Saturday, March 31, 2007

Aur Dino Ka Hisab Rehnay Do,

Aur Dino Ka Hisab Rehnay Do,
Ye Batao Eid Pe Yaad Karo Gey….??

kisi ko dek dil koi nawsanj-e-fugan kyon ho

kisi ko dek dil koi nawsanj-e-fugan kyon ho
na ho jab dil hi sine main to phir munh main zuban kyon ho

wo apni khu na chorenge ham apni waza kyon badlen
subuksar banak kya puchen k ham se sargiran kyon ho

kiya gamkhwar ne ruswa lage ag is muhabbat ko
na laye tab jo gam ki wo mera razdan kyon ho

wafa kaisi kahan ka ishq jab sar phorna thahra
to phir ai sangdil tera hi sang-e-astan kyon ho

qafas mein mujh se rudad-e-chaman kahte na dar hamdam
giri hai jis pe kal bijli wo mera ashiyan kyon ho

ye kah sakte ho ham dil mein nahi hain par ye batao
k jab dil main tumhin tum ho to ankhon se nihan kyon ho

galat hai jazba-e-dil ka shikawa dekho jurm kiska hai
na khincho gar tum apne ko kashakash darmiyan kyon ho

ye fitna admi ki khanawirani ko kya kam hai
hue tum dost jisk dushman uska asman kyon ho

yahi hai azmana to satana kis ko kahte hain
adu k ho liye jab tum to mera imtihan kyon ho

kaha tumne k kyon ho gair k milne mein ruswai
baja kahte ho sach kahte ho phir kahiyo k han kyon ho

nikla chahta hai kam kya tanon se tu "Ghalib"
tere bemahar kahne se wo tujh par meharban kyon ho

Ahmed Faraz – Two Lines Shayari

Ahmed Faraz – Two Lines Shayari

Usne Jaan Keh Kar Pukara To Hill Gai Mere Dil Ki Zameen FARAZ…!!!
Peechay Murr Kar Dekha To Wo Mukhatib Kisi Or Se Tha…!!!

chal saath kay hasrat dil marhoom say niklay

chal saath kay hasrat dil marhoom say niklay
aaashq ka janaza hai zra dhoop sa niklay

Friday, March 30, 2007

Ek Lafz Wafa suna tha

Ek Lafz Wafa suna tha
Dhoonda Bohat mila hi nahi...

Kamar bandhay chalnay ko yan sab yaar bethay hen

Kamar bandhay chalnay ko yan sab yaar bethay hen
bohat aagay gayay, baqi jo hen tayyar bethay hen

Na chhaird aay nihat e baad e bahari rah lag apni
tujhay ithkalyan soojhi hen, ham bbaizaar bethay hen

Tasawwur arsh par hay aur sar hay paayay saqi par
gharz kuch aur hi dhun mein is ghardi maikhuwar bethay hen

ye apni chaal hay uftadgi say ab keh pehron tak
nazar aaya jahan par saaya e deewar bethay hen

Kahan sabr o tahammul aah nang o naam kia shay hay
yahan ro peet kar in sab ko ham yakbaar bethay hen

Bhala gardish falak ki chain deti hay kisay INSHA
ghanimat hay keh ham soorat yahan do chaar bethay hen

Tum jao humse door to ek kaam kr jana

Tum jao humse door to ek kaam kr jana
Kch pal apna hmre naam kr jana
Agr ajae mout hume tre aane se phly
To aa kr mre janazy ka ehtram kr jana
Na rona is qadar k takleef ho hume
Mout ko b mazaq smj kr anjaan ban jana
Maine ek din so jana hai sada k liye
Phir mujhe bewafa khe kr badnaam kr jana
Jo guzro mri qabar se to nazre na phairna
Mehman hi ban k dua salam kr jana

Rootha Agar Tujh Say To Iss Andaaz Say Roothoon Ga.

Rootha Agar Tujh Say To Iss Andaaz Say Roothoon Ga.
Teray Shehar Ki Matti Bhi Meray Wajood Ko Trsay Gi.

Har baat mein mahke huye jazbaat ki khushboo

Har baat mein mahke huye jazbaat ki khushboo
Yaad aayi bahut pahli mulaqaat ki khushboo

Chhup chhup key nayi subah ka munh choom rahi hai
In reshmi zulfon mein basi raat ki khushboo

Mausam bhi haseenon ki adaa seekh gaye hein
Baadal hein chhupaye huye barsaat ki khushboo

Ghar kitne hi chhote hon ghane ped milenge
Shahron se alag hoti hai qasbaat ki khushboo

Honton par abhi phool ki patti ki mahak hai
Sanson mein rachi hai tiri soghaat ki khushboo

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
tere shanon pe koi chat nahin thi
mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya
kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manind
tu azad tha
raste teri marzi k tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha
magar jab aj tu ne
rasta badla
to kuch aisa laga mujh ko
k jaise tu ne mujh se bewafai ki

Geelay Kaagaz Ki TarhaN Hai Zindagi Apni

Geelay Kaagaz Ki TarhaN Hai Zindagi Apni
Koi Likhta bi Nahi Aur Koi Jalaata bi Nahi

Is Qadar Akailay Ho Gaye Hain Aaj Kal
Koi Satata bi Nahi Aur Koi Manaata bi Nahi

Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain

Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain ,
Rang Mein Doobi Hui Neend Say Bhari Aankhain ,
Meri Her Saans Ne Her Sooch Ne Chaha Hai Tumhain ,
Jab Se Dekha Hai Tumhain, Tab Se Saraha Hai Tumhain ,
Bas Gai Hain Meri Aankhon Mein Tumhari Aankhain ,
Tumjo Nazron Ko Uthao To Sitare Jhuk Jaain ,
Tumjo Palkon Ko Jhukao To Zamane Ruk Jaain ,
Kyun Na Banjain In Aankhon Ki Pujari Aankhain ,
Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaye ,
Tumjo Miljao Jeene Ka Bahana Mil Jaye ,
Apni Qismat Pe Kerain Naaz Hamari Aankhain.

Thursday, March 29, 2007

Wednesday, March 28, 2007

Jaan tu kis ke liye apni ganwaata hai Adeem

Jaan tu kis ke liye apni ganwaata hai Adeem
Khoobsurat hai woh lekin tera kya lagta hai

Sath Roti thi mere sath Hansa kerti thi,

Sath Roti thi mere sath Hansa kerti thi,
Ek Ladki jo mere Dil me basa kerti thi,

Meri chahat ki talabgaar thi is darja k,
wo musallay pe namazoo me dua kerti thi,

Rog dil ko laga bethi anjanay mein,
Meri Aghosh mer mernay ki dua kerti thi,

Baat kismat ki ha FAIZ juda ho gay “HUM”
Me jisam tha or wo kabhi ROOH hua kerti thi……

Ab din main kaif hai naa koi shaam hi main rang,

Ab din main kaif hai naa koi shaam hi main rang,
her shey sey es key jatay hi lazat chali gai..

Tuesday, March 27, 2007

Tera Naseeb hai Ae Dil Sadaa ki Mehroomi

Tera Naseeb hai Ae Dil Sadaa ki Mehroomi
Na Wo Sakhi hai... na Tujhe Maangny ki Aadat hai

Naazuk Hai Gharri Tuu Josh-e-Kuffar Dekh

Naazuk Hai Gharri Tuu Josh-e-Kuffar Dekh
Nishane Per Tu Hai Ghour Se Inka Sikar Dekh

Tuu Badd-Naseeb Hai Tujhe Yee Rehnuma Miley
Irb'a Ko Dekh Khulfa Ko Dekh Maazi Ke Tu Paar Dekh

Aese Hi Rehbaar Ki Tu KHooj Mein Lagg Jaa
Yaa Phir Pasti Mein Tu Apna Shumaar Dekh

Soorat Naa Dekh Seerat Ko Dekh
Seerat Ke NaqSh-o-Nigaar Dekh

Rung-o-Nasal Na Dekh Zabaa'n Naa Dekh
iLm-o-Amaal Aur Uskee Afkaar Dekh

Woo Jo Zulm ke Agay Datt Jaye Ya Katt Jaye
Samne Zalim ke Tu Uskaa Inkaar Dekh

Hoo Kalma-e-HaQQ Jis Ki Zubaa'n Pay Jaari
Aesa Tuu Koi Sipah-e-Salaar Dekh

Gaar Paa Liya Tuu Nay Aesa Banda-e-Momin
Phir Zulm Ki Saltanat Tuu Taar Taar Dekh

Umeed Ki Shama Ko Tuu Kabhi Bhujne Nahi Dena
Talash-e-Yaar Jaari Rakh Aur Baar Baar Dekh

Jis Ka Lafz Lafz Dil Pay Asaar Kare Hassan
Aesa Koi Sha'ir Dekh Koi QalamKaar Dekh

Naazuk Hai Gharri Tuu Josh-e-Kuffar Dekh
Nishane Per Tu Hai Ghour Se Inka Sikar Dekh

Hawaa se phir koi khushbu nayi kasheed karain

Hawaa se phir koi khushbu nayi kasheed karain
Nayi rutoN kay liye taazgi kasheed karaiN

Umid ki koi koNpal kabhi na murjhaaye
KhizaaN raseeda shajar se nami kasheed karaiN

Tamaam aablay kaaNtoN se chhaid hi daalaiN
Par aik lamha ko aasoodgi kasheed karaiN

Wo sab hawaalay jo dil maiN mere dhaRkte haiN
Ab un se kaisay hawaalaa koi kasheed karaiN

Kabhi tau jugnu ki soorat andhairi raatoN maiN
Safar ko khwab karaiN roshni kasheed karaiN

Kanaar-e-bahr-e-khyaal-e-hajoom-e-mauj-e-rawaaN
Sha'oor-e-raig se kuch aagahi kasheed karaiN

NikhaaraiN WARD kay pehlu maiN mosim-e-dil ko
Mahak churaayeN tau raNgat kabhi kasheed karaiN

Lafzon ki Justuju mein sub kuch Ganwa dia

Lafzon ki Justuju mein sub kuch Ganwa dia
Wo ChaL dia’ Mein Tarz-e-Adaa Dhoondta raha
Usko Kisi ne RAB se maang liya aur mein
Sajdey men Gir k Harf-e-Dua dhoondta raha

Uss Ki Ankhoon Ko Kabhi Ghaur Se Dekha Hai Fraz

Uss Ki Ankhoon Ko Kabhi Ghaur Se Dekha Hai Fraz
Roney Wallon Ki Tarah Jagney Wallon Jaissi

Aaj phir aasmaan siskiyaa’n le le kar ro raha hai

Aaj phir aasmaan siskiyaa’n le le kar ro raha hai
Lagta hai kisi ki mohabbat me phir judaai ka mod aaya hai

Monday, March 26, 2007

Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha

Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha

Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha

Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha

Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!!!

Shab ko ho ga ufaq jaan se tera husan taloh

Shab ko ho ga ufaq jaan se tera husan taloh
Ye wo khorsheed hai jo din ko chopa rehta hai

Abhi Tum Beth Jao Na

Abhi Tum Beth Jao Na...
Bohat Si Baat Baqi Hai...
Mere Halaat Baqi Hain...
Abhi Jazbaat Baqi Hain...

"Suno"

Mujhay Tum Kyun Statay Ho..??
Mujhay Itna Rulatay Ho...
Mujhay Tum SE Muhabbat Hai...
Mujhay Kyun Aazmatay Ho..??

Tumhi Ko Yaad Karte Hain...
Tumhi Se Pyar KarteHain...
Meri To Zindgi Tum Ho...
Samajh Tum Kyun Na Patay Ho..??

Mujhay Tum Yaad Aatay Ho...
Meri To Har Khushi Tum Se...
Meri To Zindgi Tum Se...
Meri Hr Aarzoo Tum Se...
Mujhay Tum Kyun Statay Ho...

Sunday, March 25, 2007

Mujhe Apni Mehbooba Se Milne Ka Bara Shoq Tha

Mujhe Apni Mehbooba Se Milne Ka Bara Shoq Tha
Use Qareeb Se Dekne Ka Bara Shoq Tha

1 Din Likh Diya Khat Usko Sabr Kar K
Dil Me Armano Ki Qabr Kar K

Bholi Bhali Samaj Na Saki Mere Pyar Ko
De Diya Khat Apne Bhai Gulzar Ko

Me Ne Darya Ki 1 Bari Moj Dekhi
Jab Apne Peeche Gulzar Ki Foj Dekhi

Un K Maarne Se Jism Se Saaz Nikal Rahe The
Mun Se Agle Pichle Raaz Nikal Rahe The

Logon Ne Kaha Kis Pe Azaab Aaya He
Dil Ne Kaha Khat Ka Jwaab Aaya Hai

Hum Shajar thy Shajar hi rahy.

Hum Shajar thy Shajar hi rahy...
wo bdalta rahaa Mosamon ki trah

Saturday, March 24, 2007

Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei

Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mei

Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood
Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mei

Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mei

Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mei

Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mei

Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mei

Samny Manzil Thi or Peechay Us Ki Awaz

Samny Manzil Thi or Peechay Us Ki Awaz
“Rukta to Safar jata,Chalta To Bichar jata

“manzil ki b hsrat thi or us se muhabat b
“ae dil ye bta mujh ko us waqat kidhr jata

“muddat ka safar b tha or brson ki shanasai
“rukta to bkhar jata chlta to me marjata.

Kisi bhi zakham ka dil per asar na tha koi

Kisi bhi zakham ka dil per asar na tha koi
Yeh baat jab ki hai jab chaaragar na tha koi

Banaye jaaon kisi aur ke bhi naksh-e-qadam
Yeh kyon kahoon ke mera hamsafar na tha koi

Jissay Tum Zindagii Jano

Jissay Tum Zindagii Jano
Tumhain WO Rog Kahta Ho
Kay Jis Nay Khud Hi Chahat Say Tumhara Haath Thama Ho
Wo Apnay Dil Kay Darwaze
Tum Hi Per Band Kar Day To Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Tumhain Sangsar Kar Nay KO Jo Sang Bantay Loogon Mein
Saba KO Roknay KO Qafal Dalay Dareechon Mein
Kar Kay Band Ghar Kay
Saans Per Pehray Lagay To?
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Ye Kis Nay Kah Diya Tum Say
Mohabbat Mar Nahi Sakti
Kay Jab Koi Tumhain Jaan Say Guzar Janay KO Kahta Ho
Aadhi Raah Mein Khud Hi Mur Janay KO Kahta Ho
Wo Apni Bewafai Ka Khud Hi Aitraf Kar Lay To?
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai

Kya Khabar Thi Is Tarah Se

kya khabar thi is tarah se wo juda ho jayega
khwab mein bhi us ka milana khwab sa ho jayega
zindagi thi qaid hamen kya nikaloge us se
maut jab aa jayegi to khud riha ho jayega
dost banakar us ko chaha, ye kabhi socha na tha
dosti hi dosti mein wo khuda ho jayega
us ka jalva hoga kya jisaka ke parda nur hai
jo bhi us ko dekh lega wo fida ho jayega

Friday, March 23, 2007

Tum Beshak Le Lo Jaan Meri

Tum Beshak Le Lo Jaan Meri,

Be-chain Rakho Din Raat Mujhe,

Tarsaya Kro Tarpaya Karo,

Chahe Milne Bhi Na Aaya Karo,

Aur Waady Bhi Na Nibhaya Karo,

Chahe Qaid Rakho Tum Khuwabo'n Main,

Din Raat Rakho Azaabo'n Main,

Meri Aankho'n Ko Purnam Kr Do,

Aur Zindagi Pekar-e-Gham Kar Do,

Lekin Meri Dukhti Rag Na Chua Karo,

Mujh Se Naraaz Na Hua Karo.

Thursday, March 22, 2007

arzuen hazar rakhte hain

arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko mar rakhte hain

barq kam hausla hai ham bhi to
dil ek beqarar rakhte hain

gair hai murad-e-inayat hae
ham bhi to tum se pyar rakhte hain

na nigah na payam na wada
nam ko ham bhi yar rakhte hain

ham se khush zam-zama kahan yun to
lab-o-lahja hazar rakhte hain

chote dil k hain butan mashur
bas yahi aitbar rakhte hain

phir bhi karte hain "Mir" sahib ishq
hain jawan ikhtiyar rakhte hain

Mohabbat Farz Jaisi Hai

Mohabbat Farz Jaisi Hai,
Nibhana Seekh Jaoge,
Dilon Pe Qarz Jaisi Hai,
Chukana Seekh Jaoge,
Labon Pe Phool Jaisi Hai,
Khilana Seekh Jaoge,
Nazar Main Aag Jaisi Hai,
Lagana Seekh Jaoge,
Tum Tak Faasla Jo Hai,
Mitana Seekh Jaoge,
Kabhi Jo Dil Main Aa Baithay,
Zamana Bhool Jaoge

2 Lines Shayari in Hindi Sms

2 Lines Shayari in Hindi Sms

Unke Jane Ke Bad Aisi Udasi Chayi H A Dost
K Prinde B Mera Saher Chod Gye.

Teri hi yaad’on ka chehra chamka hai..

Teri hi yaad’on ka chehra chamka hai..
Jab bhi tanhai key sholey bharkey hein.!!

Jb gharz hui tb yaad kia, Jb waqt mila tb waar kiya

Jb gharz hui tb yaad kia, Jb waqt mila tb waar kiya
Ab aur hqeeqat kia likhun is dour k mukhlis doston ki

Wednesday, March 21, 2007

Ghareeb maan apne bachon ko bare pyar se yun manati hai

Ghareeb maan apne bachon ko bare pyar se yun manati hai
Phir bana lain ge naye kapre yeh Eid to har saal ati hai

Kaise Ye Mohabbat Ki Shiroat Howi Hai

Kaise Ye Mohabbat Ki Shiroat Howi Hai
Khud Mujh Se Juda Aj Meri Zaat Howi Hai
Jata Hai Usse Simt Meri Soch Ka Dhara
Jis Shakhs Ke Hatho Se Mujhe Maat Howi Hai

Khayalon main faqat ek sholah e awaaz baki hay

Khayalon main faqat ek sholah e awaaz baki hay
Na koi geet baki hay na koi saaz baki hai

Sab apney bhayd ham nay faash kar daalay zamanay par
Magar jo tuj sey kehna tha wohi ek raaz baki hai

Khudaawand hamien phir sey naii ek zindagi dey dey
Bareeda par hain lekin hasrat e parwaaaz baki hai

Nazar main raat k pichhlay pehar jesi khamoshe hay
Magar dil k dharakne ka wohi andaaaz baaki hai

Qateel is ehd-bey-maani main lafzon ka hay yeh aalam
Ke maani ho gaye rukhhsat faqat awaaaz baki hai

Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota

Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota

Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota

Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota

Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota

Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota

Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota

Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna[black] Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota

Tuesday, March 20, 2007

Bikta Tou Nahi Hun, Na Mere Daam Bohat Hain

Bikta Tou Nahi Hun, Na Mere Daam Bohat Hain
Rastay Mein Para Hun Ke Utha Le Koi Aa Kar

Dua-e-neem shab Sada-e-aarzo Wisaal-e-yaar ke

Dua-e-neem shab
Sada-e-aarzo
Wisaal-e-yaar ke
Khayal-o-Khwab main
Jo ho gayi magan
To lafz kho gaye
Dua-e-neem shab
Adhoori reh gayi
Jo baat thi buhat
Zaroori, reh gayi

Meri jaan tum se apna aap pyara koun kerta hay

Meri jaan tum se apna aap pyara koun kerta hay
Marz dene lage taskeen tou chara koun kerta hay

kayi gumnaam khushian phoot'ti hain raat bher dil mein
Na jane khwab mein aa ker ishara koun kerta hay

Kabhi socha nahin tum ne k tum ko aik muddat se
Samay ki oot mein chup ker pukara koun kerta hay

Abhi tou mil k chalte hain samander ki musafat ko
Phir us k baad dekhain gaye kinara koun kerta hay

Ghata'ayen koun lata hay meri ankhon k mousam mein
Phir us k baad barish ka nazara koun kerta hay

Ghar walon se torr ke naata, kis ne paya sukh

Ghar walon se torr ke naata, kis ne paya sukh
Kahan phiro ge shayer sahab, dast-e-sawaal liye

Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna

Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna
Kabhi milay to yehi baat Usay kehna

Wo sath thee to zamana tha hamsafar mera
Magar ab koi nahi meray sath usay kehna

Usay kehna k bin us kay din nahi kat-ta
Sisik sisik k kati hai raat usay kehna

Usay pukaron k khud hi pohanch jaon us k pass
Nahi rahay wo halaat usay kehna

Agar wo phir bhi na lotay to a meray dosto
mere dard-e-dil k Halaat usay kehna

Har jeet us k naam kar raha hon main
Me Manta hoon apni Haar usay kehna

Tujh Say Naraz Nahin Zindagi Hairan Hoon Mein

Tujh Say Naraz Nahin Zindagi Hairan Hoon Mein
Tere Masoom Sawalon Se Pareshaan Hoon Mein
Jeeney K Laye Socha Hi Naa Tha Dard Sambhalney Hoongey
Muskuraon To Muskuraney K Qarz Utarney Hoon Ge
Muskuraon Kabhi To Lagta Hai

Jaisey Honton Pe Qarz Rakha Hai

Tujh Se Naraz Nahin Zindagi Hairan Hoon Mein
Aaj Agrr Bharr Aai Hain Boondein Baras Jaingee
Kall Kiya Patta, Un K Laye Aankein Tarass Jaingee
Janey Kahan Gum Hua Kahan Khoiya
Ekk Aansu Chuppa K Rakha Thaa

Tujh Se Naraz Nahin Zindagi Hairan Hoon Mein
Zindagi Tere Gham Ne Hamein Rishtey Naye Samjhaye
Milley Jo Hamein Dhoop Mein Milley Chhaon K Thandey Saye
Tujh Se Naraz Nahin Zindagi Hairan Hoon Mein

mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahle

mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahle
apni manzil ko pahunch jaun qaza se pahle

ik nazar dekh lun a jao qaza se pahle
tum se milne ki tamanna hai Khuda se pahle

hashr k roz main puchunga Khuda se pahle
tu ne roka nahin kyun mujhko khata se pahle

ai meri maut thahar unko zara ane de
zahar ka jam na de mujhko dawa se pahle

hath pahunche bhi na the zulf dota tak "Momin"
hathkari dal di zalim ne khata se pahle

mohabbat cheez kya hai tum kabhi mujh ko jo batlao

mohabbat cheez kya hai tum kabhi mujh ko jo batlao
meri her soch kis liye bas tum se he mansoob rehti hai?
batao kis liye jana?
na meri soch sathi si,
na mera pyar sathi sa,
na mai pagal sa majnu hun,na mai kasa liye gada
toh phir mai kiun aseer-e-dard hun?
batao kis liye jana?
kabhi jab shaakh se ik phool juda ho,
kabhi jab shaam ko suraj dheere se tuloo ho,
kabhi jab ankh se be-kal sa aansoo tapak jaye,
kabhi barish ki rim jhim mai achanak dhoop a jaye
toh tum kiun bin bulaye mehmaan ban k chale ate ho?
batao kis liye jana?
muhabbat cheez kya hai tum kabhi mujh ko jo batlao
keh mai anjaan hun iss dard ki pur-kaif lazat se
hosake toh itna kaam ker dena
mujhe qaidi parindon ko abhi azad kerna hai

Monday, March 19, 2007

Mere QataL ka Irada ho tou khanjar se waar na krna

Mere QataL ka Irada ho tou khanjar se waar na krna
Mere marne k Lye kafi ha tera Auron se pyar karna.’

Main azal ki shaakh se toota hua,

Main azal ki shaakh se toota hua,
Phir raha hoon aaj tak bhatka hua,

Dekhta rehta hai mujhe ko raat din,
Koi apne takht per betha hua,

Chand taare dur peechey reh gaye,
Main kahan par agaya urta hua,

Band khirki se hawaa ati rahi,
Aik sheesha tha kahin toota hua,

Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per,
Saarey kamre mein hai woh phelaa hua,

Apne maazi ka samundar chaaniye,
Ik khazaana hai yahan dooba hua,

Doston ne kuch sabak aese diye,
Apne saaye se bhi hoon sehma hua,

Kis ki aahat atey atey ruk gayi,
Kis ne mera saans hai roka hua?

Kabhi Taqdeer Ka Matam Kabhi Mehboob Ka Shikwa

Kabhi Taqdeer Ka Matam Kabhi Mehboob Ka Shikwa,
Aye Manzil-e-Mohabbat Tere Har Morr Pe Rona Aaya

Woh kehti thi ke roone se nahi badalte Naseeb

Woh kehti thi ke roone se nahi badalte Naseeb,
Un ki is baat ne umer bhar Roone na diya.

Najanay dushmanoon ki konsi baat yaad aa gai

Najanay dushmanoon ki konsi baat yaad aa gai
Labon tak aatay aatay bad-dua hi aur ho gai

Sunday, March 18, 2007

Jo haal tera... wo haal mera... to haal Q phr be'haal sa hy

Jo haal tera... wo haal mera... to haal Q phr be'haal sa hy
Hamara milna kuch is trah se... Ajeeb hy pr kamaal sa hy

Junoon ki kaed mien ye dil per goobar kaisa hai

Junoo"n ki kaed mien ye dil per goobar kaisa hai
Nasha jo piyar men na tha to khoomar kaisa hai

Chuly gaey jo gum-e-hijr se aleel kar ke mujhy,
kiyon gaer se poochty hen ke beemar kaisa hai

Jub bhi rootha to meri ankhon men numi bhar aai,
Wo kia jany ke manany men karar kaisa hai

Tum jo kahty ho ke eeman namazon men hy,,
To phir moola ye musjidon men intishar kaisa hai

Bikhar gai he meri zaat apni tunhai men,
Ab ginoo jo shubha-e-hijr to shumaar kaisa hai

diya jala ke wafaon ka men betha cokhut per,
hawa ne zor se bujha kar kaha ye intazar kaisa hai

Main manita hon ke wo kisi aur ka hai
magar munn ko iss hakeekat se inkaar kaisa hai

har terha k jazbat ka aelaan hain ankhen

har terha k jazbat ka aelaan hain ankhen

shabnam kabhi shola kabhi tufan hain ankhen

ankhen hi milati hain zamany main diloon ko

anjaan hain hum tum, ager anjaan hain ankhen

lab kuch b kahen is se hakikat nahi khulti

insaan k sach jhoot ki pehchan hain ankhen

ankhen na jhuken teri kisi ghair k agey

dunya main Meri Jan, bari cheeenz hain ankhen

Ak bar meri simt bhi uthi thein wo nazrain,

Ak bar meri simt bhi uthi thein wo nazrain,
Ik shab mere aangan main bhi utray they sitaray..

Saturday, March 17, 2007

Hazaar rang bhary zindagi k khaaky me

Hazaar rang bhary zindagi k khaaky me
Tere baghair ye tasveer na mukammal hy

Ghairon se kaha tum ne, Ghairon se suna tum ne

Ghairon se kaha tum ne, Ghairon se suna tum ne,
Kuch hum se kahaa hota, kuch hum se suna hotaa..

Meri jaa.n sochti hon main

Meri jaa.n sochti hon main
Agar tum mil na paay tu
Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaao.n gi!
Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaao.n gi!!
Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoo.n gi!!!

meri jaa.n sochti hon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi!
Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoo.n gi!
Jo aadhi um’r jeeni hay
Wo main kaise bitaao.n gi!!

Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoo.n gi!
Teri yaadai.n jo aae.n gi
Mujhe pal pal rulai.n gi
Merey Anchal ko kainchai.n gi
Mujhe kutch gud-gudai.n gi

Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi!!
Jo baatai.n tum sey karti hon
bhala kis ko bataao.n gi!
Naya jab sher likhoo.n gi
Tu main kis ko sunaao.n gi!!

meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoo.n gi!
Meri jaa.n Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoo.n gi

Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai

Tark-e-ta’alluq kar tou chukay hain, aik imkaan abhi baaqi hai
Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai

Shayad us ne hansi hansi mein, tark-e-wafa ka zikr kiya
Yunhi si ik khush-fehmi hai, itmenaan abhi baaqi hai

Raat’ain us k hijr mein ab bhi, naza’a kay aalam mein kat’ti hain
Dil mein waisi hi wehshat hai, tann mein jaan abhi baaqi hai

Bachpan k is ghar k saray kamray, maliya-mait huay hain
Jis mein hum khaila karty thy, wo daalan abhi baaqi hai

Diye mundair pe rakh aaty hain, hum har sham najanay kyun
Shayad us k laut aany ka, kuch imkaan abhi baaqi hai

Aik adalat aur hai jis mein, hum tum ik din hazir hongy
Faisla sun kar khush mat hona, aik mezaan abhi baaqi hai

Friday, March 16, 2007

Bus ik rasta hai ik awaz hai aur aik saya hai

Bus ik rasta hai ik awaz hai aur aik saya hai
ye kis ne aa k gehri neend se mjhko jagaya hai

bicharti aur milti sa'atooN k darmiyaN ik pal
yehi ik pal bachanay k liye sab kuch ganwaya hai

idhr ye dil abhi tak hai aseer e vehshat e sehra
udhr us aankh ne charooN taraf pehra bithaya hai

tumhain kaisay batain jhoot kya hai aur sach kya hai
na tum ne aaina dekha, na aaina dikhaya hai

hamain ik ism e aazam yaad hai wo sath hai, hum ne
kai baar aasmaN ko in zameenoN per bulaya hai

kahaN tak roktay aankhoN main abr o baad e hijraaN ko
ab aaye ho k jab ye shehr zair e aab aaya hai

Saleem ab tak kisi ko bad-dua di to nahin laikin
hamesha khush rahay jis ne hamra dil dukhaya hai

Dolat Ke Tarazoo Mein Tolo Toh Faqeer Hain Hum

Dolat Ke Tarazoo Mein Tolo Toh Faqeer Hain Hum
Dard-E-Dil Mein Hum Jaisa Nawaab Nahi Koi

Thursday, March 15, 2007

Mere liye itna kaafi hai ke,

Mere liye itna kaafi hai ke,
Mein apni sarzameen per maut dekhoon,
Aur yahin dafan hoon,
Aur is miti mein pighal kar phel jaaon,
Phir phool ki tarah zameen se bahar nikloon,
Mere des ke bache is ke sath khelein,
Mere liye itna hi kaafi hai
Ke mein apne watan ki gaud mein rahoon,
Is tarah jese muthi bhar gard,
Bahaar ki ghaas ki tarah,
Aik phool ki maanin…

Kehtay Hain Log k Main Nashay main Rahta hoon har dam

Kehtay Hain Log k Main Nashay main Rahta hoon har dam
Masoom hain Jaantay Nahin K Ye Khumaar Teray Hijr ka Ha

Eid Ul Fitr Shayari

Eid Ul Fitr Shayari

Like The Color Of Silver,
In Da Night Sky,
Da New Moon Rises,
Da Holly Month Has Past,
Da Fasting Is Over,
Tomorrow Is Da Gr8 Feast Of Eid-Ul-Fitr.

We’ll Eat Spicy Chicken,
Nd Mouthwatering Pakoras,
I’ll Call Ma Neighbour,
Nd Friends On Da Street,

wafa k shish mahal mein saja liya main ne

wafa k shish mahal mein saja liya main ne
wo ek dil jise patthar bana liya main ne

ye soch kar k na ho tak mein khushi koi
gamon ki ot mein khud ko chupa liya main ne

kabhi na khatm kiya main ne roshani ka muhaz
agar chirag bujha, dil jala liya main ne

kamal ye hai k jo dushman pe chalana tha
wo tir apne kaleje pe kha liya main ne

'Qateel' jiski adawat mein ek pyar bhi tha
us admi ko gale se laga liya main ne

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha
Neend Mein Saari Raat Chalta Raha

Jaanay Kis Dukh Se Dil Girifta Tha
Mun Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha

Mein Tou Paaon Ke Kaantay Chunti Rahi
Aur Wo Raasta Badalta Raha

Raat Galyon Mein Jub Bhatakti Thi
Koi Tou Tha Jo Saath Chalta Raha

Sard Rut Mein, Musaafiron Ke Lye
Payrr, Ban Kar Alaao, Jalta Raha

Mausami Bel Thi Mein Sookh Gayi
Wo Tanaawar Darakht, Phalta Raha

Dil, Mere Tan Ka Phool Sa Bacha
Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha

Neend Hee Neend Mein Khilonay Lye
Khwaab Hee Khwaab Mein Behelta Raha

Dekha mujhe toh tarke taluk ke bawajood .

Dekha mujhe toh tarke taluk ke bawajood .
woh muskura diya yeh hunar bhi usi ka tha.,.

Wednesday, March 14, 2007

Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye

Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye

Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye

Tum Ne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Saktay Thay

Tum Ne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Saktay Thay
Terey Aansoo Meri Aankhoon Se Nikal Saktay Thay
Tum To Theray Rahay Jheel K Pani Ki Terhan
Derya Bantay To Bohat Door Nikal Saktay Thay

Ye zard rang meray hall ki gvahi hai

Ye zard rang meray hall ki gvahi hai..
K Ishq sabz nhi chorta..
Agr ho jaye..!

Kia Zaroori Hai Ke Hum Haar Ke Jeetien Tabish

Kia Zaroori Hai Ke Hum Haar Ke Jeetien Tabish
Ishq Ka Khel Baraber Bhi To Ho Sakta Hai,,,

Tuesday, March 13, 2007

Teh ho choka hai kitna safr khabar nahin

Teh ho choka hai kitna safr khabar nahin
Main ajnabi hon aur pur israr raste

Chupke chupke faryad kia kertay hain

Chupke chupke faryad kia kertay hain,
Har pal hum apko yad kia kertay hain,

Yeh hum nahin kehtay ghar wale kehtay hain,
k nend main bhi hum aapka naam lia kertay hain

Aaj woh hamse jannat mein takra gaye

Aaj woh hamse jannat mein takra gaye,
Aaj woh hamse jannat mein takra gaye,
Aur hamare dil se awaaz nikli,
“Fitteh Moon” Tum idhar bhi agaye

Monday, March 12, 2007

jitni mehroom tamannayen hain

jitni mehroom tamannayen hain
raat ke sard sard pehron mein
toote khwaabon ko yun jalaati hain
jaise unki tapish ko khud me le
phir se vo aur jeena chahti hain

koi jaker inhe ye samjhaaye
din badda sakht hai aane waala
saare jalte hue khwaabon ki raakh
us ki sakhti ko kuch badha degi
in tamannaon ki chahat us ko
bereham aur kuch bana degi

tum ho mehroom to ye maan bhi lo
tum ko ab zindigi nahi milna
laakh khwaabon ki tum tapish lelo
ab koi saans na tumko milna

mar chuki ho to dafn ho jaao
kahin tum rooh me jaake kho jaao
rooh ka honsla bahut hai azeem
tumko bhi rakh ke muskuraayegi
zindigi raas na tum ko aai
rooh taskeen tumhe dilaaye gi

thodda thehro ye aansu ponch to lo
rooh se milne tumko jaana hai


kitne gham dafn hain vahaan jaane
tum ko qabren bahut milengi vahan
paak ho jaao jaane se pehle
jitne bhi dafn hain sab the masoom
tum se hi to the mehkate se vo sab
haan hain sab vo mere armaan ke phool

unko jaker salaam tum kehna
aur kehna ki humm bhi aaiin hain
hume duniya na raas aai kuch
rooh me dafn hone aain hain

kaheen tot-ta taara aasman pe jo kabhi tum dekho

kaheen tot-ta taara aasman pe jo kabhi tum dekho
aankhon se meri rawani-e-daryea-e-ashk kabhi tum dekho

bakhshain hain jo tu ne zakham-e-ulfat mujhey
buntey houay naasor-e-jan sabhi tum dakho

ghum-e-hijraan ke dard ka aalam kiyun kar ho biyaan
kisi zakhmi taiyer ka tarpna kabhi tum dekho

waqt-e-kalaam munh se uskay phool jhartey hain
laboon ki janbish pe hotey raqs-e-tabussam kabhi tum dekho

silsilaa zaat-e-Qais ki dharkanon ka qaim hai kaise
palkoon ka uski girna aur uthna kabhi tum dekho

Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi ” FARAZ”

Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi ” FARAZ”
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya .

sakhtiyan karta hun dil par gair se gafil hun main

sakhtiyan karta hun dil par gair se gafil hun main
hay kya achi kahi zalim hun main jahil hun main

hai meri zillat hi kuch meri sharafat ki dalil
jis ki gaflat ko malak rote hain wo gafil hun main

bazm-e-hasti apni araish pe tu nazan na ho
tu to ik taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main

dhundhata phirta hun ai "Iqbal" apne ap ko
ap hi goya musafir ap hi manzil hun main

Khod se bhi tor choka hon me taluq apna,

Khod se bhi tor choka hon me taluq apna,
Abb meri rah me hael koi diwar nahin.

Sunday, March 11, 2007

Tark-e-wafa tum kyon karte ho

Tark-e-wafa tum kyon karte ho? itni kya bezari hai,
Hum ne koi shikayet ki hai? beshak jaan hamari hai,

Tum ne khud ko baand diya hai kese itni khaanon mein,
Sachon se bhi dua salaam hai, jhooton se bhi yaari hai,

Kesa hijar qayamat ka hai lahuu mein sholay nachtey hain,
Aankhain band nahin ho pati, neend hawaas pe taari hai,

Tum ne haasil kar li ho gi shayed apni manzil e shoq,
Hum to hamesha ke raahi hain apna safar to jaari hai,

Pathar dil be’hiss logon ko yeh nuktaa kese samjhayen,
Ishq mein kya be’ant nashaa hai yeh kesi sarshaari hai,

Tum ne kab dekhi hai tanhaai aur sanattay ki aag,
In sholon main iss dozakh mein hum ne umar guzaari hai.

Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye

Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye
Vasl Ka Khwaab Mukammal Ho Jaye

Chaand Ka Chooma Howa Surkh Gulaab
Teetri Dekhay Tou Paagal Ho Jaye

Mein Andheron Ko Ujaalon Aisay
Teergi Aankh Ka Kaajal Ho Jaye

Doush Per Baarishain Le Ke Ghoomain
Mein Hawa Aur Wo Baadal Ho Jaye

Narm Sabzay Per Zara Jhuk Ke Chalay
Shabnami Raat Ka Aanchal Ho Jaye

Umer Bhar Thaamay Rahay Khushbuu Ko
Phool Ka Haath Magar Shal Ho Jaye

Chirrya Pat’ton Mein Simat Kar Soye
Pairr Yun Phailay Ke Jangal Ho Jaye

Tum Agar Yaad Rakhoge To Inayat Hogi

Tum Agar Yaad Rakhoge To Inayat Hogi
Warna Humko Kahan Tum Se Shikayat Hogi

Yeh To Bewafa Logo Ki Duniya Hai
Tum Agar Bhool Bhi Jao To Riwayat Hogi

is zindagi me itni faraghat kisy naseeb

is zindagi me itni faraghat kisy naseeb
itna na yaad aa... k tujhe bhool jaain hum

Saturday, March 10, 2007

Kuch Gham Nahi us Se Bichar Jane Ka ‘Shakir’,

Kuch Gham Nahi us Se Bichar Jane Ka ‘Shakir’,
Afsoos Itna Hai Mera Ho Ke Bhi Mera Na Ho Saka..

Tum Se Bichar Ker Kya Hoon Main

Tum Se Bichar Ker Kya Hoon Main

Ek Ashoori NAzam Ka Misra

Ya Koi Beemar Parinda

Copy Main Ek Zinda Titlii

Ye Ek Murda Peela Patta

Aankh Hoon KOi Khwaab-Zada Si

Ya Aankho?n Mein Tuuta Sapna

Palko?n Ki Deewar k Peechey

Pagal Qaidi , Ya Ek Aansuu

Dhoop Mein Lipta Lamba Sehra

Tuuti Hui Choorii Ka Tukra

Ya Koi Bhoola Bisra Waada

Tum Hi Batao

Tum Se Bichar Ker Kia Hoon Main

Ek Purani Qabr Ka Katbaa

Ya

Koi Matrook Dua

Hum cheen laingy tum se ye shaan-e-be-niazi

Hum cheen laingy tum se ye shaan-e-be-niazi
Tum maangty phiro gay, apna ghuroor hum se

Hum yun aksar beth kr tumhey soocha kartey hain

Hum yun aksar beth kr tumhey soocha kartey hain
Khud ko jaise khud may kohja kartey hain

Talaash-e-zeest ka safar kab taamam hoga
Qadmoon key nishaan mujh se poocha kartey hain

Tujh se bichar kr soochain mehw-e-raqs hain
Tareeq-e-vasl kaie andaz se khiyalon may soojha kartey hain

Hum tu ban kr jogi-e-ishq dar pe uskey jatey hain
Dekh kr na-aashna ki tarah bhikari samjha kartey hain

Aaj bhi uss chamman se aah-o-fighaan buland hote hain jaanan
Lagta hai shajr-e-besaya pe naam koi kohdaa kartey hain

Friday, March 9, 2007

Waqt-E-Qudrat – Urdu Shayari

Waqt-E-Qudrat – Urdu Shayari

Waqt-E-Qudrat Le Aaya Hai Aj Hamin Us Jaga Pe Fraz
Chal Diye Usi Matti Main Jis Ki Hum Ammanat Thay

Samne Manzil Thi aur Peeche us ki Awaaz

Samne Manzil Thi aur Peeche us ki Awaaz,
Rukta to Safar Jata, Chalta to Bichar Jata

Kash hum ek SMS hoty

Kash hum ek SMS hoty
bas aik click mey aap ky paas hoty
mana k aap hamy delete kar detay
laikin kuch dair k liye tou hum aap ky paas hoty
or bari khushi say kehtay EID MUBARAK

Thursday, March 8, 2007

Jawaaz-E-Tarke Ta-luq to kuch na tha phr b

Jawaaz-E-Tarke Ta-luq to kuch na tha phr b
Bichar gya hon main tujh se teri Khushi k lye

zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya

zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya
duniya main khamoshi se guzar jayen ham to kya

hasti hi apni kya hai zamane k samne
ek khwab hain jahan main bikhar jayen ham to kya

ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
sham a gai hai laut k ghar jayen ham to kya

dil ki khalish to sath rahegi tamam umr
dariya-e-gam k par utar jayen ham to kya

Astey-n muje pay utarti hy un ankho sy rasheed

Astey-n muje pay utarti hy un ankho sy rasheed

may peghamber bhi ny or khuda wo bhi ny

Wednesday, March 7, 2007

Qabil-E-Daad Hain Ye Ankhain K In Ankhon Se

Qabil-E-Daad Hain Ye Ankhain K In Ankhon Se
Khud Hi Paamaal Hoe... Khud Hi Tamasha Dekha

Ik Taraf Tum Ho... Ik Traf Hum Hain

Ik Taraf Tum Ho... Ik Traf Hum Hain
Jaany Kis ne Kisy Kharaab Kiya

Chalo door chalte hai iss duniya se kahi

Chalo door chalte hai iss duniya se kahi
Jaha tum ho aur me hu aur koi kahi nahi
Jaha sirf tumhari mahak ho phulo ki nahi
Jaha dhkehu tumhari aankho se apni nahi
Jaha noor ho tere chehre ka chand ka nahi
Jaha mausam ho pyaar ka taqraar ka nahi
Jaha hawaye ho teri zulfo ki mitti ki nahi
Chalo dur chalte hai iss duniya se kahi

Tuesday, March 6, 2007

Namaaz Parh Ke Tere Gham Galay Laga Loon Ga

Namaaz Parh Ke Tere Gham Galay Laga Loon Ga
Akailay Eid Manaana Meri Sarshat Nahi

ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n

ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n

vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n

Kitabo K Panne Palat K Sochte Hain,

Kitabo K Panne Palat K Sochte Hain,
Yoon Palat Jaye Zindagi To Kya Baat Hai,

Tamana Jo Puri Ho Khaabon Mein
Haqiqat Ban Jaye Toh Kya Baat Hai,

Kuch Log Matlab K Liye Dundhte Hain Mujhe,
Bin Matlab K Liye Koi Aaye Toh Kya Baat Hai,

Katal kar ke to sab le jayenge dil mera,
Koi baato se le jaaye to kya baat hai

Jo Shrifo Ki Sharafat Mein Baat Na Ho
ek Sharabi Keh Jaye To Kya Baat Hai ,

Zinda Rhene Tak To Khushi Dunga Sabko,
Kisi ko Meri Maut Pe Khushi Mil Jaye Toh Kya Baat Hai

gumsum c rehguzar thi

gumsum c rehguzar thi , kinara nadi ka tha
pani mein chand , chand mein chehra kisi ka tha

ab zindagi sanbhal k leta hai tera nam
yeh dil k jis ko shoq kabi khudkushi ka tha

kuch abar b they banjh zameen se darey huaye
kuch zaiqa hava mein meri tishnagi ka tha

kehney ko dhoondtey they sabhie apne khad o khaal
warna meri ghazal mein to sab kuch usi ka tha

woh ihtiyaat e jaan thi k be rabti e khayal
saye pe b guman muje admi ka tha

mushkil kahan they tarak e mohabbat k marhalay
aye dil magar saval teri zindagi ka tha

woh jis ki dosti hi mataa e khaloos thi
Mohsin woh shakhs b mera dushman kabi ka tha

Dukh Ki Do Ek Barsaton Mein Kab Ye Dil Payab Bhara

Dukh Ki Do Ek Barsaton Mein Kab Ye Dil Payab Bhara,
Wo To Koi Dariya Le Aaya Dariya Bhi Sailab Bhara,

Sochta Tha GaM Ko GaM Kaate Zeher Ka Zeher Bane Teriyaq,
Ab Dil Abla Abla Hai Aur Shisha Shisha Jaan Zeher,

TuM Aa Jate To Us Raat Ki Umar Bhi LaMbi Ho Jaati,
Abhi Tha Deewaron Par Sabzah Abhi Tha Sehen Gulaab Bhara,

Jaane Hijr Ki Raat Ke Wasl Ki Raat Guzaar Ke Aaye,
Aankhein Neendon Neend Bhari Hai JisM Hai Khwabon Khwaab Bhara

Zinda hain jis ki AAS pe wo b rula gya

Zinda hain jis ki AAS pe wo b rula gya
Bandhan wafa k toor k sare chala gya

Khud hi to ki thi usne Mobabat ki IBTIDA
Hathoo me hath de k khud hi churra gya

Kar di jis k liye hamne Tabah zindagi
Ulta wo Bewafai ki Tuhmat laga gya

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo
Tum bhi to koi rasm-e-mohaabat ada karo

Hum tum pay mar mittay to ye kiska qasoor hay?
Aaeina lay kay hath main khud faisala karo

Ab un pay koi baat ka hota nahi asar
Minnat karo, sawaal karo, iltija karo

Sharminda hoon kay maut bhi aati nahi mujhay
Tum mairay liye ab to koi bad?dua karo

Baitho na mehfilon main zamana kharab hay
Daikho hamaari baat kabhi sun liya karo

Shahid kabhi to daikhay ga wo tumko jhaank kar
Un ki gali main roz tamaasha kiya karo

Monday, March 5, 2007

Ranjshain to hoti hain

Ranjshain to hoti hain,
Muhabbat main magar,

Tum se ye kis ne kaha ke,
Mujhe adhoora kar do.

Jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai

Jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai
Wohi Tou Aankh Mein Jheelon Ke Khwaab Rakhta Hai

Wohi Tou Hai Jo Badalta Hai Mausamon Ke Rang
Jo Apne Pehluu Mein Sookhay Gulaab Rakhta Hai

Wo Ujri Basti Mein Dholak Ki Thaap Per Naachay
Jo Apni Hasti Mein Zewar Ke Khwaab Rakhta Hai

Nikhaar Paye Ga Kiun Ker Labon Ka Rung Mera ?
Visaal Apna Jo Masl-e-Saraab Rakhta Hai

Wohi Tou “Zaira” Ko Boond Boond Tarsaaye
Jo Dasht-e-Hijr Mein Baadal Ke Khwaab Rakhta Hai

Tark e taulaqaat? pe, Roya na tu na mein

Tark e taulaqaat? pe, Roya na tu na mein,
Lakin yeh kya keh chain se soya na tu, na mein

Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
keh dhoop chaaon ka alam raha,judaai na thi

Kuch iss adaa se aj wo pehlu nasheen rahy,
Jab tak hmary paas rahy , hum nahi rahy

Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha
Shiikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi

Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin
Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi

Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi

Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat
Kabhi yeh marhala jaisay keh aashnayi na thi

Sunday, March 4, 2007

Doba hoa tha sheher to khosh thi har ik mooj

Doba hoa tha sheher to khosh thi har ik mooj
Pani utar gea hai to darya udas hai

Koi yad be usko yad nai

Koi yad be usko yad nai
koi bat be usko yad nahi

Ek shaks ne usko chaha tha
wo zat be usko yad nahi

Jab shab ki bejli ke chamki the
Jab badal toot kar barsa thaa

Hum dono jis main behge the
wo barsat be usko yad nahi

Wo kehta tha main sunta tha
wo kehta tha main sunta tha

un lahko bato main
koi bat be usko yad nahi

wo sahil dareya phol hawa
wo shab bhar chand ko dehkna

un lahko rato main
koi Rat be usko yad nahi

koi yad be usko yad nahi
koi bat be usko yad nahi

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar main aam hai December aan pahuncha hai

Aangan mein utar ayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

Khamoshiyon ka hai raaj khizaan taaak main hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

Khunak rut main udasi bhi chaukhat pe khadi hai
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

Tum Aao to mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut to sar e baam hai December aan pahuncha hai

Hum mohabbat ke talabgaar hue

Hum mohabbat ke talabgaar hue
Kaisey dhokey main giraftaar hue

Zulm se bhi siwa sitam yeh hua
Log zaalim ke tarafdaar hue

Ahl-e-dil waqt ke rahber the kabhi
Ab magar waqt ki raftaar hue

Dil me jo baat bhi aayi keh di
Umr bhar hum na smajh-daar hue

Hum koi Yusuf-e-Kanaan na the
Yunhi ruswa sar-e-bazaar hue

Dard ki jins-e-giraaN leta kaun
Ik faqat hum hi khridaar hue

Zindagi maut ke pardey me rahi
Khwaab dar khwaab hi bedaar hue

Kaash aa jaye mujhe jaan se guzarty dekhe

Kaash aa jaye mujhe jaan se guzarty dekhe
Us ki khwahish thi... kabi mujkho bikharty dekhe

Saturday, March 3, 2007

Kuch Is Tarah Se Ibaadat Khafaa Howi Hum Se

Kuch Is Tarah Se Ibaadat Khafaa Howi Hum Se
Namaaz-e-Ishq Bohat Kam Adaa Howi Hum Se

Ghareeb Aankhon Mein Aansoo Bhi Ab Nahi Aatay
Ilaahi Reham Ke Phir Kia Khataa Howi Hum Se ?

Hum Ibtadaa Hee Kahan Naikyon Ki Thay Ya Rab ?
Tou Phir Gunaahon Ki Kiun Intehaa Howi Hum Se

Ye Bad-Naseebi Hamaari Hai Kam Howa Aisay
Ke Dushmanon Ke Bhi Haq Mein Duaa Howi Hum Se

Salook Mout Ka Hum Se Na-Jaanay Kaisa Ho?
Ye Zindagi Tou Bohat Be-Mazaa Howi Hum Se

Kahaan Chhupaayein Ge Mehshar Mein Khud Ko Aazar ?
Kahaan Ataa’at-e-Khair-ul-waraa Howi Hum Se ?

Main Tum Se Milney Julney K

Main Tum Se Milney Julney K
Kitney Hi Bhanay Rakhta Hun

Main Aisi Muhabbat Karta Hun
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho

Kuch Khwaab Saja Kar Aankho’n Main
Palko’n Se Moti Chunta Hun

Koi Lamha Agar Cho Jaye To
Main Pehro’n Tumko Sochta Hun

Main Aisi Muhabbat Karta Hun
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho

Main Chashm-E-Tasswor Se Aksar
Bus Tumko Daikhta Rehta Hun

Tum Pass Raho Ya Door Raho
Nazro’n Me Samaayi Rehti Ho.

Main Tumko Takta Rehta Hun
Main Tumko Schta Rehta Hun.

Main Aisi Muhabbat Karta Hun.
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho.

Mujhe Chahte Hon gy Aur B Bohat Log

Mujhe Chahte Hon gy Aur B Bohat Log
Mgr Mujhe Mohabbat Apni Mohabbat Se Hai

Friday, March 2, 2007

Tamasha Rooz krty ho

Tamasha Rooz krty ho... Wafaon ka... Jafaon ka
Zara Thehro Mere DiL Me... Muhabbat Seekh Jao gy

Aye Anjan Larki Jab Udas Lamhon Main

Aye Anjan Larki
Jab Udas Lamhon Main
Tum Ko Koi Yad Aaye
Sochna
To Phir Khud Say
Yeh Sawal Bhi Karna
Kis Nay Pooja Tha Tumhain
Kon Tha Woh Kaisa Tha