Thursday, September 30, 2010

Main Dhoondta Tha Door Khalaaon Mein Ek Jism

Main Dhoondta Tha Door Khalaaon Mein Ek Jism
Chehron Ka Ek Hajoom Mere Aas Paas Tha

woh mile bhi to fakat khuda k darbar me

woh mile bhi to fakat khuda k darbar me
ab tum hi kaho ibaadat karte ya mohabbat

Kafi hai husn dil ko behlane ke liye

Kafi hai husn dil ko behlane ke liye,
mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
chahe bhale paray ghum se vasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab ghamon ko bhulanay k liye

Teri Yaadon Kee Baarish Barsti Hai Jb B

Teri Yaadon Kee Baarish Barsti Hai Jb B
Mein Beegta Zaroor Hoon, Mgr Palkon Ki Hd Tk

Meri khataon ki fehrist ly k aya tha

Meri khataon ki fehrist ly k aya tha
Ajeeb Shakhs thaa.. Apna hisab chor gya

Wednesday, September 29, 2010

May the magic of dis EID bring lots of happiness in

May the magic of dis EID bring lots of happiness in ur life & may u celebrate it wid all ur close friendz & may it fill ur HEART wid wonders***** (AAMIN) *****EID MUBARAK*

Na To Manzil, Na Humsafer, Na Koi Karwan Hai

Na To Manzil, Na Humsafer, Na Koi Karwan Hai
Raston Mein Bus Dhuan Dhuan Sa Hai.

Unke Daman Main To Chand Tare Hain
Mere Hisse Mein To Khali Aasman Hain.

Jakham Pe Jakham Diye Jata Hai
Dil Ko Lagta Hai Mera Meherban Hai.

Kai Roj Se Ye Dil Kahin Lagta Hi Nahi
Din Hai Veeran Veeran Ratein Gumzada Hain.

Jamane Ko Hua Unka Deedar Mager
Udher Se Munh Chhupa Ke Gujere Jidher Mera Makan Hai.

Jabse Bikhra Hua Saman Sajaya Hai Maine
Gher Bada Khali Khali Sa Ho Gaya Hai.

Jo Pankh Fadfada Ke Reh Jata Hai Akser
Dikhta Nahi Us Per Kahin Mahoul Ka Rand.

Is Sheher Main Shayad Wo Naya Naya Hai
Parinda Wo Abhi Jara Nadan Sa Hai.

Padausi Ka Haal Poonchun Ye Fursat Kahan Hai
Mera Chulha Khud Abhi Dhuan Dhuan Hai.

Mastghan Dar-E-Jehen Pe Kuchh Tikta Hi Nahi
Abhi Jamee Thi Abhi Aasman Hai.

Eid aayi hai sulagti hui yaaden le ker

Eid aayi hai sulagti hui yaaden le ker,
Aaj phir apni udaasi pe taras aaya hai..

barish ki tarha tujh py barasti rahen khusyan

'barish ki tarha tujh py barasti rahen khusyan
har bond tere dil se har ek gham ko mita dy

ameen'

Mohabbatain jab shumaar karna to sazishain bhi shumaar karna

Mohabbatain jab shumaar karna to sazishain bhi shumaar karna
Mere hissey mein jo ayi hain woh aziyatain bhi shumaar karna

Jalaye rakhon gi subah tak tumhare raston pe mein aankhain
Magar kahin zabt toot jaye to barishain bhi shumaar karna

Yeh sardiyon ka udaas mausam ke dharkan baraf ho gayi hai
Jab in ki wa-bastagi parkhna, to namaazain bhi shumaar karna

Tum apni majbooriyon ke kissay zaroor likhna wazahton se
Jo meri ankhon mein jal bhuji hain, woh khawhishen bhi shumar karna

Tuesday, September 28, 2010

un se nain milkar dekho

un se nain milkar dekho
ye dhokha bhi kha kar dekho

duri main kya bhed chipa hai
iski khoj lagakar dekho

kisi akeli sham ki chup main
git purane gakar dekho

aj ki rat bahut kali hai
soch k dip jala kar dekho

jag-jag kar umr kati hai
nind k diwar hilakar dekho

Har gham ko khushi me badalti hai dosti,

Har gham ko khushi me badalti hai dosti,
Har ansu ko hasi mey badalti hai dosti,
Kuch log samajh nahi patey ke,
Andheri raat ka diya hai dosti..

Monday, September 27, 2010

Tera Ghamm Hai To Ghamm e Daherr Ka Jhagrra Kiya Hai

Tera Ghamm Hai To Ghamm e Daherr Ka Jhagrra Kiya Hai
Teri Soorat Say Hai Aalam Mein Baharoon Ko Sabbat
Teri Aankhon Kay Siwa Duniya Mein Rakhaa Kiya Hai

Na sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo

Na sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo
Meri zindagi meray khuwab hain,Mujhay khuwab ban kay mila karo
Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mer gaya
Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo

Banta owned a factory.

Banta owned a factory.
He issued orders that only married
men would be employed.
Friend asks: Why this ?

Bant reply:
Because married men are more obedient.

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain

Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain

Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain

Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain

my day start with ur name

my day start with ur name and my day stop with ur name
i cant hold my self just thinking about u that how much i love you, if you wanna know about this.just search my self in ur heart

Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye

Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye
mausam ke hath bhig ke saffak ho gaye

baadal ko kya khabar ke barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khaak ho gaye

jugnu ko din ke waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad ke chalak ho gaye

lahra rahi hai barf ki chadar hata ke ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham ke namnak ho gaye

sahil pe jitne aab_guzida the sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairak ho gaye

Hmesha sath Rehne ki adt Kch nhi Hoti

Hmesha sath Rehne ki adt Kch nhi Hoti
Jo lmhey ml Gaye jee lo Riyazat kch nhi Hoti

Jise Mehromiyan mli Hon wohi jan skta He
Zubani hosla, Jhooti murawat Kch nhi hoti

Kayi rishton ko Jb prkha, Natija ek hi Nkla
Zrort hi sb kch He, MOHABAT kuch Nhi hoti

Kisi ne chor k Jana ho tu phir Chor hi jata hai
Bicharna ho tu Sadiyon ki Rafaqt kch nhi Hoti

Ta’alluq toot Jaye t0 Safeeney doob Jate hen
Ye sb kehne ki Batain hein, Haqeeqt kuch Nhi hoti

Sunday, September 26, 2010

Mothers Day 2014 Poems

Mothers Day 2014 Poems

For all that you have given me,
I can return but love. For you
Bound up the wounds I did not see
And gave me hopes and passions new.
I can return but love for you,
Whose unmoved faith my heart did move,
And gave me hopes and passions new,
And loved me till I turned to love.

