Friday, September 30, 2005

Tujhe khony ka hosla nahi mujh mein faqat itna he kehna hai

Tujhe khony ka hosla nahi mujh mein faqat itna he kehna hai
Yeh duniya mujh ko kho day gi agar tum kho gaye mujh se

Ab is se ziyadah aur sitam

Ab is se ziyadah aur sitam, ye dard ke maaray kia sehtay
Khud zakhm silay ristay ristay, khud ashk thamay behtay behtay

Dunya ke musaafir khanay maiN, kia haal kisi ko batlatay
Jab jaan bhi baygaani Thehri, aye jaan! kisay apna kehtay

Is dil ke dar-o-deewaar pe ab, ek rang naya karwa Daalo!
Wo tang na ajaayeN warna, is ghar maiN kaheeN rehtay rehtay

Go rah-e-wafa to khatm hui, lamhoN ki musafat maiN yaaro!
Ek umr guzaari hay laikin, anjaam-e-wafa sehtay sehtay

Rakhte hain jo auron ke liye pyar ka jazba

Rakhte hain jo auron ke liye pyar ka jazba
Woh log kabhi toot ke bikhra nahin karte…

To kya ye tay hai k ab umr bhar nahi milna

To kya ye tay hai k ab umr bhar nahi milna
To phr ye umr b Q... tum se agr nahi milna

Thursday, September 29, 2005

Mere Her Khwab Me Basti Hai Mohabbat Teri

Mere Her Khwab Me Basti Hai Mohabbat Teri
Main Tere Pyar Ki Ranjishon Se Pareshan Nahi

Ham Teri Mohabbat Pe Inhesaar Kia Kartay ?

Ham Teri Mohabbat Pe Inhesaar Kia Kartay ?
Rait Ke Gharoonday Pe Aitbaar Kia Kartay ?

Door Jaanay Waalay Phir Lout Kar Nahee Aatay
Door Jaanay Waalon Ka Intezaar Kia Kartay ?

Oske Saaray Gham Le Kar Apni Khushi Dedi
Aur Is Se Badh Kar Ham Os Se Pyaar Kia Kartay ?

Khol Kar Kitaab-e-Dil Unke Saamnay Rakh Di
Aur Bekaraari Mein Bekaraar Kia Kartay ?

Kat Gaye Hawaon Ki Tund-o-Taiz Lehron Se
Aandhion Ke Aagay Ye Shaakhsaar Kia Kartay ?

Ham Ne Oski Khwaahish Per Jaan Bhee Luta Di Hai
Dil Pe Tha Na Kuch Ham Ko, Ikhtiyaar Kia Kartay ?

Wednesday, September 28, 2005

dard minnat kashe-dawa na hua

dard minnat kashe-dawa na hua
main na acha hua, bura na hua

jama karte ho kyon raqibon ko
ik tamasha hua gila na hua

ham kahan qismat azmane jayen
tu hi jab khanjar azma na hua

kitne shirin hain tere lab k raqib
galiyan khak bemaza na hua

hai khabar garm un k ane ki
aj hi ghar mein boriya na hua

kya wo namard ki khudai thi
bandagi mein mera bhala na hua

jan di, di hui usi ki thi
haq to yun hai k haq ada na hua

zakhm gar dab gaya lahu na thama
kam gar ruk gaya rawa na hua

rahzani hai k dilsitanee hai
lek dil, dilsitan rawa na hua

kuch to parhiye k log kahte hain
aj 'ghalib' gazalsara na hua

Tuesday, September 27, 2005

Dil Ke Saare – Dard Shayari Sms

Dil Ke Saare – Dard Shayari Sms

Khushi Ko Dhundhne Se Gam Milte Hain
Yeh Gam Zindagi Main Hardam Milte Hain
Jo Dil Ke Saare Dard Baat Le
Aise Log Zindagi Main Kam Milte Hain

Likhi hai yeh ghazal sirf tere liye

Likhi hai yeh ghazal sirf tere liye
Dewane bane bhi to sirf tere liye

Kisi ko nahin dekheingi ab yeh aankhein
Nazrein tarseingi bhi to sirf tere liye

Her saans mein yaad kareinge tujhe
Ye saans nikle gi bhi to sirf tere liye

Her pyar se pyare lagte ho tum mujhe
Maine pyar seekha bhi to sirf tere liye

Monday, September 26, 2005

Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain

Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain
Dekhna
Hadd-e-nazar se aagy barh kar dekhna bhi jurm hy
Sochna
Apne aqeedo’N aur yaqeeno’N se nikal kar sochna bhi jurm hy
“Kyun” bhi kehna jurm hy
“kese” bhi kehna jurm hy
Sans lene ke to aazadi muyassar hy……..magar
Zianda rehny k liay insaan ko…….kuch “aur” bhi darkaar hy
Aur…….is kuch “aur” bhi ka tazkira bhi jurm hy
Aey hunar mandaan-e-aaeen-o-sayasat
Aey khuda vandaan-e-eewan-e-aqaid
Zindagi ke naam par, bas ik inayat chahiay
Mujh ko in sary jarayam ke ijazat chahiay

Sunday, September 25, 2005

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k

mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k

Toleh e meher shagofat e sehar siahi shab

Toleh e meher shagofat e sehar siahi shab
Teri talab tujhe pane ki arzo tera gham

Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye

Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye
Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jaye
Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat Ka
Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho Jaye

Chahaton ke alm hum ne dekhe hain

Chahaton ke alm hum ne dekhe hain
Qismaton ke sitm hum ne dekhe hain

Mafhom-e-dastan badl jatey hain
Lafzon ke jurm hum ne dekhe hain

Aashiyan jala kar muskaratey hain
Doston ke karam hum ne dekhe hain

Aye ujalo kiyun itna hanste ho
Andehron ke ghum hum ne dekhe hain

Chala tu uss nagar mai jaon
Raston ke khum hum ne dekhe hain

Koi Ghazal Suna Ker Kya Karna

Koi Ghazal Suna Ker Kya Karna
Yoon baat barrha Ker Kya Karna

Tum Mere Thay Tum Mere ho
Duniya Ko bata Kar Kya Kerna

Tum Ehad Nibhao Chaahat Say
Koi Rasm Nibha Kar Kya Karna

Tum Khafa bhi Achay Lagtay ho
Phir Tum Ko Mana Kar Kya Karna

Tere Dar Pe Aa K bethay hain
Ab Ghar bhi Ja Ker Kya Karna

Din Yaad Se Acha Guzray Ga
Phir Tum Ko bhula Ker Kya Karna

Saturday, September 24, 2005

ham k magub-e-guman the pahle

ham k magub-e-guman the pahle
phir wahin hain k jahan the pahle

khwahishen jhurriyan ban kar ubhrin
zakhm sine main nihan the pahle

ab to har bat pe ro dete hain
waqif-e-sud-o-ziyan the pahle

dil se jaise koi kanta nikla
ashk ankhon se rawan the pahle

ab faqat anjumanarai hain
aitabar-e-dil-o-jan the pahle

dosh pe sar hai k hai barf jami
ham to sholon ki zuban the pahle

ab to har taza sitam hai taslim
hadse dil pe garan the pahle

meri hamzad hai tanhai meri
aise rishte bhi kahan the pahle

Na Lekar Jaa, Mere Mehboob Mere Dil Ko Is Tarhan,

Na Lekar Jaa, Mere Mehboob Mere Dil Ko Is Tarhan,
Tujhe Bhi Chot Pohnche Gi, Mere Is Dil Ki Thokar Se...

Milain Gi Hum Ko B Apne Naseeb Ki Khushiyan.

Milain Gi Hum Ko B Apne Naseeb Ki Khushiyan..
Bus Intezar Hai.. Kab Ye Kamal Hona Hai..

Friday, September 23, 2005

Ab Kay Baar Agar Wo Milla To Pochein Gay Uss Ki Aankhon Se

Ab Kay Baar Agar Wo Milla To Pochein Gay Uss Ki Aankhon Se
Kiss Ko Abaad Kiya Hai.....Hamein Barbad Karney Kay Baad

Sar-e-Aab jo raha tashna lab ,to yeh zabt-e-gham ki hai intayha

Sar-e-Aab jo raha tashna lab ,to yeh zabt-e-gham ki hai intayha
Mere haal pey thay jo nuqta cheen, mera hosla bhi to daikhtay !

Woh uter gaye thay jo paar khud , Mujhay beech bahar main chor ker
Tha jo Un main itna hosla, Mujhay doobta bhi to …daikhtay

Jinhain mujh say hai yeh gilla k main raha , bay nayaaz -e- khaloos -o ? rabt
Mere gird Rasm -o- rawaaj ka ,woh daaira bhi to daikhtay

woh Mere hansee say hain Khush GumaaN , k nishaat-e-zeest hai mud?da
Mere Ashk-e-gham ka ruka hoa , woh Qaafila bhi to daikhtay

Hoon Saza k baad bhi mohtram , to hain hairatoN main yeh Log kion
Zara Zehr-e-Haq ka Mere Terah, kabhi zaaiqa bhi to daikhtay

Woh bohat he sehal samjh rahay thay , Mere Tashnagi See Mout ko
Meray Jism say Tooti Saans ka ,woh Raabta bhi to Daikhtay..!!!

Ajeeb hum hain k khushiyan Sajaye phirty hain

Ajeeb hum hain k khushiyan Sajaye phirty hain
Ajeeb dil hai k aksar Udaas rehta hai

Thursday, September 22, 2005

larkio ka pecha nahi karoge

Teacher. Bachon wada kro cigrett shrab nahi pioge.
bachey:nahi pienge.
Teacher:larkio ka pecha nahi karoge
bachey:nahi karnge
Teacher:un pr awazen nahi kaso ge.
bachey: nahi kasenge.
Teacher: apni zindagi watan pr qurban karoge.
bachey: karenge,asi zindgi ka karna bhi kia he.

Meri Zindgi Hi Mujhe Azaab Lage

Meri Zindgi Hi Mujhe Azaab Lage

Meri Zindgi Hi Mujhe Azaab Lage,
Aankh Me Ashkon Ka Sailaab Lage.

Tere Husn Ka Sani Duniya Me Nahi Koi,
Chehra Tera Mujhe Khilta Gulaab Lage.

Kya Zarurat Hai Tumhe Parde Ki,
Tere Qesu Hi Sanam Tera Naqaab Lage.

Kyon Toden Teri Kasmon Ko Mahkhane Jakar,
Jab In Aankhon Ke Ashq Hi Mujhe Sharab Lage.

Kya Khabar Teri Inyaten Hain Kitni Mujhpar,
Zakhmo Ko Ginu To Kuch Hisaab Lage.

Yoon To Kai Roop Saje The Rahon Me,
Dekha To Har Shakhs Me Janaab Lage……

Wednesday, September 21, 2005

Tere baghair jee to raha hoon magar ye dil

Tere baghair jee to raha hoon magar ye dil
Sehra ki chandni ki tarha sogwar hai

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe

Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe

Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe

Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe

Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe

Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
“Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe

ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe
k sang tujhpe gire aur zakhm aye mujhe

wo maharaban hai to iqrar kyun nahin karta
wo badguman hai to sau bar azmaye mujhe

main apne paon tale raundata hun saye ko
badan mera hi sahi dopahar na bhaye mujhe

main ghar se teri tamanna pahan k jab niklun
barhana shahar mein koi nazar na aye mujhe

wo mera dost hai sare jahan ko hai malum
daga kare wo kisi se to sharm aye mujhe

main apni zat mein nilam ho raha hun 'Qateel'
gam-e-hayat se kah do kharid laye mujhe

kuch faisala to ho k kidhar jana chahiye

kuch faisala to ho k kidhar jana chahiye
pani ko ab to sar se guzar jana chahiye

har bar aeriyon pe gira hai mera lahu
maqtal main ab ba-tarz-e-digar jana chahiye

kya chal saknge jin ka faqat mas'la ye hai
jane se pahle rakht-e-safar jana chahiye

sara jwar-bhata mere dil main hai magar
ilzam ye bhi chand k sar jana chahiye

jab bhi gaye azab-e-dar-o-bam tha wahi
akhir ko kitni der se ghar jana chahiye

tohamat laga k man pe jo dushman se dad le
aise sukhanfarosh ko mar jana chahiye

Tuesday, September 20, 2005

Hum Dono Mil Bethain Gy To Raat khoob Guzery Gi

Hum Dono Mil Bethain Gy To Raat khoob Guzery Gi
Tanhai Ka Ye Kehna Bohat Acha Lga Mujhe

Esi dewaangi say kya hasil

Esi dewaangi say kya hasil
Quwat e fikar jis me ghat jaey
Zindgi alam me att jaey
Admi zindgi sy cut jaey
…Esi dewangi say kya hasil
Ishq to esi ho k jis ki chamak
Fikar ko abshar e noor kar day
Shisha e dil ko chur chur kar day
Lekin 21v saddi ka dimag
Andhi k rastay me chirag
Pather ka phul rait ka bagh..

Bahar ki Rut me ujrey rasty

Bahar ki Rut me ujrey rasty,
Chala kro gy to Ro paro gy…

Kisi se milny ko jab bhi ,
Sajja karo gy to Ro paro gy….

K chaand raton me ab kisi se,
Mila karo gy to Ro paro gy…

Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen…

Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…!!!

Jitna gham tha tamaam baaqi hai

Jitna gham tha tamaam baaqi hai
Din to guzraa hai shaam baaqi hai

Monday, September 19, 2005

Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane

Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane,
Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane,

Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain,
Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain.

h uthayen ham bhi

aiye hath uthayen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yad nahin
ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa
koi but, koi khuda yad nahin

aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de
wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin
unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de

jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin
unki raton main koi shama munawwar kar de
jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
unki nazron pe koi rah ujagar kar de

jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile

ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
aj iqrar karen aur tapish mit jaye
harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah
aj izhar karen or khalish mit jaye

Tum kiyon bany thy dil ka sahara jawab do,

Tum kiyon bany thy dil ka sahara jawab do,
Ab kahan hai wo pyar tumhara jawab do,
Kis ko tha naaz apni adaaon pe har ghari,
Hum to seh na seken ge judai ka gham,
Ye qoul tha mera k tumhara jawab do.
Ek taraf zindagi ek taraf maot hai,
Ab kis taraf karo gy ishara jawab do.

Aao is Ehd-e-Muhabbat ki Haqeeqat Sun lo

Aao is Ehd-e-Muhabbat ki Haqeeqat Sun lo
Sir me ho dard... to mehboob bury lgty hain

ye mujhay chain kyoun nahi parta

ye mujhay chain kyoun nahi parta
Aik hi sakhas tha jahan main kia

Toot kar bikharta hoo’n to is baat ka ahsaas hota hai

Toot kar bikharta hoo’n to is baat ka ahsaas hota hai
Zindagi itni takleef deti hai to maot ka aalam kya hoga

Dil hijr k dard se bojhal hai, ab aan milo to behter hai,

Dil hijr k dard se bojhal hai, ab aan milo to behter hai,
Is baat se hum ko kya matlab, yeh kaise ho yeh kyun kar ho?

Ik bheek k donon kaasay hain, ek pyaas k donon pyaase hai,
Hum khaiti hain, tum baadal ho, hum nadiya hain tum saagar ho!

Yeh dil hai k jalte seene mein, ik dard ka phora alhar sa,
Na gupt rahe na phoot bahe, koi marham ho koi nishtar hai,

Hum saanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat k chandar maan
Hum jaate hain, tum aate ho, phir mail ki soorat kyun kar ho!

Ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khaali hai,
Chal basti mein banjaara ban, chal nagri mein saudagar ho,

Jis cheez ki tujh ko nisbat hai, jis cheez ki tujh ko chahat hai,
Woh sona hai woh heera hai, woh maati ho ya kankar ho,

Ab Insha ji ko bulana kya, ab pyar k deep jalana kya
Jab dhoop aur chhaya ek se hon, jab din aur raat barabar ho,

Woh raaten chaand k saath gayin, woh baatein chaand k saath gayin,
Ab sukh k sapne kya dekhein, jab dukh ka sooraj sar par ho…

Sunday, September 18, 2005

USE KEHNA JAB ULAJHTi HAi TO PHiR AUR ULJH JATi HAi.

USE KEHNA JAB ULAJHTi HAi TO PHiR AUR ULJH JATi HAi..!!

YEH MERi ZiNDAGi HAi TERi ZULF NAHi JO SANWAR JAYEGi.

Chand Roz Aur Meri Jan Faqat Chand Hi Roz

Chand Roz Aur Meri Jan Faqat Chand Hi Roz
Zulm Ke Chanv Mein Dam Lene Par Majabur Hain Hum
Ik Zara Aur Sitam Sah Lain Tadap Lain Ro Lain
Apne Ajdad Ke Miras Hai Mazur Hain Hum

Jism Par Qaid Hai Jazbat Pe Zanjire Hai
Fikr Mahabus Hai Guftar Pe Taziren Hain
Aur Apani Himmat Hai Ki Hum Phir Bhi Jiye Jate Hain
Zindagi Kya Kisi Muflis Ke Qaba Hai
Jis Mein Har Ghadi Dard Ke Paiband Lage Jate Hain

Lekin Ab Zulm Ke Miyad Ke Din Thode Hain
Ik Zara Sabr Ki Fariyad Ke Thode Hain

Arsa-e-dahar Ke Jhulasi Hui Virani Mein
Hum Ko Rahana Hai Par Yun Hi To Nahi Rahana Hai
Ajanabi Hathon Ka Benam Garan-bar Sitam
Aj Sahana Hai Hamesha To Nahi Sahana Hai

Ye Teri Husn Se Lipati Hui Aalam Ke Gard
Apani Do Roza Javani Ke Shikaston Ka Shumar
Chandani Raton Ka Bekar Dahakata Hua Dard
Dil Ke Besud Tadap Jism Ke Mayus Pukar

Ek doojy ko dair se samjha dair se yaari ki

Ek doojy ko dair se samjha dair se yaari ki
hum dono ne ek Muhabbat baari baari ki

Roohain tou ik zamana hua, ho chuki’n faroht,

Roohain tou ik zamana hua, ho chuki’n faroht,
Kis nar’hh se bikain ge badan, Dekhte raho..

Teri janib agar chale hote

Teri janib agar chale hote
Hum na yon dar-badar hoe hote

Sari duniya hai meri muthi main
Kon ae ga ab tere hote

Aur ab kiou nahin nibhate tum
Itne wade nahin kiye hote

Paa liya me ne sari duniya ko
Koi khawahish nahin tere hote

Us ki ankhon main baar panne ko
Kash hum khawab ban gae hote

Osey Ye Zid Kay Muhabbat Ki Bheek MangOon Main ..

Osey Ye Zid Kay Muhabbat Ki Bheek MangOon Main ..
Meri Ye Zid Kay TaQaza Mera UsoOol Nahi .. !!!

Friday, September 16, 2005

Aaj Bohat Din Bad Main Apne Kamry Tak Aa Nikla

Aaj Bohat Din Bad Main Apne Kamry Tak Aa Nikla.
Jonhi Darwaza Khula Hai.... Uski Khushbo Aai Hai

Dosti Phool Nahi Jo Murjha Jaye,

Dosti Phool Nahi Jo Murjha Jaye,
Dosti Mousam Nahi Jo Badal Jaye,
Dosti Toh Dharkan Hai Jo Chale To Sab Kuch Hai,
Aur Agar Na Chale Toh Kuch Bhi Nahi…

Husan ko husan banane me mera hath be hai

Husan ko husan banane me mera hath be hai
App muj ko nazar andaz nahin kar skte

ay gham-e-yaar theher aaj ki shab

ay gham-e-yaar theher aaj ki shab

lag chuki teri sayahi dil per
aa chuki jo thi tabahi dil per

zard hay rang-e-nazar aaj ki shab
khaak ka dhair huway khuwaab nagar

aaj ki shab
ay gham-e-yaar theher aaj ki shab

kam-nazar daikh hawa ki aahatt
kis ki khusbhu mai basi aati hay

kon saa aks hay jis ki khaatir
aankh aaiyna bani jaati hay

kis tarah chaand achanak jhukk ker
sard shaakhon say lipat jaata hay

kis tarah rang-e-chaman
ik chehray mai simatt jaata hay

seal-e-amwaaj-e-tamanna kaisay
saahil-e-dil say palat jaata hay

aur kis tor say tay hota hay
lerrkharratay huway taaron ka safar

aaj ki shab
bay-hunar aaj ki shab

mujhay jee bhar kay ussay yaad to ker lainay day
daulat-e-dard hi sahi, jeet to bher lainay day..!

Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-taloq ne aa lia

Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-taloq ne aa lia
Wo bhi isi kheal se aoron ki ho gai

Pehle to us k hath ki mashal bhojhi WASI
Phir yon hoa kahen meri taqdeer kho gai

Thursday, September 15, 2005

Tumhari dosti ke dekh kar sab rashk karte hain,

Tumhari dosti ke dekh kar sab rashk karte hain,
Jo bas chalta to dunya cheeen leti zindagi meri..

Kabhi jo mujh ko talaash kerna

Kabhi jo mujh ko talaash kerna
Tou chand raaton ki chandni main

Gul-e-chaman say sawal kerna
Udaas kiun ho??

Kyun oas-Qatron main apnay aanso
Chupaa rehay ho

Haseen mausam main kis ki yadoon main
Apnay dil ko jala rehay ho

Gul-e-chaman yeh sawal sun ker
Tumhari aamad ka haal sun ker

Kehay ga tum jis ko khoojtay ho
Woh in baharoon ki sari khushboo

Churaa kay abb ik nay chaman main
Mehek raha hay

Udaas ker kay yahan pay hum ko
Kisi chaman main chehek raha hay

Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker
Tumhain lagay ga main baywafa hoon

Udaas kalioon ko choor ker main
Nai baharoon ko dhoondta hoon

Mager haqeeqat main is chaman kay
Tamaam phoolon ki khwahishon kaa

Aur in ki nakkam kavishoon ka
Haseen mousam ki barishoon ka

Naa meray dil per aser hua tha
Naa meray dil per aser hua hai

Main aaj bhi ik nay chaman main
Puranay qissay suna reha hoon

Joo mere chahat ka devtaa tha
Main aaj bhi us ko poojta hoon

Yaqeen nahi tou palat kay dekho
Waheen khara tha,waheen khara hoon

Jiss Ko Jitni Jitni Zaroorat Pari Meri

Jiss Ko Jitni Jitni Zaroorat Pari Meri
Us Ko Utni Hi Mohabbat Rahi Mujh Se

Musafat Se Rafaqat se

Musafat Se
Rafaqat se
Ye Seekha wisal-O-Furqat se...
Agr tum in se bach pao
Muhabbat Maar deti hai..

Wednesday, September 14, 2005

Aisi sunsaan kabhi pehle na thi hijar ki raat

Aisi sunsaan kabhi pehle na thi hijar ki raat
Door tak kaafila e subah ke asaar nahin

Ik umr se hum Uski tamanna me hain be-khwab

Ik umr se hum Uski tamanna me hain be-khwab
Wo chand jo aangan me utarta b nahi hai..

Naye gulaab naye rang hain neyi khushbu,

Naye gulaab naye rang hain neyi khushbu,
Utar rahi hai meri rooh main teri khushbu,

Badan ko chootey hi mehkaa gayi hai sanson ko,
Mere qareeb se jab bhi guzar gayi khushbu,

Isi gali se guzre teri gali se hum,
Humain bhi dekhe gi khirki se jhankti khushbu,

Gulon ke chehre pe jese hon shabnami qatrey,
Bhali lagi mujhe sawan main bheegti khushbu,

Woh jis ki yaad main jaaga tamaam shab Sahil,
Ussi ke yaad ke pehlu main so gayi khusbhu..

Ke jo chaha mene woh paa liya, nahin aesa kuch jo mila nahin,

Mujhe khud se hain shikaaytain, mujhe zindagi se gilaa nahin,
Ke jo chaha mene woh paa liya, nahin aesa kuch jo mila nahin,

Mere aas paas hai roshni, mere raston mein chiraag hain,
Yeh tere karam ka hai mojza, meri justuju ka silaa nahin,

Teri aankh se jo haseen ho, woh nigaah jag mein bani nahin,
Tere rukh ko jis se misaal doon, koi aesa phool khila nahin,

Yeh jo teri zulf ka hai haashiya, yeh jo tera chahra khushnuma,
Koi raat aesi seyaah nahin, kisi subah main yeh jilaa nahin,

Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain, yeh jo aayinon ki hain hertain,
Hain azzal se yeh isi tarah, koi apni jaa se hilaa nahin..

dost gamkhwari main meri sai farmayenge kya

dost gamkhwari main meri sai farmayenge kya
zakhm k bharne talak nakhun na barh jayenge kya

beniyazi had se guzri banda parwar kab talak
ham kahenge hal-e-dil aur ap farmayenge kya

hazrat-e-naseh gar ayen dida-o-dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samjha do k samajhayenge kya

aj wan teg-o-kafan bandhe hue jata hun main
uzr mera qatl karne main wo ab layenge kya

gar kiya naseh ne ham ko qaid acha yon sahi
ye junun-e-ishq k andaz chut jayenge kya

khana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kya
hain giraftar-e-wafa zindan se ghabarayenge kya

hai ab is mamure main qahat-e-gam-e-ulfat asad
ham ne ye mana k dilli main rahe khayenge kya

Aao Shehedon Sair Karein Tumko Pakistan Ki

Aao Shehedon Sair Karein Tumko Pakistan Ki

Jisky Khatir Tumny Lakhon Janey Qurban Ki

Na Nabi Ka Farman Na Laaj Rakhi Rehman Ki

Khud Ko Kaha Muslim Hum Ny Or Harkat Ki Shaitan Ki

Bandh Kr Jism Par Bomb Lakhon Masomon Ki Janli

Na Jung Ourat Ki
Na Jung Kisi K Maal Ki
Lakhon Janey Le Humny Baghair Jismo Khal Ki

Na Hasan Ki Qurbani Na Hussain Ki Shadat Yad Ki
Kaey Maon K Lal Mardey Ye Kesi Hum Ny Majal Ki

Ab Kese Karein Sair Tumko Hum Apny Pakistan Ki..

Bewafa Shairy in Urdu

Bewafa Shairy in Urdu

Guzry Dinon Ki Bhuli Hui Bat Ki Tarha
Aankhon Main Jagta Hai Koi Rat Ki Tarha.
Us Se Umeed Thi K Nibhaye Ga Sath
Magar Woh Bhi Badal Gaya Mery Halaat Ki Tarha

Tuesday, September 13, 2005

Falak pe chand k hale bhi sog karte hain

Falak pe chand k hale bhi sog karte hain
Jo to nahin to ojhale bhi sog karte hain

Tumhare hath ki chori bhi ben karti hai
Hamare hont k tale bhi sog karte hain

Nagar nagar me wo bikhare hain zulam k manzar
Hamare rooh k chale bhi sog karte hain

Use kaho k sitam me wo kuch kami kar de
K zulam torane wale bhi sog karte hain

Tum apne dukh pe akaile nahin ho afsorda
Tumhare chahne wale bhi sog karte hain

Tabhi Toh Main Muhabbat Ka Hawalati Nahi Hota

Tabhi Toh Main Muhabbat Ka Hawalati Nahi Hota
Yahan Apnay Siwa Koi Mulaqati Nahi Hota

Aur Ab es Bat Par Bhi Mujhse Mere Yaar ulajhtay Hain
K Main Har Baat Sun Leta Hoon Jazbati Nahi Hota

Girftar-e-Wafa, Ronay Ka Koi Aik Mousam Rakh
Jo Nala Roz Beeh nikalay Woh Barsati Nahi Hota

Tujhay Dil Mein Jaga Di Hai Nazar Se Door Kya Kartay
Jo markaz Mein Theher Jaye Woh Mazafati Nahi Hota

Bicharnay Ka Irada Ho Toh Mujhse Mashwara Karna
Muhabbat Mein Koi Bhi Faisla Zaati Nahi Hota

bisat-e-ishq me muje maat ho jaye gi

bisat-e-ishq me muje maat ho jaye gi...
kise khabr thi k banjr ye zat ho jaye gi...

shayd wo ana me pehchan-nay se inkar ker day...
kabhi jo rah-e-ishq pe mulaqat ho jaye gi...

judai bakhshay gi umer bhar ka adhoura pun...
ya hijr me mukamal meri zat ho jaye gi...

us ka nam tak lene ki ijazat nai ab to...
khayal to yeh tha k kabi kabi bat ho jaye gi...

guman tak na tha is qadar zawal ka aakash...
socha tha k subh hote hi rat ho jaye gi.

Monday, September 12, 2005

Munaasib Jab bhi Samjhein Gey koi Paighaam likh dein gey

Abhi Tak Saada Rakha Hai Yeh Kaaghaz Apni Chaahat ka
Munaasib Jab bhi Samjhein Gey koi Paighaam likh dein gey

Koi Paighaam kya Likhna hai Ik chotey se Kaaghaz par
Jisey Ham Chahtey hain Bus Ussi ka Naam Likh dein gey

Aik tum hi na mil sakey warna,

Aik tum hi na mil sakey warna,
Milne waley bichar bichar ke miley..

Shehar ka shehar mere sath hi chal nikala hai

Shehar ka shehar mere sath hi chal nikala hai
Sochata hon k is alam me tumhn kia dhondon

Alfaz kay jhootay bandhan mein

Alfaz kay jhootay bandhan mein

Aghraz kay gehray pardon mein

Har shakhs muhabbat kerta hai

Hala kay muhabbat kuch bhi nahi

Sab jhotay rishtay naatay hain

Sab dil rakhnay ke batain hain

Sab asli roop chupatay hain

Ehsas se khali loog yahan

Lafzon kay teer chalatay hain

Ik bar nazar mein aa kar wo

Phir sari umar rulatay hain

Ye ishq-o-muhabbat mehr-o-wafa

Sab rasmi rasmi batain hain

Her shakhs khudi ke masti mein

Bas apni khatir jeeta hai

Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain,

Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain,
Kitni raghbat* thi tere naam se pehle pehle..

Sunday, September 11, 2005

dekhna qismat k ap apne pe rashk a jaye hai

dekhna qismat k ap apne pe rashk a jaye hai
main use dekhun bhala kab mujhse dekha jaye hai

hath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai
abgina tundi-e-sahaba se pighala jaye hai

gair ko yarab wo kyon kar mana-e-gustakhi kare
gar haya bhi usko ati hai to sharma jaye hai

shauq ko ye lat k hardam nala khenche jaiye
dil k wo halat k dam lene se ghabara jaye hai

dur chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se wah wah
nagma ho jata hai wan gar nala mera jaye hai

garche hai tarz-e-tagaful pardadar-e-raz-e-ishq
par ham aise khoye jate hain k wo pa jaye hai

uski bazmaraiyan sunkar dil-e-ranjur yan
misl-e-naqsh-e-mudda-e-gair baitha jaye hai

ho k ashiq wo parirukh aur nazuk ban gaya
rang khulta jaye hai jitna k urata jaye hai

naqsh ko us k musawwir par bhi kya kya naz hai
khenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaye hai

saya mera mujhse misl-e-dud bhage hai 'Asad'
pas mujh atishba-jan k kis se thahra jaye hai

Friday, September 9, 2005

Paas jab tk wo rahy dard thama rehta hy

Paas jab tk wo rahy dard thama rehta hy
phelta jata hy... phr ankh k kajal ki trah

qaaasid k aatay aatay hat ik aoor likh rakhoon

qaaasid k aatay aatay hat ik aoor likh rakhoon
main janta hn jo wo likhain gay jawab main

Meri Dua Hai K Khush Raho Tum

Meri Dua Hai K Khush Raho Tum
Mile Na Koi Ghum Jahan Bhi Raho Tum

Samandar Ki Tarah Dil Hai Gehra Tera
Khushioun Sa Bhara Rahe Daman Tera

Tum Jo Kaho Woh Har Khawahish Poori Ho Tumhari
Khuda Se Bus Yahi Dua Hai Hamari

Tohfa Kya Doon Tumhain Duaoun K Siwa
K Khuda Rahe Tum Se Raazi Sadaa

Sakht raton mein bhi safar asaan lagta hai

Sakht raton mein bhi safar asaan lagta hai
Yeh meri Maan ki duaayon ka assar lagta hai

Thursday, September 8, 2005

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,

Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,

Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,

Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,

In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,

Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,

Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,

Zindagi dard se ebarat se aey “aas”

Zindagi dard se ebarat se aey “aas”
Mat gila karna jab muqaddar bigar jaey………

Meri ulfat wafa sab tere waaste,

Meri ulfat wafa sab tere waaste,
Rahaton ki dua, Sab tere waaste,

Haal-e-dil se mere kab tu waakif na tha,
Phir bhi jo kuch likha, Sab tere waaste,

Tere aashiq nikle pata dhoondne,
Hain wohi la-pata, Sab tere waaste,

Yeh andhera, Seyahi mujhe somp de,
Rang-e-Qos-e-Qaza, Sab tere waaste,

Bass ke apnayiyat ka agar jaam ho,
Tou mere saaqiya, Sab tere waaste,

Aere-Ghere jo they kuch mere aaashna,
Woh taluq bhi tha, Sab tere waaste,

Aaj Tahir ne apno ka rakha bharam,
Kis liye aye Khuda, Sab tere waaste…

soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log

soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log
jal bujian aur lab na kohlian woh bhi kia hotay hain log

fasl-e- gul mein saath hai khushboo daman ki tarah
ruth badaltie hai to bas moj-e-hawa hotay hain log

kis ko barham kiejea ilzam kis ko dejea
naam kis ka leajea sab bea-wafa hotay hain log

is ada ka kia tekahna is rawesh ka kia jawab
baat ranjesh ki na ho phir bhi khafa hotay hain log

hum gunahgaroun per ilzam gunahgarie baja
parsaoun mein bhi kitnay parsa hotay hain log

ghar gay Iqbal tum rangien kabaoun mein kahan
miltay deakho un se jo sada kaba hotay hain log

Wednesday, September 7, 2005

Jalnay ko jalay hum bhi teri bazm mein lekin.

Jalnay ko jalay hum bhi teri bazm mein lekin. .
Hum sokhta jaano’n ka kahin naam na aaya. . !

Peeti rahi hy chandni muje ko tamam shab

Peeti rahi hy chandni muje ko tamam shab
shbnam ki aanch paird ki chaon may qaid hy

Bichara Hai Jo Ekk Baar To Miltey Nahi Daikha

Bichara Hai Jo Ekk Baar To Miltey Nahi Daikha
Iss Zakham Ko Hm Nay Kabhi Siltey Nahi Daikha

Ekk Baar Jissey Chaat Gai Dhoop Ki Khawahish
Phirr Shaakh Pe Uss Phool Ko Khiltey Nahin Daikha

Yakk Lakht Girra Hai To Jarrein Bhi Nikal Aain
Jiss Paid Ko Aandhi Mein B Hiltey Nahin Daikha

Kiss Tarah Meri Rooh Harri Kar Giya Aakhir
Wo Zahir Jissey Jism Mein Khultey Nahin Daikha

Tuesday, September 6, 2005

Aaj mujhe aaukat ka andaza ho gaya

Aaj mujhe aaukat ka andaza ho gaya
Maa ne chhua sukha gulab to taza hogaya

Raat maine ghar p nahi khaya khana
Kal meri maa ka bhi faaka hogaya

Monday, September 5, 2005

Wo Aksar Bhool Jany Ki Shikayat Hum Se Krty Hain

Wo Aksar Bhool Jany Ki Shikayat Hum Se Krty Hain
Main Jis Ko Yaad Rakhny K Siwa Kuch B Nahi Krta

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala,

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala,
Osko Paanay Ki Intehaa Kardi..

Main Muntazir Hoon Barish Ka, Fasl-E-Bahar Say Pehlay

Main Muntazir Hoon Barish Ka, Fasl-E-Bahar Say Pehlay
Main Muntazir Hoon Phoolon Ka, Rahon Main Khaar Say Pehlay
Haan Us K Wastay Sooli, Pe Char Gaya Tha Main Laikin
Maktal Main Sang Utha Paya, Koi Na Yaar Say Pehlay

Saturday, September 3, 2005

Mujh se ab Shairy nahi hooti

Mujh se ab Shairy nahi hooti
mujhko lafzon ne maar daala hai

Khusiya Naseeb Hon Jannat Qareeb Ho

Khusiya Naseeb Hon Jannat Qareeb Ho
Too Chahey Jisse Wo Tere Qareeb Ho
Kuch Is Tarha Se Guzray Eid Teri
Makka Aur Madina Ki Tuje Ziyarat Naseeb Ho

Bhari dunya mein jee nahin lagta,

Bhari dunya mein jee nahin lagta,
Jaane kis cheez ki kami hai abhi..

Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intezaar Guzari Hai

Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intezaar Guzari Hai
Talaash Mein Hai Seher, Baar Baar Guzari Hai

Junoon Mein Jitni Bhi Guzari Bakaar Guzari Hai
Agarche Dil Pe Kharaabi Hazaar Guzari Hai

Huyi Hai Hazrat-E-Naaseh Se Guftagu Jis Shab
Woh Shab Zaroor Sar-E-Ku-E-Yaar Guzari Hai

Woh Baat Saare Fasaane Mein Jiska Zikr Na Tha
Woh Baat Unko Bahut Naagvaar Guzari Hai

Na Gul Khile Hain, Na Unse Mile, Na May Pee Hai
Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Guzari Hai

Chaman Pe Gaarat-E-Gulcheen Se Jaane Kya Guzari
Qafas Se Aaj Saba Beqaraar Guzari Hai

Jaisy woh ajnabi larki

Jaisy woh ajnabi larki

Mujh sey pyar karti hai

Mujhey chahti hai

Akser yunhi chup chup ker

Dekhti hai, janey kiya sooch ker

Nazrein chura jati hai

Kuch ghabra si jati hai

Apney aanchal ko hawaoon k zoor

per lehrati hai

Mehsoos mujhey yeh hota hai k

Shayad mujhey woh bohat chahti hai

Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay

Woh mujh sey kuch kehna chahti hai

Meray pochnay per kuch sharma si jati hai

Kuch ghabra si jati hai

?Suniyey? keh kar bhaag jati hai

Ajnabi larki shayad pyaar karti hai mujh sey

Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey

Dil bhi kitna pagal hai

Kiya kiya sochta rehta hai

Kuch masoom sey jazbey hain

Kuch undekhey sapney hain

Mager woh nahin janti shayad

Meri Zindagi Hai Wo

Friday, September 2, 2005

guzre dinon ki yad barsati ghata lage

guzre dinon ki yad barsati ghata lage
guzrun jo us gali se to thandi hawa lage

mehman banke aye kisi roz agar wo shakhs
us roz bin sajaye mera ghar saja lage

main is liye manta nahin wasl ki khushi
mere raqib ki na mujhe baddua lage

wo qahat dosti ka para hai k in dinon
jo muskura k bat kare ashna lage

tark-e-wafa k bad ye us ki ada 'Qateel'
mujhko sataye koi to us ko bura lage

Tu Ne Chaha Hi Nahi Halaat To Badal Sakte The

Tu Ne Chaha Hi Nahi Halaat To Badal Sakte The,
Tere Aansu Meri Aankhon Se Nikal Sakte The...

Tu Ne Samjha Hi Nahi Wafa Ki Qeemat Ko Warna
Narm Lafzon Se To Pather Bhi Pighal Sakte The...

Hum To Therey Hi Rahe Jheel Ke Pani Ki Tarha
Agar Dariya Bante To Bohat Door Nikal Sakte The.

Custome: Ye Bakra kitne ka hai?

Custome: Ye Bakra kitne ka hai?
Salesman: 500 Rs.
Customer: Itna sasta!
Salesman: China ka hai….
Koi gurantee nahi, ho sakta hai kal bhonkna shroo kar de..

Thursday, September 1, 2005

Woh bakhshta hai Gunah e azeem bhi lekin

Woh bakhshta hai Gunah e azeem bhi lekin
Hamari choti si naiki bhi sambhal rakhta hai

Hum usey bhool jate hain roshni mein
Woh tareeki mein bhi khayal rakhta hai

Jab kabhi der se lotun to meri Maan ki tarah
Woh mere rizk ka hissa nikaal rakhta hai

Gharon mein jin ke diya bhi nahi hai
Fiza mein chand sitarey uchaal rakhta hai

Arsh tak ho nahi sakti rasaayi na sahi

Arsh tak ho nahi sakti rasaayi na sahi
Yahi insaan ki meraaj hai insaan ho jaaye

Rang gya wo is qadar palkon ki jhalar ko meri

Rang gya wo is qadar palkon ki jhalar ko meri
khwab kuch wo sabz... peely.. aasmani dy gya