Sunday, July 31, 2011

Meri sochain badalti ja rahi hain

Meri sochain badalti ja rahi hain,
Ke yeh cheezain badalti ja rahi hain,

Tamasha aik hai roz-e-azal se,
Fakat aankhain badalti ja rahi hain,

Badalte manzron ke aayine mein,
Teri yadain badalti ja rahi hain,

Dilon se jorrti thi jo dilon ko,
Woh sab rasmain badalti ja rahi hain,

Adhoori, na’mukamma khawhishain kyon,
Neyi shaklain badati ja rahi hain,

Agar manzil wohi hai rahiyon ki,
To kyon raahain badati ja rahi hain,

Najaney kyon mujhe lagta hai Amjad,
Ke woh nazrain badalti ja rahi hain..

Sard mousamon ke dukh

Sard mousamon ke dukh
Kitney sard hotey hain
Koi aah
Koi faryad
Koi shikwah
Koi shikayat
kuch bhi to nahi hota in mein

In mousamon ke baasi shajar bhi
Be-libas rehtay hain
Pattay bhi na janey
Fanna ki kin gehrayun may
Be-awaz gir jatey hain
Phool na janey kiyun bin khillay hi
Be-naam si mout mar jatey hain

Sard mousamon ki hawain
Ajeeb rang may nooha kanan hoti hain
Jaise kisi jawan marg pe
Kaheen chupke chupke
Kisi koney may aanchal lapetay
Koi ujri suhagan
Hichkiyun may sisakti ho

Aisa hi aik sard mousam
To meray andar bhi rehta hai
Janey kiyun isqadr tanha sa lagta hai
Yaadon ke sub zard pattey jhar chuke hain

Sard mousamon ke sub dukh
Meray andar utar chukey hain

Kahin Jo Tumhen Meri Maan Miley,

Tum Fojiyon Se Mohabbat Kyun Karti Ho,

Hum Fojiyon Se Mohabbat Na Kiya Karo, Maan,
Hamare Janazey Hamesha Jawaan Uthte Hain,

Aur Meri Maan,
Yeh Sun Kar Ro Diya Karti Thi,

Kahin Jo Tumhen Meri Maan Miley,
Tou Usey Kehna,
Woh Fojiyon Se Mohabbat
Na Kiya Kare,

Darwazey Ki Chokhat Per Beth Kar,
Mera Intizar
Na Kiya Kare,

Tum Meri Maan se Kehna,
Woh Roya Na Kare…

Ae KHUDA Tu Mujhe Jawab De K

Ae KHUDA Tu Mujhe Jawab De
K
Yon Wo Chala Gaya Mujhko Chor Ke
Hum To Uski Jhalak Ke Deewane The
Uske Chand Se Chehre Ke Parwane The
Uski Baaton Main
Dil Lagai Bethe Hen
Uska Naam Bar Bar Kehte Hen
Wo, Jo Bina Bolay Baat Samjah De
Aur Hume Humise Chura Le
Uske Saath Hum Apne Sapne Saja Len
Aj Is Tanhai Mai Rota Hai Ye Dil
Tujhko Bulata Hai Ke Ek Dafa Mil
Tum Na Aai, Aai Gi Tumari Yaad Hume
Tumne Chor Diya, Choren Ge Nahi Ghum Hume
Tere Bin Zamane Ka Saamna Na Kar Paen Gen
Tere Bin Hum Yun Hi Duniya Se Chale Jaen Gen
Ye Sun Kar Tum Meri Kabar Pe Mat Ana
Na Hi Koi Phool Lekar Koi Ansoo Bahana
Kyon Ke Hum Tujhse Apna Rishta Tor Len Ge
Mera KHUDA Tera Saath Kisi Aur Se Jor De Gen?.

Peer BaBa Arz Kartay hain.

Peer BaBa Arz Kartay hain..

Dil hai sacha aur dimagh hai kacha,
Wah Wah
Dil ha sacha aur dimagh hai kacha..

Tere msgs nai aa rahey
Kya baat hai bacha???

Bus itna jan lo ek shakhs say hum nay mohobbat ki,

Bus itna jan lo ek shakhs say hum nay mohobbat ki,
Hmaray tootnay ka khel piyaray tum na samjho gay…….!

Saturday, July 30, 2011

Aaj yon mosam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar

Aaj yon mosam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar
Phot kar rone lage hain main mohabbat aur tum

Hum ne jonhi kar liya mehsus manzil hai qareeb
Raste khone lagate hain main mohabbat aur tum

Chaand ki kirnon ne hum ko is tarah bosa dia
Devta hone lage hain main mohabbat aur tum

Dhar gea ilzam jab se apni hurmat par koi
Barshen dhone lage hain main mohabbat aur tum

Aaj phir mehromiyon ki dastanen orh kar
Khak main sone lage hain main mohabbat aur tum

Kho gae andaz bhi awaz bhi ilfaz bhi
Khamashi dhone lage hain main mohabbat aur tum

Wo dil nawaz hai lekin nazar shanaas nahin

Wo dil nawaz hai lekin nazar shanaas nahin
Mera ilaaj mery charagar kay paas nahin

Dil Ki Taaron Ko Mere Cher? Gaya Koi

Dil Ki Taaron Ko Mere Cher? Gaya Koi
Mere Jazbaaton Se Bhi Khel Gaya Koi
Hum Kho Gayen Hain Raha Dikha De Koi
Aaj Hum Akelen Hain Unko Bata De Koi

ja kahyio un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri nind gai

ja kahyio un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri nind gai
tumhen meri na mujh ko tumhari khabar mera chain gaya meri nind gai

na haram mein tumhare yar pata na surag dair mein hai milta
kahan ja k dekhun main jaun kidhar mera chain gaya meri nind gai

ai badshah-e-khuban-e-jahan teri mohni surat pe qurban
k main ne jo teri jabin pe nazar mera chain gaya meri nind gai

hui bad-e-bhari chaman mein ayan gul buti mein baqi rahi na fiza
meri shakh-e-ummid na lai sanwar mera chain gaya meri nind gai

ai barq-e-tajalli bahar-e-Khuda na jala mujhe hijr mein shamma sa
meri zist hai misl-e-chirag-e-sahar mera chain gaya meri nind gai

kehta hai yahi ro ro k "Zafar" meri ah-e-rasa ka hua na asar
teri hijr mein maut na ai abhi mera chain gaya meri nind gai

yahi khana tha shero k aj "Zafar" meri ah-e-rasa mein hua na asar
tere hijr mein maut na ai magar mera chain gaya meri nind gai

Friday, July 29, 2011

Na fareb dey sakey gi humien ab kisi ki chahat,

Na fareb dey sakey gi humien ab kisi ki chahat,
Kay rula chuki hain hum ko teri kam sukhan nigahien..

Jalti hai kitni dair hawa’on mein meray sath.

Jalti hai kitni dair hawa’on mein meray sath..
Ik shama meray liye roshan hui to hai

HAPPY EID MUBARAK

*_____*
¡’-.__.-’! Advàñçe
!______! Eid Card 4 u
¤kindly open it¤
advance
¤=========¤
) HAPPY (
(EID MUBARAK)
) FOR U (
.¤=====@@@@@

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN

maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

Thursday, July 28, 2011

Bahot Naaz Tha Mujhe APney Chahney Walon Pr

Bahot Naaz Tha Mujhe APney Chahney Walon Pr
Mein Aziz Tha Sab Ko Magar Zaroorton K Laye

Roth Jate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho

Roth Jate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho
Hum Ne Ye Soch Ke Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai

Fatima! Tu Abroo-e-Ummat-e-Marhoom Hai

Fatima! Tu Abroo-e-Ummat-e-Marhoom Hai
Zarra Zarra Teri Musht-e-Khak Ka Masoom Hai
Ye Sa’adat, Hoor-e-Sehrayi! Teri Qismat Mein thi
Ghaziyan-e-Deen Ki Saqqayi Teri Qismat Mein thi
Ye Jihad Allah Ke Raste Mein Be-Taegh-o-Sipar
Hai Jasarat Afreen Shauq-e-Shahadat Kis Qaddar
Ye Kali Bhi Iss Gulistan-e-Khazan Manzar Mein Thi
Aesi Chingari Bhi Ya Rab, Apni Khakstar Mein Thi
Apne Sehra Mein Bohat Aahu Abhi Poshida Hain
Bijliyan Barse Huway Badal Mein Bhi Khawabida Hain!
Fatima! Go Shabnam Afshan Ankh Tere Gham Mein Hai
Naghma-e-Ishrat Bhi Apne Nala-e-Matam Mein Hai
Raqs Teri Khak Ka Kitna Nishat Angaiz Hai
Zarra Zarra Zindagi Ke Souz Se Labraiz Hai
Hai Koi Hangama Teri Turbat-e-Khamosh Mein
Pal Rahi Hai Aik Qoum-e-Taza Iss Aghosh Mein
Bekhabar Hun Gharche Un Ki Wusaat Se Mein
Afreenash Dekhta Hun Un Ki Iss Marqad Se Mein
Taza Anjum Ka Faza’ay Asman Mein Hai Zahoor
Didah’ay Insan Se Na-Mehram Hai Jin Ki Mouj-e-Noor
Jo Abhi Ubhre Hain Zulmat Khana’ay Ayyam Se
Jin Ki Zou Na Ashna Hai Qaid-e-Subah-o-Sham Se
Jin Ki Tabani Mein Andaz-e-Kuhan Bhi, Nau Bhi Hai
Aur Tere Koukab-e-Taqdeer Ka Parto Bhi Hai

The Sardars Protested

Newspaper Mein News Lugi K
"50% Of Sardars Are Donkeys"

The Sardars Protested.

Next Day News Lagi K
"50% Of Sardars R Not Donkeys"

The Sardars Celebrated.

Wednesday, July 27, 2011

ab naye sal ki mohlat nahin milne vali

ab naye sal ki mohlat nahin milne vali
a chuk ab to shab-o-roz azabon vale

ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain
ab kahan log muhabbat k nisabon vale

zinda rahne ki tamanna ho to ho jate hain
fakhtaon k bhi kirdar uqabon vale

na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
mausam aye hi nahin ab k gulabon vale

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya,
Us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya,
Lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan,
Chehra bata raha tha k kuch ganwa diya,
Aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi,
Or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,
Jane kya us ko logon sey thein shikayatein,
Tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya,
Khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya,
Mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya.

If u open my heart

If u open my heart, guess what you are gonna see? It's you. True loves are hard to find so I kept you

Itney B Ghaflaton K Isharey Mere Na Thay

Itney B Ghaflaton K Isharey Mere Na Thay
Kuchh Hoon Gay, Pr wo Sarey K Sarey Mere Na Thay

Ab Takk Mere Naseeb Ko Hasil Wafain Hain
Jo Toot Kr Girrey Wo Sitarey Mere Naa Thay

Maslak Mera Wafa Hai Muhabbat Mera Kalam
Utterey Jo Nafraton K Wo Parey Mere Naa Thay

Tasleem Hai K Hari Hoon Dill Ki Larai Mein
Lekin Wahan Bhi Housley Harey Mere Naa Thay

Iss Waqat Khali Hath Hoon Mein Rah e Ishq Pr
Kaisey Yaqin Dillaon Khassarey Mere Na Thay

Mein Reh Gai Bhanwar Mein To Ehsas Ye Hua
Darya Mera Nahin Tha Kinarey Mere Na Thay

Mere Saharey Shahida Tootey Hain Jiss Tarah
Kamzor Iss Qadar To Saharey Mere Naa Thay

Phool ban kar khil uthi hai zindagi,

Phool ban kar khil uthi hai zindagi,
Yeh bohat acha hua ke tum agaye ..

Tuesday, July 26, 2011

Lagta ha mera Khuda meherban ha mujh pe

Lagta ha mera Khuda meherban ha mujh pe
meri zindagi me teri mojoodGi yon hi to nahi

Twenty years from now you will be

Twenty years from now you will be
more disappointed by the things that you
didn't do than by the ones you did do.
So throw off the bowlines.
Sail away from the safe harbour.
Catch the trade winds in your sails.
Explore. Dream. Discover.
(Mark Twain)

koi dawa na de sake, mashwara dua diya

koi dawa na de sake, mashwara dua diya
charagaron ne aur bhi dil ka dard barha diya

zauq-e-nigah k siwa shauq-e-gunah k siwa
mujhko Khuda se kya mila mujhko buton ne kya diya

thi na khizan ki rok-tham daman-e-ikhtiyar mein
hamne bhari bahar mein apna chaman luta diya

husn-e-nazar ki abaru sanat-e-brahaman se hai
jisko sanam samajh liya usko Khuda bana diya

dag hai mujhpe ishq ka mera gunah bhi to dekh
uski nigah bhi to dekh jisne ye gul khila diya

Talb-e-dard mein dil hadh se guzarta kab tha

Talb-e-dard mein dil hadh se guzarta kab tha
Tum ne poocha tha ke aur, us ne kaha aur sahi

Chalo Chalain Kahin Ek Naya Jahan Dhoondein

Chalo Chalain Kahin Ek Naya Jahan Dhoondein
Ghamon Se Door Bohat Koi Aasman Dhoondein

Bahar Ban Ke Baharon Ko Qaid Kar Aayn
Tere Wajood Ki Hare K Daastan Dhoondein

Ke Chaand Ban Ke Sitaaron Se Doosti Kar Layn
Tere Wisaal Ki Be_Chain Titliyan Dhoondein

Tujhe Talaash Karain Chandni Ke Saaye Mein
Shab-E-Faraq Me Lut’ti Hui Khizan Dhoondein

Kisi Ke Khwab Sajayn Hawa Ki Lehron Pe
‘Ali’ Ke Shehar Me Ab Koi Saayban Dhoondein

raushan kahin bahar k imkan huye to hain

raushan kahin bahar k imkan huye to hain
gulashan main chak chand gareban huye to hain

ab bhi khizan ka raj hai lekin kahin kahin
goshe rah-e-chaman main gazal-khwan huye to hain

thahari huyi hai shab ki siyahi wahin magar
kuch kuch sahar k rang par-afshan huye to hain

in main lahu jala ho hamara k jan-o-dil
mahfil main kuch chirag farozan huye to hain

han kaj karo kulah k sab kuch luta k ham
ab be-niyaz-e-gardish-e-dauran huye to hain

ahal-e-qafas ki subah-e-chaman main khulegi ankh
bad-e-saba se wada-e-paiman huye to hain

hai dasht ab abhi dasht magar khun-e-pa se "Faiz"
sairab chand khar-e-mugelan huye to hain

I m sending u 3 little hearts to remind u 3 things,

I m sending u 3 little hearts to remind u 3 things, I m HERE, I CARE and i MISS U

Pichly saal k zakham abi to bhary nahi hain

Pichly saal k zakham abi to bhary nahi hain
Nye saal ki aamad se darta hai dil k kya hoga

Lab par saja lie the yonhi ajnabi se naam,

Lab par saja lie the yonhi ajnabi se naam,
Dil me tamam zakham kisi ashana k the.

Monday, July 25, 2011

Rone se to bichare hoe sathi nahin milte

Rone se to bichare hoe sathi nahin milte
Mana k yahi shewa yaqoob raha hai

Na woh inkaar karta hai na woh iqraar karta hai

Na woh inkaar karta hai na woh iqraar karta hai
Humain phir bhi gumaan hai woh humse pyar karta hai

Jotshi nay kaha

Jotshi nay kaha''
teray maqsoom mein ik muhabbat hay
aisi muhabbat
azal say abad takk ki,sabb
chahton ka jo hasil hai,
ishq ki rooh bhi
jiss mein jiss mein jari-o-sarihai
[ik wehshiyana tarap aur kasak]
aur ulfat ki dheemi,mehekti howi
aanch bhi jiss ka hissa hai

teri qismqt mein aisi muhabbat hai
jo lams say mawra
wasl ki khwahishon say juda hai
dahnay hath ki aik rekha batati hai,
tujh ko mehboob kay wasl say
kuchh ta'aaluq nahin
uss ki chahat faqat uss ki chahat
tera muntaha-e-nazar ho
to behtar rahay ga''

meray dill say ik aah nikli,
magar uss muhabbat say kya faeyda?
main bhi jalti rahoon
woh bhi jalta rahay,
abb to mehboob ko devta jaan karr
ya khuda maan karr
poojnay ki kahani-fasana huwi

abb haqeeqat jo hai woh faqat wasl hai
uss ki aur meri hasti ka shahid
faqat lams hai!

meray maqsoom mein peyar hai to
meray hath mein ay Khuda!
wasl qayam rahay!!
lams zinda rahay!!!

