Friday, November 30, 2012

Mujh me rehta hy wo Dushman jani mera

Mujh me rehta hy wo Dushman jani mera
Khud se tanhai me milty hoe dar lgta hy

As I feel the tear go down my cheek,

As I feel the tear go down my cheek,
I notice that my heart is weak,

For the love I have for you,
Will always be gold and true,

I have made some mistakes, they rest in the past,
But know my love will always last,

Even though we are a distance apart,
You always have the key to my heart.

wo pagli phir se beetay mosam ko,

wo pagli phir se
beetay mosam ko,
yad krti he

poraNe cards parhti hai,
…k jis maiN oss Ne likha tha,
MAiN LOTOON GA DECEMBER MEiN

Naye kaprey baNati hai,

wo sara ghar sajati hai,
DECEMBER k har aik diN ko,
wo giN giN ker bitati he.

jooN hi 15 gozarti hai,

wo kch kch toot jati hy,

magar phir b,
poraNi albums ko khol ker,
maazi ko bolati he.

Nahi maloom ye oss ko,
K beete waqt ki khoshiyaaN,
bohot takleef deti haiN!
mehiz dil ko jalati haiN.

yooN hi diN beet jate haiN!
DECEMBER lot jata he.

magr wo khosh feham larki,
dobara se caleNdar maiN,
DECEMBER k mahiNe k safey ko
mor ker

phir se
DECEMBER k sehar maiN dob jati he!

k akhir os Ne likha tha,

“MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN”

Thursday, November 29, 2012

Mujhe Sab Soonp Kr Sooraj Utar Jata Hai Pani Me

Udaasi... Shaam... Tanhai... Kasak... Yadon ki Be-Chaini
Mujhe Sab Soonp Kr Sooraj Utar Jata Hai Pani Me

phir se mausam bahaaro.n kaa aane ko hai

phir se mausam bahaaro.n kaa aane ko hai
phir se rangii.n zamaanaa badal jaayegaa
ab kii bazm-e-charaaGaa.N sajaa le.nge ham
ye bhii aramaa.N dil kaa nikal jaayegaa

aap kar de.n jo mujh pe nigaah-e-karam
merii ulfat kaa rah jaayegaa kuchh bharam
yuu.N fasaanaa to meraa rahegaa yahii.n
sirf unavaan us kaa badal jaayegaa

phiikii phiikii sii kyuu.N shaam-e-maiKhaanaa hai
lutf-e-saaqii bhii kam Khaalii paimaanaa hai
apanii nazaro.n se hii kuchh pilaa diijiye
rang mahafil kaa Khud hii badal jaayegaa

mere miTane kaa un ko zaraa Gam nahii.n
zulf bhii un kii ai dost bar_ham nahiN
apane hone naa hone se hotaa hai kyaa
kaam duniyaa kaa yuu.N hii to chal jaayegaa

aap ne dil jo ?Zahid? kaa to.Daa to kyaa
aap ne us kii duniyaa ko chho.Daa to kyaa
aap itane to aaKhir pareshaa.N na ho.n
vo sambhalate sambhalate sambhal jaayegaa

Wednesday, November 28, 2012

Aye Eid Tum Jab B Aana

Aye Eid Tum Jab B Aana.
Sab K Liye Bus Khushiyan Lana.

Har Chehry Pr Hansi Sajana.
Har Aangan Mein Phool Khilana.

Jo Roaye Hain Enhen Hansana!
Jo Rothy Hain Enhein Manana.!

Jo Bichray Hain Enhein Milana!
Piyari Eid Tum Jab Bhi Aana!

Sub K Liye Khushiyan Lana.

Waqt ke sath anaasar bhi rahe sazish mein,

Waqt ke sath anaasar bhi rahe sazish mein,
Jal gaye pairr kabhi dhoop kabhi barish mein,

Woh tou ik saada-o-kam shauq ka talib ikla,
Hum ne naahiq hi ganwaya usey aarayesh mein,

Zindagi ki koi mehroomi nahin yaad ayi,
Jab talak hu mthey tere qurb ki asaayesh mein,

Aik dunya ka qaseeda tha agarche mere naam,
Lutf aata tha kisi shakhs ki fehmayesh mein,

Us ki ankhen bhi meri tarah se girdi kahin aur,
Khawb ka qarz barh jata hai ik khawish mein…

Haath paaon bhi tab tere apney na thay

Jab tu paida huwa kitna majboor tha
Yeh jahan teri soch se bhi dour tha…

Haath paaon bhi tab tere apney na thay
Teri ankhon main duniya ke sapney na thay…

Tujh ko aata jo sirf rona hi tha
Doodh pi ke tera kaam sona hi tha…

Tujh ko chalna sikhaya tha maa ne teri
Tujh ko dil main basaya tha maa ne teri…

Maa ke saaye main parwaan chadne laga
Waqt ke sath qad tera badne laga…

Dhirey dhirey tu kadiyal jawan ho gaya
Tujh pe saara jahan meharban ho gaya…

Zor-e- bazoo pe tu baat karne laga
Khud hi sajney laga khud sanwarney laga…

Ek din ek ladki tujhe bhaa gayei
Ban ke dulhan woh tere ghar agayei…

Ab faraayez se tu door honay laga
Beej nafrat ka khud hi tu boney laga…

Phir tu maa baap ko bhi bhulaaney laga
Teer baton ke phir tu chalaney laga…

Baat be baat unn se tu ladney laga
Qayda ek naya tu phir padnay laga…

Yaad kar tujh se maa ne kaha ek din
Abb humara guzara nahin tere bin…

Sunn ke yeh baat tu tayesh main agaya
Tera gussa teri aqal ko kha gaya…

Josh main aake tu ne yeh maa se kaha
Main tha khamosh sab dekhta hi raha…

Aaj kehta hoon peecha mera chor do
Jo hai rishta mera tum se woh tod do…

Jao ja ke kahin kaam dhanda karo
Log marte hain tum bhi kahin ja maro…

Baith kar aahen bharti thi maa raat bhar
Inki aahon ka tujh par howa na asar…

Ek din baap tera chala rooth kar
Kaise bikhri thi phir teri maa toot kar…

Phir woh bhi bas kal ko bhulati rahi
Zindagi isko har roz satati rahi

Apna dard wadha lyna

Apna dard wadha lyna
Us nu fair bula lyna

Apny ap nulabhan lae
Apna ap gawa lyna

Sab to wakhra ho ky ty
Sab nu yaar bna lyna

Jangle rasta awy ty
Maa di ik dua lyna

Us dian galan kr ky v
Us da naam luka lyna

Chyti kr ky hr kam wich
Har ik kam wadha lyna

Lokan to wakh hoky ty
Apna shaher wasa lyna

Shah G usdi khatire v
Us to dhoka kha lyna

Gae ruton k nishaan, kuch kahayal hain kuch khuwab

Gae ruton k nishaan, kuch kahayal hain kuch khuwab
So ye nishan bhi thehernay k ab nazar mein kahan

Zabaan khamosh

Zabaan khamosh... dil gumsum... mgr ye ankh nam Q hai
jo apne ho hi na paye unhain khony ka gham Q hai

Tuesday, November 27, 2012

Main is umeed pe dooba k tu bacha ly ga

Main is umeed pe dooba k tu bacha ly ga
Ab is k bad... mera imtehaan kya ly ga

Phir se aya hai meray angan main duhayi ka mousam

Phir se aya hai meray angan main duhayi ka mousam,
Meray chehray pay simatt aya hai tanhai ka mousam,

Meri yadoon say kinara kar kay bhi woh khush na hua,
Raas aya na usay meri tarha judai ka mousam,

Ab bhi main hijar ke darwazay pe khara hoon shama liye,
Raah intezar ki dikhata hai uss herjai ka mousam,

Raat kay pichlay pehar chand bhi bekarari main raha,
Uss ne bhi jheyla hai meri tarha tanhai ka mousam,

Phir unhi khawaboon kay jaziray main paband raha hoon,
Janay kyon aas delata hai yeh rehayi ka mousam..

Bohat Mushkil Ho Gya Hai Khud Ko Sambhal Rakhna

Bohat Mushkil Ho Gya Hai Khud Ko Sambhal Rakhna
Mgr Wo Keh Gaya Hai Apna Khayal Rakhna

Tofan e alam kion muje sahil pe utara

Tofan e alam kion muje sahil pe utara
Me shor e talatam se harasan to nahin tha

Sari duniya k rivajon se adawat ki thi

Sari duniya k rivajon se adawat ki thi
Tumko Yaad hai jab maine ik hamaqat ki thi

Usay razdan samajh kr btaya tha haal-e-dil apna
par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi

Usko choor k hanstay huay ghar aa k
Itna roye thay k ankhon ne qayamat ki thi

mere ujarnay ka sabab jb b kisi ne poucha tu
maine bs itna bataya k “MUHABBAT” ki thi

Monday, November 26, 2012

You and I are essentially infinite choice-makers

You and I are essentially infinite choice-makers.
In every moment of our existence,
we are in that field of all possibilities
where we have access to an infinity of choices.

Deepak Chopra

Shehar Ki Gali Mein Paan Ki Dukan

Shehar Ki Gali Mein Paan Ki Dukan
Tumne Ne Dekhi Paro Ki Muskan
Jab Tumne Ne Khilaya Paro Ko Paan
Khake Paan Paro Boli?Shukriya Bhai Jaan

Kash!!!Meri Yad Me Ashq Bahata Koi

Meri Yad Me Ashq Bahata Koi.

Mujhye Milny Phir Se Ata Koi.

Meri Yad Me Ashq Bahata Koi.

Wo Pat Jhar Ka Jo Mosam Tha Or Khail Dilon K Khely Thy.

Ab Glti Se Jo Khara Hun Me Mery Sar Pe Hath Lagata Koi.

Mujhey Khel Wo Phir Se Sikhata Koi.

Meri Yad Me Ashq Bahata Koi.

Phir Se Sawan Aa Jaye.

Bin Brsy Badal Guzr Jaye.

Mery Sar Ko Chopa K Angan Me Kash K Ashq Bahata Koi.

Mery Liye Khud Ko Rulata Koi.

Meri Yad Me Ashq Bahata Koi.

Kbhi Dunia Se Okta Jaye Or Yaad Osy Meri Aa Jaye.

