Monday, April 30, 2012

Log marty na dar-o-baam se Takra k kabi

Log marty na dar-o-baam se Takra k kabi
dekh lete jo 'Kamal' uski samundar aNkhain

Dayar e ishq me aa kar humien badnaam hona tha

Dayar e ishq me aa kar humien badnaam hona tha,
Chalo jo bhi howa akhir tumhara naam hona tha,

Wo jis ka aks dekha tha gulabon ki jabeenon par,
Usey shehar e mohhabbat me kahien gumnaam hona tha,

Tumhari be rukhi ney hi mujhey shayer banaya hai,
Tumhara naam to khud bhi jahan me aam hona tha,

Sabhi sard o ghum jheeley akeli jan par hum ney,
Tumhari soch ko kiyon kar btao khaam hona tha,

Chali hai bat mehfil me tumhari bewafai ki,
Humari chashm e num ko to chalakta jaam hona tha,

Shakeela us ko khushiyon ki naveed e sehar deni thi,
Usi padash me hum ko sarapa e sham hona tha.

They can do any thing for 10 marks

Question: "How to kill an ant?"

Asked in an exam for 10 marks!

Student:
Mix chilli powder with sugar,
&
Keep it outside the ant's hole

After eating,
ant will search for some water near a water tank.
Push ant in to it!
Now ant will go to dry itself near fire,
When it reaches fire, put a bomb into d fire!
Then admit wounded ant in icu!
And then
remove oxygen mask from it's mouth and kill the ant :-|

Moral:
Don't play with students!
They can do any thing for 10 marks

To the beautiful couple in all the land

To the beautiful couple in all the land, May your anniversary be Happy and Grand. Happy Anniversary

Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,

Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
Is qadar toot kay chaho mujhey pagal kar do..

Sunday, April 29, 2012

Umer e daraz mang k lae the char din

Umer e daraz mang k lae the char din,
Do arzo me kat gae do intazar me.

Hamara Tazkara Choro... Hum Aisy Log Hain Jin Ko

Hamara Tazkara Choro... Hum Aisy Log Hain Jin Ko
Muhabbat Kuch Nahi Kehti... Wafaain Maar Jaati Hain

Aik Aaghosh Ki Khushboo Hai

Aik Aaghosh Ki Khushboo Hai
Abhi Tann Mann Mein
Aik Ehsaas Ki Shiddat Hai
Mere Jeevan Mein

Yahan Aya Hun Mein Nya Nya
Abhi Koi B Nahi Aashna

Yeh Jo Log Hein Mere Samnay
Nahi In Mein Koi Bhi Ham-nawaa

Magar In Se Rishta Lahu Ka Hai
Na Rahe Gey Muj Se Kabhi Juda

Mein Kisi Wajood Ka Aks Hoon
Mein Kisi Hayaat Ka Ayina

Meri Zindagi Mein Hai Roshni

Mein Sitara Subha-e-umeed Ka
Mein Sitara Subha-e-umeed Ka

Meri Choti Choti Hein Khawaishein
Millain Apno Hi Ki Muhabbatein

Jo Hai Baat Dil Ki Bata Sakoon
Mein Sabhi Ko Apna Bana Sakoon

Sabhi Aik Hon Hai Yeh Arzoo
Sabhi Pyar Ki Karein Guftagu

Koi Door Hai Koi Paas Hai
Mujhe Sirf Pyar Ki Pyas Hai

Mein Ujaalun Sab Hi Ka Rasta

Mein Sitara Sunha-e-umeed Ka
Mein Sitara Subha-e-umeed Ka

Friday, April 27, 2012

Toota ho ek bar magar faisla ye hy

Toota ho ek bar magar faisla ye hy
os intiha pay bar digar jana hy muje

You do not know the effect you have on me

You do not know the effect you have on me because every time I see you my heart begins to smile

Yeh Sangdilon ki duniya hai yahan sunta nahi fariyad koi

Yeh Sangdilon ki duniya hai yahan sunta nahi fariyad koi
Yahan hastey hain log jab bhi hota hai barbaad koi

Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahi’n ki

Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahi’n ki
Had ye k dharakney ki jasaarat bhi nahi’n ki

Tabeer ka aizaz hua hai usey haasil
Jis ne mery khuwabo’n mein sharakat bhi nahi’n ki

Ulfat tou barri baat hai hum se to sir-e-sheher
Logo’n ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi’n ki

Aadab-e-safar ab wo sikhatay hain jinho’n ne
Do chaar qadam tay ye musaafat bhi nahi’n ki

Kia apni safai mein bayaa’n daity k hum ne
Nakarda gunaho’n ki wazahat bhi nahi’n ki

Khamosh tamashaai k manind sir-e-bazm
So zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahi’n ki

Us ghar k sabhi log mujhy chorrney aaye
Dehleez talak us ne ye zehmat bhi nahi’n ki

Us ne bhi ghulam’on ki safo’n mein humain rakha
Is dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahi’n ki. . !

har bezaban ko sholanawa kah liya karo

har bezaban ko sholanawa kah liya karo
yaro sukut hi ko sada kah liya karo

khud ko fareb do k na ho talkh zindagi
har sangdil ko jane-e-wafa kah liya karo

gar chahte ho khush rahen kuch bandagan-e-khas
jitne sanam hain un ko khuda kah liya karo

insan ka agar qad-o-qamat na barh sake
tum is ko nuqs-e-ab-o-hawa kah liya karo

apne liye ab ek hi rah-e-nijat hai
har zulm ko raza-e-khuda kah liya karo

le de k ab yahi hai nishan-e-ziya "Qateel"
jab dil jale to us ko diya kah liya karo

yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai “daanish”
ek bejurm sazaa ho jaise

Kaisa Sitam – 140 Words Shayari

Kaisa Sitam – 140 Words Shayari

Kaisa Sitam Hai Apka Ye, Ke Rone Bhi Nahi Dete,
Kareeb Aate Nahi Aur Khud Se Juda Hone Bhi Nahi Dete.

