na.....

Teri khata hai mere jiya
Teri khata hai mere jiya
Unnpe bharosa kyun tune kiya

Milne Hai Mujhse Aayi Lyrics from Aashiqui 2 by Irshad Kamil

Milne hey mujh sey aayee
Phir jaane kyun tanhaai
Kis mod pe hey laayee aashiqui
O.. khud se hey ya Khuda se
Iss pal meri ladaai
Kis mod pe hey laayee aashiqui
O o...

Aashiqui baazi hey taash ki
Toot.te bante vishwaas ki
O.. Milne hey mujh sey aayee
Phir jaane kyun tanhaai
Kis mod pe hey laayee aashiqui

Jaane kyun main sochta hoon
Khaali sa main, ik raasta hoon
Tune mujhe kahin kho diya hey
Yaa main kahin khud laapata hoon
Aa dhoond le tu phir mujhe
Kasamein bhi doon toh kya tujhe...

Aashiqui baazi hey taash ki
Toot.te bante vishwaas ki
O.. Milne hey mujh sey aayee..
Phir jaane kyun tanhaai
Kis mod pe hey laayee aashiqui

Toota hua saaz hoon main
Khud se hi naaraz hoon main
Seene mein jo kahin pe dabi hey
Aisi koi aawaaz hoon main
Sun le mujhe tu bin kahe..
Kab tak khaamoshi dil sahe..

Aashiqui baazi hey taash ki
Toot.te bante vishwaas ki (x2)

O milne hey mujh sey aayee
Phir jaane kyun tanhaai
Kis mod pe hey laayee aashiqui

O Khud se hey ya Khuda se
Iss pal meri ladaai
Kis mod pe hey laayee aashiqui
O o ho...

Aashiqui baazi hey taash ki
Toot.te bante vishwaas ki

Aasan Nahi Yahan Lyrics from Aashiqui 2 by Irshad Kamil

Wo o o o...

Aasaan nahi yahaan aashiq ho jaana
Palkon pe kaanton ko sajaana
Aashiq ko milti hai gham ki saugaatein
Sabko naa milta yeh khajaana

Wo o o o...

Baaton se aage, waadon se aage
Dekho zara tum kabhi ho o..
Yeh to hai shola, yeh hai chingari
Yeh hai jawaag bhi

Wo o o o...

Jismon ke peechhe bhaage ho phirte
Utro kabhi rooh mein ho..
Hota kya aashiq, kya aashiqhi hai
Hogi khabar tab tumhein

Wo o o o...

Meri Aashiqui Lyrics from Aashiqui 2 by Mithoon, Irshad Kamil

Tu mujhe chhod jaaye
Yeh nahi ho sakta, saathiya

Meri baaton mein tera zikr sadaa
Meri yaad mein teri fikr sadaa
Main jo bhi hoon tum hi to ho
Mujhe tum se mili apni adaa

Kyunki tum hi ho, ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho..
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Tum hi ho, tum hi ho
Arz bhi, mera marz bhi
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Tere liye hi jiya main
Khud ko jo yun de diya hai
Teri wafa ne mujhko sambhala
Saare ghamon ko dil se nikaala
Main jo mit bhi gaya tto wajood mera
Sadaa tujh mein rahe zinda

Kyun ki tum hi ho, abb tum hi ho
Ki zindagi abb tum hi ho.. woh o..
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui abb tum hi ho

Tum hi ho, tum hi ho
Karz bhi, mera marz bhi
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Chahun Main Ya Na Lyrics from Aashiqui 2 by Irshad Kamil

Tu hi ye mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa (x2)

Itna bata doon tujhko
Chaahat pe apni mujhko
Yun tto nahi ikhtiyaar
Phir bhi yeh socha dil ne
Ab jo laga hoon milne
Poochhu tujhe ek baar

Tu hi ye mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

Aisi kabhi pehle hui naa thi khwaahishein
O.. kisi se bhi milne ki
Naa ki thi koshishein
Uljhan meri suljha de
Chaahun main ya naa
Aankhon aankhon mein jataa de
Chaahun main ya naa

Mere chhote chhote khwaab hain
Khwabon mein geet hain
Geeton mein zindagi hai
Chaahat hai, preet hai
Abhi main na dekhoon khwaab woo
Jin mein na tu mile
Le khole honth maine
Ab tak the jo sile

Mujhko na jitna mujh pe
Utna iss dil ko tujh pe
Hone laga aitbaar
Tanha lamhon mein apne
Bunti hoon tere sapne
Tujhse hua mujhko pyaar o o..
Poochungi tujhko kabhi naa
Chaahun main ya naa
Tere khaabon mein ab jeena
Chaahun main kyun naa!

