Thursday, March 31, 2011

Aaj Insaan Ka Chehra To Hai Suraj Ki Tarah

Aaj Insaan Ka Chehra To Hai Suraj Ki Tarah
Rooh Mein Ghor Andhere Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

Lutf wo ishq mein paye hain k jee janta hai

Lutf wo ishq mein paye hain k jee janta hai
Ranj bhi itne uthaye hain k jee janta hai

Jo zamane k sitam hain wo zamana jane
Tu ne Dil itne dukhaye hain k jee janta hai

Tum nahi jante ab tak Ye tumhare andaaz
Wo mere Dil mein samaye hain k jee janta hai

Inhi qadmon ne tumhare inhi qadmon ki qasm
Khaak mein itne milaaye hain k jee janta hai

Dosti mein teri dar-parda hmare dushman
Is qadar apne paraye hain k jee janta hai

Wednesday, March 30, 2011

A Good Teacher Is Who

A Good Teacher Is Who
Tells To Study Hard...

But,,

A Best Teacher Is Who
Stands Outside D
Examination Hall N Shouts. . .

"OYE CHECKING WALE AA GAYE
APNI APNI PARCHIY CHUPA LO

Bachpan Ke Dukh Bi Kitne Ache The

Bachpan Ke Dukh Bi Kitne Ache The,
Tab To Sirf Khilone Tuta Karte The,

Wo Khushiyan Bi Na Jane Kaise Khushiyan Thi,
Titli Ko Pakad Ke Uchhla Karte The,

Paoon Maar Ke Khud Barish Ke Pani Mae,
Apna Aap Bhigoya Karte The,

Ab To Ek Aansu Bi Rusva Kar Jata Hai,
Bachpan Mein Dil Khol Ke Roya Karte The

is bar dil ny tujhsy na milny ki thani hai

is bar dil ny tujhsy na milny ki thani hai
par maeny kab kisi ki koi bat mani hai
aik subha teray sath nikalna hai rat sy
aik sham teray sath kisi din manani hai
aik bhaid kholna hai mujhy tery ro-baro
aik bat hai jo maeny tujhko batani hai
mujhy ko b taray toor k lanay ka hai janoon

maeny b asman ki buht khak cahni hai

usky liay b shahar basana hai mujhy

apny liay b aik naai duniya banani hai

jo kuch mae likh raha hon wo rodad hai meri

tum parh sako to phr ya tmhari kahani hai

kehta hai koi aa, issay phr sy likhain

ya dastan-e- ishk buht hi purani hai

Badaltee ruton main

Badaltee ruton main
Woh bichraa musafir
Phir yaad aney laga hay
Mujh ko sataney laga hay
Ho sard mosam
To dhoop kee hidat
Jaisey badan ko
Daitee hay rahat
Kuch waisey hee
Tairee yadon kaa mosam
Dil ko jalaney laga hay
Man main mere
Ek meetha sa dard
Phir say jaganey laga hay

Badaltee ruton main bichray musafir!
Dekh humarey hathon main saghar
Yeh saghar zamaney ko
Dikhaney kay leye hay
Tere hijar kee shidat say
Apney qadmon kee larzish
Chupaney kay leye hay

Badaltee ruton main bichray musafir!
Dekh humaree aankhon main aansoo
Tere gham kee agnee
Jalaye hay hum ko
Yeh us ko
Bhujaney kay leye hay

Badaltee ruton main bichray musafir!
Dekh humarey paon main chaley
Jis dam say tu
Bichraa hay hum say
Es pal say hain
Hum ek safar main
Jis kee hay manzil
Paa jaanaa tujh ko
Yeh chaley safar kee
Hain ek nishanee
Yeh manzil pay
Janey kay leye hain

Badaltee ruton main bichray musafir!
Dekh humarey dil main
Bastaa hay bas tu
Teree hee yadain
Bikhree hain har soo
Sehar main hay tu
Shaam main hay tu
Din main hay tu
Raat main hay tu
Soch main hay tu
Dhiaan main nay tu
Hosh main hay tu
Giaan main hay tu
Humray jevan main
Jaan main hay tu
Humare izat
Aan main hay tu
Tu hee hay dunya
Jahan main hay tu
Tu hay pahchaan
Nishaan main hay tu
Hum nay jo tujh ko
Rakhaa hay dil main
Yeh khud ko
Jeye janey kay leye hay

Badaltee ruton main bichray musafir!
Mohabat main hum nay
Ganwaayaa thaa khud ko
Magar hum khush they
Kay payaa hay tujh ko
Jab tu nay choraa
Saath humaaraa
Jab tu nay thukraayaa
Haath humaaraa
Tab say howee hay
Andhair dunyaa
Yeh jo hay tujhey
Sochanaa humaraa
Yeh shairon main
Ghazlon main
Tera Zikr karnaa
Yeh FAISAL junoon kay
Hain sab karishmay
Baharon main
Sehraaon ko safr karnaa
Khizaaon main
Gulshan ko ghar karnaa
Badaltee hay rut to
Satatee hay hum ko
Yeh tere yaad
Dilaney kay leye hay

Esee leye to
Badalte ruton main
Woh bichraa musafir
Phir yaad aney laga hay

Chal Na "Saagar" Ksi Anjan Si Basti Me Chalain

Chal Na "Saagar" Ksi Anjan Si Basti Me Chalain...!
Is Nagar Me To Sabhi Hum Se Khafa Rehte Hain

So that when i die no 1 will touch ur mom

A man was dying of cancer.
His son asked him:
dad why do you keep on telling
everyone that your dying of AIDS.

He replied:
"So that when i die no 1 will touch ur mom"

phir is andaz se bahar ai

phir is andaz se bahar ai
k huye mehar-o-mah tamashai

dekho ai sakinan-e-khita-e-khak
is ko kahte hain alam-arai

k zamin ho gai hai sar ta sar
ruksh-e-sathe charkhe minai

sabze ko jab kahin jagah na mili
ban gaya ru-e-ab par kai

sabz-o-gul k dekhne k liye
chashm-e-nargis ko di hai binai

hai hawa main sharab ki tasir
badnoshi hai bad paimai

kyun na duniya ko ho khushi "Ghalib"
shah-e-dindar ne shifa pai

I Wish 4 " U "

Great start 4 Monday
No Obstacles 4 Tuesday
No stress 4 Wednesday
No worry 4 Thursday
Smile 4 Friday
Party 4 Saturday
& Great fun 4 Sunday
"Have a beautiful and smart week."

Mulaim Hath, Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain, or Yaqoot Hont.

Mulaim Hath, Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain, or Yaqoot Hont...!
Wallah..! Qatal Baqi Hai, Auzaar To Sabhi Pooray Hain...!

Tuesday, March 29, 2011

How do I know you're the friend for me

How do I know you're the friend for me?
Because you being there for me is a gurarantee!

You're kind and lovable, and so sincere.
No matter what happens, our friendship will perservere.

You're funny and you can crack a joke.
You'd even help me out if I was broke.

You always smile, hardly ever frown.
I think you really deserve this friendship crown!