ZAM ZAM

ZAM ZAM is about 18*14 feet and 13 meters deep well.
It started 4000 years ago.
Never dried since then never changed taste.
No Algae or Plant growth in the well.
This small well provides water to Millions of people.
Through Heavy motors pulling 8000 liters per second (69.12 core liter in 24 hrs)
& after 24 hours it completes its level in only 11 mints.
Thus its Alter level never decreases

Thursday, April 26, 2012

Ye Sab Rastay K Sathi thay inhein Aakhir Bicharna tha

Ye Sab Rastay K Sathi thay inhein Aakhir Bicharna tha
Chalo Ab Ghar Chalen jana Bohat Aawargi Kar Li

Birdy birdy in the sky dropped a poopy in my eye,

Birdy birdy in the sky dropped a poopy in my eye,
I don't worry I don't cry, I'm just happy that cows can't fly!

Khushi Ka Gam Hai, Na Gham Ki Koi Khushi Ab To

Khushi Ka Gam Hai, Na Gham Ki Koi Khushi Ab To,
Bohut Udas Guzarti Hai Zindagi Ab To!

Tere Bagair Bhi Dil Ki Tasalliyon Ke Liye,
Ek Intezar Ki Shab Thi, So Dhal gai Ab To!

ik Ashna Ke Bichharne Se Kuch Nahi Badla,
Hawa-E-Sheher Bhi Lagti Hai Ajnabi Ab To!

Tamam Raat Rahi Dil Mein Roshni Ki Lakeer,
Shamaa e Seher thi Wo Bhi to Jal Bujhi Ab To!

Kahan Gaye Wo Shanasa Wo Ajnabi Chehre,
Ujarh Si Nazar Aati Hai, Har Gali Ab To!!!

Her Nazar hoti hai Khud apne hi Dil ka Aaina

Her Nazar hoti hai Khud apne hi Dil ka Aaina
Jis ne Dekha, Jis Nazar se, Us Tarah Jaana Mujhe

Wife is dreaming in the middle of the night

Wife is dreaming in the middle of the night
and suddenly shouts: "Up! Quick! My husband is back!"

Man gets up, jumps out of the window,
hurts himself, and then realizes: "Damn, I am the husband!"

Wednesday, April 25, 2012

zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain

zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain
main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga

tu mila hai to ye ehsas hua hai mujhko
ye meri umr mohabbat k liye thori hai
ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par
main ne wo sans bhi tere liye rakh chori hai
tujh pe ho jaunga qurban tujhe chahunga

apne jazbat mein nagmat rachane k liye
main ne dharakan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasawwur bhi judai ka bhala kaise karun
main ne qismat ki lakiron se churaya hai tujhe
pyar ka ban k nigehaban tujhe chahunga

teri har chap se jalte hain khayalon mein chirag
jab bhi tu aye jagata hua jadu aye
tujhako chhu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushbu aye
tu bahron ka hai unwan tujhe chahunga

May Your Hair, Your Teeth

May Your Hair, Your Teeth,
Your Face-Lift, Your Abs And
Your Stocks Not Fall;
And May Your Blood Pressure,
Your Triglycerides,
Your Cholesterol,
Your White Blood Count And
Your Mortgage Interest Not Rise.

Happy Healthy New Year 2013

Jheel sa mujh ko gehra laga tha,

Jheel sa mujh ko gehra laga tha,
Jab woh pehli baar mila tha,

Har rasta, khushbu rusta tha,
Woh mere hamraah chala tha,

Ankhon mein kajal phela tha,
Chahat ka khamosh sila tha,

Hum dono mein rang usi ka,
Raste mein jo phool khila tha,

Kese bhula doon us ko Arshad,
Woh tou mera aayina tha..

Ab bhalaa chhor ke ghar kyaa karte

Ab bhalaa chhor ke ghar kyaa karte,
Shaam ke waqt safar kyaa karte...

Teri masrufiyaten jaante the,
Apne aane ki Khabar kyaa karte...

Jab sitaare hi nahin mil paaye,
Le ke ham shams-o-Qamar kyaa karte...

Wo musaafir hi khuli dhoop kaa tha.!
Saaye phailaa ke shajar kyaa karte...

Khaak hi aval-o-aakhir thahri..!
Kar ke zare ko gauhar kyaa karte..

Poochty hain kya hua Dil ko

Poochty hain kya hua Dil ko
Husn walon ki sadgi na gai

Tuesday, April 24, 2012

Parr geya parda samaa’at per teri awaz ka,

Parr geya parda samaa’at per teri awaz ka,
Aik aahat kitne hangaamon per haavi ho gayi..

I care most

I was looking out the windows thinking about the person
I care most & the person that came into my mind
is U so juz wanna wish u good nite.......

Monday, April 23, 2012

Rukh-e-Yaar Pe Ye Zulfain Yon Phisal Rahi Hain Goya

Rukh-e-Yaar Pe Ye Zulfain Yon Phisal Rahi Hain Goya
Kabi Din Nikal Raha Hai... Kabi Raat Dhal Rahi Hai

a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan

a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan

yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan

ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan

hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein
uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan

is butkade mein mani ka kis se karen sawal
adam nahin surat-e-adam bahur hai yan

ajaz-e-isawi se nahin bahs ishq mein
teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan

mere hilak karne ka gam hai abas tumhen
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan

shayad ke kam subh tak apana khinchena ?Mir?
ahawal aj sham se darham bahut hai yan

aj jane ki zid na karo

aj jane ki zid na karo
yun hi pahlu main baithe raho
haye! mar jayenge, ham to lut jayenge
aisi baten kiya na karo

tum hi socho zara kyun na roke tumhen
jan jati hai jab uthke jate ho tum
tum ko apani kasam jan-e-jan
bat itni meri man lo

waqt ki qaid main zindagi hai magar
chand ghariyan yahi hain jo azad hai
in ko kho kar abhi jan-e-jan
umr bhar na taraste raho

kitna masum-o-rangin hai ye sama
husn aur ishq ki aj meraj hai
kal ki kisko khabar jane-jan
rok lo aj ki rat ko

gesuon ki shikan hai abhi shabnami
aur palkon k saye bhi madahosh hain
husn-e-masum ko jane-jan
bekhudi main na rusva karo