Phti Purani Tsweer Meri Senye Se Apny Lagata Koi.

Meri Yad Me Ashq Bahata Koi.

Kbhi Glti Se Meri Ankhon Me Anchal Jo Chobh Jaye Koi.

Grm Hwa Se Phonk Phonk K Ankh Pe Kpra Lagata Koi.

Meri Yad Me Ashq Bahata Koi.

Mujhye Milny Phir Se Ata Koi

Dard Me Doobi Tehreer Teri Dil Ke Taron Ko Chhed Gayi

Dard Me Doobi Tehreer Teri
Dil Ke Taron Ko Chhed Gayi

Kyon Ki Teri Aankhon Mein Besabab Udaasi Hai
Kyon Ki Tere Chehre Pe Dukh Hai, Badhawasi Hai

Kyon Saughawar Tera Daaman Hai
Kyon Tere Lahje Me Ajnabi Pan Hai

Woh Ke Umr Bhar Jisne Shahar Bhar Ke
Logon Me Mujh Ko Ham Sukhan Jaana,

Dil Se Aashna Likha
Khud Se Meherbaan Samjha
Dilruba Likha
Lekin??

Ab Ke Saada Kaagaz Per Surkh Roshnai Se
Tune Talkh Lahje Me

Mere Naam Se Pahle Sirf ?Bewafa? Likha
Jaane Kyon
Jaane Kyon
Jaane Kyon ?????

Niyat-e-shauq bhar na jaye kahin

Niyat-e-shauq bhar na jaye kahin,
tu bhi dil se utar na jaye kahin..

aj dekha hai tujhe der k bad,
aj ka din guzar na jaye kahin..

na mila kar udas logon se,
husn tera bikhar na jaye kahin..

arzu hai k tu yahan aye,
aur phir umr bhar na jaye kahin..

ji jalata hun aur ye sochta hun,
rayegan ye hunar na jaye kahin..

ao kuch der ro hi len 'Nasir',
phir ye dariya utar na jaye kahin

HAPPY EID MUBARIK

Wishing U a Very Very “HAPPY EID MUBARIK”With Luv And Best Wishes.

May This Eid Day Brings LOT of HAppiness And JOYS in ur LIFE.

May u Live Long LIFE…

And That EID day Will comes in UR life Hundrad Times…

Remember me in ur prayers

Zakham diye hain tu phir unka madawa bhi karo,

Zakham diye hain tu phir unka madawa bhi karo,
Mujhko chaha hai tu phir iska dawa bhi karo,

Kaisi uljhan main girftar rahay ho din bhar,
Ho gai raat charagoon ko jalaya bhi karo,

Ajj kuch deer roko pal bhar ko sakoon laynay do,
Itni jaldi main ho tu phir faslay mataya bhi karo,

Woh jo aik dewar meray dil main uthai tu nay,
Khool doo khirky aur aik bar nazar aya bhi karo,

Pher wohi khawab wohi sochain wohi tanhai,
Sahmi ankhoon ko sar-e-sham sulaya bhi karo..

Sunday, November 25, 2012

Aankhon Ke – Aansoon Shayari 140 Words

Aankhon Ke – Aansoon Shayari 140 Words

Aapse Dur Hokar Hum Jaaynge Kahan
Aap Jaisa Pyaar Hum Paayenge Kahan
Dil Ko Toh Kaise Bhi Samjha Lenge Lekin
Aankhon Ke Aansoon Chupaayenge Kahan

Sardar saw a very high Airtel Tower

Sardar saw a very high Airtel Tower
& red light glowing on the top,
seeing this he said �India is developing fast,
see there are traffic signals for Aeroplane in the air

Chalo aao ab mosam ka soroor Chakhain

Chalo aao ab mosam ka soroor Chakhain,
tamam dawain bachoon ki puhach say door rakhain.

Tum say milny ki ab kia justujo karain,
Tabyat ziada kharab ho to doctor say rujo karain.

humari chahat ka kuch to khayal karain,
syrup ko achi tarha hilla ker istamal karain.

Dil mara toot gaya uthi jab us ki dolli,
Subha dopaher sham aik aik goli.

Dil mera ishq karny par razamand rahy ga,
juma k din clinic band rahy ga

Saturday, November 24, 2012

Bicherny ki aziat kO.. Ager tum janna chahO..

Bicherny ki aziat kO..
Ager tum janna chahO..
To kuch pal kO..
Zara sAans apni roOk lyna..
Tumhain mehsoOs ye hOga..
…?K..
Bichrna ?MOAT? jesa hai..

it feels the best when some1 never 4gets u

It feels nice when some1 misses u,
feels good when some1 loves u.
feels better when some1's with u.
But it feels the best when some1 never 4gets u.

Aaj tum mehfil-e-yaraan mein ho to maghroor bohat,

Aaj tum mehfil-e-yaraan mein ho to maghroor bohat,
Jab kabhi toot ke bikhro ge to yaad aaon ga..

Friday, November 23, 2012

Farz karo hum ahle wafa hon, farz karo deewanay hoon

Farz karo hum ahle wafa hon, farz karo deewanay hoon
Farz karo yeh dono batein jhootee hoon afsanay hoon

Farz karo tumhain khush kernay kay dhoondhay humnay bahany hoon
Farz karo yeh nain tumharay such much kay maykhanay hoon

Farz karo yeh jee ki bipta, jee say jorh sunai ho
Farz karo abhi or ho itni, aadhi hum nay chupai ho

Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti preet hamari ho
Farz karo is preet kay rog main sans bhi hum per bhari ho

Farz karo yeh jog bajog ka hum nay dhong rachaya ho
Farz karo bus yahi haqeeqat baqi sub kuch maya ho

Itne Majboor The Eid Ke Roz Taqdeer Se Hum

Itne Majboor The Eid Ke Roz Taqdeer Se Hum
Ro Pade Milke Gale Apki Tasweer Se Hum

Kissi Nay Kaha Phool Se Mujh Ko Tu Yeh Batta

Kissi Nay Kaha Phool Se Mujh Ko Tu Yeh Batta...
Aaj Tak Too Kion Khilta Raha..?
Tu Nay Di Sb Ko Khushbu
Tum Ko Kiya Milta Raha..?

Phool Nay Kaha Aaye Dost Abhi Tu Nadan Hai
Piyar K Sachay Jeewan SE Abhi Anjaan Hai
Laney K Badlay Kuch Day Daina
Ye To Karobar Hai...
Jo Kuch Na Lay K Sb Kuch Day
Yahi Sacha Piyar Hai...

Thursday, November 22, 2012

Bhej ker SMS dilse yaad kia hay

Bhej ker SMS dilse yaad kia hay,
Phir na kehna k maina bhula dia hay,
Ab na koi bahana tumhara hoga,
Dekh ker SMS hamara apko muskurana hoga

I always think of you

I always think of you, but I always fail to know the reason why. Is there something else I should know about you? But there is one thing that I know is true. That life will always be sad without you

Be’simt safar ke marhlon mein,

Be’simt safar ke marhlon mein,
Be’ant dukhon ka saamna tha..

Husn Walon Ko Kiya Zaroorat Hai Sanwarne Ki 'Fidha'

Husn Walon Ko Kiya Zaroorat Hai Sanwarne Ki 'Fidha',
Woh To Saadgi Me Bhi Qiyamat Ki Ada Rakhte Hain....!

Wednesday, November 21, 2012

Saboot doon ga main tujhe wafaaon ka apni

Saboot doon ga main tujhe wafaaon ka apni
Zara sa dil ko mere tum sakoon lene doo

batao aaj to ham ko

batao aaj to ham ko
tumhari kaj adaai ko
bhla kiya nam dain ham ab
ye dil ko torna phir jorna
kitabe zeest k panon ko
aise morna..
chalo ham man laite hain
khata sari hamari thi
vafa jo bhi thi ki tum say
yahi to bhool sari thi...
ana tum ko bhi pyari thi
ana ham ko bhi pyari thi
to kya iss bat pay tum ..
dil hamara tordr jao gay
hamain tum chodr jao gay

Girl cares the most, for every

Girl cares the most, for every
relation in her life,
if she doesn't care about you,
be sure you never touched her heart

Monday, November 19, 2012

Two Lines Shayari in Urdu

Two Lines Shayari in Urdu

Siyaah Raat Mein Jalty Hain Jugnoon Ki Tarha,,,,
Dilon K Zakhm Bhi MOHSIN Kamal Hoty Hain…!

Kabhi Jami Kabhi Aasman Samjh Main Nahi Aata

Kabhi Jami Kabhi Aasman Samjh Main Nahi Aata
Is Dil Ka Thikana Bhi Samjh Main Nahi Aata

Meri Aankhein Uski Yaadon Ke Charag To Nahi
Kyun Aaye Bus Wo Hi Nazer Samajh Main Nahi Aata.

Chahe Anchahe Mai Use Yaad Kiya Karta Hun
Ye Lat Hai Ya Aadat Samajh Main Nahi Aata.

Kamabakhat Aashiqi Ne Jeena Haram Ker Diya
Use Bhuloo Ya Apni Jaan Dun Samajh Mein Nahi Aata.

Is Taraf Mera Gher Hai Us Taraf Uska Gher
Idher Jaun Ya Udher Samajh Main Nahi Aata.

Pagal Sa Banke Reh Gaya Kuchh Soch Sochker
Pehle Hasun Ya Roun Samajh Mein Nahi Aata.

Lifafa Fat Chuka Majmoon Bhi Kafi Purana Ho Gaya
Use Dun Ya Khat Jala Dun Samajh Mein Nahi Aata.

Uski Wafa Pe Ab Mujhe Shaq Hone Laga Hai
Use Yaar Kahun Ya Gaddar Samajh Mein Nahi Aata.

Raqeebon Ke Sath Baithe Hain Ajeej-O-Mohatrim
Kaise Karun Salam Samajh Mein Anhi Aata.

Samjhale Dil Ko Mastghan Kuchh Aur Na Samajh
Phir Khud Samajh Jayega Jo Samajh Main Nahi Aata.

khwab me dekha hai tum bichar gye ho

khwab me dekha hai tum bichar gye ho
tabeer batati hai k mar jaain gy hum

Sunday, November 18, 2012

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal

Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-e-badan Par Mera
Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
Main Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi
Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal…….

Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kaise
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise
Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad
Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal……

Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri
Aur Gairat-e-ehsaas Pe Sharminda Hun
Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri
Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal

Wo Kehta Hai Bata Tera Dard Kaise Samjhoon

Wo Kehta Hai Bata Tera Dard Kaise Samjhoon
Main ne Kaha Ishq Kar Bohat Kar Aur Kar K Haar Jaa

A leaf which falls from d tree

A leaf which falls from d tree is at d mercy of wind,
it goes wherever wind takes it..

be d wind 2 drive others,
not d leaf to be driven by others.!

Ye Darya Ishq Mein Qadam Zara Soch Ke Rakhna

Ye Darya Ishq Mein Qadam Zara Soch Ke Rakhna
Is Mein Utarne Wale Ko Kinara Nahi Milta

pholoo’n ko aag lug gaiee nughmaat jal gayeey

pholoo’n ko aag lug gaiee nughmaat jal gayeey
sooraj ki taiz dhoop main lumhaat jal gayeey

ub daaman_e_hayat main kuch bhi nahi raha
furda ki surd aag main halaat jal gayeey

kaliyaa’n chatuk rahi hain k shakhoo’n pai aablay
ghunchoo’n ki nukhatoo’n say mere haath jal gayeey

ub kay baras , bahar baseerat ko dass gaiee
fikr_o_nazar kay jhoomtay baghaat jal gayeey

saghar lutay lutay hain , sitarey bujhay bujhay
shayad mere naseeb kay din raat jal gayeey.

Saturday, November 17, 2012

Friday, November 16, 2012

koi to hai mere andar mujhe sambhaly hoe

koi to hai mere andar mujhe sambhaly hoe
K Be-Qaraar sa reh kr b...Bar-Qarar hoOn Main...

taskin ko ham na roin jo zauq-e-nazar mile

taskin ko ham na roin jo zauq-e-nazar mile
huran-e-khuld mein teri surat magar mile

apni gali mein mujh ko na kar dafn bad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyon tera ghar mile

saqi gari k sharm karo aj warna ham
har shab piya hi karte hain mai jis qadar mile

tujh se to kuch kalm nahi lekin ae nadim
mera salam kahiyo agar namabar mile

tum ko bhi ham dikhain k majnun ne kya kiya
fursat kashakash-e-gam-e-pinhan se gar mile

lazim nahi k khizr ki ham pairwi karen
mana k ek buzurg hamein ham safar mile

ae saknan-e-kucha-e-dildar dekhna
tum ko kahin jo Ghalib-e-ashufta sar mile

I don't know exactly

I don't know exactly
what being mature is
.
.
.
but I think when you are finally able to joke
about things that once broke your heart!

Muhabbat Jis Ko Ho Hasil... Muqadar Ka Sikandar Wo

Muhabbat Jis Ko Ho Hasil... Muqadar Ka Sikandar Wo
Muhabbat Rab Ki Janib Se Haseen Soghaat Hoti Hy

Khud’gharzz hota to hajoom hota sath

Khud’gharzz hota to hajoom hota sath,
Mukhliss hoon to isi liye tanhaa hoon..

Thursday, November 15, 2012

Eh tan mera chashma hove, murshad dekh na rajjaan hu

Eh tan mera chashma hove, murshad dekh na rajjaan hu
Luun luun de mudd lakh lakh chashma, ik kholaan ik kajjaan hu
Itniyaan ditthiyaan sabar na aave, hor kitey val bhhajaan hu
Murshad da deedaar hai baahu, lakh karoddaan hajjaan hu

Allah meherbaan to gadha bhi pehalwan

God has given many qualities to you,
Good look, personality, charm, intelligence,
And many more......this is call as
"Allah meherbaan to gadha bhi pehalwan..."

Yeh aur baat hai saqi key mujhai hosh nahi

Yeh aur baat hai saqi key mujhai hosh nahi
werna main kuch bhi hoon ehsaan faramosh nahi

If one night a big fat man jumps in at your window

If one night a big fat man jumps in at your window,
grabs you and puts you in a sack
don't worry I told Santa
I wanted you for CHRISTMAS.
HAPPY CHRISTMAS

tere khayal se lau de uthi hai tanhai

tere khayal se lau de uthi hai tanhai
shab-e-firaq hai ya teri jalwarai

tu kis khayal main hai ai manzilon k shadai
unhen bhi dekh jinhen raste main nind ai

pukar ai jaras-e-karawan-e-subah-e-tarab
bhatak rahe hain andheron main tere saudai

rah-e-hayat main kuch marhale to dekh liye
ye aur bat teri arazu na ras ai

ye saniha bhi muhabat main barha guzra
k us ne hal bhi pucha to ankh bhar ai

phir us ki yad main dil beqarar hai 'Nasir'
bichar k jis se hui shahar shahar ruswai

Love is sweet poison:

Love is sweet poison: .. Do not consume without your beloved's advise .. and keep out of reach of children .. and keep it in cool and dark place.

Paich Dar Paich Silsaly Dil Ke,

Paich Dar Paich Silsaly Dil Ke,
Mujhe Teri Aur Tujhe Kisi Aur Ki Talash...!

Wednesday, November 14, 2012

Un ke baad baaki tou sab theek hai qasim,

Un ke baad baaki tou sab theek hai qasim,
Bas jahan dil tha pehle, Wahan ab dar rehta hai…

Mujhe rona nhi aata

Mujhe rona nhi aata.
Mujhe khona nhi aata.

K tum bin jeena mushkil hai.
Jo dard tum dena chahte ho mujhe sehna nhi ata.

Tum to reh Lo ge saath kisi aur k mgr.
Main kya krun k mujhe RASTA badalna b nhi ata.

Tum to waaqif ho Andaz.e.Guftugu k.
Mujhe to baat krne ka salika b nhi ata.

Tum to jeet jate ho Larr jhagar kr b.
Dekho mujhe to Larna b nhi ata.

Tum to khush reh lo ge mere bin.
Dekho tumhare bin to mujhe Jeena b nhi aata!

Tumhare Ghar Ki Chokhat Hi Tumhare Sar Ki Chadar Hai

Tumhare Ghar Ki Chokhat Hi Tumhare Sar Ki Chadar Hai,
Suno Aay Larkiyoo, Nadaaniyaan Achi Nahi Hootin...!

Woh znaaja ke ghoomte rahe aur meri laash ka pta nahi

Unki yaad itni ayee ke khud ki yaadashat ka pta nahi
Woh znaaja ke ghoomte rahe aur meri laash ka pta nahi

Tuesday, November 13, 2012

Sahar Main Bhi Sham Main Bhi

Sahar Main Bhi Sham Main Bhi
Agaz Main Bhi Anjam Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Sukun Main Bhi Karar Main Bhi
Kaid Main Bhi Farar Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Javab Main Bhi
Saval Main Bhi
Aaj Main Bhi Filhal Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Rakib Main Bhi
Yaroo Main Bhi
Tanhai Main Bhi Charo Main Bhi Zindagi
Din Main Tare Dikhati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Is Eid pe laut ke aa jana,

Is Eid pe laut ke aa jana,

Kuch yadain taza krni hain,

Kuch lamhy morh k lany hain,

Kuch taary torr k lany hain,

Wo masti or wo madhoshi,

Wo bachpan moKuch Umr Ki

Pehli Manzil Thi

Kuch Rastay Thy

Anjaan Bohat..?

Kuch Hum Bhi

Pagal Thy Lekin

Kuch Wo Bhi Thy

Naadan Bohat…?

Kuch Us ne Bhi

Na Samjrh k lana hai,

Is Eid pe lot k aa jana,

Ab dil ko dil ki dharkan se

phir Eid mubarak kehna hai,

Ab sath boht din rehna hai,

Is Eid pe laut ke aa jana.

haya,

Ye Pyar Nahi

Aasaan Bohat…?

Aakhir Hum ne

Bhi Khail Liya,

Jis Khail Mein Thy

Nuqsaan Bohat..?

Jab bikhar gaye

tab ye jaana,

Aaty hoge y

Kuch yadein taza krni hein…ahan

toofan bohat

Bichara kuch iss adaa se ke rut hi badal

Bichara kuch iss adaa se ke rut hi badal
Ik shakhs sare sheher ko weraan kar gea

Titliyon k mausam main nochna gulabon ka

Titliyon k mausam main
nochna gulabon ka

reet iss nagar ki hai
aur janay kab se hai

sheher k ye bashinde
nafraton ko bo ker bhi
intazar kerte hain
fasl ho mohabbat ki

bhool ker haqeeqat ko
dhoondna sarabon ka

reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai

abhi tum naye ho na
isi liye pereshan ho
aasman ki jaanib
iss tarha se mat dekho

aafatain jab aani hoon
tootna sitaroon ka

reet iss nagar ki hai
aur jane kab se hai

khamshi mera sheva
guftagoo hunar uss ka
meri begunahi ko
loag kese manain gay

baat baat per jab k
maangna hawalon ka

reet iss nagar ki hai
aur jane kab se hai

ajnabi fizaoon main
ajnabi musaafir se
apne har ta?aluq ko
daayemi samajh lena

aur jab bichar jana?
mangna duaaoon ka

reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai..!!!!

Monday, November 12, 2012

Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai

Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai

Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle
Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai

Yuh to hai kayi fasle tere mere bich
Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai

Teri furkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri
Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai

Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse
Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai

Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye
Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai

Mehsus ki hai berukhi teri baato mian kayi baar maine
Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai

Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din
Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai

Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai
KAMSIN ko akhir wo itna satata kyu hai

Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai.

Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai

Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai
K ashk rokna tum sa mahaal hona haai

Har aik lab per hain mere wafaa k afsanay
Teray sitam ko abhi la-zawaal honaa hai

Tumhein khabar hi nahin,tum to lot jao ge,
Tuhare hijar mein aik lamha saal hona hai.

Humari rooh pe jab bhi azaab utrein ge,
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai.

Kabhi to roye ga wo bhi kisi ki bahon mein,
Kabhi to uski hansi ko zawaal hona hai.

Mile gi hamko bhi apne naseeb ki khushiyan,
Bas intazar hai kab ye kamal hona hai.

Har ek shakhs chalay ga humari raahon par,
Muhabaton mein humain wo misaal hona hai.

Zamana jiske kham-o-paich mein ulajh jaye,
Humari zaat ko aisa sawal hon hai……..