Hum ne To Ek Hi Shaks

Hum ne To Ek Hi Shaks Par Muhabbat Khatam Kardi
Ab Muhabbat Kis Ko Kehte Hai Kuch Maloom Nahi…

Kahin Sy Tera Saath Ley Aaon

Kahin Sy Tera Saath Ley Aaon
Wisal Ki Chand Raat Ley Aaon
Beth Jaon Kisi Doorahey Par
Maang Kar Tera Haath Ley Aaon
Kitni Sadiyon Key Baad Boloon Mein
Lab Pe Aik Teri Hi Baat Ley Aaon
Apni Aankhon Ki Band Galiyon Sy
Aansuon Ki Baaraat Ley Aaon
Itni Pooja Karon Ke Mein Aik Din
Apni Zaat Mein Teri Zaat Ley Aaon

Monday, March 28, 2011

There is no need to count years

There is no need to count years. We have to count deeds. So let’s celebrate the deeds of our dear…… as a professional and a family man

Ghamgasari bhi kisi ghan ka madawa to nahin

Ghamgasari bhi kisi ghan ka madawa to nahin,
Bojh jis ka ho use ap uthana ho ga

Birthday Sms in 4 Lines

Birthday Sms in 4 Lines

Ek dua mangte hai hum apne Bhagwan se,
chahte hai aapki Khushi pure Imaan se,
Sub hasraten puri ho aapki
aur aap Muskurayen Dilo Jaan se.

Chai Udasi – Poetry For Yaad

Chai Udasi – Poetry For Yaad

Kare Badarva Aaye Chai Udasi
Bhigi Bhigi Palaken Hain Pyar Ke Pyasi
Jab Se Gae Ho Chod Ke Hamako
Dil Ko Na Jane Kya Ho Gaya Hai
Aan Milo Ab Jiya Na Jalao
Savan Bhi Ab Bit Chala Hai
Ek Jhalak To Aake Dikha Ja
Andhera Hai Man Mein Diya To Jala Ja
Bhulanavale Hum Ko Teri
Yaad Sataye
De Na Sake Jo Chain Bhi Man Ko
Aag Lage Aise Savan Ko
Meha Barase Aansun Barase
Rimjhim Mere Dip Jalaye

Bekhudi Le Gayi Kahan Hum Ko

Bekhudi Le Gayi Kahan Hum Ko
Der Se Intezaar Hai Apna
Rote Phirte Hai Sari Sari Raat
Ab Yehi Rozgaar Hai Apna

Sun rahy ho baadlon ki garaj chamak

Sun rahy ho baadlon ki garaj chamak
kuch is trah se Dil tarapta hai tumhary bina

Raat bhar khuwab mein un se milna howa

Raat bhar khuwab mein un se milna howa
Jo khuli aankh to phir bicharna howa

Kis tarah ki kadi aazmaish thi woh
Anjuman may raqeeboN se milna howa

Hum khadaiN haiN usi moor par ab talak
Dena tum phir sada jo guzarna howa

Ik yehi baat hai jo samjh na sakey
kiyuN achanak se unka badalna howa

ab to aansu bhi aankhoN se behtay nahi
iss qadar chahaton mein bhikarna howa

Sunday, March 27, 2011

Raat Ki God Mei – Aansoo 4 Line Shayari

Raat Ki God Mei – Aansoo 4 Line Shayari

Kabhi Dil Ko Kabhi Shamma Ko Jala Kar Roye
Teri Yaad Ko Dil Se Laga Kar Roye
Raat Ki God Mein Jab So Gayi Duniya Sari
Chand Ko Teri Tasveer Banaker Roye

Hazaar chehron mein teri mushaabihat mili mujh ko

Hazaar chehron mein teri mushaabihat mili mujh ko
Par dil ki marzi hai agar tu nahi tou koi tujh sa bhi nahi

Special Dua 4 Special Person On Eid

Special Dua 4 Special Person On Eid :
May
Allah Almighty Bless U With
Sehat,
Rahat,
Nemat,
Izzat,
Barkat,
Dault,
Salamti,
Hayati,
Kamyabi &
Unlimited Khushiyan

Ek dua mangte hai hum apne Bhagwan se,

Ek dua mangte hai hum apne Bhagwan se,
chahte hai aapki Khushi pure Imaan se,
Sub hasraten puri ho aapki
aur aap Muskurayen Dilo Jaan se.

Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai

Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai
Teri yaad jo aati hai to kuch aaisi aada hoti hai

Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to
Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai

Ab ya duniya meri muha veeran si lagti hai
Khushboo teri na hoti hai na teri sada hoti hai

Jis desh bhi jao tum woh desh tumhara ho
Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai?!!

Hijr ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay

Hijr ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay
sunnay walay raat katnay ki dua denay lagay

Kis nazar say aap ne dekha dil e majroh ko
zakhm jo kuch bhar chalay thay phir hawa denay lagay

Juz zameen koo e janaan kuch nahi paishe nigah
jis ka darwaza nazar aaya sadaa denay lagay

Baghban nay aag di jab gulshan ko meray
jin pe takya tha wohi pattay hawa denay lagay

Mutthiyon me khak lekar dost aay waqt e dafn
zindagi bhar ki muhabbat ka sila denay lagay

aayna ho jayay mera ishq un kay husn ka
kia maza ho dard agar khud hi dawa denay lagay

A late night sms greeting doesnt

A late night sms greeting doesnt
only mean good night
It has a silent msg saying..
u r my last thought at night..
Goodnight.

Ek tamanna si hai iss maayoos dil ki kash

Ek tamanna si hai iss maayoos dil ki kash…
Aaj aansoo ke sath har khwaab bhi beh jaye

Sardar to doctor: When I sleep, monkeys

Sardar to doctor:
When I sleep, monkeys
play football in my dreams.

Dr:No problem,
just take this medicine b4 sleep.

Sardar: Kal se khaonga aaj final hai.

Love is something special

Love is something special, a treasure I want to find...To others, love is blind but for me, its not true, Coz..When I fell in love...I saw you

Wo be’kaifi ka aalam hai ke dil ye chahta hai

Wo be’kaifi ka aalam hai ke dil ye chahta hai,
Kahin roposh ho jaun achanak khamoshi se..

Q tumhain manany k lye tumhary paon pakron

Q tumhain manany k lye tumhary paon pakron.
Mujhe tum se Muhabbat hai... koi matlab to nahi

Saturday, March 26, 2011

Rukh-e-Shabab Sy

Rukh-e-Shabab Sy
Aanchal Jo Sarakta Dekha

Chaand Aakhash k
Jhurmat Sy Nikalty Dekha

Mujh Ko Mehsoos Hua
Dard-e-Judai Kia Hy

Main Ny Ek Phool Ko
Tehni Sy Bikharty Dekha

Zindagi Kia Hy Mere
Dost Tu Mujh Sy Pooch

MainNy Gulshan Ko
Baharo?n main Ujarty Dekha

Dil ki aawaz ko izhaar kehte hain

Dil ki aawaz ko izhaar kehte hain,
jhuki nigah ko iqrar kehte hain,
sirf paane ka naam ishq nahin,
kuch khone ko bhi pyar kehte hain

Fill in the blank...Im ur .....friend- a)-Cute b)-Sweet

Fill in the blank...
Im ur .....friend-
a)-Cute
b)-Sweet
c)-Loving
d)-Boy/Girl
e)-Best
of all Reply is a must...

Apno Ne Zehar – Bewfa Shayari Sms

Apno Ne Zehar – Bewfa Shayari Sms

Apno Ne Zehar Ka Jaam De Diya,
Gairoon Nay Bewafa Naam De Diya,
Jo Kehte The Hame Bhool Na Jana,
Unhi Ne Bhoolne Ka Paigam De Diya.

Tootna dil ka koi aesi neyi baat nahin

Tootna dil ka koi aesi neyi baat nahin
Torne wale teri kher pareshan kyon hai

There's no Special reason for this msg

There's no Special reason for this msg,
I just wanna steal a single moment
out of ur busy life
&
hope I can make u smile n say:
I Miss U.

