Monday, October 31, 2011

Apney laho sey phool khilaney ke wastey,

Apney laho sey phool khilaney ke wastey,
Har maqtal-e-wafa me pukara gya hun main..

Woh Bhi Shayad Ro Parey Veeraan Kaghaz Dekh Kar

Woh Bhi Shayad Ro Parey Veeraan Kaghaz Dekh Kar
Maine Usey Aakhiri Khat Mein Likha Kuchh Bhi Nahin

Sunday, October 30, 2011

Koi ankhonm akhon se baat kar leta hai

Koi ankhonm akhon se baat kar leta hai
koi ankhon ankhon main mulakat kar leta hai
Bara mushkil hota hai jawab dena
jab koi khamosh reh kar sawal kar leta hai

The late message of good morning

The late message of good morning
Does not mean that i forgot u
But it means that
.
.
.
Prince just wakes up.
Good Morning

Wo Shakhs 1 Choti Si Bat Pe Yu Rooth Ke Chal Dia

Wo Shakhs 1 Choti Si Bat Pe Yu Rooth Ke Chal Dia..
Jese Use Sadiyo Se Kisi Bahane Ki Talash Thi…..

Is door-e-maslehat ne mujhe kho diya wrna

Is door-e-maslehat ne mujhe kho diya wrna
Ik ehd mujh ko dhondny wala b aye ga

Zabat ka khogar hai dil un ki towaja kam sahi

Zabat ka khogar hai dil un ki towaja kam sahi
Zindagi me gham hain lakhon aik ye bhi gham sahi

Saturday, October 29, 2011

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar
misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar

jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai
hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar

garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar

koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab
teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam se guzar

tera imam be-huzur, teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar, aise imam smumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan e guzar

Na bacha bacha k rakh isey tera aaina hai wo aaina

Na bacha bacha k rakh isey tera aaina hai wo aaina
K shikasta hai to azeez tar hai nigah-e-aaina saaz mein

Friday, October 28, 2011

Mumkin Nahi Tha Jo Wo Irada Nahi Kiya

Mumkin Nahi Tha Jo Wo Irada Nahi Kiya
Hum Ne Tumhain Bhulaany Ka Wada Nahi Kiya

Uske badley houay lafzoon nay para para kar diya

Uske badley houay lafzoon nay para para kar diya
Uske uljhe houay raviyun ne para para kar diya

Kis se pochon us mutageyar tarz-e-takalum ka sabab
Kal tak jeevan may jin muskaanon ney saveera kar diya

Wo jin may sajti thi hina, khanakti thi choriyaan
Un komal hathoon nay be-sahara kar diya

Usay junoon tha bheegney ka sawan ki boondon may
Takmel-e-khuwahish may uski bin mangi barishon nay sehra kar diya

Mai tu sagar tha jo dukh ke dariyea pi gaya
Dekh uss chattan ko jisay ghamoon nay reza reza kar diya

The 1st Advice Of Father To His Son

The 1st Advice Of
Father To His Son
When Son Got His
Driving License Made,
Is
"Remember 1 Thing Son
If U're Going To Hit
Anything, Make Sure
Its Cheap"

dekho ge humain roz magar bat na hogi

dekho ge humain roz magar bat na hogi
Ek shehr man reh keh be mulaqat na hogi

kehna hai jo keh dalo abi waqt hai baqi
kal hum honge … magar art-e-halat na hogi

jo pochna hai tum ko abi poch lo warna
phir Rasm-e-sawalat na hogi

din itne huwe taweel hijir ke logo
tarpo ge sar-e-sham magar raat na hogi

ye soch kar be dil tarap uthta hai yara
bichren ge is tarah, ke kabi mulaqat na hogi

Hum tou samjhy thy k ik zakhm hai bhar jaye ga

Hum tou samjhy thy k ik zakhm hai bhar jaye ga
Kia khabar thi k rag-e-jaa’n mein uter jaye ga

Sohba e muhabbat ka nasha taiz bahot hai

Sohba e muhabbat ka nasha taiz bahot hai
Mumkin hai muje hashar talak hosh na ae

Sab Apki Ankhon Se Jahan Dekh Raha Hun

Sab Apki Ankhon Se Jahan Dekh Raha Hun
Mai Apki Nazron Me Jahan Dekh Raha Hun
Tu Dhoodh Rahi Ho Gi Mujhko Wahan Ao
Aur Mein Kab Se Teri Raah Yahan Dekh Raha Hun

Ta’ana detey hain tumhari be rukhi ka hum ko log,

Ta’ana detey hain tumhari be rukhi ka hum ko log,
Bat ki bardasht kam thi zakham e dil sehna para..

Thursday, October 27, 2011

Bikhrey aansoo k moti hum piro na sake

Bikhrey aansoo k moti hum piro na sake
Teri yaad me saari raat so na sake
Beh na jaye aansoo main tasvir teri
Bus yahi soch kar hum ro na sake

Wo mil jatey hain kahani bankar
Dil mein bas jatey hain nishani bankar
Jinhe hum rakhte hain apni aakho mein
Kioon nikal jatey hain wo pani bankar Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai
Nigaaho ko teri talaash rehti hai
Tere bina koi kami nahi lekin
Tere bagair tabiyat udaas rehti hai

Samjha na koi dil ki baat ko
Dard duniya ne bin soche hi de diya
Seh gaye jo hum agar dard ko chupke se
To phir humko patthar dil keh diya

Agar hum na hote to gazzal kon kehata
Aapke chehare ko komal kon kehata
Ye to karishma hai mohabbat ka
Varna patthar ko TAJ-MEHAL kon kehata

Dard se dosti ho gayi yaaroo
Zindagi bedard ho gayi yaaroo
Kya huwa jo jal gaya aashiyana hamara
Door tak roshni to ho gayi yaarooo

Mukaddar k sitaron per

Mukaddar k sitaron per, Zamanay k esharon per,
udasi k kinaron per,
kabhe veran shehraon per,
kabhe sunsan rahon per,

kabhi hairon ankhon main,
kabhi bayjan lamhon main,
tumhari yad chupkay say,
koi sargoshi kerti hay,
yeh palkain bheeg jati hain,
do ansu tot girtay hain,
main palkon ko jhukati hon,
bazahir muskurati hon,
faqat itna he kah pati hon,
mujhey kitna sataty ho,
MUJHEY TUM YAD ATAY HO,
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..

Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey

Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey
Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai Dey
Sajda Jahan Karey Waha Qaba Dikhai Dey
Uthay Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai Dey
Ameen

Wednesday, October 26, 2011

ik saza aur asiron ko suna di jaye

ik saza aur asiron ko suna di jaye
yani ab jurm-e-asire ki saza di jaye

uski khwahish hai k ab log na roen na hansen
behisi waqt ki awaz bana di jaye

dasht-e-nadida ki tahqiq zaruri hai magar
pahle jo ag lagi hai wo bujha di jaye

sirf jalna hi nahin hamko bharakna bhi to hai
ishq ki ag ko lazim hai hawa di jaye

sirf suraj ka nikalna hai agar subah to phir
ik shab aur meri shab se mila di jaye

aur ik taza sitam usne kiya ijad
usko is bar zara khul ke dua di jaye

Chalo ik Baar Bazi palat ker khailen..

Chalo ik Baar Bazi palat ker khailen..
Meri Bewafai ho.. Or Dil-E- Nazuk Tera..

Rooz rooty hoe kehti hai ZINDAGI mujh se

Rooz rooty hoe kehti hai ZINDAGI mujh se
sirf ek SHAKHS ki khatir mujhe barbad na kar

Just love when morning gets here,

Just love when morning gets here,

Because i can send a
Great Big Good Morning sms to my beloved.

What a lovely way to start my day.
Very Good Morning.

amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost

amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost

ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost

khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost

ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost

chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai
dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost

Tuesday, October 25, 2011

Tarha Tarha Se Bhulaya Magar Ye Haal Hua

Tarha Tarha Se Bhulaya Magar Ye Haal Hua
Har Ek Khayal Se Paida Tera Khayal Hua

No one can know what the outcome

No one can know what the outcome

Of spending years together will be.

Being happy together is a gift,

And enduring love is the key.

So here’s to a favored couple;

Everything has worked right for you.

May your future bring more of the same,

And your love remain strong and true

Ur words r ANTIBIOTICS

Ur words r ANTIBIOTICS,
Ur smile is ANALGESIC,
Ur touch is ANTI-INFLAMATORY,
Ur presence is ANTISEPTIC,
Ur SMS is ANTI-PYRETIC...
That's why I never fall ill

Monday, October 24, 2011

Udasi tum pe beetay gi to tum bi jaan jao gay

Udasi tum pe beetay gi to tum bi jaan jao gay
Koi nazar andaz krta hai to kitna dard hota hai

hairan hun dil ko roun k pitun jigar ko main

hairan hun dil ko roun k pitun jigar ko main
maqadur hun to sath rakhun nauhagar ko main

chora na rashk ne k tere ghar ka nam lun
har ek se puchta hun k jaun kidhar ko main

jana para raqib k dar par hazar bar
ai kash janta na teri rahguzar ko main

hai kya jo kas k bandhiye meri bala dare
kya janta nahi hun tumhari kamar ko main

lo wo bhi kahte hain k ye benang-o-nam hai
ye janta agar to lutata na ghar ko main

chalta hun thori dur har ik tez rau k sath
pahchanta nahi hun abhi rahbar ko main

khwahish ko ahmaqon ne parastish diya qarar
kya pujta hun us but-e-bedadagar ko main

phir bekhudi mein bhul gaya rah-e-ku-e-yar
jata wagarna ek din apni khabar ko main

apne pe kar raha hun qiyas ahal-e-dahar ka
samjha hun dil pazir mata-e-hunar ko main

"ghalib" Khuda kare k sawar-e-samand-e-naz
dekhun ali bahadur-e-aliguhar ko main

Time will always fly

Time will always fly, but our love will never die. Keep in touch and remeber me

Exam song !Why this examveri examveri examveri di…

Exam song !
Why this examveri examveri examveri di…
Distancile frnd frnd, frnd mind sharp.
Exam teachr strict strict, my future dark…
Why this examveri examveri examveri di..
White color paper paper, paper print black , eyes eyes meet meet all the time waste..
Why this examveri examveri examveri di..
Pe pe pa pan pe pe pa pan
seriya vasi
ready 1 2 3 4..
Tune changes..
Kayila paper.. Only englsh..
Handla paper, paper question eyes fulla tearu..
Empty brain , exam come , life revers gear..
Frnd u frnd u oh my frnd pls show me answrs nw u..
God i m dying nw
pls make me pass nw..

Dil Ne Kaha Ankh Se, Dekha Karo Kum

Dil Ne Kaha Ankh Se, Dekha Karo Kum
Kyunki Dekhte Ho Tum, Aur Tadpte Hai Hum
Us Par Aankh Ne Kaha Dis Se, Socha Kro Kum
Kyunki Sochte Ho Tum Aur Rote Hai Hum

Sunday, October 23, 2011

Sabhi Ashk Aankhon Main Aa Gae

Sabhi Ashk Aankhon Main Aa Gae
Na Chhupa Saky Na Bata Saky

Wo jo Bhed Tha Wo Khul Gya,
Koi Baat B Na Chhupa Saky

Na Wafa Rahi, Na Jafa Rahi,
Na Wo Dil Raha, Na Hum Rahy

Us ki Yad Ka Jo Charagh Tha
Na Jala Saky, Na Bujha Saky

Koi Zor Khud Pe Raha
Nahen Koi Bus B Us Pe Chla Nahen

Usy Dekhty Rahy Door Tak,
Magr Hath Tak Na Hila Saky

Nahen Is Men Us Ki Khata Koi
Na Naseeb Ka Koi Dosh Tha,

Ye Hamara Apna Mizaaj Tha K
Kisi Tarh Na Nibha Saky…

Khushion ka waqt bhi kabhi aa hi jaye ga

Khushion ka waqt bhi kabhi aa hi jaye ga
Gham bhi to mil rahay hain tamanna kye baghair

