Wednesday, May 31, 2006

Kabhi kuch soch k likhna kabhi kuch soch k parhna

Kabhi kuch soch k likhna kabhi kuch soch k parhna

ye na mumkin si koshish he muhabbat soch k karna!

kisi ka dilruba chehra aur us ki dill nasheen ankhen

k jis ko dekh k jeena usi k naam pe marna

ye na mumkin si koshish he muhabbat soch k karna!

khayalon men bana lena kisi ka akks dhere se

chura k rang sapnon k kisi ki ankh men bharna

ye na mumkin si koshish he muhabbat soch k karna

Thi Un Ki Zid K Main Jaon UnKo Manany

Thi Un Ki Zid K Main Jaon UnKo Manany
Mujh Ko Ye Vehem Tha Wo Bulain Gy Ksi Rooz

Tanhaye Bhi Jazbaat Shayari

Tanhaye Bhi Jazbaat Shayari

Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein
Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein

Tuesday, May 30, 2006

Zara Udas hun Lekin Zara Masroor bhi hun

Zara Udas hun Lekin Zara Masroor bhi hun
Tumhare paas hun shayad, shayad Door bhi hun

Yun Pathreele Raston Pe Chalna Shoq nehi Mera
Kuch Muaamla Chahat ka he Kuch Majboor bhi hun

Mohabbat Ho Gai Tum se, Bus itni Khata he Meri
Maana k Mujrim hun magar Be-qasoor bhi hun…

EiD-ul-Azha ka , Chaand

EiD-ul-Azha ka
, Chaand
,’,’ * buht
‘, ‘, , Mubark h?
‘ ,’,’,’,’ ‘
Dua he k
ye ‘BarktoN wala MaheeNa apke lye DheroN kushiyan
laye.

Yun tu rahoon may kaie moor atey hain

Yun tu rahoon may kaie moor atey hain
Hum apney hi naqsh-e-pa kaheen choor atey hain

Shabastan-e-sanam se mutasil kaie aik meikhaney hain
Jo khataoon may pi bethey tu peymaney kaie toor atey hain

Saqi mera jo rok leta hai hatoon ko apne
Shiddat-e-gham se jam khud hi dor atey hain

Log kehtain hain sharab haram shai hai magar
Hum tu madhoshiyan shehar-e-yar me kahen choor atey hain

Hum tu pi kar lahoo apna khud hi bekhud hojatey hain
Chaloo Qais piyale sharab key kaheen toor atey hain

Monday, May 29, 2006

Kambkt Ishq – Zeshar Shayari in Urdu

Kambkt Ishq – Zeshar Shayari in Urdu

Kambkt Ishq Ne Aaj Muje Rula Diya,
Jis Pe Marta Tha Usne Hi Bhula Diya,
Me Bhi Uski Yaad Bhulane K Liye Pita Gaya,
Ek Din Zalim Ne Usme Bhi Zehar Mila Diya.”

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte
shaam ke vaqt safar kyaa karte

terii masruufiyateN jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte

jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte

vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
saaye phailaa ke shajar kyaa karte

Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii
kar ke zarre ko gauhar kyaa karte

Teri Zulf Nahi Jo Khul Kar Bikhar Jayu Ga Main

Teri Zulf Nahi Jo Khul Kar Bikhar Jayu Ga Main
Maut Aayegi To Ek Din Ek Phul Se Mar Jayu Ga Main
Gam-E-Zindgi Mein Khuch Kadam Sath Chal Kar To Dekh
Phool Ban Kar Teri Raho Me Bikhar Jayuga Main

Ajab Halaat The Yun Dil Ka Soda Ho Gaya Aakhir

Ajab Halaat The Yun Dil Ka Soda Ho Gaya Aakhir,
Mohabbat Ki Haveeli Jis Tarha Neelaam Ho Jaye

Samander Ke Safar Mein Is Tarha Awaz De Ham Ko
Hawain Teiz Hon Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaye

Mujhe Maloom Hai Us Ka Thikana Phir Kahan Ho Ga
Parinda Aasman Chuny Mein Jab Nakaam Ho Jaye

Ujale Apni Yadoon Ke Hamare Sath Rehne Do
Na Jany Kis Gali Mein Zindagi Ki Sham Ho Jaye

Hijar ki raat dhal gayi mohsin,

Hijar ki raat dhal gayi mohsin,
Ab to dil se kaho sambhal jaye..

Sunday, May 28, 2006

reh rahee hai jo dermian

reh rahee hai jo dermian,
jism o jaan ki doorian,
khuda kare ke na hoon tamam,
yeh khizan se shanasaiaan,

yeh undekhay faslay,
yeh higer ka mausam,
aur shidatoon ka hajoom,
abke jo milay tu der hai mujhay,
ke shidatoon ka hajoom bhiker na jai,
qareeb aye tu kahin dur hi na chalain jain,

yeh teri yaad hi buhat hai,
zad-e-rah buhat hai,
manzil na mili tu kia howa,
manzil ka nishan hi buhat hai

Woh ajnabi tha ghair tha, kisi ne kaha na tha

Woh ajnabi tha ghair tha, kisi ne kaha na tha,
Dil ko magar yaqeen kisi par hua naa thaa..

Jis phool k libas mein boo-e- wafa na ho.

Jis phool k libas mein boo-e- wafa na ho. . !
Us phool ko hadood-e-chaman se nikaal de. . !

Saturday, May 27, 2006

Bicharrney waley ne waqt-e-rukhsat kuch iss nazar se palat ke dekha,

Bicharrney waley ne waqt-e-rukhsat kuch iss nazar se palat ke dekha,
Ke jese woh bhi yeh keh raha ho, tum apne ghar ka khayaal rakhnaa..

Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega

Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega

Akhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

Ye Sach Hy Pehla Pyar Hi Basa Rehta Hy Sanson Me

Ye Sach Hy Pehla Pyar Hi Basa Rehta Hy Sanson Me
Ye Sach Hy Umr Bhar Pehli Muhabbat Yaad Rehti Hy

Socha Tha – Yaad Shayari in Hindi

Socha Tha – Yaad Shayari in Hindi

Socha Tha K Dil Badal Jayenge,
Kya Pta Tha K Dil Ko Gwayenge,
Wo To Yad Aate Hain Humse Door Hokar Bhi,
Na Jane Hum Unhe Kab Yaad Ayenge…?

Friday, May 26, 2006

Thursday, May 25, 2006

un k ek jan-nisar ham bhi hain

un k ek jan-nisar ham bhi hain
hain jahan sau-hazar ham bhi hain

tum bhi bechain ham bhi hain bechain
tum bhi ho beqarar ham bhi hain

ai falaq kah to kya irada hai
aish k khvastagar ham bhi hain

shahar khali kiye dukan kaisi
ek hi vada-khvar ham bhi hain

sharm samajhe tere tagaful ko
vah! kya hoshiyar ham bhi hain

tum agar apni khu k ho mashuq
apne matlab k yar ham bhi hain

jis ne chaha phansa liya hamko
dil-baron k shikar ham bhi hain

kaun sa dil hai jis main dag nahin
ishq ki yadgar ham bhi hain

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha,
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha,

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar,
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha,

Ise TuM Dilki Dharti Ka Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad GaM Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha,

Azal Se Iski Fitrat Hai ZaMane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha,

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha..

Agar ae sanam teri zulf mein mere nam ka koi phool hai

Agar ae sanam teri zulf mein mere nam ka koi phool hai
to kbhi kbhi yun hi besabab tera roothna b qabool hai

jise chaho us ki dua kro, jise chaho us se wafa kro
yhi ishq waalon ki shart hai, yhi ulfton ka usool hai

arre jis k piar ne dosto mujhe sher kehna sikha dia
agar us ki bat na ho ske to yeh shaaeri b fuzool hai

sre sham tere tamam khat, teri hr nishani ko dekhna
meri zindgi ka mizaj hai, meri chahton ka wasool hai

wo nhi hai to mre dosto shab e chodhween b udas hai
yeh jo jhilmilati hai chandni, yeh to us k qadmon ki dhool hai

teri aas mein ho racha hua, teri zat se ho jura hua
koi khwab ho ya azab ho, meri jan mujh ko qabool hai

Wednesday, May 24, 2006

Tumhin Kaho Ki Guzra Sanam – Ghalib Shayari

Tumhin Kaho Ki Guzra Sanam – Ghalib Shayari

gai wo bat ki ho guftagu to kyonkar ho
kahe se kuch na hua phir kaho to kyonkar ho
hamare zahan mein is fikr ka hai naam visal
ki gar na ho to kahan jayen ho to kyonkar ho
adab hai aur yahi kashamakash to kya kije
haya hai aur yahi gomago to kyonkar ho
tumhin kaho ki guzra sanam paraston ka
buton ki ho agar aisi hi khu to kyonkar ho
uljhate ho tum agar dekhte ho aaina
jo tum se shahar mein ho ek do to kyonkar ho
jise nasib ho roz-e-siyah mera sa
wo shakhs din na kahe raat ko to kyonkar ho
hamen phir un se umid aur unhen hamari qadr
hamari bat hi puche na wo to kyonkar ho
galat na tha hamen khat par guman tasalli ka
na mane dida-e-didar ju to kyonkar ho
batao us misha ko dekhakar ho mujh ko qarar
yah nesh ho rag-e-jan mein faro to kyonkar ho
mujhe junun nahi galib wale baqaul-e-huzur
firaq-e-yar mein taskin ho to kyonkar ho

kyun mera dil shad nahin hai kyun khamosh raha karta hun

kyun mera dil shad nahin hai kyun khamosh raha karta hun
choro meri ram kahani main jaisa bhi hun acha hun

mera dil gamgin hai to kya gamgin ye duniya hai sari
ye dukh tera hai na mera ham sab ki jagir hai pyari

tu gar meri bhi ho jaye duniya k gam yun hi rahenge
pap k phande, zulm k bandhan apne kahe se kat na saknge

gam har halat main mohlik hai apna ho ya aur kisi ka
rona dhona, ji ko jalana yun bhi hamara, yun bhi hamara

kyun na jahan ka gam apna len bad main sab tadbiren sochen
bad main sukh k sapne dekhen sapnon ki tabiren sochen

be-fikre dhan daulat wale ye akhir kyun khush rahte hain
inka sukh apas main banten ye bhi akhir ham jaise hain

ham ne mana jung kari hai sar phutenge,khun bahega
khun main gam bhi bah jayenge ham na rahen, gam bhi na rahega

Muhabbat Ki Kahani Me Koi Tarmeem Mat Krna

Muhabbat Ki Kahani Me Koi Tarmeem Mat Krna
Mujhe Tum Tor Dena Pr Mujhe Taqseem Mat Krna

Guftugu kisi se ho, tera dehan rehta hai

Guftugu kisi se ho, tera dehan rehta hai
Toot toot jata hai silsila takallum ka

Chiraag lekar dhundhne nikle hain wo mujhe

Chiraag lekar dhundhne nikle hain wo mujhe
Unhe koi bataye chiraag tale andhera hota hai

mana k hum hain ujrey howy shehar ki misaal

mana k hum hain ujrey howy shehar ki misaal
tumhari aankhen bata rahi hain k viraan tum bhi ho

Tuesday, May 23, 2006

Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga

Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga

Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni
TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga

Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge
Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga

Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala
Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga

Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun
Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga

Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz”
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga

Talash Kar Meri Kami ko Apne Dil Mein Aey ZAALIM

Talash Kar Meri Kami ko Apne Dil Mein Aey ZAALIM
Dard ho to Samjh Lena k M0habbat Ab Bhi Baki Hai

Dil k aaiyeney mein hai tasveer e yaar

Dil k aaiyeney mein hai tasveer e yaar
Bas zara si gardan jhukai aur dekh li .

Wo shakhs jis ko samjane me muj ko umer lagi

Wo shakhs jis ko samjane me muj ko umer lagi
Bichar k muj se kisi ka na ho saka ho ga

Phoolon Ko Hindi Shayari Sms

Phoolon Ko Hindi Shayari Sms

jahan phoolon ko khilana tha waheen khilate to acha tha
tumhin ko hum ne chaha tha tumhin milate to acha tha
koi aakar hamen puche tumhen kaise bhulaya hai
tumhare khat ko ashkon se shab-e-gam mein jalaya hai
hazaron zakhm aise hain agar silate to acha tha
tumhen jitana bhulaya hai tumhari yaad aayi hai
bahar-e-nau jo aayi hai wo hi khushbu lai hai
tumhare lab meri khatir agar hilate to acha tha
mila hai lutf bhi hum ko hasin yadon ke jhil-mil mein
katati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil mein
agar tum aate to acha tha agar milate to acha tha

Monday, May 22, 2006

Milte milte adhoori khushi reh gayi

Milte milte adhoori khushi reh gayi
Meri ankhon mein thori nami reh gayi

Hont darya ke sookhey reh gaye
Tishna lab chal diya, Tishnagi reh gayi

Kon sunta bhala us ki awaaz ko
Charon janib hawa cheekhti reh gayi

Phir makanon ke malbey mein sab dher they
Jab khuli ankh tou bass khuli reh gayi

Jese mein us ke khawbon ki tabeer hoon
Us ne dekha mujhe dekhti reh gayi

Dhoop ne chutkiyaan ke tou kuch bhi na tha
Apne jugnu ko woh sochti reh gayi

Urdu Shayari – Dharkan K Shor

Urdu Shayari – Dharkan K Shor

Kitne Nazuk Mizaj Hain Wo Kuch Na Puchiye
Neend Nahi Aati Unhaien Dharkan K Shor Say

Dil Shayari Sms 140

Dil Shayari Sms 140

Ab Mujhe Zindagi Se Pyar Nahi Hai,
Maut Pe Hai, Zindagi Pe Aitbar Nahi Hai.
Rok Le Jo Unki Yadon Ko Dil Me Aane Se,
Itni Unchi Mere Dil Ki Deewar Nahi Hai..

Samajh mai kuch nahin ata Mohabbat kisko kehte hain

Samajh mai kuch nahin ata Mohabbat kisko kehte hain
Magar itna samajhti hun ke dil mai Dard hota hai

Sunday, May 21, 2006

Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye,

Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye,
Is Say Behtar Hai K? Har Baat Bhula Di Jaye..

Ne Apno K? Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya,
Dil K? Angan Mai B? Dewaar Utha Di Jaye..

Mai Ne Yaroon K? Bhicharne Say Ye Seekha ?MOHSIN?
Apne Dushman Ko B? Jeene Ke Dua Di Jaye

Katt to jayegi tere gham ke saharey zindagi

Katt to jayegi tere gham ke saharey zindagi
Aur agar aye dost tere gham se jee ghabraa geya

Nishan Tak Na Milain ge Meri Wafa K Usay

Nishan Tak Na Milain ge Meri Wafa K Usay,
K Maine Rah Badl Di Hay Aazma K Usay!

Kabhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,
Warq Warq Parha Main ne Dil Laga K Usay!

Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,
Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna K Usay!

Mujhy Yaqeen Hai Wo Laut Kar Bhi Ayega,
Magr Udaas Hun Ab Raasta Dikha K Usay

Saturday, May 20, 2006

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili

Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili

Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili

Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili

Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili

Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili

Teri Umeed Tera Intezaar Jab Se Hai

Teri Umeed Tera Intezaar Jab Se Hai,
Na Shab Ko Dinse Shikayat Na Dinko Shab Se Hai,

Kisika Dard Ho Karte Hai Tere Naam RaQam,
Gila Hai Jo Bhi Kisi Se Teri Sabab Se Hai,

Hua Hai Jab Se Dil-E-Naasabur BeQabu,
Kalam Tujhse Nazar Ko Badi Adab Se Hai,

Agar Sharar Hai To Bhadke Jo Phool Hai To Khile,
Tarah Tarah Ki Talab Tere Rang-E-Lab Se Hai,

Kahan Gaye Shab-E-FurQat Ke Jaagne Wale,
Sitara-E-Seher Hum-Kalaam Kab Se Hai...

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi K Azaab Rehnay Do

Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do

Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do

Chaand Badal Main Acha Lagta Hai
Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do

Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do

Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”
Baki Saray Sawaab Rehnay Do….!!

mujhay Aisa Dard Ata’a Keya Jo Na Hijr Tha Na Visaal Tha

mujhay Aisa Dard Ata’a Keya Jo Na Hijr Tha Na Visaal Tha
mairay Mausamoon Kay Mizaajdaan Tujhay Kitna maira Khayal Tha

Khoon-E-Dil Say Likha To Tha Tairay Saal-E-Hijr Ka Saaniha
Jo Buhut Adhoora Sa Reh Gaya, Woh Na Janay Koun Sa Saal Tha

Kisi Aur Chehray Ko Daikh Kar Tairy Shakal Zehen Main Aa Gayee
Taira Naam Lay Kay Mila Usay, mairay Haafzay Ka Yeh Haal Tha

Kabhi Qurbatoon Kay Deyaar Main, Kabhi Chaahtaoon Kay Ghubaar Main
Wahaan Umr main Nay Guzaar Dy, Jahaan Saans Laina Mahaal Tha …

Friday, May 19, 2006

Wo To Milta Hai Mehdood Se Lamhon Me Mujh Ko

Wo To Milta Hai Mehdood Se Lamhon Me Mujh Ko
Phir B Dil Hai K Kitni Fursat Se Sochta Hai Usy

Kahaan Ley Chaley Ho Mujhey?

Kahaan Ley Chaley Ho Mujhey?
Meyrey Kheywanhaar!
Sammukh Jal Hai, Kshitij Hai;
Par, Kyaa Hai Us Paar?

Jub tuk yah zamin rahe asman rahe hushian

Jub tuk yah zamin rahe asman rahe hushian tuje
naseeb hon, tu jahan rahe sajti rahe unhi teri
phulon ki anjuman, chamne bahar teri Be hazan
rahe, Eid Mubarik

Thursday, May 18, 2006

New Bewafa Shayari

New Bewafa Shayari

Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar k Naam Se
Bewafai Mili Sirf Wafa k Naam Se
Zakhm He Zakham Diye us ne Dawa k Naam Se
Asman Bhi Ro Para Meri Muhabat k Anjam Se

Usko Bhi Yaad Meri Jab Kabhi Aati Ho Gi

Usko Bhi Yaad Meri Jab Kabhi Aati Ho Gi,
Wo Bhi Tanhai Mein Kuch Ashq Bahati Ho Gi,
Wo Meri Yaad Ki Shamma Bhi Jalati Ho Gi,
Mujhko Har Raat Wo Khwabon Mein Bulati Ho Gi.

na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun

na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun
jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun

na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun
jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun

mera rang-rup bigar gaya mera yar mujh se bichar gaya
jo chaman fizan mein ujar gaya main usi ki fasl-e-bahar hun

paye fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun
koi ak shamma jalaye kyun main wo bekasi ka mazar hun

main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya
main bare barog ki hun sada main bare dukh ki pukar hun

Urdu Khusboo Shayari 140 Words

Urdu Khusboo Shayari 140 Words

Teri khushbu ka pata karati hai
Mujh pe ehasan hawa karati hai

Shab ki tanhai may ab to aksar
Guftagu tujh se raha karati hai

Dil ko us rah pe chalana hi nahi
Jo mujhe tujh se juda karati hai

Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahane may raha karati hai

Us ne dekha hi nahi warna ye ankh
Dil ka ehawal kaha karati hai

Beniyaz e kaf e dariya angusht
Ret par nam likha karati hai

Sham parate hi kisi shakhs ki yad
Kucha e jan may sada karati hai

Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
Hal jo tera ana??? Karati hai

Dukh hua karata hai kuch aur bayan
Bat kuch aur hua karati hai

Abr barase to inayat us ki
Shakh to sirf dua karati hai

Masala jab bhi utha chiragon ka
Faisala sirf hawa karati hai

Wednesday, May 17, 2006

Phoolon Ki Numaish Mein Agr Tu Bhi Hua To

Phoolon Ki Numaish Mein Agr Tu Bhi Hua To
Iss Baar Gulabon Ko Barri Aag lagey Gee

Tum Bohat Jazib-o-Jameel Sahi

Tum Bohat Jazib-o-Jameel Sahi
Zindagi Jazib-o-Jameel Nahi

Na Karo Behas Haar Jao Gi
Husn Itni Badi Daleel Nahi

Tuesday, May 16, 2006

mat pooch sheshay se us k totnay ki waja

mat pooch sheshay se us k totnay ki waja
us ne bhi meri tarhan kisi pathar ko apna samjha hoga

Bagooley ki tarah taza hawa ko kha raha tha

Bagooley ki tarah taza hawa ko kha raha tha
Ajab mausim tha apni hi baqa ko kha raha tha

Jissey hamwaar karney meiN zamaney waar daaley
Wohi rasta hamarey naqshe-paa ko kha raha tha

Shajar koi na tha nash-wo-numa k zaichey meiN
Koi aasaib sa aab-o-hawa ko kha raha tha

JahaN har soo sada-i-girya-i-khalqat bapa thi
WaheeN yeh shore harf-i-ilteja ko kha raha tha

Ujaley sey kahieN taskeen hoti hi naheiN thi
Gham-i-shab iss tarah din ki ada ko kha raha tha

Ajab khawhish lahoo ki kokh meiN palney lagi thi
Badan wahsaht meiN apni hi qaba ko kha raha tha

Samandar ho rahi thi khud samandar ki yeh hairat
Kinara mauj ki har inteha ko kha raha tha

Monday, May 15, 2006

Hamara haal zamaney se kuch judaa to nahin,

Hamara haal zamaney se kuch judaa to nahin,
Yeh dastaan nahin dunya ki dastaan se alag..

Bahar Rutt me ujar Rasty, Tak’ka kro gy to Ro paro gy…

Bahar Rutt me ujar Rasty,
Tak’ka kro gy to Ro paro gy…

Kisi se milny ko jab bhi Mohsin,
Sajja karo gy to Ro paro gy….

Tumhare wadon ne yar muj ko,
Tabah kiya hy kuch is trha se…

K zindgi me jo phir kisi se,
Dagha karo gy to Ro paro gy…

Main janta hon meri muhabbt,
Ujar dy gi tumhe bhi aise…

K chand raton me ab kisi se,
Mila kro gy to Ro paro gy…

Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen…

Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…!!!

Saturday, May 13, 2006

Jis shakhs ko agosh me lia hai

Jis shakhs ko agosh me lia hai,
Us shakhs ney har mor pey dhoka hi dia hai,

Main waqt ki chokhat pey khara dekh raha hun,
Insan kay kirdar sey insan khafa hai,

Daolat ki hawas ney humien khonkhawr banaya,
Bhai hai jo bhai ka gala kat raha hai,

Zalim to bari hotey hain daolat ki bina par,
Ho qaid ya phansi ye ghareebon ki saza hai,

Jis ney mujhey nashad kia shad rahey wo,
Har waqt merey lab pey ye hi ek dua hai,

Is dor me har simt hain nafrat kay andherey,
Roshan hai to sajid kay takhayul ka dia hai.

Zara Pee – Zehreeli Shayari in Hindi

Zara Pee – Zehreeli Shayari in Hindi

Shikwe B Hazaron Hai Shikayat B Boht Hai,
Is Dil Ko Magar Usse Mohabat B Boht Hai.

Aa Jata Hai Milne Wo Tasawwoor Mai Hamare,
Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat B Boht Hai.

Yeh B Hai Tamanna K Use Dil Se Bhula Dein,
Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat B Boht Hai.

Dekhein To Zara Pee Ke Hun Zehr-E-Mohabbat,
Sunte Hain K Is Zehr Mai Lazzat B Boht Hai.

Khulli aankhon se jub daikha to ta had-e-nazer aaya

Khulli aankhon se jub daikha to ta had-e-nazer aaya
Jo aankhain moond lee'n to phir nazer her khusk-o-ter aaya

Howa kaya jo gharay per aik dariya par ker dala
Main ik khaghaz ki kashti mein samundar par ker aaya

Hawaain khailti rehti hain akser ub bhi tinkon se
Parindah laut ker laikun na phir us shakh per aaya

Khudaya yeh bata keh kaya kami thi teri jannat mein
Keh aadam tuj ke jannat ko zamee'n per hi utter aaya

Yeh hain batain mohabbat ki wahee'n ja oontni behthi
Galli mein jis jagah per aik deewanay ka gher aaya


Najanay ye khathun itna safar kyun hai fazaoun ka
Parindah jo urra wo laut ker baibal-o-per aaya

Chalo Afzal paharon mein kahin roo posh ho jaain
Keh lashker us ki yadon ka hai dariya se guzer aaya

Friday, May 12, 2006

Ishq e Laa Hasil Ka Haasil Chahta Hoon

Ishq e Laa Hasil Ka Haasil Chahta Hoon
Mein Jisey Chahon Mukamal Chahta Hoon

Dost Se Dost – Friendship Poetry in 4 Line

Dost Se Dost – Friendship Poetry in 4 Line

Dost Se Dost Kabi Khafa Nhi Hote,
Dil Milkar Kabi Juda Nhi Hote,
Bhula Dena Hmari Khamiyon Ko..
Kyon Ki Insaan Kabi Khuda Nahi Hote.

Chahat Shayari Sms

Chahat Shayari Sms

Itni Chahat Ki Us Se K Intha Ho Gae,
Wo Mohabt Kar K Phir Bewfa Ho Gae,
Main To Bus Chahta Raha Toot Kar Usay,
Bus Yahi To 1 Muj Se Khta Ho Gae..

Talab dard me dil hasad se guzarta kab tha

Talab dard me dil hasad se guzarta kab tha
Tum ne pocha tha k aur us ne kaha aur sahi

Itna talkhh jawaab-e-wafaa mila,

Itna talkhh jawaab-e-wafaa mila,
Hum uske bad koi armaan na kar sake..

Kabhi jo tum lout kar asako

Kabhi jo tum lout kar asako
To sang apney

Wo madaratain
Wo rat jagon ki suhbatain
Wo adohri si muhabbtain
Wo lahu lahu chandni raatain
Wo zakhm hoti qurbatain

Wo paniyun pe likhi
Wafa ki dastaanain
Wo teray lams ki sargoshiyan
Wo teri muskan ki jhilmilati roshniyan
Wo bad-e-saba ki udasiyan
Wo meray aks ki kirchiyan

Wo lamhon may guzari hoi sadiyan
Wo hashar barpa karti hoi
Teri nazron ki mastiyan
Wo meray qadmon ki larkarahatain
Wo teri saanson ki dabi dabi si aahatin
Wo meray muqadar ki vasl suhbatain
Wo wafa pe lagi tohmatain

La sako to khudara
Letay aana
Mai muntizar milon ga
Saahil ke usi kinaray per
Jahan toot gaya tha
Hamarey rishtey ka
Kacha dhaaga

Kabhi jo tum lout kar asako
Piyaas meri rooh ki jo tum bhuja sako

Aaj saj dhaj kar bethi ho

Aaj saj dhaj kar bethi ho
Pehlu-e-raqeeban may
Chehray pe saji muskan teri
Janey kiyun be-rang si lagti hai
Rang-e-hina dekho to zara
Aaj tumharey haathon may
Ujra ujra sa lagta hai

Aek baat to batao
Sach sach humko
Meri khamosh muhabbat se kia
Anjan rehi tum sada
Kia meri aankhon may jhilmilatey rang
Nazar na aye kabhi tumko
Kia meri muhabbat ki mehak se
Na mehka kabhi aangan tera
Kiyun na samajh payi tum
Meray isharon ki wo pak zuban

Mai bhi sada ka sodai
Na keh paya kabhi
Dil ki wo betabi

Tum hi thien meri zindagani

Aaj tumhe koh kar jana
Ab to mai musafir tehra hon
Teray hijar ke sehra ka
Piyaas teri deed ki liye
aankhon may apni
tarpa karon ga shab-o-sehar ab main

Thursday, May 11, 2006

Khuda Jany Kon si Kasar Reh Gai Usy Chahny Me

Khuda Jany Kon si Kasar Reh Gai Usy Chahny Me
K Wo Jaan Hi Nahi Paya K Meri Jaan Hai Wo

Woh kabhi aankh bhi jhapkey to larzz jata hoon main,

Woh kabhi aankh bhi jhapkey to larzz jata hoon main,
Mujh ko us se bhi zeyada hai zaroorat uss ki..

Na haasil ho kisi ko jis ki shaakhoN se sam'ar koi

Na haasil ho kisi ko jis ki shaakhoN se sam'ar koi
Hamaray ghar ke aangan mein na ho aisa shaj'ar koi

sah'ar ke naam par dhabba na ho jiski zia-paashi
Meri raatoN ko de de aye Khuda aisi sah'ar koi

Jo dil rakhnay ko aaye ho tu maayusi tumhein hogi
Hamaray dil ki khud hum ko nahi Yaaro khabar koi

Tumhara aaftaabi husn, dekhay tu koi kion-kar
Jo taab-e-deed rakhti ho, kahaN aisi nazar koi

YahaN daulat ke haathoN tuu bhi bikk jaaye ga saath uskay
Chuppa rehne de pausheeda hai gar tujh mein hunar koi

Hamaari zindagi Shahzad kuch iss taur guzri hai
Kisi ki yaad ke sehra mein ho jaisay safar koi

Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay

Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay
Man Me Hi Chup Chaap Phira Kartay Thay
Aankhon Main Pyaas Hua Karti Thi
Dil Main Tufan Utha Kartay Thay
Sach Samajhte Thay Teri Muhobbat Ko
Dil Main Kya Phool Khila Kartay Thay
Ghar Ki Dewaar Sajaanay Ki Khaatir
Ham Tera Naam Likha Kartay Thay
Kal Tujhay Daik Kar Yaad Aaya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartay Thay

Wednesday, May 10, 2006

Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai

Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai
K Ham Ko Tera Nahi Intezar Aapna Hai

Woh Dur Ho Tu Baja Terk-E-Dosti Ka Khiyal
Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai

Zamanay Bher K Dukhon Ko Laga Liya Dil Se
Is Aasray Pe K Aik Ghamgusaar Apna Hai

Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain
K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai

Bina Dard Ke Aansu Bahaye Nahi Jate

Bina Dard Ke Aansu Bahaye Nahi Jate

Bina Dard Ke Aansu Bahaye Nahi Jate
Bina Pyar Ke Rishte Nibhaye Nahi Jate
Zindagi Me Ek Baat Yaad Rakhna
Kisi Ko Rula Ke Apne Sapne Sajaye Nahi Jate

ye meri anaa ki shikast hai

ye meri anaa ki shikast hai
na dawa karo na dua karo
jo karo tu bas ye karam karo
mujhe merey haal pe chor do
wo jo aik tarkash-e waqt hay
abhi us main teer bohat sey hain
koi teer tum ko na aa lagey,
merey zakhm-e dill pe na yoon hanso
na main kohkan hoon na Qais hon
mujhe apni jaan aziz hai
mujhe tark-e ishq qobool hay,
jo tumhain yaqeen-e wafa na ho
jo tumhaarey dil main shokook hain
too ye eh'hadd name fozool hain
jo merey khotoot hain phaar do,
ye tumhaari khat hain samait lo
jo kisi ko koi sataay ga
too gila bhi hontoo.n pe aay ga
ye too ik asool ki baat hai
jo khafa hai mujh sey koi too hoo
mujhe abb sadaoo.n sey kaam hai
mujhe khaal-o khad ki khaber nahi
too phir is farib sey
faida ye naqaab abb too utaar do
mujhe apney fuq'r pe naaz hai
mujhe is karam ki talab nahi
main gada nahi hon faqeer hon
ye karam gadaoo.n main bant do
ye faqat tumhaarey sawal ka
mera mukhtasar sa jawaab hai
ye gila nahi hai kholoos hai
meri guftugu ka asar na loo
ye udh'horey chand ki chandni bhi
undh'hairi raat main kum nahi
kahi ye bhi saath na chor dey
abhi roshni hai chaley chalo

Ye Andhere To Simmat Jaain gy Ek Din

Ye Andhere To Simmat Jaain gy Ek Din
Yaad Aye Ga Tujhe Mujh Se Garezan Hona

Kisi dard ka aihsas likh raha hon main

Kisi dard ka aihsas likh raha hon main
Goya pani ki piyas likh raha hon main

Chalta mai raha door talak tanha magar
Qadmon ko hasrat-o-yaas likh raha hon main

Jugnu chamkey kaheen andheray mein jab kabhi
Teri khusbu ko qiyaas likh raha hon main

Kabhi pani pe qadam tehra kartey nahi
Unhi qadmon ko asaas likh raha hon main

Sanbhal jata hon jo aksar gir ke main
Khiyal-e-vasl udaas likh raha hon main

Kachi umer me kal k dukhon se ajj uljhana theek nahin,

Kachi umer me kal k dukhon se ajj uljhana theek nahin,
Pehla sawan bhegane walo shad raho abad raho.

Tuesday, May 9, 2006

Ghancha hai to chatake wo sitara hai to chamake

Ghancha hai to chatake wo sitara hai to chamake,
Be taab hai sene me dharkane k lie dil.

Ye theek hai nahi marta koi judai me

Ye theek hai nahi marta koi judai me
Khuda kisi ko kisi se magar juda na karey

Tujhe haq diya hai main ne mere saath dil lgi ka

Tujhe haq diya hai main ne mere saath dil lgi ka
Mere dil se khel... jab tak tera dil behel na jaye

Mreezan-e-Muhabbat ko faqat Deedar kaafi Hai

Mreezan-e-Muhabbat ko faqat Deedar kaafi Hai
Hazaron Tib k Nuskhon se... Nigah-e-yaar kaafi Hai

Urdu Dil Shayari Sms

Urdu Dil Shayari Sms

Ro Rokar Mujhse Ye Pocha Mere Pav K Chalo Ne
Aray Basti Kitne Door Bsa Li Dilme Basne Walo Ne

Aik Dia Dil Main Jalana Bhi, Bujha Bhi Daina

Aik Dia Dil Main Jalana Bhi, Bujha Bhi Daina,
Yaad Karna Bhi Usey Roo, Bhula Bhi Daina,

Kia Kahon Yeh Meri Chahat Hai K Nafrat Is Ki,
Naam Likhna Bhi Maira, Likh K Mita Bhi Daina,

Phir Na Milnay Ko Bicharta Hon Tuj Say Laikin,
Murr K Daikhon To Palatnay Ki Dua Bhi Karna,

Khat Bhi Likhna Usay, Mayoos Bhi Rahna Us Say,
Jurm Karna Bhi Magar Khud Ko Saza Bhi Daina,

Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Laikin,
Jee Main Ayai To Yeh Diwar Gira Bhi Daina,

Soorat-E-Naqsh-E-Qadatm, Dasht Main Rehna,
Apnay Honay Say Na Honay Ka Pata Bhi Daina

sadagi par us ki mar jane ki hasrat dil main hai

sadagi par us ki mar jane ki hasrat dil main hai
bas nahin chalta k phir khanjar kaf-e-qatil main hai

dekhna taqrir ki lazzat ki jo usne kaha
main ne yah jana k goya yah bhi mere dil main hai

garche hai kis kis burai se wale ba in hama
zikr mera mujh se behtar hai k us mahfil main hai

bas hujum-e-na umidi khak main mil jayagi
yah jo ik lazzat hamari sai-e-behasil main hai

ranj-e-rah kyon khenchiye wamandagi ko ishq hai
uth nahin sakta hamara jo qadam manzil main hai

jalwa zar-e-atash-e-dozakh hamara dil sahi
fitna-e-shor-e-qayamat kis ki ab-o-gil main hai

hai dil-e-shorida-e-Galib tilism-e-pech-o-tab
raham kar apni tamanna par k kis mushkil main hai

Monday, May 8, 2006

Pa liya main ne saari dunia ko..

Pa liya main ne saari dunia ko..
Koi khwahish nahi Tere hoty..

Safar-e-Manzil-e-Shab Yaad Nahi

Safar-e-Manzil-e-Shab Yaad Nahi
Loog Rukhsat Huye Kab Yaad Nahi

Awwaleen Qurb Ki Sarshaari Mein
Kitnay Armaan Thay Jawaab Yaad Nahi

Dil Main Har Waqt Chubhan Rehti Thi
Thi Mujhe Kis Ki Talab Yaad Nahi

Wo Sitaara Thi K Shabnam Thi k Phool
Ik Soorat Thi Ajab Yaad Nahi

Kaisi Veeraan Hai Guzargaah-e-Khayaal
Jub Se Wo Aariz-o-Lab Yaad Nahi

Bhooltay Jaatay Hain Maazi Ke Dayaar
Yaad Aayein Bhi TOu Sub Yaad Nahi

Aisa Uljha Hun Gham-e-Duniya Main
Ek Bhi Khwaab-e-Tarb Yaad Nahi

Rishta-e-Jaan Tha Kubhi Jis Ka Khayaal
Oski Soorat Bhi Tou Ab Yaad Nahi

Ye Haqiqat Hai K Ehbaab Ko Ham
Yaad Hee Kab Thay Jo Ab Yaad Nahi

Yaad Hai Sair-e-Charaaghan “Nasir”
Dil k Bujhne Ka Sabab Yaad Nahi

Log Kehte Hain k EID Aayee Ha ?

Log Kehte Hain k EID Aayee Ha ?
Tum Aajao to Yaqeen Aa jaye..

Zindgi Har – 140 Words Shayari

Zindgi Har – 140 Words Shayari

Yaade Dilse Mitane Ki Cheez Nahi Hoti
Zindgi Har Pal Azmane Ki Cheez Nahi Hoti
Beshak Kuch Pal Yuhi Bhula Diye Jate Hai
Par Pyar Bhool Jane Ki Cheez Nahi Hoti

sare jahan se acha hindustan hamara

sare jahan se acha hindustan hamara
ham bul-bulen hain is ki ye gulistan hamara

gurbat mein hon agar ham rahta hai dil watan mein
samjho wahin hamein bhi dil ho jahan hamara

parwat wo sab se uncha hamsaya asman ka
wo santri hamara wo pasban hamara

godi mein kheli hain is ki hazaron nadiyan
gulshan hai jin k dam se rashk-e-janan hamara

ai ab-e-rud-e-ganga wo din hai yad tujh ko
utra tere kinare jab karwan hamara

mazhab nahin sikhata apas mein bair rakhna
hindi hain ham watan hai hindustan hamara

yunan -o-mishr-o-roma sab mit gaye jahan se
ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara

kuch bat hai k hasti mitati nahin hamari
sadyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara

'Iqbal' koi mahram apna nahin jahan mein
malum kya kisi ko dard-e-nihan hamara

Sunday, May 7, 2006

Chehra koi bhi aankh main thehra na phir kabhi,

Chehra koi bhi aankh main thehra na phir kabhi,
Dil ne kisi bhi shakhss ko chaha na phir kabhi,

Rootha zara si baat pe uth ke chala geya,
Aesa geya ke laut ke aaya na phir kabhi,

Kuch yu’n mila tapaak* se bass ishq ho geya,
Woh ajnabi tha kaun tha socha na phir kabhi,

Us ne bataur* tohfa diya libaas-e-hijar,
Pehna jo aik baar utaara na phir kabhi,

Dulat mili to chinn gayi ehsaas ki qubaa*,
Us ne mera mizaaj bhi poocha na phir kabhi,

Nazish guzar chuka tha hadh-e-etdaal* se,
Jane kahan geya usey dekha na phir kabhi..

Eid Mubarak to the love of my life

Eid Mubarak to
the love of my life
May Allah’s blessings
be with you
today and always!

Kon aye ga ab Ae dil tujh ko tasalli dene

Kon aye ga ab Ae dil tujh ko tasalli dene
Teri udaas tabiyat ki khabar sab ko hai

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamauNgii

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamauNgii
main apane haath se us kii dulhan sajauNgii

supurd kar ke use chaaNdanii ke haathon
main apane ghar ke aNdheron ko lauT auNgii

badan ke karb ko vo bhii samajh na payega
main dil men rouuNgii aaNkhon men muskurauNgii

vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
main kis se ruuTh sakuuNgii kise manauNgii

vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukauNgii

bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
vo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThauNgii

ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
main kis kii nazm akele men gun_gunauNgii

javaz DhuuNDh rahaa thaa nayii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jauNgii

todiye ji todna asaan hai

todiye ji todna asaan hai
dil hamara kaanch ka samaan hai

aapse mil aap se hum ho gaye
aaiina bhi dekh kar hairaan hai

hindu muslim sikh isaayee sab mile
laapta bas aajkal insaan hai

neer bhoomi sang gagan vaayu mila
inse hi milkar bane bhagwaan hai

chahton ka hai yahi dastoor ki
husn hi ne ishq ki li jaan hai

apne apne hisse ka kaato badan
zindgi ka khul raha lo thaaan hai

kar lo ghar ki sab diwareN ab nayee
aane wala ik naya mehmaan hai

'fikr' usse ho zuda mumkin nahi
usme meri, meri usme jaan hai

Saturday, May 6, 2006

Dunia sy mujhy piyar tha sb bhool chuka hoon,

Dunia sy mujhy piyar tha sb bhool chuka hoon,
Ik shakhs mera yaar tha sb bhool chuka hun,

Bakhshi hai mujhy piyar k badly main judai,
Jo bhi tera kirdar tha sb bhool chuka hoon,

Bs itna mujhy yaad hai ik wasl ki shab thi,
Iqrar tha inkar tha sb bhool chuka hoon,

Haan meri khata thi keh tujhy toot k chaha,
Haan main hi gunehgar tha sb bhool chuka hoon,

Ik shakhs ny pagal sa bana rakha hy “FARAZ”
Main kitna samajhdar tha sb bhool chuka hoon.

Thukra k usne mujhko kaha muskura do

Thukra k usne mujhko kaha muskura do,
Main hans dia akhir sawal uski khushi ka tha..

Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi,
Usne khoya woh jo sirf usi ka tha?

Booly To Baat Baat Se Jharty Hain Jese Phool

Booly To Baat Baat Se Jharty Hain Jese Phool
Lehje Me Us K Urdu Ki Saari Mithaas Hai

Friday, May 5, 2006

Tum Ko Uljhaa Ker Kuch Sawaalon Mein,

Tum Ko Uljhaa Ker Kuch Sawaalon Mein,
Maine Jee Bhar Ke Tum Ko Dekh Liya..!!

Qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao

qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao
qazaa se aa.Nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaao

thakii thakii sii fazaaye.N bujhe bujhe taare
ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaao

nahii.n ummiid ki ham aaj kii sahar dekhe.n
ye raat ham pe ka.Dii hai zaraa Thahar jaao

abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai
tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao

phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge
labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao

dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N
ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao

Thursday, May 4, 2006

Mein kesay faramosh ker dun ab

Mein kesay faramosh ker dun ab
Jis nay bachpan sey ab tak sambhala hai

Main bohat chota hua krta tha tab
Is ney mjhy senay sey lga ker pala hai

Mein bohat darta tha blaa’on sey ‘Gul’
Meri maa ney duaa’on sey is dar ko nikala hai

uth gaya ghabra kay aur phir roo para bay ikhtiyaar

uth gaya ghabra kay aur phir roo para bay ikhtiyaar
mein nay daikha jab watan apna kafan pehlay howay

Maangi Hai Dua Isi Ilteja K Saath

Maangi Hai Dua Isi Ilteja K Saath
Kat Jaye meri Umr Usi Bewafa K Sath

Faraz Shayari Sms – 2 Lines

Faraz Shayari Sms – 2 Lines

Apne Siwa Batao Tumhein Kuch Mila Hai FARAZ ..
Hazar Bar Leen Hain Tumne Mere Dil Ki Talashiyaan

Pyar Ki Khushboo Urdu Shayari

Pyar Ki Khushboo Urdu Shayari

Sath Chalte Ja Rahe Hain Paas Aa Sakte Nahi
Ik Nadi Ke Do Kinaro Ko Mila Sakte Nahi
Dene Wale Ne Diya Sab Kuch Ajab Andaaz Se
Saamne Duniya Padi Hai Aur Utha Sakte Nahi
Uski Bhi Majbooriyan Hain, Meri Bhi Majbooriyan
Roz Milte Hain Magar Ghar Mein Bata Sakte Nahi
Uski Yaadon Se Mehkane Lagta Hai Sara Badan
Pyar Ki Khushboo Ko Seene Mein Chupa Sakte Nahi
- Bashir Badr

Aaye dil tu kiyun udaas hai

Aaye dil tu kiyun udaas hai
Naa jine ki koi aas hai
Kiyun usse panay ki tujhe hai arazu
Jo ab kisi aur ke liye khaas hai

Akela hon Mgr aabad Kr leta hon Veerany

Akela hon Mgr aabad Kr leta hon Veerany...
Bohat Roye Gi Mere bad Meri Shaam-e-Tanhai

Na kar dil azaari, na ruswa kar mujhe, de maafi

Na kar dil azaari, na ruswa kar mujhe, de maafi
Jurm bata, saza suna or khatm kar shikway saaray

Ik khilona toot jaye ga naya mil jaye ga

Ik khilona toot jaye ga naya mil jaye ga,
Main nahi to koi tujhko dosra mil jaye ga,

Bhagta hun har taraf esey hawa kay sath sath,
Jis tarha sach much mujhey us ka pata mil jaye ga,

Kis tarha roko gey ashkon ko pas e dewar e chasham,
Ye to pani hai isey to rasta mil jaye ga,

Ja raha hun is yaqeen sey us kay chorey ghar ki simat,
Jesey wo bahir gali me jhankta mil jaye ga,

Tez hoti ja rahi hain dharkanien esey adeem,
Jesey agley morr par wo bewafa mil jaye ga.

Wednesday, May 3, 2006

Shayari Bewafa Shayari

Shayari Bewafa Shayari

Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush khafa hone se pehle tha,
Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha.

Tamaam Umer Bas Apnay Badan Mein Qaid Rahay,

Tamaam Umer Bas Apnay Badan Mein Qaid Rahay,
Ajab Malaal Raha Haadsaat Se Bach kar……!

Mujhko Os Shaks Ki Qismat Pay Reham Aata hay

Mujhko Os Shaks Ki Qismat Pay Reham Aata hay
Jiss Ko Har Cheez Milli, Sirf Muhabbat Na Milli

Tuesday, May 2, 2006

dard ik paagal ke kaashaane mei.n hai

dard ik paagal ke kaashaane mei.n hai
roushnii bhi kaise viiraane mei.n hai

aap mauqe kii naazakat dekhiye
faayda anjaan ban jaane mei.n hai

naqlii muskaane churaane kii na soch
asl daulat dil ke tahkhaane mei.n hai

mushkilei.n saare zamaane kii nahii.n
saarii mushkil khud ko samjhaane mei.n hai

Dhuu.NDta huu.N sab kii aa.nkho.n mei.n magar
aks meraa aa_iina khaane mei.n hai

hai kaThin us tak pahu.Nchnaa ytna hii
jitnii aasaanii use paane mei.n hai

jii rahaa huu.N mai.n paraa_ii zindgii
ruuh merii jaane kis BAANE mei.n hai

Hum bhi chuntay they seepiya’n aksar,

Hum bhi chuntay they seepiya’n aksar,
Hum bhi maqrooz hain samandar ke,

Aankh k gird maatmi halqey,
Saaye jaisey jaley hue ghar ke,

Dosto’n ki zubaa’n to khulney do,
Bhool jao gay zakhm khanjar ke,

Chaand bhi zard par gya aakhir,
Ujrey aangan main roshni kar ke,

Aankh num bhi karo to bus itni,
Rang pheekey parein na manzar ke..

Kon Kehta Hai, Shararat Se Tumhain Dekhtay Hain ?

Kon Kehta Hai, Shararat Se Tumhain Dekhtay Hain ?
Jaaneman Hum Tou Mohabbat Se Tumhain Dekhtay Hain

Tum Ko Maaloom Nahee Tum Ho Muqaddas Kitnay
Dekhtay Hain Tou Aqeedat Se Tumhain Dekhtay Hain

Dekh Ke Tum Ko Kisi Aur Ki Yaad Aati Hai
Hum Kisi Aur Hee Nisbat Se Tumhain Dekhtay Hain

Saath Gairon Ke Nazar Aao Tou Jee Gurhta Hai
Kia Kahain Kaisi Azyat Se Tumhain Dekhtay Hain

Jhonkni Parti Hai, Ye Jaan Mein Hamain
Kon Kehta Hai Sahoolat Se Tumhain Dekhtay Hain

Jaanay Kia Likhtay Ho Kia Sochtay Rehtay Ho Wasi
Raat Ko Jab Bhee Kubhi Chhat Se Tumhain Dekhtay Hain

Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai

Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai
Yaadon Ke Jharokon Mein Chilman Si Sirakti Hai

Lobaan Mein Chingaari Jaisay Koi Rakh Jaaye
Yun Yaad Teri Shab Bhar Seenay Mein Sulagti Hai

Yun Pyaar Nahi Chhupta, Palkon Ke Jhukaanay Se
Aankhon Ke Lifaafon Mein Tehreer Chamakti Hai

Khush Rang Parindon Ke Lout Aanay Ke Din Aaye
Bichray Howay Miltay Hain, Jab Barf Pighalti Hai

Shohrat Ki Bulandi Bhi, Pal Bhar Ka Tamasha Hai
Jis Daal Pe Bethay Ho, Wo Toot Bhi Sakti Hai