Friday, March 25, 2011

kabhi din ki dhuup mein jhuum ke kabhi shab ke phuul ko chuum ke

kabhi din ki dhuup mein jhuum ke kabhi shab ke phuul ko chuum ke
yunhi saath saath chalein sadaa kabhi Khatm apana safar na ho

tumhaare saath ye mausam farishto?n jaisa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataayegaa

Yon Hi Umeed Dilaaty hain Zamany Waly

Yon Hi Umeed Dilaaty hain Zamany Waly
Kab Lout K aaty hain Chor k jany waly

Thursday, March 24, 2011

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye

zara khud ko sambhalo mera dil dhadak raha hai
koi aur tair-e-dil tah-e-daaman aa na jaaye

jise soonke toot jaaye mera aarzoo bhara dil
teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye

woh ke manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein
inhi rehzahon mein tera kahin naam aa na jaaye

yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe
mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye

Loog Kehte Hain

Loog Kehte Hain
Larki Ye Aasaib Zada Hai,
Kisi Ko Kia Khabar,
Ke Is Ke Dil Par,
Ek Insaan Ka Saaya Hai..!

I saw dad

A boy goes to see a dance.

His mom angrily asks him:
Did u see anything there that
u were not supposed to see?

Boy: yes, I saw dad!

Logo se milna masti bhi kerna

Logo se milna masti bhi kerna,
per tere gam mai aksar tarapta bhi hoon

Hai sabse aage nikalne ki khwaahis,
per tumse bicharne se darta bhi hoon

-Kabse tere aane ka intzaar kerta bhi hoon..

Tum ho hi nahi mujhe ye to pata hai,
per tere har ek ada ko samajhta bhi hoon

Seene mai hai pyar itna ke ji na sakoon,
per dil ke ujalo mai marta bhi hoon

-Kabse tere aane ka intzaar kerta bhi hoon..

Hai ye Kitne janmo ka lamba safer,
per saanso ka har geet sunta bhi hoon

Chup hi rehna gar milker ishq ho gaya,
per ankhoo hi ankhoo mai padhta bhi hoon

-Kabse tere aane ka intzaar kerta bhi hoon..

Jin Raato ko samjha hai bas koi ratjaga,
per main judai ka har kat’l sehta bhi hoon

Chuape aaj saare ye jhakm dekh lo,
per tere har chu’han se seharta bhi hoon

-Kabse tere aane ka intzaar kerta bhi hoon

Wednesday, March 23, 2011

Only the open heart receives

Only the open heart receives
LOVE
Only the open mind receives
WISDOM
Only the open hand receives
GIFTS
and...
Only the CUTE 1's receive
MESSAGES From ME!

Muhabbat ek pal hai or is aik pal me hum

Muhabbat ek pal hai or is aik pal me hum
Hazaron baar jeety hain... hazaron baar marty hain

Tuesday, March 22, 2011

I have the "I"

I have the "I",I have the "L",I have the "O",I have the "V",I have the
"E",... so pls can I have "U"?

For your anniversary, dear

For your anniversary, dear ….., we wish you all the happiness in the world and let your life be long and interesting like the Milky Way and soap opera series

Unki aankhon ko youn na dekho !!

Unki aankhon ko youn na dekho !!
Naye teer hai nishaane dhoondte hai !!

gulshan purdst hoon mujhe gulshan hi nahi aziz

gulshan purdst hoon mujhe gulshan hi nahi aziz
kaantoon sa bhi nbaah kia jaa rha hn main

Phir Dekhe Hain Shab Me Ghabraye Hoe Jugnu

Phir Dekhe Hain Shab Me Ghabraye Hoe Jugnu
Ae Husn-E-Mujsim Zara AanchaL Ko SambhaLa Kr

Mere is dil ki keetabon ki tarha,

Mere is dil ki keetabon ki tarha,
Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha,

Wo agar kholtey hain pani ki tarha,
To hum bhi jaltey hain aaftabon ki tarha,

Wo koi phool ho nahi saktey,
Unki khushboo hai sharabon ki tarha,

Dil mai aata hai unka ho jaoon,
Mai bhi gulshan ke gulabon ki tarha,

Unse rakhta hoon mai dua e kher,
Unse rishta hai mera janabon ki tarha,

Wo unke hont surkh sholo se ‘shamsh’
Dekhney mai hain kababon ki tarha,

Monday, March 21, 2011

dekh to dil k jan se uthta hai

dekh to dil k jan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai

gor kis dil-jale ki hai ye falak
shola ik subah yan se uthta hai

khana-e-dil se zinhar na ja
koi aise makan se uthta hai

nala sar khenchata hai jab mera
shor ek asman se uthta hai

larti hai us ki chashm-e-shokh jahan
ek ashob wan se uthta hai

sudh le ghar ki bhi shola-e-awaz
dud kuch ashiyan se uthta hai

baithne kaun de hai phir us ko
jo tere astan se uthta hai

yun uthe ah us gali se ham
jaise koi jahan se uthta hai

ishq ik 'Meer' bhari paththar hai
bojh kab natawan se uthta hai

I Can SEE

I Can SEE 'TEA' in A TEA-CUP
Can you SEE the WORLD in WORLD-CUP?

I can SING on Any STAGE
Can you SING in COMA-STAGE?

I can FIX my PASSPORT Size PHOTO in My PASSPORT
Can you FIX Your STAMP Size PHOTO in a STAMP?

I Can SEND My ADDRESS to Your MOBILE
Can You SEND Your MOBILE to my ADDRESS?

TRY ALL THIS........ ....
Atleast DO the LAST ONE

Beet gaye hain kitney din

Beet gaye hain kitney din,
Jab tum ney ye mujhsey kaha tha:
“Tum mujhko achi lagti ho”
Or merey hathon par tum ney,
Ek wo lamha chor dia tha,
Wo lamha jo an dekhi zanjeer ki sorat,
Rooh sey lipta dil me utra,
Khoon me tayr gaya,
Aj usi lamhey ko thamey,
Khari hoi hun seerhi par.

Sunday, March 20, 2011

Palat k aany lgy Sham k parindy b

Palat k aany lgy Sham k parindy b
Hamara Subha ka bhoola mgr nahi aya

Eid mubarak sher o shayari

Dil Behal Jaye Musaraat Se Mera Eid Kay Din,
Aye Ghumay Yar Mere Pas Na Aa Eid Kay Din,
Phir Mujhe Qarb Ki Sooli Pe Charhane Walay,
Yaad Aya Tera Paimanay Wafa Eid Kay Din.

ulmatkade mein mere shab-e-gam ka josh hai

ulmatkade mein mere shab-e-gam ka josh hai
ik shamma hai dalil-e-sahar, so khamosh hai

na muzda-e-wisal na nazara-e-jamal
muddat hui k ashti-e-chashm-o-gosh hai

mai ne kiya hai husn-e-khudara ko behijab
ae shauq yan ijazat-e-taslim-e-hosh hai

gauhar ko ikd-e-gardan-e-khuban mein dekhna
kya auj par sitara-e-gauharfarosh hai

didar, wada, hosla, saqi, nigah-e-mast
bazm-e-khayal maikada-e-bekharosh hai

ae taza waridan-e-bisat-e-hawa-e-dil
zinhar gar tumhen hawas-e-nao-nosh hai

dekho mujhe jo dida-e-ibaratnigah ho
meri suno jo gosh-e-nasihat niyosh hai

saqi bajalwa dushman-e-iman-o-agahi
mutarib banagma rahzan-e-tamkin-o-hosh hai

ya shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisat
daman-e-bagban-o-kaf-e-gulfarosh hai

lutf-e-khiram-e-saqi-o-zauq-e-sada-e-chang
ye jannat-e-nigah wo firdus-e-gosh hai

ya subh dam jo dekhiye akar to bazm mein
na wo surur-o-soz na josh-o-khrosh hai

dag-e-firaq-e-sohbat-e-shab ki jali hui
ik shamma rah gai hai so wo bhi khamosh hai

ate hain gaib se ye mazamin khayal mein
'Ghalib', sarir-e-khama nawa-e-sarosh hai

Saturday, March 19, 2011

Us meherban ki nazar -e- inayat ka shukria

Us meherban ki nazar -e- inayat ka shukria
Tohfa diya hum ko eid pe firaaaq ka..