Sunday, April 22, 2012

KHUDA Ne Sabar Krny Ki Mujhe Tofeeq Bakhshi Hy

KHUDA Ne Sabar Krny Ki Mujhe Tofeeq Bakhshi Hy
Ary G Bhar K Tarpao... Shikayat Kon Krta Hy

Tanhayi Ke Aatishdaan Mein

Tanhayi Ke Aatishdaan Mein
Mein Lakri Ki Tarah Jalta Tha

Tere Saath Tere Hamraahi
Mere Saath Mera Rasta Tha

Ye dunia walay wafa nahi kertay

Ye dunia walay wafa nahi kertay
Tum bhi in sey wafa mat karna

Wo koi dhoka dey tum ko
Is sey pehlay tum dhoka dia karna

Apney hi nam sey zinda rehna yahan
Kisi key nam sey jia na kerna

jo tahor bhi pilay to bhi na pena
khod apney hi hath sey piya kena

ye log be-wafa hein ‘Gul’
tum kesi pe aitbar mat kerna

Roshani le k bahot door khari hai dunia

Roshani le k bahot door khari hai dunia
Muj se kehti hai tere pass to saea bhi nahin

Gamon Ko Dil Se – Qateel Shifai Shayari

Gamon Ko Dil Se – Qateel Shifai Shayari

Charag Dil Ke Jalao Ki Id Ka Din Hai
Tarane Jhum Ke Gao Ki Id Ka Din Hai

Gamon Ko Dil Se Bhulao Ki Id Ka Din Hai
Khushi Se Bazm Sajao Ki Id Ka Din Hai

Huzur Us Ke Karo Ab Salamti Ke Dua
Sar-e-namaz Jhukao Ki Id Ka Din Hai

Sabhi Murad Ho Purihar Ek Savali Ke
Dua Ko Hath Uthao Ki Id Ka Din Hai

Saturday, April 21, 2012

Marney ki duain kiyon mangon jeeney ki tamanna kon karey

Marney ki duain kiyon mangon jeeney ki tamanna kon karey,
Ye uniya ho ya wo duniya ab khwahish e duniya kon karey,

Jab khashti sabit o salim thi sahil ki tamanna kis ko thi,
Ab esi shakista kashti par sahil ki tamanna kon karey,

Jo aag lagai thi tum ney us aag ko to bujhaya askhon ney,
Jo ashkon ney bharkai hai is aag ko thanda kon karey,

Duniya ney humien chora jazbi hum chor na dien kiyon duniya ko,
Duniya ko samajh kar bethey hain ab duniya duniya kon karey.

Ik umr se hum Uski tamanna me hain be-khwab

Ik umr se hum Uski tamanna me hain be-khwab
Wo chand jo aangan me utarta b nahi hai..

LIKE A FRESH DEWDROPS

LIKE A FRESH DEWDROPS of a new day...
may GOD'S loving u hands be upon u today
to freshen ur soul & body! HAPPY B-DAY

Kya Khabar Thi Ke Main

kya khabar thi ke main is darja badal jaunga
tujh ko kho dunga tere gham se sambhal jaunga
ajanabi ban ke milunga main tujhe mahafil mein
tu ne chedi bhi to main baat badal jaunga
dhundh paye na jahan yaad bhi teri mujh ko
aise jangal mein kisi roz nikal jaunga
zid mein aaye hue masum se bache ke tarah
khud hi kashti ko dubone pe machal jaunga

Friday, April 20, 2012

teri talash mein ham jab kabhi nikalte hain

teri talash mein ham jab kabhi nikalte hain
ik ajnabi ki tarah raste badalte hain

daraz ho gam-e-hijran k hasil-e-hijran
wo hausale hain jo agosh-e-gam mein palte hain

rawa nahin hai gam-e-ishq is qadar bhi garur
tere bagair bhi dunya k kam chalte hain

kabhi jo had se barhi un ki yad to samjhe
k un k dil mein bhi kuch walwale machalte hain

shab-e-firaq kuch aisi bhi tiragi to nahin
kabhi kabhi sar-e-mizgan charag jalte hain

ab un ke gam se bhi mahrum ho na jayen kabhi
wo jante hain k is gam se dil bahalte hain

Happiness – Mothers Day Poems in English

Happiness – Mothers Day Poems in English

Happiness, like most things, comes from mothers.
An amniotic universe is rare.
Paradises aren’t found with others,
Perhaps because we must breathe our own air.
Yet even after paradise, we find
Mothers are a bath of warm affection.
Only mothers’ love is truly blind
To guarantee all errant souls protection.
However we find love, it can be only
Evanescences of memories
Retained from when we never could be lonely,
‘Ere we left our mother’s outsized knees.
So good it is to have that happiness
Designed to grace each subsequent caress,
All future love and joy to underlie,
Yearning backwards towards a mother’s sigh.

In the morning, sun gazes at me to make me happy...