Tabeer Jo Mill Jati To Ik Khuwaab bhot tha

Tabeer Jo Mill Jati To Ik Khuwaab bhot tha
Jo Shakhs Ganwa Bethi Hon Nayaab Bhto Tha
Main kaise Bacha Leti Bhala Kashti_e_Dil Ko Sagar
Darya_e_Muhabbat Main Saylaab Bhot Tha

Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai

Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai

kuch acha nahin legta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai

najanay koi nahin basta teray siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai

some times mu heart ask me

some times mu heart ask me why i care of u why i miss u why i love u why s think of u why i want u then my mind answer me it is very smiple coz i love u

Majboor Ye Halat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi

Majboor Ye Halat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Tanhai Ki Ek Raat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Kehne Ko Buht Kuch Hai Magar Kis Se Kahe Hum
Kub Tak Yuhi Dabte Yuhi Sehte Rahe Hum
Dil Kehta Hai K Dunia Ki Har Rasm Utha Dein
Dewar Johum Dono Mai Ha Aaj Gira Dein
Ab Dil Mai Yahi Baat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya
Jo Pori Na Ho Kabhi Aisi Aaas Chor Gaya
Yehi Karam Nawazi US Ki Mujh Pe Kam Hai Kia
Ka Khud To Door Hai Yadein To Pas Chor Gaya
Jo Khawhishen Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab
Mere Laboon Pe Wo Eik Lafz Kash Chor Gaya
Ye Mera Zarf Hai Ik Roz US Ne Mujh Se Kaha
Ka Aam Logon Mein Eik Tujh Ko Khas Chor Gaya
Baharon Se Mujhy Isi Liye To Nafrat Hai
Inhi Ruton Mein Mujhe WO Udass Chor Gaya

Zeest ki iss kitaab mai janaa

Zeest ki iss kitaab mai janaa
Zikr har baab mai tumhara hai

Sunday, July 24, 2011

The winners of life's

The winners of life's game aren't those
who have never tasted failure
But
Those who have tasted failure
again and again but never give up

Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha

Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha

Khaber kahan thi mujhy wo bhool jaye ga
Aik aik cheez jo meri sambhal rakhta tha

Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Mager nigah main so so sawal rakhta tha

Woh muskura kay bohat dair chup sa raha
Hansi ki aar main jaise malal rakhta tha

Suna hai ab log usay bohat satatay hain
Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha

Mir' darya hai, sune sher zabani us ki

Mir' darya hai, sune sher zabani us ki
Allah Allah re tabiyat ki rawani us ki

minh to bochar ka dekha hai barste tumne
isi andaz se thi ashk-fishani us ki

bat ki tarz ko dekho to koi jadu tha
par mili khak mein sab sahar bayani us ki

marsi-e-dil k kai kah k diye logon ne
shahr-e-dili mein hai sab pas nishani us ki

ab gaye us k jo afasos nahin kuchh hasil
haif sad haif ki kuchh qadr na jani us ki

hum to hanstay hain dusro ko hansanay ki khatir

hum to hanstay hain dusro ko hansanay ki khatir
warna dil pe zakham itne hain k roya b nahi jata

Aik masoom bacha

Aik masoom bacha
Meri gali ka
Kehnay laga mujh se
Dar lag raha hai
Nahi chahata main bada hona yahan par
Paraya paraya sa jag lag raha hai

Anhkon may uski vehshat jo dekhi
Pocha sabab mai ne paas bula kar
Aye masoom bachey
Kiyun dar rehay ho
Sitam ye kaisa khud pe kar rehay ho

Ankhon may bhar kar
Aansu wo apney
Bola ye mujh se

Dekha hai mai ne hasher in badon ka
Nikaltey hain ghar se
Sapney sajaye palkon pe apni
Magar sham dhaltey
Lout aatey hain
Liptay houaye aik be rang kafan may
Janey kahan chhor aatey hain
Sapnon ki doulat
Bataao mai kaisey
Karon phir tammana
Badey honey ki
Badey honey ki

Saturday, July 23, 2011

txt msg: hello

txt msg: hello
ur mobile: ssshhhh..my madam is sleeping, pls dont disturb

txt msg: may i vibrate u?
ur mobile: ok ok, go ahead

txt msg: i came here just 2 say Goodnite to ur madam
ur mobile: oh, tks..who sent u

txt msg: ur madam's lover boy

Zabat se ehad bhand rakha tha

Zabat se ehad bhand rakha tha,
Aur phir bhi bikhar gae ansu

My Love,Words however special

My Love,Words however special... could never even start, to tell you all the love I have for you within my heart

Sardar at an Art Gallery:

Sardar at an Art Gallery:
I suppose this horrible looking thing is
what you call modern art ?

Art dealer: I beg your pardon sir, thats a mirror!

ujri hoi bastiyun ka ghum kia karna

ujri hoi bastiyun ka ghum kia karna
khoon hoti dastanoon ka ghum kia karna

kabhi khilte thay gulistaan may laala-o-gul
ab khaak udaati hawaon ka ghum kia karna

tum tu khafa ho gaye anjaani si khata pe
ab guzray houay lamhon ka ghum kia karna

tumhari muskarahat ka tilasm aaj bhi hai qaim
apni pur num palkoon ka ghum kia karna

tofaan may ghir kar dor se pukara unko
nameharbaan thi hawa unsuni sadaoon ka ghum kia karna

tum thay chahaon ki manind kadi dhoop may
baad firaq ab jaltay paoon ka ghum kia karna

dartay thay kahan jayen ge us ke qadmon se uth kar
ab shikayat kaisi ab sehraon ka ghum kia karna

1000 words 1 cood say

1000 words 1 cood say.1000 wishes 1 cood pray.1000 miles legs cood walk.1000 sounds a mouth cood talk.1000 times ill b true.1000 ways 2 say i luv u!

Friday, July 22, 2011

The best and most beautiful things in the world

The best and most beautiful things in the world cannot be seen or even touched. They must be felt with the heart

Shadi Mubarak Ho – Shaadi Shayari

Shadi Mubarak Ho – Shaadi Shayari

Shadi Mubarak Ho Pyaar Hi Pyaar Tumko Mile
Dil Se Duwa Hai Ye Meri Pyara Sa Sansaar Tumko Mile
Qismat Mile Ayesi Naseeb Se Ke Sab Dekhte Rah Jai
Chandni Ho Her Raat Teri Tu Her Din Bhaar Mile

All mornings are like Paintings

All mornings are like Paintings:-
U need a little inspiration to get going,
a little smile to brighten up
&
An SMS from someone who cares to color ur day...

Good Morning

chandni ko rusul kahta hun

chandni ko rusul kahta hun
bat ko bausul kahta hun

jagmagate hue sitaron ko
tere pairon ki dhul kahta hun

jo chaman ki hayat ko das le
us kali ko babul kahta hun

ittefaqan tumhare milne ko
zindagi ka husul kahta hun

ap ki sanwali si surat ko
zauq-e-yazdan ki bhul kahta hun

jab mayassar ho sagar-o-mina
barqparon ko phul kahta hun

Mery hm-sukhan ka yeh hukm tha k kalaam us say main km karoon..

Mery hm-sukhan ka yeh hukm tha k kalaam us say main km karoon..
mery hont aesy silay k phir usay meri chup nay rula dia…….

mere dil ke tarapne ki waja or he kia????

mere dil ke tarapne ki waja or he kia????
is roh ke machalne ki waja or he kia????

mere dil ke tarapne ki waja or he kia????


tere bad ye qayamat ka sa manzar he q kar????
is dar ke larazne ki waja or he kia????

mere dil ke tarapne ki waja or he kia????

mere rukh pe ye nikhar teri sadgi ka he.
mere sajne sawarne ki waja or he kia????

mere dil ke tarapne ki waja or he kia????

tera sath he sath to mojon ka nahi dar.
is rah pe chalne ki waja or he kia????

mere dil ke tarapne ki waja or he kia????

wafa ki he kami gar sedhe se kaho tum.
tera lehja youn bdlne ki waja or he kia????

mere dil ke tarapne ki waja or he kia????

tanhai me hun me or afat ka samen he.
ptoon ke na hilne ki waja or he kia????

mere dil ke tarapne ki waja or he kia????

ye kia weham he mera,zinda hun abi me????
ye nabz dhrakne ki waja or he kia????

mere dil ke tarapne ki waja or he kia????

q oljhnon me ho,kia kashmkash he AQIB???
halat pe bhrakne ki waja or he kia???

mere dil ke tarapne ki waja or he kia????
is roh ke machalne ki waja or he kia????