Suna Hai Chaand Niklay Ga

Suna Hai Chaand Niklay Ga
Suna Hai Eid Bhi Ho Gi
Hamein To Aasman Per Door Tak
Kuch Bhi Nahi Dikhta
Kahan Wo Chaand Niklay Ga ?
K Jis K Waastay Hum Nay
Kabhi Palkei’n Nahi Jhapki’n
Wo Jis Ka Rasta Taktay
Hai Guzri Zindagi Apni
Nahi Kuch Bhi Khabar K Wo
Nikley Ga To Kab Aakhir ?
Hamari Muntazir Aankho’n Ko
Uss Ki Deed Kab Ho Gi ?
Abhi Poocho Nahi Hum Say
Humari Eid Kab Ho Gi ?

Baat be-baat roothne waley

Baat be-baat roothne waley,
Waqt be-waqt tujh ko socha hai..

Tera na ho saka to mar jaunga ?Faraz?,

Tera na ho saka to mar jaunga ?Faraz?,
kitna khoobsurat wo jhuth bolta tha.

ab hath duaa ko uthtey hain

ab hath duaa ko uthtey hain,
Alfaaz kahin kho jatey hain,..
Bas dhyan tumhara rehta hai,
Aur aansu behtey rehtey hain,
Har khuab tumhara poora ho,
Uss Rabb ki minnat karti hun,
Main aisi mohabbat karti hun,
Tum kesi mohabbat kartey ho??

Jurm-e-ulfat per humain log saza dety hain

Jurm-e-ulfat per humain log saza dety hain.
Kaisy nadaan hain sholo’n ko hawa dety hain.

Har Subah Nikal Parti Hai Jo Khud Ki Talash Main..

Har Subah Nikal Parti Hai Jo Khud Ki Talash Main..
Woh Khoi Hui Si Ek Pehchan Hoon Main..

Na Aankhon Mein Khuwab Hai Na Dil Mein Tamanna Koi..
Apni Banai Hui Rahon Se Hi Anjaan Hoon Main..

Kabhi Zara Si Baat Par Ansu Baha Deta Tha Jo..
Aaj Rah Mein Pari Lash Ki Tarah Bejaan Hoon Main..

Aankho Mein Khuwab Sajany Ki Bhi Saza Hui Hai Mujh Ko..
Khilny Se Pehly Hi Jo Toot Jaye Aisa Ek Arman Hoon Main..

Jany Kitny Hi Khuwab Dafana Chuka Hoon Is Dil Mein..
Ab To Lagta Hai Jaisy Khud Hi Ek Qabrastan Hoon Mein..

Friday, March 18, 2011

Mery itraaf ab tou phailay kalay saye se hain

Mery itraaf ab tou phailay kalay saye se hain
Mera mazi to mitti mein kabhi ka kho gaya aur haal. .
Mitti ho raha hai aur fard tootty taaray ki surat hai
Mery mathay pe qudrat ne siyahi thop di hai aur
ab is ko mitana kis k bus mein hai?
Mery dil ko faqat ab maut ki khuwahish satati hai
Mujhy rango’n, gulabo’n, khushbuo’n k khuwab dikhlana nahi mumkin
Koi bhi shae mujhy nahi bhati nahi janaa’n!
Muhabbat, wasl, shohrat, husn, qismat k sahefo’n tak
ye sab milta hai hum ko aazmanay ko
Wafa kesi?
KAHAN KA ISHQ?

sada haste raho jaise haste hain phool,

Sada haste raho jaise haste hain phool,
Duniya ki sare gham tumeh jaye bhool,
Charo taraf phalao khushion ka geet, By Uzzal
Eisi ummid ka sath Yaar tumhe...MUBARAK ho EID

Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam ?

Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam ?
Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam

Kis Ne Khail Khaila Hai Kis Ne Hijr Jhaila Hai
Ab Guzar Gaya Jaanan Is Sawaal Ka Mausam

Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shaakh Per Khiltay
Mein Ke Hijr Ka Lamha, TU Visaal Ka Mausam

Dil Ke Ab Tou Sehra Hai Aur Aisay Sehra Mein
Jaanay Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Mausam

Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Rehguzaaron Per
Tere Lams Ka, Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam

Hum Kubhi Tou Dekhain Ge Wehshaton Ke Sehra Mein
Ay Khuda Mohabbat Ke Aitedaal Ka Mausam

Pindar Kay Khugarr Ko Nakaam Bhi Dekho Gay?

Pindar Kay Khugarr Ko Nakaam Bhi Dekho Gay?
Aaghaaz Se Waqiff Ho Anjaam Bhi Dekho Gay?
Rangini e Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana
Dukhta Hua Dill Le Kr Tanhai Mein Kho Janaa

Tarssi Hui Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena
Raton Kee Khamoshi Mein Chhup Kr Kabhi Ro Lena
Majboor Jawaani K Malboos Ko Dho Lena
Jazbaat Ki Wussaat Ko Sajdon Se Bassa Lena
Bhooli Hui Yaadon Ko Seeney Se Lagga Lena...!!!

Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein

Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein,
Hazaron ghar huwe roshan jab mera dil jala MOHSIN.

Faqat ik lafz “MOHABBAT” ki hum ne bheek mangi thi,
Taras gaye khushi ko hum mili hai ye saza MOHSIN.

Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir,
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila MOHSIN.

Toota huwa ye dil le kar main kis k paas jaonga,
Hai kaun wo karay ga jo mere dil ki dawa MOHSIN.

Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan,
Main kaise bhool paön ga teri har ik adaa MOHSIN.

Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai,
Meri saari kahani ka hai tu hi aashna MOHSIN.

Nahi qaabil tere lekin munasib jo agar samjho,
Yaad rakhna duaon mein yehi hai ilteja MOHSIN.

People often say that beauty lies in

People often say that beauty lies in d eyes of beholder
n I say that most liberating thing about beauty
is realizing that u r the beholder,
this empowers us to find beauty
where others havent dared to look;
including inside ourselves.

Every"Sunset" Reduce 1"Day From"Life !

Every"Sunset"
Reduce
1"Day
From"Life !

But

Every"Sunrise"
Give
1"More"Day
To"Hope !