Saturday, October 22, 2011

seenay main aag, aag main aahan bhi chahiya

seenay main aag, aag main aahan bhi chahiya
raham jaham barasta baaton sa sawan bhi chahiya

talwaar tornay sa talaafi kahan hui
in buzdiloon k haathoon main kangn bhi chahiya

seenay main aaftaan sa ek dil zaroor ho
har ghar main ek dhop ka aanghan bhi chahiya

bachoon k saath jharion main jugno chahiya
dl k mamlaat main bachpan chahiya

hm aadmi hain ya koi be hs chatan hain
dl main kisi k naam ki darhkan bhi chahiya

rah rawayatioon ki roondanay chaloon
sar par mujhe bazrgoon ka daamn bhi chahiya

Muj ko nafrat se nahin piar se maslob karo

Muj ko nafrat se nahin piar se maslob karo
Me to shamil hon muhabbat k gunahgaron me

Zindagi Ka Matlab – Hindi Shayari

Zindagi Ka Matlab – Hindi Shayari

Zindagi Ka Matlab Aapne Bata Diya,
Har Gam Ka Matlab Aapne Samjha Diya.
Aap To Ro-Kar Bhi Apne Gamon Ko Halka Na Kar Sake,
Humne Khushi Ki Aaadh Mein Apne Ghamon Ko Chupa Liya.

Tumhari aankh se behtey yeh ansoo,

Tumhari aankh se behtey yeh ansoo,
Mujhe andar se sehraa kar rahe hain..

Thursday, October 20, 2011

how do i play the guitar

boy: how do i play the guitar????
girl: u should be on TV for ur talent :|
boy: am i so good??? :D :O

girl: if u were on TV,, i can atleast switch it off

Wednesday, October 19, 2011

AB MAIN RASHAN KI QATARON MAIN NAZAR ATA HON

AB MAIN RASHAN KI QATARON MAIN NAZAR ATA HON
APNE KHETON SEY BICHADNE KI SAZA PATA HON

ITNI MEHANGAI KEY BAZAR SEY KUCH LATA HON
APNEY BACHON MAIN USEY BANT KEY SHERMATA HON

APNI SOCHON KA LAHOO PONCHNEY KI KOSHSH MAIN
JAGTEY JAGTEY THAK JATA HON SOJATA HON

KOI CHADER SAMAJH K KHEENCH NA LEY IS KO KHALIL
MAIN KAFAN ODH KEY FOOT PATH PEY SOJATA HON

Dukh De Kar Sawaal Karte ho

Dukh De Kar Sawaal Karte ho
Tum Bhi Janam ! Kamaal Karte ho

Dekh Kar Puchh Liya haal mera
Chalo Kuchh to Khayaal Karte ho

Shehar -e- Dil me Ye Udaasiyaan Kaisi
Ye Bhi mujh se Sawaal Karte ho

Marnaa Chaahain to mar nahi Sakte
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho

Ab Kis Kis Ki misaal Doon tum Ko
Her Sitam Be-misaal Karte ho

Aaye Mere Dost Safarr Kaa Kaam Hai Katna

Aaye Mere Dost

Aaye Mere Dost
Safarr Kaa Kaam Hai Katna
Katt Hi Jaye Gaa
Waqt Ka kaam Hai Guzarna
Guzar Hi Jaye Gaa
Magr Raston Pr Urrti Dhool
Mazi Par Parney Naa Daina
Apni Yaad K Mehwar Se
Mujhey Niklney Naa Daina

Aaye Mere Dost
Khawabon Ka Dais
Banana Zaroor
Magr Haqeeqat Kaa Saath
Nibhana Zaroor
Kall (Aaney Wala) K Laye
Apna Aaj Barbaad Nah Karna
Kissi Ka Dill Tod Karr
Apna Gharr Aabad Nah Karna

Aaye Mere Dostt
Laakhh Badley Zamana Taiwar
Tum Kabi Nah Badlna
Aaj To Mein Tumharey Saath Hoon
Mujhey Tum Kall B Yaad Rakhna
Apni Yaad Mein Kahein
Mera Bhi Makkan Rakhna
Apney Ahed Eefa Karna
Apney Paiman Yaad Rakhna

Tumhara Kehna Hai

Tumhara Kehna Hai

Tum Mujhe Be-Panah Shiddat Se Chahte Ho

Tumhari Chahat

Wisaal Ki Akhri Hadon Tak

Mere Faqat Mere Naam Hogi

Mujhe Yaqeen Hai

Mujhe Yaqeen Hai

Magar Qasm Khane Wale Larke!

Tumhari Aankhon Mai Ek Til Hai!

aay shama teri umr tabi hai aik raat

aay shama teri umr tabi hai aik raat
hns kar guzaar ya isa ro kar guzaar day

Tuesday, October 18, 2011

Let the most beautiful

Let the most beautiful
dream come to u tonight,

Let the sweetest person
come in ur dream tonight....

But dont make it a habit
bcoz I m not free every night.

Goodnight

shayad abhi hai rakh main koi sharar bhi

shayad abhi hai rakh main koi sharar bhi
kyon varna intazar bhi hai iztirar bhi

dhyan a gaya hai marg-e-dil-e-namurad ka
milane ko mil gaya hai sukun bhi qarar bhi

ab dhundhane chale ho musafar ko dosto
hadd-e-nigah tak na raha jab gubar bhi

har astan pe nasiyafarsa hain aj vo
jo kal na kar sake the tera intazar bhi

ik rah ruk gai to thithak kyon gai 'Ada'
abad bastiyan hain paharon ke par bhe

Main Us Jeet Ka Intzaar Karon Ga

Main Us Jeet Ka Intzaar Karon Ga

Har Haar Ke Baad Aik Jeet Hoti Hai,
Main Us Jeet Ka Intzaar Karon Ga,
Us Ne Tou Kabhi Ehsaas Nahi Kiya,
Phir Be Main Uska Ehsaas Karon Ga,
Jitni Be Dard Main Gehrai Bhadhay Gi,
Main Usi Shiddat Se Khushi Ko Talash Karon Ga,
Har Haar Ke Baad Aik Jeet Hoti Hai,
Main Us Jeet Ka Intzaar Karon Ga,

Monday, October 17, 2011

Lazat e dard se asoda kahan dil wale

Lazat e dard se asoda kahan dil wale
Hain faqat dard ki serat me karahe jate

Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki

Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki

Ab To Kisi Bhi Baat Pey, Aitbaar Nahin Hota
Hotey Hain Bas Samjhotey Dilon Ke, Koi Pyar Nahin Hota

Kitna Bhi Samjha Lein Hum, Iss Dil-E-Nadaan Ko
Ekk Qatra Kabhi, Koi Saagar Nahin Hota

Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki Ye Umar Guzar Jaati Hai
Ke Taqdeer Pey Kisi Ki Apni, Ikhtiyaar Nahin Hota

Lagtey Hain Jo Pal Suhaney, Woh Hain Mairey Bas Khaabon Ke
Haqeeqat Mein Kabhi Khushi Ka, Deedar Nahin Hota

Dhal Jaatey Hain Ye Ashk, Ekk Aur Gham Ki Raah Liye
Inn Honthon Ko Ab Kisi Hansi Ka, Intezaar Nahin Hota

aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka

aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka
subah ka hona dubhar kar dein rasta rok sitaron ka

jhuthe sikon mein bhi utha dete hain aksar sacha mal
shaklen dekh k sauda karna kam hai in banjaron ka

apni zuban se kuch na kahenge chup hi rahenge ashiq log
tum se to itna ho sakta hai pucho hal becharon ka

ek zara si bat thi jis ka charcha pohuncha gali gali
ham gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka

dard ka khna chikh utho dil ka taqaza waza nibhao
sab kuchh sehna chup chup rahna kam hai izzatdaron ka

Us k hathon se joo khoshbo-e-hina atii hai

Us k hathon se joo khoshbo-e-hina atii hai
Aisa lagta hai k jannat se hawaa atii hai

Chomne daar ko kis dhaj se chala hai koi
Aj kis naaz se maqtal mee qaza aati hai

Na kabhi koi kare tujh se tere jaise salook
Hath uthtay hi yehi lab pe dua aati hai

Tere gham ko ye bar-hana nahin rehne deti
Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai

Us ke chehray ki tamazat bhi hai shamil is main
Aaj tapti hoi saavan ki ghata aati hai

Ghomnay jab bhi tere shehar me jati hai wafa
Bain karti hui wapis woh sada aati hai

Hai wohi bat har ik lab pe bohat aam yahan
Hum se jo kehte hue un ko haya ati ha

Lagta hai phir se koi saaneha honey ko hai

Lagta hai phir se koi saaneha honey ko hai
Kisi gareeb ki beti raheeba honey ko hai

December ki bheegi raaton may aag bhi mushkil jalti hai
Kacchi chhat key makeenon may koi haadsa hone ko hai

Aaj phir shehar key dasterkhwan sajey sajaye rakhain hain
Pass hi gareeb si basti may bhook se koi saaneha honey ko hai

Suna hai daryeaon may tughyini ka aalm hai
Koi piyasa lub-e-darya mar jaya shayed ye saaneha honey ko hai

Talash-e-rizq may sargardaan hai mazdoor meray watan ka
Khali haath louta tu maasom hatheli pe ashkon ka koi saaneha honey ko hai

Sunday, October 16, 2011

Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar

Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar
Khod apnay he haaton sai ye zeher piya kar

Takleef main ehsaas-e-mohobat ko dubo kar
Umeed ke kirno’n main tou rooz jiya kar

Daikhay jo teray haal ko apnay main sumo ker
Aisay he kisi shakhs sai tou piyar kiya kar

Jeenay main kehin sokh ore kehin dard-e-jahan hai
Haaton kee lakeeron ko na dosh diya kar

Jalta hai jism tera agar roog-e-wafa main
Parwanay kee jurrat ko tou yaad kiya kar

Bhikhray howay patton sai nashaimun ko saja kar
Ujaray howay logoon ko abaad kiya kar

Sumjhay jo tera dard koe aisa wali ho
Barbaad dilon main usay dhoondh liya kar

Wo kaun hai shaukat jo mubera hai dokhon sai
Aflaas ke basti main zara jhaank liya kar

Shaid tumhare sath bhi wapis na aa saken

Shaid tumhare sath bhi wapis na aa saken
Wo walwale jo sath tumhare chale gae

4 Lines Bewafa Shayari

4 Lines Bewafa Shayari

muhobat ke bhi kuch andaj hote hai,
jagti nkho ke bhi kuch khwab hote hai,
jaruri nahi ke gam me hi ansu nikle,
muskurati ankho me bhi sailab hote hai

Mom batti k ander ka dhaga bola

Mom batti k ander ka dhaga bola,
Main jalta hoon to tu kyon pighalti hai?
Mombati boli,
Jisko dil mein jaga di,
woh bichray to ansu to niklainn gey hi

Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki

Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki
Ke Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki

Amoor-e-Dil Main, Kisi Teesre Ka Dakhal Nahi
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki

Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha
Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki

Charaagh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna
Ke Aaj Raat Chale Gi Hawa Udaasi Ki

Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin”
Kahin Se Khair Khabar Le Ke Aa Udaasi Ki

Sab Apni Zaat Ke Karb-o-Balaa Ki Qaid Mein Hain

Sab Apni Zaat Ke Karb-o-Balaa Ki Qaid Mein Hain
Aur Ek Hum Ke Jo Ab Tak Wafaa Ki Qaid Mein Hain

Koi Khabar Hai Safar Ki Na Manzilon Ka Pata
Hamain Tou Umer Howi Rehnuma Ki Qaid Mein Hain

Thakay Tou Nazarain Chhurra Laaye Aasmaanon Se
Magar Wo Lab Ke Jo Ab Tak Duaa Ki Qaid Mein Hain

Nazar Howi Hai Ba-Mushkil Sakoot Se Maanoos
Samaa’tain Tou Abhi Tak Sadaa Ki Qaid Mein Hain

Saraab Hain Sabhi Aazaadiaan Fizaaon Ki
Kaheen Parinday Kaheen Par Hawaa Ki Qaid Mein Hain

Jab Apne Jaisi Hee Makhlooq Ke Shikanjay Se
Howay Rihaa Tou Ye Dekha Khuda Ki Qaid Mein Hain

Saturday, October 15, 2011

kamal hai hamare yahan to sirf female se hoti hai

Ek american ek sardar se kaha hamare yahan saadi e-mail se bhi hoti hai isper sardar bola kamal hai hamare yahan to sirf female se hoti hai

Three simple rules in life

Three simple rules in life

If you do not GO after what you want,
You will never heave it.
If you do not ASK,
the answer will always be NO.
If you do not step FORWARD,
you will always be in the same place.

HAPPY EID GREETINGS

Ap ny Kya Socha SMS Ni Aay ga
Socha Yh Dost Aap ko Yun hee Bhool Jay ga
Yh To Adat Hay Hamari Satany Ki
Warna itna Piyara Dost Eid Pr Kon Bhulana Chahy ga

HAPPY EID GREETINGS

Woh keh gaya ab sirf khwabon mein milenge hum

Woh keh gaya ab sirf khwabon mein milenge hum,
Tere bina jeeyenge aur tujh se juda rahenge hum,
Agar woh sacha hai aur milega sapno mein
Tu zindagi bhar aankhein ban ker soo jayenge hum

Friday, October 14, 2011

Aankh Ko Jaam Likho Zulf Ko Barsaat Likho

Aankh Ko Jaam Likho Zulf Ko Barsaat Likho
Jis Se Naaraaz Ho Uss Shakhs Kee Har Baat Likho

Jis Se Milkar Bhee Na Milne Kee Kasak Baaqee Hai
Usee Anjaan Shanaasaa Kee Mulaaqaat Likho

Jism Masjid Kee Tarah, Aankhein Namaazo?n Jaisee
Jab Gunaaho?n Mein Ibaadat Thee Vo Din -Raat Likho

Iss Kahaanee Ka To Anjaam Vahee Hai Jo Thaa
Tum Jo Chaaho To Muhabbat Kee Shuruaat Likho

Jab Bhee Dekho Use Apnee Nazar Se Dekho
Koee Kuchh Bhee Kahe Tum Apne Khayaalaat Likho

yun mujhe ruswa-e-zamana kar gaya aik shakhs

yun mujhe ruswa-e-zamana kar gaya aik shakhs
sure-e-mehfil alzam-e-bewafie dhar gayea aik shakhs

adda-e-muskrahat pe jisey hasil bhaut kamal tha
misl-e-ashk aankh me meri tehar gayea aik shakhs

parhte rahey ta-umar jisey oraaq-e-muqadas ki tarah
ban kar dard lafzoon may tehar gayea aik shakhs

ehad-o-peymaan baandhne may shab guzaar di usnay
chiraagh-e-sehar jo bujha tu mukr gayea aik shakhs

rooh-e-Qais tarap rahi hai qafs may muddat se jaanan
nuzul kab ho nidaa-e-aasman ka kay mar gayea aik shakhs

Koi Dhun Ho, Main Tere Geet Gaaye Jaaon

Koi Dhun Ho, Main Tere Geet Gaaye Jaaon
Dard Seene Mein Uthe Shor Machaye Jaaon,

Khawab Ban Kar Tu Barasta Rahe Shbnam Shabnam
Aur Bas Mein isi Mosam Mein Nahaaye Jaaon,

Tere Rang Utarte Chale Jaayen Mujh Mein
Khud Ko Likhon Teri Tasveer Baanye Jaaon,

Jis Ko Milna Nahi Pher Is Se Muhabat Kaisi
Sochta Jaaon Magar Dil Mein Basaaye Jaaon,

Tu Ab Is Ki Jis Par Mujhe Piyar Aata Hai
Zindgi Aa Tujhe Seene Se Lagaaye Jaaon,

Yehi Chehre Mere Hone Ki gawahi Denge
Har Naye Harf Mein Jaan Apni Samaaye Jaaon,

Jaan To Cheez Hai Kiya Rishta-e_Jaan Se Aage
Koi Awaaz Diye Jaaye Aur Main Aaye Jaaon,

Shayad Is Raah Pe Kuch Aur Bhi Rahi Hain
Dhoop Mein Chalta Rahoon Saaye Bechaaye Jaaon,

Ehl-e-Dil Honge To Samjhenge Sukhan Ko Mere
Bazm Mein Aa Hi Giya Hoon To Sunaaye Jaaon.

Sabhi Jazbay Badalte Ja Rahe Hain

Sabhi Jazbay Badalte Ja Rahe Hain
K Jaisay Khuwab Marte Ja Rahe Hain

Kuch Din K Liya Dil K Makee'noon Ko
Nazar Andaz Karte Ja Rahe Hain

Jo Dil K Hall Hai Dil Janta Hai
Bazahir To Sambhalte Ja Rahe Hain

Chaly To Hain Tumhare Shair Say Hum
Kaf'fay'Afsos Malte Ja Rahe Hain

Kabi Jin Main Gharor'rey'Tazgi Tha
Wo Khad'do'khal Ab Dhalte Ja Rahe Hain..!!

Thursday, October 13, 2011

Yaad Aaon To Bas Itni Si Anayat Karna

Yaad Aaon To Bas Itni Si Anayat Karna
Apne Badlay Huey Lehjay Ki Wazahat Karna

Tum Jo Chahat Kat Shahkaar Hua Karte They,
Kis Se Seekha Hai Yeh Ulfat Me Milawat Karna?

Hm Sazaaon Ke Haqdaar Baney Hain Kab Se?
Tum Hi Keh Do Kiya Jurm Hai Mohabbat Karna?

Teri Furqat Mein Yeh Aankhein Abhi Tak Num Hain,
Kabhi Aana Mere Ashkon Ki Ziyarat Karna

Dil Mein Ab Bhi Mohabbat Ke Diye Hain Roshan,
Daikh, Bhooley Nahi Teri Hasti Ki Sajawat Karna

kash koi hm pr bhi pyar jatata

kash koi hm pr bhi pyar jatata
hamari ankhon ko apne hathon se chupata
hm jb puchte kon ho tum
muskura k apne apko humari 'jaan' btata

Dil ko kahan Kabool Dimaghon k Fesle

Dil ko kahan Kabool Dimaghon k Fesle
Dil to Mohabbaton k qabeely ka Fard hai...

The nearest way to glory is to strive to be

The nearest way to glory is to strive to be
what you wish to be thought to be.

(Socrates)

Kya Kahun – Urdu Poetry Sms

Kya Kahun – Urdu Poetry Sms

Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq
Jan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq
Ishq Hi Ishq Hai Jahan Dekho
Sare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq
Ishq Mashuq Ishq Aashiq Hai
Yani Apna Hi Mubtala Hai Ishq
Ishq Hai Tarz-o-taur Ishq Ke Tain
Kaheen Banda Kaheen Khuda Hai Ishq
Kon Maqsad Ko Ishq Bin Pahuncha
Aarzoo Ishq Va Mudda Hai Ishq
Koyi Khvahan Nahi Mohabbat Ka
Tu Kahe Jins-e-narawa Hai Ishq
Meerji Zard Hote Jate Hain
Kya Kaheen Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq?

Tuesday, October 11, 2011

Monday, October 10, 2011

jo bhi guncha tere honton par khila karta hai

jo bhi guncha tere honton par khila karta hai
wo meri tangi-e-daman ka gila karta hai

der se aj mera sar hai tere zanon par
ye wo rutba hai jo shahon ko mila karta hai

main to baitha hun dabaye huye tufanon ko
tu mere dil ke dharakne ka gila karta hai

rat yon chand ko dekha hai nadi mein raksan
jaise jhumar tere mathe pe hila karta hai

kaun kafir tujhe ilzam-e-tagaful dega
jo bhi karta hai muhabbat ka gila karta hai

Jb Raat Kee Tanhai Dil Ban K Dharkti Hai

Jb Raat Kee Tanhai Dil Ban K Dharkti Hai
Yaadon K Dareechon Mein Chlman C Sarakti hai

Lubaan Men Chingari Jaise Koi Rakh Jaye
Youn Yaad Tery Shab Barr Seeney mein Sulaggti Hai

Youn Piyar Nahin Chhupta, Palkon Ke Jhukane Se
Aankhon Ke Lifafon Mein Tehreer Chamkti Hia

Khushrang Parindon Ke Lout Aane Ke Din Aaye
Bicharey Hue milte Hian, jb barf pighalti Hia

Shuhrrat Kee Bulandi B Pall Bhar Ka Tamasha Hai
Jis Dall Pe Baithey Ho, wo Toot B Sakti Hai

Sunday, October 9, 2011

the plane is made by their students

Once many professors were called and asked to sit in an airplane.
After they sat. They were informed that the plane is made by their students.
All of them ran and got out of plane exdcept one.
People asked him the reason
He said,"If it's made by my students it will not even start."

Saturday, October 8, 2011

Afzal Hai Kul Jahan Sy Gharana Hussain Ka

Afzal Hai Kul Jahan Sy Gharana Hussain Ka,
Nabiyon Ka Tajdaar Hai Nana Hussain Ka,
Ik Pal Ki Thi Bas Hakoomat Yazeed Ki,
Sadiyaan Hussain Ki Hain, Zamana Hussain Ka

Mothers Day Poetries

Mothers Day Poetries

STILL IN THE HEART

I have this Lady friend
Whose Mother passed away
Moving to a better place
And, a peaceful day.

I know about the pain
That, she is going through
Because the loss of “Mom”
Is the saddest, that is true.

Sometimes, it is a blessing
When their “life” is in decline
Not, what it used to be
When, “everything” worked fine.

But still, it hurts so much
When Mother goes away
When you know you won’t see Her
For, forever and a day.

But the memories will be there
And will help, to get you through
When, you’re thinking of Mom
And, feeling kind of blue.

buhat mila na mila zindagi se gam kya hai

buhat mila na mila zindagi se gam kya hai
mata-e-dard baham hai to besh-o-kam kya hai

ham ek umr se waqif hain ab na samjhao
k lutf kya hai mere meharban sitam kya hai

kare na jag main alaw to sher kis maqsad
kare na shahar main jal-thal to chashm-e-nam kya hai

ajal k hath koi a raha hai parwana
na jane aj k fehrist main raqam kya hai

sajao bazm gazal gao jam taza karo
buhat sahi gam-e-geti sharab kam kya hai

lihaz main koi kuch dur sath chalta hai
wagarna dahar main ab khizr ka bharam kya hai

Sach Ka Zehar – Latest Sad Shayari

Sach Ka Zehar – Latest Sad Shayari

Tujhay Khabar Bhi Nahi
Ke Teri Udaas Adhoori
Mohabbaton Ki Kahaaniyan
Jo Bari Kushaada Dili Se
Hans Hans Ke Sun Rahaa Tha
Wo Shakhs Teri Sadaaqaton Par Fareefta
Baa-Wafaa, Saabat Qadam
Ke Jis Ki Jabeen Pe
Zaalim Raqaabaton Ki Jalan Se
Koi Shikan Na Aaeee
Wo Zabt Ki Karabnaak Shidat Se
Dil Hi Dil Mein
Khamosh, Chup Chaap
Mar Gayaa Hai…

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
Masla phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
Mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

Akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

First the engagement ring, then the wedding ring

First the engagement ring, then the wedding ring, then the suffering

Mohabbat Ki Aseeri Se Rihaayi Maangtay Rehna

Mohabbat Ki Aseeri Se Rihaayi Maangtay Rehna
Bohat Aasaan Nahi Hota Judaai Maangtay Rehna

Zara Sa Ishq Karlaina, Zara Si Aankh Bhar Laina
Iwaz Iske Magar Saari Khudaai Maangtay Rehna

Kubhi Mehroom Honton Per Dua Ka Harf Rakh Dena
Kubhi Wehshat Mein Oski Naarsaayi Maangtay Rehna

Wafaaon Ke Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jaati Hai
Dil Ki Sakoot-e-Shaam-e-Gham Se Humnawaayi Maangtay Rehna

Kubhi Bachay Ke Nannay Haath Per Titli Ke Par Rakhna
Kubhi Phir Oske Rangon Se Rihaayi Maangtay Rehna

Anmol ho chuka hai ab ye piyar her jagah

Anmol ho chuka hai ab ye piyar her jagah
insaaN hi hai insaan se be-zaar her jagah

her roz mughfirat ki dua paRh k soya kar
aadam ba-shakl e mout hai tayyar her jagah

safr mohabbatoN ka go taveel tr raha
khoya hai main ne dil pe ikhtiyaar her jagah

goya wo lout kr yahaN aaye ga laazmn"
aisay kiya hai uska intezar her jagah

aadam e awwal ne faqt ki thi khataa bs ik
aur ibn e adam to hai khata kaar her jagah

taqdeer main likhi ho maat tab to baat hai
khud hi likh rahy hain apni haar her jagah

rishty khaloos dil ke ab na-paid ho chalay
lalch hawas o hirs ke ambaar her jagah.

Friday, October 7, 2011

Dreechay Sy Jhankti Woh Larki

Dreechay Sy Jhankti Woh Larki,
Ajab Dukh sy Bhari Hui Hai,

K Us K Angan Main Phool Par Ik,
Tittli Mari Hui Hai,

Kabhi Azano Main Khoi Khoi,
Kabhi Namazon Main Roi Roi,

Woh Aese Dunya Ko Dekhti Hai,
Jese Is Sy Dari Hui Hai,

Dard Sy Mehki Sansain,
Wazeefa Parthi Hui Wo Ankhen,

K Sham-E-Umeed In Main Kai Bars Sy Dhari Hui Hai,

Woh Dukh Ki Chadar Main Lipti Lipti,
Woh Kale Kapron Main Simti Simti,

Mohabbat Us Ny Kisi Sy Shayad Meri Tarah Ki Hui Hai

Thursday, October 6, 2011

A man came home late at night after a party

A man came home late at night after a party.
His wife yelled:
"how would you feel if you don't see me for two days?"
The man couldnt believe his luck: 'that would be great'!
Monday passed and he didnt see her......
Tuesday and wednesday passed too.....
On thursday his swelling became better
And now he could see her from the
Corner of one eye

Chale the yon to kai loog koe janan ko

Chale the yon to kai loog koe janan ko
Zara sa hum se magar ikhtalaf raah ka tha

Wo Kehti Hai Mujhe Tum Pyaar Ka matlab Batao Gy

Wo Kehti Hai Mujhe Tum Pyaar Ka matlab Batao Gy
Main Kehta Hon k Her Ek Baat Ka Matlab Nahi Hota..!

Saans ban jao or bus jao mairy saanson mein

Saans ban jao or bus jao mairy saanson mein
Bov laingay baramasi ko dil ke makinon mein

Insaan ki fitrat me hy kabhi badal jana
doston ko chod detay hain baton baton mein

Jahan se na kehtay phira karo ke dua karna
Kitnay aisay bhi hain achcha nahin hota duaon mein

Aankh tak hi ki bat hoti to rastah kar laitay
Ootar gayi hy bat jo seel gayi hy sinon mein

Faqat dikhavay per hi haq ko na pehchanay koi
Bahot insann badal jatay hain raton raton mein

Piyas meri na bujhi mooft me bhigna parah
Dost istrah ke bhi miltay hain barstay badlon mein

To phir kisnay khushbu ki phelai hogi jal?
Ham to aksar raha karay kagaz ke phoolon mein

Is se barh kar bhi hain andhairay dil ke under bhi
Nh matam karain koi yahan vahan, andheron mein

Doston ke chakkar me phansnay ki khair ho
Kashti phans ke bhanvar se nh nikli kinaron mein

Bhap ban kar samandar se barsay badal, banay jharnay
Kar sakta hy insan sairab, shireen zubanon mein

Khiltay rahay phool khizan ke aanay tak
Rung va bu chorh jatay hain fizaon mein

Sans ban kar rahay mehboob cha- hay chahnay wala
Taza dam rahay har pal voh dil ke makinon mein

Ab nh khat koi phool khushbu or giton me milaiga
Pahocha karega pegham mera garm garm sanson mein

Dubta suraj or dhundla sa milnay ka sama
Voh khushnuma manzar bhejunga apnee yadon mein

Samad na tamam hy ghazal tamam ho kar bhi
Bahot si un kahee rah gayee baton baton mein

Wednesday, October 5, 2011

Hamain ab khud ujarna aa gaya hai

Hamain ab khud ujarna aa gaya hai,

Kisi ko bewafa kehte nahi Hum,
Humain bhe ab badalna aa gaya Hai,

Kisi ki yaad mai rote nahi Hum,
Humain chup chaap Jalna aa gaya Hai,

Gulabon ko Tum apne pas rakho,
Humain kanton pe Chalna aa gaya Hai!

awal awal ki muhabbat kay nashay yaad tu kar

awal awal ki muhabbat kay nashay yaad tu kar
bay piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanaan

akhir akhir tu ye aalam hay kay ab hosh naheen
rug-e-meena sulag uthi kay rug-e-jaan jaanaan

mudatoon say yehi aalam na twaku na umeed
dil pukaray hi chalay jaata hay jaanaan jaanaan

hum bhi kia sada thay hum nay bhi samajh rakha tha
ghum-e-doraan say judaa hay ghum-e-jaanaan jaanaan

ab kay khuch aisi saji mehfil-e-yaaraan jaanaan
sar ba zanoo hay koi sar bagiraybaan jaanaan

har koi apni hi awaz say kaanp uthta hay
har koi apnay hi saye say hirassan jaanaan

jis ko dekho wohi zanjeer bapaa lagtaa hay
shehar ka shehar hua dakhil-e-zindaan jaanaan

ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aye
aur say aur hoye dard kay unwaan jaanaan

hum kay roothi hui rut ko bhi mana letay thay
hum nay dekha hi naa tha mousam-e-hijraan jaanaan

hosh aya tu sabhi khwaab thay reza reza
jaisay urtay hoye awrak-e-pareeshaan jaanaan..

Jis ko aksar socha tha tanhaai mein

Jis ko aksar socha tha tanhaai mein
shamil hay woh shakhs meri ruswaai mein

Mujh say mat poocho woh chehra kaisa tha
doob gaya main aankhon ki gehraai mein

Jagtay rehnay ki kitni targhiben thin
us ki bojhal thaki hoi angrdaai mein

Piyar bhi karta hay woh be parwaai say
nadani ka rang bhi hay danaai mein

Woh ek pal ko rootha to mehsoos hoa
jaisay beet gaya ek saal judaai mein

Jaao apnay jaisay log talash karo
kia paao gay Mohsin say harjaai mein

Tuesday, October 4, 2011

Main to uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley,

Main to uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley,
Yeh agar zabt ka aansuu hai to tapkaa kaisey ??

I?m sending this bouquet of love

'I?m sending this bouquet of love
To say that I love you so much
I hope I say it often enough
I want you to know it?s true,
On this special occasion
I want to remind you
That you are my everything
And
my love is true,Happy Anniversary Lover!'

Log sab achey hain waqt hi acha nahin

Log sab achey hain waqt hi acha nahin,
Zindagi se jo nikal jaye woh milta nahin..

Sardar was busy removing

Sardar was busy removing
a wheel from his auto.
A man asks sardar why are
you removing a wheel from your auto.
sardar : Cant you read the board.
Parking is only for 2 wheeler

Monday, October 3, 2011

Kon Kehta Hy k Nafrato?n Main Dard Hy ?Faraz?

Kon Kehta Hy k Nafrato?n Main Dard Hy ?Faraz?
Kuch Mohabbate?n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !!

Kis qadar nadaam hoa hon me bura keh kar use,

Kis qadar nadaam hoa hon me bura keh kar use,
Kia khabar thi jate jate wo dua de jae ga.

Wo Kuch Is Tarah Bhi Taqdeer Bana Daita Hai

Wo Kuch Is Tarah Bhi Taqdeer Bana Daita Hai
Dard Ki Rooh Ko Jaageer Bana Daita Hai

Ik Maseehai Utar Aati Hai Shairon Mein Mere
Koi Alfaaz Ko Taaseer Bana Deta Hai

Naqsh Karta Hai Ujaagar Meri Aawaazon Ko
Baat Karta Hun Tou Tasweer Bana Daita Hai

Aankh Maasoom Hai Laikin Koi Karni Waala
Hadaf Dil Ke Lye Teer Banaa Daita Hai

Ghair Laita Hai Nishanaat-e-Qadam Bhi Farhat
Ishq Ko Halqa-e-Zanjeer Bana Daita Hai

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali

Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai

Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag
Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi

Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
Magar kya karain apni rahain juda hain

Saamne baithe raho dil ko qaraar aa’aegaa
Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa’aegaa

Mohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana hai
Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana hai

Hai kuch baat mo-min jo chaa gaye khamoshi
Kis bout ko de diya dil, kyon bout se ban gaye ho

Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao
Itna ruk ruk ke chalogi to qayamat hogi

Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Bujh jaya Karte Hai
Aur ek hum hain jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai

Sunday, October 2, 2011

Never make any decision in anger

Never make any decision in anger
&
Never promise in happiness!
(Hazrat Ali A.S)

If i could be any part of U

If i could be any part of U I"d be ur tear,To be conceived in ur heart born in ur eyes... Live on ur cheeks and die on ur lips.."

Saturday, October 1, 2011

Tooti hai meri neend magar, Tum ko iss se kya,

Tooti hai meri neend magar, Tum ko iss se kya,
Bajtey rahen hawaaon se dar, Tum ko iss se kya..

Agar main had se guzar jaoun to mujhe maaf kerna.

Agar main had se guzar jaoun to mujhe maaf kerna..
tere dil main utar jaoun to mujhe maaf kerna..

raste men tujhe dekh ker teri deed ki khatir..
pal bhar jo thehar jaoun to mujhe maaf kerna..

apne jazbat se likhi howi shokh tahreer..
tere nam kar jaoun to mujhe maaf kerna..

tere pal bhar ki judai mujhe jeene nahi deti..
tere bin jo mar jaoun to mujhe maaf kerna..

ab mein samjha us ki chamakti ankhoun ka raz

ab mein samjha us ki chamakti ankhoun ka raz
wo rota nahin ansoun ko qaid ker leta hai

Hum Tujh Se Kis Hawas Ki Falak Justuju Karen?

Hum Tujh Se Kis Hawas Ki Falak Justuju Karen?
Dil Hi Nahin Raha Hai Jo Kuch Aarzu Kareyn…

Mit Jaayen Ek Aan Main Kasrat Namayaan
Hum Aayine Ke Saamne Aa Kar Jo Huu Karen….!!