Thursday, July 21, 2011

Short But True

Short But True…
*…Zindagi Ko Ramzan Jaisa Bana Lo…!
*…To Maut eid Jaisa Hogi…!
*…A Silent Msg 4 All Muslims…!

Wo eyadat k liye aaye hain, lo aur sahi

Wo eyadat k liye aaye hain, lo aur sahi
Aaj hi khoobi-e-taqdeer se haal acha hai

Jo mukhaalif aaj hai mumkin hai kal hamdard ho,

Jo mukhaalif aaj hai mumkin hai kal hamdard ho,
Apne dushman se bhi umeed-e-wafaa rakhta hoon mein..

Mere Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha

Mere Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha
Khizaan Ke Chand Ko Achaa Laga Mera Chehra

phir koi aya dil-e-zar nahin koi nahin

phir koi aya dil-e-zar nahin koi nahin
rahrau hoga kahin aur chala jayega
dhal chuki rat bikharne laga taron ka gubar
lrkharane lage aewanon main khwabida chirag
so gai rasta tak tak k har ek rahguzar
ajnabi khak ne dhundala diye qadamon k surag
gul karo shamain bara do mai-o-mina-o-ayag
apne bekhwab kiwaron ko muqaffal kar lo
ab yahan koi nahin, koi nahin ayega

Wednesday, July 20, 2011

Tuesday, July 19, 2011

Waqt Ki Raftar Pe Jhanjala Kar Ro Pare

Waqt Ki Raftar Pe Jhanjala Kar Ro Pare
Kabhi Use Kho Kar To Kabhi Use Pa Kar Ro Pare
Khushiyan Humarey Naseeb Main Kab Raas Ayein Hain
Bahir Kabhi Hansein To Ghar A Kar Ro Pare

Us kay hotey hoye waqt ka ehsas nahi

Us kay hotey hoye waqt ka ehsas nahi,
Kitna tanha mujhey jatey hoye kar jata hai,

Us ki ankhon me basera hai meri ulfat ka,
Wo alag bat kay is bat sey phir jata hai,
Tazkra mujhsey wo karta hai mera kuch esey,
Jesey badal kisi basti pey bikhar jata hai,

Meri chup chap tabiat ko bhi yon lagta hai,
Rang be kaif sey lamhon me wo bhar jata hai,
Kanp uth’ta hai akeley me wojod e amar,
Jab kahien bholey sey bhi lafz e hijar ata hai.

Here"s a little hug for you

Here"s a little hug for you To make you smile when youre blue, To make you happy if youre sad, To let you know life aint so bad!"

Badhe ja rahe the manzil kee aur,K nigahe tum se mil gaiyee

Badhe ja rahe the manzil kee aur,K nigahe tum se mil gaiyee
Humain to aisa laga, k manzil se pahle manzil mil gaiyee

Kabhii Yuun Bhii To Ho

Kabhii Yuun Bhii To Ho
Dariyaa Kaa Saahil Ho
Puure Chaand Kii Raat Ho
Aur Tum Aao

Kabhii Yuun Bhii To Ho
Pariyon Kii Mahafil Ho
Koii Tumhaarii Baat Ho
Aur Tum Aao

Kabhii Yuun Bhii To Ho
Ye Narm Mulaayam Thandii Havaayen
Jab Ghar Se Tumhaare Guzaren
Tumhaarii Khushbuu Churaayen
Mere Ghar Le Aayen

Kabhii Yuun Bhii To Ho
Suunii Har Manzil Ho
Koii Na Mere Saath Ho
Aur Tum Aao

Kabhii Yuun Bhii To Ho
Ye Baadal Aisaa Tuut Ke Barase
Mere Dil Kii Tarah Milane Ko
Tumhaaraa Dil Bhii Tarase
Tum Nikalo Ghar Se

Kabhii Yuun Bhii To Ho
Tanahaaii Ho, Dil Ho
Buunden Ho, Barasaat Ho
Aur Tum Aao

Kabhii Yuun Bhii To Ho

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi,
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein,
Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai,

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani,
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,

Bichar ke us say main sirf is ly nhi bikharta,
Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai...

Monday, July 18, 2011

Main sun k uski sub batain,

Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay

firaq-e-dida hun main vasl-e-yar baqi hai

firaq-e-dida hun main vasl-e-yar baqi hai
khizan rasida chaman ki bahar baqi hai
hawa to kahati hai saqamade bahar-e-chaman
sada-e-guncha-e-vahadat hazar baqi hai
buton ki qahar se hum ko maqam-e-yas nahi
ummid-e-rahamat-e-paravar-digar baqi hai

Meri rooh nikalne wali ho gee

Meri rooh nikalne wali ho gee
Meri sans bikharne wali ho gee
Phir daman zindagi ka choote ga
Dhaga sans ka toote ga
Phir wapis hum na ayen gee
Phir hum se koi na poche ga
Phir ankhon mein noor na ho ga
Phir dil gham se choor na ho ga
Us pal tum hum ko thamo gee
Hum se khushi apni maango gee
Phir hum na kuch b bolein gee
Ankhein b na kholein gee
Us pal tum ro du gee
HUM KO TUM KHO Do GE
HUM KO TUM KHO Do GE

Mujhe poora bharosa tha main usko rook paon ga

Mujhe poora bharosa tha main usko rook paon ga
Meri umeed ka qaatil hai wo ek lafz "KHUDA HAFIZ"

Meaning of some colors,

Meaning of some colors,
Yellow for special friend, white for peace,
orange 4 luck,black for hate,
red for love and pink for likeness,
So i choose for u Orange Flower.
Wish u goodluck

Mohabbat Thaher Jaati Hai

Mohabbat Thaher Jaati Hai…..!!!
Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain
Jisay Hum Piyaar Kartay Hain
Usay Hum Bhool Baithay Hain
Magar Aisa Nahin Hota
Mohabbat Daimi Such Hai
Mohabbat Thair Jaati Hai !!!
Hamari Baat Kay Andar
Mohabbat Baith Jaati Hai
Hamari Zaat Kay Andar
Magar Yeh Kam Nahin Hoti
Kisi Bhi Dukh Ki Soorat Mein
Kabhi Koi Zaroorat Mein
Kabhi Anjaan Se Gham Mein
Kabhi Lehjay Ki Thandak Mein
Udaasi Ki Zaroorat Mein
Kabhi Baarish Ki Soorat Mein
Hamari Aankh Kay Andar
Kabhi Aab-E-Rawan Ban Kar
Kabhi Qatray Ki Soorat Mein
Bazahir Aisa Lagta Hai
Usay Hum Bhool Baithay Hain
Magar Aisa Nahin Hota
Magar Aisa Nahin Hota….
Yeh Hargiz Kam Nahin Hoti…
MOHABBAT THAIR JAATI HA

Happy Eid Day Mubarak From The Depth Of Right & Left Ventricles

Happy Eid Day Mubarak From The Depth Of Right & Left Ventricles,
Wrapped With The Ribbons Of Purkinje Fibers And Sealed In Pericardium.
Decorated With Sa And Av Nodes With A Glitter Topping Of Pericardial Fluid
And Cusps Of Mitral And Tricuspid Valves.
In Short Ap Ko Teh-E-Dil Se Eid Mubarak Ho

Jis Ko Jitni Zarorat Pari Meri

Jis Ko Jitni Zarorat Pari Meri
UsKo Utni Muhabbat Rahi Mujh Se

Sunday, July 17, 2011

Suno jaanan

Suno jaanan
Sarghoshiyan kiya keh rehi hain
Dil-e-betaab ki
Tarsti hain tarapti hain sisakti hain
Machalti hain
Un lamhoon ko
Ju guzray thay
Teri sayea-e-zulf may
Teri madhosh si nazron may
Teri mehakti saansoon may
Lout aao
Kay sarghoshiyan thakney lagi hain
Dharkanain dam-e-akhir pe tehrien hain
Lout aao
Kay phr wo bahar aye
Jis may judaa houay thay
MAIN AUR TUM

Qismat Se Bhi Kuch Siwaa Dia Hai ?