Whose unmoved faith did my heart move?
The mother of my heart, not blood,
Who loved me till I turned to love.
And I became the soul I would.

The mother of my heart, not blood,
Bound up the wounds I did not see.
And I became the soul I would
For all that you have given me.

Sardarji is not sleeping with his wife! these days

Sardarji is not sleeping with his wife! these days
Guess why?
because somebody had told him that
it is wrong to sleep with married women.

ab udas phirtay ho sardiyun ki shamoon main

ab udas phirtay ho sardiyun ki shamoon main
is tarhan tu hota ha is tarhan k kamoon main

Best of Two Lines Poetry

Best of Two Lines Poetry

Koi Aaj Tak Na Badal Sakaa Yeh Usool Gulshan-E-Zeest Ka…
Wohi Phool Nazr-E-Khizaan Hoa Jisy Aitabar-E-Bahaar Tha..

ret par likh k mera nam mitaya na karo

ret par likh k mera nam mitaya na karo
ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo

log har bat ka afsana bana lete hain
sab ko halat ki rudad sunaya na karo

ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho
pyar k zaKhm amanat hain dikhaya na karo

shahar-e-ehsas main patthar bahut hain 'Mohsin'
dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo

I may be gone for

I may be gone for
a minute, for hours, for a day.
I may not be able to say good morning or good night
but I'll never try to say
goodbye to a person
who has been sweet and true.

Kabhi pathar se bhi takraye to kharaash tak na aye,

Kabhi pathar se bhi takraye to kharaash tak na aye,
Kabhi ik baat hi se insaan toot ke bikhar jatey hain..

Saturday, September 25, 2010

Mujhe lagta hai ik pal bhi tumhare bin saza jese,

Mujhe lagta hai ik pal bhi tumhare bin saza jese,
Tum aatey ho to ho jata hai dil ko aasraa jese,

Tumhari zindagi mein ab hamari hesiyat kya hai,
Puraney taaq mein rakha hua koi diyaa jese,

Samaat deti rehti hai mujhe tanhai mein dhoka,
Mujhe aksar laga ke tum ne kuch mujhse kaha jese,

Yaqeen mujh ko nahin is ka magar aksar yeh lagta hai,
Ke peecha kar rahi ho mera koi bad’duaa jese,

Go tum hum mein nahin baaqi par lagta hai Maan mujhko,
Har ik naymat tumhari hi dua ki ataa ho jese,

Shab-e-tanhai mein yadain teri yun jagmagati hain,
Hatheli per meri rakha ho ik roshan diya jese,

Hum aese zindagi ki raah mein bhatkaa kiye Azra,
Paraaye sheher mein koi musaafir be’nawaa jese..

Delightful laddos

Delightful laddos
Incandecent diyas
Whole lot of fun
A big stock of masti
Lots of mithai
Innemurable fireworks
Wishing you the best bargain
on fun n
lots of sale-e-bration
have an enjoyable diwali mela

Boy friend is fun

Boy friend is fun,
&
Husband is gun,

Boy friend is light of moon,
&
Husband is month of june,

Boy friend is tooty fruity,
&
Husband is qismat phooti.

chehra mera tha nigahen us ki

chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

Friday, September 24, 2010

arazu hai vafa kare koi

arazu hai vafa kare koi
ji na chahe to kya kare koi

gar marz ho dava kare koi
marne vale ka kya kare koi

koste hain jale hue kya kya
apne haq main dua kare koi

un se sab apni apni kahte hain
mera matalab ada kare koi

tum sarapa ho surat-e-tasvir
tum se phir bat kya kare koi

jis main lakhon baras ki huren hon
aisi jannat ko kya kare koi

Hum Ko – Bhool Shayari in Urdu

Hum Ko – Bhool Shayari in Urdu

Hum Ko Bhool Na Jana Tum
Yeh Kehte Hain Sab Hi
Lekin Aata Hai Waqt Kuchh Aisa
Ke Bhool Jaate Hain Khud Hi

Chalo tum wahaN per jahan ho na sawan

Chalo tum wahaN per jahan ho na sawan
Barasti ho boondain na bheega ho aangan
Wo soondhi si matti jalaye hai mun ko
Ye qatray jo choo lain lagay aag tun ko
Le aata hai sawan wo yaadain purani
Kisi shookh chanchal ki baaghi jawani
Haseen raat thi ik barsata tha paani
Ussay chomaney ko tarasta tha paani
Achanak giri phir wahaN bijliyaN woh
jala aashiyana bujha har diyya jo
juda ho gaya haath uss gul badan ka
kiya haal ye baarishon ne chaman ka
humaiN raas ab to nahi hai ye sawan
baras haa baras se bhigoye hai daman

Lagi thi aag is dil me bujha letey to acha tha

Lagi thi aag is dil me bujha letey to acha tha,
Humien tum apni bahon me chupa letey to acha tha,

Wo bazm e naz thi us ki wo merey rubro bhi tha,
Fasana hum bhi ulfat ka suna letey to acha tha,

Ye mosam zulm dhaye to khayal ata hai reh reh kar,
Koi khwabon ka manzar hi bana letey to acha tha,

Yonhi anchal ki dniya sey guzartey hum hawaon sa,
Ye qaid o band ki bandish utha letey to acha tha,

Kati hai umar qismat kay sitaron ko milaney me,
Kisi kay dil sey apna dil mila letey to acha tha,

Humien shehar e mohabbat ka safar darpesh hai jana,
Kisi totey hoye dil ki dua letey to acha tha,

Hai jis kay rothney sey zindagi rothi hoi hum sey,
Agar us bewafa ko hum mana letey to acha tha.