In the morning,
sun gazes at me to make me happy...
Cool breeze hugs me to see my smile...
Birds sings to make me smile....
But my dear,
They dont know that
my smile is incomplete until
I remember your face...

hansata tha mujh ko to phhir rula bhi deta tha

hansata tha mujh ko to phhir rula bhi deta tha
kar k wo mujh se aksar wady bhula bhi deta tha,

be-wafa tha bohat magar dil ko achha lagta tha
kabhi kabahar batain muhabbat ki suna bhi deta tha,

thaam leta tha hath mera kabhi yoon he khud
kabhi hath apna mere hath se chhura bhi leta tha,

kabhi be-waqat chala aata tha milny ko
kabhi qeemti pal muhabbat k ganwa deta tha,

ajab dhoop chhaon sa mizaj tha us ka
motbar bhi rakhta tha” nazron se gira bhi deta tha

har haqiqat majaz ho jaye

har haqiqat majaz ho jaye
kafiron ki namaz ho jaye

minnat-e-charasaz kaun kare
dard jab jan nawaz ho jaye

ishq dil main rahe to ruswa ho
lab pe aye to raz ho jaye

lutf ka intazar karta hun
jor ta hadd-e-naz ho jaye

umr besud kat rahi hai 'Faiz'
kash afsha-e-raz ho jaye

hamesha der kar deta hun main

hamesha der kar deta hun main

zaruri bat kahni ho
koi wada nibhana ho
use awaz deni ho
use wapas bulana ho
hamesha der kar deta hun main

madad karni ho uski
yar ki dharas bandhana ho
bahut derina raston par
kisi se milne jana ho
hamesha der kar deta hun main

badalte mausamon ki sair main
dil ko lagana ho
kisi ko yad rakhna ho
kisi ko bhul jana ho
hamesha der kar deta hun main

kisi ko maut se pahle
kisi gam se bachna ho
haqiqat aur thi kuch
us ko ja k ye batana ho

hamesha der kar deta hun main

Saabit hoa k tu b zamany k sath hai

Saabit hoa k tu b zamany k sath hai
Saabit hoa k tu b hamara nahi raha

Thursday, April 19, 2012

Hearts beat 72 times a min

Hearts beat 72 times a min,
Even if ur heart beats only once a min,
U'll stil live coz 71 times my heart beats 4u..
Good Morning & Have a good day.

Muhabbat chaar harfon ka saheefa hay

Muhabbat chaar harfon ka saheefa hay
Muhabbat Meem sey hat mirg
Muhabbat hey se hadisa bhi hay
Yeh bey se beykali hay
aur
…Tey se taaj kaanton ka
Agar yeh mirg hay toh mirg sey kis ko mufr socho?
jo isko hadisa jano toh is sey kon bach paya ?
hay bey sey beykali toh beykali saanso pay haavi hay
Agar hay taaj kaanton ka toh jis sar pey bhi sajta hay
Woh sar tan par nahi rehta
Muhabbat khoon mein dooba hua ik dasht hay
Gehri udasi hay
Muhabbat hay dua jaisi
Muhabbat karbala si hay..

Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko

Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko
Mohabat Agr Krty Ho To Chura LoMjh Ko
Khony Ka Agr Khaof Hy To
Dil Ki Hr Dharkan Me Basa Lo Mjh Ko
Dhoop Ho Ya Sehra Ho Tere Sath Chalain Gy
Yaqeen Na Aaye To Aazma Lo MjhKo
Tere Dukh Ko Seh Lain Gy Hans Kr
Apny Badan Ki Chadar Bna LO Mjh Ko
Sahil Se Pehle Chor To Na Do Gy
Abhi Aghaaz-e-Safar Me Bta Do Mjh Ko
Zindgi B Tere Nam Kr Dain Gy
Apny Bazoan Mein Chupa Lo Mjh Ko

Ye Umar Bhar Ka Safar aur Ye Raaigaani Teri

Ye Umar Bhar Ka Safar aur Ye Raaigaani Teri
Kahan Gayi Ay Mere Dil Wo Khush Gumaani Teri ?

Yahan Pe Kon Andheron Mein Saath Chalta Hai ?
TU Ab Bhee Saath Mere Hai Ye Meherbaani Teri

Tujhe Khabar Nahee Hum Dekh Kar Bohat Roye
Nayi Kitaab Mein Tasweer Ik Puraani Teri

Abhe Se aablay Parnay Lagay Hain Paon Mein
Abhe Tou Door Hai Manzil Safar Kahaani Teri

Bhulaaye Baithay Hain aur Apnay Haal Mein Khush Hain
TU aake Dekh Ke Kubhi Hum Ne Baat Maani Teri

lagta hai khuda ka bulawa aane wala hai hame

lagta hai khuda ka bulawa aane wala hai hame
Aaj kal mere sar ki jhuti kasam kha rahe hain wo

Wednesday, April 18, 2012

Sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main

Sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main
Lakin ye sochta hun k ab tera kya hun main

Bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud
Bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main

Main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
Apne badan ki qabr mein kabse gara hun main

Kis-kis ka nam laun zaban par k tere sath
Har roz ek shakhs naya dekhta hun main

Na jane kis ada se liya tune mera nam
Duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main

Le mere tajurbon se sabak ae mere raqib
Do char sal umr mein tujhse bara hun main

Jaga hua zamir wo aina hai Qateel
Sone se pahale roz jise dekhta hun main

Mujhe ek manzil-e-khaas ka na pata chala, yeh bura hua

Mujhe ek manzil-e-khaas ka na pata chala, yeh bura hua
meri justaju, meri aarzoo, hui raaigaN, yeh bura hua

meri zest maut se kam nahi, mera gham bhi ab mera gham nahi
teri dastaaN meiN sama gai meri dastaaN, yeh bura hua

mujhe apne naghmoN se hai gila, mera raaz raaz na reh saka
woh jale chiraaghoN ki tarha, woh utha dhuwaan, yeh bura hua

tere intezaar meiN baith kar, mujhe zindagi to mili magar
mera saath choD ke chal diya, mera karwaaaN, yeh bura hua

mujhe yaad thi yeh na thi khabar, mere gham meiN hai bada asar
meri ek aah se jal gaye, kai aashiyaaN, yeh bura hua.

So kissey hain milte juley

So kissey hain milte juley, aik majboori theek nahin
Jo kehna hai khul ker keh de, baat adhoori theek nahin

Koi heela, koi bahana, koi munasib raah nikaal
Mujhse aese milte rehna, gher zaroor theek nahin

Roz mohabbat ho jaye hai, chalte phirte logon se
Geet adhoray, khawb adhooray, yeh mazdoori thek nahin

Ik shikayet ke badle, sab ka sab mujhe ilzam na de
Kuch kuch teri baat hai sachi, lekin poori theek nahin

Kya yeh chandni ratain yunhi laut jayengi

Kya yeh chandni ratain yunhi laut jayengi
Kya na aasako gi tum kissi bahaney se

Tuesday, April 17, 2012

Tum Samandar Ki Baat Karte Ho

Tum Samandar Ki Baat Karte Ho…?
Log Aankhon Me Doob Jate Hain….!

This Love is LOve

This Love is LOve the Love best love way Love to Love say Love to Love U Love that Love I Love Miss Love U Love, read it again widout word Love

Monday, April 16, 2012

Best wishes to you both on your anniversary

Best wishes to you both on your anniversary,
May the love that u share Last your lifetime through,
As u make a wonderful pair.
Happy Wedding Anniversary.

Sunday, April 15, 2012

Sardarji was asked,

Sardarji was asked,
what is a adult joke?

Reply came
any joke which is eighteen years old.

Meaning of rose colours

Meaning of rose colours...
Red 4 Love..
Yellow 4 Special Friend..
White 4 Peace..
Black 4 Hate & Darkness..
Pink 4 Likeness..
So Plz Choose One Roz Colour 4 Me!

donon jahan de k wo samjhe ye khush raha

donon jahan de k wo samjhe ye khush raha
yan a pari ye sharm ki takrar kya karen

thak thak k har maqam pe do char rah gaye
tera pata na payen to nachar kya karen

kya shama k nahin hai hawa khwah ahal-e-bazm
ho gam hi jan gudaz to gamkhwar kya karen

which is your best music?

A.r rehman was asked at his award function:
"which is your best music?"
he replied,
"my next music"
so let ur aim be better than before.

We love ourself even after making so many mistakes.

We love ourself even after making so many mistakes.
Then how can we hate others 4 their small mistakes?
Strange but true! So make habit of FORGIVING.

Saturday, April 14, 2012

Is marhaly ko mout b kehte hain dosto

Is marhaly ko mout b kehte hain dosto
ek pal me toot jaain... jahan umr bhar k sath

Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha

Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha
Per dharkanon ne Usi ko Khuda banaya tha

Main khawab khawab jise doondhta phira barson
Woh ashk ashk meri aankh mein samaya tha

Tera qasoor nahin jaan ,meri tanhayi
Yeh roag main ne hi, khud jaan ko lagaya tha

Mery Dill Mein Utro Zara Zara

SUNO…!!!
Mery Dill Mein Utro Zara Zara,
Mujy Holay Holay Pyar Do,
Meri Tishnagi Ko Barhao Phir,
Meri Be-kali Ko Qarar Do,
Mujy Harf Harf Smait Lo,
Mujy Lafz Lafz shumar Do,
Ju Umar Bhar Na Utar Sakay,
Meri Ankh Ko Wo Khumar Do,
Mujy Likh Lo DiL Ki Kitab Pai,
Meri Rooh Khud Mein Utar Do,
Ju Jiye Mity Tery Naam Pai,
Mujy Aisa Shehar Nigar Do,
Mujy Chun Lo Phool Samajh K Tum,
Nayi Khushbuwon Ka Nikhar Do,
Awo Pyar Ka Us Khel Main,
Tum Jeet Jao Mujy Haar do.

Mishalein derd ki seenon meiN jalaaey Rakhna

Mishalein derd ki seenon meiN jalaaey Rakhna
Apney KaandhoN pe saleeboN ko uthaaey rakhna

Khak jalwoN sey na ho jaaey kaheeN toor-e Khayal
Bazm-e jaanaN meiN nazar apni Jhukaaey rakhna

Jaaney phir saqi-o mey khana mileN ya na MileN
Apni saansoN mein mehek mey ki basaaey rakhna

Rehzan-e waqt kaheeN ye bhi mataa'a loot na ley
Apney seeney meiN mera derd chupaaey rakhna

Jaaney kab lot ke aa jaaey wo bhatka raahi
Raat bher shama dareechey meiN jalaaey rakhna

Jab talak ho na tulu seena-e zulmat sey Qamar
apni palkowN pe sitaarowN ko sajaaey rakhna

Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain

Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain
Dost Ke Naam Per Jan Fida Kartay Hain
Tumhey Phool Ka Zakham Bhi Na Anay Pae
Allah Say Roz Yeh Dua Kartay Hain

Friday, April 13, 2012

Mohabat ka Bharam Hota

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty,
Wagarna Zindagi Ban k Mery Hamdam Guzar Jaty,

Thaky Hary Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya,
Koi Jo muntazir hota tu hum bhi apny ghar jaty,

Main kha kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon,
ye thokar jo tumhain lagti,tu tum khud bhi bikhar jaty,

Is TANHAi ka hum pe bara Ahsan hai
“ROGI”
Na daiti sath ye apna tu jany hum kidhar jaty.

Being a full-time mother is

Being a full-time mother is
one of the highest salaried jobs...
since the payment is pure love.
(Mildred B. Vermont)

Agr Wo Pooch Lein Hm Se, Tmhen Kis Baat ka Gham Hai

Agr Wo Pooch Lein Hm Se, Tmhen Kis Baat ka Gham Hai
To Phir Kiss Baat Ka Gham Ho, Agr Wo Poochh Lein Hum Se..!!!

Jaaingy hum bhi khuwab k us sheher ki taraf

Jaaingy hum bhi khuwab k us sheher ki taraf. . !
Naao palat tou aaye musafir utaar k . . !

Joy resounds in the hearts of those

Joy resounds in the hearts of those
who believe in the miracle of Christmas!
Wishing you all the peace, joy, and love
of the season! Season's Greetings

Na Ruk Sakay Ga Kubhi Silsila Mohabbat Ka

Na Ruk Sakay Ga Kubhi Silsila Mohabbat Ka
Khuda Ka Khalq Hai Raabta Mohabbat Ka

Thay Mere Chehray Pe Bhee Khaal-o-Khad Mohabbat Ke
Ke Mere Saamnay Tha Aaina Mohabbat Ka

Jahaan Ruki Mein, Wohi Manzil-e-Mohabbat Thi
Chali Tou Saath Chala Raasta Mohabbat Ka

Jahaan Andheray Nazar Aaye Nafraton Ke Mujhe
Jalaa Dia Hai Waheen Per Diaa Mohabbat Ka

Hamaaray Saamnay Tha Ek Kaaba-e-Ulfat
So Ham Ne Bhee Wahan Sajda Kia Mohabbat Ka

Hamain Khabar Hai Ya Phir Hai Khabar Mohabbat Ko
Jo Qarz Ham Ne Kia Hai Adaa Mohabbat Ka

Wafaa Ka Badlaa Wafa Hee Hai Shahida Tasneem
Hai Pur-Khuloos Mohabbat Silaa Mohabbat Ka

Gham-e-Hayat, Gham-e-Bandagi, Gham-e-Do_Jahan, Gham-e-Jaodan

Gham-e-Hayat, Gham-e-Bandagi, Gham-e-Do_Jahan, Gham-e-Jaodan,
Meri Har Nazar Teri Muntazir, Teri Har Nazar Mera Imtehaan

Thursday, April 12, 2012

yaad aate ho shaam dhalte hi

yaad aate ho shaam dhalte hi
jal gaya dil chiraagh jalte hi

gham k dawaaze khul gaye mujh par
halki halki hawa k chalte hi

khud ko tabdeel kar liya tumne
ik naya hamsafarbadalte hi

gir k ham sambhal gaye
aur tum gir pade sambhalte hi

phail jaati hai chaandni har soo
chaand k baam par nikalte hi

laakh gham aa gaye shahzaad
ik gham mere sir se talte hi

Eid Mubarikh Dil sE

.*””* . * “”*.
“* Dil ki *”
*Gehrayon*
“*…se… *”
“*….*”

Eid

ul

Fitr

Mubarik

Wednesday, April 11, 2012

Hamary paaon mein tum ne zanjeer-e-wafa daali

Hamary paaon mein tum ne zanjeer-e-wafa daali
Tumhary haath se kyun rishta-e-mehr-o-karam choota

Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main guzaari,

Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main guzaari,
Na ho ke mar mittain hum, na ho ke jee uthain hum..

Jany q shikast ka azaab liye baitha hun

Jany q shikast ka azaab liye baitha hun

main kia hun aur kia khwab liye baitha hun

usne ik bar kia tha sawak-e-mohabat

main har lamha wafa ka jawab liye phirta hun

usne pucha kab se nahi soya

main rut jagon ka hisaab liye phirta hun

uski khwahish thi meri ankh main pani dekhy

main us waqt se ansuyon ka seelab liye phirta hun

afsoos k wo phir bhi mera na hua

main jis ki arzoo ki kitaab liye phirta hun

Tuesday, April 10, 2012

Anniversary Wishes

Anniversary Wishes

May your special day
Be a celebrating
Of where you have been
Where you are, &
How you are growing
Together in the lord

main aisi mohabbat karta hoon

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko choota rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon

tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab?.sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan bhi bayth k jati ho
jis cheez ko hath lagati ho
main waheen peh baytha rehta hoon
us jaga ko choota rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochta hoon
main?aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo?tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

Humen bhi aa para hai doston se kaam kuch yaini

Humen bhi aa para hai doston se kaam kuch yaini
Hamare doston k lie be wafa hone ka waqt aea

Jee mein hi kuch nahi hai hamaray wagarna hum

Jee mein hi kuch nahi hai hamaray wagarna hum. . !
Sir jaye yaar hai na rahain per kahay baghair

Roz Subha Khud Say Ek Wada Kartay Hain

Roz Subha Khud Say Ek Wada Kartay Hain
Tujhay Iss Dil Say Bhulanay Ka Irada Kartay Hain
Apni He Baat Say Mukkarr Jatay Hain Maloom Nahi Kyoun
Bheegti Ankhon Ko Khuwab Tornay Ke Liye Amaadah Kartay Hain

Monday, April 9, 2012

chalne ka hosla nahi rukna mohal kerdiya

chalne ka hosla nahi rukna mohal kerdiya
ishq ke is safar ne to mujh ko nidhal kerdiya,

milte hue dilon ke beach or tha faisla koi,
usne mager bicharte waqt aur sawal kerdiya,

ae mere gul zameen tujhe chah the ek kitab ki,
ahle kitab ne mager kiya tera hal kerdiya,

ab ke hawa ke sath hai damn-e-yaar muntazir,
bano-e-shab ke hath mein rakhna sambhal kerdiya,

mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha,
hum ne to ek baat ki us ne kamal kerdiya,

mere labo per mohar the,per mere sheesha rooh ne to,
shehar ke shehar ko mera waiqf-e-hal kerdiya,

chehra o naam ek sath aj na yad aasake,
waqt ne kis shabih ko khuwab-o-khayal kerdiya,

ke mudato baad usne aj mujh se koi gila kiya,
mansab-e-dilbari pe kaya mujh ko bahal kerdiya,

pagalon mein gina jab muhabbat hui

pagalon mein gina jab muhabbat hui
mujrimon mein likha jab baghawat hui

lab hila kar kiya kia ishara bata
hum samajh na sakey aur hamaqat hui

jab sana may teri geet hum ney kaha
kiyuN laga tha tumhey ke shirarat hui

phir shru se suna dastaan-e-wafa
kiyuN humain hai gumaN ke tijarat hui

pi rehay they kabhi aankh se hum teri
kiyun bhala jam ki ab zarorat hui

Ik Had Me Sath Tha To Be'had Qareeb Tha

Ik Had Me Sath Tha To Be'had Qareeb Tha
Be'had Hua To Qurb Ka Qissa Hua Tammam

Jaankar tujhe yeh samajh me ata hai

Jaankar tujhe yeh samajh me ata hai,
ki dagha koi apna hi deta hai,
chahte hai jise zindagi se zyada ,
wo hi aksar bewafai kar jata hai.

Wafa ka ziker chala to mujhe khayal aaya

Wafa ka ziker chala to mujhe khayal aaya
wo naqsh mera wafa ka mita chuka hoga

Jo meri aankhon? ko aaina kaha karta tha
wo mera chehra bhi kab ka bhula chuka hoga

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana

Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Saturday, April 7, 2012

Ye kiska tasawur hai, ye kiska fasana hai

Ye kiska tasawur hai, ye kiska fasana hai,
Jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai...

Aankhon mein nami si hai chup-chup se wo baithe hain,
Nazuk si nigaahon mein naazuk sa fasana hai...

Ye ishq nahin aasaan itana to samajh lije,
Ek aag kaa dariyaa hai aur doob ke jana hai...!

Yaa wo the khafa ham se ya ham the khafa unse,
kal un ka zamana tha aaj apana zamana hai.

I may not say it always

I may not say it always.
But, I mean it whenever I say it.
Thank You Teacher
For all the things you have done for me.
Happy Teachers Day!

Har Shakhs Hi Jaise Rukh-E-Batil Se Mila Ho

Har Shakhs Hi Jaise Rukh-E-Batil Se Mila Ho
Ek Bhi Nahi Aisa Jo Humain Dil Se Mila Ho

Phir Raah Se, Rehbar Se, Musaft Se Gila Kya
Jab Hukam Palat Jane Ka Manzil Se Mila Ho

Andaaz-E Mulaqat Bhi Is Baar Juda Tha
Jaise K Unhain Waqt Bhi Mushkil Se Mila Ho

mujhko shikwa hai mere bhai k tum jate huye

mujhko shikwa hai mere bhai k tum jate huye le gaye sath meri umr-e-guzashta ki kitab

is main to meri bahut qimati taswiren thin is main bachpan tha mera, aur mera ahad-e-shabab

is k badle mujhe tum de gaye jate jate apne gam ka yah damakta hua khun-rang gulab

kya karun bhai, ye ezaz main kyun kar pahnun mujhse le lo meri sab chak qamizon ka hisab

akhri bar hai lo man lo ik ye bhi sawal aj tak tum se main lauta nahin mayus-e-jawab

ake le jao tum apana yah damakata hua phul mujhako lauta do meri umr-e-guzashata k ktab

Friday, April 6, 2012

Zindagi Mey Her Khushi Mile – Zindagi Shayari

Zindagi Mey Her Khushi Mile – Zindagi Shayari

Zindagi Mey Her Khushi Mile Aap Ko
Aap Jis Cheez Ko Chahe Wo Mile Aap Ko
Bus Hame Zaroor Yaad Rakh Na
Hum Wo Hai Jo Duva-O-Mey Yaad Rakhe Aap Ko

ye chubhan akaile pun kiye lagan udaas shab se

ye chubhan akaile pun kiye lagan udaas shab se
mai hawa se lar raha hon, tujhay kaya bataon kub se

ye sehar ki saazishain theen, ke ye inteqaam-e-shab tha
mujhay zindagi ka suraj na bacha saka ghazab se

tery naam se shafa ho koi zakhm wo ataa kar
mere naama ber, milay tau usay kehna ye adab se

wo jawan ruton ki shaamain, kahan kho gai hain Sagar
main to bujh ke reh gaya hoon, wo bichar gaya hai jub se

ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki

ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki

kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki

wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki

tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki

us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,

Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,

Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri,
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,

Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak…….!!

Thursday, April 5, 2012

se apni zid ki fikar thi

se apni zid ki fikar thi
Mujhe apni anaa ka khayal tha

Na mil sake hum phir kabhi
Wo hamari mohabbaton ka zawal tha

Mere liye us ka saath he sab kuch tha
Us ke liye ye sab mazaaq tha

Use bas apni manzilon ki fikar thi
Yahan meri zindagi ka sawaal tha.

Tum ko di hai Isharon me Ijazat main ne

Tum ko di hai Isharon me Ijazat main ne
Maangny se na milon to Chura Lo mujh ko

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy
Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy

Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir
Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy

Shahid ab k baras bhi wo Loat kar na aye
Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy

Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna
Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy

Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao
Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy

Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi
Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy

Wednesday, April 4, 2012

Har Saans Jeene Ke Lie Bani Hai

Har Saans Jeene Ke Lie Bani Hai
Har Dhadkan Me Khudaai Hi Khili Hai

Shikwe Shikayat Karen Bhi To Kisse Karen
Hume Apne Aayine Ki Bhi To Padi Hai

Gile Kahne Se Bhi Aakhir Kya Milega
Har Ghadi Khuda Ke Mutabik Chal Rahi Hai

Phool Hai Zindagi Ek Aisa Jiski Ye Khasiyat
Jitna Ikhlaaq Baanto Uski Khusbu Aur Badhti Hai

Zabat ki manzalen keh keh k ye yeh teh ki mene

Zabat ki manzalen keh keh k ye yeh teh ki mene
Un k pehlo me bhi dil hai koi folad nahin

Long after our anniversary

Long after our anniversary And this greeting has been thrown away Think of the thought behind it,Each and everyday, Happy Anniversary

Tuesday, April 3, 2012

Dard Kia Hota Hai Batayein Gay Kisi Roz

Dard Kia Hota Hai Batayein Gay Kisi Roz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunayein Gay Kisi Roz

Thi Un Ki Zid K Main Jaaoun Un Ko Manane
Mujh Ko Ye Veham Tha Wo Bulayein Gay Kisi Roz

Kabi B Maine To Socha B Nahi Tha
Wo Itna Mere Dil Ko Dukhayein Gay Kisi Roz

Har Roz Sheshay Se Yehi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pe Tabassum Sajayein Gay Kisi Roz

Urney Do In Parindon Ko Azaad Fizaon Mein
Tumhare Hon Agar To Lout Aayein Gay Kisi Roz

Apne Sitam Ko Dekh Lena Khud Hi Saqi Tum
Zakhum-E-Jigar Tumko Dekhein Gay Kisi Roz

May the beauty Of deepavali season

May the beauty
Of deepavali season
Fill your home with
Happiness,
And may the coming year
Provide you with all
That bring you joy

Teri Chahat Mein ham zamana bhol gaye

Teri Chahat Mein ham zamana bhol gaye
Tere baad kisi ko apnanan bhool gaye

Phir laga sara jahan veerana humko
jese chaman mein phool mehkana bhool gaye

Tumse mohabbat hai bataya sare jahan ko
yehi baat tumko batana bhool gaye

humne mita dia jahan b likha tha naam tera
magar apne dilse mitana bhool gaye

wo juda huye humse muskurate huye
magar apni palkon se aansu hatana bhool gaye..

Iss Shaher e Kharabi Mein Gham e Ishq K Marey

Iss Shaher e Kharabi Mein Gham e Ishq K Marey
Zinda Hain, Yahi Baat Bari Baat Hai Piyare

Yeh Hansta Hua Chaand Yeh Pur Noor Sittarey
Tabinda o Paind Hain Zarron Kay Saharey

Hassarat Hai Koi Ghuncha Hamein Piyar Se Dekhey
Armaan Hai Koi Phool Hamein Dill Se Pukarey

Hr Subha Meri Subha Pe Roti Rahi Shabnam
Hr Raat Meri Raat Pe Hanstey Rahey Tarey

Kuchh Aor B Hain Kaam Hamein Aye Gham e Janan
Kab Tak Koi Uljhee Hui Zulfoon Ko Sanwarey

Sach Kabhi Jo Ham Na Hongey Jaan Bohot Pachtaogey

Sach Kabhi Jo Ham Na Hongey Jaan Bohot Pachtaogey
Phir Zara Si Baat Par Apney Hi Aansu Main Beh Jaogey

Yaad Karogey Har Wo Pal Jo Saath Hmarey Guzra Tha
Dil Hoga Bechain Tumhara Chain Kahi Na Paogey

Saari Rasmain Saari Baaten Saari Duniya Saari Mehfil
Pal Pal Bujhta Dekhogey Pal Pal Jalta Paogey

Kis Tarha Larh Paogey Apney Un Veeraano Sey
Khouf Barheyga Phir Tumhara Khud Ko Tanha Paogey

Un Labo Ko Chu Leta Tha Aankho Main Beh Jaata Tha
Kon Mareyga Itna Tumpar Jesa Ki Main Mar Jata Tha

Zulf Tumhari Uljha Kar Main Raat Siyah Banata Tha
Rukh Tumhara Pa Kar PhiR Chaand Kahi Kho Jata Tha

Har Shaam Tumhaari Thi Mujsey Har Qissey Mere Jabtey They
Pal Pal Rutha Kartey They Pal Main Hi Man Jaatey They

Jab Yaad Karogey Saarey Qissey, Saari Baateyn, Saari Qasmain
Dil Tumhara Tooteyga Phir, Choor Choor Ho Jaeyga

Hardam Yaad E Teer Tumharey Dil Main Tees Uthaeyga
Kya Karogey Bolo Phir Tum Jab Kuch Nahi Ban Paeyga

Monday, April 2, 2012

Phir se ankhoon main khawab Inshaa Ji,

Phir se ankhoon main khawab Inshaa Ji,
Ijtenaab, Ijtenaab, Ijtenaab Inshaa Ji…!!!

The greatest discovery of my generation

The greatest discovery of my generation
is that a human being can alter his
life by altering his attitudes of mind.

(William James)

The only person to whom

The only person to whom
women listens carefully
is a photographer .. :p

Sunday, April 1, 2012

Muhabbat Phool – 2 Liner Shayari

Muhabbat Phool – 2 Liner Shayari

Kadam Ruk Se Gaye Hain Phool Biktey Dekh Kar
Woh Aksar Kaha Krta Tha Muhabbat Phool Jaisi Hai

Unki yaad itni ayee ke khud ki yaadashat ka pta nahi,

Unki yaad itni ayee ke khud ki yaadashat ka pta nahi,
Woh znaaja ke ghoomte rahe aur meri laash ka pta nahi..

Many are the wishes that are being sent

Many are the wishes that are being sent
Many are the wishes that are being sent your way, but the is a special one for a very happy Eid Day

Ghar walon ko ghaflat per sabhi qauss rahe hain,

Ghar walon ko ghaflat per sabhi qauss rahe hain,
Choron ko magar koi malaamat nahin kartaa..

Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete

Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete

Ugta Hua Suraj Dua De Aapko

Ugta Hua Suraj Dua De Aapko
Khilta Hua Phool Khushbu De Aapko
Hum To Kuch Dene Ke Kabil Nahi Hai
Dene Wala Hazaar Khushiyan De Aapko!

PeeR-O-MuRshiD Koi TaweeZ-E-Tasalli DijiYe

PeeR-O-MuRshiD Koi TaweeZ-E-Tasalli DijiYe
Bus Itna Keh DaiN K Wo Is BaaR Palat Aye Ga

Tera mukhrra chaand ka tukrra,

Tera mukhrra chaand ka tukrra,
Woh bhi pathar tu bhi pathar..