Qismat Se Bhi Kuch Siwaa Dia Hai ?
Baarish Ne Hamain Mila Dia Hai

Dekhi Hai Meri Udaasi Os Ne
Aur Dekh Ke Muskura Diya Hai

Ab Tou Mujhe Sabar Aa Gaya Tha
Ye Kis Ne Mujhe Rula Dia Hai ?

Wo Chaahay Tou Raasta Badal Le
Mein Ne Tou Dia Jala Dia Hai

Os Ronaq-e-Bazm Ne Tou Meri
Tanhaayi Ko Sajaa Dia Hai

Wo Pal Ke Sulagh Uthaa Hai Malboos
Aur Os Ne Diya Bujhaa Dia Hai

ALLAH ray jism yaar ki khoobi kah hood bahood

ALLAH ray jism yaar ki khoobi kah hood bahood
apni hooshi na aaya apni hooshi chalay

EidUlFitr Is Perfect Day To Forget Your All Enmities

EidUlFitr Is Perfect Day To Forget Your All Enmities.
EidUlFitr Brings The Hearts Closer And It Gives You
Chance To Make Your Loved Ones Able To Understand
And Feel Your Love.
Deliver Love To All And Get Love From All.

Chalo jaanan Milkar sawan ke dukh

Chalo jaanan
Milkar sawan ke dukh
Baant-te hain
Usay bhi shikast-e-muhabbt may
Zabt sikhatey hain
Usay bhi behtay houay ashkon ki
Faryad sunatey hain

Chalo jaanan
Thaam lain uski sisakti
baarishon ko
Abr-e-aasman ki machalti
tammanaon ko

Chalo jaanan
Ke baarishon ke sang
Hum bhi baras jayen
Apney qatra qatra khuwabon sameet
Zameen ki atha gehrayun may
Utar jayen

Ke zameen ki wusatoon may ta-abad
Koh jayen
Chalo jaanan
Chalo jaanan

Saturday, July 16, 2011

Friday, July 15, 2011

Phir tere na aane ki khabar sham mein aayi

Phir tere na aane ki khabar sham mein aayi
Zohrab ki talkhi si mere jaam mein aayi

Aye kash na poora ho koi bhi mera arman
Yeh aur tamanna,dil-e-nakaam mein aayi

Kia kia na ghazal us ki judai mein kahi hai
Barbadi-e-jaan bhi to kisi kaam mein aayi


Kuch tera sarapa mere ashaar mein utra
Kuch shairi meri,tere inam mein aayi

Kab tak ghum-e-doran mujhe fitrak mein rakhta
Aakhir ko to duniya bhi mere daam mein aayi

Kal sham ke tha sheikh-e-haram,sahib-e-mehfil
Sehba ki pari jaama-e-ehraam mein aayi

Har chand Faraz aik faqeer-e-sar-e-reh hoon
Par mumlikat-e-harf mere naam to aayi

Thursday, July 14, 2011

Baat Karni Mujhay Mushkil Kabhi Aisi Tu Na Thi

Baat Karni Mujhay Mushkil Kabhi Aisi Tu Na Thi
Jesi Ab Hay Teri Mehfil Kabhi Aisi Tu Na Thi

Lay Gia Cheen Kay Kyun Aaj Tera Sabr -o- Qaraar
Be Qarari Tujhay Ay DIL Kabhi Aisi Tu Na Thi

Chashm -e- Qatil Meri Dushman Thi Humaysha Lakin
Jesi Ab Ho Gai Qatil Kabhi Aisi Tu Na Thi

Un Kay Aankhon Nay KHUDA Janay Kia Kiya Jadu
Keh Tabiyat Meri Maa’el Kabhi Aisi Tu Na Thi

Aks -e- Rukh -e- Yaar Nay Kis Say Hay Tujhay Chamkaya
Tab Tujh Main Mah -e- Kaamil Kabhi Aisi Tu Na Thi

Kia Sabab Tu Jo Bigarta Hay “Zafar” Say Har Baar
Khu Teri Hur -e- Shamil Kabhi Aisi Tu Na Thi

Tujhey aazma kar saza de raha hai

Tujhey aazma kar saza de raha hai
Bharosa kabhi tha magar ab dagha hai

Kaha tha tumhey bhi na karna muhabbat
Tarapna ye shayed muqadar bana hai

Suna kar meri ab nasihat yahaN per
Sulagta houa phir ye darya khada hai

Samay ka ye chakar chala ja raha hai
Ye marham baney ga kabhi to, suna hai

Jagatey raho tum umeed-e-baharaN
Khadi phir teray dar nai aik saba hai

Ab Hamein Us Ke Bina Jeeny

Ab Hamein Us Ke Bina Jeeny Ki Aadat Ho Gai,
Jo Na Hona Tha Kabhi Wo Rafta Rafta Ho Gaya

Mojazan Tha Dard Ka Seeny Me Ek Darya ‘Shakeel’
Jab Simat Kar Aankh Me Aaya To Qatra Ho Gaya….

There are those

There are those
who dream and wish
and
there are those
who dream and work.

(Jeune.E. McIntyre.)

There is no end

There is no end.
There is no beginning.
There is only the
infinite passion of life.

(Federico Fellini)

Wednesday, July 13, 2011

Sunte hain ki mil jaati hai

Sunte hain ki mil jaati hai
her cheez dua se
Ik roz tumhe maang ke dekhenge khuda se
Duniya bhi mili hai
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahi milta jise maanga tha khuda se

Wish u a very Happy new year

2013 is coming

Wish u a very
Happy new year
Valentine's day
Basant
23rd march
14 august
Eid ul fitr
Eid ul azha
Friendship day
Mother, father
Dadi, dada
Nana, nani
Children's day
Happy b'day
365 good mornings
After noons, evenings'
& nights

Roz roz ka drama nahi
Hota mujh se
Ab pura saal mat kehna
SMS nahi kia

Sochate to bhol jana is qadar mushkil nahin

Sochate to bhol jana is qadar mushkil nahin
Kaam asan hai magar hum se kahan hone laga

Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha

Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha

yahin hansa tha

yahin kahi pe roya tha

yahin darakhton k saye main

?thak k soya tha

yahin pe jugnuon se apni bat chalti thi

wo hansi jo har pal sath chalti thi

yahin pe tha wo larakpan

yahin kahin pe tha

yahin pe Maa mujh ko seeny lagaye rakhti thi

yahin pe papa ne ik bar kaan khincha tha

shararat kisi aur n ki thi saza?mujhy thi mili

main kitni dear khara dhoop main raha tanha

tamam yar mery khush meri saza pe thy

yahin pe tha wo larakpan yahin kahin pe tha

?

?

?

Kon Jeeta Hy TERe HUSn KI NAzAKat Ko DEkh Kr

Kon Jeeta Hy TERe HUSn KI NAzAKat Ko DEkh Kr
HuM TO DeeWAnI MUHABBaT k LYE JeeTy HAIn

Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara

Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara

Tere jane ke baad kaun rokta humain

Tere jane ke baad kaun rokta humain
Jee bhar ke khud ko barbaad kiya hamne

Tuesday, July 12, 2011

tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah

tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah

yeh hawaon k musafir , yeh samundaron k raahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

yeh tera yaqeen mehkam , teri himmaton ki jaan hai
teray bazo?uon ki kuwwat teray azm ka nishaan hai

tu hi raah , tu hi manzil , tu hi meer e karwaan hai
yeh zameen teri hai , yeh jahaan tera jahaan hai

tu watan ka pasbaan hai , teray haath main hai shaahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

teri abro?uon ki junbash teri ankh ka ishaarah
teray dushmano ki aafat , teray qehar ka ishaarah

tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah
iss aabro se chamka iss dais ka sitaarah

yehi bankapan hai tera , yehi teri kaj-kalaahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

The duck looks smooth

"The duck looks smooth & calm on top of water,
but,
under that there is restless pedaling..
Nothing is worth without struggle in real life"

Jab Tak Na Lagay Bewafai Ki Thokar Dost

Jab Tak Na Lagay Bewafai Ki Thokar Dost
Har Kisi Ko Apni Pasand Par Naaz Hota Hay

Sab se khafaa ho tum magar us se khafaa na ho

Sab se khafaa ho tum magar us se khafaa na ho
Jiss ka jahan main koi tumharey siwaa na ho

Chalo Meer is Jahan Me Kya Rakha Hai

Chalo Meer is Jahan Me Kya Rakha Hai
UsKi Yaad... Yaad... or Bus Yaad...