Tere ikhlas se mohabbat ki hai

Tere ikhlas se mohabbat ki hai,
Tere ehsas se mohabbat ki hai,

Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai,

Kabhi to tu ne bi mujhe yad kiya hoga,
Me ne un lamhaat se mohabbat ki hai,

Jin main hon teri meri batain,
Main ne un auqaat se mohabbat ki hai,

Aur mehky hon sirf teri mohabbat se,
Main ne un jazbaat se mohabbat ki hai,

Tujh se milna to ab khawab sa lagta hai,
Main ne tere intezar se mohabbat ki hai…

Sunno Hamdam..!!!

Sunno Hamdam..!!!
Bahot See Digriyan Le Kar
Hunnar Pe Dastrass Paa Kr
Nassab e Chahat Dill Ke
Agr Parhney Se Qaasir Ho

To Unn Parh Ho...!!!

Thursday, September 23, 2010

Mat pouch kis tarah ka tha kaisa laga mujay

Mat pouch kis tarah ka tha kaisa laga mujay
Jaisa tha jis tarah ka tha acha laga mujay

Banjer howa hy zehan tu dil sogwar hy
kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay

Parwrda,e fareib-e-nazar tha issi liye
Haton mai tera hath b dhoka laga mujay

Aqs-e-wisal-e-yaar jo aujal huwa tu phir
Rang-e-rukh-e-bahaar b phika laga mujay

Har aik cheez yun tery paikr mein dhall gai
Har aik cheez pr tyra saya laga mujay

Ik justju ka rai’gan hone ko hey mager
Ik rabta k aur b ghehra laga mujay

Pighla ye jisam lamss ki hid’dat sy aaj b
wo mery pass hy Aisa laga mujay

Uss zulf ki, us ke lab ki batain

Uss zulf ki, us ke lab ki batain,
Yaad ayin mujhe, ghazzab ki batain..

Eid is coming

(__)
¿’, ‘?¿______. ,
)
]/]/ ]/]/

Eid is coming

I want to wish u Eid in advance

&

sndng this COW as a Eid Gift

Mere Sabar Ka Is Qadar B Imtehan Na lo

Mere Sabar Ka Is Qadar B Imtehan Na lo...
Jaany Do ne Meri Jaan...Meri Jaan Na Lo...

hum kion na apnay aap ko roolawain jeetay ji

hum kion na apnay aap ko roolawain jeetay ji
aay dost kn phr karay maatam faqeer ka

Wednesday, September 22, 2010

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay
Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay
Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay
Kabhi yoonhi kisi dhun ko suntay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?

Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?

Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
Kisi onchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?

Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi
Kisi darakht ke saaye main baith kar bhi nahi
Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi
Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi?
Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi
Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi
Kahin lafzon main koi K dekh kar bhi nahi
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aa

Chand ne pocha mujh se

Chand ne pocha mujh se
Sabab meri udasiyun ka
Mai muskra diya
Aur
Faqt itna kaha
Mera chand koh gayea hai
Wo bola
Kia tera chand bhaut haseen hai
Jo tu yun ghamgeen hai
Do askh hatheli pe meray giray
Aur
Wo baadlon may chup gayea
Sabab udasiyun ka wo kia janey
Meray chand ka aks meray ashkon may dekha
Tu
Wo sharma kr badloon ki oot may ja betha

Meri her maangi hoi dua bekaar gai "Faraz"

Meri her maangi hoi dua bekaar gai "Faraz"
jany kis shaksh ne chaha tha usy bari shiddat k sath

Tumhara pyaar meray char soo abhi tq hy

Tumhara pyaar meray char soo abhi tq hy
Koi hisaar meray char soo abhi tq hy

Bicharty waqt jo tm saunp k gaye thy mujhy
Wo intizar meray char soo abhi tq hy

May ab bhi girty huye paniyon ki qaid may hon
Ik aabshar meray char soo abhi tq hy

Koi gumaan mujhy tm sy door kaisy karay
K aitbaar meray char soo abhi tq hy

Wo Mujh Se Bichar Kar Ab Tak Roya Nahin Ghalib

Wo Mujh Se Bichar Kar Ab Tak Roya Nahin Ghalib
Koi To Hai Hamdard Jo Ussey Roney Nahin Daita

I Wish You All A Very Happy And Peaceful Eid

I Wish You All A Very Happy And Peaceful Eid.
May Allah Accept Your Good Deeds, Forgive Your Transgression And
Ease The Suffering Of All Peoples Around The Globe.
EidulFitr Mubarik This EidulFitr Will Comes In Your Life Hundred Times

Toota Hua Lehja, Doobti Hui Saansain

Toota Hua Lehja, Doobti Hui Saansain
Aey Ishq Apna Kaam dekh, Meri Jaan Dekh

Tuesday, September 21, 2010

Ghar ki chhat pe leta

Ghar ki chhat pe leta
Yunhi aasman ko takta rehta hon
Taaron se tera naam
Likhta rehta hon
Kaisa pagal hon mai
Hawaon se tera pata pochta rehta hon
Yaadon key kaie jhonkey
Chalay atey hain
Bazm-e-khalwat may
Saja kr unko taaq-e-dil may
Tujhey soochta rehta hon
Ghar ki chat pe leta
Mai aksr
Teray aangan ki
Surmai sham
May dhalta rehta hon

Hm Ishq Say Kya Waqif, Waqif Hain Tou Bus Itna

Hm Ishq Say Kya Waqif, Waqif Hain Tou Bus Itna
Aghaaz Halakat Hai, Anjaam Khuda Jaaney

Tum Sey Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Tum Sey Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo
Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo

Hum Ne Apni Har Saanss Per Naam Tera Likh Dia
Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Dia

Ishq Me Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar
Jab Se Tum Ankhoon Me Aaye Jaagti Hai Ye Nazar

Apny Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Palat Kar Dekha Na Kar Is Tarhan Se Jane Walon Ko,

Palat Kar Dekha Na Kar Is Tarhan Se Jane Walon Ko,
Jo Dil Ko Tor Jate Hain, Wo Wapis Phir Nahi Aate….

Monday, September 20, 2010

I know u think u broke my heart

I know u think u broke my heart
but I knew your game right from the start
I saw your game and played it 2
so look here I play the jokes on u

Sunday, September 19, 2010

Dekha palat k us ne k hasrat usay bhi thi

Dekha palat k us ne k hasrat usay bhi thi
Hum jis pe mitt gae thay mohabbat usay bhi thi

Chupp ho gya tha dekh kar wo bhi idhr udhar
Dunya se meri tarha shikayat usay bhi thi

Ye soch kar andhere galay se laga liye
Raaton ko jaagne ki aadat usay bhi thi

Wo ro dia tha mujh ko pareshaan dekh kar
Us din khula k meri zaroorat usay bhi thi

Saturday, September 18, 2010

jane kya hai ye zindagi ,jane kya hai roshni

jane kya hai ye zindagi ,jane kya hai roshni,
puchunga main us-se yahi ,mil jaye gar woh kahin,

kyon sapne khilte hain, kyon sapne murjhate hai,
kyon apne milte hai , kyon apne kho jaten hai.

Waqt burham ho to Puray Kahan arman hongay

Waqt burham ho to Puray Kahan arman hongay.
PaaeNgay hum na sokooN bulkay parishan hongay.

Dust-e-purkhar ki Zahmat bhari Tanhaai Main.
Chaak dil Chaak Jigar Chaak Gariban hongay.

Saath lay Jaingay Qirtas-e-amal Hum apnay.
Dufn jub khaak main hum Sokhta Samaan hongay.

Kum nagahi say mujhay daikh nay walay ekdin.
Meri Qismat kay sitaray bhi daraksha hongay.

Yeh Zamana to sada Aik Saan rahta hi nahi.
Hansnay Walay Bhi Kabhi Maa-e-lay Giryan hongay.

Tum nay Daikha Hay jinhay Shabh Kay Safar mai roshan.
Ab Sitaray woh KhaN Din MaiN NomayaN hongay.

Naz Sujday pay ghalat hoga tumhara Sajid.
Tum say Kitnay Hi Yahain Sajda GuzaraN hongay.

Phone pe us ki baatain, us ke qehqahey ache lagte hain

Phone pe us ki baatain, us ke qehqahey ache lagte hain,
Pal do pal ke sahi, magar yeh rishte ache lagte hain,
Rang jagate jumlon se lagta hai, jese us ko bhi,
Khatti meethi batain karte larke achey lage hain,
Hamain khabar hai sab tabeerain hath na aati pariyan hain,
Phir bhi jaagti aankhon dekhe sapne achey lagte hain,
Motiyon waley mukhre bhi apne ahbaab mein shamil they,
Magar humain to khush’khat saanwley achey lagte hain,
Hum donon mastanon ki ik khawhish milti julti hai,
Mujh ko shehzadi, us ke shehzadey ache lagte hain,
Hassan Raza aakhir aesi ik hoobi hogi, jis ke sabab,
Sheher ki mah’jabenon ko hum itne ache lagte hain,
Kaanch kanwari umron ko jab matti mein rul jana hai,
Phir kyon Raza yeh lamha bhar ke mailey achey lagte hain

Meri khushbu tumhe kholey gi gulaabon ki tarah

Meri khushbu tumhe kholey gi gulaabon ki tarah
Tum agar khud se na bolo ge to yaad aaon ga

Friday, September 17, 2010

Nahi dunia ko jab parwah hamari

Nahi dunia ko jab parwah hamari
to phr dunia ki parwah Q kraiN hum

Meri chahat ki bohat lambi saza do mujhko

Meri chahat ki bohat lambi saza do mujhko
Karb e tanhai mein jeeney ki dua do mujheko

fun tumhara tou kisi aur se mansooh howa
koi meri hi ghazal hi akar suna do mujhko

Haal behaal hai, tareek hai mustakbil bhi
Ban pare tum se tou maazi mera la do mujhko

Akhri shama hoon mein bazm e wafa ko logo
Chahey jalne dou mujhe chahe bujha do mujhko

Khud ko rakh ko mein kahin bhool gayi hon shayed
Tum meri zaat se aik bar mila do mujh ko

I could fill a 1000 pages telling U how I fee

I could fill a 1000 pages telling U how I feel, and still U would not understand.. So now I leave w/o a sound, except my heart shattering as it hits the ground

Band pinjaroon mein parindoon ko dekha hai kbhi

Band pinjaroon mein parindoon ko dekha hai kbhi
Aise sisaktey hain muhabbat k mujrim Saaqi

Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahin ki

Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahin ki
Had ye k dharakney ki jasaarat bhi nahi’n ki

Tabeer ka aizaz hua hai usey haasil
Jis ne mery khuwabo’n mein sharakat bhi nahi’n ki

Ulfat tou barri baat hai hum se to sir-e-sheher
Logon ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi’n ki

Aadab-e-safar ab wo sikhatay hain jinhon ne
Do chaar qadam tay ye musaafat bhi nahi’n ki

Kia apni safai mein bayaan daity k hum ne
Nakarda gunaho’n ki wazahat bhi nahi’n ki

Khamosh tamashaai k manind sir-e-bazm
So zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahi’n ki

Us ghar k sabhi log mujhy chorrney aaye
Dehleez talak us ne ye zehmat bhi nahi’n ki

Us ne bhi ghulam’on ki safo’n mein humain rakha
Is dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahi’n ki

Thursday, September 16, 2010

na wo wafa ki devi hai

na wo wafa ki devi hai?
na hai wo bewafayii ki murti?.

kash khud ko itna bedard na banaya hota ?
to sayad ushey rok pata?.

kaheti thi ki ?mere pyaar ki umar ho itni sanam ..
tere naam se suroo tere naam se khataam??

per naam ka fashla na badha hota itna ?
to sayad ushey rok pata?

khati thi ?baith mere pass tujhey dekhti rahoon?..?
kass ushkey rooh me utar jata ?
to sayad ushey rok pata?.

Bas tere rawai’yon ka sabab dhoondte rehna

Bas tere rawai’yon ka sabab dhoondte rehna,
Yeh silsila ab aur to chalne ka nahin..

Be noor ankhon mai koi khawab to do

Be noor ankhon mai koi khawab to do
Meri beqarar raaton ka kuch hisab to do
Tum khafa ho mujse lekin phir bhi
Agar Ho sake mere in sawalon ka jawab to do
Hum ne jis mai likhe thay kuch waade
Agar mumkin hai to meri wo kitab to do

Wednesday, September 15, 2010

so it is not a real dog

Buyer to seller : is it pure honey ?
How do I know if it is pure honey ?
Seller : give the dog some honey ..
if the dog doesn't lick it, it is pure honey

Buyer :what if the dog licks it ?
Seller: so it is not a real dog.

Tu Kisi Or Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal

Tu Kisi Or Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal !

Pehele Haq Tha Teri Chahat K Chaman Per Mera !
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-E-Badan Per Mera !

Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi !
Main Tere Gesu-O-Rukhsar Ka Haqdar Nahi !

Ab Kisi Or K Shano Pe Hai Tera Aanchal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal ……. !

Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basao(n) Kaise ?
Main Teri Maang Sitaro(n) Se Sajao(n) Kaise ?

Meri Qismat Mein Nahi Pyaar Ki Khushbu Shaiyad !
Mere Haatho(n) Ki Lakeeron Mein Nahi TU Shaiyad !

Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal …… !

Mujh se Kehtein Hein Ye Khamosh Nigahein Teri !
Meri Parvaaz Se Oonchi Hein Pnaahein Teri !

Or Gairat-E-Ehsaas Pe Sharminda Hun !
Ab Kisi Or Ki Baho(n) Mein Hein Bahein Teri !

Ab Kahaan Mera Thikana Hai Kahaan Tera Mehal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal ……. !

Kitna khush hon dar-o-deewar ki veerani se

Kitna khush hon dar-o-deewar ki veerani se
Is ka matlab hai yahan se mera ghar door nahi

Tuesday, September 14, 2010

I was on a ship thinking of you

I was on a ship thinking of you.
when i looked down i dropped a tear in the ocean.
then i promised myself that until someone finds it.
i wont forget you

Ankhoon Mein Nami Ka Raaz Rakhti Hoon

Ankhoon Mein Nami Ka Raaz Rakhti Hoon
Mein Tanhaiyon Se Dosti Ka Jawaz Rakht Hoon

Woh Ager Chaly Mere Sath Do Qadam
Phir Dekho Mein Kesi Perwaaz Rakhti Hoo

Khawahishon Pe Daal Rakhi Hai Kamand Sabr Ki
Dabaa Ke Dil Mein Jazboon Ki Awaaz Rakhti Hoon

Teri muhabbat ka boj dhohne se reh gea hon

Teri muhabbat ka boj dhohne se reh gea hon
Muje ye dukh hai me tere hone se reh gea hon

How woman calls their husband in first 6 years

How woman calls their husband in first 6 years
Yr 1.Janu
Yr 2.O G.
Yr 3.Sunte ho?
Yr 4.O bunty k pappa
Yr 5.Kahan mar gaye?
Yr 6.Tum aate ho k main aaon?

Kahan tak suney gi raat kahan tak sunayen ge hum,

Kahan tak suney gi raat kahan tak sunayen ge hum,
Shikwey saarey sabb aaj tere rubaruu karain..

If You Translate Every Mistake Of Your Life

If You Translate
Every Mistake Of Your Life
Into a 'Positive' One,

You Will Never Be A
'Prisoner Of Your Past',
.
But A "Designer Of Your Future"

Monday, September 13, 2010

Night doesn't become beautiful

Night doesn't become beautiful with
star studded sky & full moon,

It becomes beautiful when u go to sleep
and
let stars & moon admire ur innocence..
Good Night

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..

Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???

Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..

ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .

Sunday, September 12, 2010

dil-e-purkhun ki ik gulabi se

dil-e-purkhun ki ik gulabi se
umr bhar ham rahe sharabi se

dil dahal jaye hai sahar se ah
rat guzregi kis kharabi se

khilna kam kam kali ne sikha hai
us ki ankhon ki nimkhwabi se

kam the ishq mein bahut se 'Mir'
ham hi farig hue shitabi se

Os ki khahish hy ke angan may utary soraj

Os ki khahish hy ke angan may utary soraj

bhol betha hy ke khud mom ka ghar rakhta hy

Aaj kuch dard dil main hota hai.

Aaj kuch dard dil main hota hai..
Ankh ky sath jgar bhi rota hai

Main jitna bhi ro’oun kam hai teri judai main
Tairy gham ka haq kab ada hota hai

Binai bhi khoon ban kr tapakti rahi hai
Phr bhi ashk’on ko ankh sy gila hota hai

Hansty hansty tery khayal sy ro daity hain
Hum chahty kia hain aur kia hota hai

Suna hai in par mehshar ki dhoop bhi kuch asar nahi karti
Jin ka dil ishq sy jala hota hai

Bulaoon ga na miloon ga na khat likhoon ga tujhe

Bulaoon ga na miloon ga na khat likhoon ga tujhe,
Teri khushi kay lia khud ko ya saza dun ga

dard-e-dil pao gy wafa kr k

dard-e-dil pao gy wafa kr k
hum ne dekha hai tajurba kr k

Saturday, September 11, 2010

Morning time a cup of hot hello,

Morning time a cup of hot hello,
A plate of crispy wishes,
A spoon of sweet smiles &
A slice of great success specially for u
Enjoy the day!!!!!!!!
Good Morning

Humara Dil Savere Ka Sunhera Jaam Ho Jaye

Apni Yaado – Sweet Shayari Sms

Humara Dil Savere Ka Sunhera Jaam Ho Jaye,
Chirago Ki Tarah Aankhein Jale Jab Shaam Ho Jaye,

Kabhi To Aasman Se Chand Utre Jaam Ho Jaye,
Tumhare Naam Ki Ek Khoobsurat Sham Ho Jaye,

Ajab Halat The Yu Soda Ho Gaya Aakhir,
Mohabbat Ki Haveli Jis Tarah Nelaam Ho Jaye,

Samundar Ke Safar Mein Is Tarah Awaz De Humko,
Hawayein Tez Ho Or Kashtiyo Mein Shaam Ho Jaye,

Mujhe Maloom Hai Iska Thikana Phir Kaha Hoga,
Parinda Aasman Chhune Mein Jab Nakaam Ho Jaye,

Ujale Apni Yaado Ke Humare Saath Rehne Do,
Najaane Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye..!!!!

Ye Barso’n ka ta’alluq torr dena chahtay hain hum

Ye Barso’n ka ta’alluq torr dena chahtay hain hum. .
Ab apny aap ko bhi chorr dena chahtay hain hum. .

Kisi dehleez per aankho’n k ye roshan diye rakh kar. .
Zameer-e-subha ko jinjhorr dena chahtay hain hum. .

Jidhar hum ja rahy hain us taraf toota hua pul hai. .
Ye baag’ain is se pehlay morr dena chahtay hain hum. .

Ye naubat kal jo aani hai to sharminda nahi’n hongay. .
Marasam ehtiyaat’ann torr dena chahtay hain hum. .

Ajeeb deewangi hai jis k hum saaye mein baithay hain. .
Issi deewar se sir phorr dena chahtay hain hum. .

Ta’alluq kirchiyo’n ki shakal mein bikhra to hai phir bhi. .
Shikasta aaino’n ko jorr dena chahtay hain hum

zara Roth jany pe itni khushamad

zara Roth jany pe itni khushamad
Wasi Tum Bigaro gy Adat kisi ki,,,,,,,

Friday, September 10, 2010

Teri Nigaah Bhi Iss Daur Ki Zakaat Hui….

Teri Nigaah Bhi Iss Daur Ki Zakaat Hui….
Jo Mustahiq Hai Ussi Tak Naheen Pohanch pati …..

Hum Nai Muhabbaton K Nashy Mai Osy Khuda Bana Dala

Hum Nai Muhabbaton K Nashy Mai Osy Khuda Bana Dala
Hosh Tab Aya Jab Os Nai Kaha K Khuda Kesi Ik Ka Nahi Hota

Sending u 1000 smiles

Sending u 1000 smiles,take 1 for now,and keep the remaining 999 under ur pillow,pickout 1 every morning,because i want to see u smiling always.So be my Velantine today

Love b4 Marriage

Love b4 Marriage
Janu...tum nahe to mei nahe,
mei nahe to tum nahe.

Love after Marriage
"baghairta"...Aj tu nahe ya me nahe

Meri TalaSh ka jurm hai ya meri wafa ka Qasooor

Meri TalaSh ka jurm hai ya meri wafa ka Qasooor
jO diL k Qareeeb aya... wOhi bewafa NikLa

zara si baat pr barson k yaarany gye

zara si baat pr barson k yaarany gye
chalo acha hua... kuch log pehchany gye

Thursday, September 9, 2010

Koi naa jaan saka woh kahan se aaya tha,

Koi naa jaan saka woh kahan se aaya tha,
Aur us ne dhoop se baadal ko kyon milaya tha,

Yeh baat shayed logon ko pasand aayi nahin,
Makaa’n chota tha lekin bohat sajaya tha,

Woh ab wahan hai jahan raste nahin jate,
Main jis ke sath yahan pichle saal aya tha,

Suna hai us pe chehekne lage hain parindey bhi,
Woh aik pau’daa jo hum ne kabhi lagaya tha,

Chiragh doob gaye kapkapaye honton par,
Kisi ka hath hamare labo’n tak aya tha,

Badan ko chorr ke jana hai aasman ki taraf,
Samundro’n ne humain yeh sabaq parhaya tha,

Tamam umar mera da isi dhuyain mein ghutta,
Woh ik chiragh thaa meine usey bhujaya tha..

ablapa koi is dasht main aya hoga

ablapa koi is dasht main aya hoga
warna andhi main diya kis ne jalaya hoga

zarre zarre pe jare honge kunware sajde
ek ek but ko Khuda us ne banaya hoga

pyas jalte huye kanton ki bujhai hogi
riste pani ko hatheli pe sajaya hoga

mil gaya hoga agar koi sunahari patthar
apna tuta hua dil yad to aya hoga

khun k chinte kahin poch na len rehron se
kis ne wirane ko gulzar banaya hoga

Main Bus Itna Janta Hon Tere Baghair

Main Bus Itna Janta Hon Tere Baghair
Zindagi Hayat Nahi... Mout Nijaat Nahi

Wednesday, September 8, 2010

Hum jab nibhaty hein to is tarha nibhaty hain

Hum jab nibhaty hein to is tarha nibhaty hain
Saans to toot sakti hai mager Daaman-e-yar nahi

Ajeeb Zulam hOwe hain, Duniya mein Mohabbat Per,

Ajeeb Zulam hOwe hain,
Duniya mein Mohabbat Per,

Jinhen mili
Unhein qadar nahi,

Jinhen Qadar Thi
Unhein milli nahi….