So,

Hope"for
The"Best"

Happy"New"day
Of"beautiful
Life..
Good Morning

Thursday, March 17, 2011

Door Rehne Walon Ki Har Baat Rula Deti Hai

Door Rehne Walon Ki Har Baat Rula Deti Hai,
Ham Ko To Jane Wali Har Raat Rula Deti Hai,
Wese To Hum Dil Ke Bohat Pakke Hain,
Mager Bas Kabhi Apnon Ki Yaad Rula Deti Hai

Kahan ly Jaon Gi Tujhko Shab-e-Tareek Me Is Waqt

Kahan ly Jaon Gi Tujhko Shab-e-Tareek Me Is Waqt
Ae Meri Tanhai! Main Be-Bus Hon... Mere Pehlu Me Hi So Ja

‘Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do,

‘Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do,
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do,

Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai,

Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do,
Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein,

Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do,
Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe,

Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do,

Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob,
Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do’

Wednesday, March 16, 2011

Is jism k zindaan men ek umr se qaidi hain.

Is jism k zindaan men ek umr se qaidi hain.
urr jain ge hum akhir ik roz reha ho kr.

mai nai kab dard k zakhmon se shikayat ki hai

mai nai kab dard k zakhmon se shikayat ki hai
han mera jurm hai k mai nai muhabbat ki hai

aj phir dekha hai usy mehfil mai pathar ban kar
mai nai aankhon se nhi dil se bagawat ki hai

us ko bhool janay ki galti bhi kar nhi sakta
toot kar ki hai to sirf muhabbat ki hai

tujhay to waada-e-deedaar hum say karna thaa

tujhay to waada-e-deedaar hum say karna thaa
yeh kya kiya k jahaan ko umeed-waar kiyaa

Hosh e haalat pe kaboo to kar liya maine

Hosh e haalat pe kaboo to kar liya maine
unhe dekhke phir hosh kho gaye to kya hoga

din beet jaate hain suhaani yaade bankar,

din beet jaate hain suhaani yaade bankar,
baatein reh jaati hai kahani bankar,
par kuch log hamesha dil ke kareeb rahenge,
kabhi muskaan to kabhi aankhon ka paani bankar.

Tuesday, March 15, 2011

Na to majburi hai koi na to lachari hai

Na to majburi hai koi na to lachari hai
Bewafai teri paidayishi bimari hy

Faslaa gar barhay to bataya karey

Faslaa gar barhay to bataya karey
Koii to raasta phir dikhaya karey

Raet per jab mera naam likha karo
Phr lehar se kaho na mitaya karey

Aaj tak wo mehak saans may hai basi
Phool baaloN may woh na sajaya karey

kashtiyaN sahiloN se khafa ho gayieN
na khuda se kaho ke manaya karey

kiyuN hawaiN jhagarti rehieN baam se
baat sachi humaiN wo bataya karey

neend se rooz hoti ladai hai ab
ab meray khuwab may wo na aaya karey

hai andehroN se pur raastay ye kathin
kehkashaN koii to yaN sajaya karey

Shola Tha Jal Bujha Hoon, Hawayein Mujhay Na Do

Shola Tha Jal Bujha Hoon, Hawayein Mujhay Na Do

Shola Tha Jal Bujha Hoon, Hawayein Mujhay Na Do
Main Kab Ka Ja Chuka Hoon Sadayein Mujhay Na Do
Jo Zehar Pi Chuka Hoon Tum Hi Ne Mujhay Diya
Ab Tum To Zindagi Ki Duayein Mujhay Na Do
Aisa Kabhi Na Ho Ke Palat Kar Na Aa Sakun
Har Bar Door Ja Ke Sadayein Mujhay Na Do
Kab Mujhko Aitraaf-E-Mohabbat Na Tha 'Faraz'
Kab Mainay Ye Kaha Tha Sazayein Mujhay Na Do...!!!

Hum ghareeb ki surat pe na ja,

Hum ghareeb ki surat pe na ja,
Hidmat-e-aadmi ke mujrim hain..

Tote hain shesha hay dil itne ke ehal e dard

Tote hain shesha hay dil itne ke ehal e dard
Rakhate hain paon khak pe soo bar daikh kar

Monday, March 14, 2011

Shamil Mera Dushman Saf-e-Yaraan Mein Rahega

Shamil Mera Dushman Saf-e-Yaraan Mein Rahega
Yeh Teer Bhi Paywast-e-Rag-e-Jaan Mein Rahega,

Ek Rasm-e-Januu Apne Muqaddar Mein Rahegi
Ek Chaak Sadaa Apne Girebaan Mein Rahega,

Ek Ashk Hai Aankhon Mein So Chamkega Kahaan Tak?
Yeh Chaand Zad-e-Shaam-e-Ghareebaan Mein Rahega,

Main TUjh Se Bechar kar Bhi Kahaan Tujh Se Juda Hoon
Tu Khawaab Sifat Deeda-e-Giryaan Mein Rahega,

Rangon Ki Koi Rut Teri Khushbu Nahi Laaie
Yeh Daagh Bhi Damaan-e-Baharaan Mein Rahega,

Ab Kay Bhi Guzar Jaaenge Sab Wasl Kay Lamhe
Masroof Koi Wada-o-Paymaan Mein Rahega,

Main Harf-e-Januu Keh Na Sakoonga, Jo Kahoon Bhi
Ek Raaz Ki Soorart Dil Imkaan Mein Rahega,

“Mohsin” Main Hawadis Ki Hawaaon Mein Ghera Hoon
Kiya Naqsh-e-Qadam Dasht-o-Bayabaan Mein Rahega ?

Uss Nay Aashufta Mizaji Ko Niya Mor Diya

Uss Nay Aashufta Mizaji Ko Niya Mor Diya
Mujh Ko Paa Baa Kiya Aor Chhor Diya
Uss Nay Aanchal Se Nikali Mere Gumgushta Kitab
Aor Chupkey Se Muhabbat Ka Warq Mor Diya
Hum Ko Maaloom Tha Anjam e Muhabbat Hum Nay

Aakhri Harf Se Pehley Hi Qalam Tod Diya

Nikle jo janaza mera do phool gira dena

Nikle jo janaza mera do phool gira dena
Milne ki tamana ho toh kafan hata dene

Gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa

Gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa,
Gar jeet gae to kia kehna hare bhi to bazi mat nahin.

Sunday, March 13, 2011

Woh lamha bhi bhaari tha

Woh lamha bhi bhaari tha, Yeh lamha bhi bhaari hai,
Us ishq mein khuwari thi, Is ishq mein khuwari hai,

Us ne tou bhulaya tha, Hum ne bhi bhula daala,
Woh zakhm bhi kaari tha, yeh zakhm bhi kaari hai,

Tab ishq mein rotey they, Ab ishq pe hanstey hain,
Kya kaar-guzari thi, Kya kaar-guzari hai,

Ik rakss mein thi dunya, Ik rakss mein hai dunya,
Paisa hi madaari tha, paisa hi madaari hai,

Kaisa hai Tagh-yur hai, Kuch fark nahin jis mein,
Ik shakhss ki baari thi, Ik shakhs ki baari hai,

Ik ‘Saad’ ghazal kehna, ik kurb mein hai rehna,
Ik zulf sanwaari thi, Ik zulf sanwaari hai…

Bikhar gaya hai kuch is tarah aadmi ka wajood

Bikhar gaya hai kuch is tarah aadmi ka wajood
Har aik shakhzz koi saaneha lage hai mujhe

Saturday, March 12, 2011

Dil Ke Rang – Dare e Dil Shayari

Dil Ke Rang – Dare e Dil Shayari

Kahan Koi Aisa Mila Jis Pe Dil Luta Dete,
Har Ek Ne Dhoka Diya Kisko Bhula Dete…
Apne Dil Ka Dard Dil Hi Mein Dabaye Rakhe Hain,
Karte Bayaan To Mehfil Ko Rula Dete….

Phattar sy kuchal aya tha may jis ko gali may

Phattar sy kuchal aya tha may jis ko gali may
dekha to wahi sanp mery sir pay kharda tha

Milnay ki gharz ho to chalay aatay hain apnon ki tarha 'Faraz'

Milnay ki gharz ho to chalay aatay hain apnon ki tarha 'Faraz'
Dil bhar jaye to jawaab dena bhi gawaara nahi kartay.

wo firaq aur wo wisal kahan

wo firaq aur wo wisal kahan
wo shab-o-roz-o-mah-o-sal kahan

fursat-e-karobar-e-shauq kise
zauq-e-nazara-e-jamal kahan

dil to dil wo dimag bhi na raha
shor-e-sauda-e-khat-o-khal kahan

thi wo ik shakhs k tasawur se
ab wo ranai-e-khayal kahan

aisa asan nahi lahu rona
dil mein taqat jigar mein hal kahan

hamse chuta qomarkhana-e-ishq
wan jo jayen girah mein mal kahan

fikr-e-dunya mein sar khpata hun
main kahan aur ye wabal kahan

muzmahil ho gaye quwe 'Ghalib'
wo anasir mein aitadal kahan

Har shaam tumse milne ki adat si ho gayi

Har shaam tumse milne ki adat si ho gayi
Phir rafta rafta tumse Mohhabbat si ho gayi

Shayed yeh taaza si judai ka tha assar
har shakal bus kuch teri surat si ho gayi

Ek naam jhilmilane laga dil ke taaq per
Ek Yaad jaise Baais-e-Raahat si ho gayi

Khud ko sajaa sanwar ke rakhne ka shok tha
Phir apne aap se mujhe nafrat si ho gayi

Meine kuch beyaan safaayi mein nahin diya
Bus chup raha to khud hi wazahat si ho gayi

Friday, March 11, 2011

Kissi ki bewafaayi se mujhe kya,

Kissi ki bewafaayi se mujhe kya,
Main apna kaam rakhta hoon wafa se..

mujhe tan se ziyaada, us kaa mann acha laga tha

mujhe tan se ziyaada, us kaa mann acha laga tha
aur us ki shakhsiyat kaa baankpan acha laga thaa

Gharaz mujh ko nahiin thii zaahirii surat se us ki
mujhe tau sirf andaaz-e-suKhan achchhaa lagaa tha

vo siidhii baat bhi kartaa thaa aksar shaayrii meN
mujhe uss kaa yehii diivaanaapan achchhaa lagaa tha

zamaanaa keh rahaa thaa us ke baare meN fasaane
magar mujh ko tau us kaa har chalan achchhaa lagaa tha

dhanak ke raNg hi bhaate haiN aksar laRkiyoN ko
mujhe tau eik saadaa pairahan achchhaa lagaa tha

bane alfaaz aNgaare tau ab hairaan huuN maiN
ke us lahje kaa mujh ko dhiimaapan achchhaa lagaa tha

mire baaloN ki chaaNdii se gurezaaN aaj hai wo
jise kal mera chaaNdii saa badan achchhaa lagaa tha

vo jis dam us ne mujh se khelne ko chaaNd maaNgaa
mujhe bachche kaa apne, bholaapan achchhaa lagaa tha

pariindaa laut ke vaapas qafas meN aa gayaa hai
jise phailaa huvaa niilaa gagan achchhaa lagaa tha

Its a nice feeling when you know that someone likes you

Its a nice feeling when you know that someone likes you, someone thinks about you, someone needs you;but it feels much better when you know that someone never ever forgets your birthday." HAPPY BIRTHDAY".

Wo Jo Anaa-Parast Hy..

Wo Jo Anaa-Parast Hy... Main B Wafa-Parast Hon
Uski Misaal B Nahi... Meri Misaal B Nahi

Exams have been postponed

Congratulations!
Good news for Karachi University students
Exams of Uni have been postponed upto june
To confirm goto site
www.stop dreaming & start studying.com

Thursday, March 10, 2011

Tum Meri Yaad Ka Har Deep Bujhaa kar Soona,

Tum Meri Yaad Ka Har Deep Bujhaa kar Soona,

Ek Sitara Bhi Mere Khayal ka Baqi Na Rahe
Chandni Shaab Kay Nishanat Mita Kar Soona,

Darr Laga Rehta Hai Neendin Hi Kahin Cheen Na Le
Tera Yeh Roz Meray Khuwaboon Main Akar Soona,

Baad Main Log Gira Dain Tu Koi Baat Nahi
Har Taraf Piyar Ki Deewar Utha kar Soona,

Bhool Jaaoge Zamanay Kay Sabhi Ranj-o-Alam
TUm Meri Baahoon Ki Zanjeer Mein Akar Soona,

Subah Hote Hi Tere Saher Sat Jaana Hai Mujhe
Aaj Ki Raat Zaraa Muj Ko Mitaa kar Soona,

Yaad Hain Aaj Bhi Woh Qarb Ki Ghariyaan
Uski Agoosh Main Sir Apna Chupa Kar Soona

Kabi is Traf Jo Guzer Ho Meri Chashm-e-Tar Ko B Dekhna

Kabi is Traf Jo Guzer Ho Meri Chashm-e-Tar Ko B Dekhna
Teri Badgumani Ki Aanch Ne Mujhe Kya Se Kya Bana Diya

Wo jo apne aapko Noor E Hoor samjh bethai hain

Wo jo apne aapko Noor E Hoor samjh bethai hain
Kon jaanta tha unhe meri Mohabbat se pehle

Mere Jaise Ban Jao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga

Mere Jaise Ban Jao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,
Diwaron Se Takrao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,

Tanhai K Jhoolay Jhoolo Gay, Har Baat Purani Bhoolo Gay,
Aainey Se Ghabrao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,

Jab Sooraj Bhi So Jaye Ga, Aur Chand Kahin Kho Jaye Ga,
Tum Bhi Ghar Dair Se Aao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga,

Bechainiyan Jab Bhar Jayeingi, Aur Yaad Kissi Ki Aye Gi,
Tum Meri Ghazalein Gao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga

Puraani kitaab mein rakhi tasveer se baatain

Puraani kitaab mein rakhi tasveer se baatain
Aaj barsoon ke baad dekha hai
Ab bhi aankhoon ka rang ghehra hai
Aur maathay ki saanwli si lakeer
Dil mein kitne deeye jalaati hai
Teri qaamat ke saaye ki khushboo
Guftugoo mein bahaar ka mausam
Be-sabab aitbaar ka mausam
Kyon mujhe saaray dhang yaad rahay
Kitni hairaan hogaee khud per
Mein tujhe aaj tak nahee bhuli
Pichle mausam ki yaad baaqi hai ..

Har Be-Zabaa.n Ko Shola-e-Nawaa Keh Lia Karo

Har Be-Zabaa.n Ko Shola-e-Nawaa Keh Lia Karo
Yaaro Sakoot Hee Ko Sadaa Keh Lia Karo

Khud Ko Faraib Do Ke Na Ho Talkh-e-Zindagi
Har Sangdil Ko Jaan-e-Wafaa Keh Lia Karo

Gar Chaahtay Ho Khush Rahain Kuch Bandagaan-e-Khaas
Jitnay Sanam Hain Un Ko Khuda Keh Lia Karo

Insaan Ka Agar Qad-o-Qaamat Na Barh Sakay
Tum Osko Nuqs-e-Aab-o-Hawa Keh Lia Karo

Apnay Lye Ab Ek Hee Raah-e-Nijaat Hai
Har Zulm Ko Razaa-e-Khuda Keh Lia Karo

Le De Ke Ab Yehi Hai Nishaan-e-Ziyaa “Qateel”
Jab Dil Jalay Tou Os Ko Dia Keh Lia Karo

Jub Itni Khushyaan Mil Jayen Ke Samajh Na Aye Kia Mangun ….

Jub Itni Khushyaan Mil Jayen Ke Samajh Na Aye Kia Mangun ….
Phir Apni Duaon Mein Mujhe Tum Yaad Karlena ………!

Wednesday, March 9, 2011

Kaisi Beeti Raat Kissi Se Mat Kehna

Kaisi Beeti Raat Kissi Se Mat Kehna
Sapnon Wali Baat Kissi Se Mat Kehna
Kaisay Uthay Badaal Or Kahan Takray
Kaisi Hui Barsaat Kissi Se Mat Kehna

Look Outside

Look Outside
Its so pleasant!
Sun Smiling For you
Trees Dancing for you
Birds singing for you
Because I requested them All to wish You
**..*EID MUBARAK*..**

Tuesday, March 8, 2011

Dard main lazat bohot

Dard main lazat bohot
Ashkon main ranayi bohot
Aye ghamain hasti hamain
Duniya pasand ayi bohot

Ho na ho dahshto chaman
Main ek tahlouk hay zaroor
Bahdesahrayi bhi khusboyen
Ura layi bohot

Besaharoon ki mohabbat
Benawahoon ka khalose
Yeh woh dolat hay k
Insanon ne thukrayi bohot

Mutmahin ho dil to veranoon
K sanate bhi geet
Dil ujar jaye to shairoon main
Bhi tanhayi bohot

Apni fitrat main bhi roshan
Hoon ge lekin aye zameer
Meri ratoon se bhi taroon ne
Chamak payi bohot

Monday, March 7, 2011

If a smile could be a rain drop

If a smile could be a rain drop i would wish that it keeps raining throughout ur life so that there may be no place for tears in ur life.

jgno koi sitaaron ki mahfl main kho gya

jgno koi sitaaron ki mahfl main kho gya
itna na kar mlaal jo hona tha ho gaya

parward-e-gaar to janta hai dilooon ka haal
main ji na paoon ga jo usa kuch bhi hi gaya

ab usko dekh kar naheen dharkay ga mera dil
kahna ka mujh ko ya bhi sabaq yaad ho gaya

ab isko dekh kar naheen dharkay ga mera dil
kahna k mujhe ko ya bhi sabaq yaad ho gaya

baadl utha tha sab ko rlaanay kay waastay
aanchal bhi kho gya kaheen daamn bhi khoo gaya

aik larki aik larkay kay kaandhay par so gayee
main ujli dhundi yaadon k kahray main kho gaya

Thank You for Being My Friend

Thank You for Being My Friend

You Taught Me To Trust Again
In This World Of Selfishness
And Despair.

You Lent Me Your Ear,
When Nobody Listened,
Only Would Hear.

You Understood My Worries
When Nobody Did.

You Took My Broken Heart
And Made Me Whole Again.

Thank You For Being My Friend!

mujh sa pahli si mohabbat meri mahbub na mang

mujh sa pahli si mohabbat meri mahbub na mang

main ne samjha tha k tu hai to darakhshan hai hayat
tera gam hai to gam-e-dahar ka jhagra kya hai
teri surat se hai alam main baharon ko sabat
teri ankhon k siva duniya main rakha kya hai
tu jo mil jaye to taqdir nigun ho jaye
yun na tha main ne faqat chaha tha yun ho jaye
aur bhi dukh hain zamane main mohabbat k siva
rahaten aur bhi hain vasl ki rahat k siva

mujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang

anginat sadiyon k tarik bahimana talism
resham-o-atalas-o-kamkhvab main bunavaye huye
ja-ba-ja bikte huye kucha-o-bazar main jism
khak main lithte huye khun main nahlaye huye
jism nikle huye amaraz k tannuron se
pip bahati hui galte huye nasuron se
laut jati hai udhar ko bhi nazar kya kije
ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije
aur bhi dukh hain zamane main mohabbat k siva
rahaten aur bhi hain vasl ki rahat k siva

mujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang

Tum Ne To Keh Diya Ke Mohabbat Nahi Mili

Tum Ne To Keh Diya Ke Mohabbat Nahi Mili
Mujh Ko To Ye Kehne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili

Neendon Ko Dais Jate, Koi Khwab Dekhte
Lekin Diya Jalane Se Fursat Nahi Mili

Tujh Ko To Khair Shehar Ke Logon Ka Khoof Tha
Aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili

Phir Ikhtilaaf-E-Raye Ki Soorat Nikal Pari
Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili

Be-Raaz Yun Hue Ke Tere Ehad Mein Hamain
Sab Kuch Mila, Sakoon Ki Doolat Nahi Mili

A husband is someone who

A husband is someone who,
after taking the trash out,
gives the impression
he just cleaned the whole house.

Sunday, March 6, 2011

Chalo Nukta koi to mushtarik thehra

Chalo Nukta koi to mushtarik thehra
tere arooj se... mera zawal milta hy

It is not because things are

It is not because things are
difficult that we do not dare,
it is because we do
not dare that they are difficult.

(Seneca)

Saturday, March 5, 2011

Ab yeh sochoon tu bhanwar zehan mein par jaatay hain

Ab yeh sochoon tu bhanwar zehan mein par jaatay hain
Kaise chehray hain jo miltay hi bichar jaatay hain

Kyon tere dard ko dain tuhmmat-e-weeraani-e-dil
Zal'zalloon mein tu bharrray shehar bhi ujjar jaatay hain

Muasam-e-zard mein ek dil ko bachaoon kaise
Aisi rutt mein tu ghannay pairhh bhi jhar jaatay hain

Ab kya koi mere kadmoon ke nishaan dhoondheyga
Taiz aandhi mein tu khaimay bhi ukkhar jaatay hain

Shiddat-e-ghum mein bhi zinda hoon tu hairat kaisi
Kuch deye tu tund hawaoon se bhi larr jaatay hain

Woh bhi kya log hain Mohsin jo wafa ki khaatir
Khud tarasheeda asooloon pe bhi arrh jaatay hain

Ro Ro K Sunaya Tha Jin Ko Apna Haal-e-Dil

Ro Ro K Sunaya Tha Jin Ko Apna Haal-e-Dil
Hans Hans K Meri Wafa Ki Wo Toheen Kr Gye

baith jata hn jahan chaon ghani hoti hai

baith jata hn jahan chaon ghani hoti hai
hai kai cheez ghareeb alwatni hoti hai

Baarish Ka Pani Boondon Ka Tapakna

Baarish Ka Pani
Boondon Ka Tapakna Dil Ka Dharkna
Kuch Halat Hain Aise
Sab Jazbaat Hain Aise
K Har Pal Har Lamha Tumhein Yaad Karte Hain
auR
Har Saal After Ramazan Tumhein Bharpoor
Eid-ul-Fitr-Fitar
Wish Karte Hain..

Friday, March 4, 2011

marun to main kisi chehre main rang bhar jaun

marun to main kisi chehre main rang bhar jaun
'Nadeem' kash yahi ek kam kar jaun

ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb ki pyas
jo izan ho to teri yad se guzar jaun

mera wajud meri ruh ko pukarta hai
teri taraf bhi chalun to thahar thahar jaun

tere jamal ka parau hai sab hasinu par
kahan kahan tujhe dhundun kidhar kidhar jauan

main zinda tha k tera intazar Khatm na ho
jo tu mila hai to ab sochta hun mar jaun

ye sochta hun k main butparast kyun na hua
tujhe qarib jo paun to Khud se dar jaun

kisi chaman main bas is Khauf se guzar na hua
kisi kali pe na bhule se paun dhar jauain

ye ji main ati hai taKhliq-e-fan ke lamhon main
k Khun ban ke rag-e-sang main utar jaun

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana

Libas Tan Se Utaar Dena,
Kisi Ko Banhon Ka Haar Dena,
Phir Uske Jazbon Ko Mar Dena...

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Dabooch Lena,
Phir Unki Aankhein Hi Noch Lena..

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai


Kisi Ko Lafzon Ka Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchal Dena....

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Andheir Nagri Mein Chalte Jana,
Haseen Kaliyan Masalte Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Saja Raha Hai Har Ek Diwaana,
Khayalo-O-Husn-O-Jamaal Jana,
Khayal Kya Hain Hawis Ka Tana,

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Arzo Ki Chingaari Kab Talak Sulgy Gi

Arzo Ki Chingaari Kab Talak Sulgy Gi
Bujh Gya Na Dil Akhir Baar Baar Jalny Se

Itna dushwar nahin maut ko taley rakhna

Itna dushwar nahin maut ko taley rakhna
Sar jo kat jaye to dastar sambhaley rakhna

Chot khana, magar is tarah ke lodhey uthey
Zulmat gham isi tarey se ujahely rakhna

Apne ehbaab ko seeney se lagaye phira
Aik khanjar bhi jaib mein daley rakhna

Meri pehchan mere peer-e-hin zakhm se hai
Ab bhi aezaaz sahi shaal do shaley rakhna

Dasht ehsaas ki hiddat bhi kayamat hai nadeem
Kuch zaroori tou nahin paon mein chaley rakhna

Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon,

Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon,
Apne dard ki tanhaayiyon mein zinda hoon,

Kisi ki neend main mehkaa hoon khawab ki surat,
Kisi ke jism ki angrrayiyon mein zinda hoon,

Dhannak khayalon ki lafzon ka rehsmi bistar,
Main tere hijar ki raa’nayiyon main zinda hoon,

Yeh log taaza rafaqat mein saans lete hain,
Main apni zaat ki tanhayion mein zinda hoon,

Kashish faraar ki insaan ka muqaddar hai,
Paraaye khawb ki parchaayion mein zinda hoon..

Thursday, March 3, 2011

Main khush naseebi hun teri mujhy bhi raas hai tu

Main khush naseebi hun teri mujhy bhi raas hai tu,
Tera libas hun main aur mera libas hai tu

Ajeeb shay hai mohabat bhi, door hain lekin,
Tery kareeb hun main, mery aas pass hai tu,

Kia hai khud ko faramosh mane tery liye,
Bohat hi aam hai dunya bohot hi khas hai tu,

Zamana hum ko juda kar sake, nahin mumkin,
Mohabbton main jo nakhun hoon main to maas hai tu,

Yeh rait si mere honton pe jam gayi kesi,
Mujhe gumaan tha ke daryaa hoon mein to pyaas hai tu,

Yeh kaun tere mere darmiyaan hai jaana,
Ke main bhi dard hoon aur mehv-e-yaas hai tu.

I saw in my dream

Wife : I saw in my dream
that u were buying a diamond ring 4 me
.
.
.
Husband : i saw your dad paying da bill

Buhat chaha jahan mein shaad hona

Buhat chaha jahan mein shaad hona
Muqaddar mein na tha aabaad hona

Qafas ko hm chaman hi maan laen gay
Khush aaey gr tujhay sayyaad hona

Usay hai ronaq-e-dunya say nisbat
So ab kis kay liay barbaad hona

Yeh dil hai said-e-yaad-e-yaar aisa
Na chahay ga kabhi aazaad hona

Kabhi dekhay woh apnay qasr-e-dil say
Kisi ka khanaman barbaad hona

Buhat hai,zindagi kay rastay pr
Hamein ik doosray ki yaad hona

Wednesday, March 2, 2011

Baaton Baaton Mian Bicharney Ka Ishara Karkey

Baaton Baaton Mian Bicharney Ka Ishara Karkey
Khud Bhi Roya Woh Buhat Ham Se Kinara Karkey

Sochta Rehta Hoon Tanhai Main Anjam-E-Khuloos
Phir Usi Jurm-E-Mohabbat Ko Dobara Karkey

Jagmaga Di Hain Terey Shehrer Ki Galiyan Main Ne
Apney Askhon Ko Palkon Pe Sitara Karkey

Dekh Letey Hain Chalo Hosla Apne Dil Ka
Aur Kuch Roz Tere Saath Guzara Karkey

Aik Hi Sheher Main Rehna Hai Magar Milna Nahi
Dekhtey Hain Yeh Aziyat Bhi Gawara Karkey

uski nazar mein meri tabahi k wastey

uski nazar mein meri tabahi k wastey
itna kholoos tha k shekayat na hoo saki

Haraf-E-Tasali Bus ek Takal'luf

Haraf-E-Tasali Bus ek Takal'luf
Jis Ka Dard... Usi Ka Dard

Buzdil Hain Wo Log Jo Muhabbat Nahin Karte

Buzdil Hain Wo Log Jo Muhabbat Nahin Karte
Baho_t Housala Chahe_y Barbad Hon_ey Kaylaye

Aik shakhs mousam-e-khizaan may khilay ghulab sa hai

Aik shakhs mousam-e-khizaan may khilay ghulab sa hai
Wo kuch un-khey sawaloon kay jawab sa hai

Samait lena bhikrey houay sherazey ko tum
Ke hurf hurf kitab-e-ishq ka nayab sa hai

Badley houay lehjey badley houay atwar ki wazahat zarori tu nahi
Mousamon ka yaksaan rehna bhi tu azaab sa hai

Be-noor ujaloon ne bhi aankhain kheera kar dalein
Wo chaand aasman ka tu mehaz saraab sa hai

Hum tu qafs-e-muhabbat ke aarzomand rahey Qais
Mili jo rehai tu pal pal attaab sa hai

Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar

Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar ,
Aankhon Mein Mere Aansuon Ne Kar Liya Basera

Tuesday, March 1, 2011

wo Ana Parast sahi uski baton main ikrar bhi tha

wo Ana Parast sahi uski baton main ikrar bhi tha

uske chubhty hue lehjy main chuppa pyar bhi tha

wo mujhy likhta hai k muntazir na rahun lekin

uski tehreer main sadyon ka intizar bhi tha

wo kehta hai mat rutho k manana nahi aata

meri narazgi pe lekin wo be-qarar bhi tha

main na likhta usy apni khabar lekin

dosti ka bharam rakhna tha

aur Dil be-ikhtiyar bhi tha

Tooty dilon ko jordna maqsood zeesst hy

Tooty dilon ko jordna maqsood zeesst hy
mai kar raha ho muslik-e-Pighambaron ki baat

Kitni Eidain Guzar Gai Tum Bin

Kitni Eidain Guzar Gai Tum Bin,
Ab Khuda Kay Liye Na Tarpana,
Dekho Phir Eid Anay Wali Hai,
Eid Kay Sath Tum Bhi Ajana

shoor na kr dharkan zara tham ja kuch pal k lye

shoor na kr dharkan zara tham ja kuch pal k lye
bari mushkil se meri ankhon me uska khwab hy aya