Yaqeen hai mujh ko k wo lot aaye ga,
Usay bhi apne kiye ka malaal hona hai…

When you wait for someone

When you wait
for someone
for few minutes,
its your NEED.

For few hours,
its your TRUST.

For few weeks,
its your FRIENDSHIP

But to wait when
you know, the person
will not come,
its your LOVE

Gaftaar Ko Honto Si

Gaftaar Ko Honto Si
Ruftaar Ko Paaon Si
Aandhe Ko Balaon Si
Sooraj Ko Ziyaaon Si
Badal Ko Ghataon Si
Khushboo Ko Hawaon Si
Honto Ko Duaaon Si
Tum Kar Ki Juda Dekho
Pher Poochy Gay Tum Si
KYA HAAL HAI TUMHARA!!!!

bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai

bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
adhura chand bhi kitna udas lagta hai

ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
k is k bad wahi duriyon ka sahara hai

kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar
kise khabar tere saye main kaun baitha hai

ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai

main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
tera badan hai k ye ainon ka dariya hai

Sunday, November 11, 2012

Mita do naam tak mera kitab-e-zindagi se tum

Mita do naam tak mera kitab-e-zindagi se tum
Magar pal pal rulaaye gi staaye gi, kami meri..!!

Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila

Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila
Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila

Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaaj Pe Hairaa.n Hai Zindagi Ka Shaoor
Mein Apni Mout Ko Aksar Galay Laga Ke Mila

Mein Os Se Maangta Kia Khoon Bahaa Jawaani Ka
Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila

Mein Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein
Mujhe Mila Bhi Tou Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila

Mein Zakham Zakham Badan Le Ke Chal Dya “Mohsin”
Wo Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila

Hello ! This is our ATD

Hello ! This is our ATD
( Any Time Disturbance ) service.
We are the experts in disturbing
and irritating people at busy hours.
Our goal has been achieved.

Thank you!... �Good Night�

Mera Khitta tha bad'naseebon ka

Mera Khitta tha bad'naseebon ka
mere khitty me mar gye darya

Goodbye to you, my trusted friend

Goodbye to you, my trusted friend.
We?ve known each other since we?re nine or ten.
Together we climbed hills or trees.
Learned of love and ABC?s,
skinned our hearts and skinned our knees.
Goodbye my friend, it?s hard to die,
when all the birds are singing in the sky,
Now that the spring is in the air.
Pretty girls are everywhere.
When you see them I?ll be there.
We had joy, we had fun, we had seasons in the sun.
But the hills that we climbed
were just seasons out of time.
Goodbye, Papa, please pray for me,
I was the black sheep of the family.
You tried to teach me right from wrong.
Too much wine and too much song,
wonder how I get along.
Goodbye, Papa, it?s hard to die
when all the birds are singing in the sky,
Now that the spring is in the air.
Little children everywhere.
When you see them I?ll be there.
We had joy, we had fun, we had seasons in the sun.
But the wine and the song,
like the seasons, all have gone.
Goodbye, Michelle, my little one.
You gave me love and helped me find the sun.
And every time that I was down
you would always come around
and get my feet back on the ground.
Goodbye, Michelle, it?s hard to die
when all the bird are singing in the sky,
Now that the spring is in the air.
With the flowers ev?rywhere.
I wish that we could both be there.
We had joy, we had fun, we had seasons in the sun.
But the stars we could reach
were just starfishs on the beach

Saturday, November 10, 2012

HAPPY NEW YEAR 2014 | Good Bye 2013

HAPPY NEW YEAR 2014 | Good Bye 2013

Don't Think About Yesterday,
Think About Tomorrow
Because Tomorrow Is A Chance To Correct
The Mistake Of Yesterday.

Bazm-e-sukhan sajai teray shehar mein

Bazm-e-sukhan sajai teray shehar mein
Phir wo ghazal sunai teray shehar mein

Lahu-e-dil se likhi gayi dastaan
Hoi na pazeerai teray shehar mein

Dekhi ja saki na jazbaat ki aseeri
Kaisey milay rehaai teray shehar mein

Janey kab nibhaao ge apney wo ehad
Ho rehi hai ruswai teray shehar mein

Kab se baras rehi hai ashkon ki barkha
Koh chuki hai beenai teray shehar mein

If in the dark.

If in the dark... we lose sight of love.. hold my hand & have no fear.. we'll be together, I will be here

May The Blessing Of Allah Light Up Your Way

On the holy occasion OF EID
Here is wishing that
May the blessing of Allah
Light up your way
And lead u to eternal

Happiness,
Success

and

Peace.

Wish you a very happy Eid..
Similar Posts:

hazoor e yaar men harf iltija kay rakhay thay

hazoor e yaar men harf iltija kay rakhay thay
chiragh saamnay jesay hawa kay rakhay thay


bus ik ashk e nadaamat nay saaf kar daalay
woh sab hisaab jo hum nay utha rakhay thay



samoom e waqt nay lehjay ko zakhm zakhm kiya
wagarna hum nay qareenay saba kay rakhay thay



tumhi nay paaon na rakha wagarna wasl ki shab
zameen pay hum nay sitaray bichha kay rakhay thay...!


bikhar rahay thay so hum nay utha liay khud he
gulab jo teri khatir saja kay rakhay thay


hawa kay pehlay he jhonkay say haar maan gaey
whi chiragh jo hum nay bacha kay rakhay thay


mita saki na unhain roz o shab ki barish bhi
dilon men naqsh jo rang e hina kay rakhay thay



hasool e manzil e duniya kuch aisa kaam na tha
magar jo raah men pathar ana kay rakhay thay...!
Posted by FAYSAL'S POETRY at 11:38 PM 0 comments

ab ki baar mosam mein sakhtiyan bohat hongi

ab ki baar mosam mein sakhtiyan bohat hongi
din ki roshni mein bhi teyrgi bohat hogi
qehqahoN k peechay bhi dard cheekhtay honge..
meray dil k aalam ko..
aur meray har ghum ko..
koi poochnay wala.. haaN.. magar nahi hoga..!
Hijr ki aziyat meiN ashk tou bahanay hain
teri sard-mehri ne yeu bhi din dikhanay hain
rut bahaar ki hogi
aur dil pe pat-jhaR ka saniha bapa hoga
koi mil raha hoga..aur koi jda hoga
ye jo haadsa hoga..iss se barh k kya hoga?
apni khushk aankhon meiN dard k sailaboN ko
sabr sey chhupana hai..
aur teri judaai ke zakhm bhi chhupanay hain
teri sard-mehri ne ye bhi din dikhanay hain

Woh jo roothen to is tarah manana chahiye

Woh jo roothen to is tarah manana chahiye
Zindagi se hi rooth jaana chahaiye

Friday, November 9, 2012

Sab se khafaa ho tum magar us se khafaa na ho,

Sab se khafaa ho tum magar us se khafaa na ho,
Jiss ka jahan main koi tumharey siwaa na ho..

Ghum e arzo teri rah me, shab e arzo teri chah me,

Ghum e arzo teri rah me, shab e arzo teri chah me,
Jo ujar gya wo basa nahi, jo bichar gya wo mila nahi…

Aao Kuch Dair tazkara Kr Lain

Aao Kuch Dair tazkara Kr Lain
Un Dino ka k Jab Tum hamaary thy

Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha

Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha

Khaber kahan thi mujhy wo bhool jaye ga
Aik aik cheez jo meri sambhal rakhta tha

Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Mager nigah main so so sawal rakhta tha

Woh muskura kay bohat dair chup sa raha
Hansi ki aar main jaise malal rakhta tha

Suna hai ab log usay bohat satatay hain
Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha

Hum Jee Rahe Hyn Koi Bahana Kiye Bagair

Hum Jee Rahe Hyn Koi Bahana Kiye Bagair
Us K Bagair, Us Ki Tamanna Kiye Bagair

Tu ne ik bar jo sardi ke sabab orrhi thi,

Tu ne ik bar jo sardi ke sabab orrhi thi,
Meri almaari mein ab tak woh shaal zinda hai..

I too would like to give you praise

My dear father,
I too would like to give you praise,
Though a day of celebration,
Is never enough to compensate,
Is never enough to appreciate,
Is never enough to congratulate,
The man who?s life to me still dedicate.

TumhaiN BhoooLna He Awal To Dastras Mai Nahi

TumhaiN BhoooLna He Awal To Dastras Mai Nahi
Jo ikhtiyaaR Bhi Hota To Kya Bhula Detay

girifta-dil hain bahut aj tere diwane

girifta-dil hain bahut aj tere diwane
Khuda kare koi tere siwa na pahchane

miti miti si ummiden thak thak se khayal
bujhe bujhe se nigahon main gam k afsane

hazar shukr k ham ne zuban se kuch na kaha
ye aur bat k pucha na ahal-e-duniya ne

baqadr-e-tashnalabi pursish-e-wafa na hui
chalak k rah gaye teri nazar k paimane

khayal a gaya mayus rahguzaron ka
palat k a gaye manzil se tere diwane

kahan hai tu k tere intazar main ai dost
tamam rat sulagate rahe dil k wirane

ummid-e-pursish-e-gam kis se kijiye 'Nasir'
jo mere dil pe guzarti hai koi kya jane

Aaj to Aa Jao Zabt k Sare Bandhan Torr kar

Aaj to Aa Jao Zabt k Sare Bandhan Torr kar
Aaj Phr Arooj par hy, January ki Sard Shaam

ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki

ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki

kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki

wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki

tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki

us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki

Najana kon sa aasaib dil mein basta hai,

Najana kon sa aasaib dil mein basta hai,
Ke jo bhi thehra woh aakhir makaan chor gaya…

Usy napty usy kattay mri sari umer guzar gai

Tere hath se mere hath tk, wo jo hath bhr ka tha fasla
Usy napty usy kattay mri sari umer guzar gai

Hoti nahi qubool dua tark-e-ishq ki

Hoti nahi qubool dua tark-e-ishq ki
Dil chahta na ho tou zuba’n mein asar kahan

Mujh se ye log kehtay hain

Mujh se ye
log kehtay hain
Kahan DiL chhor aaye ho?
Bohat
chup chaap
…rehtay ho
Na bantay
na sanwartay
Ho Na koi baat
kartay ho
Bhari Mehfil mein bhi aksar
Hamesha khoye
rehtay ho
Uddasi
aankhon mein
le kar
har ik
chehray ko
tuktay ho
koi jab yaad
aata hai
Tu Thandi aah
bhartay hoTu khul kar
Q nahi kehtay
kisi ko yad
kartay ho….