Wo pehli jaisi wehshatain, wo haal hi nahi raha

Wo pehli jaisi wehshatain, wo haal hi nahi raha
K ab tou shoq-e-rahat-e-wisaal hi nahi raha

Tamam hasratain, har ik sawaal dafan kar chukay
Hamary paas ab koi sawaal hi nahi raha

Talash-e-rizq mein ye sham iss tarha guzar gaee
Koi hai apna muntazir, Khayaal hi nahi raha

In aatay jaatay roz-o-shab ki gardishon ko dekh kar
Kisi kay hijr ka koi malaal hi nahi raha

Hamara kia banay ga kuch na kuch tou iss pe sochtay
Magar kabhi humain ghum-e-maal hi nahi raha

Tumharay khaal-o-khad pe ik kitaab likh rahy thy hum
Magar tumhara husn be-misaal hi nahi raha

Sanwaarta, Nikhaarta mein kaisay apny aap ko
Tumharay baad apna kuch khayaal hi nahi raha

Zara si baat se dilon mein itna farq aa gaya
Taalluqaat ka tou phir sawaal hi nahi raha

Monday, July 11, 2011

Lab Khamosh, Chashm Khushk, kya samjhaain tujh ko

Lab Khamosh, Chashm Khushk, kya samjhaain tujh ko
Jo Barish dil me hoti hy, Jo Darya Dil Me Behta Hy

Uski Batain mujhe Khushbo ki trah lgti hain

Uski Batain mujhe Khushbo ki trah lgti hain
phool jese koi sehra me khila krta hy

Khushiy – Birthday Shayari Sms in Hindi

Khushiy – Birthday Shayari Sms in Hindi

Phool bankar muskarana zindagi,
muskarake gum bhulana zindagi,
jeet kar koi khush ho to kya hua,
haar kar khushiya manana bhi zindagi…

Happy Raksha Bandhan

You are so cute,
daring
and adorable..
Can't help
forming a
relationship with you...
Please
Accept me
As your
Dearest and
Sweetest Behna
Happy Raksha Bandhan

That's business

What is BUSINESS ?

Dad: I want u 2 marry a girl of my choice.
Son: No
Dad: The girl is Bill Gate's daughter.
Son: then Ok.

Dad goes o Bill Gates.
Dad: I want your daughter to marry my son.
Bill Gates: No
Dad: My son is the CEO of the World Bank.
Bill Gates: Than ok

Dad goes 2 the President of the World Bank.
Dad:Appoint my son as the CEO of your bank.
President:No
Dad:He is the son-in-law of Bill Gates.
President: Then OK

That's business...!!

Sunday, July 10, 2011

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai
Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai

Jism se sath nibhane ki mat umeed rakho
Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai

Mout lamhay ki sada Zindagi umron ki pukar
Mei yehi soch k zinda hon k Mar jana hai

Nasha aesa tha k Maikhanay ko duniya samjha
Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai

Mere jazbay ki bari qadar hai logon mei magar
Mere jazbay ko mere sath he mar jana hai

Mere Bad Kitne Hi Roop Tu Ne Bdal Lye

Mere Bad Kitne Hi Roop Tu Ne Bdal Lye
Main Wohi Hon Ab B Teri Kasam... Tere Bad B

Have you ever noticed that

Have you ever noticed that
Royal Royce and Mercedes have any commercials.
Ans: NO..Why?

Reason: They know the value of their product
& that brings the customers to them.

Lesson: When u know ur value,
u don't have to beg people to be in ur life,
to be friends with u, to spend time with u or to love u.
Be confident in who u are,
just remember NOT everyone can handle LUXURY.

dhum thi apni parsai ki

dhum thi apni parsai ki
ki bhi aur kis se ashnai ki

kyon barhte ho ikhtilat bahut
ham mein taqat nahin judai ki

munh kahan tak chupaoge ham se
ham ko adat hai khudnumai ki

lag mein hai lagw ki baten
sulah mein cher hai larai ki

dil bhi pahlu mein ho to yan
kis se rakhiye ummid dil-rubai ki

na mila koi garat-e-iman
rah gai sharm parsai ki

maut ki tarah jis se darte the
saat a pahunchi us judai ki

zinda phirne ki hai hawas "Hali"
intaha hai ye behayai ki

Anniversary Wishes

Anniversary Wishes

May your special day
Be a celebrating
Of where you have been
Where you are, &
How you are growing
Together in the lord

Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain

Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain
Jaisay Koi Khwaab Likh Rahay Hain

Paani Ko Bana Ke Roshnaai
SholoN Ka Jawaab Likh Rahay Hain

Hum Apni Khushi Se Apne Tan Par
Mausam Ka Aazaab Likh Rahay Hain

Wo Saamnay Rakh Ke Chikna Kaaghaz
Baarish Ka Hisaab Likh Rahay Hain

Parhtay Hain Hum Tou Chehray
Aur Aap Kitaab Likh Rahay Hain

Saturday, July 9, 2011

Zinda rahain to kya hai? jo mar jaayen hum to kya

Zinda rahain to kya hai? jo mar jaayen hum to kya?
Duniya se khamoshi se guzar jaayen hum to kya?

Hasti hi apni kya hai zamaane k saamne,
Ik khuwab hain jahaan? main bikhar jaayen hum to kya?

Ab kon muntazir hai humare liye wahaan?
Shaam aa gayi hai lot k ghar jaayen hum to kya?

Dil ki khalish to sath rahegi tamaam umar,
Daryaa-e gham k paar utar jaayen hum to kya

Isi Umeed Pr Teri Ankhon Me Jhankta Hon Main

Isi Umeed Pr Teri Ankhon Me Jhankta Hon Main
Kahin Mily Wo Samundar Jo Mujhe Ly Dooby

Aao Barish Se To Poochain

Aao Barish Se To Poochain
Kiya Uss Se Bhi Wa'da Karkey Chhorr Giya Hai Koi Us Ko
Kiya Uss Ko Bhi Neind Nahin Aati Barson Se
Kiya Uss Ko Bhi Phoolon Se Shikwa Hai Koi

Uss K Sathh Bhi Khail Hawaon Nay Khaila Hai
Dhuwan Dhuwan Saa Us Ka Chehra Kion Hai Aakhir?
Bheegi Bheegi Us Ki Palkein Kiss Nay Kar Dein?
Aao Barishh Se Ye Poochain..!

Two Line Urdu Shayari Sms

Two Line Urdu Shayari Sms

Mein Gurez Kya Karta Us Ke Sath Chalne Se,
Zakham To Nahin Bharta Raaste Badalne Se,

Ishrat Shabana To Yaar Ki Razaa Se Hai,
Yeh Khushi Nahin Milti Sirf Sham Dhalne Se,

Aarzuu Ki Chingaari Kab Tak Sulag Sakti,
Bujh Gaya Hai Dil Akhir Bar Bar Jalne Se,

Zindagi Ka Har Mohra Be-rukhi Ke Rukh Par Hai,
Yeh Bisaat Ultey Gi Aik Chaal Chalne Se,

Doobta Hua Suraj Kya Mujhe Ujaaley Ga,
Main Chamak Uthoon Shayed Chand Ke Nikalne Se..

Mein Gurez Kya Karta Us Ke Sath Chalne Se,
Zakham To Nahin Bharta Raaste Badalne Se,

Ishrat Shabana To Yaar Ki Razaa Se Hai,
Yeh Khushi Nahin Milti Sirf Sham Dhalne Se,

Aarzuu Ki Chingaari Kab Tak Sulag Sakti,
Bujh Gaya Hai Dil Akhir Bar Bar Jalne Se,

Zindagi Ka Har Mohra Be-rukhi Ke Rukh Par Hai,
Yeh Bisaat Ultey Gi Aik Chaal Chalne Se,

Doobta Hua Suraj Kya Mujhe Ujaaley Ga,
Main Chamak Uthoon Shayed Chand Ke Nikalne Se..

Wabasta teri Hayaat Se Sabi Silsilay Hai Magar

Wabasta teri Hayaat Se Sabi Silsilay Hai Magar
Meri Zindgi Hai Mukhtasir teri Mohabbat K Liye!!