Tu hi yeh mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

U may meEt ppL beTta deN me,

U may meEt ppL beTta deN me,
fuNnieR deN mE,
moRe loVely deN me,
buT thiNg i caN saY to U,
i wiLL alwAys be heRe wheN deY aLL leAve u

Wednesday, April 3, 2013

Bhula Dena Lyrics from Aashiqui 2 by Sanjay Masoomm

Bhula dena mujhe
Hai alvida tujhe
Tujhe jeena hai mere bina
Safar yeh tera, yeh raasta tera
Tujhe jeena hai mere bina

Ho teri saari shoharatein
Hai yeh duaa..
Tujhi pe saari rehmatein
Hai yeh duaa..
Tujhe jeena hai mere bina
Bhula dena mujhe
Hai alvida tujhe
Tujhe jeena hai mere bina

Tu hi hai kinaara tera
Tu hi tto sahaara tera
Tu hi hai taraana kal ka
Tu hi to fasaana kal ka
Khud pe yaqeen tu karna
Ban.na tu apna khuda... (x2)

Fiza ki shaam hoon main
Tu hai nayi subah
Tujhe jeena hai mere bina
Tujhe jeena hai mere bina

Khilengi jahaan.. bahaarein sabhi
Mujhe tu wahaan.. paayega
Rahengi jahaan hamaari wafaa
Mujhe tu wahaan.. paayega
Milunga main iss tarah waada raha
Rahunga sang main sada waada raha
Tujhe jeena hai mere bina

Bhula dena mujhe
Hai alvida tujhe
Tujhe jeena hai mere bina
Tujhe jeena hai, haan mere bina!

Sun Raha Ha iLyrics from Aashiqui 2 by Sandeep Nath

Apne karam ki kar adayein
Yaara, Yaaraa... yaara!

Mujhko iraade de
Kasamein de, waade de
Meri duaaon ke ishaaron ko sahaare de
Dil ko thikaane de
Naye bahaane de
Khaabon ki baarishon ko
Mausam ke paimane de
Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein

Sunn raha hai naa tu
Ro raha hun main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main (x2)

Mazilein ruswa hain
Khoya hai raasta
Aaye le jaaye
Itni si iltejaa
Ye meri zamanat hai
Tu meri amaanat hai haan...

Apne karam ki kar adayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein
Sun raha hai naa tu
Ro raha hoon main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main

Waqt bhi thehara hai
Kaise kyun ye huaa
Kaash tu aise aaye
Jaise koi duaa
Tu rooh ki raahat hai
Tu meri ibaadat hai

Apne karam ki kar adayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein

Sun raha hai naa tu
Ro raha hoon main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main (x2)

Yaaraa....

Laila teri le legi Lyrics from Shootout At Wadala by Sanjay Gupta & Anand Raaj Anand

Dil tera le legi
Jaan teri le legi
Imaan tera le legi
O Laila teri.. hey!
O Laila teri.. hey hey!
O Laila teri le legi
Tu likh ke le le... hey hey...
O Laila teri le legi
Tu likh ke le le

Ek nazar dekhegi... hey hey hey!
Teer woh phenkegi... hey hey hey!
Arey ek nazar dekhegi
Teer woh phenkegi
Mausam badal degi
O Laila teri le legi tu likh ke le le
O Laila teri le legi tu likh ke le le

Sheesha-e-Dil ye uchhaale
Tewar hain iske niraale
Arey dekhe toh madhosh kar de
Kabhi kabhi behosh kar de
Lut.te phire dilwale
Naa jaane kya kar degi
O Laila teri le legi tu likh ke le le
O Laila teri le legi tu likh ke le le

O Laila ki nazarein nasheeli
O har ek adaa hai rangeeli
Aisi sexy chaal hai tauba
Husan se maalamal hai tauba
Uff ye kamar lachkeeli
Qayamat hi kar degi
O Laila teri le legi tu likh ke le le
Hey hey hey...!
O Laila teri le legi tu likh ke le le..

Dil tera le legi
Jaan teri le legi
Dil tera le legi
Jaan teri le legi
Imaan tera le legi

O Laila teri le legi tu likh ke le le
Hey hey hey...
O Laila teri le legi tu likh ke le le
Hey hey hey...
O Laila teri le legi tu likh ke le le

Slowly Slowly Lyrics from Go Goa Gone by Priya Panchal

Na ne na no na ne na...
Na ne na no na ne na...

Aisa na kar, na kar, na kar, na kar
Na kar mere yaar
De de laa kar, laa kar, laa kar,
Laa kar mere yaar
Aisa na kar, na kar, na kar, na kar
Na kar mere yaar
Hai tu hi mera hope
Zara sa dope dila de mere yaar...

Raat hai ek hore, hai maange more
Tu lut jaa slowly slowly (x2)
www.lyricsmint.com
Ghaas ka kar jhol, tu karle roll
Magar beta slowly slowly...
Raat hai ek hore, hai maange more
Tu lut jaa slowly slowly

Khoon s-l-o-w hai
Brain s-l-o-w hai
Hai sabhi s-low
Dum slowly!
Haan mila to, Mind hua b-low
Lagi lagi, latt zubaan pe, jab zubaan pe
(I'm trippin trippin trippin now)
Bala tali tab o jaan se, tab o jaan se
(Its messin' with my mind n how)

Earth pe rehkar, tu heaven par
Pahunch jaa slowly slowly
Raat hai ek hore, hai maange more
Tu lutja slowly slowly..
Ghaas ka kar jhol, tu karle roll
Magar beta slowly slowly...

Kuch Khawab Suhaany Toot Gay,

Kuch Khawab Suhaany Toot Gay,
Kuch Yaar Purany Rooth Gaye.

Kuch Zakham Lagy Thy Chehry Par,
Kuch Ander Se Hum Toot Gaye.

Kuch Hum Thy Tabiyat K Saada,
Kuch Log Begany Loot Gaye.

Kuch Apno Ne Badnaam Kiya,
Kuch Ban Afsany Jhoot Gaye.

Kuch Apni Shikasta Nao Thi,
Kuch Humse Kinaary Choot Gaye.

The breeze has awakened the earth,

The breeze has awakened the earth,
The sun gave brightness to the earth,
Birds gave melodious music to the earth,
Then its the time to wish my sweet friend
Good Morning

Talab kren to Main apni Ankhain b unhain dy don

Talab kren to Main apni Ankhain b unhain dy don
Mgr ye Log Meri Ankho k khwab mangty hain

You've seen me laugh

You've seen me laugh
You've seen me cry
And always you were there with me
I may not have always said it
But thanks and I love you
Happy Mother's Day.

maharban ho k bula lo mujhe chaho jis waqt main

maharban ho k bula lo mujhe chaho jis waqt main
gaya waqt nahi hun k phir a bhi na sakun

zauf mein tana-e-agyar ka shikwa kya hai bat
kuch sar to nahi hai k utha bhi na sakun

zahar milta hi nahi mujhko sitamgar warna
kya qasam hai tere milne ki k kha bhi na sakun

Yeh na samajh ke bichra hoon tou bhol geya hoon tujhe

Yeh na samajh ke bichra hoon tou bhol geya hoon tujhe
Tere hathon ki khushboo mere hathon mein aaj bhi hai

Yeh aur baat hai majbooriyon ne nibhaney na di dosti
Warna shaamil sachayi meri wafaon mein aaj bhi hai

Mohabbat se barh ker tumse akeedat hai mere dost
Yun buland sab doston mein mukaam tera aaj bhi hai

Chahta hu atiq ke har lamha zindagi mein mohabbat ho
Shaamil tu meri tamaam duyaaon mein aaj bhi hai

Kali Kali Lyrics from Ek Thi Daayan by Gulzar

Kaali kaali aankhon ka
Kala kala jaadu hai
Aadha aadha tujh bin main
Aadhi aadhi si tu hai (x2)

Kaali kaali aankhon ka
Kaala kaala jaadu hai
Aaj bhi junooni si
Jo ek aarzoo hai
Yun hi tarasne de
Yeh aankhein barasne de
Teri aankhein do aankhein
Kabhi shabnam kabhi khushboo hai

Kaali kaali aankhon ka
Kala kaala jaadu hai
Aadha aadha tujh bin main
Aadhi aadhi si tu hai
Kaali kaali aankhon kaala kaala jadu...