Teri Khoobsoorti Ko Mere Alfaz Chu Nahi Sakte

Teri Khoobsoorti Ko Mere Alfaz Chu Nahi Sakte,
Hajoom-e-Husn Mein Tum Nawab Lagte Ho

Tum tarass jao ge hansi ke liye

Tum tarass jao ge hansi ke liye
Abhi baaz ajao mujhe rulaney se

Sheher me is se pehle na daikhi kabhi

Sheher me is se pehle na daikhi kabhi
Wo udasi jawab tere jane se hai

Narm lafzon se bhi lag jaati hain chottain aksar

Narm lafzon se bhi lag jaati hain chottain aksar
Muhabbat ik barra naazuk sa hunar hoti hai

Nahi Hota Kisi Tabeeb Se Is Marz Ka Ilaaj

Nahi Hota Kisi Tabeeb Se Is Marz Ka Ilaaj
Ishq La Ilaj Hai Bs Ehtyaat Keejiye

Aik shakhss per lutaa kar mene sari kayenaat,

Aik shakhss per lutaa kar mene sari kayenaat,
Tamaam umar ki tabahiyan apne naam kar li..

pathar hi lagain ge har simt se aa kar

pathar hi lagain ge har simt se aa kar
ye jhot ki dunya hay yhan sach na kaha kar
har waqt ka hansna tujhe bar-bad na kar de
tanhai k lamhon me kabi ro be lia kar

Thursday, November 8, 2012

Bas Ek Raat Mulaqat Ka Hua Wadaa

Bas Ek Raat Mulaqat Ka Hua Wadaa,
Wo Din Aur Aaj Ka Din, Neend Phir Nahi Aai

Faqeer kyun tujhe marne ki bad-dua dega

Faqeer kyun tujhe marne ki bad-dua dega,
Tera gharoor hi kar jayega tabaah tujhe ..

Najane kab ka pohanch bhi choka sar e manzil

Najane kab ka pohanch bhi choka sar e manzil
Wo shakhs jis ka humen intazar rah me hai

Yaad aati hai jo marhoom tamanna’on ki

Yaad aati hai jo marhoom tamanna’on ki
Bhool jata hun k mehroom tamanna hun mein . . !

Kahey ki nazdikiyaan aur kaahey ke raabtey

Kahey ki nazdikiyaan aur kaahey ke raabtey
Ab to bas hai dooriyan aur door door k waaste

Wohi kahin bhi gaya, lota tou mery paas aya

Wohi kahin bhi gaya, lota tou mery paas aya
Bus yehi baat hai achi mery harjaai ki

Sare Dhanak Ke Rang The Us Ke Libas Mein

Sare Dhanak Ke Rang The Us Ke Libas Mein
Khusbu Ke Sare Rang Use Sochne Mein The
Har Baat Jante Howe Dil Manta Na Tha
Hum Jane Aetbar Ke Kis Marhale Me The

Apne mizaaj se mein khoob waqif hoon Mohsin

Apne mizaaj se mein khoob waqif hoon Mohsin
Thore logon se milta hoon, magar mukhliss ho kar

Baat muqaddar par aa kar ruki hai warna

Baat muqaddar par aa kar ruki hai warna
Koi kasar to na chori thi tujhe chahney mein

jo bujha to raat ka lamha lamha sanwar gaya

jo bujha to raat ka lamha lamha sanwar gaya
wo charaagh tha kaeen taaqachoon main bikhar gaya

Wo ate hain to dil me ik kasak mehsos hoti hai

Wo ate hain to dil me ik kasak mehsos hoti hai
Me darta hon kahen is ko muhabbat to nahin kehte

Husan se nibh na saki wazah karam akhir tak

Husan se nibh na saki wazah karam akhir tak
Awal awal to muhabbat ki madarat hoi

Baithe Hue Hain Samne Ek Doosre K Hum

Baithe Hue Hain Samne Ek Doosre K Hum
Woh Dil Liye Hue hain Hum Tamana Liye Hue…!!

Mujhe yeh dar hai teri aarzuu na mitt jaye

Mujhe yeh dar hai teri aarzuu na mitt jaye,
Bohat dinon se tabiyat meri udaas nahin..

Ab Us k Saath Rahon Ya Kinara Kr Lon

Ab Us k Saath Rahon Ya Kinara Kr Lon...
Zara Thehr Ae Dil Main Istikhara Kar Lon

Ye kis hisab se ki to ne roshani takseem,

Ye kis hisab se ki to ne roshani takseem,
Sitare muj ko mile mahtab us ka tha.

Shekasti dil ki kashti ho k ho tofan hawadas ka

Shekasti dil ki kashti ho k ho tofan hawadas ka
Humen har hall me gham ka ye darya paar karna hai

Do gharri pyaar ki karain batain,

Do gharri pyaar ki karain batain,
Dil jalaney ko umar saari hai..

Jane Aisi Bhi Kia Dil Lagi Thi Tum Se

Jane Aisi Bhi Kia Dil Lagi Thi Tum Se,
Mein Ne Aakhri Khwahish Mein Bhi Tumhari Mohabbat Mangi

Wednesday, November 7, 2012

Qiyamat hai dil e mehjawar ka ehsas e tanhai

Qiyamat hai dil e mehjawar ka ehsas e tanhai
Akele abb to hum aksar bhari mehfil me rehte hain

Toot jate hain sub lafz o maini ke talism,

Toot jate hain sub lafz o maini ke talism,
Be zubani me ajab qowat e goyiai hai.

Yeh jo meri jaan gai hai mohabbat mein

Yeh jo meri jaan gai hai mohabbat mein,
Yeh tera sadqa diya hai nazar utari hai…

Har waqt ka hansana tujhe barbad na kar de

Har waqt ka hansana tujhe barbad na kar de
Tanhai k lamhon me kabhi ro bhi lia karo

Guzarte hon jahan se qafale eahal e muhabbat k

Guzarte hon jahan se qafale eahal e muhabbat k
Jo mumkin ho to aise raston ki khak ban jao

Hum ko halaat ne is tarah kiya tha yakjaa,

Hum ko halaat ne is tarah kiya tha yakjaa,
Jese guldaan main do phool galey milte hai

Khod apne sae k age khara hon hath philae

Khod apne sae k age khara hon hath philae
Talab dunia se kia karta me sael hon faqat apna

Zindagi wafa na karay is ka gham nahi

Zindagi wafa na karay is ka gham nahi
Tu mujh sey bichar gaya ye bhi to kam nahi

Meri maa kaha kerti thi tu bohat bahadur hai
Is liye aaj meri aankh pur-nam nahi

Mein ney koshish to bohat ki lekin
Tujhay bhol jana bhi kisi mojzey sey kam nahi

‘GUL’ is liye bhi udas rehra hai
Meray hisay ki khoshi’yan gam’on sey kam nahi

Tum na mujhay kabhi chor ker jana
Is dil-e-bemar ko zamana choney ka gham nahi

Happy Mother’s Day Greetings

Happy Mother’s Day Greetings

Happy Mother’s Day to a dear aunt,
A refuge from conditions and demands,
Perhaps because you have a different slant,
Perhaps because your love is free of plans.
Yet for whatever reason, you are there
More simply and directly than the other,
One with whom a child can always share
The kinds of joys too carefree for a mother.
Happiness can use a bit of room,
Even in the midst of an embrace.
Relevance requires not the womb:
‘Tis love and labor that replenish grace.
So do you play this secondary part,
Dealt not by birth but by the willing heart,
Aunt extraordinaire, whose love will bring
Years of memories that dance and sing.

Sirf dhundlaye sitaron ki chamak dekhi hai,

Sirf dhundlaye sitaron ki chamak dekhi hai,
Kab howa kon howa mujhsey khafa yad nahi..

Ishq – Hindi Love Shayari

Ishq – Hindi Love Shayari

Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaaye
Saans Bhi Lo To Khushboo Usi Ki Aaye
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Chhaaye
Baat Koi Bhi Ho Par Naam Usi Ka Aaye

qasam tooty howy dil ki tujy khud sai juda kr k

qasam tooty howy dil ki tujy khud sai juda kr k
Jahan tk hm nai dekha hai wahan tk tm nazar aye

Mein ab ke lauta to sadiyon ki umar laonga

Mein ab ke lauta to sadiyon ki umar laonga
Ke tery pas mujhe ab muktsir nai rehna

ishQ Qatil sy, Maqtool Sy hmdardi b

ishQ Qatil sy, Maqtool Sy hmdardi b
ye bta kis sy mohbt ki Jaza mangey ga

Sajda Khaliq , Ibleees sy Yarana b
Hashr main kis akeedat ka sila mAngy g

Nikala Ham Ko JANNAT Se Fareb-e-Zindagi De Kar

Nikala Ham Ko JANNAT Se Fareb-e-Zindagi De Kar

Diya Phir Shouq-e-Jannat Kyon Ye Hairani Kyon Nahi Jatti

shikwa karun main kab tak us apne meharban ka

shikwa karun main kab tak us apne meharban ka
al-qissa rafta rafta dushman hua hai jan ka

di ag rang-e-gul ne wan ai saba chaman ko
yan ham jale qafas mein sun hal ashiyan ka

har subah mere sar par ik hadisa naya hai
paiwand ho zamin ka, shewa is asaman ka

kam-fursati jahan k majma ki kuch na pucho
ahwal kya kahun main, is majlis-e-rawan ka

ya roye, ya rulaye, apni to yun hi guzari
kya zikr ham safiran yaran-e-shadman ka

qaid-e-qafas mein hain to khidmat hai naligi ki
gulashan mein the to ham ko mansab tha rauzakhwan ka

pucho to 'Mir' se kya koi nazar para hai
chehra utar raha hai kuch aj us jawan ka

Alag kab thhe ik manzil saiy tumhari rah humari rah

Alag kab thhe ik manzil saiy tumhari rah humari rah
Juri thhe aik bundhan saiy tumhari rah humari rah

Na phoolon main na khushboo main na moasum main talatum thha
Ajab bay khoaf lagti thhe tumhari rah humari rah

Chalay jana sunatay geet humara dooor tak aksar
Humain mudhoosh rakhti thhe tumhari rah humari rah

Chamman main koch nehi badla siwae hum nasheenoN k
Wohi hain hum juda hay ab tumhari rah humari rah

Humari zeest k badmast lumhon main wo ik lumha
Bana de jis nay baimaqsad tumhari rah humari rah

Chalo inkaar kartay hain mohobat k asooloN saiy
Ore ab dooor saiy daikhain tumhari rah humari rah

Mujhay ab sath laikar tum chalo shaukat onn ruston pay
Jahan main daikh sakoon her dum tumhari rah humari rah

Kuch pal pehlay neend se

Kuch pal pehlay neend se
Aankhain moonde leta houa tha
Kuch aahat si teray qadmon ki
Samaaton ke pardey per
Goonji tu thi magar
Mai wehm samajh kar tal gaya

Janey kiyun suni unsuni kar gaya
Shayed
Teray lout aney ki
Wo mooham si
Shama-e-umeed

Intizaar ki be-reham aandihyun mein
Aakhri saans letay letay
Bujh gaye hain

Tuesday, November 6, 2012

May Allah this occasion flood your life with happiness

May Allah this occasion flood your life with happiness,

ur heart with love,

ur soul with spirtual,

ur mind with wisdom,

wishing u a very Happy Eid Mubarik

Shayed kisi muqaam par main kaam aa sakoon

Shayed kisi muqaam par main kaam aa sakoon,
Mujh ko bhi sath lijiye tanhaa na jayiye..

Un nigahun ne jab sanbhala tha

Un nigahun ne jab sanbhala tha
Naqsh hasti bekharnay wala tha

Hazor e dost ajab hadasa hoa yara

Hazor e dost ajab hadasa hoa yara
Har aik harf e shikiyat ne khod koshi kar li

Abhi abhi woh mila tha hazaar batain ki’n,

Abhi abhi woh mila tha hazaar batain ki’n,
Abhi abhi woh geya hai magar zamaana hua..

Teri deed jis ko naseeb hy wo naseeb qabil-e-deed hai,

Teri deed jis ko naseeb hy wo naseeb qabil-e-deed hai,
Tuje sochna meri chandraat tuje dekhna meri eid hai..

Hum nay tumy dhekha nahi kaya eid manyen

Hum nay tumy dhekha nahi kaya eid manyen
Jis nay tumy dhekha usy eid mubarak

Tum yohi naraz hoe ho warna mekhane ka pata

Tum yohi naraz hoe ho warna mekhane ka pata,
Hum ne har us shakhs se pocha jis k nain nashele the.

Bahar ki Rut me ujrey rasty, Chala kro gy to Ro paro gy…

Bahar ki Rut me ujrey rasty,
Chala kro gy to Ro paro gy…

Kisi se milny ko jab bhi ,
Sajja karo gy to Ro paro gy….

K chaand raton me ab kisi se,
Mila karo gy to Ro paro gy…

Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen…

Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…!!!

Umer kat jae gi andhi khawaishon ko pojate

Umer kat jae gi andhi khawaishon ko pojate
Waqat e rukhsat sirf ehsas e zeyan reh jae ga

Abhi to mil k chalna hai, samander ki musaafat mein

Abhi to mil k chalna hai, samander ki musaafat mein
Phir aagey chal k dekhein gay, kinaara kon kerta hai

Badlaha ha magar bahes gham e ishiq ka to ne

Badlaha ha magar bahes gham e ishiq ka to ne
Bus aa gham e doran tuje pehchan gae hum

hiddat-a-gham ko tabasum main chupany walo

hiddat-a-gham ko tabasum main chupany walo
Dil ka hr zakham nigahoon sy ayaaan hota hai….

Chand Masoom Se Patton Ka Lahuu Hai Mohsin,

Chand Masoom Se Patton Ka Lahuu Hai Mohsin,
Jis ko Mehboob ke Hatho’n Ki Hina Kehtay Hain ..!

Yeh tum se keh diya kis ne

Yeh tum se keh diya kis ne. . .
Kay tum bin reh nahi saktay. . .

Yeh dukh, hum seh nahi saktay. . .
Chalo, hum maan laitay hain. . .
Kay tum bin, hum buhat roye. . .
Ke raaton ko na soye. . .

Magar, afsos hai jana. . .
Kay ab kay tum jo louto gey. . .
Humain tabdeel paao gey. . .
Buhat mayoos hogey tum. . .

Kay agar poochhna chaho kay,
Aisa kyon kiya hum ne. . .
To sunn loo ghour se jana. . .

Poorani eik riwaayat tang aa ker tor di hum ne…
Mohabbat chhour di hum ne…
Haan. . .
” mohabbat choour di hum ne… “

Qadmon k shoq e abala pai to mil gea

Qadmon k shoq e abala pai to mil gea
Lakin ye zaraf wasat e sehra nahin mila

Mere kheyaal mein duniya ujarr gayi meri

Mere kheyaal mein duniya ujarr gayi meri
Tere kheyaal mein patey they junglon ke

Raaz Afshan Na Kro To Ek Baat Kahain

Raaz Afshan Na Kro To Ek Baat Kahain
Hum Rafta Rafta Tumhary Ho Rahy Hain.

Monday, November 5, 2012

Yeh sisilaa meri ankhon pe hi nahin moqoof

Yeh sisilaa meri ankhon pe hi nahin moqoof,
Main tera sheher bhi veeran karne wala hoon..

Nishaani Apny Ghar Ki Kya Baataon Tujh Ko,

Nishaani Apny Ghar Ki Kya Baataon Tujh Ko,
Jahaan Veerraniyan Dekho, Chalay Aana….!!

Na ji bhar kay dekha na kuch bat ki

Na ji bhar kay dekha na kuch bat ki,
Bari arzo thi mulaqat ki,

Ujalon ki pariyan nahaney lagien,
Nadi gungunai khayalat ki,

Main chup tha to chalti hawa ruk gai,
Zuban sab samjhtey hain jazbaat ki,

Muqaddar meri chashm e pur aab ka,
Barsti hoi rat barsat ki,

Kai saal sey kuch khabar hi nahi,
Kahan din guzra kahan rat ki.

Mujhe maloom hai mera muqaddar tum nahin lekin…

Mujhe maloom hai mera muqaddar tum nahin lekin…
Meri taqdeer se cHup kar mujhe ik baar mil jaao!!

Main phool chunti rahi aur mujhe khabar bhi na hui

Main phool chunti rahi aur mujhe khabar bhi na hui
Wo shakhs a kay mere shehar se chalaa bhi gayaa

Dokhon ne bant lia hai tumhare bad humen

Dokhon ne bant lia hai tumhare bad humen
Tumhare hath me rehte to kitna acha tha

Zahe naseeb k hum jab chaman me ae hain

Zahe naseeb k hum jab chaman me ae hain
Khazan ne hath bharaea hai dosti k lie

Gham ki tashrih bohat mushkil thi

Gham ki tashrih bohat mushkil thi
Apni tasveer dikha di hum ne

Pal bhar ka pyaar aur barson ka intezaar

Pal bhar ka pyaar aur barson ka intezaar
jaise koi apna hi apne ghar ko loot raha hai

Janay us shakhs ko yeh kesa hunar aata hai,

Janay us shakhs ko yeh kesa hunar aata hai,
Raat hoti hai to aankhon mei utar aata hai….

Woh aksar deta hai mujhy parindon ki misaal,

Woh aksar deta hai mujhy parindon ki misaal,
Faaf nahin kehta ke mera sheher chorr jao.

Tuje shikayat hai ke muje badal diya shab-o-Roz ne

Tuje shikayat hai ke muje badal diya shab-o-Roz ne,
kabhi khud se bi to sawal kr tu wohi hai ya koi or hai..

Ghar se har waqt nikal aatey ho kholey huye baal,

Ghar se har waqt nikal aatey ho kholey huye baal,
Kuch to shaam dekhi meri jaan, sawera dekho..

Raat gareeb Maan ne ye keh kar bachon ko sulaya,

Raat gareeb Maan ne ye keh kar bachon ko sulaya,
Farishtey khwaab me aatey hain rotiyan le kar…

A paper cut and lemon juice, pizza and heartburn

A paper cut and lemon juice, pizza and heartburn, you and me, are just a few things that aren't supposed to go together but usually end up that way. Happy Anniversary

Khazan ka zikar hi kia hai k ae rawash hum ne,

Khazan ka zikar hi kia hai k ae rawash hum ne,
Bhari bahar guzari hai gulistan se alag.

Dhondata phirta hon logon me shabahat us ki

Dhondata phirta hon logon me shabahat us ki
K wo khawabon me bhi lagti hai khealon jaisi

ye dastuur-e-zabaan-bandi hai kaisi teri mahafil mein

ye dastuur-e-zabaan-bandi hai kaisi teri mahafil mein
yahaan to baat karane ko tarasti hai zabaan meri

Selaab Dekhta Hoon Tou Hota Hai Ye Gumaan

Selaab Dekhta Hoon Tou Hota Hai Ye Gumaan
Paani Phirta Hai Talash-E-Hussain Main

tumhaaray ehd-d-wafa ko main ehd kia samjhoon

tumhaaray ehd-d-wafa ko main ehd kia samjhoon
mujhey hd apni muhabat ka aitbaar nahee

Uff teri masst adaayein, yeh shokhpan,

Uff teri masst adaayein, yeh shokhpan,
Kirnon ko bhi chooney na doon badan tera..

Yeh dil bohat udaas hai jab se khabar huyi,

Yeh dil bohat udaas hai jab se khabar huyi,
Miltey ho tum khuloos se har aadmi ke sath..

Sabab roney ka woh poochain to itna kehna Qasid,

Sabab roney ka woh poochain to itna kehna Qasid,
Mujhe hansna nahin ata jahan par tum nahin hote..

Which is the best day to propose a girl

Hey U Know
Which is the best day to propose a girl.. April 1
U Know Why??
If she accept its your luck
otherwise just tell April Foooooll.

sauda hamara kabhi bazaar tak nahi pohncha

sauda hamara kabhi bazaar tak nahi pohncha
ishq tha jo kabhi izhaar tak Nahi pohncha

yun tu guftagoon bohut huwe unse phir bhi
silsila kabhi yeh pyaar tak nahi pohncha

jaane kaise ho gaya waakif tamaam shehar
daastan-e-ishq yun tu kabhi akhbaar tak nahi pohncha

shartein ek dusare ki manzoor thi yun tu
par masauda hamara kabhi qaraar tak nahi pohncha

gahrayi dosti main naapta bhi kaise
rishta mamara kabhi taqraar tak nahi pohncha

ana-a meri mujhe izazat nahi deti
faqat isliye zaidi darbar tak nahi pohncha

Sunday, November 4, 2012

Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha

Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha
Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha

Suna Hai Gir Ke Mera Baadalon Ki Seerhi Se
Wo Aasmaan Ki Chhat Mein Shigaaf Karta Tha

Kamaal Hai Ke Howa Wo Bhee Nazar-e-BeKhabari
Jo Hum Pe Roz Naye Inkishaaf Karta Tha

Wo Qatal Ho Gaya Badsooraton Ki Mehfil Mein
Jo Saaray Sheher Ke Aainay Saaf Karta Tha

Jese sahil se chura leti hain daaman mojain

Jese sahil se chura leti hain daaman mojain
kitna Saada hai Tera mujh se Gurezan hona

I was moving with a couple of thoughts

I was moving with a couple of thoughts
Straight to the market with steady trots
Hustle bustle of the market shaked my head
To bring a doll, that she loved the best
Or was it a hat, on which she protest

I was moving with a couple of thoughts
Straight to the market with steady trots
My wife asked for flowers with buds newborn
To look beautiful she wants herself to adorn
Oh ya ! i had to take medicine for my father
He must be waiting for me rather

I was moving and moving in a shimmering night
To fulfil my daughter?s plight
Further was waiting for me a mishap
There was a BLAST when i openend the flap

I was moving and moved so far
My friends and family now looks me in a star
My daughter still waiting holding my pic so tight
Still on the terrace on that freezing night?

FRIENDSHIP is vast like UNIVERSE

FRIENDSHIP is vast like UNIVERSE.
Deep like OCEAN.
High like SKY.
Strong like IRON.
Kind like MOTHER.
& cute like ME.

Ab atar* bhi miley to mohabbat ki buu nahin, Woh din kya huye ke paseena gulaab hua..

Ab atar bhi miley to mohabbat ki buu nahin,
Woh din kya huye ke paseena gulaab hua..

Dekha mujhe to tark-e-taluq ke bawajood

Dekha mujhe to tark-e-taluq ke bawajood.
wo muskura diya ye hunar bhi ussi ka tha

Khawab ankhon me parone ki ijazat hai tuje

Khawab ankhon me parone ki ijazat hai tuje,
Shab e hijran me bhi sone ki ijazat hai tuje

Apni tasveero sy hi ab ji ko behlata hy wo

Apni tasveero sy hi ab ji ko behlata hy wo
Esi tarah mai ny kabhi dekha na tha tanha osy

Teri Aankhon Se – Bewafa Shayari

Teri Aankhon Se – Bewafa Shayari

Teri Aankhon Se Kaash Koi Ishara To Hota,
Kuch To Meri Jaan Jeene Ka Sahara To Hota,
Tod Dete Hum Har Ek Rasam Zamane Ki,
Tune Ek Baar Mohabbat Se Pukara To Hota

Is Se Poocho Ke Mere Bacho’n Ke Liye Kapray Layi

Is Se Poocho Ke Mere Bacho’n Ke Liye Kapray Layi??
Dekho Phir Id Ghareebo’n Ko Satanay Ayi

Woh Dil Ka Bura, Na Bewafa Tha

Woh Dil Ka Bura, Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha
Her Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Thi
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Rahi Thi
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Laboon Ko See Liya Tha
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main To Shehad Gholta Tha
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha
Us Nay Jo Kaha, Kiya Woh Dil Nay
Inkaar Ka Kis Main Hosla Tha
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha
Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha
Main Bhi Thi Dari Hui Si Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha
Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha
Ek Raah Say Main Bhi Thi Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha
Ek Pal Main jhapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha
Soocha To Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha
Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha
Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha
Rakhti Thi Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Gar Chatakh Gaya Tha
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsaas Magar Judda Judda Tha

Dohndata hai adam unhen abb kia,

Dohndata hai adam unhen abb kia,
Wo to dil main samae bethe hain.

Jo zara kisi ne chera chalak jaynge aansu

Jo zara kisi ne chera chalak jaynge aansu,
Mujhse koi na pucho mera dil udas kyun hai.

Intizar ka aalam kya bataaon Parvaaz

Intizar ka aalam kya bataaon Parvaaz
Chaunk parrta hoon sans ki sadaaon par

Dukh Ki Mazdoori Mujhe Karna Hai,

Dukh Ki Mazdoori Mujhe Karna Hai,
Hai Koi Haath Bataanay Waala ..??

Gohr-e-wafa ki muhabbat k roz-o-shab ka khayal

Gohr-e-wafa ki muhabbat k roz-o-shab ka khayal
Ye meri aankh bhi kia kia uchalti jaye

Un ke baad baaki tou sab theek hai qasim

Un ke baad baaki tou sab theek hai qasim
Bas jahan dil tha pehle, Wahan ab dar rehta hai

Baazi lagi hoi hai bisat e hayaat par

Baazi lagi hoi hai bisat e hayaat par
Har shakhs ko mehawe tamasha dikhai dee

Dhoondta phirta hoon logon me shabahat uski

Dhoondta phirta hoon logon me shabahat uski
Ke woh khawbon mein bhi lagti hai khayalon jesi

Woh tere pass se chup chaap guzar kese geya

Woh tere pass se chup chaap guzar kese geya
Dil-e be’taab! Qayamat na uthaa di tu ne

Deti hai waastey mohabbat apne paakeeeza hone ka

Deti hai waastey mohabbat apne paakeeeza hone ka
Zamaney ki sochon ke agey yeh haaar jati hai

Hum ne seeney se lagaya dil na apna ho saka,

Hum ne seeney se lagaya dil na apna ho saka,
Muskura kar tumne dekha dil tumhara ho geya..

Saturday, November 3, 2012

Zinda reh lon kisi sorat to bari bat hai ye

Zinda reh lon kisi sorat to bari bat hai ye
Warna jaan se to guzarna koi dushwar nahin

Tere lehjey se mujh ko yeh maloom hua hai,

Tere lehjey se mujh ko yeh maloom hua hai,
Tujhe dushwaar hua hai mujhse taluq rakhna..

Theek hai ae zabat e gham ansoo koi tapka nahin

Theek hai ae zabat e gham ansoo koi tapka nahin,
Par ye dil se ankh tak peham safar me kon hai.

Zara sambhal k ae yaran e taiz gam chalo

Zara sambhal k ae yaran e taiz gam chalo
Bhatak gae sar e manzil bhi karwan aksar

Baharon k chaly jany... khizan aany ka darr na ho

Baharon k chaly jany... khizan aany ka darr na ho
koi aisa mohabbat ka naya mosam chura laain

Ghairon ko kia pari hai ke Ruswa karain Mujhay

Ghairon ko kia pari hai ke Ruswa karain Mujhay
In Sazishon ma Haath Kissi Aashna ka Hai …!!!

Hum To Khud Se Bichre Hue Loog Hain

Hum To Khud Se Bichre Hue Loog Hain,
Tum Se Kia Mil Payn Gey

Ab k de wo dard k mein roun tamaam umer

Ab k de wo dard k mein roun tamaam umer
Ab k laga wo zakhm k jeena mahaal ho

Bara hai dard rishta ye dil ghareeb hi sahi

Bara hai dard rishta ye dil ghareeb hi sahi,
Tumharay naam par ayain gay Ghum gusaar chalay

Bichar ke tu ne mujh se kabhi yeh bhi socha hai

Bichar ke tu ne mujh se kabhi yeh bhi socha hai
Adhoora chand bhi kitna udaas lagta hai

Ab us ki simt aankh uthayen to kis liye

Ab us ki simt aankh uthayen to kis liye
Woh ghar nahin raha woh dareecha nahin raha

Dil Nahi Hai Ye Jaan Hai Pyaare

Dil Nahi Hai Ye Jaan Hai Pyaare,
Is Mein Ek MehMaan Hai Pyaare,

HuM Wafa Karte TuM Jafa Karte,
Kaisa Tera IMaan Hai Pyaare,

Paas Reh Ke Bhi Door Hoon Tujhse,
IshQ Ka IMtehaan Hai Pyaare,

Chah Par Bas Nahi Arha Mera,
Hasratein Be-IMaan Hai Pyaare,

Ho Ke Haasil Bhi Tu Nahi Haasil,
Faasle DarMiyan Hai Pyaare,

Muskurane Se Dard Hota Hai,
Dard Dil Ki Hi Shaan Hai Pyaare,

Toote Dil Rehte Hai Jahan SanaM,
Ghar Nahi Wo Makaan Hai Pyaare

Pehle tarasha kanch se us ne mera wajood

Pehle tarasha kanch se us ne mera wajood
Phir sheher bhar ke hath me pathar thama die

Gum Sum Ankhen,Sooni Saansen,Toot’Ti Jurti Umeedain?

Gum Sum Ankhen,Sooni Saansen,Toot’Ti Jurti Umeedain?
Darta Hun Yun Kese Katey Gi *Umar* Hai Koi Raat Nhi?

Kaise Bhula Doon Usko Main

Kaise Bhula Doon Usko Main,
Maut Insanon Ko Aati Hai,Yadon Ko Nahi..

Raat ke pichley peher uthataa hai

Raat ke pichley peher uthataa hai
Dard-e-dil tahajjud guzaar ho jese

Uss Ki Awaz Sun Lon Tou Mil Jata Hai Sukoon Dil Ko

Uss Ki Awaz Sun Lon Tou Mil Jata Hai Sukoon Dil Ko
Dekho Tou Sahi Mere Dard Ka Elaaj Kaisa Hai

Naslo’n ka fasila hai mere un ke darmiyaan,

Naslo’n ka fasila hai mere un ke darmiyaan,
Iss waqt jin buto’n se mohabat huyi mujhe..

Yeh ishq bhi ghareeb ke qarzz jesa hai

Charr jaye to phir utarta hi nahin
Yeh ishq bhi ghareeb ke qarzz jesa hai

I'm sending a pillow of happy thoughts

I'm sending a pillow of happy thoughts
to create wonderful dreams,
a blanket of care to comfort you all night
and
A prayer to protect until morning.

GOOD NIGHT!! SLEEP TIGHT!!

What is Marriage?

What is Marriage?
Ans:
1 year:-Alpenlibe-Ji lalchaye raha Na Jaye.
2 year:- KINETIC-Sab ki hawa Nikal de.
3 year:-CHLORMINT- DOBARA MAT PUCHNA.....

Friday, November 2, 2012

Bichhra kuch is ada se k palkain bheego gya

Bichhra kuch is ada se k palkain bheego gya
Jhonka tere khayal ka itna shadeed tha

Saansoon Ka Chalna Agr Naam-E-ZindagI HaI

Saansoon Ka Chalna Agr Naam-E-ZindagI HaI
To Jeeny Walon Me Mera Naam B Likhna...

Yakeenan mojzaa dikhaaye gi ab

Yakeenan mojzaa dikhaaye gi ab
Mohabbat ishq ki dehleez per hai

Khuda kare ke saari umar humain manzil na miley,

Khuda kare ke saari umar humain manzil na miley,
Bohat mushkil se manayaa hai usey saath chalne ko..

Woh geet jo tum ne suna nahin, meri umar bhar ka reyaaz tha

Woh geet jo tum ne suna nahin, meri umar bhar ka reyaaz tha
Mere dard ki thi woh dastaan, jisey tum hanssi mein urra gaye

Aalmi hai zubaan muskurahat ki,

Aalmi hai zubaan muskurahat ki,
Yeh zubaan seekho, bohat kam ayegi..

Safha e tareekh par kaam ae ga mera laho

Safha e tareekh par kaam ae ga mera laho
Kam se kam rangeen unwan e wafa ho jae ga

Lob o dehan bhi mila guftago ka fan bhi mila

Lob o dehan bhi mila guftago ka fan bhi mila
Magr jo dil pe guzari hai keh sakon bhi nahin

Neend to aaney Ko Thi Par Dil Pichlay Qisay Le Baitha

Neend to aaney Ko Thi Par Dil Pichlay Qisay Le Baitha
Ab Khud KoBe-Waqt Sulany Main Kuch Waqt to Lagta Hai

Niklay Jo Duniya Ki Bheer Main To Jana Yeh Faraz

Niklay Jo Duniya Ki Bheer Main To Jana Yeh Faraz
Her Sakhs Woh Udas Hai Jisay Monday Ko Office Jana Hai

Aap mujhy achy lagy saaf kaah dala

Aap mujhy achy lagy saaf kaah dala
Yah dil ki baat thi hum se munafkat na hui

Mere zabt ki sab dete hain misaalain lekin

Mere zabt ki sab dete hain misaalain lekin
Isi shoq mein insaan se pathar ho geya hoon mein

Mera dil to phool ki patti se bhi nazuk tha

Mera dil to phool ki patti se bhi nazuk tha…
“Dosto”
Apno ki be-rukhi ne isay pathar bana diya

roj kehta hu ke bhul jayunga use

roj kehta hu ke bhul jayunga use
magar na jane kyu roj ye baat bhul jata hu

Hai qayamat bhi ik cheez lekin,

Hai qayamat bhi ik cheez lekin,
Teri angrrayi jeet jaye gii..

Every tear is a sign of brokenness

Every tear is a sign of brokenness,
every silence is sign of lonliness,
every smile is sign of kindness,
every sms is sign of remembrance.
Miss you always

Khodae e sheher muje zalzalon me zinda rakh,

Khodae e sheher muje zalzalon me zinda rakh,
Me bach gea to nai bastian basaon ga.

Zalim meri odasi rukh par na muskara

Zalim meri odasi rukh par na muskara
Tujh ko bhi us muqam par ana hai aik din

Andherey ghamon ke seher dhoondtey hain,

Andherey ghamon ke seher dhoondtey hain,
Abhi tak khushi ka nagar dhoondtey hain,

Khabar hai khushi ik siraab nazar hai,
Nahin ab miley gi, magar dhoondtey hain,

Jahan barishon ne ujaarri hai basti,
Ussi sheher mein apna ghar dhoondtey hain,

Mittaa de jo barhti huyi talkhiyon ko,
Jahan bhi miley woh nazar dhoontey hain,

Laraztey huye meri palkon pe aansuu,
Duyaaon mein apni assar dhoondtey hain,

Mohabbat hai parwaaz se un ko Bushra,
Aseeri mein jo baal-o-par dhoontey hain.

Raat Ki Tanhai Mein Aksar, Yeh Sochta Rehta Hun

Raat Ki Tanhai Mein Aksar, Yeh Sochta Rehta Hun
Muhaßßat Dua Ha, Saza Ha, Jaza Hai, Ya Gunah Ha

Saabit hua ke tu bhi zamane ke sath hai

Saabit hua ke tu bhi zamane ke sath hai
Saabit hua ke tu bhi hamaara nahin rahaa

Laea qateel waqt humen kis muqam par

Laea qateel waqt humen kis muqam par
Sub walwale chale gae danai reh gai

Wo muj se chahta kia tha muje khabar na hoi

Wo muj se chahta kia tha muje khabar na hoi
Bakherta bhi raha aur sametata bhi raha

kisi ke aik anso par hazaron dil tarapty hain

kisi ke aik anso par hazaron dil tarapty hain
kisi ka umer bhar ka roona unhi bekaar jata hai

Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta,

Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta,
Yeh cheez woh hai jo dekhi kahin kahin meine..

Gham bhi ik naimat hai, ik soghaat hai,

Gham bhi ik naimat hai, ik soghaat hai,
Jo sakoon rone mein hai, muskurane mein nahin..

Gumaan na kar k mujhy jurat-e-sawal nahi

Gumaan na kar k mujhy jurat-e-sawal nahi
Faqat ye darr hai tujhy lajawaab kardunga

Daastaan Khatam Honay Wali Hai

Daastaan Khatam Honay Wali Hai
Tum Meri Aakhri Muhabbat Ho

Thursday, November 1, 2012

Kion doob sa jata hai sar e sham mera dil

Kion doob sa jata hai sar e sham mera dil
Soraj ko agr ghor se dhalte hoe daikhon

Main Ghalib aur Faraz nahi jo biyaaan karon lafzon mein

Main Ghalib aur Faraz nahi jo biyaaan karon lafzon mein
Kahan alfaaaz ka wazan kahan mere yaaar ka husssn

Hai dil ko yaqeen na woh aye ga palat ke kabhi

Hai dil ko yaqeen na woh aye ga palat ke kabhi
Magar phir bhi aankhon ko hai intizaar usi ka

Agar Zindagi Mein Judai Na Hoti

Agar Zindagi Mein Judai Na Hoti
To Kabhi Kisi Ki Yad Aii Na Hoti
Sath Hi Guzarta Har Lamha To
Shayed Rishto Mein Ye Gehrai Na Hoti

Gham pas thy tumhey to hoi ho gi kuch khabar

Gham pas thy tumhey to hoi ho gi kuch khabar
itna to apna shesha dil,bay sada na tha

Dil ka maalik tujhe bana dete

Dil ka maalik tujhe bana dete
Barff lehjaa tera rukaawat hai

Umeed ehd-e-wafaa aur in buto’n se Shakeel,

Umeed ehd-e-wafaa aur in buto’n se Shakeel,
Jo bhool kar bhi kisi se wafaa nahin kartey..

use ata he mere pyaar par ghussa

use ata he mere pyaar par ghussa
mujhe us k ghusse pe pyar ata he!!!!!!

Iss Rah-E-Ulfat K Musafir

Iss Rah-E-Ulfat K Musafir K Sath Tu Ny Kia Kia
Kabi Apna Lia Kabi Tukhra Dia

Meri Muhabat Patoon Ka Mahal Tu Nahi
Kabi Bana Lia Kabi Gira Dia

Main Teri Kitab-E-Zindgi Ka Woh Haraf Tu Nai Hn Jisay
Kabi Likh Lia Kabi Mita Lia

Mera Sath Tery Leya Bah-Es-Ruswaii Tu Nahi Jisay
Kabi Dunya Ko Bitla Lia Kabi Chupa Lia

Aj Kal Logoon Ka Yeahi Mashgala Hai Shan
Kabi Humain Soch Lia Kabi Bhula Lia

Jage to mohaz rait hi paen ge har taraf

Jage to mohaz rait hi paen ge har taraf
Gar ho sake to khawab me sagar na daikhiye

Qasid Paigham-e-Shoq Ko Na Kar Taveel Itna

Qasid Paigham-e-Shoq Ko Na Kar Taveel Itna
Bus Mukhtasir Unsey Kehna K Aankhien Taras Gayin

Tere Mashware Ke Khaloos Pe Mujhe Tark-e-Ishq Qabool Hai

Tere Mashware Ke Khaloos Pe Mujhe Tark-e-Ishq Qabool Hai,
Mager Aik Baat Hai Hum Nasheen! Meri Zindagi Ka Sawal Hai

Mere naseeb shoq me likha tha ye muqam

Mere naseeb shoq me likha tha ye muqam
Har so tere kheal ki dunia hai to nahin

Tapke ga lahoo aur mere dida e tar se

Tapke ga lahoo aur mere dida e tar se
Dharke ga dil e khana kharab aur ziada

Tu geya jese mein duniya se hi katt kar reh geya

Tu geya jese mein duniya se hi katt kar reh geya
Ab to koi bhi nahin mera mere dil ke siwaa

Barbaad Howey , Badnaam Howey , Ek Teri Tamanna ki khatir..

Barbaad Howey , Badnaam Howey , Ek Teri Tamanna ki khatir..
Yeh Duniya To Hamari Ho Na Saki , Ek Tum Hi Hamary Ho jaaty

Badnaam Hue Hum Sheher Me Jiski Wajah Se

Badnaam Hue Hum Sheher Me Jiski Wajah Se
us Shakas Ko Kabhi Humne Jee Bhar Ke Dekha Bhi Nahi Tha

Jo sunaayi anjuman mein shab-e-gham ki aap beeti

Jo sunaayi anjuman mein shab-e-gham ki aap beeti
Keyi ro ke muskuraye keyi muskuraa ke roye