Dekhta Hoon Tasveer-e-Yaar To Aata Hai Rashk

Dekhta Hoon Tasveer-e-Yaar To Aata Hai Rashk
Her Baat La-Jawaab Thi Agar Bewafa Na Hota

Love Is A Driver ... Bitter And Fierce If You Fight And Resist Him,

Love Is A Driver ...

Bitter And Fierce
If You Fight And
Resist Him,

Easy-going,
Once You
Acknowledge His
Power . . . :)

Friday, July 8, 2011

mere qabu main na pehron dil-e-nashad aya

mere qabu main na pehron dil-e-nashad aya
vo mera bhulne vala jo mujhe yad aya

dil-e-viran se raqibon ne muraden pain
kam kis kis k mera khirman-e-barbad aya

lijiye suniye ab afasana-e-furqat mujh se
ap ne yad dilaya to mujhe yad aya

di muazzin ne azan vasl ki shab pichle pahar
haye kambakht ko kis vaqt Khuda yad aya

bazm main un k sabhi kuch hai magar "Dag" nahin
mujh ko vo khana-kharab aj bahut yad aya

Tasweer mein chaley aye ho magar kuch terna sekho.!

Tasweer mein chaley aye ho magar kuch terna sekho.!
Tum aksar doop jatey ho meri ankh’on key tofa’n mein..

The Most Beautiful Saying By Shakespeare About Night:

The Most Beautiful Saying By Shakespeare About Night:
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Good Night:)

Zindagi Ko – Taqdeer Shayari in Hindi

Zindagi Ko – Taqdeer Shayari in Hindi

Guzri Hoi Zindagi Ko Kabhi Yaad Na Ker
Taqdeer Mai Jo Likha Hai Uski Fariyaad Na Ker
Jo Hona Hai Wo Ho Ker Rahega
Tuu Fikar Mai Apni Hansi Barbaad Na Ker

Tumhare husan ko meri nazar lagi hai zaror

Tumhare husan ko meri nazar lagi hai zaror
Kahan ho pehle se tabdeel ho gae ho tum

Wednesday, July 6, 2011

Aadhi raat ke shaid sapne jhoote they

Aadhi raat ke shaid sapne jhoote they..
Ya phir pehli baar sitaare toote they...

Jis din ghar se bagh ke sheher pohnchi thi,
Bhag bhari ke bhag usi din phoote they...

Mazhab ki bunyaad pe kia taqseem hui,
Hamsayon ne hamsaye hi loote they...

Shokh nazar ki chutki ne nuksaan kia,
Haathon se chaye ke bartan choote they..

Aoorh ke phirti thi jo 'Nainaan' sari raat,
Us resham ki shaal pe yaad ke boote they.

Ham ne sookhi hui Shaakhon pe Lahuu chirka tha

Ham ne sookhi hui Shaakhon pe Lahuu chirka tha,
Phool ager ab bhi na Khilte to Qayamat Hoti.

When Nights are long & Friends are few,

When Nights are long & Friends are few,
I sit by my Window & think of u.
a silent whisper a silent tear.
with all my Heart i wish you were here.
Good night & sweet dreams

Taq me bhi jis ko jalne ka hunar ata na tha

Taq me bhi jis ko jalne ka hunar ata na tha
Us diye ko mene raste me hawa k rukh kar dia

un kisi k sath kitna mukhlis hai faraz

Koun kisi k sath kitna mukhlis hai faraz
Waqt sab ki aukaat bta deta hai

Halaat Mere Mujh Se Na Maloom Kijiye

Halaat Mere Mujh Se Na Maloom Kijiye
Muddat Hoi Hy... Mujh se Mera Wasta Nahi

Allahs blessings are a treasure

Allahs blessings are a treasure so true
that their value cannot be measured
and one of Allahs blessings is you!

Tuesday, July 5, 2011

Mere Be-Rabt khayalat Mai Kya Rakha Hy

Mere Be-Rabt khayalat Mai Kya Rakha Hy,
Mai To Pagal Hon Meri Baat Mai Kya Rakha Hy,

Baandh Rakha Hai Teri Yaad Ne Maazi Se Mujhe,
Warna Guzrey Howey Lamhaat Mai Kya Rakha Hy,

Tu Jo Mil Jaye To Or KHUDA Se Kiya Mangon,
Tu Alag Ho To Meri Zaat Mai Kya Rakha Hy

Kuch gham e muhabbat ho kuch gham e jahan ho

Sirf zinda rehne ko zindagi nahin kehte
Kuch gham e muhabbat ho kuch gham e jahan ho

faqirana aaye sada kar chale miyan

faqirana aaye sada kar chale
miyan khush raho hum dua kar chale
jo tujh bin na jine ko kahate the hum
so is ahd ko ab wafa kar chale
koi na-ummidana karte nigah
so tum hum se muh bhi chipa kar chale
bahot aarzoo thi gali ki teri
so yan se lahu mein naha kar chale
dikhai diye yun ki bekhud kiya
hamen aap se bhi juda kar chale
jabin sajada karte hi karte gai
haq-e-bandagi hum ada kar chale
parastish ki yan tain ki ayei but tujhe
nazar mein sabon ki khuda kar chale
gai umr dar band-e-fikr-e-gazal
so is fan ko aisas bada kar chale
kahen kya jo puche koi hum se “meer”
jahan mein tum aaye the, kya kar chale

ab kis ka jashn manate ho us des ka jo taqsim hua

ab kis ka jashn manate ho us des ka jo taqsim hua
ab kis k git sunate ho us tan-man ka jo do-nim hua

us khvab ka jo reza reza un ankhon ki taqdir hua
us nam ka jo tukra tukra galiyon main be-tauqir hua

us parcham ka jis ki hurmat bazaron main nilam hui
us mitti ka jis ki hurmat mansub udu k nam hui

us jang ko jo tum har chuk us rasm ka jo jari bhi nahin
us zakhm ka jo sine pe na tha us jan ka jo vari bhi nahin

us khun ka jo badqismat tha rahon main bahaya tan main raha
us phul ka jo beqimat tha angan main khila ya ban main raha

us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha
us magrib ka jis ko tum ne jitna bhi luta kam samajha

un masumon ka jin k lahu se tum ne farozan raten kin
ya un mazlumon ka jis se khanjar ki zuban main baten kin

us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare bazaron main
us isa ka jo qatil hai aur shamil hai gamkhvaron main

in nauhagaron ka jin ne hamain khud qatl kiya khud rote hain
aise bhi kahin damsaz hue aise jallad bhi hote hain

un bhuk nange dhanchon ka jo raqs sar-e-bazar karain
ya un zalim qazzaqon ka jo bhes badal kar var karain

ya un Jhute iqraron ka jo aj talak aifa na hue
ya un bebas lacharon ka jo aur bhi dukh ka nishana hue

is shahi ka jo dast-ba-dast ai hai tumhare hisse main
kyon nang-e-vatan ki bat karo kya rakha hai is qisse main

ankhon main chupaye ashkon ko honthon main vafa k bol liye
is jashn main bhi shamil hun nauhon se bhara kashkol liye

pukarti hai khamoshi meri fugan ki tarah

pukarti hai khamoshi meri fugan ki tarah
nigahen kahtai hain sab raz-e-dil zuban ki tarah

jala k dag-e-muhabbat ne dil ko khak kiya
bahar ai mere bag main khizan ki tarah

talash-e-yar main chori na sar-zamin koi
hamare panv main chakar hain asman ki tarah

ada-e-matlab-e-dil hamase sikh jaye koi
unhen suna hi diya hal dastan ki tarah

zawal-e-shab main sitaroon ne sath chhorr diya

zawal-e-shab main
sitaroon ne sath chhorr diya

saba chali to chiragoon ne
sath chhorr diya

mila jo mouqa mujhe un se
baat krne ka

Mere naseeb k lafzon ne
sath chhorr diya

woh ‘roo ba roo’ thi magar
uss ko dekhte kaise,

Woh rang’o noor thi
Aankhon ne sath chhorr diya……

Monday, July 4, 2011

Phool khilte rahein zindgi ki raah mein,

Phool khilte rahein zindgi ki raah mein,
Hassi chamakti rahe aapki nigaah mein,
Kadam kadam par mile khushi ki bahar aapko,
Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko.

Gul Na Murjhaye Tera Intazar Kar Kay

Gul Na Murjhaye Tera Intazar Kar Kay
Kheezaan Na Karna Zindagi Bahaar Kar Kay

Aaj Bohat Pachtana Para Hum Ko Zalim
Teray Wadon Pay Ahtabaar Kar Kay

Sunday, July 3, 2011

Men are like Bluetooth

Men are like Bluetooth:
He is connected to you when you are nearby,
but searches for other devices when you are away..