Chandani Ko Sagar Siddiqui Shayari

Chandani Ko Sagar Siddiqui Shayari

Chandani Ko Rusul Kehta Hun
Bat Ko Bausul Kehta Hun

Jagamagate Hue Sitaron Ko
Tere Pairon Ke Dhul Kehta Hun

Jo Chaman Ke Hayat Ko Das Le
Us Kali Ko Babul Kehta Hun

Ittefaqan Tumhare Milane Ko
Zindagi Ka Husul Kehta Hun

Aap Ke Sanvali Si Surat Ko
Zauq-e-yazdan Ke Bhool Kehta Hun

Jab Mayassar Ho Sagar-o-mina
Barqparon Ko Phul Kehta Hun

Abhi Masroof hon kafi, kabhi fursat me sochun ga

Abhi Masroof hon kafi, kabhi fursat me sochun ga
Ke tujh ko Yaad rakhne main, main kya kya bhol jata hun…..

Tuesday, September 7, 2010

Apna Tawaan ly k Choory ga

Apna Tawaan ly k Choory ga
Ishq hai... Jaan ly k Choory ga

Main Tujy Bhula B Doon

Main Tujy Bhula B Doon
Khud Ko Mita B Doon Jala B Doon
Phir B Meri Rooh Mera Jism , Meri Jaan
Mery Dil Ki Sakoot Dherknain
Tera He Naam Laiti Rahain Gi
Sawal Kuch Hoga
Jawab Main , Main Sirf Tujy He Mangoon Ga
Main Tujy Kaisy Bhula Doon
Derd K Uss Kharund Ko Jo Bherta Ja Raha Hai
Meri Jaan Kaisy Sula Doon
Kaisy Main Apny Dil Ko Tassalli Doon
K Muhabbat Main Haar B Hooti Hai
Ae Kismat Bana`ny Waly
Ager Tu Dil Main Muhabbat Deta Hai,chahat Deta Hai
To Phir Ussy Wo B De Jo Uss Ki Chahat Hai
Ae Dil_e_nadan Bass Itna Samaj Loo
K Andhi Aye Thi
Sab K Gher Mehfooz Rahay
Berbad Hova To Sirf Mara Gher .

Monday, September 6, 2010

Tum ko ahl-e-zameen pe bhorosa nahi

Tum ko ahl-e-zameen pe bhorosa nahi kia dastan-e-kehkashan sunain tumhe
Guzri hain jo dard-o-alm ki raatain yahan kia dastan-e-shabistan sunain tumhe

Waqt-e-namaz safon may behta hai ab tu lahoo
kat ke girtien hain gardanain munmbr-e-rasool pea b kia dastan-e-shehedan sunain tumhe

raakh ke dhair may mai dhondta hon apna aashiyan
barbadi-e-shehar ki kaisi chali hawa kia dastan-e-veeraniyan sunain tumhe

zulmaton ka ye kaisa dor chala chahai hai har soo verani yahan
aasman bhi heeran hai taarey bhi timtimatey nahi kia dastan-e-nohaan sunain tumhe

chunn kr har kanta bana saktey they tujh ko chamman
sharminda hain aye arz-e-pak tujh se teray sapoot kia dastan-e-shikastan sunain tumhe

Suno jaana mujhe tanha kabhi

Suno jaana
mujhe tanha kabhi
jab chhod kar jaana!
Mere sapno(n),
meri aankhon,
meri purshor dhadkan ko,
tumhare hi liye khilte huye ghamgeen honton ko,
bata jaana,
.
ke jaana, baad tere,
mausamon ki rut badalni hai,
wo aankhen jo tumhari bas tumhari muntazir thi,
bahd tere unpe ab bas ashq-e-hijraan ka basera hai,

wo dhadkan jo tumhari wajha se har baar dhadki,
uska mustakbil andhera hai,

wo lab jo muskurate they faqat tum se unhi pe gham ka dera hai,

ke jaana,

baad tere zindagi ki khwaahishon ne dam hi toda hai

Socha Na Tha Yeh Din Aayega,

Socha Na Tha Yeh Din Aayega,
Is Awara Dil Ko Tu Bha Jayega
Nachegi Dharti Amber Zhoom Uthega,
Anjaan Nagri Mein Sanam Mil Jayega

Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta

Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta,
Apne jazbon se yeh rangeen shararat na karo,

Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo,
Baar’haa tum se kaha tha ke mohabbat na karo..

Sunday, September 5, 2010

Tumhara zarf hai tumko mohabbat bhool jati hai

Tumhara zarf hai tumko mohabbat bhool jati hai
Hamay tu jisnay bhi hans kar pukara yaad rahta hai

Sadain aik si yaksaniyat mai doob jati hain
Zara sa mukhtalif jisnay pukara yaad rahta hai

Muntazir The Teri Anayat Ke

Muntazir The Teri Anayat Ke,
Kuch To Kia, Chalo Tabah Hi Sahi

Diwar pe larza hai to dhar kamp raha hai

Diwar pe larza hai to dhar kamp raha hai
Bichare ho to ojhara hoa ghar kamp raha hai

Tum ankh ki patali me chope sach ko bhi daikho
Mujram to nahin hai wo agar kamp raha hai

Weran hai is darja tere bad mera dil
Iss sheher me ate hoe dar kamp raha hai

Ikk main k judai ne mujhe kar dia sakat
Ikk to hai k sadame se odhar kamp raha hai

Anghan ko palat jaon na main chor k uss ko
Sehra main mera khawab safar kamp raha hai

Yaa to meri benai pe hai khof mosalat
Yaa nehar k pani me shajar kamp raha hai

Tujhe nahin don ga main kabhi hijhar k sadme
Dil me teri yadon ka sharer kamp raha hai

Saturday, September 4, 2010

Meri aankhon main Ansu aaye na hote

Meri aankhon main Ansu aaye na hote,
Wo humein dekh kar muskuraye na hote,

Sochti hun aksar tanhai may main,
Meri zindagi main kash wo aaye na hote,

Na tarapte hum unke liye itna,
Dil ne khawab unke sajaye na hote,

Naa toot kar bikharti main is kadar,
Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote….

Dhondhti Phirti Hai Dasht_o_Beyaban Mein Hume

Dhondhti Phirti Hai Dasht_o_Beyaban Mein Hume
Zindgi Hum Se Bichir Ker Khud Bhi Pachtai BOhat

WELCOME TO "GOOD NIGHT RESTAURANT"

WELCOME TO "GOOD NIGHT RESTAURANT"
Menu:
*Warm Pillow
*Hot blanket
*Soft Bed
*Sweet Dreams
*Sound Sleep
Have A great visit;-)

Friday, September 3, 2010

whenever i beat you

Father to son:
whenever i beat you,
you dont get annoyed,
how you control your anger?

son: i start cleaning the toilet
seat with your toothbrush

Night Is A Theater Dream Is A Movie

Night Is A Theater

Dream
Is A
Movie
...
God
Is The
Director,

Nature
Is The
Producer

U R
The Hero
"Enjoy"
The Night With Sweet Dreams...:-)

Juda huye hain bohat log ik tum bhi sahi

Juda huye hain bohat log ik tum bhi sahi
Ab itni si baat pe kya zindagi haraam karain

Rakhta hai mujay thaam kar, girney nahi deta?

Rakhta hai mujay thaam kar, girney nahi deta?
Main toot bhi jaon tou bikharney nahi deta.

Is darr se kahin kaanta na chub jaye haath mein,
Wo phool bhi mujh ko pakarne nahi deta.

Wo is qadar hassaas hai mohabbat mein meri?.
K koi bhi ghum meray seenay mein wo palney nahi deta.

Jis raat ki tareeki se aata hai mujay khouf?
Us din ko phir raat mein wo dhalney nahi deta…

Thursday, September 2, 2010

Bas Itna Yaad Hai Ke Mujhe Ishq Hua Tha

Bas Itna Yaad Hai Ke Mujhe Ishq Hua Tha,
Phir Kia Hua Us Ki Mujhe Khabar Nahi

Kitna Bhi Chaho Na Bhool Paoge Hume

Kitna Bhi Chaho Na Bhool Paoge Hume
Jitni Door Jaoge Nazdik Paoge Hume
Mita Sakte Ho To Mita Do Yaaden Meri
Magar Kya Sanso Se Juda Kar Paoge Hume

Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai

Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon

Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon

Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon

Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon

Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon

Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon

Kash Main Aik Kash Tum Bhi Ho – 4 Lines Shayari

Kash Main Aik Kash Tum Bhi Ho – 4 Lines Shayari

Meri Zindagi Kay Raaz Main Aik Raaz Tum Bhi Ho
Meri Bandagi Ki Pyas Main Aol Pyas Tum Bhi Ho
Tum Kia Ho Kuch To Ho Yaa Kuch Nahi Magar
Meri Zindagi Ki Kash Main Aik Kash Tum Bhi Ho

Mujh se har baar wo Nazrain chura leta hai

Mujh se har baar wo Nazrain chura leta hai
Main ne Kaghaz pr b bana k dekhi hain Ankhain Uski

Wo shakhs jis ko samajhny me mujh ko umr lgi

Wo shakhs jis ko samajhny me mujh ko umr lgi..
Bichar k mujh se... ksi ka na ho ska hoga..

Dil Lagi Thi Usey Hum Se Mohabbat Kab Thi

Dil Lagi Thi Usey Hum Se Mohabbat Kab Thi
Mehfil-e-Gair Se Un Ko Fursat Kab Thi
Hum Thay Mohabbat Main Lot Jane K Qabil
Us K Wadoon Main Wo Haqiqat Kab Thi?

Last night I sent an angel 2 watch

Last night I sent an angel 2 watch
over u while u were sleeping but
it came back early! So I asked it why?
It said that angels don't watch over other angels!
Good Morning :)

Wednesday, September 1, 2010

Bakra Eid SMS

Zibah Kertey Waqt
Jaanwar Ko Qibla Rukh Ker Lena Mustahib Hai
(Ibn Khuzema)

Qurbani Kertey Waqt Ki Dua:
“Bismillahi Wallahu Akber”
(Sahih Bukhari O Muslim)

Khud Zibah Kerna Afzal Hai
Lekin Kisi Doosrey Se
Zibah Kerwaney Main Bhi Koi Herj Nahi
(Sahih Bukhari)

Musalman Aurat Bhi Qurbani Ka
Janwar Zibah Ker Sakti Hai
(Sahih Bukhari)

Zibah Kerney Waley Qasaab Ko
Qurbani Ke Jaanwar Main Se
Koi Cheez Batorey Mazduri Dena Jaez Nahi
(Bukhari O Muslim)

(Bakra Eid SMS)

ham rashk ko apne bhi gawara nahin karte

ham rashk ko apne bhi gawara nahin karte
marte hain wale un ki tamanna nahin karte

dar parda unhen gair se hai rabt-e-nihani
zahir ka ye parda hai k parda nahin karte

yah bais-e-naumidi-e-arbab-e-hawas hai
Galib ko bura kahte ho acha nahin karte

Naa Jaane Kyn nazar Lagi Zamane Ki

Naa Jaane Kyn nazar Lagi Zamane Ki
Ab Wajah Milti Nhi Muskurane Ki

Tumhara Gussa Hona To Jayaz Tha,
Humari Aadat Chut Gayi Manane Ki

Zindagi ka jo me adi ho gea us k beghair

Zindagi ka jo me adi ho gea us k beghair
Phir muje us ki zarorat kam se kam hoti gai

3 Poltri Forms ki Inspection ho rhi thi

3 Poltri Forms ki Inspection ho rhi thi
Inspector: Tum Choozo ko kya dety ho
pthan: Bajra
Inspector Wrong Food
Arest him
Inspector: Tum kya dety ho
Punjabi: Rice
Inspector: ghalat hy & arest him

Sardar ghabra k bola: assi ty sary Choozeyan nu 5, 5 rupy dy deny aan, k jo mrzi kha Lo!

DREAM - More THINK

DREAM - More
THINK - High
CHOOSE - Best
ANALYZE - Twice
PLAN - Perfect
BE - Confident
WORK - Hard
EXECUTE - Well
Then
SUCCESS - Is YOURS