Gehre samandar aur do jazeere
Doobe huey hain kitne zakheere
Dhoondne do...
Ashkon ke moti, seepi se kholo
Palkon se jhaanke to jhaankne do
Jhaankne do...
Qatra qatra girne do
Qatra qatra chun.ne do
Qatra qatra rakhna hai naa
Qatra qatra rakhne do
Teri aankhon ka ye saaya
Andhere mein koi jugnoo hai

Kaali kaali aankhon ka
Kala kaala jaadu hai
Aadha aadha tujh bin main
Aadhi aadhi si tu hai

Jaane kahaan pe utrenge dono
Udte huey yeh shab ke parinde
Do parindey....
Pankhon pe barkha, le ke udey hain
Do boond de do, pyaase pade hain
Haan do boondein..
Lamha lamha lamhe dau
Lamha lamha jeene do
Keh bhi do na aankhon se
Lamha lamha peene do
Teri aaknhein halka saa
Chhalka sa ek aansoo hai

Kaali kaali aankhon ka
Kaala kaala jaadu hai
Aadha aadha tujh bin main
Aadhi aadhi si tu hai...

Lautungi Main Lyrics from Ek Thi Daayan by Gulzar

Sehmi sehmi raaton mein
Sehmi sehmi chalti hoon (x2)

Lautungi main tere liye
Tere liye jaaneya ve
Sehmi sehmi raaton mein
Sehmi sehmi chalti hoon
Lautungi main tere liye
Tere liye...

Kaali amaavas ke peechhe khadi hoon main
Saalon ke jaalon mein
Kab se padi hoon main
Bechain hoon, tere liye
Ho.. jaaneya, jab doobega din
Diya jalana tum
Aawaaz de ke phir mujhko bulana tum
Lautungi main tere liye jaaneya ve

Tere liye saathi mere
Jaaneya ve...

Veeraan pedon ke saaye jab chalte hain
Maasoom roohon ko andhere daste hain
Darti hoon main tere liye
O ho jaaneya
Jab raatein pighlein okh lagana tum
Aakash ka koi kona uthaana tum
Lautungi main tere liye jaaneya ve
Tere liye saathi mere jaaneya ve..

Sapna Re Sapna Lyrics from Ek Thi Daayan by Gulzar

hmm hmm mm... :'(

Sapna re sapna, hai koi apna
Ankhiyon mein aa, bhar jaa
Ankhiyon ki dibiya bhar de re nindiya
Jaadu se jaadu kare jaa
Sapna re sapna, Hai koi apna
Ankhiyon mein aa bhar jaaa na
Ankhiyon ki dibiya bhar de re nindiya
Jaadu se jaadu kare jaaa na

Bhoore bhoore baadalon ke bhaalu
Loriyaan sunaaye la ra ra ru (x2)

Taaron ke kanchon se, raat bhar khelenge
Sapno mein chanda aur tu
Sapna re sapna, Hai koi apna
Ankhiyon mein aa bhar jaa

Peele peele kesari hain gaanv
Geeli geeli chandni ki chhanv (x2)

Bagulon ke jaise re doobe huey hain re
Paani mein sapnon ke paanv

Sapna re sapna, Hai koi apna
Ankhiyon mein aa bhar jaa
Ankhiyon ki dibiya
Bhar de re nindiya
Jaadu se jaadu kar ja
Sapna re sapna (Sapna re sapna)
Ankhiyon ki deebiya (Ankhiyon ki deebiya)
Sapna re sapna... hmm hmm mm :'(
Ankhiyon ki deebia hmm hmm mm :'(

Woh khush-kalaam* hai aesa ke us ke pass humain,

Woh khush-kalaam* hai aesa ke us ke pass humain,
Taveel rehna bhi lagta hai mukhtasir rehna..

Tuesday, April 2, 2013

Doctor my wife is pergnant.She is having pain right now.

Sardar on phone:

Doctor my wife is pergnant.She is having pain right now.

Doctor: Is this her first child?

Sardar: No this is her husband speaking��

Special dua for a special person

Special due for a special person
May Allah almighty bless you with
Sehat,
Nemat,
Izzat,
Barkat,
Daulat,
Salamti,
Kamyabi
and Unlimited Khusiyan

Eid Mubarak!

Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay

Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay
Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay ?

Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Mein
Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay

Mein Jis Ke Hijr Mein Roya Hun Paaglon Ki Tarah
Wo Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Per Kaisay

Azeez-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Vasl Mein Bhi
Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay

Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon “Mohsin” ?
Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay

Likha Hua Tha Jis Kitab Men

Likha Hua Tha Jis Kitab Men

Charag-o-aftab Gum, Badi Hasin Rat Thi
Shabab Ke Naqab Gum, Badi Hasin Rat Thi

Mujhe Pila Rahe The Wo Ki Khud Hi Shamma Bujh Gayi
Gilas Gum Sharab Gum, Badi Hasin Rat Thi

Likha Hua Tha Jis Kitab Men, Ki Ishq To Haram Hai
Hui Vahi Kitab Gum, Badi Hasin Rat Thi

Labon Se Lab Jo Mil Gaye, Labon Se Lab Jo Sil Gaye
Saval Gum Javab Gum, Badi Hasin Rat Thi

teri khushbu ka pataa karti hai

teri khushbu ka pataa karti hai,
mujh pay ehsaan hawa karti hai,

shab ki tanhai mei ab to aksar,
guftagu tujh say raha karti hai,

dil ko us raah pay chalna hee nahi,
jo mujhay tujh say juda karti hai,

zindagi meri thee lekin ab to,
teray kehnay mei raha karti hai,

us nay dekha he nahi warna yeh aankh,
dil ka ehwaal kaha karti hai,

shaam parrtay he kisi shakhs ki yaad,
koocha e jaan mei sadaa karti hai.

kisi soorat bhi mairi khoo-e-armaani nahi jaati

kisi soorat bhi mairi khoo-e-armaani nahi jaati
maiN har khwahish pe marti hooN ye naadaani nahiN jaati

muqadar ki lakiroN maiN sajaaya jab tujhe maiN ne
to jewen say mere pher keyoon yeh veeraani nahiN jaati

jisey socha usey poja jisey chaha usey paya
takhayul se sukhanwar phir bhi hairaani nahiN jaati

talatum khaiz mojaiN narm lehja le kay aayi haiN
ajab sa khauf hay dil main, preshaani nahiN jaati

guzartey waqet ney dhulaa deye ketney haseen chehray
"bohat jaani huwi soorat bhi pechaani nahiN jaati

amarat zarf ho jin ka sakhawat jin ki fitrat ho
tahi daman bhi ho jaayeN tau sultaani nahiN jaati

darkhtoon ney hare patoon ki chader ourh li jab sey..
chaman ki our tab se eek dewani nei jati

patang apni muhabat ki bulandi per kati lekin
mere hathoon sey raana peyar ki tani nehi jati

Monday, April 1, 2013

Hum gali se teri chup chaap guzar atey hain,

Hum gali se teri chup chaap guzar atey hain,
Apni dharrkan teri dehleez pe dhar atey hain,

Aik to hai ke teri chaap* to tarsey mera dil,
Warna panchhi bhi shaam ko ghar atey hain,

Jab se saahil pe kiya tu ne kinaara mujhse,
Joq-dr-joq* meri simt bhanwar atey hain,

Aap kehte hain karri dhoop main jalna kesa,
Ja’bjaa* raah main kitne hi shajar atey hain,

Jab se socha hai mene tujhe shab-e-furqat mein,
Kiss qadar chand sitarey mere ghar atey hain,

Zindagi jab bhi shab-e-hijar ke sanchey* mein dhali,
Us ki jaanib se bhi peighaam-e-seher atey hain,

Un se milte huye aksar mein Ghazal sochti hoon,
Kya woh aese hi hain jesa ke nazar atey hain..

Kr Apni Zaat Se wabasta Tu Mujhe

Kr Apni Zaat Se wabasta Tu Mujhe
Ho Kr Khafa Mujh Se Na Meri Jaan Liya Kr

why did u shoot ur wife

Judge:why did u shoot ur wife
instead of shootingher lover?

Sardar:Your honour,
it's easier to shoot a woman once,
than shooting one man every week

Chahat Unki Hum Dil Main Chupaye Phirtey Hain

Chahat Unki Hum Dil Main Chupaye Phirtey Hain
Aik Khushboo Si Sanson Main Basaye Phirtey Hain

Dil main Paida ho Deed Ki Khawshish Kionkar
Aks unn ka jo Ankhon Main Sajaye Phirtey Hain

Kisi ke qadmon ki chaap sunayee deti hey
rastey peh iss liye kaan lagaye Phirtey Hain

Kal tak jo martey tey pattar Mujh ko
Wahee Haat janaza mera Uthaye Phirtey Hain

Adawaton ke iss sheher main har soo andhera hai
Chalo yaro ulfaton k diye jalaye Phirtey hain

Unn ko be shayaid tum peh ait-e-bar nahin
Tum unn ko, Wo tum ko aazmaye Phirtey Hain

Phir sy har boond mein teri yaad ki lazzat ly kr,

Phir sy har boond mein teri yaad ki lazzat ly kr,
Baarishein aag laganay ka hunar laayi hein…