Women are like Wi-Fi:
She sees all available devices
but connects to the strongest one

Suno Aey Chaand Si larki

Suno Aey Chaand Si larki,
Abhi tum Titliyan pakro,
Ya phir Masoonm si Ankhon sey,
Dheroon, khawab dekho tum
Faraz-o-Faiz-o-Mohsin ki
Kitaabain mat abhi parhna,
Ye sab lafzon ke Shaeir hain,
Tumhain uljha dain gey,
Tumhein maloom hi kab hai,
Muhabbat ke Libaaday mein
Hawas aur Hirs hoti hai,,
Ye insaan ki Dunya hai,
magar in sey kahin barh kar,
Yahan Wehshi darinday hain,
Wo Wehshi, jin ki ankhon mein,
machaltay piyaar ke peechay
Hawas aur Hirs hoti hai,
Abhi kachi kali ho tum,
Abhi kaanton sey mat khailo,
Abhi apni hatheli par,
Kisi ka Naam mat likho,
Abhi apni Kitaboon mai,
Gulabi phool mat rakho,
Abhi Shairon me mat uljho..
Abhi to Umer baqi hai,
Abhi khud ko sanbhalo tum
Abhi mat Gungunao tum,
Abhi sey Ishq mat socho,
Abhi sab Bhool jao tum....!
Abhi sab Bhool jao tum

Saturday, July 2, 2011

Us Mohabbat Ne Hum Ko Kia Na Dia

Us Mohabbat Ne Hum Ko Kia Na Dia
Rooth Jaanay Ka Honsla Na Dia

Zindagi ! Tujh Se Ye Shikaayat Hai
Khaak Mein Kiun Hamain Mila Na Dia

Be-Wafai Pe Gar Sazaa Na Mili
Tou Wafaa Ka Bhi Kuch Silaa Na Dia

Hum Chalay Khwaab Baichnay Ke Lye
Os Ne Acha Kia Lia Na Dia

Teergi Phelti Gayi Har-Suu
Os Ne Mitti Ka Ik Diya Na Dia

Os Ka Dar Door Tou Nahi Tha Batool !
Hum Ko Qismat Ne Raasta Na Dia

ham to chalte hain lo Khuda hafiz

ham to chalte hain lo Khuda hafiz
butkada ka buton Khuda hafiz

kar chuk tum nasihaten ham ko
jao bas naseho Khuda hafiz

aj kuch aur tarah par un ki
sunte hain guftagu Khuda hafiz

bar yahi hai hamesha zakhm pe zakhm
dil ka charagaron Khuda hafiz

aj hai kuch ziyada betabi
dil-e-betab ko Khuda hafiz

kyon hifazat ham aur ki dhundhen
har nafas jab ki hai Khuda hafiz

chahe rukhsat ho rah-e-ishq mein aql
ai "Zafar" jane do Khuda hafiz

Jab Kisiki Yaad Ne Aankho Ko Bhigoya Tha Meri

Jab Kisiki Yaad Ne Aankho Ko Bhigoya Tha Meri,
Maine Ek Naam Ki Tasbeeh Pe Tilawaat Ki Thi..

u r as sweet as bailey as strong

u r as sweet as bailey as strong as tequila as warm as cognac as
exotic as malibu as heady as a cocktail & as special as as a champagne. i
am simply drunk on U

Kismat Pe Aitbaar Kisko Hai

Kismat Pe Aitbaar Kisko Hai

Kismat Pe Aitbaar Kisko Hai
Mil Jaye Pyaar To Inkaar Kisko Hai
Kuchh Majburiyan Hai Zindagi Ki
Warna Tanhaiee Se Pyaar Kisko Hai

Friday, July 1, 2011

Dil-o-JaaN main tujhay rakha hay

Dil-o-JaaN main tujhay rakha hay, wafa main tujhay rakha
Wo jo guzrey, unhi lamhoN ki Ada main tujhay rakha

Lab-e-khandaN ko siya tu nay kisi dar say magar sun!
Hay taqaazaay-e-muhabbat k Nawa main tujhay rakha

Tray Nazuk say Q'ua main mri quwat ka khazeena
Jabhi Sar-sar main raha khud tu Saba main tujhay rakha

Dam-e-rukhsat ye nida aayi k pehchan khudi ko
Dil-e-sad-ranj say phir baang-e-daraa main tujhay rakha

Jo murattab hay ye dagtar mray a'amal ka ahsan
Za gariftaar-e-saza hoN k jazaa main tujhay rakha

Mray rabb nay mujhay rakha hay laho ki jo tapish main
Ho haseeN hast zi-bas rang-e-hina main tujhay rakha

Dil-e-deewana o mastana talab-gaar hua jab
Tu JunoN khaiz har ik lamha Dua main tujhay rakha

Gham-o-andoH o khushi k, tray hi naqsh har ik ja
Jo fana main tujhay rakha tu baqaa main tujhay rakha

bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai

bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai
bhatke hue insan se kuch bhul hui hai

ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phulon k nigehban se kuch bhul hui hai

jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamai
us ahad ke sultan se kuch bhul hui hai

hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhul hui hai

huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhul hui hai

A special LUNCH 4 U

A special LUNCH 4 u,
In de hotel of my Heart,
A boul of love,
A spoon of care,
In the pot of Happiness,
Dish is friendship,
Pay the bill
by
MISSING
Me

WHAT IS LOVE?

WHAT IS LOVE? L FOR LAND OF SORROW.O FOR OCEAN OF TERAS. V FOR VELLEY OF DEATH. E FOR END OF LIFE.MISS U ALL TIME

Every new day Is a new chapter of life

Every new day
Is a new chapter of life
Bringing new topics
New moments 4 life
I wish 2day all the good
Moments approach
Why to make your day joyful

Good A.M :)

sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahista-aashista

sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahista-aashista
nikalta aa rahaa hai aaftaab aaista-aahista

javaaN hone lage jab wo to ham se kar liya parda
haya yak_lakht aa_ii aur shabaab aahista-aahista

shab-e-furqat ka jaaga hooN farishto ab to sone do
kabhii fursat meN kar lenaa hisaab aahista-aahista

sawaal-e-vasl par un ko udoo ka Khauf hai itnaa
dabe hoNThoN se dete haiN jawaab aahista-aahista

wo be_dardii se sar kaateN ''Ameer'' aur maiN kahooN unse
huzoor aahista-aahista janaab aahista-aahista

hamare aur tumhare pyaar meN bas farq hai itna
idhar to jaldi-jaldi hai udhar, aahista-aahista

tere yad ma pal pal marta ha koi

tere yad ma pal pal marta ha koi
tujhe apne har sans ma yad karte ha koi

kabhi fursat mile to akele sochna
kitne khamosh mohbat karta ho koi ap se

Na bijli na cng na safe kisi ki jaan

Na bijli na cng na safe kisi ki jaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Jhootay sachey case bana ke ik doojay ko rolain
Jahan pe common fayda inke wahan ikathey ho lein
Jail training leke niklein bane seyasatdaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Khambey sath khalotey rehnde Jo wehle mustandey
Banda in ko lamyaan pa ke changa phandey
Janjjj kisi ki dhol kisi ka aewain e nachhi jaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Har ik match pe satta laga ke har bar hardey
Har ik road pe shokhay one-whieling pe karde
Agli nassal ke hath mein hai sheesha cigerrete paan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Aap broiler ban gaye hum kha kha chicken machini
Sunyaarey bhi sona chad ke bechne lag gaye cheeni
Paanch rupay ke sikkay jitna paanch rupay ka naan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Jese tota mena ranjha mangey apni choori
Wese her ik file ke andar note zarooori
Warna chakar lagatey ho jayen halkaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Chatting message msn ke peechey kese bhaagey
Package karwa ke saari ratain jaagey
Hatam howey in ke parrhan parhaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Ghar araam se bethey hon ge road pe sab ko jaldi
Sabar ka phal jo meetha, nahin hai iski demand
Chahey hon in ke chaalaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Aadat parri dikhawy ki, woh jaan na is se chootey
Masnoooyi se ho gaye sarey sab rishtey tootay
Buray lage sab rishte, zeher lagen mehmaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan